Masa'il E Shariat jild-1
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
*Suwal no. 1*
*Huzoor ye irshad farmaye ki agar kisi ne* *machchli ziba ki hai or usme koi keemti moti* *nikla to wo moti*
*kiska hoga. Seep me* *nikle to kya hukm hai or bagair seep ke nikle to ?*
Jawab بسم الله الرحمن الرحيم 1:
Machhli ke pet me moti nikla, agar moti Seep ke andar hai to yahi khareedar malik Hai, agar seep ke
andar nahi to, khareeddar Malik nahi, shikari ko dede…Jaisa ki, Sadr us sharia Hazrat e Allama, maulna
Mufti Amjad Ali Azami, Bahar e Shariat Jild:3 Safah:325 par irshad Farmate hai,‐
“Machhli ka pet chak kiya us me moti nikla, Agar ye seep ke andar hai to machhli wala iska Malik hai (or)
shikari ne machhli bech daali to Moti khareedar ka hai, or agar moti seep me nahi Hai to khareedar
shikari ko de de”
……. ……………..
Qk daur e hazir me aksar dukan daar hi machhli Palan karte hai, yani wo apne hi talab se shikar Karke
bechte hai, to wo dukandar hi shikari ke Hukm Me hai,
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
*Suwal no. 1*
*Huzoor ye irshad farmaye ki agar kisi ne* *machchli ziba ki hai or usme koi keemti moti* *nikla to wo moti*
*kiska hoga. Seep me* *nikle to kya hukm hai or bagair seep ke nikle to ?*
Jawab بسم الله الرحمن الرحيم 1:
Machhli ke pet me moti nikla, agar moti Seep ke andar hai to yahi khareedar malik Hai, agar seep ke
andar nahi to, khareeddar Malik nahi, shikari ko dede…Jaisa ki, Sadr us sharia Hazrat e Allama, maulna
Mufti Amjad Ali Azami, Bahar e Shariat Jild:3 Safah:325 par irshad Farmate hai,‐
“Machhli ka pet chak kiya us me moti nikla, Agar ye seep ke andar hai to machhli wala iska Malik hai (or)
shikari ne machhli bech daali to Moti khareedar ka hai, or agar moti seep me nahi Hai to khareedar
shikari ko de de”
……. ……………..
Qk daur e hazir me aksar dukan daar hi machhli Palan karte hai, yani wo apne hi talab se shikar Karke
bechte hai, to wo dukandar hi shikari ke Hukm Me hai,
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 2*
*Huzoor ye irshad ki Wuzu me Farz e Amali, Farz Etiqadi kitne hain or kiske inkar se banda kafir hoga ya*
*nahi*
Jawab :2 بسم الله الرحمن الرحيم
Wuzu me farz e etiqadi or farz e amali par kalam karne Se pehle me ye batana munasib smjhata hu ki
akhir ye Hota kya hai, kyunki aksar logo ko wuzu me sirf 4 farz ke alawa kuchh nahi pata hota. (balki baz
to imam or hafiz Bhi isse ghafil hote hain) Ummid hai ki ye behes sabke liye nafa bakhsh hogi.
Pehle inki tareef fir inki tadad.
(الله شاء ان(
Farz e Etiqadi‐ us farz ko kehte hain jiski farziyat aisi dalil se sabit ho jisme shak ki koi gunjaish hi nahi
maslan quran se… jaise ki quran me hukm aya .. Or apne saro ka masah karo..
Farz e Amali‐iski farziyat nasse‐qatai se to sabit nahi, magar nazr e mujtahid me, Aisi zaruri hoti hai ki
jisse ibadat mukammal nahi hoti.. Maslan chothhai sar ka masah karna..
Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, or 12 farz e amli hain
Hukm e kufr:
Farz e etiqadi ka inkar kufr hai, ki ye quran ki nas ka inkar hai
Jaise koi kahe main sar ke maseh ko nahi manta.. To kafir hai, ki inkar e quran hai..
Farz e amali ka inkar kufr nahi albatta gumrahi hai. Jaise koi kahe me sar ke maseh ko to manta han magr
Chothhai maseh ko nahi manta to gumrah hai,
*Note:‐* mujtahid par hukm e gumrahi bhi nahi hoga, kyunki unke Pas iske radd me dalil hoti hai, maslan
agar imam shafai kahe ki Me chothhai sar ka masah nahi manta balki 3 baal par bhi kaafi Hai to ye
gumrah bhi nahi. Ki khud bade aalim e deen (mujtahid) hai. (shariat se) Dalil rakhte hai,
Wese to sail ka Jawab yahi tak poora ho gaya. Ki etiqadi or amali Ki tadad puchhi thi, tafsir nahi., Magar
kyuni ye bahut aham kalam hai to me munasib janta hu ki Iski tafsir bhi kar du ki, kya kya wuzu me farze etiqadi hai Or kya kya farz e amali hai, taaki ummat mere liye dua go rahe..or saail ka dil bhi qaraar paaye
Or baad dafan me bhi nijaat..
Beshak iski tafseel bahut taveel hai, magar yaqeen jaane Yahan bas mukhtasar hi likhi jaati hai, ise
mukammal Naa samjhe. yani har ek point ki Bahut tafseel hai. jo ki mere liye yaha likhna goya Gilas me
Jag ka paani utar dena hai.. Isilye sirf tadad par bas kiya jaata hai..
Wuzu me 4 farz e etiqadi hain, (isme istasna ka zikar nahi hai)
(1) munh dhona
(2) dono hath nakhun se kohniyo tak dhona
(3) sar ka masah
(4) paaun
Farz e Amali: Har mazhab or maslak me alag hote hai magar Humare nazdeek wuzu me 12 Farz e Amali
hain wo ye hai..
(1) dono lab (hont) (agar lab khoob zor se band karke wuzu kya
Or kulli naa ki to wuzu naa hoga
(2) bhanwen
(3) munchhe
(4) thodi ke upar or nichle hont ke bal
(5) daari
(6) kanpatiyan
(7) dono kohniya.
(8) anguthi, or har qism ke jaiz, najaiz gehne (jabki tang ho)
(9) maseh ki nami, sar ki khal ya khas bal jo sar par hai
(10) kam se kam chothhai sar ok istiab kar le
(11) takhno ke upri kinaro se nakhoon tak har hissa, balki zarra zarra
(12) munh, hath, paun, teeno uzw(part) ke tamam ke zarre zarre par paani bahana
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
Allah tala meri maghfirat kare. Or tehqeeq e jadeed me aql e saleem de
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 3*
*Ahle‐Qible kise kehte hain, or inki takfeer ka kya Hukm he*?
Jawab :3 بسم الله الرحمن الرحيم
Ahle Qibla ki Behs me Dalail e Qahiraa.
Ahle qibla ki tareef Sharah Maqasid or Durr e Mukhtar me yun he.
اھل القبلۃ معناه الذين اتفقوا علی ماھومن
ضروريات االسالم واختلفوافی اصول سواھا
واال فال نزاع فی کفرا
*Tarjuma:* Yani Ahle Qibla ke ye maine he ki jo tamam Zaruriyaat e deen ko manta ho aur un ke siwa,
Kuchh aqeedo me ikhtilaf rakhta ho…
‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Hukm e takfir
Ahle qibla ko (kab) kafir kahe ya nahi ?
*Kanzul ummat me hai:*
التکفروا احدا من اھل القبلۃ
*Tarjuma:* Farmate hai Huzoor (وسلم عليہ تعالی ٰ االله صلی (Ahle Qibla se kisi ko kafir naa kaho.
Sharah Fiqh Akbar me hai: Hame apne nabi ki ye hadisen or imame‐azam ka Ye farmaan yad hai
.القبلۃ اھل من احدا والنکفر *Tarjuma*: ahle qibla se hum kisi ko kafir nahi kehte
*Durr e Mukhtar me hai:*
تجوز منا کحۃ المعتزلۃ النا النکفر احدا من
اھل القبلۃ وان وقع الزامالہم فی المباحث
*Tarjuma:* (hum) ahle qibla ki takfeer nahi karte Agarche behes ke tor par unpe kufr ka ilzam sabit hai
*Fatahul Qadeer me hai:*
ً الحق عدم تکفير اھل القبلۃ وان وقع الزاما لھم فی المباحث
*Tarjuma:* Haq Ahle qibla ki adm e takfir hai agarche (unpe) behes me lazimi tor par unpe kufr waqeh hua
hai
‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Asl baat ye hai ki istila e aimma me ahle qibla wo hai Jo ke tamam zaruriyaat deen par iman rakhta ho
(agar) in me se ek baat ka bhi munkir ho to Qata’tn, yaqeenan ijma’ann kafir murtad hai Wo bhi aisa ki
jiske kufr me koi shak kare khud kafir (jiska dalail niche diye gaye hain)
*Shareh maqasid me hai:*
اھل القبلۃ المواظب طول العمر علی
الطاعات بصدور شيئ من موجبات الکفر عنہ
*Tarjuma:* jis ahle qibla se koi kufr sadir ho Weh kafir hai agarche tamam ibadaten kare
*Al‐ behr‐al khalaiq me hai:*
من خرج بيدعتہ من اھل القبلۃ کمنکری
حدوث العالم ، فال نزع فی کفر ھم النکار ھم
*Tarjuma:* jo koi bad aqeedgi ki wajah se ahle qibla Se kharij ho jayen, unke kufr me koi naza’a nahi
*Sharah fiqh akbar me hai:*
ال يکفر اھل القبلۃ اال فيما فيہ انکار
ما علم مجيئہ بالضرورة اوالمجمع عليہ
کاستحالل المحرمات
*Taruma:* Ahle qibla ko kafir naa kaha jayega, Magar jab (kaha jaega) zaruriyaat e deen ya ijm’ai
Baton se kisi baat ka inkar Karen jaise, Haram ko halal jane.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 4*
Kisi ne pehle zakat nahi di or wajib thi, or ab bhi hai to kya pehle ki or ab ki dono zakat dega
*Jawab 4: G, Han*
*Suwal no. 5*
Kisi par pehle zakat wajib thi usne nahi di or ab wajib nahi to kya ab pehle wali zakat deyga ya nahi ?
*Jawab 5:
G, Han*
*Suwal no. 6*
*Napaki kin kin chizo se hoti hai, ?*
*Jawab
6* Me sail ke is Suwal se itna samajh paa raha hu Ki wo puchhna chahta hai kab admi napak Ho jata hai, kab ghusl farz/wajib hota hai *5 Chize paai jaye to Insan par ghusl wajib hotaHai,* jinka zikr hum aage kuchh mukhtasar Tafsil se karenge.
*1. Mani* ka apani jaga se shehwat (sex) ke sath nikalne se ghusl wajib hota hai, maslan: kisi ne gande
khyal jama kar apne hi hath se (mazallah) mani nikali to ghusl wajib hai, or agar ye mani shehwat ke sath
jhatke ke sath naa nikli bas gandi chiz ko dekhne se qatra ya safed pani nikla or uska nikalna maloom bhi
nahi hui to wo mani nahi yani uspe ghusl wajib nahi.
*2. Ehtilaam:‐* Sote me mani ka nikalne se ghusl wajib hai, Isme shart hai ki. Kapde par nishan paya jaye.
Agar ehtilaam hona yaad hai, ya khwab yaad hai, Magar kapde par mani ka koi nishan nahi to ghusl wajib
nahi,
*3. Dukhul:‐* Koi mard apne sharmgah (penis) ko kisi aurat ki Sharmgah (vagina) me ya Peechhe dubar
(bum) me dakhil kare. Mard, mard ki Peechhe dakhil kare, in suraton me ghusl wajib Dono par hai, chahe
mani nikle ya nahi
*4. Haiz‐* Jab aurat haiz se farig ho jaye to ghusl wajib hai.
*5. Nifas‐* Aulad ki wiladat ke bad jo aurat ko khoon ata hai Use nifaas kehte hai, usse khoon se farig hone
ke bad.
Madani Mashwara:
Yaqeenan, har aqil baligh musalman par in baato ka sikhna Farz hai, magar, baz log sharm se in choze ko
nahi sikhte Or naa kisi se puchhte hai, or kabhi in bato ko kisi aalim e deen Ki bargah me jaa kar sikhte
hai, Khuda bhala kare sail ka ki isne logo ke liye ye Suwal karke aasani kar di. Allah tala ise dono jahan me
bhalaiyan ata kare.
Or humne har chiz ka zikr saaf saaf byan Kar diya. or masail sikhne me logo ko allah ka ye farman bhi
yaad rakhna chahiye ki Quran me Allah Ka irshad hai:
“Aur Allah Haq farmane me nahi sharmata”
*(Para:22, sureh:ahzab, ayat:53)*
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 7*
*Baaz namaziyon ko ba‐sabab e kasrat namaz naak ya peshani par jo* *siyah daagh ho jata hai. Zaid kehta*
*hai ke jis ke dil me bugz ho ye us ke dil ka daagh zahir hota hai. Kya zaid sahih kehta hai. Or ye dagh se*
*kya kuchh faida hai?*
*Jawab :-7 بسم الله الرحمن الرحيم*
Allah Ta’la Sahaba or Huzoor (سلام لا عل يه ( ki shan Me irshad fermata hai:
Un ki peshani unke chehron me hai sajde ke asar..
Sahaba or tabaieen se is nishaani ki tafseer me 4 qaul masoor hain
*1:-* weh noor jo roze qiyamat unke chehro par barkate sajdeh se hoga
is qaul ke raawi‐ Hazrat Abdullah bin Abbas, Hasan basri wagera hain,
*2.* khushu a khuzu wa roshni jiske aasar saleyheen ke chehron par duniya
hi me zahir honge.
Is qaul ke raawi‐ Hazrat abdulla bin abbas, imam mujahid hain,
*3.* chehri ki zaradi ki, qiyam (namaz) e leyl o shab bedaari main peda hoti hai
is qaul ke raawi‐ imam hasan basri wa sihak o ekrama shamr bin attiya he
*4.* wuzu ki tari aur khak ka asar ki, zameen par sajda karne se maathe aur
naak par mitti lagi jaati hai .
is qaul ke raawi‐ imam saeed bin jubair, wa ekrama se hai,
baki tafseel *FATAWA AFRICA* me padhi jaa sakti hai.
Khulasa e kalam hai ye ki,
dikhawe ke liye qasdan nishan paida karna Haram e qatai or gunah e kabeera hai or weh nishan
jahannam ka nishan hai Jab tak tauba naa kare. Aur agar nishan sajdo ki kasrat se khud padh jaye to agar ye sajde
riyai (dikhawe) ke the aisa karne wala jahannami Aur ye maathe par sajdo ke nishaani ki nishan agarche
khud paida hua ho Or agar sajde mehez allah ke liye the or ye is nishan ke padhne se khush hua Ki log
mujhe ibadar guzar, sajid janege to ab riya aa gaya,
Or agar ise is nishan ki taraf kuchh ittifaq nahi to ye nishan, nishan e mehmood hai Or ek jamat ke
nazdeek ayat e kareema me iski tareef hai, Ummid hai ki qabr me firishton ke liye iske imaan wa namaz
ki nishani ho aur roze qiyamat suraj se zyada noorani ho, Jabki aqeeda ahle sunnat wa jamaat ka ho
Warna badtareen gumrah ki kisi ibadat or nishani par nazar nahi hoti.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
*Suwal no. 8*
*Hazrat aap hi bataye isme ye jo behes hai ki aaj kal Short me bas Salam kara Jata hai or isi tarah log short*
*me “wks” likh kar jawab de dete hai, kya ye sahi he*
*Jawab :-8 بسم الله الرحمن الرحيم*
Cham‐chamata “ilmi heera” la‐ilmi ki khaan me,
Musalmano ko adab sikhata SALAM ke byan me
Sirf “Salaam” keh dene se bhi salam ho jaata hai
Jaisa ki,
*Ki quran ke para : 14 ayat:52 me lafz “salam” salam hi ke liye farmaya gaya…*
*Bahar e Shariat Jild:3 Page:465 par hai,*
“Kuchh (log) kehte hai “SALAAM” isko bhi salaam kaha jaa Sakta hai,”
or isi me hai
“salaam” ke Jawab me “salaam” keh diya, Ya وعليکم keh diya. Jab bhi Jawab ho gaya”
Musalmano ko Salam Ka Andaz Sikhate huye. Mere *AQA ALAHAZRAT IMAM AHLE SUNNAT,* ASHAH
AHMAD RAZA KHAN *Fatawa Razawiyya Jild: 22, Page:408 Pe farmate hain,*
Kam se kam,, عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ Or isse behtar الله ِورحمة ْ ُ َ َ َ Or sabse behtar وبركاته َ َ َ َ ُ ُ Shamil karna .
Or farmate hai
عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ ke Jawab me عليكم ْ السالم َّ َ ُ َ َْ ُ kehne se bhi jawab (ada) ho jayega. Magar sunnat hai ki السالم وعليکم
kahe ..
‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
AHAM MAS’ALA
Likhe hue (written) salam ka Jawab dena bhi wajib hai, Magar likh kar wajib nahi, yani salam milte hi forn
Jawab Munh se de de, der ki to gunahgar hoga, Isilye Sayyid Ahmad Tehtavi farmate hai, ki
Log is (masale) se ghafil hain,
Tabhi alaHazrat jab khat padha karte to khat Me jo salam likha hota hai uska Jawab zuban se (foran)
Dekar, bad me aage khat padhte.
‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐ ‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐‐
Khulasa e kalam ye hai ki, Jab shariat me ‘salam’ kehna jaiz hai to Kam az kam salam hi kaha jaye magar.
Jawab me bhi ‘salam’ keh diya jaye Or behtar hai ki poora kare. Jaisa ki imam ne smjhaya. Magar
“Wks”.. kuchh nahi hota.. isse parhez chahiye..
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 9*
*Aaj kal dekha jata hai ke kuchh buzurg log masjid me kursi par namaz padte hain. Halanke wo ghar se khud apne pero se araam se chal kar aate hain Kya inka aisa karna durust hai? Ye bhi irshad farmayen ke kab qayam saqit hota hai!*
*Jawab :-9
بسم الله الرحمن* *الرحيم*
Aisa karna bilkul durust nahi is liye ke khade hone se mahaz kuchh takleef hona uzr nahi balke qayam us
waqt saqit hoga k khada na ho sake ya sajda na kar sake ya khade hone me ya sajda karne me zakham
bahta hai ya khade hone me qatra aata hai ya chothaai satr khulta hai ya qirat se majbure mahaz ho jata
hai yun hi khada ho sakta hai magar usse marz me zyadti ho hoti hai ya der me achha hoga ya na qabile
bardasht takleef ho gi to baith kar padhe or . agar asaa yani stick ya khadim ya deewar par tek laga kar
khada ho sakta hai to farz hai k khada ho kar padhe. agar kuchh der khada ho sakta hai agarche itna hi
khada ho ke allahuakber kah le to farz hai k khada ho kar itna kahe
*Bahare Sahriat hissa 3 Jild: 1, Safah: no 58/59*
(Jawab: Maulana Faiz ahmad qadri, manzar e islam)
*Suwal no. 10*
*Kuchh log wuzu ke bad masjid me aakar pehle baithte hai, Fir namaz padhte hai. kya inka aisa karna durust hai*
*Jawab :-10*
*Esa karna sunnat ke khilaf hai. chahiye ki wuzu ke bad sunnat padhe. Agar jamat he to jamat me shamil ho*
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 11*
kuchh logo ko dekha gaya hai ki wo masjid me jagah khali hone ke bad bhi Apni te‐shuda jagah par
bethte hai, or baz apna rumal rakh dete hai iska kya hukm he ?
*Jawab
:-11 بسم الله الرحمن الرحيم*
Isme chand surate ho sakti hai, Agar logo ne khud pehli saf tark karke Pichli saf me bethe hain, to ye unki
Kam aqali hai, or Peechhe se aane wale Is surat me agli saf me(jaha jagah khali thi) Me gaya to thik hi
kiya, ki ye izzat unhone Khud khoi, chahiye the ye ki pehle awwal Saf ko bharte, or agar saf e awwal Pehle
se mukammal thi fir koi shaks Jabrnn usme aata ki to ghalat hai ki, isse Saari saf kharab hone ka khatra
hota hai Or namazio ko halat e namaz me Khushu khuzu hasil nahi ho pata
Agar pehle saf me jagah khaali thi, fir Bhi koi khud jaan kar usme nahi bethta Peechhe bethta hai to,
gunahgar nahi, Han, saf e awwal ke swab se mehrum Zarur hai, or afazal yahi tha ki pehli saf Me jaata
magar tark e afzal par shariat me Koi gunah nahi,
Or isi tarah bahut log wuzu karne jaate hai to Saf me apna rumaal rakh dete hai. Isme bhi koi HARAJ
NAHI.
*Yahi bahar e shariat or Fatawa Amjadiya Jild:1 Page: 265 se zahir hai..* Ja‐namaz par rumal rakhne
me koi harj nahi
Aaj maujoda dor me haal yahi hai. ki Logo pehle saf me jaana pasand nahi karte Agar ye hota ki Pehli saf
walo ko Rs.500/‐ diye jaate to Shayad ye Peechhe bethne wala, fajr bad Zohar ka intizar bhi karta or ghar
naa jata Or isi tarah isha bad, fajr ka intizar karta Or saf e awwal ki jagah naa jaane deta.
ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
*Suwal no. 12*
*Kya Wahabi ke Peechhe namaz Padh sakte hai. ?*
*بسم الله الرحمن الرحيم 12:* *Jawab*
Wahabi, Deobandi, Balki Siwaye Ahle Sunnat (Bareilvi) Imam ke, Har khabees ke Peechhe Namaz Naa
padhe, Agar kahin aisi jagah ho, Jahan sunni imam nahi to bad jamat e wahabia Apni namaz padhi jayegi,
Or agar din jume ka hai to, jumma bad apni Zohar padhi jayegi, ki wahabi ki namaz, namaz nahi,
*Jaisa ki AlaHazrat Imam Ahle Sunnat Fatawa* *Razawiyya Jild: 6, Safah: 593 Par likhte hai*
*“Wahabi ke pichhe namaz batil mehez hai.”*
*Or isi FATAWA RAZAWIYYA me aage Jild: 6, safah: 621 par Likhte hai.*
*“Ahle sunnat par farz hai ki apna imam sunni Jumma wa eed ke liye mukarrar kare. Wahabi ke Peechhe*
*namaz batil mehez hai”*
*Or aage isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 6, safah: 633 Par likhte hai*
*“Wahabi ke Peechhe namaz jaiz nahi. Chahe apna ustad ho. Balki usko ustad banana hi us (sunni) ke haq*
*me zeher e qatil hai”*
*Fir isi FATAWA RAZAWIYYA Jild: 8, Safah: 452 par likhte hai,*
*“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz mehez baatil hai”*
*Or aage badte hue Imam, ummat ki rehnumai karte hai or Isi*
*FATAWA RAZAWIYYA JILD: 24, SAFAH: 501 par likhte hai*
*“Wahabi ke Peechhe namaz beshak najaiz hai, “*
*‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐ ‐*
Itne bade maulvi balki aalim, balki mufti balki muhaddis, balki mufassir balki mujaddid balki mujaddi e
azam, balki Imam e AHLE SUNNAT or wali e kamil ke itne fatwo ke bad saaf zahir hai. wahabi ke Peechhe
namaz batil hai, jaiz nahi, Or fir bhi koi jaan lene ke bad bhi padhta hai to wo jahalat ke darje par kitni
bulandi Hasil kar chuka hai. ye har ahle aql par roshan hoga.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 13*
*agar ek shaks 1 lakh Rs chhod kar mara hai or uski 1 biwi or 1 ladka or 1 ladki hai to wo 1 lakh me se kisko*
*kitna hissa milega irshad farmaye*
*بسم الله الرحمن الرحيم 13:* *Jawab*
Tamam tarif usi zaati ilm wale allah ki jisne roka aasman ko Bina sutoon ke or ilm e fiqh ki tehqiq me, be‐
aqlo ko qabil e tehqiq kiya. Or wahi ilm wala janne wala hai. or deta hai jise chahta hai apne ilm ke hisse
se, or ghaib se madad karta hai, besaharo ki, nafa bakhsh wata hai makhlook ko makhlook se
or durood us habeeb or rasoolo ke rasool par or har aale‐rasool o ashab par (وسلم عليه الله صلى و وجل َ َ َّ عز( َّ َ
*~---------------------------------------~*
Agar mayyit ki biwi ke sath mayyit ka beta Beti (pota poti…) ho to biwi ko kul maal ka 8va hissa diya
jayega.
*(Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:450)*
Kul maal = 1 lakh Hai,
8va hissa = 12,500 (1,00,000/8=12,500)
bachi raqm = Rs. 87,500
agar beti ke sath mayyit ka ladka bhi ho to beti ki nisbat ladke ko do‐guna hissa banega
*(Fatawa Alamgiri Jild:6 Page:448)*
Bache maal ka do‐guna hissa
yani
87500/3= 29166.66
Yani
29166.66 + 29166.66 + 29166.66
Beti ka hissa = 29166.66
Bete ka double hissa = 58333.33 (29166.66 + 29166.66)
(33 paise or 66 paise ki barabar taksim Ki wajah se beta beti ke raqam me 1 paise ka Fark, kyunki ab,
aane or paise nahi chalte to Ye 1 paise ka apas me sulah kar sakte hai)
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 14*
*Hazrat agar kisi ne Gusse me 3 talaq de di to kya talaq ho gai ?*
*بسم الله الرحمن الرحيم 14:* *Jawab*
*Pucchi gai surat me aurat ko 3 talaq Ho gai, or ye aurat us aadmi ke liye Humesha ke liye haram ho gai*
*Ab fir usse nikah nahi kar sakta. Baghair halala kiye*
*Suwal no. 15*
*_Khade ho kar nahaye ya beth kar ?_*
*بسم الله الرحمن الرحيم 15:* *Jawab*
*Jaiz dono surate hain, Magar adab bethne me zyada hai*
*Suwal no. 16*
*Hamare nabi ki kitne Nawasa or Kitne nawasi thin,*
*Jawab :-16*
*_Apke kul nawasa nawasio ki tadad 9 thi, Jinme 5 Nawase or 4 Nawasiya thin_*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
_Suwal no. 17_*
*_Hamare Pyare nabi ki janaze ki namaz kisne padayi ?_*
*بسم الله الرحمن الرحيم 17:* *Jawab*
*Huzroo ki namaz janaza ke liye log giroh dar giroh, Aate or namaz ada karte magar koi imam naa tha.*
*Jaise ki Shaikh Abdul Haq Muhaddis e Dehelvi (madarijun‐nabiwat) me tehreer farmate hai.*
*_Janaza tayyiar hua to log namaz e janaza ke liye tut padhe, Pehle mardo ne fir aurton ne fir bachcho ne_*
*_namaz e janaza padhi, Janaza e mubarka hujra e aqdas ke andar hi tha, Bari bari se thode thode log andar_*
*_jaate the aur namaz padh Kar chale aate the, lekin koi imam naa tha._*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
_Suwal no. 18_*
*_Kya farmate hain aalim e deen is tehqeeq key Bare me or Hazrat aapki kya ray hai is byan me Ki imam e azam ka laqab “abu hanifa” kaise padha. Or jo log kehte hai unki ek beti thi, hanifa naam ki Jisne kuchh aurato ke Suwal ka jawab diya tha or is shart, Pe ki Jawab ke bad aap mera naam lagaoge. Wagera. Durust hai ya nahi.._*
*بسم الله الرحمن الرحيم 18:* *Jawab*
Ye jo logo ne byan kiya ki...
kuchh aurate imam sahib ke Paas aain or ye Suwal kia ki jab mard 4 shadi kar
sakta Hain ro aurat kyun nahi, or imam sahib ke pas iska jawab Naa tha. Apne walid ko pareshan dekh
kar. Imam sahib Ki beti ne un aurato ko Jawab de diya. Uske baad se Aap abu hanifa yaani (hanifa ke walid) ke naam se mash’hoor Huye.
Awwal to ye ki ye kissa kisi motabar kitab se meri nazar Se Nahi guzra jisse jis kitab se guzra wo motbar
naa thi...
*_~-------------------------------------------~_*
Haq ye he ki, imam sahib ka sirf ek beta tha jinka naam _*Hazrat hammad*_ hai, iske siwa koi aulad hi nahi
To beti ka tasawwur hi nahi. Fir logo ka ye kehna ki un aurato ke Suwal ka Jawab Imam sahib se nahi diya
gaya. Mehez be‐buniyad lagta hai. Dalail e aqliya ke pahad khade kar dene wale imam Se kaise is Suwal
ka Jawab naa bana. ? Jinke bare me ye mash’hoor hai ki. Ek palle me abu hanifa ki aql rakho or doosre
me Baki logo ki to imam ki aqal ghalib ayegi. Jinke bare me ye mash’hoor hai. ki Abu hanifa chahe to
pillar ko sone ka sabit kar de....
Or jo logo ne unki kunniyat Abu Hanifa padh kar ye Andaza kiya ki *“hanifa ke baap”* Main kehta hun
(allah hi ki tofiq se) to fir Abu huraira ko kiya samjha jayega. *“billi ke baap”* ? Abu turab ko kya samjha
jayega *“mitti ke bap”* Hargiz nahi Balki kunniyat me “abu” ka matlab humesha “baap” Ke nahi aata kabhi
“wale” ke liye bhi aata hai. Jaise ki Abu huraira or abu turab se zahir hai. To fir imam ki kunniyat ko
mehez “bap” ki buniyad pe hi Kyun parkha jata hai, Jabki haq ye hai ki. Siwaye beta, unki koi beti thi hi
nahi. Balki ahle faras dawaat ko farsi me “Hanifa” kehte hain. Or imam or unke shagird hamesha Apne
sath ek kalam dawaat rakhte the Jiski wajah se unhe *“abu hanifa”* (dawaat wale) Ke naam se jaana jata
hai..
Or baz ne kaha, deen e haneef ki wajah se Abu hanifa kaha gaya. Magar kisi ki ray me beti ka tazkira nahi.
(siwaye ek qol ke) magar wo hujjat qayam nahi karti
📚 *_Sawane imam e azam Page: 59 par hai. “Zyadatar is baat ki taraf gaye hai ki aapke Ek beta tha jinka naam apne hammad rakha Tha, Inke alawa koi aulad nahi thi.”_*
📕 *_Sawane imam e azam Page: 60 par hai. “Aap apne sath kalam dawat rakhte the or Ahle faras dawaat ko hanifa kehte hai, Or baz ne kaha Aap shiddat se haq taraf raghib or kasrat se Allah ki ibadat karte so, apka naam abu hanifa hua. Or baz ne kaha, Aap mustamil paani ko istimal ke qabil nahi samjhte the Isilye totiyon ka istimal hua, kyunki toti ko hanifa kehte Hai isilye ap abu hanifa hue._*
*Hafiz Shamsuddin ne likha, Baz afraad ne kaha ki apki beti hanifa naam ki thi Lihaza aap abu hanifa huye..LEKIN aapke tazkira nigaron me se ek jamat ne YAQEEN ke sath kaha ki aap ki koi beti naa thi, Or beta bhi hammad or koi naa tha._*
*_Abu hanifa naam Ki wajah bhi guzar chuki to, saaf hai, Aap ki koi beti nahi,. Siwaye ek bete “hammad” ke, Or humari ray humari tehreer se zahir hai._*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 19*
*_Mera ek friend hai Muslim wo Nishant naam ke boy se larki ki awaz nikal ke bat karta he or usne usko apna naam bhi samya bataya he or usse recharge bhi karwata he kya ye sahi he mujhe warsi ji ka Jawab chahiye warsi ji plz urgent requirement for this question._*
*بسم الله الرحمن الرحيم 19:* *Jawab*
*Haram haram haram.* Ladki bankar kisi ko dhoka dena haram. Dhoka de kar phone me recharge karwana
haram. Or aise fel e haram se sache dil se toba karna wajib hai. Or use sach bata kar paise wapas dene ki surat nikale. Warna maaf karye. Ye paise uske zimme baki rahenge ki is tarah dhoka dena kafir ko bhi jaiz nahi.
Or musalman ho kar musalman ladki kaa naam istimal karna ala darje ki behayai.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 20*
*_Ek sheher me logon ne ittifaq ke saath ek makan namaz padne ke liye banaya or us ka naam ibadat gah rakha gaya masjid naam nahi rakha is ki wajah ye ke kabhi admi namaz na padhe to wo ibadatgaah bad dua na kare. Ab us makan me beth kar dunya ki baten karen to ye jaiz hai ya nai? Or us masjid me jumua or eiden ki namaz bhi hoti hai lakdi ka mimbar bhi hai. Lekin mehraab nahi bani to makan ka martaba masjid ka hoga ya nahi is me dunya ki bate karna durust hai ya nai?_*
*بسم الله الرحمن الرحيم 20:* *Jawab*
Jis makan ko ibadatgah ka naam diya gaya, Taki log usme namaz padhe to usme namaz ki Ijazat din ya
khas namazo ke liye di gai ya mutlaqan. Yani sirf juma ya eed ramazan wagera me hi makan ko namaz ke
liye khali rakha jata hai ya aam din bhi agar aisa nahi Or usme waqt ki koi qaid bhi nahi or waha namaz
Juma eed bhi hui, to wo masjid hi hai, Fir chahe uska naam ibadatgah hi rakha jaye Or ma’ne ke aitbar se
musalman ke liye uska ibadatgah Ko masjid hi kehte hain, or masjid ko masjid hone ke liye Miran ya
mehrab ka hona zaruri nahi, ittifaq ke sath, (jaise ki Suwal me hai) musalman ne mil kar namaz ke Liye makan mukarrar kiya or arkaan e islam (namaz) Bhi ada hui balki jume balki eed bhi… Or ye makan (agar)
khas waqt ke liye nahi tha to. Masjid hi hai Ab jab wo
masjid hi hai. to us par sare ehkam masjid ke hi Honge. Yani wahan beth kar jaiz baate karna bhi najaiz hain Or bator e tafrih yaha majma laga kar bethna
or baate karna, Khana peena kuchh jaiz nahi, be‐niyat e etikaaf.
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 21*
*_Touba ki ummid par jaanboojh kar gunah karna kaisa? Maslan yaar abhi to mere matlab ka gaana (song) ya movie wagera aa rahi hai isko sunne ya dekhne ke baad ya iske alawa bhi koi Gunah kar lu fir touba kar lunga. Aisa karna ya sochna kaisa.?_*
*بسم الله الرحمن الرحيم 21:* *Jawab*
*Tauba ki 4 sharait hoti hai.*
*_1. pichle gunah par sharmindagi_*
*_2. haal me ise chhor dena_*
*_3. mustaqbil me kabhi iski taraf naa lotna_*
*_4. gunah ki talafi ho (haq wagera ke mamle me, to use de)_*
agar koi shakhs filhaal to gunah chhor de magar ye ki fir kar lunga or tauba kar lunga is tarah kare to sachi toba karne walo me shumar nahi. Or is tarah ka irada karne walo ke liye ek hadis *Shuabula iman* me
naql hai jiske raawi ibne abbas hai, Farmate hain: *Gunah par qayam reh kar tauba karne wala, apne rab ka Mazak udane wale ki tarah hai,*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
Suwal no. 22*
*_Namaz ke har rukn me nazre kaha honi chahiye ?*_
*بسم الله الرحمن الرحيم 22:* *Jawab*
*Qiyam me‐ Sajde ki jagah*
*Ruku me‐Qadmo par*
*Koma me‐ sajde ki jagah*
*Sajde me‐ naak par*
*Qa’da me‐ God me*
*_Or namaz me ye fail mustahab hai, Or iske khilaf bhi kare to namaz ho jayegi_*
*_Suwal no. 23_*
*_qa’ada akhira me agar muqtadi durood pak tak hi padh paya or imam ne salam fer liya to kya muqtadi ko bhi usi waqt salam fer lena chahiye ya azabn‐naar Tak mukammal padh kar salam fere?_*
*بسم الله الرحمن الرحيم 23:* *Jawab*
*Tashahud padh chuka ho or durood naa padhi ho Ya durood bhi padh li ho or dua naa padhi HO TO bhi Salam fer sakta hai. or agar tashahud yani attahiyyat Abhi mukammal naa hui ho to, chahiye ki poori kare. Imam ke salam fer‐ne se muqtadi namaz se bahar Naa hoga jab tak khud ka salam naa fer le.*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
*Suwal no. 24*
*Etikaf ki halat me agar reeh baar baar aye to kya kare?*
*بسم الله الرحمن الرحيم 24:* *Jawab*
*Gair e motakif ko masjid me reeh kharij (gais) karna makruh hai. Or etikaf wale ko ye bhi nahi Jaise ki*
*FATAWA Razawiyya Jild:16 Page:289*
*par Mere AQA AlaHazrat imam ahle sunnat, Ashha imam AHMAD RAZA KHAN (alaihirrehma) Ne Chamkte suraj ki tarah SAAF Byan farma diya ki “Masjid me hadas yani (reeh) kharij gair e mutakif ho makruh Use chahiye ki aise waqt bahar jaaye. Fir chala aaye. Warna sabse behtar ilaj hai ki etikaf ki niyat se masjid me bethe..*
*(yahi etikaf wala is kaam ke liye masjid se bahar nahi jaa sakta)*
* ٰ ُ واللہ تعالی أعلم بالـصـواب*
★________________________________★
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)*
★________________________________★
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें