29/10/2020

⚪NAMAZ KE TALLUK SE KUCH AHAM TOPIC ⚪

1⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO ?*

🕌 *Masjid Ke Andar Namaz e Janaza Padhne Walon Ko Sawab Nahi - Hadees*

☪ *نمازِجنازہ مسجد کے اندر پڑھنے والوں کو ثواب نہیں ۔ حدیث*

📌 *Baaz Jaga Dekha Gaya Hai Ke Log Namaz e janaza Masjid Ke Andar Padhane Ko Zor Dete Hain Aur Jo Ulama isse Mana Karte Hain Uneh Bura Bhala Kehte Howe Adab Ki saari hadeen Paar Kar Jaate Hain , Namaz e Janaza Masjid Mein Na Padhne Per Ahadees Aur Aimma e Deen Hawale Maujod Hain In'shaAllah is ke Chand Hawale Aap Ke Samne Pesh Kiye Jayen Ge*

🖇 *Abu Dawod Sharif Mein Riwayat Hai*

*عن ابوہریرہ قال : قال  رسول اللہ من صلی علی جنازۃ فی المسجد فلا شیء  علیہ*

✒ *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ne irshad Farmaya Ke Jis Ne Masjid Mein Namaz e Janaza Padhi uske Liye Khuch {Ajr Wa sawab} Nahi Hai !*

📙 *Abu Dawood Vol 1 Page*

📝 *Note:-*
*Albani Ne is Hadith Ko Hasan Kaha Hai*



2⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🌹 *Hazrat Abubakar Siddiq Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy*

☪ *حضرت ابوبکر صدیق رضي الله عنه نماز جنازہ مسجد میں نہیں پڑھتے تھے*

*Hazrat Imam Abu Tayalasi Riwayat Naqal Farmate Hain:*

*حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ قَالَ: حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ صَالِحٍ مَوْلَى التَّوْأَمَةِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ «مَنْ صَلَّى عَلَى جِنَازَةٍ فِي الْمَسْجِدِ فَلَا شَيْءَ لَهُ» قَالَ صَالِحٌ: وَأَدْرَكْتُ رِجَالًا مِمَّنْ أَدْرَكُوا النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَبَا بَكْرٍ إِذَا جَاءُوا فَلَمْ يَجِدُوا إِلَّا أَنْ يُصَلُّوا فِي الْمَسْجِدِ رَجَعُوا فَلَمْ يُصَلُّوا*

*Hazrat Swaleh Maula Tawama Ne Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Rasul Allah ﷺ Ne irshad Farmaya Ke Jisne Masjid Mein Namaz E Janaza Padhi Uske Liye Koi Ajr Wa Sawab Nahi Hai Raawi e Hadees Hazrat Swaleh Farmate Hain Ke Main Ne Bahut Se Aise Logon Ko Jinahun Ne Nabi Karim ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ko Paya dekha Hai Jab Wo Namaz e Janaza Ke Liye Tashrif Laate Aur Unko Namaz e Janaza Ke Liye Masjid Ke Alawa Koi Aur Jaga Na Milti Tu Wo Wapis Chale Jaate Thy Aur Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy !*

📕 *Musnad e Abi Tiyalisi vol 04 Page 71,72*




3⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕯 *Namaz e Janaza Masjid Ke Bahar Padhna Afzal Hai..Albani Wahabi*

☪ *نماز جنازہ مسجد کے باہر پڑھنا افضل ہے۔وہابی امام ناصرالدین البانی*

📌 *Ghair Muqallid Wahabi Firqe Ke Motabar molvi Nasir uddin Albani Namaz e Janaza Ko Jahan Masjid Ke Andar Padhne Ko Jayaz Kehta Hai Wahin Aage Chal Kar Khud Hi Likhta Hai Ke*

*“Afzal Ye Hai Ke Namaz e Janaza Masjid Se Bahar Us Jaga Padhi Jaye Jo Namaz Janaza Ke Liye Makhsos Ki Gai Ho Jaisa Ke Ahade Risalat Mein Tha Aur payare Nabi Ka Aam Tariqa Bhi Masjid Se Bahar Hi Padhne Ka Tha !*

📙 *Janaza Ke Ahkam Wa Masail Aur Uski Baaz Bidaat Page 28*

🖇 *Wahabi imam Albani Ke Nazdik Bhi Yahi Afzal Hai Ke Namaz e Janaza Masjid Ke Bahar Padhi Jaye Aur Ye Tariqa Huzor Pak ﷺ Ka Aam Tariqa Raha Hai Jise Sunnat e Mutwatira Bhi Kaha Ja Sakta Hai Lihaza Ahlesunnat Wa Jama'at Ke Imam Hazrat imam Ahmad Raza Qadri قدس سره Ne Jo Fatwa Janaza Ke Masjid Mein Na Padhne Ka Diya Hai Wo Biqul Sahi Hai Aur Wo Fatwa Sunnat e Rasool ﷺ Ke Mutabiq Hai.*



4⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕯 *Huzoor ﷺ ke Zamana Mein Namaz e Janaza Ke Liye Alag Jaga Thi*

☪ *حضور کے زمانہ میں نماز جنازہ کے لئے الگ جگہ مقرر تھی۔وہابی مولوی*
📌 *Wahabi Ghair Muqalladin Ke Molvi Abdur Rahman Mubarakpuri Namaz e Janaza Ke Mutaliq Jahan Ye Likha Ke Masjid Mein Jayaz Hai Wahi Aage Likhte Hain*

*“Masjid Mein Namaz e Janaza Padhne Ki Aadat Nahi Karni Chahiye Balke Namaz e Janaza Ke Waste Masjid ke Alawa Koi Aur Jaga Muqarrar Karni chahiye Jaisa Ke Rasul Allah ﷺ Ke Zamane Mein Masjid Nabavi Ke Alawa Ek Khas Jaga Namaz e Janaza Ke Waste Muqarrar Thi*

📔 *Kitab Ul Janaiz Page 48*

🖇 *Wahabi Jama'at Ke Molvi Ki ibarat Se Pata Chala Ke Huzoor ﷺKe Mubarak Zamana Mein Namaz e Janaza Ke Liye Ek Khas Jaga Alag Se Muqarrar Thi.*



5⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🔮 *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Masjid men Namaz e janaza Nahi Padhte Thay*

☪ *حضرت ابو ہریرہ رضي الله عنه مسجد میں نماز جنازہ نہیں پڑھتے تھے۔السنن الکبریٰ*

📌 *Hazrat imam Behqi رحمه الله Sunan ul Kubra Mein Riwayat Naqal Farmate Hain:*

 *قَالَ صَالِحٌ: فَرَأَيْتُ الْجِنَازَةَ تُوضَعُ فِي الْمَسْجِدِ فَرَأَيْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ إِذَا لَمْ يَجِدْ مَوْضِعًا إِلَّا فِي الْمَسْجِدِ انْصَرَفَ وَلَمْ يُصَلِّ عَلَيْهَا*

🖇 *Hazrat Swaleh Farmate Hain Ke Main Ne Dekha Janaza Masjid Mein Rakha Gaya Aur Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Ko Masjid Ke Alawa Jaga Na Milo Tu Wo Wapas Chale Gaye Aur Namaz e Janaza Na Padhi*

📗 *Sunan ul Kubra Vol 04 Page 86*

📝 *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Bhi Masjid Ke Andar Namaz Nahi Padhte Thy Ye is Riwayat Se Sabit Hota Hai Tafseel Ke Liye Aap Muhaqiqi e Ahlesunnat Hazrat Alama Kashif iqbal Madni Ki Kitab Kitab Ul janaiz Ka Mutala Karen*




6⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕌 *Namaz e Janaza Masjid Mein Koi Shari Uzr Ho Tab Jayaz Hai !!!*

☪ *نماز جنازہ مسجد میں صرف شرعی عذر کی بنیاد پر جائز ہے !* 

📌 *Musannif ibne Abi Shaiba Mein Riwayat Hai*

*حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنِ ابْنِ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ سَمْعَانَ، عَنْ كَثِيرِ بْنِ عَبَّاسِ، قَالَ: «لَأَعْرِفَنَّ مَا صَلَّيْتُ عَلَى جِنَازَةٍ فِي الْمَسْجِدِ*

🖇 *Hazrat Kasir Bin Abbas Farmate hain Mujhe Achi Tarah Maloom Hai Ke {Ahade Nabawi Aur Sahaba Kiram} Mein Kisi Ki Bhi Namaz e Janaza {Bagair Uzre Shrai Ke} Masjid e Nabawi Mein Nahi Padhi Gai*

📗 *Musannaf ibne Abi Shaiba Vol 04 Page 532*

📝 *Pata Chala Ke Huzor ﷺ Ke Zamana Mein Aur Sahaba Kiram رضي الله عنهم Ke Zamana Mein Nazam e Janaza Padhne Ka Mamul Masjid Ke Bahar Hi Tha Aur Agar Koi Uzre Sharai Hota Tabhi Masjid Ke Andar Namaz E Janaza Padhi jati*



🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️⚪🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️




POST 01】NAMAZ MEIN NAAF KE NICHE HATH BANDHNA SUNNAT HAI*



🔮 *_Ghair Muqalladin Hanfion Per Aitraz Karte Hain Ke Hanfi Namaz Mein Naaf Ke Nche Hath Bandhte Hain Aur Kehte Ke Ye Hadees Se Sabit Nahi Jab Ke Ye Ghair Muqallid Wahabi Najdion Ka Dhoka Hai insha Allah Hum Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhne Ke Dalil Pesh Karen Ge Seeha Sitta Ki Kitab Abu Dawod Mein Hadees Hai_*

*حدثنا محمد بن محبوب حدثنا حفص بن غياث عن عبد الرحمن بن إسحاق عن زياد بن زيد عن أبى جحيفة أن عليا – رضى الله عنه – قال السنة وضع الكف على الكف فى الصلاة تحت السرة*
🔰 *Hazrat Juhaifa Se Riwayat Hai Ke Hazrat Ali ؓNe Farmaya Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai*

📚 *_Sunan Abi Dawood Vol 1 Page 292_*




POST 02】*



*مصنف ابی شیبہ کی نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنے والی حدیث*
_Namaz Mein Zere Naaf Wali Musannaf Abi Shaiba Ki Hadees_
*Musannaf imam Abi Shaiba Mein Hadees Hai*

*حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ مُوسَى بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ عَلْقَمَةَ بْنِ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَضَعَ يَمِينَهُ عَلَى شِمَالِهِ فِي الصَّلَاةِ*
📋 *_Hazrat Wail bin Hujar Apne Walid Se Riwayat Farmate Hain Main Ne Nabi Karim Ko Dekha Ke Aap Ne Namaz Mein Daayan Hath Baayen Hath Per Rakhkhar Zere Naaf Bandhte.._*

📚 *_Musannaf Abi Shaiba Vol 2 Page 309_*

🔰 *Is Hadees Ke Ek Raawi Allama Qasim Bin Qatlubga per Ghair Muqallid Yusuf Zai Ne Apni Maslaki Bhadas Nikalte Howe Kazab Ki Jirah Ki Hai Jab Ke Mohaddasin e Izzam Ne Hazrat Allama Qasim Bin Qatlubgha Ki Tausiq Farmai Hai Aur Zubair Ali Zai Jo Ke Khud Apne Firqe Mein Jhoot Bolne Mein Mashor Hai Uski Jirah Ki Koi Ahmiyat Nahi Rah Jaati*




POST 03】*



*امام بیہقی نے نقل کی نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنے والی حدیث*
_Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai ,behqi_

*_Imam Behqi apni Sunan Mein Riwayat Naqal Farmate Hain_*

*كَمَا أَخْبَرَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ الْحَارِثِ، أنبأ عَلِيُّ بْنُ عُمَرَ الْحَافِظُ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ الْقَاسِمِ، ثنا أَبُو كُرَيْبٍ، ثنا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاقَ، عَنِ النُّعْمَانِ بْنِ سَعْدٍ، عَنْ عَلِيٍّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ أَنَّهُ كَانَ يَقُولُ: ” إِنَّ مِنْ سُنَّةِ الصَّلَاةِ وَضَعُ الْيَمِينِ عَلَى الشِّمَالِ تَحْتَ السُّرَّةِ*
🔮 *Hazrat Ali Se Riwayat Hai Ke Namaz Mein Sunnat Ye Hai Ke Dayeen Hath Ko Bayeen Hath Per Naaf Ke Neeche Bandhe*

📚 *_Sunana Ul Kubra Vol 2 Page 48_*

🔰 *_Is Hadees Per Mashor Kazzab Ghair Muqallid Molvi Zubair Ali Zai Ne Aitarazat Kiye Hain Jiska Jawab Muhaqiqe Ahle Sunnat Allama Faisal Khan Sahab Ki Kitab Ke safa Number 58 Per Dekh Sakte Hain Kitab Ka Link Neeche Diya Gaya Hai_*

https://ia801705.us.archive.org/25/items/NamazMaiNaafKeNeechayHaathBandna/Namaz%20Mai%20Naaf%20Ke%20Neechay%20Haath%20Bandna.pdf




POST 04】*



*نماز میں ناف کے نیچےہاتھ باندھنا سنت ،سینے پر باندھنا مکروہ ۔ابن قیم الجوزی*
_Naaf Ke Niche Bandhna Sunnat Sine Per Bandhna Makroh,ibne Qayam_

*Wahabi Ghair Muqalladin Ka Motabar imam ibne Taimya Ka Khas Shagird Likhta hai “*

❇ _Dauran Namaz Hath Bandhne Ki Jaga Mein ikhtelaf Hai imam Ahmed Se Ek Riwayat Naaf Ke Uper Bandhne Ki Hai Ek neeche Bandhne Ki Hai Ek Riwayat Aap Se Wo Hai Jo Abu Talib Ne Zikr Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Main Ne imam Ahmad Se Pocha Ke Namaz Padhte Howe Hath Kahan Rakhe Aap ne Farmaya_

🔮 *_“Naaf Ke Uper Ya Neeche Rakhe” Aur Aap Ke Nazdik Sab Jayaz Hai Chahye Naaf Se Upre Ho Chahe Naaf Se Niche Ho Chae Naaf Per Rakhe Hazrat Ali Se Riwayat Hai Ke Hatheliyun Per Hatheliyun Ko Naaf Ke Niche Rakhna Sunnat Hai Omro Bin Malik Ne Riwayat Abul Jauza hazrat ibne Abbas Se Hazrat Ali Ki Tafseer Ke Manind Riwayat Kiya Hai Magar Ye Sahih Nahi Hai Sahih Hazrat Ali Ki Hadees hai imam Mizni Ki Riwayat Ke Mutabiq imam Ahmad Ka Ye Farman Hai Ke Naaf Se Thuda Niche Bandhe Aur Seene Per Hath Rakhna Makrooh Hai is Liye Nabi Karim Se Marwi Hai Ke Aap ne Ne Takfeer Se Mana Farmaya Hai Aur takfir Seene Per Hath Rakhne Ko Khte Hain_*

📚 *_Badaye Al Fawaid ibne Qayam Page 980,981,982_*

🔰 *Ghair Muqalladin Kaafi Chilate Hain Naaf ke Niche Hath Bandhna Sabit Nahi Hai Zaif Hadees Hai Wagera Magar inka Motabar imam ibne Qayam Tu Sabit Kar Raha Hai Ke namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai Na Sirf Naaf Ke Niche Bandhne Wali Amal Ko Sahih kaha Balki Seene Per Hath Bandhne Wale Amal Ko Makroh Likh Diya Ab Ghair Muqallain Se Sawal Hai Ke ibne Qayam Sahih Tha Ya Aaaj Ke Ghair Muqalladi Sahih Hain? Kiya ibne Qayam itna Jahil Tha Ke Usse Sahih Aur Zaif Hadees Ka Bhi ilm Nahi Tha ? Agar Naaf Ke Niche Bandhne Wali Tamam Riwayat Zaif Hain Tu ibne Qayam Ne is Amal Ko Sahih Kiyun kaha? Aur Seene Per Hath Bandhne Wali Riwayat Sahih Thi Tu is Amal Ko Makrooh Kiyun Kaha ?_*




POST 05】*



*نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنا نبی کریمﷺ کی سنت ہے. امام ابن قدامہ*
_Naaf Ke Niche Hath Bandhna Nabi Karim ﷺ Ki Sunnat Hai_
*_Imam ibne Qudama Farmate hain_*

*رُوِيَ ذَلِكَ عَنْ عَلِيٍّ، وَأَبِي هُرَيْرَةَ وَأَبِي مِجْلَزٍ، وَالنَّخَعِيِّ، وَالثَّوْرِيِّ، وَإِسْحَاقَ؛ لِمَا رُوِيَ عَنْ عَلِيٍّ – رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ – قَالَ: مِنْ السُّنَّةِ وَضْعُ الْيَمِينِ عَلَى الشِّمَالِ تَحْتَ السُّرَّةِ. رَوَاهُ الْإِمَامُ أَحْمَدُ، وَأَبُو دَاوُد. وَهَذَا يَنْصَرِفُ إلَى سُنَّةِ النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ*

🔮 *“ Naaf Ke Niche Bandhne Ki Riwayat Hazrat Ali ؓ Hazrat Abu Huraira Hazrat Abu Majlaz ibrahim Nakhai Sufiyan Sauri Aur ishaq Bin Raahwiya Se Marwi Hai Kyun Ke Hazrat Ali Razi Allahu Ta'Ala Anhu Farmate Hain “ {Namaz Men} Dayen Hath Ko Bayen Hath Per Naaf Ke Niche Rakhna Sunnat Hai is Riwayat Ko imam Ahmad Bin Hambal Aur Abu Dawod Ne Naqal Kiya Hai Aur Sunnat Se Murad Huzoor ﷺ Ki Sunnat Hai..*

📚 *_Al Moghni ibne Qudama vol 2 Page 141_*



POST 06】*



*نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ رکھنا اخلاق انبیاء میں سے ہے ۔ابن حزم*
_Naaf Ke Niche Hath Bandhna Akhlaq e Ambiya Mein Se Hai_

🔮 *_Wahabi Ghair Muqallid imam ibne Hazam Ne Bhi Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhne Wali Riwayat Ko Naqal Kiya Hai Likhta Hai_*

🔰 *“ Hazrat Anas Farmate Hain Ke Teen Chizen Nabowat Ke Akhlaq Mein se Hain 1 Aftar Mein Jaldi Karna 2. Sahari Dair Se Khana 3.Aur Dauran E Namaz Dayan Hath ko Bayen Hath Per Naaf Ke Niche Rakhna..*

📚 *_Mohalla ibne hazam Vol 3 Page 30_*

📗 Masa'il E Shariat 📘


Masa'il E Shariat jild-1
‎ بسم الله الرحمن الرحيم‎

الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ


*Suwal no. 1*
*Huzoor ye irshad farmaye ki agar kisi ne* *machchli ziba ki hai or usme koi keemti moti* *nikla to wo moti*
*kiska hoga. Seep me* *nikle to kya hukm hai or bagair seep ke nikle to ?*

Jawab بسم الله الرحمن الرحيم 1:
Machhli ke pet me moti nikla, agar moti Seep ke andar hai to yahi khareedar malik Hai, agar seep ke
andar nahi to, khareeddar Malik nahi, shikari ko dede…Jaisa ki, Sadr us sharia Hazrat e Allama, maulna
Mufti Amjad Ali Azami, Bahar e Shariat Jild:3 Safah:325 par irshad Farmate hai,‐
“Machhli ka pet chak kiya us me moti nikla, Agar ye seep ke andar hai to machhli wala iska Malik hai (or)
shikari ne machhli bech daali to Moti khareedar ka hai, or agar moti seep me nahi Hai to khareedar
shikari ko de de”
……. ……………..
Qk daur e hazir me aksar dukan daar hi machhli Palan karte hai, yani wo apne hi talab se shikar Karke
bechte hai, to wo dukandar hi shikari ke Hukm Me hai,
   ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 2*
*Huzoor ye irshad ki Wuzu me Farz e Amali, Farz Etiqadi kitne hain or kiske inkar se banda kafir hoga ya*
*nahi*

Jawab :2 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu me farz e etiqadi or farz e amali par kalam karne Se pehle me ye batana munasib smjhata hu ki
akhir ye Hota kya hai, kyunki aksar logo ko wuzu me sirf 4 farz ke alawa kuchh nahi pata hota. (balki baz
to imam or hafiz Bhi isse ghafil hote hain) Ummid hai ki ye behes sabke liye nafa bakhsh hogi.
Pehle inki tareef fir inki tadad.
 (الله شاء ان(
Farz e Etiqadi‐ us farz ko kehte hain jiski farziyat aisi dalil se sabit ho jisme shak ki koi gunjaish hi nahi
maslan quran se… jaise ki quran me hukm aya .. Or apne saro ka masah karo..
Farz e Amali‐iski farziyat nasse‐qatai se to sabit nahi, magar nazr e mujtahid me, Aisi zaruri hoti hai ki
jisse ibadat mukammal nahi hoti.. Maslan chothhai sar ka masah karna..
Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, or 12 farz e amli hain
Hukm e kufr:
Farz e etiqadi ka inkar kufr hai, ki ye quran ki nas ka inkar hai
Jaise koi kahe main sar ke maseh ko nahi manta.. To kafir hai, ki inkar e quran hai..
Farz e amali ka inkar kufr nahi albatta gumrahi hai. Jaise koi kahe me sar ke maseh ko to manta han magr
Chothhai maseh ko nahi manta to gumrah hai,

*Note:‐* mujtahid par hukm e gumrahi bhi nahi hoga, kyunki unke Pas iske radd me dalil hoti hai, maslan
agar imam shafai kahe ki Me chothhai sar ka masah nahi manta balki 3 baal par bhi kaafi Hai to ye
gumrah bhi nahi. Ki khud bade aalim e deen (mujtahid) hai. (shariat se) Dalil rakhte hai,
Wese to sail ka Jawab yahi tak poora ho gaya. Ki etiqadi or amali Ki tadad puchhi thi, tafsir nahi., Magar
kyuni ye bahut aham kalam hai to me munasib janta hu ki Iski tafsir bhi kar du ki, kya kya wuzu me farze etiqadi hai Or kya kya farz e amali hai, taaki ummat mere liye dua go rahe..or saail ka dil bhi qaraar paaye
Or baad dafan me bhi nijaat..
Beshak iski tafseel bahut taveel hai, magar yaqeen jaane Yahan bas mukhtasar hi likhi jaati hai, ise
mukammal Naa samjhe. yani har ek point ki Bahut tafseel hai. jo ki mere liye yaha likhna goya Gilas me
Jag ka paani utar dena hai.. Isilye sirf tadad par bas kiya jaata hai..
Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, (isme istasna ka zikar nahi hai)
(1) munh dhona
(2) dono hath nakhun se kohniyo tak dhona
(3) sar ka masah
(4) paaun
Farz e Amali: Har mazhab or maslak me alag hote hai magar Humare nazdeek wuzu me 12 Farz e Amali
hain wo ye hai..
(1) dono lab (hont) (agar lab khoob zor se band karke wuzu kya
Or kulli naa ki to wuzu naa hoga
(2) bhanwen
(3) munchhe
(4) thodi ke upar or nichle hont ke bal
(5) daari
(6) kanpatiyan
(7) dono kohniya.
(8) anguthi, or har qism ke jaiz, najaiz gehne (jabki tang ho)
(9) maseh ki nami, sar ki khal ya khas bal jo sar par hai
(10) kam se kam chothhai sar ok istiab kar le
(11) takhno ke upri kinaro se nakhoon tak har hissa, balki zarra zarra
(12) munh, hath, paun, teeno uzw(part) ke tamam ke zarre zarre par paani bahana
                   
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
Allah tala meri maghfirat kare. Or tehqeeq e jadeed me aql e saleem de
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★




Suwal no. 3*
*Ahle‐Qible kise kehte hain, or inki takfeer ka kya Hukm he*?

Jawab :3 بسم الله الرحمن الرحيم
Ahle Qibla ki Behs me Dalail e Qahiraa.

Ahle qibla ki tareef Sharah Maqasid or Durr e Mukhtar me yun he.
اھل القبلۃ معناه الذين اتفقوا علی ماھومن
ضروريات االسالم واختلفوافی اصول سواھا
واال فال نزاع فی کفرا
*Tarjuma:* Yani Ahle Qibla ke ye maine he ki jo tamam Zaruriyaat e deen ko manta ho aur un ke siwa,
Kuchh aqeedo me ikhtilaf rakhta ho…
 ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Hukm e takfir
Ahle qibla ko (kab) kafir kahe ya nahi ?

*Kanzul ummat me hai:*
التکفروا احدا من اھل القبلۃ
*Tarjuma:* Farmate hai Huzoor (وسلم عليہ تعالی ٰ االله صلی (Ahle Qibla se kisi ko kafir naa kaho.
Sharah Fiqh Akbar me hai: Hame apne nabi ki ye hadisen or imame‐azam ka Ye farmaan yad hai
.القبلۃ اھل من احدا والنکفر *Tarjuma*: ahle qibla se hum kisi ko kafir nahi kehte
*Durr e Mukhtar me hai:*
تجوز منا کحۃ المعتزلۃ النا النکفر احدا من
اھل القبلۃ وان وقع الزامالہم فی المباحث
*Tarjuma:* (hum) ahle qibla ki takfeer nahi karte Agarche behes ke tor par unpe kufr ka ilzam sabit hai

*Fatahul Qadeer me hai:*
ً الحق عدم تکفير اھل القبلۃ وان وقع الزاما لھم فی المباحث
*Tarjuma:* Haq Ahle qibla ki adm e takfir hai agarche (unpe) behes me lazimi tor par unpe kufr waqeh hua
hai
‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Asl baat ye hai ki istila e aimma me ahle qibla wo hai Jo ke tamam zaruriyaat deen par iman rakhta ho
(agar) in me se ek baat ka bhi munkir ho to Qata’tn, yaqeenan ijma’ann kafir murtad hai Wo bhi aisa ki
jiske kufr me koi shak kare khud kafir (jiska dalail niche diye gaye hain)

*Shareh maqasid me hai:*
اھل القبلۃ المواظب طول العمر علی
الطاعات بصدور شيئ من موجبات الکفر عنہ
*Tarjuma:* jis ahle qibla se koi kufr sadir ho Weh kafir hai agarche tamam ibadaten kare

*Al‐ behr‐al khalaiq me hai:*
من خرج بيدعتہ من اھل القبلۃ کمنکری
حدوث العالم ، فال نزع فی کفر ھم النکار ھم
*Tarjuma:* jo koi bad aqeedgi ki wajah se ahle qibla Se kharij ho jayen, unke kufr me koi naza’a nahi

*Sharah fiqh akbar me hai:*
ال يکفر اھل القبلۃ اال فيما فيہ انکار
ما علم مجيئہ بالضرورة اوالمجمع عليہ
کاستحالل المحرمات
*Taruma:* Ahle qibla ko kafir naa kaha jayega, Magar jab (kaha jaega) zaruriyaat e deen ya ijm’ai
Baton se kisi baat ka inkar Karen jaise, Haram ko halal jane.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★




Suwal no. 4*
Kisi ne pehle zakat nahi di or wajib thi, or ab bhi hai to kya pehle ki or ab ki dono zakat dega

*Jawab 4: G, Han*

*Suwal no. 5*
Kisi par pehle zakat wajib thi usne nahi di or ab wajib nahi to kya ab pehle wali zakat deyga ya nahi ?

*Jawab 5:
G, Han*

*Suwal no. 6*
*Napaki kin kin chizo se hoti hai, ?*

*Jawab
6* Me sail ke is Suwal se itna samajh paa raha hu Ki wo puchhna chahta hai kab admi napak Ho jata hai, kab ghusl farz/wajib hota hai *5 Chize paai jaye to Insan par ghusl wajib hotaHai,* jinka zikr hum aage kuchh mukhtasar Tafsil se karenge.

*1. Mani* ka apani jaga se shehwat (sex) ke sath nikalne se ghusl wajib hota hai, maslan: kisi ne gande
khyal jama kar apne hi hath se (mazallah) mani nikali to ghusl wajib hai, or agar ye mani shehwat ke sath
jhatke ke sath naa nikli bas gandi chiz ko dekhne se qatra ya safed pani nikla or uska nikalna maloom bhi
nahi hui to wo mani nahi yani uspe ghusl wajib nahi.

*2. Ehtilaam:‐* Sote me mani ka nikalne se ghusl wajib hai, Isme shart hai ki. Kapde par nishan paya jaye.
Agar ehtilaam hona yaad hai, ya khwab yaad hai, Magar kapde par mani ka koi nishan nahi to ghusl wajib
nahi,

*3. Dukhul:‐* Koi mard apne sharmgah (penis) ko kisi aurat ki Sharmgah (vagina) me ya Peechhe dubar
(bum) me dakhil kare. Mard, mard ki Peechhe dakhil kare, in suraton me ghusl wajib Dono par hai, chahe
mani nikle ya nahi

*4. Haiz‐* Jab aurat haiz se farig ho jaye to ghusl wajib hai.

*5. Nifas‐* Aulad ki wiladat ke bad jo aurat ko khoon ata hai Use nifaas kehte hai, usse khoon se farig hone
ke bad.
Madani Mashwara:
Yaqeenan, har aqil baligh musalman par in baato ka sikhna Farz hai, magar, baz log sharm se in choze ko
nahi sikhte Or naa kisi se puchhte hai, or kabhi in bato ko kisi aalim e deen Ki bargah me jaa kar sikhte
hai, Khuda bhala kare sail ka ki isne logo ke liye ye Suwal karke aasani kar di. Allah tala ise dono jahan me
bhalaiyan ata kare.
Or humne har chiz ka zikr saaf saaf byan Kar diya. or masail sikhne me logo ko allah ka ye farman bhi
yaad rakhna chahiye ki Quran me Allah Ka irshad hai:
“Aur Allah Haq farmane me nahi sharmata”
*(Para:22, sureh:ahzab, ayat:53)*
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★




Suwal no. 7*
*Baaz namaziyon ko ba‐sabab e kasrat namaz naak ya peshani par jo* *siyah daagh ho jata hai. Zaid kehta*
*hai ke jis ke dil me bugz ho ye us ke dil ka daagh zahir hota hai. Kya zaid sahih kehta hai. Or ye dagh se*
*kya kuchh faida hai?*

*Jawab :-7 بسم الله الرحمن الرحيم*
Allah Ta’la Sahaba or Huzoor (سلام لا عل يه ( ki shan Me irshad fermata hai:
Un ki peshani unke chehron me hai sajde ke asar..
Sahaba or tabaieen se is nishaani ki tafseer me 4 qaul masoor hain

*1:-* weh noor jo roze qiyamat unke chehro par barkate sajdeh se hoga
is qaul ke raawi‐ Hazrat Abdullah bin Abbas, Hasan basri wagera hain,

*2.* khushu a khuzu wa roshni jiske aasar saleyheen ke chehron par duniya
hi me zahir honge.
Is qaul ke raawi‐ Hazrat abdulla bin abbas, imam mujahid hain,

*3.* chehri ki zaradi ki, qiyam (namaz) e leyl o shab bedaari main peda hoti hai
is qaul ke raawi‐ imam hasan basri wa sihak o ekrama shamr bin attiya he

*4.* wuzu ki tari aur khak ka asar ki, zameen par sajda karne se maathe aur
naak par mitti lagi jaati hai .
is qaul ke raawi‐ imam saeed bin jubair, wa ekrama se hai,
baki tafseel *FATAWA AFRICA* me padhi jaa sakti hai.
Khulasa e kalam hai ye ki,
dikhawe ke liye qasdan nishan paida karna Haram e qatai or gunah e kabeera hai or weh nishan
jahannam ka nishan hai Jab tak tauba naa kare. Aur agar nishan sajdo ki kasrat se khud padh jaye to agar ye sajde
riyai (dikhawe) ke the aisa karne wala jahannami Aur ye maathe par sajdo ke nishaani ki nishan agarche
khud paida hua ho Or agar sajde mehez allah ke liye the or ye is nishan ke padhne se khush hua Ki log
mujhe ibadar guzar, sajid janege to ab riya aa gaya,
Or agar ise is nishan ki taraf kuchh ittifaq nahi to ye nishan, nishan e mehmood hai Or ek jamat ke
nazdeek ayat e kareema me iski tareef hai, Ummid hai ki qabr me firishton ke liye iske imaan wa namaz
ki nishani ho aur roze qiyamat suraj se zyada noorani ho, Jabki aqeeda ahle sunnat wa jamaat ka ho
Warna badtareen gumrah ki kisi ibadat or nishani par nazar nahi hoti.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



*Suwal no. 8*
*Hazrat aap hi bataye isme ye jo behes hai ki aaj kal Short me bas Salam kara Jata hai or isi tarah log short*
*me “wks” likh kar jawab de dete hai, kya ye sahi he*

*Jawab :-8 بسم الله الرحمن الرحيم*
Cham‐chamata “ilmi heera” la‐ilmi ki khaan me,
Musalmano ko adab sikhata SALAM ke byan me
Sirf “Salaam” keh dene se bhi salam ho jaata hai
Jaisa ki,
*Ki quran ke para : 14 ayat:52 me lafz “salam” salam hi ke liye farmaya gaya…*
*Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai,*
“Kuchh (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,”
or isi me hai
“salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعليکم keh diya. Jab bhi Jawab ho gaya”

Musalmano ko Salam Ka Andaz Sikhate huye. Mere *AQA ALAHAZRAT IMAM AHLE SUNNAT,* ASHAH
AHMAD RAZA KHAN *Fatawa Razawiyya Jild: 22, Page:408 Pe farmate hain,*
Kam se kam,, عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ Or isse behtar الله ِورحمة ْ ُ َ َ َ Or sabse behtar وبركاته َ َ َ َ ُ ُ Shamil karna .
Or farmate hai 
عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ ke Jawab me عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ kehne se bhi jawab (ada) ho jayega. Magar sunnat hai ki السالم وعليکم
kahe ..
‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
AHAM MAS’ALA
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn
Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga, Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain,
Tabhi alaHazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran)
Dekar, bad me aage khat padhte.
‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Khulasa e kalam ye hai ki, Jab shariat me ‘salam’ kehna jaiz hai to Kam az kam salam hi kaha jaye magar.
Jawab me bhi ‘salam’ keh diya jaye Or behtar hai ki poora kare. Jaisa ki imam ne smjhaya. Magar
“Wks”.. kuchh nahi hota.. isse parhez chahiye..
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 9*
*Aaj kal dekha jata hai ke kuchh buzurg log masjid me kursi par namaz padte hain. Halanke wo ghar se khud apne pero se araam se chal kar aate hain Kya inka aisa karna durust hai? Ye bhi irshad farmayen ke kab qayam saqit hota hai!*

*Jawab :-9
بسم الله الرحمن* *الرحيم*
Aisa karna bilkul durust nahi is liye ke khade hone se mahaz kuchh takleef hona uzr nahi balke qayam us
waqt saqit hoga k khada na ho sake ya sajda na kar sake ya khade hone me ya sajda karne me zakham
bahta hai ya khade hone me qatra aata hai ya chothaai satr khulta hai ya qirat se majbure mahaz ho jata
hai yun hi khada ho sakta hai magar usse marz me zyadti ho hoti hai ya der me achha hoga ya na qabile
bardasht takleef ho gi to baith kar padhe or . agar asaa yani stick ya khadim ya deewar par tek laga kar
khada ho sakta hai to farz hai k khada ho kar padhe. agar kuchh der khada ho sakta hai agarche itna hi
khada ho ke allahuakber kah le to farz hai k khada ho kar itna kahe

*Bahare Sahriat hissa 3 Jild: 1, Safah: no 58/59*

(Jawab: Maulana Faiz ahmad qadri, manzar e islam)


*Suwal no. 10*
*Kuchh log wuzu ke bad masjid me aakar pehle baithte hai, Fir namaz padhte hai. kya inka aisa karna durust hai*

*Jawab :-10*
*Esa karna sunnat ke khilaf hai. chahiye ki wuzu ke bad sunnat padhe. Agar jamat he to jamat me shamil ho*
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 11*
kuchh logo ko dekha gaya hai ki wo masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te‐shuda jagah par
bethte hai, or baz apna rumal rakh dete hai iska kya hukm he ?

*Jawab
:-11 بسم الله الرحمن الرحيم*
Isme chand surate ho sakti hai, Agar logo ne khud pehli saf tark karke Pichli saf me bethe hain, to ye unki
Kam aqali hai, or Peechhe se aane wale Is surat me agli saf me(jaha jagah khali thi) Me gaya to thik hi
kiya, ki ye izzat unhone Khud khoi, chahiye the ye ki pehle awwal Saf ko bharte, or agar saf e awwal Pehle
se mukammal thi fir koi shaks Jabrnn usme aata ki to ghalat hai ki, isse Saari saf kharab hone ka khatra
hota hai Or namazio ko halat e namaz me Khushu khuzu hasil nahi ho pata
Agar pehle saf me jagah khaali thi, fir Bhi koi khud jaan kar usme nahi bethta Peechhe bethta hai to,
gunahgar nahi, Han, saf e awwal ke swab se mehrum Zarur hai, or afazal yahi tha ki pehli saf Me jaata
magar tark e afzal par shariat me Koi gunah nahi,
Or isi tarah bahut log wuzu karne jaate hai to Saf me apna rumaal rakh dete hai. Isme bhi koi HARAJ
NAHI.
*Yahi bahar e shariat or Fatawa Amjadiya Jild:1 Page: 265 se zahir hai..* Ja‐namaz par rumal rakhne
me koi harj nahi
Aaj maujoda dor me haal yahi hai. ki Logo pehle saf me jaana pasand nahi karte Agar ye hota ki Pehli saf
walo ko Rs.500/‐ diye jaate to Shayad ye Peechhe bethne wala, fajr bad Zohar ka intizar bhi karta or ghar
naa jata Or isi tarah isha bad, fajr ka intizar karta Or saf e awwal ki jagah naa jaane deta.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



*Suwal no. 12*
*Kya Wahabi ke Peechhe namaz Padh sakte hai. ?*

*بسم الله الرحمن الرحيم 12:* *Jawab*
Wahabi, Deobandi, Balki Siwaye Ahle Sunnat (Bareilvi) Imam ke, Har khabees ke Peechhe Namaz Naa
padhe, Agar kahin aisi jagah ho, Jahan sunni imam nahi to bad jamat e wahabia Apni namaz padhi jayegi,
Or agar din jume ka hai to, jumma bad apni Zohar padhi jayegi, ki wahabi ki namaz, namaz nahi,

*Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa* *Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai*
*“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”*

*Or isi FATAWA RAZAWIYYA me aage Jild: 6, safah: 621 par Likhte hai.*
*“Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe*
*namaz batil mehez hai”*

*Or aage isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai*
*“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq*
*me zeher e qatil hai”*

*Fir isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai,*
*“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”*

*Or aage badte hue Imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi*
*FATAWA RAZAWIYYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai*
*“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “*
*‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐* 

Itne bade maulvi balki aalim, balki mufti balki muhaddis, balki mufassir balki mujaddid balki mujaddi e
azam, balki Imam e AHLE SUNNAT or wali e kamil ke itne fatwo ke bad saaf zahir hai. wahabi ke Peechhe
namaz batil hai, jaiz nahi, Or fir bhi koi jaan lene ke bad bhi padhta hai to wo jahalat ke darje par kitni
bulandi Hasil kar chuka hai. ye har ahle aql par roshan hoga.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 13*

*agar ek shaks 1 lakh Rs chhod kar mara hai or uski 1 biwi or 1 ladka or 1 ladki hai to wo 1 lakh me se kisko*
*kitna hissa milega irshad farmaye*

*بسم الله الرحمن الرحيم 13:* *Jawab*

Tamam tarif usi zaati ilm wale allah ki jisne roka aasman ko Bina sutoon ke or ilm e fiqh ki tehqiq me, be‐
aqlo ko qabil e tehqiq kiya. Or wahi ilm wala janne wala hai. or deta hai jise chahta hai apne ilm ke hisse
se, or ghaib se madad karta hai, besaharo ki, nafa bakhsh wata hai makhlook ko makhlook se
or durood us habeeb or rasoolo ke rasool par or har aale‐rasool o ashab par (وسلم عليه الله صلى و وجل َ َ َّ عز( َّ َ
*~---------------------------------------~*
Agar mayyit ki biwi ke sath mayyit ka beta Beti (pota poti…) ho to biwi ko kul maal ka 8va hissa diya
jayega.
*(Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:450)*
Kul maal = 1 lakh Hai,
8va hissa = 12,500 (1,00,000/8=12,500)
bachi raqm = Rs. 87,500

agar beti ke sath mayyit ka ladka bhi ho to beti ki nisbat ladke ko do‐guna hissa banega
*(Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:448)*
Bache maal ka do‐guna hissa
yani
87500/3= 29166.66

Yani
29166.66 + 29166.66 + 29166.66
Beti ka hissa = 29166.66

Bete ka double hissa = 58333.33 (29166.66 + 29166.66)

(33 paise or 66 paise ki barabar taksim Ki wajah se beta beti ke raqam me 1 paise ka Fark, kyunki ab,
aane or paise nahi chalte to Ye 1 paise ka apas me sulah kar sakte hai)
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 14*

*Hazrat agar kisi ne Gusse me 3 talaq de di to kya talaq ho gai ?*

*بسم الله الرحمن الرحيم 14:* *Jawab*

*Pucchi gai surat me aurat ko 3 talaq Ho gai, or ye aurat us aadmi ke liye Humesha ke liye haram ho gai*
*Ab fir usse nikah nahi kar sakta. Baghair halala kiye*

*Suwal no. 15*

*_Khade ho kar nahaye ya beth kar ?_*

*بسم الله الرحمن الرحيم 15:* *Jawab*

*Jaiz dono surate hain, Magar adab bethne me zyada hai*

*Suwal no. 16*

*Hamare nabi ki kitne Nawasa or Kitne nawasi thin,*

*Jawab :-16*

*_Apke kul nawasa nawasio ki tadad 9 thi, Jinme 5 Nawase or 4 Nawasiya thin_*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★


_Suwal no. 17_*

*_Hamare Pyare nabi ki janaze ki namaz kisne padayi ?_*

 *بسم الله الرحمن الرحيم 17:* *Jawab*

*Huzroo ki namaz janaza ke liye log giroh dar giroh, Aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.*
*Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun‐nabiwat) me tehreer farmate hai.*

*_Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne_*
*_namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha, Bari bari se thode thode log andar_*
*_jaate the aur namaz padh Kar chale aate the, lekin koi imam naa tha._*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



_Suwal no. 18_*

*_Kya farmate hain aalim e deen is tehqeeq key Bare me or Hazrat aapki kya ray hai is byan me Ki imam e azam ka laqab “abu hanifa” kaise padha. Or jo log kehte hai unki ek beti thi, hanifa naam ki Jisne kuchh aurato ke Suwal ka jawab diya tha or is shart, Pe ki Jawab ke bad aap mera naam lagaoge. Wagera. Durust hai ya nahi.._*

*بسم الله الرحمن الرحيم 18:* *Jawab*

Ye jo logo ne byan kiya ki...
kuchh aurate imam sahib ke Paas aain or ye Suwal kia ki jab mard 4 shadi kar
sakta Hain ro aurat kyun nahi, or imam sahib ke pas iska jawab Naa tha. Apne walid ko pareshan dekh
kar. Imam sahib Ki beti ne un aurato ko Jawab de diya. Uske baad se Aap abu hanifa yaani (hanifa ke walid) ke naam se mash’hoor Huye.
Awwal to ye ki ye kissa kisi motabar kitab se meri nazar Se Nahi guzra jisse jis kitab se guzra wo motbar
naa thi...
*_~-------------------------------------------~_*
Haq ye he ki, imam sahib ka sirf ek beta tha jinka naam _*Hazrat hammad*_ hai, iske siwa koi aulad hi nahi
To beti ka tasawwur hi nahi. Fir logo ka ye kehna ki un aurato ke Suwal ka Jawab Imam sahib se nahi diya
gaya. Mehez be‐buniyad lagta hai. Dalail e aqliya ke pahad khade kar dene wale imam Se kaise is Suwal
ka Jawab naa bana. ? Jinke bare me ye mash’hoor hai ki. Ek palle me abu hanifa ki aql rakho or doosre
me Baki logo ki to imam ki aqal ghalib ayegi. Jinke bare me ye mash’hoor hai. ki Abu hanifa chahe to
pillar ko sone ka sabit kar de....

Or jo logo ne unki kunniyat Abu Hanifa padh kar ye Andaza kiya ki *“hanifa ke baap”* Main kehta hun
(allah hi ki tofiq se) to fir Abu huraira ko kiya samjha jayega. *“billi ke baap”* ? Abu turab ko kya samjha
jayega *“mitti ke bap”* Hargiz nahi Balki kunniyat me “abu” ka matlab humesha “baap” Ke nahi aata kabhi
“wale” ke liye bhi aata hai. Jaise ki Abu huraira or abu turab se zahir hai. To fir imam ki kunniyat ko
mehez “bap” ki buniyad pe hi Kyun parkha jata hai, Jabki haq ye hai ki. Siwaye beta, unki koi beti thi hi
nahi. Balki ahle faras dawaat ko farsi me “Hanifa” kehte hain. Or imam or unke shagird hamesha Apne
sath ek kalam dawaat rakhte the Jiski wajah se unhe *“abu hanifa”* (dawaat wale) Ke naam se jaana jata
hai..

Or baz ne kaha, deen e haneef ki wajah se Abu hanifa kaha gaya. Magar kisi ki ray me beti ka tazkira nahi.
(siwaye ek qol ke) magar wo hujjat qayam nahi karti

📚 *_Sawane imam e azam Page: 59 par hai. “Zyadatar is baat ki taraf gaye hai ki aapke Ek beta tha jinka naam apne hammad rakha Tha, Inke alawa koi aulad nahi thi.”_*

📕 *_Sawane imam e azam Page: 60 par hai. “Aap apne sath kalam dawat rakhte the or Ahle faras dawaat ko hanifa kehte hai, Or baz ne kaha Aap shiddat se haq taraf raghib or kasrat se Allah ki ibadat karte so, apka naam abu hanifa hua. Or baz ne kaha, Aap mustamil paani ko istimal ke qabil nahi samjhte the Isilye totiyon ka istimal hua, kyunki toti ko hanifa kehte Hai isilye ap abu hanifa hue._*

*Hafiz Shamsuddin ne likha, Baz afraad ne kaha ki apki beti hanifa naam ki thi Lihaza aap abu hanifa huye..LEKIN aapke tazkira nigaron me se ek jamat ne YAQEEN ke sath kaha ki aap ki koi beti naa thi, Or beta bhi hammad or koi naa tha._*

*_Abu hanifa naam Ki wajah bhi guzar chuki to, saaf hai, Aap ki koi beti nahi,. Siwaye ek bete “hammad” ke, Or humari ray humari tehreer se zahir hai._*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 19*

*_Mera ek friend hai Muslim wo Nishant naam ke boy se larki ki awaz nikal ke bat karta he or usne usko apna naam bhi samya bataya he or usse recharge bhi karwata he kya ye sahi he mujhe warsi ji ka Jawab chahiye warsi ji plz urgent requirement for this question._*

*بسم الله الرحمن الرحيم 19:* *Jawab*

*Haram haram haram.* Ladki bankar kisi ko dhoka dena haram. Dhoka de kar phone me recharge karwana
haram. Or aise fel e haram se sache dil se toba karna wajib hai. Or use sach bata kar paise wapas dene ki surat nikale. Warna maaf karye. Ye paise uske zimme baki rahenge ki is tarah dhoka dena kafir ko bhi jaiz nahi.
Or musalman ho kar musalman ladki kaa naam istimal karna ala darje ki behayai.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 20*

*_Ek sheher me logon ne ittifaq ke saath ek makan namaz padne ke liye banaya or us ka naam ibadat gah rakha gaya masjid naam nahi rakha is ki wajah ye ke kabhi admi namaz na padhe to wo ibadatgaah bad dua na kare. Ab us makan me beth kar dunya ki baten karen to ye jaiz hai ya nai? Or us masjid me jumua or eiden ki namaz bhi hoti hai lakdi ka mimbar bhi hai. Lekin mehraab nahi bani to makan ka martaba masjid ka hoga ya nahi is me dunya ki bate karna durust hai ya nai?_*

*بسم الله الرحمن الرحيم 20:* *Jawab*

Jis makan ko ibadatgah ka naam diya gaya, Taki log usme namaz padhe to usme namaz ki Ijazat din ya
khas namazo ke liye di gai ya mutlaqan. Yani sirf juma ya eed ramazan wagera me hi makan ko namaz ke
liye khali rakha jata hai ya aam din bhi agar aisa nahi Or usme waqt ki koi qaid bhi nahi or waha namaz
Juma eed bhi hui, to wo masjid hi hai, Fir chahe uska naam ibadatgah hi rakha jaye Or ma’ne ke aitbar se

musalman ke liye uska ibadatgah Ko masjid hi kehte hain, or masjid ko masjid hone ke liye Miran ya
mehrab ka hona zaruri nahi, ittifaq ke sath, (jaise ki Suwal me hai) musalman ne mil kar namaz ke Liye makan mukarrar kiya or arkaan e islam (namaz) Bhi ada hui balki jume balki eed bhi… Or ye makan (agar)
khas waqt ke liye nahi tha to. Masjid hi hai Ab jab wo

masjid hi hai. to us par sare ehkam masjid ke hi Honge. Yani wahan beth kar jaiz baate karna bhi najaiz hain Or bator e tafrih yaha majma laga kar bethna
or baate karna, Khana peena kuchh jaiz nahi, be‐niyat e etikaaf.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



Suwal no. 21*

*_Touba ki ummid par jaanboojh kar gunah karna kaisa? Maslan yaar abhi to mere matlab ka gaana (song) ya movie wagera aa rahi hai isko sunne ya dekhne ke baad ya iske alawa bhi koi Gunah kar lu fir touba kar lunga. Aisa karna ya sochna kaisa.?_*

*بسم الله الرحمن الرحيم 21:* *Jawab*

*Tauba ki 4 sharait hoti hai.*

*_1. pichle gunah par sharmindagi_*
*_2. haal me ise chhor dena_*
*_3. mustaqbil me kabhi iski taraf naa lotna_*
*_4. gunah ki talafi ho (haq wagera ke mamle me, to use de)_*

agar koi shakhs filhaal to gunah chhor de magar ye ki fir kar lunga or tauba kar lunga is tarah kare to sachi toba karne walo me shumar nahi. Or is tarah ka irada karne walo ke liye ek hadis *Shuabula iman* me
naql hai jiske raawi ibne abbas hai, Farmate hain: *Gunah par qayam reh kar tauba karne wala, apne rab ka Mazak udane wale ki tarah hai,*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★




Suwal no. 22*

*_Namaz ke har rukn me nazre kaha honi chahiye ?*_
  *بسم الله الرحمن الرحيم 22:* *Jawab*

*Qiyam me‐ Sajde ki jagah*
*Ruku me‐Qadmo par*
*Koma me‐ sajde ki jagah*
*Sajde me‐ naak par*
*Qa’da me‐ God me*
*_Or namaz me ye fail mustahab hai, Or iske khilaf bhi kare to namaz ho jayegi_*

*_Suwal no. 23_*

*_qa’ada akhira me agar muqtadi durood pak tak hi padh paya or imam ne salam fer liya to kya muqtadi ko bhi usi waqt salam fer lena chahiye ya azabn‐naar Tak mukammal padh kar salam fere?_*

*بسم الله الرحمن الرحيم 23:* *Jawab*

*Tashahud padh chuka ho or durood naa padhi ho Ya durood bhi padh li ho or dua naa padhi HO TO bhi Salam fer sakta hai. or agar tashahud yani attahiyyat Abhi mukammal naa hui ho to, chahiye ki poori kare. Imam ke salam fer‐ne se muqtadi namaz se bahar Naa hoga jab tak khud ka salam naa fer le.*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★



*Suwal no. 24*

*Etikaf ki halat me agar reeh baar baar aye to kya kare?*

*بسم الله الرحمن الرحيم 24:* *Jawab*

*Gair e motakif ko masjid me reeh kharij (gais) karna makruh hai. Or etikaf wale ko ye bhi nahi Jaise ki*

*FATAWA Razawiyya Jild:16 Page:289*

*par Mere AQA AlaHazrat imam ahle sunnat, Ashha imam AHMAD RAZA KHAN (alaihirrehma) Ne Chamkte suraj ki tarah SAAF Byan farma diya ki “Masjid me hadas yani (reeh) kharij gair e mutakif ho makruh Use chahiye ki aise waqt bahar jaaye. Fir chala aaye. Warna sabse behtar ilaj hai ki etikaf ki niyat se masjid me bethe..*

*(yahi etikaf wala is kaam ke liye masjid se bahar nahi jaa sakta)*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★

📣Salato Salam Naat O Manqabat📢

1️⃣Ya Ilahi Rahem Farma Mustapha Ke Waaste

Ya Rasoolallah Karam Ki'jiye Khuda Ke Waaste.

Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste

Kar Balaa-e-Rad Shaheede Karbala Ke Waaste.

Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe

I'lm-e-Haq deh Baaqir-e-I'lm-e-Huda Ke Waaste

Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar

Be Ghazab Raazi hoh Kaazim aur Raza Ke Waaste

Bahre Ma'roof wa Sirri Ma'roof de Be'khud Sirri

Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste

Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutto Se Bacha

Ek ka Rakh Abde-Waahid Be Riya Ke Waaste

Bool Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn wa Sa'ad

Bool Hassan aur Bu Saeede Sa'ad-e-zaa Keh Waaste

Qaaderi Kar Qaaderi Rakh Qaaderiyo me ut'ha

Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste

Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan

Banda'e Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste

Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh

De Hayaat-e-Deen Muhiy'ye Ja Fizaa Ke Waaste

Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa

De Ali Moosa Hassan Ahmed Bahaa Keh Waaste

Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar

Bheek De Daata Bhekaari Badsha Keh Waaste

Khana'e Dil ko Zia De Roo'e Imaan Ko Jamaal

Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya Ke Waaste

Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye

Khaane Fazlullaha se Hissah Gada Ke Waaste

Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se

Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima Keh Waaste

Hubbe Ahle Bait de Aale Muhammad Ke Liye

Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste

Dil Ko Ach'cha Tann Ko Sutra Jaan Ko Pur noor Kar

Ache Pyaare Shamsuddeen Badrul Ula Ke Waaste

Do Jaha me Khaadime Aale Rasoolullah Kar

Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste

Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De

Bul Husain-e Ahmade Noori Liqaa Ke Waaste

Kar 'Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe

Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waaste

Haamido Mahmoodo Ham'maado Ahmad Kar Mujhe

Mere Maula Hazrate Haamid Raza Ke Waaste

Saaya-e Jumla Mashaa'ikh Ya Khuda Hum Par Rahe

Rahem Farma Aale Rahman Mustapha Ke Waaste

Behr-e-Ebraheem bhe lut'fo ataa'eh khaas ho

Noor ki Baarish sadaa ibne Raza keh Waasteh

AI KHUDA AKHTAR RAZA KO CHARKH PAR ISLAM KEHRAKH DARAKSHAA HAR GHARRI APNI RAZA KEH WAASTEH



2️⃣Jisne Hamko Diya Hai Khuda Ka Payam
Jiska Ala Hai Rutba Hai Ala Maqam
Jinke Sadke Me Hai Ye Zami Aasman
Jinki Tareef Me Hai Ye Sara Quraan
Sare Nabiyo Me Ala Hai Jinka Makam
Kyu Na Unpar Padhe Jhum Kar Ham Salam
Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam
Shamye Bazme Hidayat Pe Lakho Salam

Darde Dil Naam Lene Se Hota Hai Kam
Isliye Naam Aaqa Ka Lete Hai Ham-2
Jhoom Kar Likh Raha Hai Raza Ka Kalam
Shahre Yaare Iram Taj Dare Haram
Nou Bahare Shafa'at Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat...

Aaya Saa'il To Muh Ka Niwala Diya
Najar Altaf Dali Gani Kar Diya-2
Anpe Nana Ka Wada Wafa Kar Diya
Ghar Ka Ghar Sab Supurde Khuda Kar Diya
Us Husain Ibne Haidar Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Jinki Maa Fatima Aur Hai Nana Rasool
Kitni Pakiza Hai Unke Kadmo Ki Dhool-2
Marhaba Marhaba Wo Hai Ale Rasool
Kitne Mahke Huye Hai Madine Ke Phool
Karbala Teri Kismat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Kitni Arfa Hai Shaane Habibe Khuda
Malike Do Saran Sarware Ambiya-2
Muqtadi Jis Ke Sab, Sab Ka Jo Muqtada
Jis Ke Zere Leva Aadmo Mansava
Us Saza e Siyadat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam....

Duba Suraj Kisi Ne Bhi Phera Nahi
Koi Misle Yadullah Bhi Dekha Nahi-2
Jiski Taqat Ka Koi Thikana Nahi
Jisko Baare Do Alam Ki Parvah Nahi
Ese Baazu Ki Quwwat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam...

Kamli Wale Ki Jisko Rafaqat Mili
Sab Sahaba Ki Jisko Imamat Mili-2
Sabse Pahle Jise Hai Khilafat Mili
Baad Nabiyo Ke Jisko Hai Izzat Mili
Uske Taaje Khilafat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat Pe Lakho Salam...

Deeno Duniya Diye Maal Aur Zar Diya
Hooro Ghilman Diye Khuldo Kausar Diya-2
Damne Maqsade Zindagi Bhar Diya
Hath Jis Samt Utha Ghani Kar Diya
Mauje Behre Sakhawat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam....

Jinki Ajmat Pe Sadke Wakaare Haram
Jinki Julfo Pe Sadke Bahaare Haram-2
Nou Shaye Bazme Parvar Digare Haram
Shahre Yare Iram Tajdare Haram
Nou Bahare Shafa-at Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Jiske Chahre Pe Jalwo Ka Pahra Raha
Najmo Taha Ke Jurmut Me Chehra Raha
Husn Jiska Har Ek Chhab Me Gahra Raha
Jiske Mathe Shafa-at Ka Sahra Raha
Us Jabine Sa-aa dat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

La Maqa Ki Zami Bahre Kaaba Jhuki
Rif Ate Manzile Arshe Ala Jhuki
Ajmate Qiblaye Deeno Duniya Jhuki
Jinke Sajde Ko Mehrabe Kaaba Jhuki
Un Bhawon Ki Latafat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Pad Gayi Jis Pe Mehshar Me Baqsha Gaya
Dekha Jis Samt Abre Karam Chha Gaya
Rukh Jidhar Ho Gaya Jingadi Pa Gaya
Jis Taraf Uth Gayi Dam Me Dam Aa Gaya
Us Nigahe Inayat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Jis Ke Jalwe Jamane Pe Chhane Lage
Jiski Jou Se Andere Thikane Lage
Jis Se Julmat Kade Noor Pane Lage
Jis Se Tarif Dil Jagmagane Lage
Us Chamak Wali Rangat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Kuljume Husn Ki Jinko Shakhe Kahen
Jin Se Sote Latafat Ke Futa Karen
Jin Se Nahre Tajalli Ki Jari Rahen
Noor Ke Chashme Lahraye Dariya Bahen
Ungliyo Ki Karamat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Kaabaye Deeno Din Yaani Nakshe Qadam
Jinki Ajmat Nahi Arshe Azam Se Kam
Har Bulandi Ka Sar Ho Gaya Jis Pe Kham
Khayi Kur'aa Ne Khake Guzar Ki Kasam
Us Kafe Pa Ki Hurmat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Me Bhi Hu Ek Gada Ye Dare Auliya
Me Bhi Hu Ek Sage Kuye Gousul Wara
Me Bhi Hu Zar'raye Kuchaye Mustafa
Tere Un dosko Ke Tufaile Khuda
Bandaye Nange Khil'kat Pe Lakho Salam
Mustafa Jane Rahmat....

Abre Judo Karam Kis Pe Barsa Nahin
Tera Lutfo Karam Kis Pe Dekha Nahin
Kis Jaga Aur Kahan Tera Jalwa Nahin
Ek Mera Hi Rehmat Pe Daawa Nahin
Shah Ki Sari Ummat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat...

Aftabey Qayamat Ke Badley Hon Taur
Jab Ke Ho Har Taraf Nafsi, Nafsi Ka Dour
Jab Kisi Ko Na Ho Fursato Fikro Gour
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bhejein Sab Unki Shaukat Pe Lakhon Salaam
Mustafa Jane Rehmat...

Murshidi Shah Ahmad Raza Kha'n Raza
Faiziyabe Kamalate Hassan Raza
Sath Akhtar Bhi Ho Zam Zama Kha'n Raza
Mujhse Khidmat Ke Kudsi Kahe Ha Raza
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakho Salam
Shamye Bazme Hidayat Pe Lakho Salam



3️⃣Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Shehre-Yaare Hiram Tumpe Lakhon Salaam
Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Taj-Daare Haram Tumpe Lakhon Salam
Khatam-UL-Ambia Sayed-UL-Asfiya
Khatam-UL-Ambia Sayed-UL-Asfiya
Ek Nigah-E-Karam Tumpe Lakho Salam
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Apne Bimare Ghum Ki Dawa Kijiye
Apne Daman Ki Mujhko Hawa Dijiye (Hawa Dijiye)
Ap Shamshujuha Ap Badruduja
Ap Shamshujuha Ap Badruduja
Shahe Naa Ho Kalam Tumpe Lakhon Salaam
Shahe Naa Ho Kalam Tumpe Lakhon Salaam
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Shehre-Yaare Hiram Tumpe Lakhon Salaam
Ap Chahe To Pal Mein Shafa-At Mile
Ap Chahe To Pal Mein Shafa-At Mile
Aye Tabeeb-E-Mohtaram Tumpe Lakhon Salam
(Tumpe Lakhon Salam)
Aye Tabeeb-E-Mohtaram Tumpe Lakhon Salam
(Tumpe Lakhon Salam)
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Shehre-Yaare Hiram Tumpe Lakhon Salaam
Taj-Daare Haram Tumpe Lakhon Salam
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara
Ya NABI Ya NABI Ya NABI UL Huda
Ya Shafi Ya Shafi Ya Shafi UL Wara



4️⃣Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Jashn-e-Milad un nabi hay
Noor ki chaadar tani hay
Roshani hi roshani hay
Har taraf yay doom machi hay

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Ya habeeb-e-rab-e-daawar
Azpa-ay Siddeeq-e-Akbar
Aur Umar Usmaan O Haydar
Chashmay Baytar Do qalb-e-uzz par

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Rahmatal Lil Aalameena
Ho ataa aysa kareena
Daykh kar meetaa madina
Ishq-e-main patjaa ay seena

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Aakhari lamhay jab aa-ain
Kaash wo tashreef laa-ain
Apnay jalwon main gumaa-ain
Joom-e-kar ham gun gunaa-ain

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Hashr-e-main sarkaar-e-aanaa
Mere ayb ko chupaana
Apnay rab say bakhsh
Saath-e-jannat Me bassaana

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Rehmato Kay Taaj Wale
Do Jahan Ke Taaj Wale
Arsh Ki Meraj Wale
Ashiyon Ki Laaj Wale

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Mustafa khir ul wara ho
sarware har do sara ho
apnay achoon ka tasaduk
hum badoon ko bhi niba ho

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Amina Bibi ka jaya
baharwi tareekh aaya
subhe saadiq nay sunaya
Swalawatullah alaika

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

As-tufailay Ghouse Azam
Ganj Bakhsay faizay Azam
Sadqaye Imam e Azam
Door Houn Sabhi Kay Ranj O Gham

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Baksh Do Jo Cheez Chahu
Kiyu Ki Mahboob E Khuda Ho
Mustafa Ho Mujtaba Ho
Jo Kahun Ussay Siwa Ho

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Jaan Kani Ke Waqt Aana
Kalima E Tayyab Padhana
Hume Saita(n) Se Bachana
Apne Daman Me Chupana

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Wastaa Ye Aale Aba Ka
Sadka Hajrat Fatima Ka
Aur Shaheede Karbala Ka
Gham Na Ho Rozey Jaza Ka

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Jaan Kar Kafi Sahara
Le Liya Hai Dar Tumhara
Khalq Ke Waris Khudara
Lo Salam Ab To Hamara

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Aye Shahanshahe Zamana
Aapka Ye Aastaana
Rahmaton Ka Hai Khajana
Ho Nagahe Maharbaana

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Aye Shahanshahe Madina
Noor Se Mamoor Sina
Mushk Se Bahtar Pasina
Dekhle Ham Sab Madina

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika

Oh The Master Of All Ages
This Is All Your Kingdom
You Is The Reservoir Of Mercy
Gaze Upon Us With Your Eyes

Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasul Salaam Alaika
Ya Habib Salaam Alaika
Salawatullaah Alaika



5️⃣Khairul Bashar Par Lakho Salaam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Sab ko muyassar ho yeh makam
Pahuche madine ban karf Ghulam
Padhte durood aur padhte salaam

Arshe baree tak charcha tera
Shams o Qamar hai sadqa tera
Aye maahe kaamil husne tamam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Rab ki khushi hai mansha tera
Mansha hai rab hai teri riza
Tera sukhan hai rab ka kalaam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Roaze azal joh chamka tha noor
Mehshar me hoga uska zuhoor
Awwal se aakhir tera hi naam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Jinn o Malaeek tere ghulam
Sab se siwa hai tera maqaam
Yaseen O Taha tere hi naam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Teri sana hai mera naseeb
Qurbaan tujh par jaan e Adeeb
Tujh par tassaduq aalam tamaam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Tu Hi Hai Aaqa Tu Hi Raheem
Tujhse Juda Hai Mera Naseeb
Kar De Karam Ye Mange Fakeer

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam

Aala Se Aala Tera Makam
Sab Auliya Bhi Tere Gulam

Ham Padh Rahe Hai Tujh Par Salam

Khairul Bashar par lakho Salaam
Lakho durood aur lakho Salaam



6️⃣Allah humma salle ala syed e na wa maulana muhammadin
wa ala aali hi wa ashabhi hee wabarak wasallam.

Sabse aala wa aala hamara nabi
Sabse bala ba bala hamara nabi
Apne maula ka hamara nabi
Dono aalam ka dulha hamara nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na dube na duba hamara nabi
Sab chamak wale ujno me chamka kiye
Andhe seeso ne chamka hamara nabi

Jiski Do Boond Hain Kausaer O Salsabeel
Hain Wo Rehmat Ka Dariya Hamara Nabi
Jiske Talwon Ka Dhovan Hai Aabe Hayaat
Hain Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi(saw)

:- Sarkar ke kadam ka kya mukaam hai jante hai aap
Description pe nahi jaunga tafseel me jaunga
Sirf is ser me aap ham ashiqane rasool samjh jayenge -:

Kadmo me jabi ko rahne do
Chahre ka tassabur mushkil hai
Jab chand se badkar yehi hai
To rukhsaar ka aalam kya hoga

Ya gouse aajam
Hath me hath dena mera kaam tha
Ab ye nisbat nibhana tera kaam hai
Pahle ulfat me khashti bada mene di
Ab kinare lagana tera kaam hai

Ya gouse aajam
Fayda bait hone se ye to hua
Me bura ya bhala tere hatho bika
Ye andero bhara dil tumhe de diya
Isme samma jalana tera kaam hai

Jitthe mere hujur tha dera hai
Utthe rahta sada sawera hai
Ye jo kabar me aaqa aa jayenge
Imaan ka aalam kya hoga

Mulke kounain me ambiya tajda
Tajdaro ka aaqa hamara nabi
Jinke talbo ka dowan hai aawe haya
Hai wo jane masiha hamara nabi

Mangane walo humko to yu chahiye
Mangana aur kise se bhi kyu chahiye
Kon deta hai dene ko muh chahiye
Dene wala hai sachha hamara nabi

Jab husan tha unka jalwa nuwa
Anwar ka aalam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
Deedat ka aalam kya hoga

Allah humma salle ala syed e na wa maulana muhammadin
wa ala aali hi wa ashabhi hee wabarak wasallam.



7️⃣Kaabe Ke Badrudduja Tumpe Karoron Durood 

Kaabe ke Badrudduja tumpe karoron durood
Taiba ke Shamsud Duha tumpe karoron durood
Shaafa’e Roze Jazaa tumpe karoron durood
Daafa’e jumla balaa tumpe karoron durood
Dil karo thanda mera woh kaffe paa chaand sa
Seene pe rakhdo zaraa tumpe karoron Durood
Aur koyee Ghayb kya tum se Nihaan ho bhalaa
Jab na Khudaa hi Chupaa tumpe karoron Durood
Wo Shabbe Me’raj raaj woh safe Mehshar ka Taaj
Koyee bhi aisa huwa tumpse karoron Durood
Kar ke tumhare Gunaah mange tumhee se Panaah
Tum kaho Daaman me aa tumpe karoron Durood
Tum ho Haafiz-o-Mughees kya ha woh Dushman Khabees
Tum ho to phir khauf kya tumpe karoron Durood
Ek taraf A’daa’e Deen ek taraf he Haasideen
Banda he tanha Shaha tumpe karoron Durood
Hum ne khataa me na ki tum ne ataa me ki
Koyi kami sarwaraa tumpe karoron Durood




8️⃣Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Aayenge Tere Ghar Me Mere Mustafa
Teri Chamkegi Kismat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Sarbare Do Jaha Rab Ke Dildaar Ka
Dil Me Arma Hai Gar Unke Didar Ka

Aap Salle-ala Padh Ke So Ja Iye
Unki Hogi Jiyarat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Me Lahad Me Kahunga Nadeerain Se
Samne Se Hato Dekhne Do Mujhe

Rat Din Kah Rahi Thi Meri Zindagi
Inki Dekhenge Surat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Isme Ham Sunniyo Ko Koi Shak Nahi
Aur Ahle Raza Ko Hai Kamil Yaki

Zarra Bhar Jiske Dil Me Hai Ishke Nabi
Bo Bhi Jayenge Jannat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Pao(n) Maa Ka Dawana Tu Mat Chhodna
Unki Khidmat Se Hargij Na Muh Modna

Payari Maa Ki Duao(n) Ke Sadke Teri
Dur Hogi Musibat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi

Tere Sar Pe Balao Ka Tufan Hai
In Dino Tu Bahut Hi Pareshan Hai

Roz Kuraa(n) Ki Ghar Me Tilawat Karo
Bhag Jayegi Aafat Kabhi Na Kabhi

Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo
Rang Layengi Ulfat Kabhi Na Kabhi




9️⃣Tajdare Madina ke Jalway

Tajdare madina ke jalway
Jin ke dil mein samaye hue hein
Door reh kar wo pur ba aashna hein
Dil madina banaye hue hein

Jinko unki tawajjoh ne pala
Unki rehmat ne jinko nawaza
Un gadaon ka kya puchhte ho
Wo zamane pe chhaye hue hein

Mere aaqa ki jin par nazar hai
Donon aalam ki unko khabar hai
Jinka maksood unka hi dar hai
Saare asraa wo paaye hue hein

Aale at'har ka sadka ata ho
Muflisi ka hamari bhala ho
Ae sakhi aap ke dar pe ham bhi
Damane dil bichhaye hue hein

Tees paron mein jo kuchh likha hai
Sar ba sar sirate mustafa hai
Unki sirat mein jo dhal gaya hai
Us pe rehmat ke saaye hue hein

Meri aukat kuchh bhi nahin hai
Khud meri zaat kuchh bhi nahin hai
Mere sarkar ka ye karam hai
Baat meri banaye hue hein

Aarazu e karam dil mein le kar
Khali dil ke sakhi aastan par
Ungaliyan auliya asfiyan sab
Apne kaase badhae hue hein



1️⃣0️⃣Zahno Me Fikre Raza Ko Basakar

Zahno Me Fikre Raza Ko Basakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao
Dil Me Bareli Ka Naksha Jama Kar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Faije Mujahid Ko Pane Ke Khatir
Najdi Ki Dhajji Udhane Ki Khatir
Ahmad Raza Khan Ka, Nara Lagakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Jisne Ke Dushman Ko Chheda Nahi H
Gar Chhid Gaya To Chhoda Nahi H
Massage, Ye Sare Jaha Ho Sunakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Mahsar Me Bage Iram Chahate Ho
Gar Mustafa Ka Karam Chahate Ho
Muflis Ko Seene Se Apne Lagakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Jo Bhi Mere Mustafa Ka Nahi Hai
Usse Hamara Bhi Rishta Nahi Hai
Ese Ko Mahfil Se, Apni Bhagakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Zahno Me Fikre Raza Ko Basakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao
Dil Me Bareli Ka Naksha Jama Kar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Dil Me Mujahid Ki Rakhte Ho Chahat
To Tum Banalo Hasi Apni Aadat
Unke Nawase Ko, Apna Banakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao

Zahno Me Fikre Raza Ko Basakar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao
Dil Me Bareli Ka Naksha Jama Kar
Marde Mujahid Ka Nara Lagao



1️⃣1️⃣Sooni Sooni Dagar Ujda Ujda Chaman

Sooni sooni dagar ujda ujda chaman
Bin tere ye na mahkega Mushk E Khutan
Sooni sooni dagar ujda ujda chaman
Bin tere ye na mahkega Mushk e Khutan
Toot kar jaise gir jayega ye gagan
Meri maa tu hai jannat me mast-o-magan
Toot kar jaise gir jayega ye gagan
Meri maa tu hai jannat me mast-o-magan
Kaise tujh ko kahun phir se aaja yahan
Kaise tujh ko kahun phir se aaja yahan
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa
Sabr karta to hun sabr aata nahi
Samne teri soorat koi lata nahin
Sabr karta to hun sabr aata nahi
Samne teri soorat koi lata nahin
Tera paigham ab koi lata nahi
Dard dil haay re mera jata nahin
Tera paigham ab koi lata nahi
Dard-e-dil haay re mera jata nahi
Kisko apni sunayenge ham dastan
Kisko apni sunayenge ham dastan
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa
Mere walid ka (taader) saya rahe
Unki chshmon inayat ka dariya bahe
Mere walid ka taa dere saya rahe
Unki chshmon inayat ka dariya bahe
Unki mehntat mushqqat se ham hain pale
Dil se khidmat karen unki ab bin kahe
Unki khidmat ka wada liya tune haan
Unki khidmat ka wada liya tune haan
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa
Meri maa teri mamta pe qurban mai
Bhool jaaun na maula ka farman mai
Meri maa teri mamta pe qurban mai
Bhool jaaun na maula ka farman mai
Yaad kar kar ke ho jaun hairan mai
Tujh ko padh padh ke bakhshuga quran mai
Yaad kar kar ke ho jaun hairan mai
Tujh ko padh padh ke bakhshuga quran mai
Tera beta hai ahmed aur tu uski maa
Tera beta hai ahmed aur tu uski maa
Meri maa, meri maa, meri maa, o meri maa
Meri maa, meri maa, meri maa o payari maa



1️⃣2️⃣Taajdaare Haram Aey Shahenshahe Deen
Taajdaare Haram Aey Shahenshahe Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Ho Nigahe Karam Hum Pe Sultaane Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Koi Husne Amal Paas Mere Nahin
Fas Na Jaoon Qayamat Me Maula Kahin
Aey Shafiey Umam Laaj Rakhna Tumhi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Maut Ke Waqt Kardo Nigahe Karam
Kaash Is Shaan Se Ye Nikal Jaaye Dam
Sange Dar Par Tumhaare Ho Meri Jabi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Door Rah Kar Na Dam Toot Jaaye Kahin
Kaash Taiba Me Aey Mere Maahe Mubeen
Dafan Ho Ne Ko Mil Jaaye Do Gaz Zami
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam

Phir Bulaalo Madine Me ‘Attar’ Ko
Yeh Tarap Ta Hai Tayba Ke Deedar Ko
Koyi Iske Siva Aarzoo Hi Nahi
Tumpe Hardam Karoron Durood Salaam


1️⃣3️⃣Aey Sabaa Mustafa Se Keh Dena
Aey Sabaa Mustafa Se Keh Dena
Ghum Ke Maare Salaam Kehte Hai
Yaad Karte Hai Tumko Shamo Sahar
Besahare Salaam Kehte Hai
 
Allah Allah Huzoor Ki Baate
Marhaba Rango Noor Ki Baate
Chand Jinki Balaye Leta Hai
Aur Taare Salaam Kehte Hai
 
Jab Muhammad(s.a.w) Ka Naam Aata Hai
Rehmato Ka Payaam Aata Hai
Lab Hamaare Durood Parte Hai
Dil Hamaare Salaam Kehte Hai
 
Allah Allah Huzoor Ke Gesu
Bheeni Bheeni Mehakti Woh Khushboo
Jinse Ma’moor Hai Fazaa Harsu
Woh Nazaara Salaam Kehte Hai
 
Zaire Taiba Tu Madine Me
Pyare Aqa Se Itna Keh Dena
Aap Ki Garde Raah Ko Aqa
Besahare Salaam Kehte Hai
 
Zikr Tha Aakhari Mahine Ka
Taz Karaa Chir Gayaa Madine Ka
Hajiyo Mustafa Se Keh Dena
Ghum Ke Maare Salaam Kehte Hai





1️⃣4️⃣Sab se aula wa aala hamara Nabi
Sab se aula wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi
 
Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi
 
Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi
 
Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi
 
Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi
 
Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi
 
Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi
 
Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi
 
Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi
 
Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi
 
Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi




1️⃣5️⃣ Jashnay Eiday Bharaween Mana, Agayay Huzoor Agayay
Dilko Apnay Ayeena Bana, Agayay Huzoor Agayay

Aasamaan say bholey yai zameen, merai jaisa ab koi nahin
Agayay hain mujhe main mustafa, Agayay Huzoor Agayay

Jab nabi huway hai jalwaghar, bhoot ghirai hain sab zameen par
kabahtullah paak ho gaya, Agayay Huzoor Agayay

Farash say ta arsha dekhiyay, marhaba ke dhoom hain machey
Hoor-o-ghilma nai bhi yai kaha, Agayay Huzoor Agayay

Ho mubarak Amena kai ghar, agayay shafiyay behrobar
Ghoodh main tumharai Amena, Agayay Huzoor Agayay

Door sarey muskilay huween, rehmatoon ke barishay huween
Bowl uthi Halima Sadia, Agayay Huzoor Agayay

Naaz kar tu Faruq Ashrafi, tuhain sanakhanay nabi
(Naaz kar Nizam Ashrafi, tuhain sanakhanay nabi)
Tu ghulam unka hogaya, Agayay Huzoor Agayay




1️⃣6️⃣Chamak tujhse paate hai sab paane walay
Chamak tujhse paate hai sab paane walay,
Mera dil bhi chamka de chamkane walay.

Barasta nahi dekh kar Abre Rehmat,
Badon par bhi barsa de barsa ne walay.

Mera Dil bhi chamka de chamkane walay,
Chamak tujhse paate hai sab paane walay.

Mai mujrim hu Aaqa mujhe saath le lo,
Ke raste me hai jaa baja thaane walay.

Mera Dil bhi chamka de chamkane walay,
Chamak tujhse paate hai sab paane walay.

Tu zinda hai Wallah tu zinda hai Wallah,
Mere chasme aalam se chup jaane walay.

Mera Dil bhi chamka de chamkane walay,
Chamak tujhse paate hai sab paane walay.

Madine ki khitte Khuda tujh ko rakhe,
Gareebo faqeero ke tahraane walay.

Mera Dil bhi chamka de chamkane walay,
Chamak tujhse paate hai sab paane walay.

Raza nafs dushman hai dum me na aana,
Kaha tu ne dekhe hai chand raane walay.

Chamak tujhse paate hai sab paane walay,
Mera Dil bhi chamka de chamkane walay



1️⃣7️⃣Shehre Nabi Teri Galiyo Ka
Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai,

Khuld bhi hai mustaq ziyarat jalwa hi kuch aisa hai.

Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai,

Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai.

Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi,

Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai.

Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai,

AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai.

RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho,

Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai.

Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha,

Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai.

Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai

Unke gulaamo ka ai “Akhtar” rutba hi kuch aisa hai.


1️⃣8️⃣Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai
Sallay Ala Ke Dhoom Machawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.
Youm-E-Wiladat Khoob Manawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Jin Kay Karam Nay Meri Jabeen Ko, Zowkay Ibadat Baksha Hai.
Aisay Nabi Ka Jashn Manawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Raat Ki Rani Taiba Jana, Phoolon Sai Bhi Keh-Dena.
Mere Nabi Ke Khusboo Lawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Do Do Eidain Humko Mili, Milad-E-Nabi Ke Sadke Mein.
Apnay Nabi Ka Jashn Manawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Rahmat-E-Alam Noore Mujassam, Shafa E Mehshar Ayai Gai.
Masjid-O-Mimbar Khoob Sajawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Sari Khushiyan Humko Mili, Milad-E-Nabi Ke Sadke Mein.
Aaj Kisi Ka Dil Na Dukhawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Aap Kai Aashiq Ka Seena Hai, Ye To Koh-E-Toor Nahi.
Parda Rukhe Anwar Sai Hatawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.

Jashn-E-Nabi Hai Khusyan Manawo, Aao Nabi ke Diwano.
Apnay Nabi Ki Naat Sunawo, Mahe Rabi’ Al-Awwal Hai.



1️⃣9️⃣Gunaahon Ki Aadat Chura Mere Mola
Gunaahon ki aadat chura mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
 
Jo tujhko, jo teray Nabi ko pasand hai,
Mujhay aisa banda bana mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
 
Tu masjood mera, mein sajid hoon tera,
Tu malik mein banda tera mere mola,
Mujhay neik insan bana meray mula.
 
Tu lay ga agar adl se kaam apne,
Mein hoon mustahiq naar ka mere mola,
Mujhay neik insan bana meray mula.
 
Jo rehmat teri shaamil-e-haal ho to,
Thikana hai jannat mera mere mola,
Mujhay neik insan bana meray mula.
 
Tujhe to khabar hai mein kitna bura hoon,
Tu aibun ko mere chupa meray mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
 
Meri ta-qiamat jo naslein hoin Ya Rab,
Hon sab Ashiq-e-Mustafa meray mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
 
Na muhtaj kar tu, jahan mein kisi ka,
Mujhe muflisi say bacha mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.
 
Hain kaabay pe nazrein Ubaid-e-Raza ki,
Ho maqbool har ek dua mere mola,
Mujhe naik insaan bana mere mola.



2️⃣0️⃣Mujhe Dar pay phir bulana
Mujhe Dar pay phir bulana, Madani
Madine Wale
Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale

Meri aankh me samana, Madani
Madine Wale Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale

Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi
Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale

Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain
Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale

Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay
Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale

Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina
Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale

Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar
Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale

Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali
Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale

Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai
Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale

Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar
Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale

Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar
Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale

Tu Khuda ke baad behtar, sabhi say mere Sarwar
Tera Haashmi gharana, Madani Madine Wale

Teri farsh par hukumat, Teri Arsh par hukumat
Tu Shahinsha e Zamanah, Madani Madine Wale

Tere Khalq sab say A’ala, Tera Husn Sab say pyara
Fida Tujh pay sab zamanah, Madani Madine Wale

Kahoon kis say aah jakar, sunay kaun mere dil-bar
Mere dard ka fasana, Madani Madine Wale

Ba-A’ata e RABB daem, Tu hi rizq ka hai Qasim Hai
Tera sab aabo-danah, Madani Madine Wale

Mai ghareeb bay-sahara, kahaan aur hai guzara
Mujhe Aap hi nibhana, Madani Madine Wale

Yeh karam bada karam hai, Tere haath me bharam hai
Sar-e-hashr bakhsh-wana, Madani Madine Wale

Kabhi jau ki moti roti, to kabhi khajoor pani
Tera aisa sada khana, Madani Madine Wale

Hai chataee ka bichona, kabhi khaak hi pay sona
Kabhi haath ka sar-hana, Madani Madine Wale

Teri saadgi pay lakho, Teri aajizi pay lakho
Ho salaam-e-ajizana, Madani Madine Wale

Mile naza me raahat, rahoon qabr me salamat
Tu azaab say bachana, Madani Madine Wale

Ai Shafi e Roz e mehshar! hai gunah ka bojh sar par
Mai phasaan mujhe bachana, Madani Madine Wale

Gup andheri qabr me jab, mujhe chor kar chale sab
Meri qabr jug magana, Madani Madine Wale

Mere Shah! waqt e rukhsat, mujhe meetha meetha sharbat
Teri deed ka pilana, Madani Madine Wale

Pas marg Sabz Gumbad, ki Huzoor thandi thandi
Mujhe chaoon me sulana, Madani Madine Wale

Mere Walidain mehshar mein, go bhool jae Sarwar
Mujhe Tum na bhool jana, Madani Madine Wale

Shaha tangi badi hai, yahaan dhoop bhi kadi hai
Shahe Hauz e Kauthar aana, Madani Madine Wale

Mujhe aafatun ne ghera, hai musibataun ka dayra
Ya Nabi madad ko aana, Madani Madine Wale

Koee is taraf bhi phera, ho ghamaun ka door andhera
Ai Sarapa Noor aana, Madani Madine Wale

Kooe pae bakht war gar, hai sharaf shahi se badhkar
Teri Na’al e Pak uthana, Madani Madine Wale

Mera seena ho Madina, mere dil ka aabgina
Bhi Madina hi banana, Madani Madine Wale

Ai Habeeb e Rabbe Bari, hai gunah ka bojh bhari
Tumhi hashr me churana, Madani Madine Wale

Meri adatein ho behtar, banu Sunnatun ka paikar
Mujhe muttaqi banana, Madani Madine Wale

Shaha aisa jazbah paoon, ke mai khoob seekh jaoon
Teri Sunnatein sikhana, Madani Madine Wale

Tere Naam par ho qurbaan, meri jaan jane jana
Ho naseeb sar katana, Madani Madine Wale

Teri Sunnatun par chalkar, meri rooh jab nikal kar
Chale Tum gale lagana, Madani Madine Wale

Hai muballigh AQA jitne, karo door unse fitne
Buri maut say bachana, Madani Madine Wale

Mere Ghouse ka waseela, rahe shaad sab qabeela
Inhe khuld me basana, Madani Madine Wale

Mere jis qadar hai ahbaab, inhe karde Shaha betaab
Milay ishq ka khazana, Madani Madine Wale

Meri anay wali naslein, Tere Ishq hi me machlein
Unhe nake tum banana, Madani Madine Wale

Milay Sunnataun ka jazbah, mere bhai choray
Maula Sabhi Dadiyaan mu’ndhaana, Madani Madine Wale

Mere jis qadar hai behne, Sabhi kaash burqa pehne
Ho karam Shahe zamana, Madani Madine Wale

Do jahaan kay khazanay, diye haath me Khuda ne
Tera kaam hai lutana, Madani Madine Wale

Teri gham me kaash Attar, rahe har ghadi giraftaar
Gham e maal say bachana, Madani Madine Wale



2️⃣1️⃣Manqabat-Ghowsay Azam
Koi Kaysai Samaj Payayga Rutba Ghowsay Azam Ka,
Har Ehlay Dil Kai Sinay Par, Hai Siqa Ghowsay Azam Ka.

Hussainey Aurra Hassaney Martaba Allah Nai Bakhsa,
Bara Ali Gharana Hai, Gharana Ghowsay Azam Ka.

Hazaro Mushkilay Anyain Koi Bhi Ghum Nahi Hum Ko,
Hamaray Wasatay Kafi, Hai Nara Ghowsay Azam Ka.

Barowz-E-Hashr Jab Poochay Ga Kya Layay Ho Dunya Sai,
To Payshay Rab Main Kar Doonga, Hawala Ghowsay Azam Ka.

Muredi La Takhaf Allah-Ho-Rabi Unka Farma Hai,
To Phir Main Kaysai Ghubrawoon, Hoon Banda Ghowsay Azam Ka.

Kadam Hai Aap Ka Har Aikh Wali-Allah Ki Ghardan Par,
To Phir Janai Ga Kaysai Koi Rutba Ghowsay Azam Ka.

Mushaikh Unkai Dar Par Aatay Hain Saray Ghada Ban Kar,
Ilahi Hum Ko Bhi Miljayai Sadqa Ghowsay Azam Ka.

Teray Darbaar Main Aayain Tamana Hain Ghulamo Ki,
Inhi Aankho Sai Daykhai Hum, Bhi Rowza Ghowsay Azam Ka.

Humay Bhi Ho Ata Sadqa Hussainey Aurra Hassaney Ka
Tamana Lai Kai Aya Hai, Hain Mangta Ghowsay Azam Ka.

Ba Fayzay Hazrat-E-Madni Milay Sadqa Madinay Ka,
Wasila Laykai Aya Hai, Yai Mangta Ghowsay Azam Ka.

Aai “Faruq-Ashrafi” Tu Bhi, Chal Unkai Aasatanay Par,
Jahan Par Har Ghari Batata, Hain Sadqa Ghowsay Azam Ka.



2️⃣2️⃣Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai
Yeh Rifat-e-Zikar-e-Mustafa Hai,Nahi Kissi ka Maqam Aisa

Jo Baad Zikr-e-Khuda Hai Afzal Hai Zikar-e-Khair Ul Anam Aisa

Dar-e-Nabi Par Yeh Umar Beete Ho Mujhpe Lutf-e-Dawam Aisa

Madine Wale Kahain Maqami Ho Unke Dar Par Qayam Aisa

Labon pe Naam-e-Nabi Jab Aaya Guraiz Pan Hadson Ko Paya

Jo Taal Deta Hai Mushkilon Ko Mere Nabi Ka Hai Naam Aisa

Mujhi ko Dekho Woh Betalab hi Nawazte Ja Rahe Hain Paihum

Na Mera Koi Amal Hai Aisa Na Mera Koi Hai Kaam Aisa

Bilal Tujpar Nisar Jaaon Ke Khud Nabi Ne Tujhe Khareeda

Naseeb Ho Tu Naseeb Aisa Ghulam Ho Tu Ghulam Aisa

Hain Jitne Aqal-o-Khirad ke Daawe Sab Unki Gard-e-Safar Main Gum Hain

Koi Bhi Ab Tak Samajh Na Paya, Hai Mustafa Ka Maqam Aisa

Ke Namaz Aqsa Main Jab Parhayi Tu Ambiya-o-Rusool Yeh Bole

Ke Namaz Ho To Namaz Aisi Imam Ho To Imam Aisa

Main Khalid APne Nabi Pe Qurban Hai Jis ka Khulq-e-Azeem Qura’n

Salamti Ki Jo Hai Zamanat Woh Le ke Aaye Nizam Aisa



Yeh sab tumhara qaram hai aaqa
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
 
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
 
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
 
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
 
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
 
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
 
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
 
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri ha
 
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai




2️⃣3️⃣या नबी सलाम अलैका, या रसूल सलाम अलैका,
या हबीब सलाम अलैका, सलवा तुल्ला अलैका।

भेज दो अपनी अताएं, बक्श दो सबकी खताएं,
दूर हो ग़म की घटाएँ, वज्द में हम यूँ सुनाएँ।

जब नबी पैदा हुए थे, सब मालक दर पे खड़े थे,
बाअदब यूँ कह रहे थे, रब्बे सल्लिम पढ़ रहे थे।

आपका तशरीफ़ लाना, वक़्त भी कितना सुहाना,
जगमगा उठा ज़माना, हूरें गाती थी तराना .

रहमतों के ताजवाले, दो जहां के राज़वाले,
अर्श के मेहराजवाले, आसियों की लाजवले।

पूरी या रब ये दुआ कर, हम डरे मौला पे जाकर,
पहले कुछ नातें सुनाकर, ये पढ़ें सरको झुकाकर।

बक्श दो जो चीज़ चाहो, क्यों के महबूबे खुदा हो,
आपतो बाबे सखा हो, हाँ मुझे भी कुछ अता हो।

जान कर काफी सहारा, ले लिया है दर तुम्हारा,
खल्क के वारिस खुदारा , लो सलाम अब तो हमारा।

ऐ मेरे मौला के प्यारे, नूर की आँखों के तारे,
अब किसे सैय्यद पुकारें, हम तुम्हारे तुम हमारे।

वास्ता गौसुल वरा का, वास्ता खाजा पिया का,
वास्ता कुल औलिया का, ग़म न हो रोज़े जज़ा का।

सुबह लूँगा शाम लूँगा, तेरा प्यार नाम लूँगा,
कब्र से उठते ही आका, तेरा दामन थाम लूँगा।




2️⃣4️⃣Yaa Rasoolallah tere dar ki fizaon ko salaam,
Gumbade Khazra ki thandi thandi chhaon ko salaam.

या रसूलल्लाह तेरे दर की फिजाओं को सलाम,
गुम्बदे खजरा की ठंडी ठंडी छाओं को सलाम।

Jo madine ki gali kunchon mein dete hain sada,
Un fakiron, raahgiron aur gadaon ko salaam.

जो मदीने की गली कूंचों में देते हैं सदा,
उन फकीरों, राहगीरों और गदाओं को सलाम।

Kaaba e Kaaba ke khushmanzar nazaron par durood,
Masjide nabawi ki subahon aur shaamon ko salaam.

काबा ऐ काबा के खुश्मंज़र नजारों पर दुरूद,
मस्जिदे नबवी की सुबहों और शामों को सलाम।


2️⃣5️⃣Ae shahenshahe madina, Assalatu Wassalaam,
Zeenate arshe muallah, Assalatu Wassalaam.

ऐ शाहेन्शाहे मदीना, अस्सलातु वस्सलाम,
जीनते अर्शे मुअल्लाह, अस्सलातु वस्सलाम।

Sar jhukakar baadab, Ishqe rasoolullah mein,
Keh raha hai har sitara, Assalatu Wassalaam.

सर जुकाकर बाअदब, इश्के रसूलुल्लाह में,
कह रहा है हर सितारा, अस्सलातु वस्सलाम।

But sikan aaya ye kehkar, Sar ke bal but ghir pade,
Jhoom kar kehta tha kaaba, Assalatu Wassalaam.

बुत सिकन आया ये कहकर, सर के बल बुत गिर पड़े,
झूम कर कहता था काबा, अस्सलातु वस्सलाम।

Momino padhte raho tum, Apne aaka par durood,
Hai farishton ka wazeefa, Assalatu Wassalaam.

मोमिनो पढ़ते रहो तुम, अपने आका पर दुरूद,
है फरिश्तों का वजीफा, अस्सलातु वस्सलाम।

Rabbe habli ummati, Kehte hue paida hue,
Rabne farmaya ke bakhsha, Assalatu Wassalaam.

रब्बे हब्ली उम्मती, कहते हुए पैदा हुए,
रबने फ़रमाया के बख्शा, अस्सलातु वस्सलाम।

Jab farishte kabr mein, Jalwa dikhayen aapka,
Ho zabaan par pyaare aake, Assalatu Wassalaam.

जब फ़रिश्ते कब्र में, जलवा दिखाएं आपका,
हो ज़बां पर प्यारे आका, अस्सलातु वस्सलाम।

Main wo sunni hoon jameele, Qadri marne ke baad,
Mera laasha bhi kahega, Assalatu Wassalaam.

मैं वो सुन्नी हूँ जमीले, कादरी मरने के बाद,
मेरा लाशा भी कहेगा, अस्सलातु वस्सलाम।



2️⃣6️⃣Ae sabz gumbad waale, Manzoor dua karna,
Jab waqt nazaa aaye, Deedaar ataa karna.

ऐ सब्ज़ गुम्बद वाले, मंज़ूर दुआ करना,
जब वक़्त नज़ा आये, दीदार अता करना।

Main kabr andheri mein, Gabraunga jab tanha,
Imdaad meri karne, Aa jaana mere aaka (Rasoolallah),
Roshan meri kurbat ko, Ae noore khuda karna,
Jab waqt nazaa aaye, Deedaar ataa karna.

मैं कब्र अँधेरी में, घबराऊंगा जब तनहा,
इमदाद मेरी करने, आ जाना मेरे आका (रसूलल्लाह)
रोशन मेरी कुर्बत को, ऐ नूरे खुदा करना,
जब वक़्त नज़ा आये, दीदार अता करना।

Ae noore khuda aakar, Aankhon mein samaa jaana,
Ya dar pe bula lena, Ya khwaab mein aa jaana,
Ae pardanasheen dil ke, Parde mein raha karna,
Jab waqt nazaa aaye, Deedaar ataa karna.

ऐ नूरे खुद आकर, आँखों में समा जाना,
या दर पे बुला लेना, या ख्वाब में आ जाना,
ऐ पर्दानशीं दिल के, परदे में रहा करना,
जब वक़्त नज़ा आये, दीदार अता करना।

Mujrim hoon jahaan bhar ka, Maheshar mein bharam rakhna,
Rusvae zamana hoon, Daaman mein chhupa lena,
Tu kubool dua meri, Mehboobe khuda karna,
Jab waqt nazaa aaye, Deedaar ataa karna.

मुजरिम हूँ जहां भर का, महेशर में भरम रखना,
रुस्वाए ज़माना हूँ, दामन में छुपा लेना,
तू क़ुबूल दुआ मेरी, महबूबे खुदा करना,
जब वक़्त नज़ा आये, दीदार अता करना।



2️⃣7️⃣Bekhud kiye dete hain, Andaaz hijabana,
Aa dil mein tujhe rakh loon, Ae jalva e janana.

बेखुद किये देते हैं, अंदाज़ हिजाबाना,
आ दिल में तुझे रख लूं, ऐ जल्व ऐ जानाना।

Itna to karam karna, Ae chashme kareemana,
Jab jaan labon par ho, Tum saamne aa jana.

इतना तो करम करना, ऐ चश्मे करीमाना,
जब जान लबों पर हो, तुम सामने आ जाना।

Jee chahta hai tohfe mein, Bhejun main unhe aankhen,
Darshan ka to darshan ho, Nazrane ka nazrana.

जी चाहता है तोहफे में, भेजूं मैं उन्हें आँखें,
दर्शन का तो दर्शन हो, नजराने का नजराना।

Main hosh hawaas apne, Is baat pe kho baitha,
Hanskar jo kaha tune, Aaya mera deewana.

मैं होश हवास अपने, इस बात पे खो बैठा,
हँसकर जो कहा तूने, आया मेरा दीवाना।

Kyon aankh milayee thi, Kyon aag lagayee thi,
Ab rukh ko chhupa baithe, Karke mujhe deewana.

क्यों आँख मिलाई थी, क्यों आग लगाईं थी,
अब रुख को छुपा बैठे, करके मुझे दीवाना।

Peene ko to pee loonga, Par shart zara si hai,
Ajmer ka saaki ho, Baghdad ka maykhana.

पीने को तो पी लूँगा, पर शर्त ज़रा सी है,
अजमेर का साकी हो, बगदाद का मैखाना।



2️⃣8️⃣Zikre Ahmed se seena saja hai, Ishq hai ye tamasha nahin hai,
Wo bhi dil koi dil hai jahaan mein, Jisme tasveere taibah nahin hai.

ज़िक्रे अहमद से सीना सजा है, इश्क है ये तमाशा नहीं है,
वो भी दिल कोई दिल है जहां में, जिसमे तस्वीरे तैबह नहीं है।

Ae meri maut ruk ja abhi tu, Phir chalenge (milenge) jahaan tu kahegi,
Apne mashke tasavvur mein taibah, Maine jee bhar ke dekha nahin hai.

ऐ मेरी मौत रुक जा अभी तू, फिर चलेंगे (मिलेंगे) जहां तू कहेगी,
अपने मश्के तसव्वुर में तैबह, मैंने जी भर के देखा नहीं है।

Hajj ki daulat jise mil na paaye, Jaaye jaaye wo ghar apne jaaye,
Maa ke kadmon ko wo choom le jo, Sange Asvad ko chooma nahin hai.

हज की दौलत जिसे मिल न पाए, जाए जाए वो घर अपने जाए,
माँ के क़दमों को वो चूम ले जो, संगे अस्वद को चूमा नहीं है।

Hum husaini hain karbal ke shaida, Dil kabhi bhi na hota hai maila,
Kufr (Shirk) ki dhamkiyon se dare jo, Sunniyon ka kaleja nahin hai.

हम हुसैनी हैं करबल के शयदा, दिल कभी भी न होता है मैला,
कुफ्र (शिर्क) की धमकियों से डरे जो, सुन्नियों का कलेजा नहीं है।

Khak paaye nabi munh pe malna, Itr ho mustafa ka paseena,
Unki chadar ka tukda kafan ho, Aur koi tamanna nahin hai.

खाक पाए नबी मुंह पे मलना, इतर हो मुस्तफा का पसीना,
उनकी चादर का टुकड़ा कफ़न हो, और कोई तमन्ना नहीं है।



2️⃣9️⃣Naate sarkar ki pada hoon main, Bas isi baat se ghar mein mere rahmat hogi,
Ek tera naam wasila hai mera, Ranjo-Gham mein bhi isi naam se rahat hogi.

नाते सरकार की पड़ता हूँ मैं, बस इसी बात से घर में मेरे रहमत होगी।
इक तेरा नाम वसीला है मेरा, रंजो-ग़म में इसी नाम से राहत होगी।

Ye suna hai ki bahut ghori andheri hogi, Ye suna hai ki bahut ghori andheri hogi,
Kabr ka khauf na rakhna ae dil, Wahan sarkar ke chehre ki ziyarat hogi.

ये सुना है के बहुत घोरे अँधेरी होगी, ये सुना है के बहुत घोरे अँधेरी होगी,
कब्र का खौफ ना रख ऐ दिल, वहां सरकार के चेहरे की जियारत होगी।

Kabhi yaseen kabhi taaha kabhi walle laya, Kabhi yaseen kabhi taaha kabhi walle laya,
Are jiski kasmein mera rab khata hai, Kitni dilkash mere mahboob ki soorat hogi.

कभी यासीन कभी ताहा कभी वल्ले लाया, कभी यासीन कभी ताहा कभी वल्ले लाया,
अरे जिसकी कसमें मेरा रब खाता है, कितनी दिलकश मेरे महबूब की सूरत होगी।

Unko mukhtar banaya mere Allah ne, Unko mukhtar banaya mere Allah ,
Par khuld mein bas wohi jaa sakta hai, Jisko hasnain ke baba ki ijazat hogi.

उनको मुख़्तार बनाया मेरे अल्लाह ने, उनको मुख़्तार बनाया मेरे अल्लाह ने,
पर खुल्द में बस वही जा सकता है, जिसको हसनैन के बाबा की इजाज़त होगी।



3️⃣0️⃣Ae saba mustafa se keh dena, Gham ke maare salaam kehte hain,
Yaad karte hain tumko shaamo sahar, Dil hamare salaam kehte hain. (Besahare salaam kehte hain)

ऐ सबा मुस्तफा से कह देना, ग़म के मारे सलाम कहते हैं,
याद करते हैं तुमको शामो सहर, दिल हमारे सलाम कहते हैं। (बेसहारे सलाम कहते हैं)

Allah Allah huzoor ki baatein, Marhaba rango noor ki baatein,
Chaand jin par nisaar hota hai, Aur taare salaam kehte hain.
(Chaand jinki balayen leta hai, Aur taare salaam kehte hain)

अल्लाह अल्लाह हुज़ूर की बातें, मरहबा रंगों नूर की बातें,
चाँद जिन पर निसार होता है, और तारे सलाम कहते हैं।
(चाँद जिन की बलाएँ लेता है, और तारे सलाम कहते हैं)

Allah allah huzoor ke kesu, Bhini bhini mahekti wo khushbu,
Jinse mamoor hai fiza harsu, Wo nazare salaam kehte hain.

अल्लाह अल्लाह हुज़ूर के केसू, भीनी भीनी महेकती वो खुशबु,
जिन से मामूर है फिजा हरसू, वो नज़ारे सलाम कहते हैं।

Jab muhammad ka naam aata hai, Rehmaton pa payaam aata hai,
Lab hamare durood padte hain, Dil hamare salaam kehte hain.

जब मुहम्मद का नाम आता है, रहमतों का पयाम आता है,
लब हमारे दुरूद पड़ते हैं, दिल हमारे सलाम कहते हैं।

Zahire taibah tum madine main, Pyare aaka se itna keh dena,
Aapki garde raah ko aaka, Besahare salaam kehte hain.

जाहिरे तैबह तुम मदीने में, प्यारे आका से इतना कह देना,
आपकी गर्दे राह को आका, बेसहारे सलाम कहते हैं।

Arshe aazam pe naam hai unka, Kitna ooncha makam hai unka,
Bhejta hai khuda durood un par, Chaand taare salaam kehte hain.

अर्शे आज़म पे नाम है उनका, कितना ऊँचा मक़ाम है उनका,
भेजता है खुदा दुरूद उनपर, चाँद तारे सलाम कहते हैं।

Jab bhi naame rasool aata hai, Hum angoothon ko choom lete hain,
Dil tasavvur mein doob jata hai, Lab hamare salaam kehte hain.

जब भी नामे रसूल आता है, हम अंगूठों को चूम लेते हैं,
दिल तसव्वुर में डूब जाता है, लब हमारे सलाम कहते हैं।




3️⃣1️⃣Qalb-e-Aashiq Hain Ab Para Para, 
Alwada Alwada Mahe Ramazan.

Tere Aane Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.

Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan.

Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Sag-e-ATTAR, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se khush Hoke Hona Rawana,
Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana

ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN.

Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharosa,
Alwada Alwada Mahe Ramzan.

Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madine Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madine Mai Ramadan Dikhana,
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana,(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bakhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bakhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.

Tum Pe Lakho Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakho Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN



3️⃣2️⃣Aye Shahenshah e Madina Assalat-o-Wassalam

Aye Shahenshah e Madina Assalat-o-Wassalam
Zeenat-E Arsh-E Mu’alla, Assalat-o-Wassalam

Boot Shikan Aaya Ye Keh Kar Sar Ke Bal Boot Ghir Pade
Jhoom Kar Kehta Tha Kaaba
Jhoom Kar Kehta Tha Kaaba Assalat-o-Wassalam

Aye Sahenshah e Madina Assalato Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, Assalato Wassalam

Rabbi Habli Ummati Kehte Huwe Paida Huwe
Rab Ne Farmaya Ke Bakhsha
Rab Ne Farmaya Ke Bakhsha, Assalat-o-Wassalam

Aye Sahenshah e Madina Assalato Wassalam    
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla Assalato Wassalam

Gunche Chatke Phool Mehke Cheh-Chahaayi Bulbule
Gul Khila Baaghe Ahad Ka
Gul Khila Baaghe Ahad Ka Assalat-o-Wassalam

Roshni Mein Aamena Ne Jin Ki Dekha Mulk-E-Shaam
Wah Wah Kya Chand Nikla
Wah Wah Kya Chand Nikla Assalat-o-Wassalam

Aye Sahenshah e Madina Assalato Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, Assalato Wassalam

Sar Jhuka Kar Ba Adab Ishq-e-Rasoolallah Mein
Keh Raha He Har Sitara
Keh Raha He Har Sitara, Assalat-o-Wassalam

Ae Shahenshah-e-Madina, Assalat-o-Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, Assalat-o-Wassalam,

Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa Par Durood
Hai Farishto Ka Wazifa
Hai Farishto Ka Wazifa, Assalato Wassalam

Ae Shahenshah-e-Madina, Assalato Wassalaam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, Assalato Wassalaam

Dast Basta Sab Farishte Padhte Hai Un Par Durood
Kyun Na Ho Phir Wird Apna
Kyun Na Ho Phir Wird Apna, Assalato Wassalaam

Ae Shahenshah-e-Madina, As-salato Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, As-salato Wassalam

Sar Kalam Kardo Mera Ya Kaat Lo Meri Zabaan
Meri Nas Nas Mein Basa Hai
Meri Nas Nas Mein Basa Hai As-salato Wassalam

Ae Sahenshahe Madina, As-salato Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, As-salato Wassalam

Jab Farishte Qabr Mein Jalwa Dikhaye Aap Ka
Ho Zabaan Par Pyare Aaqa
Ho Zabaan Par Pyare Aaqa, As-salato Wassalam

Ae Shahenshah-e-Madina, As-salato Wassalam
Zeenat-e Arsh-e Mu’alla, As-salato Wassalam

Mein Woh Sunni Hoon Jameel-e-Qadri Marne Ke Baad
Mera Laasha Bhi Kahega
Mera Laasha Bhi Kahega, As-salat o Wassalam

Ae Shahenshah-e-Madina, As-salato Wassalam
Zeenat-E Arsh-e Mu’alla, As-salato Wassalam

Salato Salam Lyrics: Aye Shahenshah e Madina Assalat-o-Wassalam Lyrics
Salam Written By: Khalifa E Alahazrat, Maulana Jameel Ur Rehman Qadri Rehmatullah Alaih | Kalaam E Jameel E Qadri
Naat Khawan/Reciter: Alhaj Owais Raza Qadri, Hafiz Kamran Qadri, Mohammad Sadiq Razvi, Gulam Raza Hassani and more.



3️⃣3️⃣Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam 

Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam

Jisne Aake Sawaara Hai Daarain Ko
Jiski Rehmat Ne Dhanpa Hai Kaunain Ko
Jiske Dum Se Hi Yeh Raunaken Hain Tamam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam

Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

La Makaan Ke Bane Hain Wohi To Makeen
Jin Ki Naalain Ko Choome Arsh-E-Bareen
Jo Khuda Se Huwe Arsh Par Hum Kalaam
Un Pe Laakhon Karodon Durood O Salam

Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Waqt Laaye Khuda Jaaye Darbaar Par
Aur Khade Ho Ke Roza-E-Sarkar Par
Pesh Mil Kar Kare Hum Durood O Salaam
Unpe Lakhon Karoron Durood O Salam

Mitha Mitha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Ek Khuda Ki Raza Jis Ka Maqsood Tha
Zulm Sehta Raha Shukr Karta Raha
Jis Ke Sabr O Tahammul Ke Charche Hain Aam
Unpe Lakhon Karodon Darood O Salam

Mitha Mitha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Shah-E-Konain Woh Ruh-E-Daarain Woh
Fakhr-E-Hasnain Woh Ghaus-E-Sakalain Woh
Jin Ke Dar Ka Hai Hafiz Bhi Adnaa Ghulaam
Unpe Lakhon Karoron Durood O Salaam

Mitha Mitha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Wohi Hasni Hussain Chaman Ke Hain Phool
Noor-E-Maula Ali Jaan-E-Zahra Batool
Jis Ke Nana Rasool-E-Khuda Zi Makaan
Unpe Lakhon Karoron Durood O Salam

Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam





3️⃣4️⃣Meri Ulfat Madine Se Yunhi Nahi 
Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai

Mein Madine Ki Jaanib Na Kaise Khinchu
Mera Deen Or Duniya Madine Mein Hai

Arsh E Aazam Pe Jis Ki Badi Shaan Hai
Roza E Mustafa Jis Ki Pehchan Hai
Jis Ka Hum Palla Koi Mohalla Nahi
Ek Aisa Mohalla Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai

Phir Mujhe Mout Ka Koi Khatra Na Ho
Mout Kya Zindagi Ki Bhi Parwah Na Ho
Kaash Sarkaar Ek Baar Mujh Se Kahe
Ab Tera Jeena Marna Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madinay Say Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Roza Madinay Main Hai

Sarware Do Jahaan Se Dua Hai Meri
Ye Budo Chashmey Tar Ilteja Hai Meri
Un Ki Fehreest Mein Mera Bhi Naam Ho
Jinn Ka Roz Ana Jaana Madine Mein Hai

Meri Ulfat Madinay Say Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Roza Madinay Main Hai

Jab Nazar Suye Taiba Rawana Hui
Sath Dil Bhi Gaya Saath Jaan Bhi Gai
Mein Muneer Ab Rahunga Yaha Kisliye
Mera Sara Asasa Madine Mein Hai.

Meri Ulfat Madine Se Yun Hi Nahi
Mere Aaqa Ka Roza Madine Mein Hai

(Sallallahu Alaihi Wa Sallam)



3️⃣5️⃣Tajdar E Haram Ae Shahenshah E Deen 

Tajdar e Haram Ae Shahenshah e Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salam

Ho Nigahe Karam Hum Pe Sultan E Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salam

Koi Husn e Amal Paas Mere Nahin
Fas Na Jaoon Qayamat Me Maula Kahin
Aey Shafiey Umam Laaj Rakhna Tumhi
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salaam

Maut Ke Waqt Kardo Nigahe Karam
Kaash Is Shaan Se Ye Nikal Jaaye Dam
Sange Dar Par Tumhaare Ho Meri Jabi
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salam

Door Rehkar Na Dam Toot Jaaye Kahin
Kash Taiba Mein Aye Mere Mahe Mubeen
Dafan Hone Ko Mil Jaye Do Gaz Zameen
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salaam

Phir Bula Lo Madine Me ‘Attar’ Ko
Yeh Tarapta Hai Taiba Ke Deedar Ko
Koi Iske Siwa Aarzoo Hi Nahi
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salam

Tajdar e Haram Ae Shahenshah e Deen
Tumpe Hardam Karoron Durood O Salam



3️⃣6️⃣
Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu-An Islamic Website
HomeDurood O Salam
Kabe Ke Badrudduja Full Kalam Lyrics | Qasida E Durood
byShereKhudaHazratAli.com-18:22

 
Kabe Ke Badrudduja Tum Pe Karoron Durood Lyrics | Ya Habibi Marhaba Jaddal Hussaini Marhaba Lyrics | Qasida E Durood

Ya Habibi Marhaba Ya Habibi Marhaba
Jaddal Hussaini Marhaba Ya Noor-Al-Aini Marhaba

Kabe Ke Badrudduja Tum Pe Karoron Durood
Taiba Ke Shamsudduha Tum Pe Karodon Durood

Shaafa'e Roze Jazaa Tum Pe Karodo Durood
Daafa'e Jumla Balaa Tum Pe Karodo Durood

Jaano Dil-E-Asfiya Tum Pe Karodo Durood
Aabo Gil-E-Ambiya Tum Pe Karodo Durood

Laayein To Yeh Doosra Do-Saraa Jisko Mila
Koshak E Arsh-O-Danaa Tum Pe Karodon Durood

Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaan Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodo Durood

Toor Pe Jo Sham'a Tha Chaand Tha Saa'eer Ka
Naiyyar E Faaraa'n Hua Tum Pe Karoron Durood

Dil Karo Thanda Mera Wo Kafe Paa Chand Sa
Sine Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood

Zaat Hui Intekhaab Wasf Hue La-Jawab
Naam Hua Mustafa Tum Pe Karodon Durood

Gaayat-O-Illat Sabab Behre Jahaan Tum Ho Sab
Tum Se Banaa Tum Bina Tum Pe Karoron Durood

Tumse Jahaan Ki Hayaat Tum Se Jahaan Ka Sabaat
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karoron Durood

Magz Ho Tum Aur Post Aur Hai Baahar Ke Dost
Tum Ho Daroon-E-Saraa Tum Pe Karoron Durood

Kya Hai Jo Be-Had Hai Laus, Tum To Ho Gais Aur Gaus
Cheentein Me Hoga Bhalaa Tum Pe Karoron Durood

Tum Ho Hafeez-O-Mugeez Kya Hai Wo Dushman Khabees
Tum Ho To Phir Khauf Kya Tum Pe Karoron Durood

Wo Shab-E-Meraj Raaj, Wo Saf E Mehshar Ka Taaj
Koi Bhi Aisa Huwa Tum Pe Karoron Durood

Jaan-O-Jahaan E Maseeh, Daad Ki Dil Hai Jareeh
Nabzein Chooti Dam Chala Tum Pe Karoron Durood

Uff Wo Rah E Sanglaakh Aah Ye Paa Shaakh Shaakh
Aye Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karoron Durood

Tum Se Khula Baab-E-Jood Tum Se Hai Sab Ka Wajood
Tum Se Hai Sabki Bakaa Tum Pe Karoron Durood

Khasta Hoon Aur Tum Ma'aaz, Basta Hoon Aur Tum Malaaz
Aage Jo Shah Ki Raza Tum Pe Karoron Durood

Garche Hain Behad Kasoor Tum Ho Afuww-O-Gafoor
Baksh Do Jurm O Khataa Tum Pe Karoron Durood

Mehr E Khuda Noor Noor, Dil Hai Siyaah Din Hai Door
Shab Mein Karo Chaandna Tum Pe Karoron Durood

Tum Ho Shaheed-O-Baseer Aur Main Gunaah Pur Diler
Khol Do Chashme Hayaa Tum Pe Karoron Durood

Cheent Tumhari Sahar, Chhoot Tumhari Qamar
Dil Me Racha Do Zia Tum Pe Karoron Durood

Tum Se Khuda Ka Zuhoor Usse Tumhara Zuhoor
"LIM" Hai Ye Woh "IN" Hua Tum Pe Karoron Durood

Be-Hunar O Be-Tameez Kis Ko Huwe Hain Azeez
Ek Tumhare Siwa Tum Pe Karoron Durood

Aas Hai Koi Na Paas Ek Tumhari Hai Aas
Bas Hai Yahi Aasra Tum Pe Karodo Durood

Taarame Aa’la Ka Arsh Jis Kafe Paa Ka Hai Farsh
Aankhon Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood

Kehne Ko Hai Aam-O-Khaas Ek Tumhi Ho Khalaas
Band Se Kar Do Riha Tum Pe Karodon Durood

Tum Ho Shifaa-E-Maraz Khalq-E-Khuda Khud Garaz
Khalq Ki Haajat Bhi Kya Tum Pe Karodon Durood

Aah Woh Raah-E-Siraat Bandon Ki Kitni Bisaat
Al Madad Aye Rehnuma Tum Pe Karodon Durood

Be Adab-O-Bad-Lihaaz Kar Na Saka Kuch Hifaaz
Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karodon Durood

Lo Tahe Daaman Ki Sham’a Jhonko Mein Hai Roze Jam’a
Aandhiyon Se Hashr Uthaa Tum Pe Karodon Durood

Seena Ki Hai Daag Daag Keh Do Kare Baag Baag
Taiba Se Aa Kar Saba Tum Pe Karodon Durood

Gesu O Qad Laam Alif Kar Do Bala Munsarif
Laa Ke Tahe Taig ‘Laa’ Tum Pe Karodon Durood

Tum Ne Ba-Range Falaq Jaibe Jahaa(N) Kar Ke Shaq
Noor Ka Tadka Kiya Tum Pe Karodon Durood

Naubate Dar Hain Falak Khaadim E Dar Hain Malak
Tum Ho Jahaan Baadshah Tum Pe Karodon Durood

Khilq Tumhari Jameel Khulq Tumhara Jaleel
Khalq Tumhari Gada Tum Pe Karodon Durood

Taiba Ke Maahe Tamaam Jumla Rusul Ke Imaam
Nau Shahe Mulke Khuda Tum Pe Karodon Durood

Tum Se Jahaa Ka Nizaam Tum Pe Karodon Salaam
Tum Pe Karodon Sanaa Tum Pe Karodon Durood

Tum Ho Jawwaado Kareem Tum Ho Rauf-O-Raheem
Bheek Ho Daata Ata Tum Pe Karodon Durood

Khalq Ke Haakim Ho Tum Rizq Ke Qaasim Ho Tum
Tum Se Mila Jo Mila Tum Pe Karodon Durood

Naaf'e O Daaf'e Ho Tum Shaaf'e O Raaf'e Ho Tum
Tum Se Bas Afzoo N Khuda Tum Pe Karodon Durood

Shaafi O Naafi Ho Tum Kaafi O Waafi Ho Tum
Dard Ko Kardo Dawa Tum Pe Karodon Durood

Jaaye Na Jab Tak Ghulam Khuld Hai Sab Par Haraam
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karodon Durood

Mazhare Haq Ho Tumhi Muzhire Haq Ho Tumhi
Tum Mein Hai Zaahir Khuda Tum Pe Karodon Durood

Zordi-He Naa-Rasaa Takya Gahe Bekasaa
Badshah E Maa Waraa Tum Pe Karodon Durood

Barse Karam Ki Bharan Phoole Ni’am Ke Chaman
Aisi Chala Do Hawa Tum Pe Karodon Durood

Ek Taraf Aadaa-E-Deen Ek Taraf Haasidee(n)
Banda Hai Tanha Shaha Tum Pe Karodon Durood

Kyun Kahoon Bekas Hoon Main Kyun Kahoon Bebas Hoon Main
Tum Ho Main Tum Par Fida Tum Pe Karodon Durood

Gande Nikamme Kameen Mehnge Ho Kodi Ke Teen
Kaun Humein Paalta Tum Pe Karodon Durood

Baat Na Dar Ke Kahi Ghaat Na Ghar Ke Kahi
Aise Tumhe Paalna Tum Pe Karodon Durood

Aiso Ko Ne’mat Khilaao Doodh Ke Sharbat Pilaao
Aiso Ko Aisi Gizaa Tum Pe Karodon Durood

Girne Ko Hoon Rok Lo Ghota Lage Haath Do
Aiso Par Aisi Ata Tum Pe Karodon Durood

Apne Khatawaaron Ko Apne Hi Daaman Mein Lo
Kaun Kare Yeh Bhala Tum Pe Karodon Durood

Kar Ke Tumhare Gunaah Maange Tumhari Panaah
Tum Kaho Daaman Mein Aa Tum Pe Karodon Durood

Kar Do ‘Adoo Ko Tabaah Haasidon Ko Roo Baraah
Ahle Wilaa Ka Bhala Tum Pe Karodon Durood

Hum Ne Khataa Mein Na Ki Tum Ne Ata Mein Na Ki
Koi Kami Sarwara Tum Pe Karodon Durood

Kaam Ghazab Ke Kiya Us Pe Hai Sarkaar Se
Bandon Ko Chashme Raza Tum Pe Karodon Durood

Aankh Ata Kijiye Us Mein Ziya Dijiye
Jalwa Kareeb Aa Gaya Tum Pe Karodon Durood

Kaam Woh Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare
Thik Ho Naam E Raza Tum Pe Karodon Durood

Naat/Durood O Salam Lyrics: Kabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodon Durood Lyrics | Ya Habibi Marhaba Jaddal Hussaini Marhaba Lyrics
Naat Khawan: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri, Hafiz O Qari Sayyed Abdul Wasi Razvi Noori, Asad Iqbal
Naat Written By: Qasida E Durood, Kalam Ul Imam - Imam Ul Kalam, Kalam E Raza, Kalam E Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi


🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...