28/10/2020

KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT


_KUNDE 15 RAJAB_
Urs e paak Hazrat sayyidina imam jafar sadique RadiyAllahu Ta'Aala Anhu bahoot Bahoot mubarak Ho..
¤===========================¤*

*📚Sawal* ,,,,,,,Kunde Ki Fateha Kitni Rajab Ko Karna Afzal Hai
Hazrat Sayyidina Imam Jafar Sadique RadiyAllahuTa'Aala Anhu Ki Fateha 15/Rajab Ko Hai Ya 22/Rajab Ko Hawala Se Batao

*📃Jawab*,,,,,,,,,Hazrat Imam Jafar Sadique RadiyAllahu Ta'Aala Anhu  Ki Fateha Kisi Bhi Tareekh Ko Kar Sakte Hain Lekin Afzal Ye Hai Ke 15 Rajab Ko Kare'n Ke Hazrat Ke Wisaal Ki Tareekh 15/Rajab HaiJaisa Ke Fatawa Faqihe Millat Me'n Hai Ke,

Hazrat Imam Jafar Sadique RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ki Niyaaz 15/Rajab Ko Kare'n Ke Hazrat Ka Wisaal 15/Rajab Hi Ko Huwa Hai.. Na Ke  22/Rajab Ko

*📚Fatawa Faqihe Millat, Jild:2, Safha:265*
*Mir'atul Asraar, Safha:213*
*Sawanahe Baara Imam , Safha:125*

Mazkurah Kitabo'n Ke  Mazkurah Safha Par Aap Dekh Sakte Hain Ke Hazrat Imam Jafar Sadique RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ke Wisaal Ki Taareekh 15/Rajab Likhi Huwi Hai, Shawaahidun Nubuwwat Aur Mir'atul Kaunain , Me'n Bhi Wisaal  Ki Yahi Taareekh Darj Hai Lihaza Afzal Yahi Hai  Ke Kunde Ki Niyaaz  15/Rajab Yaani 3 April 2018 Ko Dilaye'n.

22/ Rajab Ko Hazrat Ameer Ma'awiyah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ka Wisaal Huwa Hai To Shiah Is Taareekh Me'n Hazrat Ameer Ma'awiyah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ke Wisaal Ki Khushi Me'n Eid Manate Hain Aur Az Rah Fareb Use Hazrat Imam Jafar Sadique RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ki Niyaaz Kehte Hain... Lihaza Sunni Hazraat Par Laazim Hai Ke Wo Shi'on Ki Muwafiqat Se Door Rahe'n... 22/Rajab Ko Hazrat Imam Jafar Sadiq RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ki Niyaaz Hargiz  Na Kare'n  Balke 15/Rajab Ko Hazrat Ka Wisaal Huwa Hai To Isi Taareekh Me'n Unki Niyaaz Kare'n

*_📚Fatawa Faqihe Millat , Jild:2, Safha:265_*

WALLAHU ALAM BISSAWAB
*_📋HAMARA MAQSAD ONLY ELME DIN SHIKHNA AUR SHIKHANA HAI_*






KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 1

📛 ISAAL E SAWAAB, FATIHA, NIYAAZ, AUR KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:

🎴 JAISA KE AAP SABHI JAANTE HAI MAAHE RAJAB KI 22 KO AHLE AQIDATH HAZRAATH KUNDEY KI NIYAAZ KARTE HAI,
AUR BOHAT SAARE AITRAZAT KARNE WALE AITRAAZ BHI KARTE HAI,

📛 IS POST KO DHYAAN SE PADHIYE AAP KE AITRAZAT KE JAWAABAT MILEGE,
IN SHAA ALLAH

📛 HAR AHL E AQIDAT MAAH E RAJAB ME MATTI KE BARTAN ME KHEER PURI YA HALWA WAGAIRA PAKAATE HAI AUR USEY IMAM JAFFER RADIALLAHU ANHU KI NIYAZ KA NAAM DETE HAI
JO ESAAL E SAWAB K LIYE HOTA HAI AUR YE QURAAN O HADEES KI ROSHNI ME JAAIZ HAI

🎴 YE ESAAL E SAWAB KI EK SHAAKH HAI JO KE JAAIZ AUR MUBAAH HI NAHI BALKE MUSTAHAB AMAL HAI JIS KA INKAAR MAHAZ JIHAALAT HAI KYU KE ESAAL E SAWAB QURAN O SUNNAT AUR AEMMA E KIRAAM KE AQWAL SE HI SAABIT HAI AUR MASHAIK E KARAAM KA IS PAR AMAL BHI RAHA HAI

🎯 NEXT PART ME INSHAA'ALLAH DALA'IL PESH KIYE JAYEGE...!!



 KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 2

📛QUESTION :- KYA ESAALE SAWAB JAAIZ HAI....?

🎴ANSWER :- SAHABI E RASOOL HAZRAT SAAD RADIYALLAHU ANHU NE ARZ KI SARKAR MERI MAA KA INTEQAL HO GAYA TO KAUN SA SADQA AFZAL HAI?

🌹AAQA NE FARMAYA PAANI KA! UNHO NE KUNWA [WELL] KHUDWAYA AUR KAHA YE SAAD KI MAA KA HAI

📚 (ABU DAWOOD SHAREEF)
📚 (MUSNAD E AHMED)
📚 (BEHIQEE SNAN KUBRA J4 P#185)

📛 QUESTION:- KYA HAMARA ESAAL E SAWAB PUHANCHTA HAI?

🎴 ANSWER :- ALLAH JANNAT ME KISI BANDE KE DARJAAT BULAND KAREGA TO WO ARZ KAREGA,
AYE ALLAH YE DARJA KAISE BULAND HUA?
ALLAH FARMAYEGA KE TERE BETE NE TERE LIYE ISTIGFAAR KIYA

📚 (ADAB UL MUFRID P#30)
📚 (IBN E MAJA 268)
📚 (TIBRANI OSAT J5 P#349)

📛 QUESTION :- KIN KIN ULAMA E ALHE SUNNAT NE KUNDEY KI NIYAZ KO JAAIZ LIKHA?

1⃣ SADRU SHARIA MOULANA AMJAD ALI

2⃣ MUHADDIS E AZAM PAKISTAN MOULANA SARDAR AHMED

3⃣ HAKEEM UL UMMAT MUFTI AHMED YAAR KHAN NAEEMI (KUNDEY KI FAZEELAT)

4⃣ MOULANA ABDUL MUSTAFA AAZMI (JANNATI ZEWAR P#389)

5⃣ MUFTI KHALIL KHAN QADRI




KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 3

📛 QUESTION :- KYA KUNDEY KI NIYAZ FARZ HAI?

🎴 ANSWER :- KUNDEY KARNA FARZ YA WAJIB TO NAHI HAI LEKIN MUSTAHAB AMAL ZARUR HAI KARNE WALA SAWAAB PAAYEGA LEKIN NA KARNE PAR GUNAAH NAHI HOGA

📌 MAGAR JO ISEY HARAAM, SHIRK YA BIDDAT KEHTE HAI WO EK NEK AMAL SE ROKTE HAI AUR HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR AS'HAAB AUR TAMAM NEK BANDO K KHILAAF BAAT KARTE HAI

📌 UNHE CHAHYE KE WO TAUBA KARE AUR ALLAH HIDAYAT DE AESE LOGO KO.!

📛 QUESTION :- IMAM JAFFER KA WISAL 15 RAJAB KO HUA TO PHIR 22 RAJAB KO KUNDEY KYU..?

🎴 ANSWER :- ESAAL E SAWAB KE LIYE USI DIN HONA YE SHART NAHI HAI BALKE MAHINE, SAAL YA ZINDAGI ME JAB CHAHE KAR SAKTE HAI, AUR AAM MUSHAHIDA HAI K AHLESUNNAT 22 RAJAB KO HI NAHI BALKE POORE SAAL EHTMAAM KARTE HAI



KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 4

📛 QUESTION :- RAJAB KI 22 KO AMEER MUAWYA RADIYALLAHU ANHU KA WISAL HUA, IS LIYE RAAFZI (SHIA) KHUSHI ME SHEERNI PAKATE HAI, TO IS SURAT ME 22 RAJAB KO NIYAZ TAQSEEM KARNA KAISA..?

🎴 ANSWER :- SHARI'AT KA USOOL HAI KE K KISI ACHEY AMAL KO BAD MAZHAB APNA LE TO IS WAJA SE USEY TARK NAHI KIYA JAAYEGA BALKE KOI AISA IMTIYAZ KARNA HOGA JIS SE FARAQ ZAAHIR HO AUR HAME AUR BADE PAIMAANE PE KARNA HOGA.

📌 JAISE 10 MUHARRAM KA ROZA YAHUDI RAKHTE TO SARKAR NE 9 YA 11 KE ROZE KI TALQIN BI FARMAI

📛 QUESTION :- SUNNI AUR SHIA KE KUNDO ME FARQ KYA HAI?

🎴 ANSWER :- DARASAL SHIA KHAAS 22 RAJAB HI KO KUNDEY BANAATE HAI AUR SUNNI TO SAARA MAHINA HI BANAATE HAI AUR SAB SE BADA FARQ NIYAT HAI K SUNNI IMAM JAFFER KO ESAAL E SAWAB KARTE HAI.

📌 JAB KE SHIA HAZRAT MUAWYA K BUGZ ME AISA KARTE HAI MAAZALLAH

📛 AAMAAL KA DAAR O MADAAR NIYYATO PAR HAI

📚 (BUKHARI SHARIF)

🎴 JO KUNDEY ESAAL E SAWAB K LIYE KARE US K LIYE JAZAA AUR JO BUGZ ME KARE USEY SAZAA HAI
AGAR KOI SHETANI WASAWIS KA SHIKAAR HOKAR 22 KE KUNDON KO RAFZIYO SE MUSHAABIHAT KAHE AUR USEY NAJAAIZ SAMJHE TO WO KISI AUR DIN HI KARLE



KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 5

📛 QUESTION :- KYA NIYAZ JAAIZ HAI?

🎴 ANSWER :- QURAAN O HADEES ME KAHI NIYAZ KI MUMAANIAT NAHI HAI BALKE QUR'AN KA KHULASA HE:

📛 "TO KHAO US ME SE JIS PER ALLAH KA NAAM LIYA GAYA, AGAR TUM USKI AAYATE MANTE HO"

🎴 YAANI JIS PER ALLAH KA NAAM ZIKR KIYA GAYA
JAISE NIYAZ PER FATIHA K WAQT QURAAN PADHA

📛 QUR'AN KA KHULASA HE: HALAAL CHEEZE NA KHANE WALO KO TAMBEEH!! 'AUR TUMHE KYA HUA HAI K IS ME SE NA KHAO JIS PAR ALLAH KA NAAM LIYA GAYA HO HALAAN KE WO TUM PAR TAFSEEL SE BAYAN KAR CHUKA HAI JO IS NE TUM PAR HARAAM FARMAYA'

🎴 AUR NIYAZ PAR JO FATIHA DETE HAI WO QUR'AAN SE HI HAI

📛 QUESTION :- HALAAL KHANE KO HARAM KAHNA KAISA?

🎴 QUR'AN E MAJEED KA KHULASA HE

📛 AUR ALLAH NE UNHE JO ROZI DI, WO USEY HARAAM THEHRATE HAI ALLAH PAR JHOOT BANDHTE HUE, BESHAK WO GUMRAH HUE

🎴 AGAR FATIHA DI AUR KHANA HARAAM HUA TO PHIR TO HAR KHAANA HARAAM HUA KYU KE HAR KHAANA KHAANE SE PEHLE BISMILLAH TO PADHI HI JAATI HAI



KUNDEY KI NIYAAZ KI HAQEEQAT:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
⏩ PART:- 6 {LAST•PART}

📛 QUESTION :- HUM KUNDEY (KHEER POORI) KI NIYAZ KYU KARTE HAI?

🎴 HALWA KHANA PYARE AAQA ALAHISSALATUWASSALAM KI SUNNAT PAR AMAL HAI

📚 (BUKHARI SHARIF)

📛 "NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM HALWE AUR SHEHAD KO MEHBOOB RAKHTE HAI"

🎴 "GHEE KA GUNDHA HUA
PARATHA (PURI) SARKAR KO PASAND HAI..."

📚 (IBNE MAAJA SHARIF)

📛 "AAQA NE FARMAYA K MUSALMAN KO MEETHA LUQMA KHILAANE PAR HASHR KI TAKLEEF SE MEHFOOZ RAHOGE..."

📚 (SHARAHUS SUDOOR)

🎴MALUM HUA KE MEETHA LUQMA SARKAR KO PASAND HAI TO UMMATI HONE KE NAATE HAME BI PASAND HONA CHAHIYE

📛 PAHLE KI JAANE WALI BAATO SE MALUM HUA K KUNDEY JAAIZ HAI BALKE
KAAR E SAWAB AUR KAAR E KHAIR HAI

🎴 LEKIN JO IS DIN AMEER MUAWIYA (RADIYALLAHU ANHU) SE DUSHMANI KI WAJAH SE KUNDEY KARE TO WO SUN LE,

📛 "JIS NE AMBIYA KO SOOB (GAALI ) BAKA, WO QATAL KIYA JAYEGA AUR JIS NE MERE SAHABA KO SOOB (GAALI ) BAKA USEY KODEY LAGAEN JAYEN"

📚 (JAMIUL SAGHEER J2 P173)
📚 (FATAHUL KABEER J3 P196)

🎯 ISI LIYE GUSTAKHE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM O SAHABA SAB WAJIBUL QATAL HAI AUR KODEY K HAQDAAR HAI AUR HAAN JO BUGZ RAKHE WO APNE ANJAAM KA INTEZAR KARE!
            📮..... END .....📮
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚







【ﺑِﺴْــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟـــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرﺣـــــــــــِﻴﻢ】*_

_*【اَلصَّلٰوةُ وَالسلَامُ عَلَي٘كَ يَارَسُوٌلَ الـلّٰهِ ﷺ】*_
____________________________________

 _*【💞इमामे जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की नियाज़ कब करें💞】*_

==============================

सवाल:- *_कुंडे की फातिहा कितनी रजब को करना अफज़ल है हज़रत सय्यिदिना इमाम जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की फातिहा 15/रजब को है या 22/रजब को हवाले से बताओ.?_*

जवाब:- *_हज़रत इमाम जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की फातिहा किसी भी तारीख को कर सकते हैं लेकिन अफज़ल ये है के 15/रजब को करें कि हज़रत के विसाल की तारीख 15/रजब है जैसा के फ़तावा फक़ीहे मिल्लत में है के_*

 *_हज़रत इमाम जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की नियाज़ 15/रजब को करें के हज़रत का विसाल 15/रजब ही को हुआ है.. न के 22/रजब को_*

 *📚 फ़तावा फक़ीहे मिल्लत, जिल्द 2, सफ़्हा 265*
 *📚 मिरातुल असरार, सफ़्हा 213*
 *📚 सवानेह बारा इमाम, सफ़्हा 125*

 *_मज़कुराह किताबों के मज़कुराह सफ़्हा पर आप देख सकते हैं के हज़रत इमामे जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु के विसाल की तारीख 15/रजब लिखी हुई है, शवाहीदुन नुबूव्वत और मिरातुल कौनैन में भी विसाल की यही तारीख दर्ज है लिहाज़ा अफज़ल यही है के कुंडे की नियाज़ 15/रजब को ही दिलायें।_*

 *_22/रजब को हज़रत अमीर माविया रदियल्लाहु तआला अन्हु का विसाल हुआ है तो शिया इस तारीख में हज़रत अमीर माविया रदियल्लाहु तआला अन्हु के विसाल की खुशी में ईद मनाते हैं और अज़ राह फ़रेब उसे हज़रत इमामे जाफर सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की नियाज़ कहते हैं इसलिए हम लोग शियाओं की मुवाफ़िकत से दूर रहें... 22/रजब को हज़रत इमाम जाफ़र सादिक रदियल्लाहु तआला अन्हु की नियाज़ हरगिज़ न करें बल्कि 15/रजब को हज़रत का विसाल हुआ है तो इसी तारीख में उनकी नियाज़ करें ।_*

 *📚 फ़तावा फक़ीहे मिल्लत, जिल्द 2, सफ़्हा 265*
🌹💐💞🌹💐💞🌹💐💞🌹💐

कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...