06/10/2020

ARBAYEEN E SHIDDAT

*सुन्नियत का काम करेंगे!*📚 *मसलक ए आला हजरत को आम करेंगे!


ARBAYEEN E SHIDDAT:


jo Ahaadees e kareema main post kar raha hun wo Huzoor Mehboob e Millat Maulana Mehboob Ali khan sahab ki kitaab "Arbaeen e Shiddat" jo badmazhabon ke radd me hazrat ne tehreer farmaayi thi us se min-no-ann le raha hun aur usi se In sha Allah mazeed aur Ahaadees bhi post karunga. Aap hazraat se duaon ki guzarish hai. JAZAKALLAH

Sawaal:
Kya farmate hain Ulma e Deen va Muftiyaan e Shar e Mateen is mas'ale mein ke zaid (xyz) jo naqshbandi mujaddidi hone ka daawedaar hai kehta hain RASOOLALLAH صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne hamesha kaafiron mushrikon ke saath narmi ki rawaadaari barti aur isi ki taalim di. aur kisi hadees mein kahin nahin farmaya ke kaafiron, bad-mazhabon, mushrikon, murtadon ke saath sakhti karo- phir hum kyun na un se ittehaad kare???

lihaza arz hai ke is mazmoon ki hadeesen bayaan farma kar hum gurba e Ahle sunnat ki rehnumayi farmaye.

Al-jawaab:
Zaid (xyz) apne is qaul e badtaraz bol mein saraasar kizb ( jhoota ) va muftari Alalallah wa Rasool hai ( ALLAH wa RASOOL par ilzaam lagaanewala hai). Har ek musalmaan deendaar jo kuch bhi aql se kaam le woh qaul saraasar galat hai. Kyun ke RABBE KAREEM jalla jalaaluhu ne Qur'an e karim mein Apne MEHBOOB صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ko yun hukm farmaya.

"Aye gaib daan pyare jihad kijiye kaafiron aur munafiqon aur kaafiron munafiqon par sakhti kijiye. aur farmata hai RAB tabaarak va ta'ala;

"Aye Habeeb muhtaram jis cheez ka Aap ko hukm diya jata hai usey khullam khulla bayaan kar dijiye aur mushrikon se rugardaani kar lijiye.

( munh pher lijiye )" to zaid ( xyz) ke naapaak qaul ka matlab yeh hua ke ma'aazAllah HUZOOR E AKRAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne KHUDA ke hukm ke khilaaf kiya, ke hukm e ILAAHI to galzat ( sakhti ) va aeraz ( doori ) ka diya gaya magar is ke barkhilaaf ittefaaq va ittehaad barta gaya. yeh na kahega magar milli- be-deen ya sulaih kulli bad-deen. aur RABBE KAREEM jalla jalaaluhu apne pyare MEHBOOB sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ke jaan nisaaron Sahaba e Kiraam radiyAllahu anhum ki yun madah saraayi farmata hai.

"MUHAMMAD sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ALLAH ke RASOOL hain aur jo log un ke saath hain woh kaafiron par bohot sakht hain aur aapas mein bohot meharbaan" aur doosri jagah yun taareef farmayi.

"Imaan waalon par bohot narm aur kaafiron par bohot sakht hain" aur tafseer e madaarik sharif mein hai,

Hazraat Sahaba e kiraam رضي الله عنهم ki shiddat kaafiron par is darja thi ke woh hazraat apne kapdon ko bhi kaafiron ke kapdon ke chhoone se bachaate the. apne jismon ko kaafiron ke jismon se mass hone se door rakhte the. aur har aaqil musalmaan jaanta hai ke HUZOOR E AKRAM sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ne kuffaar par jihaad ke liye lashkar rawana farmaye aur chand baar khud banafs nafees maidaan e jang mein jalwa afroz hokar lashkaron ki Kamaan farmayi, to kya kaafiron par lashkar kasha karana aur khud bhi baaz mauqe par fauj e islami ki Kamaan farmana, un ke khoon bahana, unke bachchon ko yateem unki aurton ko bewaa banana yeh kuffaar ke saath dosti va ittehaad hai.???

Is silsile mein kuch ahaadees e kareema rozana aapki khidmat me pesh karne ki sa'adat haasil karunga. 
IN SHA ALLAH

Hadees 1:

Jaisa ke sahih riwaayat mein hai ke sulah hudaibiya ke mauqe par urwa bin mas'ood saqfi se Hazrat sayyedna Siddique Akbar رضي الله عنه ka farmana ke jab ke urwa ne HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi wa aalihi wasallam se arz kiya ke Aap ko main us waqt dekhoonga jab Aap ke yeh sab saathi aap ko chhod kar bhaag jaayege to Hazrat Sayyedna Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ne urwa ko farmaya chus le tu laat ka bazr (sharm gaah), kya hum bhaagenge, ya hum HUZOOR ko chhod denge.?
ahle aql v Daanish se poocho ke yeh kaisi narmi v leenat hai. aur zaid aur is ke hum nawaon ko sunao ke yeh kaisa yarana aur ittehaad hai aur new light ke fidaayi nechri se maloom karo ke yeh kaisi tehzeeb hai. Aur Mehboob e Khuda ke mukhaalif se Mustafa pyare ki maujoodgi mein yeh alfaz farmaye jaa rahe hain. aur zaid ka khana saaz ittehaad us waqt HUZOOR SARKAAR E DO AALAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne bhi na barta. na to yaar e gaar ko mana kiya na unki jaanib se koyi uzr pesh kiya balke khaamoshi ikhteyaar farma kar ummat ko usey jaayez aur masnoon hone ki taaleem di lekin aql va imaan ho to maaloom ho.

Hadees 2:

Hazrat Qatada رضي الله عنه se marwi hai ke utba bin abi lahab jab Hazrat sayyedna Kulsum bint RASOOLALLAH sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam se juda hua to Sarkaar ki khidmat e aali mein haazir hokar arz ki."main aap ke deen Islam se phir gaya aur aap ki noor e nazar ko maine talaaq di. na aap mujhe dost jaanein na main aap se mohabbat rakhta hoon."

Aap ne utba ka islam se inheraaf sun kar dua farmayi ya ALLAH tu apne kutton mein se koyi kutta is sag -e- duniya utba par musallat farmade.

Zaid (xyz) pur makr va kaid bataaye ke yeh ittehaad va dua e rehmat hai,
ya kosna aur dua-e-halaakat.???

Hadees 3:

be shak hazrat anas رضي الله عنه ne hadees bayaan ki ke kuch log ukal va urniya se Huzoor e AQDAS sallallaho ta'ala alaihi va aalihi wasallam ki khidmat mein madina taiba aakar musalmaan huye.

unke khabees mizaajon ne madina munawwara ki aab o hawa ko bura samjha aur madina sharif ki pyari rooh parwar naseemein un mareezaan e nifaaq ko na mawaafiq hui. to unhon ne arz ki YAA RASOOLALLAH hum log janglon mein rehte hain aur maweshi paalne waale hain. hum kheti baadi karne waale nahin hain. to RASOOLALLAH sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ne unhe chand ootniyan dene aur charaane ka hukm diya. aur farmaya ke jaao hamare ooton mein raho aur ooton ka doodh aur peshab piya karo. to woh log gaye aur jab madina munawwara ke baahar pohonche to kaafir hogaye islam laane ke baad. aur HUZOOR E AKRAM sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ki jaanib se jo saheb ooton par muhaafiz muqarrar the unhe qatl kar diya aur ooton ko bhaga le gaye. phir SARKAAR ki khidmat mein yeh waaqia arz kiya gaya to un ki giraftaari ke liye ek chhota sa lashkar zafar paiker rawaana farmaya. is lashkar ne un sab ko giraftaar kar ke HUZOOR mein pesh kiya. to HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallaho alaihi va aalihi wasallam ne un ke haq mein hukm saadir farmaya aur AAP ke hukm se un ki aankhon mein neel ki salaaiyaan pheri gayi. aur haath pair kaate gaye. aur jangal mein dalwa diye gaye. yahan tak ke usi haal mein woh mar gaye.

(Bukhari Shareef )

Dekho Saahib e Khulq e Azeem, REHMATALLIL AALAMEEN sallallaho alaihi va aalihi wasallam ke akhlaaq e azeema, AAP ne murtadon ke saath yeh ittehaad barta aur duniya ko bata diya ke islam laane ke baad jo shakhs kufr kare us ke saath ittehaad o dosti o daad ho hi nahin sakta.

Hadees 4:

Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله عنه ne RASOOLALLAH sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ko farmate suna jab ke doosri rak'aat mein rukoo se sar e Mubaarak utthaya to farmate the aye mere RAB laanat naazil kar falaan shakhs aur falaan aadmi par.

(Rawahul bukhaari)

gaur farmayein ke HUZOOR ne naam banaam kaafiron mushrikon par laanat ki ya nahin.

aur woh bhi ain namaz ke andar phir HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallaho ta'ala alaihi va ala aalihi wasallam ka kuffaar o mushrikeen par yeh dua e laanat farmana kya Ma'azallah bad khulqi hai.???

Hadees 5:

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai farmaya jab Rasoolallah sallallaho alaihi va aalihi wasallam ne doosri rakaat se sar e Mubaarak uthaaya to farmaya aye ALLAH sakht halaakat o laanat naazil kar qabila e muzir par, aye ALLAH un par aisi qahat saali naazil kar jaisi Yusuf alaihissalaam ke zamane mein huwi. aur ek riwaayat mein itna zaayed (zyada) hai ke arab ke sarkashon ke naam le le kar dua e halaakat farmayi.

aur Yunus ki riwaayat mein hai ke aye ALLAH laanat naazil kar ra'al aur zakwaan aur asya par, unhone ALLAH aur uske Rasool ki naafarmaani ki.
unhone kaha phir hum ko khabar mili ke Huzoor ne isko namaz mein tark farma diya.

(Rawahul bukhaari o muslim.)

Ab koi pooche in sulah kulliyon se ke aye Sulah kulliyon! Batao ke yeh dushmanaan e Khuda o Rasool ke saath yaaraana hai ya unke haq mein dua e halaakat o barbaadi.???

Hadees 6:

Huzoor sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne khandaq ke roz irshaad farmaya, ALLAH ta'ala in kaafiron ke gharon aur qabron ko aag se bhar de. jis tarah ke inhone hum ko namaz e asr se baaz rakha yahan tak ke aftaab gurub hogaya.

(Rawahul bukhaari)

Ab gaur karna hai ke is se badh kar aur kya dua e halaakat ho sakti hai. yeh dua to duniya o aakhirat ki barbaadi ke liye hai. dunyawi to yeh ke unke gharon ko ALLAH aag se bhar de aur aakhirat ki yeh ke un ki qabron ko aag se pur kar de. Duniya bhi barbaad, aakhirat bhi tabaah.

yeh hai kuffaar o mushrikeen o aadaa e Deen ke haq mein Rehmatul lil aalamin sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ki dua e halaakat aur yeh hai khulq e azeem. Mumkin hai koyi ayyaar yeh keh de ke yeh Huzoor ke khasa'is ( khusoosiyat ) se hai to ab ummat ko jo taaleem hai woh suniye.

Hadees 7:

HUZOOR e Akram sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
"jab kisi bad-mazhab bad-deen ko dekho to us ke rubaru us se tursh-ruyi ( gusse se dekho ) karo is liye ke ALLAH ta'ala har bad- mazhab ko dushman rakhta hai. in mein se koyi pul siraat par guzar na paayega. balke tukde tukde hokar aag mein gir padeinge jaise tiddiyaan aur makhkhiyaan girti hain."

Hadees 8:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aalihi wasallam farmaate hain.
"kadariyon ke paas na baithon aur na unse ibteda ba-salaam karo ya unhe kisi mu'aamle mein panch na banao.

Hadees 9:

HUZOOR Sarkaar Madina sallallahu alaihi va aalihi wasallam ko abu Imama baahli رضي الله عنه se irshaad farmate suna "kisi kadari ya murji ya khaarji ke paas na baith, yeh log deen ko aundha karte hain jaise bartan aundhaya jaata hai. aur ubal kar hadd se guzar jaate hain jaise yahoodi o nasaara guzar gaye.

( kadari wo firqa hai jo takdeer ka inkaar karta hai)

Hadees 10:

Huzoor RASOOL e Kareem sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya.
"tamaam nek kaamon mein ALLAH ta'ala ko jo sab se zyada pasandida kaam hai woh ALLAH ke liye ALLAH waalon se dosti aur ALLAH ke dushmanon bad-mazhabon se nafrat wa bezaari hai.

Yaani aamaal e sauleha mein mashgooli bure kaamon se parhez o bezaari se aur nawaafil padhne aur nafli roze rakhne se yeh amal ALLAH ta'ala ko zyada mehboob hai ke USKE pyare Imaan waalon ke saath mohabbat rakhi jaaye aur ALLAH ke dushmanon bad-mazhabon, murtaddon ke saath nafrat o bezaari barti jaaye sirf itna hi nahin balke faraaiz o waajibaat bhi bagair Hubb Fillaah wa Bugz-Fillaah ke hargiz qabool nahi hote.

Hadees 11:

Huzoor NABI Ummi sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
"jis ne ALLAH ke liye ALLAH waalon se mohabbat wa dosti ki aur ALLAH ke liye ALLAH ke dushmanon se bugz o nafrat rakhi aur ALLAH ke liye Imaan waalon ko diya aur dushmanaan e KHUDA o RASOOL ko dene se ALLAH ke liye haath roka to yaqeenan usne apne Imaan ko kaamil kar liya ya kamaal e Imaan ka martaba paa liya.

(ABU DAWOOD O TIRMIZI)

Zaid (xyz) aur iske humnawa dekhein ke Imaan kab kaamil hota hai aur kamaal e Imaan kab haasil hota hai.

Hadees 12:

Huzoor Mehboob e Khuda Sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

jab faasiq ki taareef ki jaati hai to RAB azza wa jalla gazab farmata hai aur is ke sabab arsh e Ilaahi hil jaata hai.
Isi mazmoon ko hazrat Maulana Jalaalul millat waddeen Roomi رضي الله عنه apni masnawi sharif mein yun farmate hain.
" MEE BA LARZAD ARSH AZ MADHE SHAQI. BAD GUMAAN GARDAD AZ WAHAM MUTTAQI" Yaani jo shakhs mazhaban bad-bakht hain unki taareef karne se arsh e Ilaahi hil jaata hai. aur isko sun kar muttaqi bad-gumaan ho jaata hai.

Hadees 13:

Huzoor Rauf o Raheem Sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
beshak ALLAH ta'ala gazab farmata hai jab zameen mein faasiq (fisq karnewala) ki madah (taareef) ki jaati hai.

(Baihaqi)

Zaid (xyz) aur iske humnawa yeh dekhein ke faasiq ki madah ( taareef) saraayi par yeh qahar o gazab hai to bad-mazhab bad-deen o murtaddeen ki taareef karne par kya hoga. phir bad-mazhabon, kaafiron, mushrikon, murtaddon ke saath mel-jol, ittehaad o ittefaaq rakhne yaraana gaanthne par kya hoga.

( wal ayaaz billaahi ta'ala).

Hadees 14:

Huzoor Rasool e Kareem sallallahu alaihi va aalihis salaatu vat-tasleem farmate hain. jo kisi bad-bazhab ki tauqeer (izzat) kare usne Islam ke dhhaane par madad di.

Hadees 15:

Huzoor Sarkaar do Aalam sallallahu alaihi va aalihi wasallam ka irshaad hai.
jo kisi bad-mazhab ki taraf is ki tauqeer karne ko chale usne Islam ke dhhaane mein e'aanat (madad) ki.

Hadees 16:

HUZOOR e Aqdas sallallahu alaihi va aalihi wasallam farmate hain.
Teen baatein hain ke jis mein hon woh abdaal se hai.

Awwal qazaa e Ilaahi par raazi hona.

Duwwam ALLAH azza wa jalla ne jin baaton se mana farmaya hai un se baaz rehna.

Suwwam aur ALLAH ke mu'aamle mein gazab o gussa karna.

Hadees 17:

HUZOOR MAALIK E KAUNAIN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

ALLAH azza wa jalla ne AMBIYA E KIRAAM alaihimussalaatu wassalaam mein se ek NABI ko WAHI farmayi ke falaan aabid se keh dijiye ke tera duniya mein zaahidaana zindagi guzaarna to apne nafs ki raahat ko tu ne haasil kar liya. Aur duniya se tera be-ilaaqa hokar meri taraf mutawajjah ho jaana to is zariye se tu ne izzat haasil kar li. To MERA tujh par jo haq hai is ke silsile mein tu ne kya amal kiya.

Us aabid ne kaha. Aye mere RAB aur kya TERA haq mujh par hai. ALLAH tabaarak va ta'ala ne farmaya kya MERE liye kisi dost ke saath tu ne dosti ki aur kya MERE liye kisi dushman ke saath dushmani ki ???

(Abu Naeem)

Hadees 18:

HUZOOR DAAFI'UL -BALAA wal-wabaa sallallahu alaihi va aalihi wasallam farmate hain.

Imaan ka sab se zyada mazboot kadaa yeh hai, Ke ALLAH hi ke liye aapas mein ek doosre ke saath mohabbat ki jaaye. Aur ALLAH hi ke liye ulfat rakhi jaaye aur ALLAH hi ke liye nafrat rakhi jaaye.

Hadees 19:

HUZOOR AAQA E DAARAIN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Imaan ke kadon mein sab se zyada mazboot kadaa ALLAH hi ke liye mohabbat karna aur ALLAH hi ke liye adaawat rakhna hai.

Hadees 20:

HUZOOR daafa' ulbalaa wal-wabaa wal-qahat wal-marz wal-alam sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ko un ke RAB azza wa jalla ne Apne fazl o karam se qaasim jumla ne'am banaya, Mohsin e do aalam, balke Rehmatallil aalameen farmaya lekin apne gulaamaan e baargaah o bandagaan e dargaah ko taaleem dene ke liye apne RAB tabaarak o ta'ala ki baargaah mein HUZOOR yeh dua arz karte hain.

Aye ALLAH mujh par badkaar ka ahsaan na hone dena ke us se Mera dil mohabbat karne lage kyunke beshak Maine is kalaam mein jo Mujh par bazaria-e- Wahi naazil kiya gaya hai Yeh aayat paayi hai ke aye Mehboob tum in logon ko jo ALLAH aur qayamat ke din par Imaan rakhte hain Aisa na paaoge ke woh ALLAH aur uske RASOOL ke mukhaalifon se dosti rakhein.

Hadees 21:

HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi va aalihi wasallam farmate hain. Agar bad-mazhab bimaar pade to poochne Na jaao, aur agar woh mar jaaye to janaaze par haazir Na ho, aur jab unhe milo to salaam Na karo, aur unke paas Na baithho, unke saath paani Na piyo, unke saath khaana Na khao, unse shaadi biyaah Na karo, Un ke janaze ki namaz Na padho aur Unke saath namaz Na padho.

( muslim shareef )

Hadees 22:

HUZOOR SAAQI E KAUSAR sallallaho alaihi va aalihi wasallam farmate hain. 
un bad-mazhabon se MAIN bezaar hoon aur woh MUJH se be-ilaaqa hain. Un par jihaad aisa hai jaisa kaafiraan-e-turk o dailam par..

Hadees 23:

HUZOOR SHAAFI E MEHSHAR sallallaho alaihi va aalihi wasallam farmate hain. jab bani israil gunaahon mein mubtela huwe to unke Ulema ne unhe mana kiya, woh baaz na aaye to yeh Ulema un ke jalson mein shareek hone lage aur un ke saath hum niwaala o hum piyaala rahe. Pas ALLAH ta'ala ne unke dil ek doosre par maar diye (yaani paas baithne se badkaari ka asar in aalimon ke dilon par bhi daud gaya) aur ALLAH azza wa jalla ne Dawood aur Isaa bin Maryam alaihimas salaam ki zabaani un sab par laanat farmayi, yeh badla tha unki Na-farmaaniyon ka aur hadd se badhne ka. Qasam USKI jis ke qabza-e-qudrat mein MERI jaan hai tum azaab se najaat na paaoge jab tak unhein haq ki taraf khoob jhuka na laao.

(Imam Ahmed'Abu Daood'Tirmizi'Ibne Maajah)

Ulema o mashaikh ko tambeeh farmaayi jaa rahi hai. Dekhiye bawajood yeh ke woh ulema manaa karte the. Lekin jab woh baaz na aaye to yeh ulema unke paas baithne uthne lage ke shayed yun unhein hidaayat ho. Magar hua yeh ke qaum ki hidayat ki bajaaye unhone khud apne aap ko halaak kar diya. Is hadees sharif ne un policy baaz waa'izon aur maulviyon ka bhi radd kar diya jo kehte hain ke ji bad-mazhabon se ulfat o mohabbat aur mel-jol kar ke unhein hidaayat karna chaahiye, unke majmon mein, jalson mein rukn aur mimbar ban kar aur shareek ho kar bataana chaahiye. Hadees e kareem ne saaf farma diya Ke bad-mazhabon ki sohbat ka asar yeh hota hai.

(wal ayaaz billaahi tabaarak wa ta'ala)

Hadees 25:

HUZOOR MEHBOOB E KHUDA sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Jo kisi bad-mazhab ko us ki bad-mazhabi ki wajah se dushman jaan kar us se munh phere ALLAH ta'ala uska dil Imaan se bhar de. Aur jo shakhs kisi bad-mazhab ko jhidke ALLAH ta'ala usey us badi ghabraahat ke din Amaan de. Aur jo kisi bad-mazhab ki tazleel (zaleel) kare ALLAH ta'ala jannat mein us ke sau (100 ) darje buland farmaye. Aur jo kisi bad-mazhab ko salaam kare ya us se khushi ke saath mile ya uske saamne aise baat kare jis se us ka dil khush hua usne halki jaani woh cheez jo utaari gayi MUHAMMAD sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam par.

Dekho bad-mazhab o bad-deen se door-nafoor rehne waale par kya kya KHUDA ki ne'matein hain. Aur bad-mazhabon se yaaraana gaanthne, bhai-chaara rachaane waalon par kya kya wa'eedein hain.

Hadees 26:

HUZOOR REHMATULLIL AALAMEEN sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

jab is ummat ke pichle log is ummat ke aglon (sahaba e kiraam o ahle bait izaam رضي الله عنهم aimma-e- mujtehideen رحمت لله عليه ) par laanat karne lagein to us waqt jis ne ba-wajood isteta'at ek kalma-e-haq bhi chhupaya to yaqeenan usne us cheez ko chhupaya jo ALLAH ta'ala ne naazil farmayi.

Hadees 27:

HUZOOR NOOR E MUJASSAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne jang-e-quraiza ke roz hazrat e HASSAAN bin saabit رضي الله عنه se irshaad farmaya.
mushrikeen ki hiju wa mazammat kar, ke JIBRAEEL عليه السلام tere saath hain. Aur RASOOL E KAREEM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam hazrat e HASSAAN رضي الله عنه se farmaya karte the ke meri taraf se kaafiron ko jawaab de,
aye ALLAH! TU Hassaan ki taa'eed Rooh ul quds se farma.

(Rawahul Bukhaari o Muslim)

Hadees 28:

HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi va aalihi wasallam ne irshaad farmaya. Quraishi kaafiron ki buraiyaan aur un ke uyoob bayaan karo ke beshak yeh kaam teer maarne se bhi zyada un par sakht hai.

(Muslim shareef)

Hadees 29:

maine RASOOLULLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ko Hassaan se farmate suna ke Rooh ul quds Jibraeel alaihissalaam teri taa'eed farmate hain jab tak tu ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ki jaanib se un ke dushmanon ke saath mukhaasimat o mudaafi'at karta rehta hai. Aur faramaya ke maine RASOOLALLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ko farmate suna ke Hassaan ne kaafiron mushrikon ke uyoob unki buraaiyon ka bayaan kiya to musalmaanon ko us ne shifa di aur apne aap bhi shifa haasil ki.

(Muslim shareef)

Is Mubarak hadees se maaloom hua ke kaafiron murtaddon bad-mazhabon ke uyoob o nuqaayes bayaan karne se Imaan waalon ko shifa haasil hoti hai, ruhaani bimaariyan door hoti hain. Kyunke daafa ul balaa wal waba ila yaumul jazaa sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ke dushmanon bad-goyon ka radd o tar hai.

Hadees 30:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam Hazrat Hassaan رضي الله عنه ke liye masjid e nabvi sharif mein mimbar bichaaya karte ke woh is par khade ho kar HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke liye aur HUZOOR E AKRAM ki taraf se kaafiron mushrikon par mufaakhirun hasbihi wa nasbihi ka nazm mein bayaan kiya karte the ya kuffaar o mushrikeen ki hiju o mazammat mein nazmein padha karte the. Aur RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmaya karte the ke beshak ALLAH ta'ala Roohul quds se Hassaan ki taa'eed farmata rehta hai. Jab tak Hassaan meri taraf se mufaakharat (fakhr karna) o munaafakhat ( badaayi bayaan karna ) karte rehte hain.

( Rawahul Bukhaari )

Hadees 31:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ki baargah e bekas panaah mein Hazrat Kaab bin maalik رضي الله عنه ne arz ki:

Beshak ALLAH ta'ala ne she'r ke baare mein to jo naazil farmaya hai woh naazil hi farma diya hai. Aur woh ALLAH ta'ala ka yeh irshaad hai.

Aur shaa'iron ki pairwi gumraah karte hain. Kya tum ne na dekha ke woh har naale mein sar-gardaa phirte hain. Aur woh kehte hain jo nahin karte (tarjuma razwiya) HUZOOR Sarkar e Madina sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke sho'ra Hazrat Kaab bin Maalik o Hazrat Hassaan bin Saabit o Hazrat Abdulla bin rawama رضي الله عنهم the. Hazrat Kaab رضي الله عنه kuffaar o mushrikeen ko apni nazmon mein jang o harab se khauf-naak kiya karte the. Aur Hazrat Hassaan رضي الله عنه kuffaar o mushrikeen ke nasabi o khaandaani uyoob o naqaayis apne qaseedon mein bayaan kiya karte the aur Hazrat Abdullah رضي الله عنه apne ash'aar mein kuffaar o mushrikeen ko unke kufr o shirk par sharm o gairat aur nang o aar dilaaya karte the. Hazrat Kaab رضي الله عنه ki is arz ka matlab yeh tha ke kya is qism ke ash'aar kehna bhi hamare liye najaayez farma diya.

To NABI E KAREEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne irshad farmaya ke beshak Imaan waala apni talwaar se bhi jihaad karta hai aur apni zabaan se bhi jihaad karta hai. US Zaat ki qasam jis ke qabza e qudrat mein MERI jaan hai. Beshak tum apne ash'aar ke zariye se kaafiron mushrikon ke dilon par teer barsaate ho. Jis tarah teeron se in ko zakhmi karte ho.

Is hadees sharif ne irshaad farmaya ke ash'aar mein kuffaar o mushrikeen o murtaddeen ki mazammat o hiju karna is liye ke musalmaan is ko sun kar un ke aqaaid e kufriya se mutanaffir o bezaar hokar apne islam aur apni sunniyat ko un ke daam-e-makr o fareb mein phansne se bachaayein, yeh bhi jihaad bil-lisaan hai

Hadees 32:

HUZOOR SARKAAR E DO AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

koyi NABI ALLAH TA'ALA ne MUJH se pehle nahin bheja magar USKI ummat mein ansaar o as'haab hote rahe ke woh apne NABI ki sunnat USKE tareeqe par amal karte the aur apne NABI ke ahkaam o irshaadaat ki pairwi karte the (aur MUJHE bhi aise hi ansaar o as'haab diye gaye) phir yaqeenan paida honge MERI ummat mein bure na-khalf log jo kahenge woh karenge nahin aur jo karenge uske maamoor nahin hoge. To jo un se haath se jihaad karega woh Imaandaar hai. Aur jo un bad-mazhabon se zabaan se jihaad karega woh bhi Imaan waala hai. Aur jo zabaan se bhi un ka radd o tard karne ki qudrat unke uyoob ko bayaan karne ki isteta'at nahin rakhta aur dil se unko bad-mazhab bad-deen jaanta aur unse nafrat o bezaari rakhta hai woh bhi momin muslim hai. Aur is ke baad raai ke daane baraabar bhi Imaan nahin hai.

( Muslim Shareef )

Is hadees sharif ne jihaad ki teen qismen bayaan farmayi. Jihaad e Sinaani, jihaad e Lisaani, jihaad e Jinaani. Aur agar bad-mazhabon bad-deenon ko dil se bhi bura na jaane, unse yaaraana gaanthe, dostaana rakhe to woh be-imaan hai. Aur pur-zaahir ke jihaad qalmi bhi usi jihaad e lisaani hi ki ek behtareen soorat hai. Ke Alqalamun Ahdeeyul lilsaaneen hai.
Aur yeh bhi maaloom hua ke HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala alihi wasallam ko ALLAH TA'ALA ne ilm e gaib ataa farmaya, ilm e khams bakhsha ke is hadees sharif mein ilm e maafi ala salaab ka saboot maujood hai.

Hadees 33:

HUZOOR JANAAB E RISAALAT ma'aab sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

jis ne diya ALLAH ke waaste aur dene se inkaar kiya ALLAH ke waaste aur Imaan waalon se ALLAH ke liye dosti ki aur bad-mazhabon, bad-deenon se ALLAH ke waaste dushmani rakhi to beshak usne apne Imaan ko kaamil kar liya.

( Tirmizi Shareef )

Hadees 34:

Hazrat Allama Sayyed Ismail bin Haafiz e kutub Sayyed Khalil Haafiz Kutbul Haram al-makki quddisallah ta'ala sirrahu al-mulki apni tasdeeq " Fatawa al Harmain barajaf nadwatul-meen" mein naql farmaate hain.

Shirk isse bhi zyada pinhaa ( chhupa hua) hai Jaise chikni chattaan par andheri raat mein chyunti ki chaal. Aur adna darja is ka yeh hai ke tu zulm o khilaaf-e-haq ki zara si baat ke saath bhi mohabbat rakhe.
Aur kisi qadar adl o insaaf ki zara si baat se bhi adaawat rakhe. Aur Deen hai kya?

Isi hub o bugz ka to naam hai.
Yaani ALLAH ke liye ALLAH waalon se dosti aur ALLAH ke liye ALLAH ke dushmanon se nafrat o bezaari rakhta hai to Imaan daar hai warna nahin.

( Rawahul Haakim wa Sahha )

Hadees 35:

HUZOOR e Aqdas sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam irshaad farmate hain. 
Tamaam nek kaamon mein sab se afzal amal ALLAH azza wa jalla ke waaste dosti rakhna aur ALLAH azza wa jalla ke waaste dushmani rakhna hai.

( Abu Dawood )

Hadees 36:

Huzoor Sarkaare do aalam sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam farmate hain. Kisi cheez ki mohabbat tujh ko andha behra bana deti hai.

( Rawahul Imam Ahmed wal Bukhaari)

Haq ki mohabbat baatil baaton ke dekhne sunne se rok deti hai. Aur baatil ki mohabbat haq baaton ke dekhne aur sunne se behra kar deti hai. Matlab yeh hua ke baatil ki mohabbat apne dilon se nikaal do ke woh tumhe haq baaton ke dekhne sunne se mehroom kar degi. Aur haq ki himaayat apne quloob mein jamaao ke baatil ko na tumhari aankhen dekh sakein na tumhare kaan sun sakein.

Hadees 37:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jis shakhs ne naa-haq par apni qaum ki madad ki to woh is oont ki tarah hai jo kuwein mein gir gaya ho aur us ki dum pakad kar usey kheencha ja raha ho.

(Abu Dawood )

Hadees 38:

Hazrat Waasila bin ashqa' رضي الله عنه farmate hain.
maine arz ki YAA RASOOLALLAH ! sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam Asbiyyat kya hai.?

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya. Asbiyyat ta'asub ki taareef yeh hai ke tu apni qaum ko zulm karte huwe dekh kar bhi un ki i'aanat imdaad kare.

Subhanallah is hadees shareef ne asbiyyat ta'asub ki saheeh taareef farma kar pilpilon suleh kulliyon bad-mazhabon ki dahen dozi farma di ke khud HUZOOR SARKAAR E DO AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farma diya ke ta'asub yeh hai ke baatil par kisi ki taraf daari kare jaise deobandi, nechri, qaadiyaani, raafzi, khaaksari, muslim leagi, ahraari wagairhum firq-e-naari apne tawagiyat ki baatil parasti par tarafdaari kar rahe hain. Aur haq ka saath dena. Haq baat ki tarafdaari karna ta'asub nahin hai Balke yeh apne aqaayed e haqqa par pukhtagi wa salaamat rawi hai aur yeh mehmood hai aur jo is ko ta'asub kahe woh Deen se begaana aur HUZOOR RASOOL E KAREEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ka mukhaalif aur baargaah e risaalat se mardood hai.

Hadees 39:

Abada bin Kaseer Shaami ek bibi se riwaayat karte hain jo ke falasteen ki rehne waali hain aur un ka naam fasilah hai, woh kehti hain ke maine apne baap ko yeh kehte suna ke, maine RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam se sawaal kiya, maine arz ki YA RASOOLALLAH ! صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ kya yeh baat ta'assub mein daakhil hai ke insaan apni qaum se mohabbat kare to AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya nahi, balke ta'assub yeh hai ke aadmi zulm o naahaq par apni qaum ki madad kare.

(Rawahul Imam Ahmed wa Ibne Maajah)
In donon Mubaarak hadeeson ne ta'assub ko saaf farma diya jo aaj kal policy baaz waa'iz lecturaar wa molvi kaha karte hain ke ulma e ahle sunnat o jamaat kasar-hamullah ta'ala wa aidihim bade muta'assib hain. Un ka yeh kehna saraasar zulm o ifterah hai. Kyunke radd-e-bad-mazhabaan to mehmood hai. Aur ta'assub yeh hua ke naa-haq par tarafdaari o madad ki jaaye to hazraat ulma e ahle sunnat ka daaman is se paak hai, woh to Haq pasand hain. Haan woh qaaileen khud in ahaadees e mubaaraka ki bina par muta'assib saabit ho gaye ke baatil o naa-haq ki tarafdaari kar rahe hain aur madad pohoncha rahe hain. Aur isi ko in hadeeson mein ta'assub bataaya gaya hai. Tafseer Azeezi paara awwal, matbua Muhammadi Lahore safha 327 hazrat Maulana Shah Abdul Azeez sahib mohaddis dehlvi Aayate karima ke tahet mein farmate hain:

"Wa mani tasallub haq aanast ke deen haq. Ra-baquwwat bagirad wa hargiz badeene wa aayine nazar na kund wa ba-talbisaat e shayateen wa istadrajaat e jogya wa rahabeen gosh nanhad wa ba-sabab wa rod e masayeb wa imtehanaat dar husn e deen khud shak taraddud paida na-kund wa een amar mehmood dar jamee addiyaan wa matloob dar bar zamaan sat wa maani ta'assub aanast ke ba-sabab hamiyat rasm khud ya riyaasat e khaandaan e khud bar mazhab digar ba wasaf zahoor alamaat haqeeqat e aan inkaar numayad wa bad e khud ra nek wa nek e gair e khud ra bad danad wa een amar mardood o mayoob sat."

Yaani tasallub e haq ke maani yeh hain ke deen e haq ko mazbooti ke saath pakad le aur kisi doosre deen ya kisi doosre tareeqe ki taraf hargiz aankh uthakar bhi na dekhe aur shaitaanon ke fareb se bhari huwi baaton aur jogiyon saadhuwon ke istadraaji khuwariq e aadaat ki taraf qat'an kaan na lagaaye aur musibaton aur aazmaaishon ke aa jaane ki wajah se apne sachche deen ki khoobi mein kisi tarah ka shak o taraddud hargiz paida na hone de aur yeh tasallub e haq tamaam addiyaan e ilaahiya mein pasandeeda wa mehboob aur har zamaane mein matloob o margoob hai. Aur ta'assub e baatil ke maani yeh hain ke apni rasm ya apne khaandaani aizaaz ki paasdaari ke sabab doosre mazhab ko us ki haqqaaniyat ke dalaail o baraheen waazah ho jaane ke baad bhi us sachche mazhab ko na maane aur uska inkaar kare aur apne bure ko bhala aur deen e haq ke maanne waalon ke bhale ko bura jaane aur yeh ta'assub baatil mardood o maayoob hai.

Hadees 40:

HUZOOR KHAATIMUL AMBIYA sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Mominon ke siwa kisi aur ki sohbat mein mat baith. Aur muttaqi ke siwa teri daawat ka khaana koyi aur na khaaye.

(Tirmizi wa Abu Dawood)

Hadees 41:

HUZOOR SHAAFI E MEHSHAR sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne Hazrat Abu zar رضي الله عنه se farmaya.
Aye Abu zar! Imaan ke kadon mein kaun sa kadaa sab se zyada mazboot hai.
Unhon ne arz ki ALLAH aur us ka RASOOL ziyada jaanne waala hai.

Irshaad farmaya ke ALLAH ke baare mein baahum ek doosre ki madad karna aur ALLAH ke liye mohabbat karna aur ALLAH ke liye dushmani rakhna.

( Rawahul Bahiqui )

Hadees 42:

Hazrat Abu Zar رضي الله عنه farmate hain.
RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam hum par jalwa farma huwe. Farmaya kya tumhein khabar hai ke kaun sa amal ALLAH ta'ala ko sab se zyada mehboob hai. Kisi kehne waale ne arz ki Namaz o Roza aur Zakaat aur kisi ne arz ki Jihaad. HUZOOR REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya beshak tamaam aamaal mein ALLAH ta'ala ko sab se zyada mehboob o pasandeeda amal ALLAH ke liye mohabbat o dosti rakhna aur ALLAH ke liye adaawat o dushmani rakhna hai.

(Rawahul Imaam Ahmed )

Hadees 43:

HUZOOR KHALIFATULLAH AL-AAZAM sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam farmate hain.

Aadmi apne dost ke Deen par hota hai to tum mein se har ek dekh bhaal karle ke woh kis ke saath dosti rakhta hai.

( Rawahul Imam Ahmed wa Al-Tirmizi wa Abu Dawood wa Al-Bahiqui )

Hadees 44:

HUZOOR MAALIK E KAUNAIN sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam Hazrat Abu razeen رضي الله عنه se farmate hain.
Kya Main tujh ko woh baat na bata doon jis par is ka Deen ka daar o madaar hai jis ke zariye se tu duniya o aakhirat ki bhalaayi haasil kar lega.

Khuda o Rasool jalla jalaaluhu wa sallallaho alaihi va ala aalihi wasallam ka zikr karne waalon ki majlison mein haazir hona laazim karle. Aur jab tanhaayi mein ho to tujh se jis qadar ho sake apni zabaan ko ALLAH ta'ala ke zikr mein mutaharrik rakh (aur ALLAH ke RASOOL ka zikr KHUDA hi ka zikr hai balke deen e islam o shariyat e islaamiya ki har ek baat ka zikr ALLAH ta'ala ke har ek pyare ka zikr ALLAH ta'ala hi ka zikr hai). Aur ALLAH ke waaste mohabbat rakh aur ALLAH ke waaste adaawat rakh.Aye Abu razeen kya tujhe khabar hai ke musalmaan jab apne ghar se apne musalmaan bhai ki mulaaqaat ke liye nikalta hai to sattar hazaar farishte is ke saath ho lete hain. Woh sab farishte is par durood bhejte hain aur arz karte hain aye hamare RAB beshak is musalmaan ne TERI mohabbat mein rishta joda TU bhi apne karam o fazl ko is se muta'alliq farma de. To aye Abu razeen! Agar tu apne badan ko is kaam mein laa sake to yeh kaam kar.

Ahle Imaan dekhein ke musalmaan ke saath dosti o ittehaad rakhne waale aur bad-mazhab se bezaar rehne waale par kitni ALLAH ki rehmatein aur barkatein hain.

( Rawahul Bahiqui )


Hadees 45:

Hazrat Maaz bin jabal رضي الله عنه se marwi hai ke maine RASOOLALAAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam se poocha ke afzal tareen Imaan kya hai.
HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya yeh ke tu ALLAH ke waaste mohabbat rakhe aur ALLAH ke waaste adaawat rakhe aur apni zabaan ko ALLAH ke zikr mein mashghool rakhe.

Hazrat Maaz رضي الله عنه ne arz ki ya RASOOLALLAH ! صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ is ke baad phir main kya karoon?
HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya aur yeh kar ke logon ke liye tu woh pasand kar jo tu khud apni zaat ke liye pasand karta hai. Aur un ke liye woh pasand na kar jo tu apni zaat ke liye naapasand karta hai.
Is Hadees sharif ke isi pichhle jumla e Mubarak ki sharah mein Hazrat Sayyedna Abdulla bin Abbas رضي الله عنهما ka yeh irshad e Mubarak hai ke farmaya;

ALLAH tabaarak va ta'ala farmata hai ke beshak ALLAH ta'ala adl o ehsaan ka hukm deta hai to adl ke maani yeh hain ke ALLAH ta'ala ko wahdahu laa sharika lahu maane aur ehsaan ke maani yeh hain ke tu ALLAH ta'ala ki ibaadat is tarah kare goya tu USEY dekh raha hai. Aur yeh ke tu logon ke liye wohi pasand kare jo tu khud apne liye pasand karta hai. Agar doosra shakhs Imaan waala hai to teri khushi yeh ho ke us ke Imaan ka darja aur bhi zaayed buland ho jaaye aur woh kaafir hai to teri khushi yeh ho ke woh bhi tera islami bhai ban jaaye. Is irshad ko Imam Allama Qudwatul umma Naasir al-sharia muhiyus sunnat Hazrat Alauddeen Ali bin Muhammad bin Ibrahim Baghdadi Sufi Maaroof Khaazin رحمت لله عليه ne apni tafseer khaazin musamma ba jild chaharum matboo matbae taqdeem almiya misr safha 90 mein isi aayat e karima ke maatahat naql farmaya.

Hadees 46:

HUZOOR MADNI TAAJDAAR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ila yaumal qaraar farmate hain.
Aakhir zamaane mein bohot se dajjaal bade dhoke baaz aur jhoote honge, woh tum ko hadeesein gadh gadh kar sunaayenge jo na tum ne suni hongi aur na tumhare baap dada ne suni hongi. To un se door rehna aur unko apne se door rakhna, kahin woh log tum ko haq se behka na dein, kahin woh tum ko fitne mein na daal dein.

( Rawaah Muslim An Abi Hurairah radiyallahu anhu )

Is Hadees sharif ne yeh bhi bataaya ke bad-mazhabon, murtaddon se door-nufoor raho aur yeh bhi bataaya ke ALLAH ta'ala ne HUZOOR E AKRAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ko uloom e gaibiya ataa farmaya hain ke in khabeeson ki khabar pehle hi de diye hain...

Hadees 47:

HUZOOR E AQDAS sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Ek jamaat aakhir zamaane mein ya is ummat mein niklegi (shakk-e-raawi hai) jo Qur'an padhegi aur Qur'an unke galon se neeche nahin utrega yaani Qur'an padh padh kar galat tarjume kar kar ke MERI ummat ko gumraah karenge. Alaamat is jamaat ki yeh hai ke sar bohot mundaayenge yaani chundya ghuti hui rakhenge (jaise wahabiya numa (woh hai aur jhoote sufi mutasawfa e malahida hain) jab tum unhe dekho to un se yaraana aur bhai chaara na karna, un se jang karna hasb e isteta'at khwaah sinaani ya lisaani wa jinaani.

(Rawahul Ibne Maajah)

Is hadees sharif mein bhi ilm e gaib ka saboot hai.

Hadees 48:

RASOOLALLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya anqareeb aakhir zamaane mein kuch mullaane honge jaise keede, jo woh zamaana paaye to ALLAH ki panaah maange un bad-deenon se.

( Rawaah Abu Naeem )

Hadees 49:

RASOOLALLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain beshak MERE liye ALLAH ta'ala ne as'haab chune to unhein MERE rafeeq aur MERE khusraali aur MERE madadgaar kiya aur anqareeb unke baad kuch log aayenge ke unki shaan ko ghataayenge aur unhein bura kahenge, tum unhein pao to un se shaadi biyaah, rishta daari na karna, na un ke saath khaana khaana, na paani pina, na unke saath namaz padhna aur na unke janaaze ki namaz padhna.

Shiddat o gilzat bar kuffaar ke saath saath uloom e gaibiya mustafwiya ke jalwe bhi zaahir ho rahe hain.

SUBHANALLAH.

Hadees 50:

HUZOOR MEHBOOB E KIBRIYA sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Aakhir zamaane mein ek qaum jamaat hogi jin ko raafzi kaha jaayega woh deen e Islam ko chhod denge woh log murtad hain un par murtaddon ke ahkaam jaari hain.

Hadees 51:

HUZOOR REHMAT E MUJASSAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
MERI ummat kehlaane waalon mein aakhir zamaane mein ek giroh hoga jiska naam raafzi hoga, woh log Islam ko chhod denge, woh murtad hain.

Hadees 52:

HUZOOR MEHBOOB E MOHTARAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Anqareeb MERE baad ek jamaat ro-numa hogi unke liye ek bura laqab hoga. Unko raafzi kaha jaayega. To aye ALI agar tum unko paana un se jung karna. Is liye ke woh murtad hain.

Hazrat ALI ne farmaya maine arz ki YA RASOOLALLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam us qaum ka naam to AAP ne bata diya hai, Unki pehchaan bhi bata dein.

HUZOOR E AKRAM sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne irshaad farmaya unki pehchaan yeh hain ke tumhari taareef aisi karenge jo tum mein nahin hai (jaise NABI se afzal hona ya khilaafat e Raashida ka siwa hazrat ALI رضي الله عنه ke doosre ka haqdaar o khalifa-e-barhaq na hona ya khilaafat bila-fasal ke liye aap ka wasi-e-Rasool hona wagairah wagairah) aur aglon yani khulfa-e-salaasa رضي الله عنهم par taan karenge. ( Akhraja Al-daar e Qatnee An- Ali رضي الله عنه )

SUBHANALLAH.

RASOOLALLAH sallallaho alaihi va aala aalihi wasallam ne APNE RAB ke bataye hue ilm-e-gaib se raafzi giroh ki bhi khabar di aur unka naam bhi bata diya. Aur pehchaan bhi bata di. Aur un se door o nufoor rehne ka bhi hukm farma diya. Yeh ilm bhi uloom-e-khamsa mein daakhil hai.

Hadees 53:

HUZOOR MEHBOOB E RABBUL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Beshak ALLAH ta'ala ne MUJHE chuna aur MERE liye MERE as'haab aur khusraali rishtedaar pasand farmaye aur anqareeb ek jamaat aayegi jo un Sahaba-e-kiraam رضي الله عنهم ko bura kahegi aur unke uyoob dhoondegi to tum un ki majlison mein na jaana, unke saath paani na pina, khaana na khaana, unke saath shaadi biyaah rishta daari na karna.

Hadees 54:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam irshaad farmaate hain MERI ummat mein kuch toliyaan hongi, unke maulvi sakht dushwaar fitna angez masaail ka tadaawul karenge. Woh MERI ummat ke bad-tareen log hain.

Hadees 55:

HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Beshak koyi aadmi namaz padhta roza rakhta, haj o umrah aur jihaad karta hai haalaanke woh munaafiq hai. Arz ki gayi ya RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam nifaaq is mein kis darje se aaya. Irshaad farmaya is liye ke woh apne Imam par taan karta hai. Aur Imam iska woh hai Jis ki nisbat ALLAH ta'ala Qur'an azeem mein farmata hai ulema se poocho agar na jaante ho.
In donon Mubaarak hadeeson mein RASOOLALLAH sallalllahu alaihi va aala aalihi wasallam ne wahaabi gair muqallid najdi molviyon aur nechri wa khaaksaari o leagi wa aahraari leaderon ki khabar di hai jo ulema-e- ahle Sunnat wa hazraat-e-mujtehdeen e ummat رضي الله عنهم par taan o tashnee karte aur un se be-niyaaz hokar khud apni andhi aundhi looli langdi aqlon se Qur'an e paak ke mataalib o maani gadhte hain.

Hadees 56:

NABI E KAREEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain ALLAH ta'ala Na kisi bad-mazhab ki Namaz qabool kare Na Roza Na Zakaat Na Hajj Na Umra Na Nafl Na Farz.

Bad-mazhab Deen e Islam se nikal jaata hai jaise goondhe hue aate se baal nikal jaata hai.

( Rawah Ibne Majah wa Bahiqi)

Hadees 57:

HUZOOR NOOR E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Agar koyi bad-mazhab mas'ala-e- taqdeer ko jhutlaane waala hajr e aswad aur maqaam e Ibrahim ke darmiyaan mazloom qatl kiya jaaye aur apne is maare jaane par woh saabir o taalib sawaab e KHUDA rahe, jab bhi ALLAH azza wa jalla us ki kisi baat par nazr e karam na farmaye yahaan tak ke us ko jahannum mein daale.

( Akhrajah Ibne Al-Joozi)

Hadees 58:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain beshak ALLAH azza wa jalla ne MUJHE chun liya aur MERE liye as'haab chune aur un mein se MERE wazeer o madadgaar kiye aur yaqeenan anqareeb aakhir zamaane mein kuch log aayenge ke un sahaba e kiraam رضي الله عنهم ki shaan ghataayenge. Tum un ke saath khana na khana, paani na pina aur un ke saath na baitthna, un ke janaze ki namaz na padhna. Aur un ke saath namaz na padhna.

(Rawah Ibne Al-najaar An Anas رضي الله عنه )

MUSTAFA pyare sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ka ilme maa fil-gadd (kal ka ilm) yahaan bhi zaahir hai.

Hadees 59:

HUZOOR SARKAAR E DO AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Munaafiq ya bad-mazhab ko aye sardaar ! keh kar na pukaro ke agar woh tumhara sardaar ho to beshak tum ne apne RAB azza wa jalla ko naaraaz kiya.

( Rawah Abu Dawood )

Aur haakim ne Sahih Mustadrak mein ba-ifaada e taseeh aur Behqee ne Shoaibul Imaan mein in lafzon se riwaayat ki, RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya.

jo shakhs kisi munaafiq ko aye sardaar ! keh kar pukaare woh apne RAB ke gazab mein pade.

Wal ayaaz billaahi ta'ala.

Hadees 60:

HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Kya tum log faajir ke uyoob, us ki buraaiyaan us ki kharaabiyaan bayaan karne se rukte ho.

Log usko kyun kar pehchaanenge.
Faajir ki kharaabiyaan, uske uyoob, uski buraaiyaan bayaan karo taa ke log us se bache. Aur door rahe.

Faasiq o faajir ke uyoob ko zaahir karne ki taakeed farmayi ja rahi hai to murtaddon ke uyoob o kharaabiyaan bayaan karne ki kitni taakeed hogi.

Hadees 61:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Yun nahin KHUDA ki qasam zaroor zaroor tum amar bil maroof (acchhi baaton ka hukm karoge) aur nahi anil munkar (buri baaton se mana karoge) ya zaroor zaroor ALLAH ta'ala tumhare dil aapas mein ek doosre par maar dega. Phir tum sab par laanat utaarega jaise un bani israail par apni laanat utaari.

(Rawaah Abu Dawood An Abdulla bin Mas'ood رضي الله عنه)

Ulama aur Mashaaikh peeron ko khusoosan tambih farmayi jaa rahi hai. Kaash is daur ke tamaam muddaiyaan-e-sunniyat haq goyi ikhteyaar farmaye.
Aameen summa aameen.

Hadees 62:

NABI sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne mana farmaya mushrikon se musaafaha karne ko aur unhe kunniyat ke saath yaad karne ko aur aate waqt un se marhaba khush aamdeed kehne ko.

( Rawaah Abu Naeem )

Yeh hukm mushrikon ke saath bartaao ka hai, Phir murtaddeen jo mushrikon se bhi ba-darjaha bad-tareen hain un ke ahkaam to badahtan is se bhi sakht hona zaroori hain.

Hadees 63:

HUZOOR MEHBOOB E KHUDA HABEEB E KIBRIYA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jis musalmaan ne mushrik ke saath yaaraana, dostana, bhai-chaara gaantha us ke saath uthna baithna ikhteyaar kiya Aur mushrik ki sohbat mein rehna pasand kiya To yaqeenan woh musalmaan bhi usi tarah hai.

(Rawaah Abu Dawood An Samrah رضي الله عنه )

Gaandhiyon, congressiyon, ahraariyon, leagiyon, wagairhum ko is se sabaq haasil karna chaahiye.

Hadees 64:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam irshaad farmate hain.

Jis ne kisi bad-mazhab giroh ko apni shirkat se badhaaya, raunaq di to woh unhi mein se hai aur jis ne kisi musalmaan ko daraaya Baadshah e waqt ki khushnoodi ke liye to qayaamat ke din woh usi ke saath laaya jaayega.

( Rawaah Al-Khateeb fi-Al-Taareekh An-Anas رضي الله عنه)

Hadees 65:

HUZOOR SARKAAR E DO AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Achche aur bure hum nasheen ki kahaawat aisi hai jaise ek (attaar) ke paas mushk hai aur doosra (lohaar) dhoonkni phoonkta hai. Woh mushk waala tujhe muft dega ya tu us se khareedega aur kuch nahi to khushbu zaroor hi aayegi. Aur dhoonkni waala ya tere kapde jalaa dega ya tujhe us se badbu aayegi.

( Rawaahul Bukhaari wa Muslim )

Hadees 66:

HUZOOR REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bura hum-nasheen bad-mazhab o bad-deen dhoonkni dhoonkne waale ki maanind hai. Agar tujhe us ki siyaahi na bhi pahonche to dhuwaan to tujhe zaroor hi pahonchega.

(Rawaah Abu Dawood)


Hadees 67:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Masaahib ko masaahib par qayaas karo.
(Dost ko dost par qayaas karo yaani jo jiska dost hai woh usi ke jaisa hoga).

(Rawaah Ibne Adi An-Ibne Mas'ood رضي الله عنه )

Hadees 68:

HUZOOR MEHBOOB E KHUDA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bure hum-nasheen se door bhaag ke tu usi ke saath mash'hoor hoga.
(Rawaah Ibne Asaakir An-Anas رضي الله عنه)

Hadees 69:

HUZOOR RAUF O RAHEEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Aadmi ka hashr usi ke saath hoga jis se mohabbat rakhta hai.

In ahaadees e mubaaraka se musalmaanon ko sabaq haasil karna chaahiye aur bad-mazhabon, bad-deenon, murtaddon ke saath yaaraana gaanthne aur bhai-chaara rakhne se parhez karna chaahiye.

Hadees 70:

HUZOOR SAYYEDINA NE'MATULLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jo Imaan daar MERA ummati daulat e duniya na rakhta ho ke sadqa kare to us ko chaahiye ke ALLAH aur ALLAH ke RASOOL ke dushmanon yahood par laanat kiya kare.

( Rawaah Al-Dailmi fi Masnad Al-Firdaus)

Yaani nadaar musalmaan agar yahood o imsaalahum (aur uske misl) KHUDA aur RASOOL ke dushmanon par laanat karta rahe To us musalmaan ko sadqa ka sawaab milega.

SUBHANALLAH.

Hadees 71:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Jo kisi qaum ke saath mohabbat rakhega ALLAH ta'ala usey unhi logon ke giroh mein uthayega.

( Rawaahul Tibrani fi Al-Kabeer)

Hadees 72:

Hazrat Allama Ahmad bin Mohammad Makki Hanfi Mudarris madrasa Ahmadiya Makkah Moazzama ne apni tasdeeq fatawa Al-harmain Barjaf Nadwatul Main mein naql farmayi, woh Hadees yeh hai.
Beshak arsh ke gird ALLAH ta'ala ke liye 6 laakh jahaan farishton se aabaad hain, woh sab farishte Abubakr o Umar رضي الله عنهما ke dushmanon par laanat kiya karte hain.

Hadees 73:

HUZOOR REHMATULLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

MUJHE APNI ummat par dajjaal ke siwa aur logon ka zyada andesha hai, woh gumraah karne waale leader peshwa honge.

( Rawahul Imam Ahmed An Abi-Zarar رضي الله عنه)

Is hadees sharif mein RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne congresi, ahraari,' muslim leagi wa khaaksaari wagairhum leaderon ki khabar di hai. Musalmaanon ko in gumraah leaderon se door rehna chaahiye.

Hadees 74:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bohot aabid jaahil hote hain Aur bohot Aalim badkaar, To jaahil Aabidon aur badkaar Mulla'on se bacho.

( Rawaah Ibne Adi wa Al-dailmi)

Hadees 75:

HUZOOR SAYYED UL QAAHIREEN ALA A'DA E RABBUL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

MUJHE APNI ummat par sab se zyada andesha har us shakhs ka hai jo dil ka munaafiq aur zabaan ka maulvi leader reformar qaayed ho.

(Rawaahul Imam Ahmed)

Bad-mazhab maulvi leader lechturaar qaayed se bohot ziyada door rehna chaahiye aur musalmaanon ko un se door reh kar hi kamyaabi o falaah o behboodi haasil ho sakti hai.

Hadees 76:

Kitaab Mustataab "Tabyeenul Mahaarim" mein hain.

ALLAH ta'ala ne Wahi farmayi Yoshaa' bin Noon alaihissalaatu wassalaam ko ke MAIN Teri basti se chaalis hazaar achhe nek log aur sattar hazaar bure aadmi halaak karunga. Hazrat Yoshaa' alaihissalaam ne arz ki ILAAHI ! bure to bure hain Magar achhe kyun halaak kiye jaayenge. ALLAH ta'ala ne farmaya is liye ke jin par MERA gazab tha Un nekon ne un par apni naaraazi zaahir na ki balke un ke saath khaana peena rakha yaaraana gaantha.

( Rawaah Ibne Abi Al-duniya wa Abu Al-Shaikh An Ibraheem bin Umar رضي الله عنه)
Dekho bad-mazhabon ke saath nafrat o bezaari na rakhne aur un se yaaraana dostaana karne ka kya nateeja hua aur suleh kulliyat o policy baazi kaisi bad-balaa hai.

Hadees 77:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne irshad farmaya.

Ek basti par azaab utra us basti mein atthaara hazaar log the jin ke amal Ambiya alaihimus salaatu wassalaam ke se amal the.

Sahaba e kiraam رضي الله عنهم ne arz ki ya RASOOLALLAH! un atthaara hazaar nekon par kyun azaab hua? Irshaad farmaya is liye ke woh log ALLAH ke liye bad-mazhabon par gazab aur naaraazi na karte the. Aur na acchhi baat ka hukm karte the na buri baat se rokte the.

( Tabyeenul Mahaarim )

Aziz musalmaanon! Dekho bad-mazhabon ke saath mel-jol rakhne aur haq baat na bataane aur suleh kulliyat baratne par ALLAH ta'ala kitna gazab farmata hai.

Hadees 78:

HUZOOR E AKRAM sallallahU alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jo koyi tum mein se kisi munkar (bure kaam) ko dekhe to un ko haath se mitaaye agar haath se mitaane ki quwwat rakhta ho aur agar haath se mitaane ki qudrat nahi hai to zabaan se manaa kare aur agar is ki taaqat nahi hain To dil mein zaroor us ko bura jaane aur yeh Imaan ka sab se zyada kamzor darja hai.

( Rawaah Muslim )

Tagyeer ( tabdeeli ) o inkaar e qalbi mein wahaan se chala jaana zaroori hai agar wahaan se chale aane ki isteta'at rakhte hue bhi wahin baitha rahega to gunahgaar hoga. Aur Imaan ke sab se zyada kamzor darje se bhi bahukm e hadees mehroom rahega.

Mudkhal Ibne Alhaaj, jild awwal me hain:
Agar siwa dil ke haath aur zabaan se tagaiyyur par qaadir na ho to khada ho jaaye aur wahaan se chala jaaye aur agar baitha rahega to inkaar e qalbi karne waala bhi nahin hoga aur gunahgaar hoga. Hadees e paak aur is sharah se Ulema o Mashaikh ko pukhtagi wa tasallub wa haq goyi o haq pasandi ka sabaq haasil karna chaahiye.

Hadees 79:

Sawayeq e moharriqa mein IMAM Ibn e Hajar Haitmi ne ek hadees naql farmaayi ke AAQA E NAAMDAAR MEHBOOB E PARWARDIGAAR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ila yaumil qaraar farmaate hain.

Jab fitne zaahir hon ya bad-mazhabiya phailein aur MERE Sahaba ko bura kaha jaaye to Aalim ko zaroori hai ke apne ilm ko zaahir kare yaani bad-mazhabon ka hasb e isteta'at khullam khulla radd kare aur jo aisa na karega to us par ALLAH ta'ala aur sab Farishton aur tamaam aadmiyon ki sab ki laanat hai. ALLAH ta'ala us ka farz qabool kare Na nafil.

(Akhrajah Al-Khateeb Al-Bagdaadi fi Al-Jama'e wagairah)

Hadees 80:

HUZOOR PURNOOR SULTAAN BAGHDAAD SAYYEDINA GAUS E AAZAM PEERAAN E PEER DASTAGEER رضي الله عنه "Guniyatut taalibeen" sharif mein Hadees naql farmate hain ke HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jis ne kisi bad-mazhab ko ALLAH ke liye nafrat se dekha, ALLAH ta'ala uske dil ko Amn aur Imaan se bhar dega. Aur jis ne bad-mazhab ko ALLAH ke liye bezaari se jhidak diya, ALLAH ta'ala usey Amn ataa farmayega aur jisne bad-mazhab ko zaleel samjha, ALLAH ta'ala Jannat mein uske sau (100) darje buland karega. Aur jo bad-mazhab se khushi o musarrat se mile to yaqeenan us ne halka jaana us ko jo ALLAH ta'ala ne naazil farmayi HUZOOR MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam par.

Hadees 81:

Ek shakhs do kapde surkh rang ke odhe hue haazir hua aur salaam arz kiya to RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne uske salaam ka jawaab na diya.

( Rawaah Al-Tirmizi )

Jab surkh rang ke range hue kapde pehenne waale musalmaan ke salaam ka jawaab HUZOOR REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne nahi diya to bad-mazhab ke salaam ka kaisa shadeed hukm hoga. Phir bad-mazhab o murtad se yaaraana karne ka kaisa ashad hukm hoga.

Hadees 82:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ek qaum mein jalwa farma huwe. Un logon mein ek shakhs zaafraan mili hui khushbu lagaata tha. To HUZOOR ne un logon ki taraf nazr e karam farmayi aur salaam farmaya. Aur us khushbu lagaane waale se ru gardaani farmaayi. Us ne arz ki SARKAAR ne mujh se ae'raaz farmaya. To HUZOOR ne usey jhidka Aur farmaya ke us ki donon aankhon ke darmiyaan chingaari hai.

( Rawaahul Bukhaari )

Hadees 84:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hai.
KHUDA ki qasam zaroor kuch log MERI ummat ke apni qabron se bandaron aur suwwaron ki soorat mein niklenge, gunaahon mein policy baazi karne, madaahnat baratne aur nahi anil ma'aasi se chup rehne ke sabab baawajood yeh ke woh haq baat kehne aur buri baat se mana karne ki taaqat rakhte the.
(Muntakhib Kanzul Amaal, jild awwal, safha 149, an ibn e Umar رضي الله عنه )
Ulema aur Mashaaikh, Peeron aur Murshidon ko khaas taur par tambeeh farmaayi ja rahi hai ke bani israail ke Ulema o Mashaaikh to baawajood yeh ke khud shari'at ki na-farmani nahi karte the balke shari'at ki na-farmaani karne waalon ke saath mukhaalitat ( ghul-mil jaana ) wa majaalisat ( uthna baithna ) wa mawaakilat (khana peena) wa mushaarabat (peena ) hi karne ke sabab Bandar aur suwwar bana diye gaye. Is ummat ko sabz gumbad ke makeen arsh e aazam ke masnad nasheen sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke tufail duniya mein maskh (bigdi) soorat ke azaab-e-aam se mehfooz rakha gaya hai. Lekin is ummat ke Peer o Murshid aur Aalim o Molvi kehlaane waale agar ALLAH o RASOOL jalla jalaaluhu o sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke mukhaalifon par shar'ee radd o tard se khaamoshi bartenge to qayamat ke din apni apni qabron se Bandar aur suwwar bana kar uthaye jaayenge. Isi mazmoon ko Hazrat Maulana Jalaalul millat waddeen Roomi رحمت لله عليه Masnawi sharif mein yun bayaan farmate hain.
"Andareen ummat nashad maskh e badan,

laik maskh e dil buwad aye bulfitan."
Yaani is ummat mein jismon ka maskh to HUZOOR E AKRAM REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke tufail aam taur par na hoga. Lekin ahqaaq e haq wa abtaal e baatil se khaamosh rehne waalon ke dilon ko bandaron aur suwwaron ke quloob ke misl bana diya jaayega.

Hadees 85:

HUZOOR E AKRAM MEHBOOB E MOHTARAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Beshak awwal bani israail mein jo kharaabi aayi woh aise aayi ke aalim doosre shakhs se milta to kehta ke aye shakhs ALLAH ta'ala se darr aur jo buri baatein tu kar raha hai un ko chhod de. Yeh tere liye jaayez nahin hai. Phir doosre roz us se mila to us badkaar ko manaa na kiya, us ke saath khaana, peena, baithna, uthna ikhteyaar kiya aur ahqaaq e haq o abtaal e baatil ko chhod diya. Phir jab unhone yeh tareeqa ikhteyaar kiya to ALLAH ta'ala ne un ke quloob ko ek doosre par maar diye.

( Muntakhab Kanzul Amaal, jild awwal, safha 146, An Ummul Momineen Umme Salma رضي الله عنها )

Yahaan bhi ulema o mashaaikh aur molviyon peeron ko taaleem o tambeeh farmaayi jaa rahi hai ke agar fisq o bad-mazhabi o kufr o irtedaad par ba-wajood isteta'at radd karna chhod doge to tum bhi unhi jaise ho jaaoge.

Hadees 86:

HUZOOR E SARWAR E AMBIYA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

ALLAH ta'ala farmata hai MERI mohabbat waajib hai un logon ke liye jo MERE liye mohabbat karte hain, Aur MERE liye ALLAHWAALON ke paas baithte hain aur MERE liye mulaaqaat karte hain. Aur MERE liye maal kharch karte hain.

Yaani ALLAH ta'ala farmaata hai jo MERE liye mohabbat karte hain qayamat ke din un ke liye noor ke mimbar honge ke un par Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam aur shohda gibta (rashk) farmayenge.

Yaani agarche unse shohda e kiraam fazal e kulli mein badhe huwe honge aur Hazraat e Ambiya e uzzaam alaihimussalaat o salaam to har ek gair NABI par fazal e kulli mein beshumaar darje bartar o baala hain lekin baroz e qayaamat shohda wa Ambiya alaihimussalaat o salaam bhi apne dilon mein tamanna farmayenge ke kaash in mut'haabeen fillaah ki yeh juzee fazilat bhi hamein ataa hoti.

( Rawaah Maalik an Ma'az bin jabal رضي الله عنه )

Yeh inaamaat hubbu fillaah aur bugzu fillaah ki jazaa mein hain.

Hadees 87:

HUZOOR SAYYEDUL MURSALEEN sallallahu alihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Ek musalmaan apne bhai se milne gaya jo ke doosre gaon mein rehta tha to ALLAH TA'ALA ne ek farishta us ke raaste par muqarrar farmaya. Us farishte ne us se kaha ke kahaan ka iraada hai? Us ne kaha mera bhai is aabaadi mein rehta hain us se milne aaya hoon. Us farishte ne kaha kya tera us par koyi ehsaan hai jis ko tu zaayed karna chaahta hai? Us ne kaha nahi magar yeh ke beshak us ko dost rakhta hoon ALLAH ke liye. Farishte ne kaha main ALLAH ka bheja huwa hoon, teri taraf yeh bashaarat laaya hoon ke beshak ALLAH tujhko dost rakhta hai. Jaise tu apne bhai ko ALLAH ke liye dost rakhta hai.

( Rawaah Muslim an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 88:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Beshak ALLAH ta'ala qayaamat ke din farmayega Ke kahaan hain MERI wajah se mohabbat o dosti rakhne waale aaj ke din MAIN un ko saaya e rehmat mein jagaah dunga. Jis din MERE saaya e rehmat ke siwa koyi saaya nahin hai.

( Rawaah Muslim an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 89:

HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
jis bande ne kisi bande se ALLAH ke liye mohabbat o dosti ki, to dar- haqeeqat ALLAH ta'ala ki taazeem o takreem ki.

( Rawaah Al Imam an Abi Amamah رضي الله عنه )

Dekho hubbu fillaah wa bugzu fillaah ke sile mein ALLAH ta'ala kya kya inaam farmata hai.

Hadees 90:

Hazrat e Abu hurairah رضي الله عنه farmate hain.
Main HUZOOR e AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ki hum-rakaabi mein tha to HUZOOR ne irshaad farmaya.
Beshak jannat mein chand sutoon hain yaqoot ke un par zabarjad ke baala khaane bane huwe hain. Un mein darwaaze hain khule huwe aur roshan hain. Jaise roshan sitaare to Sahaba e kiraam رضي الله عنهم ne arz ki YAA RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam un baala khaanon mein kaun rahenge. HUZOOR ne irshaad farmaya jo log ALLAH ke liye mohabbat rakhte hain aur ALLAH ke liye logon ke paas baithte uthte hain aur ALLAH ke liye mel-jol mulaaqaat karte hain.

(Rawaah al Bahiqui fi sha'bul Imaan an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 91:

HUZOOR SAYYEDNA RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Bad-mazhabi waale jahannamiyon ke kutte hain.
( Rawaahul Imaam Abu Haatim Al-Khazaa'i رضي الله عنه )

Hadees 92:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya bad-mazhab log dozakhiyon ke kutte hain.( Rawaah al Imam Daarqutni )

Hadees 93:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bad-mazhab log sab aadmiyon se bad-tar sab jaanwaron se bad-tar hain.
( Rawaahul Imam Abu Naeem fil-Hilyaah an Anas bin Maalik رضي الله عنه )

Hadees 94:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Beshak ALLAH ta'ala ke bandon mein se zaroor kuch aise log hain jo na to Ambiya hain na Shohda lekin qayaamat ke din ALLAH ki taraf se jo martabat o manzilat unko milegi us ke sabab Hazraat e Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam aur Shohda e izzaam رضي الله عنهم (jo un logon par fazl-e-kulli mein ba-darjaha buland o baala hain woh) bhi unke is fazl-e-juzee par gibta ( rashk ) farmayenge ke kaash yeh fazl-e-juzee hum ko bhi milta.

Sahaba-e-kiraam رضي الله عنهم ne arz ki YAA RASOOLALLAH ! Huzoor hum ko khabar dein ke woh kaun log hain.
Huzoor RASOOL E AAZAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya woh aise log hain jinhon ne na apne aapas ke rishton ki bina par, na un baaton ke sabab se jin ka aapas mein lain-dain karte ho balke sirf Kitabullah aur mohabbat e Ilaahi ki bina par aapas mein ek doosre se dosti wa mohabbat rakhi to KHUDA ki qasam beshak zaroor unke chehre noor honge.

Aur beshak zaroor woh log noor par honge, woh log na darenge jab log darte honge aur na unko kuch ranj-o-gam hoga, Jab log ranj-o-gam mein mubtala honge aur HUZOOR E AAZAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne yeh aayat e kareema tilaawat farmayi.

Yaani "sun lo beshak ALLAH ke waliyon par na kuch khauf hai na woh gamgeen honge."

(Rawaah Abu Dawood an Umer e Farooque رضي الله عنه )

Hadees 94

mein HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne hubbu fillaah ke muta'aliq irshaad farmaya ke ALLAH TA'ALA hi ke liye jo shakhs ALLAH wa RASOOL jallajalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam par imaan rakhne waalon ke saath mohabbat rakhega woh qayamat ke din Auliya Allah mein shumaar hoga. Us badi ghabraahat waale roz usko na kuch dar hoga na kisi qism ka ranj hoga. Us ko ALLAH TA'ALA aisi jaaye aasaaish par mutamakkin farmayega (thehraayega) Ke Hazraat e Shohda رضي الله عنهم balke Hazraat e Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam jo un se balke ALLAH azza wa jalla ki saari makhluqaat mein sab se afzal o aala hain woh bhi unki is raahat o aasaaish par gibta (rashk) farmayenge.

(agarche Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam ka mushahida e jalaal e Ilaahi ke sabab us roz nafsi nafsi farmana Hazraat e Auliya e kiraam رضي الله عنهم ki is raahat o aasaaish se badarjaha afzal o aala hoga).

Hadees 95:

HUZOOR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Musalmaan hi ke liye musalmaan hi par chhe (6) haq hain maaroof ke saath (yaani unko shariyat e mutaahra ki pahonchaayi huwi hadon ke andar rehte huwe adaa kiya jaaye) isko salaam kare jab us se mile aur usko jawaab de (yaani uske bulaawe ko qabool kare) jab woh isko bulaaye,
aur usko yarhamukallah kahe jab woh chheenke,
aur uski ayaadat kare Jab woh bimaar ho,
aur uske janaaze ke saath jaaye Jab woh mar jaaye,

aur uske liye woh baat pasand kare jo khud apni zaat ke liye pasand karta hai.

(Rawaahul Daarmi an Ali رضي الله عنه )

Hadees 95

mein saaf irshaad farma diya gaya ke mulaaqaat par salaam karna, bulaane par bulaawe ko qabool karna, cheenkne par yarhamukallah kehna, bimaar hone par ayaadat karna, mar jaaye to janaaze ke saath jaana aur uske liye wohi pasand karna jo khud apni zaat ke liye pasand karta hai. Yeh huqooq ek musalmaan ke doosre musalmaan par hain. Kisi musalmaan par kisi bad-mazhab, bad-deen, la-mazhab, be-deen ke yeh huqooq hargiz nahin. Is hisr par sila-e-lilmuslim ki taqdeem daleel-e-waazah hai. Wallaahulhamd phir bilmaaroof ki qaid ne aur roshan farma diya ke musalmaanon ke bhi yeh huqooq jo doosra musalmaan adaa kare to woh bhi shariyat e mutaahra ki pehchaani huwi hadon se tajaawuz na kare, woh muslim ki haq guzaari na hogi balke shariyat e Muhammadiya alaa sahibuha wa aalihissalaat wattahiyaat ki haq talfi hogi.

Hadees 96:

HUZOOR REHMATULLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne Apne RAB e KAREEM azza wa jalla ki baargaah mein dua arz ki.
Aye ALLAH hamaare shaam mein barkat de. Aye ALLAH hamaare liye yaman mein barkat farma.

najd waalon ne arz ki aur hamaare liye najd mein barkat ki dua bhi farmayein.
HUZOOR E ANWAR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne dua ki Aye ALLAH hamaare shaam mein barkat farma. Aye ALLAH hamaare liye hamaare yaman mein barkat de.

najd ke logon ne arz ki Yaa RASOOLALLAH ! aur hamaare najd mein barkat hone ki dua farmayein to main gumaan karta hoon ke HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne teesri baar mein farmaya wahaan zalzale aur fitne hain aur wahaan se shaitaan ka seeng niklega.

( Rawaahul Bukhaari wa Muslim an ibne Umer رضي الله عنهما )

Hadees 96

Ne roshan farma diya ke HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam jo khule huwe kuffaar o mushrikeen ke liye bhi jin ki qismat mein Imaan ka muqaddar hona mulaahiza farma rahe the dua e hidaayat o barkat o rehmat farmate hain. Lekin najdiyon ke haq mein na to dua e barkat farmate hain na dua e hidaayat farmate hain. Balke Apne RAB azza wa jalla ke ataa farmaye huwe ilm e muheet maa kaana wamaa yakoon se yeh gaibi khabar sunaate hain ke najd se fitne utthenge, najd mein zalzale aayenge, wahaan se shaitaan ka seeng niklenga. Is Hadees shareef mein Saahibul khulqil Azeem alaihi va aala aalihissalaat o tasleem ne muhammad bin abdul wahaab najdi aur uske saathi ko qarnush shaitaan ka laqab diya.
walillaahil hujjatul baaliga.

Hadees 97:

Ek shakhs khidmat e Aqdas HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam mein haazir huwe. Sone ki angoothi pehne the.

SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne unki taraf se munh pher liya. Jab unhone dekha ke HUZOOR alaihi va aala aalihissalaat o salaam ko naagawaar hua, chale gaye aur woh angoothi utaar kar lohe ki banwaayi, usey pehan kar khidmat e Aqdas mein haazir huwe. SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya yeh us se bhi badtar hai. Yeh dozakhiyon ka zewar hai. Woh waapas chale gaye usey phenka aur chaandi ki angushtari pehni is par NABI e KAREEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne sukoot farmaya.

(Rawaahul Bukhaari )

Sab jaanwaron mein kutte aur suwwar bhi hain.

Hadees shareef mein bad-mazhabon, gumraahon ko jahannamiyon ke kutte aur sab jaanwaron se bhi badtar farmaya. Yaani jab kutte, suwwar ke saath uthna baithna, khana pina kisi musalmaan ko gawaara nahin ho sakta to bad-mazhabon, bad-deenon ke saath uthna baithna, khana pina usey kyun kar pasand ho sakta hai. Woh to kutton, suwwaron se bhi badtar hain.

Hadees 97

Ne gulaamaan e SARKAAR E RISAALAT ala saahibiha wa aalihissalaatu wattahiyaah ko taaleem di ke jo shakhs sone ki angoothi hi pehne yaani agarche musalmaan saahib e Imaan hi ho lekin kisi haraam ya makru e tehreemi hi ka elaaniya murtakib ho to zajran o taubikhan
( daant peet aur laanat o malaamat ) uski hidaayat o nasihat ke liye us se bhi munh pher lena saahibul khulqil Azeem MUSTAFA pyare sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ki sunnat e sunniya hai, phir woh musalmaan kehlaane waale jo bad-mazhabi o be-deeni mein mubtela aur KHUDA wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu ta'ala alaihi va aala aalihi wasallam ki takzeeb o tanqees ke murtakib ho, un se aeraaz karna, unki taraf se munh pher lena, un par radd o tard karna, kaisa zabardast mokid hukm e sharee' hoga.
walillahil hujjatus saamiyah.

Hadees 98:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam qasam kha kar farmate hain.
Jo shakhs kisi qaum se mohabbat rakhega, ALLAH ta'ala usey unke saath kardega.

Is Mubarak hadees aur hadees 71 wa hadees 87 mein jis tarah bashaarat hai ke jo musalmaan ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke mehboobeen e izaam o muhabbeen e kiraam ke saath sachchi mohabbat rakhega woh khud bhi ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ka muhib o mehboob ho jaayega. Isi tarah in hadeeson mein tehzeer (aagaah karna) bhi hai, Ke jo shakhs ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke dushmanon, mukhaalifon ke saath qalbi mohabbat rakhega Woh khud bhi ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke dushmanon mukhaalifon mein shumaar kiya jaayega.

(Wallahul hujjatul qaahirah.)

Aur yahi mazmoon in teen lafzon waali mukhtasar si hadees e mutawaatir mein HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya ke Aadmi jis se mohabbat rakhega usi ke saath hoga.

Hadees 99:

HUZOOR SAYYEDUNA O MAALIKINA O MALIKAANA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Kadari ( taqdeer ke inkaari ) log is ummat e marhooma ke majoosi hain agar woh bimaar padein to ayaadat na karo aur mar jaayein to janaaze par na jaao.
(Rawaah Abu Dawood An Ibne Umer رضي الله عنه )

Dekhiye bad-mazhabon, bad-deenon se milne-julne ki kitni shadeed mumaaniyat farmayi, ke marz aur maut ki haalat mein bhi unke saath shaamil na hona chaahiye.
Wallahul hujjatul baaligah.

to be contd.....

EID-UL-ADHA AUR KURBANI KA BAYAN

*सुन्नियत का काम करेंगे!*📚 *मसलक ए आला हजरत को आम करेंगे!


🏟EID-UL-ADHA KA BAYAN....🏟

🔄PART NO:- 01.

Allah Rabbul izzat irshad Farmata Hai..

QURAAN-

🌠Tum Apne Rab Ke Liye Namaz Padho Aur Qurbani Karo....

📓{Para-30, Sure Kausar Ayat No-2}

🌠Qurabni Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Hai Jo is ummat Ke Liye BAKI Rakhi Gai Aur Huzoor ﷺ Ko Iska Hukm Farmaya Gaya..........

Huzoor Sarware Kainaat ﷺ Ke Muqaddas Irshadaat...

HADEES:

🌠Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi.....

📚{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}

HADEES:

🌠Hazrat Umme Salma رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne ZIL HIJJAH Ka Chand Dekha Aur iradah Qurbani Ka Ho To Jab Tak Qurbani Na Kar Le Baal Nakhun Na Kate....

📚{جامع الترمذي، كتاب الضحايا، باب ما جاء في إيجاب الأضاحي، جلد-3، صفحہ-123، الحديث-1500}

HADEES:

🌠Hazrat imame Hasan Bin Ali رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jisne Khush Dili Se Sawab Ki Talab Me Qurbani Ki Wo uske Liye Jahannam Se Rok (Pardah) Ho Jayegi....

📚{المعجم الكبير، جلد-3، صفحہ نمبر-84، الحديث-2736}

🔄PART NO:- 02.

Hadees:

🌠Ummul Momineen Sayyedah Aishah Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne...

🌠Yaumun Nahar (10-wi Zilhijjah) Ko ibne Adam Ka Koi Amal Allah Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Ziyadah Pyara Nahi...

🌠Aur Wo Janwar Qayamat Ke Din Apne Seeng Aur Baal Aur Khuron Ke Sath Ayega aur Qurbani Ka Khoon Zameen Par Girne Se Qabl Allah Ke Nazdeek MAQAME Qubool Me Pahoch Jata Hai Lihaza Use Khush Dili Se Karo....

📚{جامع الترمذي، كتاب الأضاحي، باب ماجاء في فضل الأضحية، جلد-3، صفحہ نمبر-163، الحديث-1498}

🌠Hazrat ibraheem عليه السلام Ki Sunnat Ke Ahya (zindah rakhne) Me Jo Qurbani Wajib Hai wo Sirf Gani (maldar) Par Hai Aur uske WAJIB Hone Ki Kuch Shara'it Hain Jo Ye Hain.......

Musalman Hona Gair Muslim Par Wajib Nahi....

Muqaeem Hona Musafir Par Wajib Nahi....

MALIKE NISAB Hona Aur Nisab Wo Jisse Sadqae Fitr Wajib Hota Hai Na Ki Zakat Wala Nisab....

Hurriyat Yani Aazad Hona Gulam Par Qurbani Wajib Nahi.......

Musalman Maldar Muqeem Aazad Mard Ya Aurat Ho Un Par Wajib Hai..........

Mas'ala:

🌠Shara'it Jo Upar Bayan Hui Unka Pure WAQT Me Paya Jana Zaroori Nahi Balki Qurbani Ke Liye Jo WAQT MUQARRAR Hai (10wi Zilhijja Se 12wi Ke Suraj Dobne Tak) Usme Se Kisi Hisse Me Shara'it Paai Gai To Qurbani Wajib Hai, Masalan Eik Shakhs Shuru Waqt Me Kafir Tha Phir Musalman Hua Aur Abhi Qurbani Ka WAQT hai To Uspe Qurbani Wajib Hai Eik Shakhs Gulam Tha Ab Azad Hua Uspe Wajib Hai, Eik Shakhs FAQEER Tha Ab Gani Hua Uspe Wajib Hai.....

📚{الفتاوى الهندية، كتاب الأضحية، الباب الأول في تفسيرها.......إلخ جلد-5، صفحہ-293}

Mas'ala:

🌠Musafir Par Agarche Wajib Nahi Magar NAFL Ke Taur Par Kar Sakta Hai, Sawab Payega, Hujjaaj (Haj Karne Wale) Jo Musafir Hain Un Par Qurabni Wajib Nahi, Haan Jo Wahan Ke Sukkan (Rehne wale) Hain Un par WAJIB Hai Wo Log Musafir Nahi Hain...

📚{الدرالمختار"و"ردالمحتار، كتاب الأضحية، جلد-9، صفحہ 524}

Zil-hajj ka Mahine Mubarak ho....

🌠Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,
Mehboob-e-Rehman عزوجل ,
Mere Aaqa E Do Jaha Muhammad Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم
ne farmaya,

🌠"Allah عزوجل ko Ashra-e-Zul Hijja se zyada kisi din me Apni ibadat kiya Jana pasandidi nahi iske har din ka Roza "Ek saal Ke Rozon" aur har shab ka qayam "Shab-e-Qadr" Ke barabar hai."

📗(Jamai Tirmizi, Jild-2, Safah-192, Hadees-758)

🔄PART NO:- 03.

Hadees:
V
🌠Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne........

🌠Jisme Us'at Ho Aur Qurbani Na Kare Wo Hamari Eid Gaah Ke Qareeb Na Aaye....

📚{سنن ابن ماجہ، كتاب الأضاحي، باب الأضاحي واجبةهى أم لا، جلد-3، صفحہ-539، الحديث-3123}

Mas'ala:

🌠Jo Shakhs 200 Darham Ya 20 Dinaar Ka Malik Ho Ya Hajat Ke Siwa kisi Aisi Chiz ka Malik Ho Jiski Qimat 200 Darham Ho Wo Gani Hai Aur uspe Qurbani Wajib Hai.....

📚{الفتاوى الهندية، جلد-5، صفحہ-292}

Mas'ala:

🌠Jis Shakhs Par Qarz Ho Aur Qarz Ki Raqam Nikal Lee Jaye To Phir Qurbani Ka Nisab Baqi Nahi Rehta Uspe Qurabni Wajib Nahi.....

🌠Agar Maal Hai Magar Maujood Nahi Qurbani Ke Bad Milega To Bad Me Uspe Wajib Nahi...

📚{Bahar-E-Shari'at, Hissa-15, Page-333}

Mas'ala:

🌠Ek Shakhs Ne Qurbani Ke Liye Bakri Kharidi Thi Wo Gum Ho Gai Aur uska Maal Nisab Se Kam Hua To uspe Dusra Janwar Kharid Kar Qurbani Karna Wajib Nahi, Agar Wo Qurbani Ke Ayyam Me Hi Mil Gai Lekin Ab Ye Shakhs Gani (Malike nisab) Nahi Raha To Ispe Bhi Qurbani Wajib Nahi....

📚{Alamgiri, Volume-5, Page-292}


🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹



QURBAANI KE FAZAIL & MASAIL
⚀QURBAANI KE FAZAIL & MASAIL⚀

POST NO - 1:

QURAN:
PARA NO-30, SURAH-KAUSAR, AAYAT NO-1, 2.

TARJUMA:
Aye Mehboob! Beshak Hamne Tumhe Be Shumaar Khoobiyaan Ata Farmayi. Toh Tum Apne Rab Ke Liye Namaaz Padho Aur Qurbaani Karo.

POST NO - 2:

MAQSADE QURBAANI:
Qurbaani, Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Sunnat Hai. Qurbaani Sirf Isliye Nahi Hai Ke Jaanwar Ko Zabah Kardiya, Gosh Banaya Aur Kha Liya. Dar Haqiqat Qurbaani Ka Asal Maqsad Raza-e-Ilaahi Ko Haasil Karna Hai.

Insaan Jab Qurbaani Karta Hai Toh Yeh Baat Uske Zehen Aur Tasavvuraat Me Hoti Hai Ke Kis Tarah Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Allah ﷻ Ke Hukm Par Amal Karke Dikhaya Aur Apne Bete Ismail Ko Zabah Karne Ka Na Sirf Iraada Farmaya, Balke Usko Takmeel Tak Pohonchane Ki Poori Koshish Bhi Ki Thi.

Goya Ham Is Waaqye Ko Yaad Karke Apne Andar Yeh Jazba Paida Karte Hai Ke Jis Tarah Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Apne Bete Ko Qurbaan Karne Ka Iraada Kiya, Isi Tarah Agar Waqt Aaye Toh Islaam Ki Khaatir Apni Jaan Aur Maal Ki Qurbaani Dene Se Bhi Insaan Piche Na Hate.

POST NO - 3:

QURAN:
PARA NO-23, SURAH-SAFFAAT, AAYAT NO-99-102.

TARJUMA:
Ilaahi Mujhe Layak Aulaad De. Toh Hamne Use Khush Khabri Sunayi Ek Aqalmand Ladke Ki. Fir Jab Woh Uske Saath Kaam Ke Kaabil Ho Gaya. Kaha Aye Mere Bete Maine Khwaab Dekha, Mai Tujhe Zabah Karta Hu. Ab Tu Dekh Teri Kya Rai Hai. Kaha Aye Mere Baap, Kijiye Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai. Khuda ﷻ Ne Chaha Toh Kareeb Hai Ke Aap Mujhe Saabir Payenge.

POST NO - 4:

TAFSEER:
TAFSEERE MADARIK/NASAFI.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ki Raza Mandi Ke Baad Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Fir Hazrat Haajra Radiallahu Taala Anha Ke Paas Gaye Aur Hazrat Haajra Ne Ismail Ko Tayyar Kiya Aur Fir Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Lekar Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Zabah Karne Nikle.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Shaitaan Pehle Hazrat Haajra Ko Bhadkaane Laga, Fir Hazrat Ismail Ko Aur Fir Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ke Beech Me Aagaya, Toh Aapne Teen Martaba Shaitaan Ko Kankari Se Maara.

Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Yeh Ada Allah ﷻ Ko Itni Pasand Aayi Ke Allah ﷻ Ne Isko Haj Ke Arkaan Me Shaamil Farma Diya.

POST NO - 5:

TAFSEER:
TAFSEERE MADARIK, VOL-3,
PG NO-25.

Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Zabah Karne Ke Liye Patthar Par Litaya, Toh Hazrate Ismail Ne Apne Waalid Se Chand Guzarishaat Ki:

▪ Aap Churi Ko Tez Kar Lijiye, Taake Aapko Zyada Zehmat Na Uthaani Padhe.

▪ Aap Apni Aankhon Par Patti Baandh Lijiye, Kahi Aisa Na Ho Ke Churi Chalaate Waqt Mohabbat Gaalib Aa Jaaye.

▪ Aap Apne Aapko Mujhse Thoda Dur Rakhe, Taake Mere Khoon Se Aapke Kapde Khoon Aalood Na Ho Jaaye.

▪ Aap Jab Mujhe Zabah Karle Toh Mere Kapde Meri Waalida Ko Dedena, Taake Woh Is Nishaani Se Mujhe Yaad Rakhe.

TAFSEERE DURRE MANSOOR, VOL-5, PG NO-792.

POST NO - 6:

QURAN:
PARA NO-23, SURAH-SAFFAAT, AAYAT NO-103-107.

TARJUMA:
Toh Jab Un Dono Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Mathe Ke Bal Litaya. Aur Hamne Use Nida Farmayi Ke Aye Ibrahim, Beshak Tune Khwaab Sach Kar Dikhaya. Ham Aisa Hi Silaah Dete Hai Neko Ko. Beshak Yeh Roshan Jaanch Thi. Aur Hamne Ek Bada Zabiha Uske Fidye Me Dekar Use Bacha Liya.

POST NO - 7:

TAFSEER:
TAFSEERE NASAFI, VOL-3,
PG NO-26.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Allah ﷻ Ne Jibreel Alaihis Salaam Ko Hukm Diya Ke Fauran Jao Aur Jannat Me Ek Dumba Tehel Raha Hai, Us Dumbe Ko Le Jao Aur Ismail Ko Hata Kar Dumbe Ko Waha Rakhdo.

NOTE:
Jannat Se Jo Dumba Bheja Gaya Woh Hazrat Aadam Alaihis Salaam Ke Bete Hazrat Haabil Ka Dumba Tha, Jo Aklima Se Nikaah Karne Ke Liye Allah ﷻ Ki Baargaah Me Qurbaan Kiya Gaya Tha.

POST NO - 8:

TAFSEER:
TAFSEERE NASAFI, VOL-3,
PG NO-26.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Jab Hazrat Jibreel Ameen Dumbe Ko Lekar Aane Lage Toh Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Aahat Mehsus Ki. Chunanche Aapne Aankhon Se Fauran Patti Hatayi, Toh Dekha Ke Jibreel Ameen Aasmaan Se Dumba Lekar Aa Rahe Hai.

Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ko Yeh Gumaan Hua Ke Shayad Allah ﷻ Ne Meri Qurbaani Ko Qubool Nahi Farmaya. Aur Allah ﷻ Ne Jibreel Ko Bheja Hai Taake Ismail Ko Zabah Na Karu Aur Iske Badle Dumbe Ko Zabah Karu.

Yeh Sochkar Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Afsos Ke Aalam Me Yeh Kalma Kaha "Allahu Akbar, Allahu Akbar" Jab Jibreel Ne Yeh Dekha Ke Ibrahim Afsos Ke Saath Yeh Kalmaat Keh Rahe Hai, Toh Jibreel Ne Kaha *"Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar"* Fir Jab Ismail Ne Dekha Ke Mere Waalid Aur Jibreel Ne Yeh Kalmaat Kahe Toh Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ne Bhi Kaha "Allahu Akbar Wa Lillahil Hamd"

Allah ﷻ Ko Yeh Teen Kalmaat Itne Pasand Aaye Ke Qurbaani Ke Teeno Din Ke Ayaam Me Yeh Kalmaat Padhne Ka Hukm De Diya. Taake Hamlog Yeh Kalmaat Padhte Rahe Aur In Jumlo Ki Yaad Taaza Karte Rahe.

POST NO - 9:

HADEES:
IMAM HAAKIM NE
AL-MUSTADRAK, VOL-2,
HADEES NO-4,048, PG NO-209.

Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه Farmate Hai Ke Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ki Jagah Jo Dumba Zabah Hua, Woh Jannat Se Bheja Gaya Tha Aur Woh Hazrat Haabil Ki Qurbaani Ka Dumba Tha.

IMAM TIBRI NE TAFSEERE TIBRI, VOL-23, PG NO-87.

IMAM NASAFI NE TAFSEERE NASAFI, VOL-3, PG NO-26.

IMAM JALAALUDDIN SUYUTI NE TAFSEERE DURRE MANSOOR, VOL-5.

IBNE KASEER NE TAFSEER IBNE KASEER, VOL-4, PG NO-39.

POST NO - 10:

HADEES: NO REFERENCE

Allah Ke Nabi ﷺ Ne Ek Martaba Jibreel Ameen Se Pucha Ke Aye Jibreel, Tum Farishto Ke Sardaar Ho Aur Farishto Ki Kuwate Parvaaz Ka Aalam Yeh Hai Ke Insaan Ke Palak Jhapakne Se Pehle Mashreek Se Magreeb Me Pohonch Jaate Hai. Aye Jibreel, Kya Aisa Bhi Koi Waqt Aaya Hai Ke Tumhe Apni Kuwate Parvaaz Ka Muzahira Karna Padha.

Jibreel Ameen Arz Karte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Chaar Mauke Aise Aaye Ke Jab Maine Tezi Ke Saath Parvaaz Kiya.

1⃣ Jibreel Kehte Hai Ke Pehla Mauka Toh Tab Tha Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ko Namrud Ne Aag Me Daalne Ka Hukm Diya. Unlogo Ne Ibrahim Ko Aag Me Pheka, Kareeb Hi Tha Ke Aap Aag Me Girte, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Us Aag Ko Gulista Banado Aur Ibrahim Ko Apne Paro Par Lelo. Jibreel Kehte Hai Mai Fauran Sidratul Muntaha Se Nikla Aur Us Aag Ko Gulzaar Banadiya Aur Isse Pehle Ke Ibrahim Girte, Maine Unko Apne Paro Par Leliya.

2⃣ Hazrat Jibreel Kehte Hai Ke Dusra Mauka Woh Tha Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Apne Bete Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Zabah Karne Ja Rahe The, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Isse Pehle Ke Ibrahim Ki Churi Se Ismail Zabah Ho Jaye, Fauran Jannat Se Dumba Lo, Zameen Par Utro Aur Ismail Ko Hata Kar Dumbe Ko Rakhdo. Maine Jannat Se Dumba Liya Aur Tezi Ke Saath Zameen Par Aaya Aur Ismail Ki Jagah Par Dumbe Ko Rakh Diya.

3⃣ Fir Jibreel Kehte Hai Ke Teesra Mauka Toh Tab Tha Jab Hazrat Yusuf Alaihis Salaam Ke Bhai, Yusuf Alaihis Salaam Ko Kuwe Me Daal Rahe The. Us Waqt Mai Sidratul Muntaha Par Tha, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Mere Nabi Yusuf Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Daala Hai, Isse Pehle Ke Yusuf Kuwe Me Gire, Tum Unhe Apne Paro Par Lelo. Maine Fauran Sidratul Muntaha Se Zameen Par Parvaaz Ki Aur Isse Pehle Ke Hazrate Yusuf Alaihis Salaam Kuwe Me Gir Paate, Maine Unhe Apne Paro Par Leliya.

4⃣ Jibreel Ameen Arz Karte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Chautha Mauka Woh Tha Jab Maine Sabse Zyada Tezi Se Parvaaz Kiya. Jange Auhud Me Jab Kuffaro Ne Aap Par Patthar Pheka Aur Aapka Dandaane Mubarak Shaheed Ho Gaya Aur Dandaane Mubarak Se Khoon Ka Katra Girne Laga. Kareeb Tha Ke Woh Khoon Ka Katra Zameen Par Girta. Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Isse Pehle Ke Hamare Mehboob Ke Khoon Ka Katra Zameen Par Gire Aur Ham Qayamat Barpa Karde, Usse Pehle Apne Paro Par Hamare Mehboob Ke Khoon Ke Katre Ko Lelo. Hazrat Jibreel Kehte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Mai Fauran Tez Raftaar Ke Saath Zameen Par Aaya Aur Isse Pehle Ke Aapka Khoone Mubarak Ka Katra Zameen Par Girta, Maine Usko Apne Paro Par Leliya.

POST NO - 11:

HADEES:
MUSLIM SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-5,002.

Hazrat Umme Salma Radiallahu Taala Anha Riwayat Karti Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Jo Qurbaani Ka Iraada Rakhta Hai Toh Usko Chahiye Ke Jab Woh Zilhijja Ka Chaand Dekhle Toh Das Zilhijja Tak (Yaani Qurbaani Karne Tak) Na Baal Kaate Aur Na Naakhun Kaate.

Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Jab Qurbaani Karle Tab Apne Baalo Ko Aur Naakhuno Ko Tarashwaale. Toh Iska Sawaab Yeh Hai Ke Har Baal Aur Naakhun Ke Evaz Nekiyaan Likhi Jayegi.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI, VOL-1,
HADEES NO-1,985.

TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,567.

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,018.

NASAI SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-4,361.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-935.

MUSNADE AHMED,
HADEES NO-26,517.

IBNE HIBBAN SHAREEF,
ABU YAALA, BAHIQI SHAREEF, ETC

POST NO - 12:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,016.

Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Aas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye Logo! Allah ﷻ Ki Raza Ke Liye Qurbaani Karo. Ek Sahabi Arz Karne Lage Ya Rasoollallah ﷺ! Mere Paas Ek Chota Jaanwar Hai, Jo Maine Dudh Ke Liye Udhaar Liya Hai. Kya Mai Allah ﷻ Ki Raza Ke Liye Usko Qurbaan Kardu.

Toh Allah Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya Aye Shaks Tu Yeh Kaam Na Kar, Isliye Ke Tujhpar Qurbaani Waajib Nahi. Fir Allah Ke Nabi ﷺ Farmate Hai Ke Tu Qurbaani Na Kar, Lekin Apne Baalo Aur Naakhuno Ko Na Kaat. Jis Din Sab Apni Qurbaani Pesh Kare, Us Din Agar Tu Apne Baal Aur Naakhun Tarashega, Toh Allah ﷻ Iske Badle Tujhe Qurbaani Ka Sawaab Ata Farmayega.

POST NO - 13:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,532.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Qurbaani Ke Din Allah ﷻ Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Behtar Koi Amal Nahi.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-912.

POST NO - 14:

HADEES:
IMAM TABRANI NE MAJAMUL KABEER ME NAKAL KIYA.

Imam Hasan رضي الله عنه Farmate Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ke Qurbaani Ka Amal Allah ﷻ Ke Nazdeek Itna Muqqaddas Hai Ke Jab Banda Qurbaani Karta Hai Toh Ba Roze Qayamat Yeh Qurbaani Jahannam Aur Uske Darmiyaan Hijaab Ban Jayegi. Aur Woh Jaanwar Kahega Aye Rabbe Kainaat! Teri Raza Ke Liye Isne Mujhe Qurbaan Kiya Tha. Lihaaza Tu Ise Baksh De.

BAHARE SHARIYAT, VOL-2,
PART NO-15, PG NO-81.

POST NO - 15:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,533.

Hazrat Zaid Ibne Arqam رضي الله عنه Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye Logo! Qurbaani Karo Ke Qurbaani Tumhaare Baap Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Sunnat Hai.

Sahaba-e-Ikraam Ne Arz Kiya Ya Rasoollallah ﷺ! Hamare Liye Isme Kya Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Ke Jaanwar Ke Har Baal Ke Badle Me Tumhaare Liye Neki Hai.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-913.

POST NO - 16:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-2.

Hazrat Abdullah Ibne Kurt رضي الله عنه Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Hame Hukm Diya Ke Oonto Ko Laya Jaye, Taake Mai Unhe Qurbaan Karu. Hazrat Abdullah Ibne Kurt رضي الله عنه Kehte Hai Ke Cheh Oont Nabi ﷺ Ki Khidmat Me Pesh Kiye Gaye.

Jab Allah Ke Rasool ﷺ, Oonto Ko Zabah Karne Ke Iraade Se Aage Badhe, Toh Har Oont Dusre Oont Ko Piche Dhakelta Aur Khud Aage Aane Ki Koshish Karta. Taake Rasoollallah ﷺ Pehle Mujhe Zabah Farmaye.

POST NO - 17:

HADEES:
MUSLIM SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-4,976.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Riwayat Karti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Ek Menda Laane Ka Hukm Diya. Aur Farmaya Aisa Menda Lao Jiski Taange Kaali Ho. Aur Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Jiski Peeth Bhi Kaali Ho. Aur Farmaya Ke Mende Ki Aankhon Ka Kinaara Bhi Kaala Ho.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Kehti Hai Ke Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Unhe Qurbaan Karne Ka Iraada Farmaya Aur Mujhse Farmaya Aye Aisha! Churi Lekar Aao. Aur Churi Ko Patthar Par Tez Karlo, Toh Maine Churi Ko Patthar Par Ghaskar Tez Kar Liya. Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Mujhse Churi Leli Aur Zabah Karne Ke Liye Us Mende Ko Litaya Aur Zabah Farmadiya.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Kehti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Jab Mende Ko Zabah Farmaliya Toh Yeh Dua Farmayi. "Bismillahi Allah Humma Takabbal Min Muhammaddeu Wa Aali Muhammaddin Wa Min Ummate Muhammaddin."

"Allah ﷻ Ke Naam Se Shuru, Aye Allah ﷻ Mai Isko Qurbaan Karta Hu Muhammed Ki Taraf Se Aur Meri Aal Ki Taraf Se Aur Meri Tamaam Ummat Ki Taraf Se"

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,019.

TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,564.

IBNE MAAJA SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-907.

IMAM TAHAVI NE SHARAYE MAANIYUL AASAAR, VOL-4, HADEES NO-388.

MUSNADE AHMED,
HADEES NO-21,761.

IBNE HIBBAN SHAREEF,
HADEES NO-5,902.

IMAM HAAKIM NE
AL-MUSTADRAK,
HADEES NO-4,577.

IMAM BAHIQI NE BAHIQI SHAREEF, HADEES NO-18,786.

ABU YAALA, HADEES NO-3,118.

DAAR KUTNI, PG NO-50.

IMAM TABRANI NE MAJAMUL KABEER, HADEES NO-997.

POST NO - 18:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,037.

Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ki Khidmat Me Qurbaani Ke Liye Singho Waala Ek Menda Laya Gaya. Allah Ke Nabi ﷺ Ne Us Mende Ko Zabah Farmaya Aur Zabah Farmane Ke Baad Farmaya "Allah Humma Haza Anni Wa Ammallam Min Ummati" Aye Parwardigaar! Yeh Meri Qayamat Takki Us Ummat Ke Liye Jo Qurbaani Na Kar Sakegi.

IMAM TAHAVI NE SHARAYE MAANIYUL AASAAR, VOL-4, HADEES NO-394.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI, VOL-1,
HADEES NO-1,983.

POST NO - 19:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,534.

Hazrat Hanash رضي الله عنه Kehte Hai Ke Maine Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Dekha Ke Aap Do Mende Zabah Kiya Karte. Toh Maine Hazrat Ali رضي الله عنه Se Pucha Ke Aap Do Mende Kyu Zabah Karte Hai.

Hazrat Ali رضي الله عنه Farmate Hai Ke Mai Do Mende Isliye Zabah Karta Hu Kyunki Allah Ke Nabi ﷺ Ne Mujhe Yeh Wasiyat Ki Hai Ke Aye Ali! Ek Qurbaani Tum Apni Jaanib Se Karo Aur Ek Qurbaani Meri Taraf Se Kiya Karo.

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,017.

POST NO - 20:

MASLA:
DURRE MUKHTAR, VOL-9,
PG NO-378.

Qurbaani, Maalike Nisaab Par Waajib Hai. Maalike/Sahibe Nisaab Woh Hai Jiske Paas 7.5 Tola Sona Hai Ya 52.5 Tola Chaandi Hai Ya Utni Rakam Hai.

Zarurate Asliya Ke Alawa Agar Itni Miqdaar Kisi Ke Paas Hai, Toh Woh Saahibe Nisaab Hai Aur Uspar Qurbaani Waajib Hai.

POST NO - 21:

MASLA:
DURRE MUKHTAR, VOL-9,
PG NO-378 & 382.

Qurbaani Waajib Hone Ke Liye Chaar Shartein Hai. Agar Yeh Chaar Cheezein Maujood Hai Toh Qurbaani Waajib Hai, Warna Nahi:

1⃣ Baalig Musalmaan Hona
(Na Baalig Na Ho).

2⃣ Mukim Hona (Musafir Na Ho).

3⃣ Maalike Nisaab Hona

4⃣ Aazaad Hona (Gulaam Na Ho).

POST NO - 22:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,561.

Hazrat Makhnaf Bin Sulaim رضي الله عنه Riwayat Karte Hai Ke Ham Rasoollallah ﷺ Ke Saath Arfaat Me The. Maine Rasoollallah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Ke Aapne Irshaad Farmaya Aye Logo! Tumhaare Ahlo Ayaal Ki Taraf Se Har Saal Tumpar Qurbaani Waajib Hai.

NOTE:
Is Hadees Se Yeh Baat Saaf Wazaye Hoti Hai Ke Ghar Ke Sabhi Maalike Nisaab Par Har Saal Qurbaani Waajib Hai.

POST NO - 23:

HADEES:
IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-908.

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Jo Qurbaani Karne Ki Istetaat Rakhta Hai Aur Woh Qurbaani Na Kare. Toh Woh Hamari Eid Gaah Na Aaye.

NOTE:
Yeh Hadees Saaf Is Baat Par Dalalat Karti Hai Ke Qurbaani Har Saal Waajib Hai. Kyunki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ke Jo Qurbaani Ki Istetaat Rakhne Ke Baujood Qurbaani Na Kare Woh Hamari Eid Gaah Na Aaye.

Aur Eid Ki Namaaz Toh Har Saal Padhi Jaati Hai. Iska Matlab Qurbaani Bhi Har Saal Waajib Hai.

POST NO - 24:

MASLA:
DURRE MUKHTAR & FATAWA AALAMGIRI.

1⃣ Agar Kisi Par Qarza Hai, Toh Ab Yeh Dekha Jayega Ke Qarza Ada Karne Ke Baad Itna Maal Bach Gaya Ke Ab Bhi Maalike Nisaab Hai. Toh Us Shaks Par Qurbaani Waajib Hai. Aur Agar Nisaab Se Kam Maal Bachta Hai Toh Uspar Qurbaani Waajib Nahi.

2⃣ Zakaat Ka Masla Yeh Hai Ke Saal Guzarne Ke Baad Zakaat Farz Hoti Hai. Maal Par Saal Guzarna Shart Hai. Lekin Qurbaani Ke Liye Maal Par Saal Guzarna Shart Nahi.

Yaha Takke Agar Koi Shaks Qurbaani Ke Teesre Din Ki Magreeb Se Pehle Maalike Nisaab Ho Gaya, Toh Uspar Qurbaani Waajib Ho Gayi. Shariyat Ka Hukm Hai Ke Fauran Apni Taraf Se Qurbaani Kare.

POST NO - 25:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,022.

Hazrat Jaabir Bin Abdullah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Do Khassi Mendo Ki Qurbaani Khud Apne Haatho Se Farmayi.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI ME NAKAL KIYA.

MAUTA IMAM MUHAMMED,
HADEES NO-627.

POST NO - 26:

HADEES:
IMAM HAAKIM NE AL-MUSTADRAK, VOL-4, PG NO-222.

Jab Allah Ke Rasool ﷺ Apni Beti Hazrat Fatma Radiallahu Taala Anha Ke Liye Qurbaani Karne Lage Toh Farmaya Aye Beti, Jab Mai Tumhara Jaanwar Zabah Karu Toh Tum Apne Jaanwar Ke Kareeb Khadi Raho.

Hazrat Fatma Radiallahu Taala Anha Arz Karti Hai Baba Jaan Iska Fayda Kya Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Aye Beti, Yeh Qurbaani Tumhari Taraf Se Hai Aur Farmaya Ke Jab Qurbaani Ke Jaanwar Ke Khoon Ka Pehla Katra Zameen Par Girta Hai, Toh Usse Pehle Hi Jiski Taraf Se Qurbaani Ho Rahi Hai Uski Magfirat Ho Jaati Hai.

NOTE:
Jo Qurbaani Karna Jaanta Hai, Tarika Aur Duae Aati Hai, Toh Afzal Hai Ke Khud Hi Qurbaani Kare. Agar Nahi Jaanta Toh Kam Se Kam Saamne Maujood Rahe.

MAJMAUZ ZAWAAID, VOL-4,
PG NO-17.

POST NO - 27:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,552.

Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Ke Maine Tumhe Gosh Jama Karke Rakhne Se Mana Kiya Tha, Magar Ab Tum Usko Jama Kar Sakte Ho.

NOTE:
Ibtedaye Islaam Me Teen Din Se Zyaada Gosh Khaane Ki Ijaazat Nahi Thi. Fir Baad Me Allah Ke Rasool ﷺ Ne Iski Ijaazat Di.

Lekin Niyat Sirf Yeh Na Ho Ke Gosh Jama Karke Khaate Rahenge. Balke Niyat Raza-e-Ilaahi Ko Haasil Karna Honi Chahiye.

POST NO - 28:

MASLA:
DURRE MUKHTAR & FATAWA AALAMGIRI.

1⃣ Qurbaani Ke Jaanwar Ke Gosh Ke Teen Hisse Kiye Jaye. Ek Hissa Apne Ghar Waalo Ke Liye Rakhe. Dusra Hissa Apne Dost, Ahbaab, Padhosi, Rishtedaaro Ke Liye. Aur Teesra Hissa Gareeb Aur Masakeen Ke Liye.

Agar Ghar Waale Zyaada Hai Toh Hukm Yeh Hai Ke Chahe Toh Pura Gosh Bhi Rakh Sakte Hai.

2⃣ Hisse Waali Qurbaani Me Bade Jaanwar Ka Gosh Tolkar Diya Jaye, Andaaze Par Nahi.

Agar Kisi Hissedaar Ko Zyaada Gosh Chala Gaya Aur Kisi Hissedaar Ko Kam Mila Ho, Toh Jisko Kam Hissa Mila, Agar Usne Maaf Bhi Kardiya Toh Uske Maaf Karne Se Bhi Maaf Na Hoga.

QANOONE SHARIYAT, VOL-1,
PG NO-212.

BAHARE SHARIYAT, VOL-2,
PART NO-15, PG NO-84. 

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...