29/10/2020

⚪NAMAZ KE TALLUK SE KUCH AHAM TOPIC ⚪

1⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO ?*

🕌 *Masjid Ke Andar Namaz e Janaza Padhne Walon Ko Sawab Nahi - Hadees*

☪ *نمازِجنازہ مسجد کے اندر پڑھنے والوں کو ثواب نہیں ۔ حدیث*

📌 *Baaz Jaga Dekha Gaya Hai Ke Log Namaz e janaza Masjid Ke Andar Padhane Ko Zor Dete Hain Aur Jo Ulama isse Mana Karte Hain Uneh Bura Bhala Kehte Howe Adab Ki saari hadeen Paar Kar Jaate Hain , Namaz e Janaza Masjid Mein Na Padhne Per Ahadees Aur Aimma e Deen Hawale Maujod Hain In'shaAllah is ke Chand Hawale Aap Ke Samne Pesh Kiye Jayen Ge*

🖇 *Abu Dawod Sharif Mein Riwayat Hai*

*عن ابوہریرہ قال : قال  رسول اللہ من صلی علی جنازۃ فی المسجد فلا شیء  علیہ*

✒ *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Rasool Allah ﷺ Ne irshad Farmaya Ke Jis Ne Masjid Mein Namaz e Janaza Padhi uske Liye Khuch {Ajr Wa sawab} Nahi Hai !*

📙 *Abu Dawood Vol 1 Page*

📝 *Note:-*
*Albani Ne is Hadith Ko Hasan Kaha Hai*



2⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🌹 *Hazrat Abubakar Siddiq Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy*

☪ *حضرت ابوبکر صدیق رضي الله عنه نماز جنازہ مسجد میں نہیں پڑھتے تھے*

*Hazrat Imam Abu Tayalasi Riwayat Naqal Farmate Hain:*

*حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ قَالَ: حَدَّثَنَا ابْنُ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ صَالِحٍ مَوْلَى التَّوْأَمَةِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ «مَنْ صَلَّى عَلَى جِنَازَةٍ فِي الْمَسْجِدِ فَلَا شَيْءَ لَهُ» قَالَ صَالِحٌ: وَأَدْرَكْتُ رِجَالًا مِمَّنْ أَدْرَكُوا النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَأَبَا بَكْرٍ إِذَا جَاءُوا فَلَمْ يَجِدُوا إِلَّا أَنْ يُصَلُّوا فِي الْمَسْجِدِ رَجَعُوا فَلَمْ يُصَلُّوا*

*Hazrat Swaleh Maula Tawama Ne Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Rasul Allah ﷺ Ne irshad Farmaya Ke Jisne Masjid Mein Namaz E Janaza Padhi Uske Liye Koi Ajr Wa Sawab Nahi Hai Raawi e Hadees Hazrat Swaleh Farmate Hain Ke Main Ne Bahut Se Aise Logon Ko Jinahun Ne Nabi Karim ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ko Paya dekha Hai Jab Wo Namaz e Janaza Ke Liye Tashrif Laate Aur Unko Namaz e Janaza Ke Liye Masjid Ke Alawa Koi Aur Jaga Na Milti Tu Wo Wapis Chale Jaate Thy Aur Namaz e Janaza Masjid Mein Nahi Padhte Thy !*

📕 *Musnad e Abi Tiyalisi vol 04 Page 71,72*




3⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕯 *Namaz e Janaza Masjid Ke Bahar Padhna Afzal Hai..Albani Wahabi*

☪ *نماز جنازہ مسجد کے باہر پڑھنا افضل ہے۔وہابی امام ناصرالدین البانی*

📌 *Ghair Muqallid Wahabi Firqe Ke Motabar molvi Nasir uddin Albani Namaz e Janaza Ko Jahan Masjid Ke Andar Padhne Ko Jayaz Kehta Hai Wahin Aage Chal Kar Khud Hi Likhta Hai Ke*

*“Afzal Ye Hai Ke Namaz e Janaza Masjid Se Bahar Us Jaga Padhi Jaye Jo Namaz Janaza Ke Liye Makhsos Ki Gai Ho Jaisa Ke Ahade Risalat Mein Tha Aur payare Nabi Ka Aam Tariqa Bhi Masjid Se Bahar Hi Padhne Ka Tha !*

📙 *Janaza Ke Ahkam Wa Masail Aur Uski Baaz Bidaat Page 28*

🖇 *Wahabi imam Albani Ke Nazdik Bhi Yahi Afzal Hai Ke Namaz e Janaza Masjid Ke Bahar Padhi Jaye Aur Ye Tariqa Huzor Pak ﷺ Ka Aam Tariqa Raha Hai Jise Sunnat e Mutwatira Bhi Kaha Ja Sakta Hai Lihaza Ahlesunnat Wa Jama'at Ke Imam Hazrat imam Ahmad Raza Qadri قدس سره Ne Jo Fatwa Janaza Ke Masjid Mein Na Padhne Ka Diya Hai Wo Biqul Sahi Hai Aur Wo Fatwa Sunnat e Rasool ﷺ Ke Mutabiq Hai.*



4⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕯 *Huzoor ﷺ ke Zamana Mein Namaz e Janaza Ke Liye Alag Jaga Thi*

☪ *حضور کے زمانہ میں نماز جنازہ کے لئے الگ جگہ مقرر تھی۔وہابی مولوی*
📌 *Wahabi Ghair Muqalladin Ke Molvi Abdur Rahman Mubarakpuri Namaz e Janaza Ke Mutaliq Jahan Ye Likha Ke Masjid Mein Jayaz Hai Wahi Aage Likhte Hain*

*“Masjid Mein Namaz e Janaza Padhne Ki Aadat Nahi Karni Chahiye Balke Namaz e Janaza Ke Waste Masjid ke Alawa Koi Aur Jaga Muqarrar Karni chahiye Jaisa Ke Rasul Allah ﷺ Ke Zamane Mein Masjid Nabavi Ke Alawa Ek Khas Jaga Namaz e Janaza Ke Waste Muqarrar Thi*

📔 *Kitab Ul Janaiz Page 48*

🖇 *Wahabi Jama'at Ke Molvi Ki ibarat Se Pata Chala Ke Huzoor ﷺKe Mubarak Zamana Mein Namaz e Janaza Ke Liye Ek Khas Jaga Alag Se Muqarrar Thi.*



5⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🔮 *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Masjid men Namaz e janaza Nahi Padhte Thay*

☪ *حضرت ابو ہریرہ رضي الله عنه مسجد میں نماز جنازہ نہیں پڑھتے تھے۔السنن الکبریٰ*

📌 *Hazrat imam Behqi رحمه الله Sunan ul Kubra Mein Riwayat Naqal Farmate Hain:*

 *قَالَ صَالِحٌ: فَرَأَيْتُ الْجِنَازَةَ تُوضَعُ فِي الْمَسْجِدِ فَرَأَيْتُ أَبَا هُرَيْرَةَ إِذَا لَمْ يَجِدْ مَوْضِعًا إِلَّا فِي الْمَسْجِدِ انْصَرَفَ وَلَمْ يُصَلِّ عَلَيْهَا*

🖇 *Hazrat Swaleh Farmate Hain Ke Main Ne Dekha Janaza Masjid Mein Rakha Gaya Aur Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Ko Masjid Ke Alawa Jaga Na Milo Tu Wo Wapas Chale Gaye Aur Namaz e Janaza Na Padhi*

📗 *Sunan ul Kubra Vol 04 Page 86*

📝 *Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Bhi Masjid Ke Andar Namaz Nahi Padhte Thy Ye is Riwayat Se Sabit Hota Hai Tafseel Ke Liye Aap Muhaqiqi e Ahlesunnat Hazrat Alama Kashif iqbal Madni Ki Kitab Kitab Ul janaiz Ka Mutala Karen*




6⃣ *NAMAZ E JANAZA KAHA HO*

🕌 *Namaz e Janaza Masjid Mein Koi Shari Uzr Ho Tab Jayaz Hai !!!*

☪ *نماز جنازہ مسجد میں صرف شرعی عذر کی بنیاد پر جائز ہے !* 

📌 *Musannif ibne Abi Shaiba Mein Riwayat Hai*

*حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنِ ابْنِ أَبِي ذِئْبٍ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ سَمْعَانَ، عَنْ كَثِيرِ بْنِ عَبَّاسِ، قَالَ: «لَأَعْرِفَنَّ مَا صَلَّيْتُ عَلَى جِنَازَةٍ فِي الْمَسْجِدِ*

🖇 *Hazrat Kasir Bin Abbas Farmate hain Mujhe Achi Tarah Maloom Hai Ke {Ahade Nabawi Aur Sahaba Kiram} Mein Kisi Ki Bhi Namaz e Janaza {Bagair Uzre Shrai Ke} Masjid e Nabawi Mein Nahi Padhi Gai*

📗 *Musannaf ibne Abi Shaiba Vol 04 Page 532*

📝 *Pata Chala Ke Huzor ﷺ Ke Zamana Mein Aur Sahaba Kiram رضي الله عنهم Ke Zamana Mein Nazam e Janaza Padhne Ka Mamul Masjid Ke Bahar Hi Tha Aur Agar Koi Uzre Sharai Hota Tabhi Masjid Ke Andar Namaz E Janaza Padhi jati*



🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️⚪🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️🕳️




POST 01】NAMAZ MEIN NAAF KE NICHE HATH BANDHNA SUNNAT HAI*



🔮 *_Ghair Muqalladin Hanfion Per Aitraz Karte Hain Ke Hanfi Namaz Mein Naaf Ke Nche Hath Bandhte Hain Aur Kehte Ke Ye Hadees Se Sabit Nahi Jab Ke Ye Ghair Muqallid Wahabi Najdion Ka Dhoka Hai insha Allah Hum Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhne Ke Dalil Pesh Karen Ge Seeha Sitta Ki Kitab Abu Dawod Mein Hadees Hai_*

*حدثنا محمد بن محبوب حدثنا حفص بن غياث عن عبد الرحمن بن إسحاق عن زياد بن زيد عن أبى جحيفة أن عليا – رضى الله عنه – قال السنة وضع الكف على الكف فى الصلاة تحت السرة*
🔰 *Hazrat Juhaifa Se Riwayat Hai Ke Hazrat Ali ؓNe Farmaya Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai*

📚 *_Sunan Abi Dawood Vol 1 Page 292_*




POST 02】*



*مصنف ابی شیبہ کی نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنے والی حدیث*
_Namaz Mein Zere Naaf Wali Musannaf Abi Shaiba Ki Hadees_
*Musannaf imam Abi Shaiba Mein Hadees Hai*

*حَدَّثَنَا وَكِيعٌ، عَنْ مُوسَى بْنِ عُمَيْرٍ، عَنْ عَلْقَمَةَ بْنِ وَائِلِ بْنِ حُجْرٍ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: رَأَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَضَعَ يَمِينَهُ عَلَى شِمَالِهِ فِي الصَّلَاةِ*
📋 *_Hazrat Wail bin Hujar Apne Walid Se Riwayat Farmate Hain Main Ne Nabi Karim Ko Dekha Ke Aap Ne Namaz Mein Daayan Hath Baayen Hath Per Rakhkhar Zere Naaf Bandhte.._*

📚 *_Musannaf Abi Shaiba Vol 2 Page 309_*

🔰 *Is Hadees Ke Ek Raawi Allama Qasim Bin Qatlubga per Ghair Muqallid Yusuf Zai Ne Apni Maslaki Bhadas Nikalte Howe Kazab Ki Jirah Ki Hai Jab Ke Mohaddasin e Izzam Ne Hazrat Allama Qasim Bin Qatlubgha Ki Tausiq Farmai Hai Aur Zubair Ali Zai Jo Ke Khud Apne Firqe Mein Jhoot Bolne Mein Mashor Hai Uski Jirah Ki Koi Ahmiyat Nahi Rah Jaati*




POST 03】*



*امام بیہقی نے نقل کی نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنے والی حدیث*
_Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai ,behqi_

*_Imam Behqi apni Sunan Mein Riwayat Naqal Farmate Hain_*

*كَمَا أَخْبَرَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ الْحَارِثِ، أنبأ عَلِيُّ بْنُ عُمَرَ الْحَافِظُ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ الْقَاسِمِ، ثنا أَبُو كُرَيْبٍ، ثنا حَفْصُ بْنُ غِيَاثٍ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاقَ، عَنِ النُّعْمَانِ بْنِ سَعْدٍ، عَنْ عَلِيٍّ رَضِيَ اللهُ عَنْهُ أَنَّهُ كَانَ يَقُولُ: ” إِنَّ مِنْ سُنَّةِ الصَّلَاةِ وَضَعُ الْيَمِينِ عَلَى الشِّمَالِ تَحْتَ السُّرَّةِ*
🔮 *Hazrat Ali Se Riwayat Hai Ke Namaz Mein Sunnat Ye Hai Ke Dayeen Hath Ko Bayeen Hath Per Naaf Ke Neeche Bandhe*

📚 *_Sunana Ul Kubra Vol 2 Page 48_*

🔰 *_Is Hadees Per Mashor Kazzab Ghair Muqallid Molvi Zubair Ali Zai Ne Aitarazat Kiye Hain Jiska Jawab Muhaqiqe Ahle Sunnat Allama Faisal Khan Sahab Ki Kitab Ke safa Number 58 Per Dekh Sakte Hain Kitab Ka Link Neeche Diya Gaya Hai_*

https://ia801705.us.archive.org/25/items/NamazMaiNaafKeNeechayHaathBandna/Namaz%20Mai%20Naaf%20Ke%20Neechay%20Haath%20Bandna.pdf




POST 04】*



*نماز میں ناف کے نیچےہاتھ باندھنا سنت ،سینے پر باندھنا مکروہ ۔ابن قیم الجوزی*
_Naaf Ke Niche Bandhna Sunnat Sine Per Bandhna Makroh,ibne Qayam_

*Wahabi Ghair Muqalladin Ka Motabar imam ibne Taimya Ka Khas Shagird Likhta hai “*

❇ _Dauran Namaz Hath Bandhne Ki Jaga Mein ikhtelaf Hai imam Ahmed Se Ek Riwayat Naaf Ke Uper Bandhne Ki Hai Ek neeche Bandhne Ki Hai Ek Riwayat Aap Se Wo Hai Jo Abu Talib Ne Zikr Ki Hai Aap Farmate Hain Ke Main Ne imam Ahmad Se Pocha Ke Namaz Padhte Howe Hath Kahan Rakhe Aap ne Farmaya_

🔮 *_“Naaf Ke Uper Ya Neeche Rakhe” Aur Aap Ke Nazdik Sab Jayaz Hai Chahye Naaf Se Upre Ho Chahe Naaf Se Niche Ho Chae Naaf Per Rakhe Hazrat Ali Se Riwayat Hai Ke Hatheliyun Per Hatheliyun Ko Naaf Ke Niche Rakhna Sunnat Hai Omro Bin Malik Ne Riwayat Abul Jauza hazrat ibne Abbas Se Hazrat Ali Ki Tafseer Ke Manind Riwayat Kiya Hai Magar Ye Sahih Nahi Hai Sahih Hazrat Ali Ki Hadees hai imam Mizni Ki Riwayat Ke Mutabiq imam Ahmad Ka Ye Farman Hai Ke Naaf Se Thuda Niche Bandhe Aur Seene Per Hath Rakhna Makrooh Hai is Liye Nabi Karim Se Marwi Hai Ke Aap ne Ne Takfeer Se Mana Farmaya Hai Aur takfir Seene Per Hath Rakhne Ko Khte Hain_*

📚 *_Badaye Al Fawaid ibne Qayam Page 980,981,982_*

🔰 *Ghair Muqalladin Kaafi Chilate Hain Naaf ke Niche Hath Bandhna Sabit Nahi Hai Zaif Hadees Hai Wagera Magar inka Motabar imam ibne Qayam Tu Sabit Kar Raha Hai Ke namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhna Sunnat Hai Na Sirf Naaf Ke Niche Bandhne Wali Amal Ko Sahih kaha Balki Seene Per Hath Bandhne Wale Amal Ko Makroh Likh Diya Ab Ghair Muqallain Se Sawal Hai Ke ibne Qayam Sahih Tha Ya Aaaj Ke Ghair Muqalladi Sahih Hain? Kiya ibne Qayam itna Jahil Tha Ke Usse Sahih Aur Zaif Hadees Ka Bhi ilm Nahi Tha ? Agar Naaf Ke Niche Bandhne Wali Tamam Riwayat Zaif Hain Tu ibne Qayam Ne is Amal Ko Sahih Kiyun kaha? Aur Seene Per Hath Bandhne Wali Riwayat Sahih Thi Tu is Amal Ko Makrooh Kiyun Kaha ?_*




POST 05】*



*نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ باندھنا نبی کریمﷺ کی سنت ہے. امام ابن قدامہ*
_Naaf Ke Niche Hath Bandhna Nabi Karim ﷺ Ki Sunnat Hai_
*_Imam ibne Qudama Farmate hain_*

*رُوِيَ ذَلِكَ عَنْ عَلِيٍّ، وَأَبِي هُرَيْرَةَ وَأَبِي مِجْلَزٍ، وَالنَّخَعِيِّ، وَالثَّوْرِيِّ، وَإِسْحَاقَ؛ لِمَا رُوِيَ عَنْ عَلِيٍّ – رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ – قَالَ: مِنْ السُّنَّةِ وَضْعُ الْيَمِينِ عَلَى الشِّمَالِ تَحْتَ السُّرَّةِ. رَوَاهُ الْإِمَامُ أَحْمَدُ، وَأَبُو دَاوُد. وَهَذَا يَنْصَرِفُ إلَى سُنَّةِ النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ*

🔮 *“ Naaf Ke Niche Bandhne Ki Riwayat Hazrat Ali ؓ Hazrat Abu Huraira Hazrat Abu Majlaz ibrahim Nakhai Sufiyan Sauri Aur ishaq Bin Raahwiya Se Marwi Hai Kyun Ke Hazrat Ali Razi Allahu Ta'Ala Anhu Farmate Hain “ {Namaz Men} Dayen Hath Ko Bayen Hath Per Naaf Ke Niche Rakhna Sunnat Hai is Riwayat Ko imam Ahmad Bin Hambal Aur Abu Dawod Ne Naqal Kiya Hai Aur Sunnat Se Murad Huzoor ﷺ Ki Sunnat Hai..*

📚 *_Al Moghni ibne Qudama vol 2 Page 141_*



POST 06】*



*نماز میں ناف کے نیچے ہاتھ رکھنا اخلاق انبیاء میں سے ہے ۔ابن حزم*
_Naaf Ke Niche Hath Bandhna Akhlaq e Ambiya Mein Se Hai_

🔮 *_Wahabi Ghair Muqallid imam ibne Hazam Ne Bhi Namaz Mein Naaf Ke Niche Hath Bandhne Wali Riwayat Ko Naqal Kiya Hai Likhta Hai_*

🔰 *“ Hazrat Anas Farmate Hain Ke Teen Chizen Nabowat Ke Akhlaq Mein se Hain 1 Aftar Mein Jaldi Karna 2. Sahari Dair Se Khana 3.Aur Dauran E Namaz Dayan Hath ko Bayen Hath Per Naaf Ke Niche Rakhna..*

📚 *_Mohalla ibne hazam Vol 3 Page 30_*

कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...