TARAWEEH Ke Mas'ail
Mas'ala:
Mard Awrat Sab Ke LIye Tarweeh Sunnat e Muakkadah Hai.Is Ka Chodhna Jaiz Nahi.
Awraten Ghar Me Akele Taraweeh Padhen Masjidon Me Na Jayen.
(Dar e Mukhtaar,Jild:1 Safa:472)
Mas'ala:
Taraweeh Me Bees(20) Raka'aten Das Salam Se Padhi Jaye.Yani HAr Do(2) Raka'at Per Salaam Phere.Aur Har Chaar Raka'at Per Itni Der Baithna Mustahab Hai Jitni Der Me Chaar Raka'aten Padhi Hain.Aur Ikhtiyaar Hai Ke Itni Der Chahe Chupka Baitha Rahe .Chahe Kalma Ya Darood Shareef Padhta RAhe.Ya Koyi Bhi Dua Padhta RAhe.Aam Tour Se Ye Dua Padhi Jati HAi.
Mas'ala:
Mardon Ke Liye Taraweeh Jam'at Se PAdhna Sunnat e Kifaya Hai .Yani Agar Masjid Me Taraweeh Ki Jama'at NA Huwi To Muhalle Ke Sab Log Gunahgaar Honge.Aur Agar Kuch Logon Ne Masjid Me jama'at Se Taraweeh Padhli To Sab Log Bari uz Zimma Ho GAye.
(Dare Mukhtaar)
Mas'ala:
Pure Mahine Ki Taraweeh Me Ek Baar Qur'an e Majeed Khatam KArna Sunnat e Mukkadah Hai .Aur Do Baar Khatam KArna Afzal Hai .Aur Teen Baar Khatam KArna Isse Ziyadah Afzal Rakhta Hai.Ba-Shart Ye Ke Muqtadiyoun Ko Takleef Na Ho.Magar Ek Baar Khatam Karne Me Muqtadiyoun ki Takleef Ka Lihaaz Nahi Kiya Jayega.
(Dar e Mukhtaar)
Mas'alah :
Jisne Isha Ki Farz Nahi Padhi Wo Na Tarweeh Padh Sakta hai Na Witr Padh Sakta hai JabTak Farz Na Ada Kare.
To Be Continued....
PART 2
TARAWEEH KE MAS'AIL
Mas'alah : Jis Ne Isha Ki Farz Namaaz Tanha Padhi .Aur Taraweeh Jama'at Se To Wo Witr Ko Tanha PAdhe.
( Durr Al Mukhtaar wa Rad Al Muhtaar J:1 Safa 472)
Witr jo Jama'at Se Wahi PAdhega Jisne Isha Ki Farz Ko Jama'at Ke Sath Padha Ho.
Mas'alah :
Jis Ki Taraweeh Ki Kuch Raka'at Choot Gayi Hai Aur Imam Witr Padhane Ke Liye Khada HoJaye To Imam Ke Sath Witr Ki Namaaz Jama'at Se Padh len.Phir Us Ke Baad Taraweeh Ki Chuti huwi Raka'aton Ko Ada KAre Ba-shart Ye Ke Isha ki Farz Jama'at Se Padh Chuka ho.Aur Agar Chuti Huwi Taraweeh Ki Raka'aton Ko Ada Karke Witr Tanha Padhe To Ye Bhi JAiz HAi. Magar Pehli Surat Afzal Hai.
(AalamGiri Wa Rad Al Muhtaar)
(Note: Jama'at Sirf Mardon Ke Liye Hai Awraten Tanha Padhe)
Mas'alah :
Agar Kisi Wajah Se TAraweeh Me Khatm e Qura'an Na Ho Sake To Suraton Se Tarweeh Padhen Aur Us Ke Liye Baaz Logon ne Ye Tariqa Rakha Hai Ke ...
أَلَمْ تَرَ كَيْفَ
(Alam Tara Kaifa) se Aakhir Tak Do Baar Padhne Me Bees(20) Raka'at HoJayegi .
(Durr Al Mukhtaar J:1 S:475)
Mas'alah :
Bila Kisi Uzr Ke Baith Kar Taraweeh Padhna Makruh Hai .Balke Baaz Fuqaha Ke Nazdeek To Hogi Hi Nahi.
(Dare Mukhtaar,J:1,Safa:475)
Haan Agar Bimaari Ya Bahot Ziyadah Budha Aur Kamzoor Ho To Baith Kar Taraweeh Padhne Me Koyi Karahat Nahi.Kyunke Ye baithna Uzr Ki Wajah Se Hai.
Mas'alah :
Na-Baligh Kisi Namaaz Me Imam Nahi Ban Sakta. Isi Tarha Na-Baligh Ke Peeche Balighon Ki TAraweeh Nahi Hogi. Sahibe Hidaya Wa Sahibe Fath ul Qadeer Ne Is Qoul Ko Mukhtaar Bataya HAi.
(Bahare Sharia'at)
PART 3
ROZAH KA BAYAAN (Masa'il)
Namaaz Ki Tarha Rozah Bhi Farz e A'ain Hai. Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne wala Kafir Aur Bila Uzur Chodne Wala Sakht GunahGaar Aur Aazabe Jahannam Ka Sazawaar Hai.
Mas'alah: Shari'at Me Rozah: Ke Maani me Allah TA'ala Ki Ibadat Ki Niyyat Se Subh Saadiq Se Lekar Suraj Doobne Tak Khane , Peene Se Apne Ko Roke Rehna.
Mas'alah: Ramzan Ke Ada Roze , Aur Nazre Mu'aiyan ( Minnat Ke Roze) , Aur Nafil-o- Sunnat , Mustahab Roze Aur Makruh Roze. In Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt Suraj Doobne Se Le Ker Dahwaye Kubra
( Yane Dupehar Se Taqriban Dedh Ghanta Pehle( 10 Baje Ka Waqt) , Tak Hai.
Us Darmiyan Main Jab Bhi Rozah Ki Niyyat Kare Ye Roze Hojayenge.
Lekin Raat Hi Main Niyyat Ker Lena Behtar He.
in 6 Rozo(n) Ke Elawa Jitne Roze Hai
Maslan - Ramzan Ki Qaza Rozah,
Nazre Muaiyan Ki Qaza Rozah ,
Kaffarah Ka Rozah ,
Hajj Main Kisi Jurm Kerne Ka Rozah Wagera
In Sab Rozo(n) Ki Niyyat Ka Waqt
Guroob Aaftaab Se Leker
Subah Saadiq Tulua Hone Tak He
Us Ke Baad Nahi.
Mas'alah: Jis Tarha Aur Ibadaton Me Bataya Gaya Hai Ke Niyyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Zabaan Se Kehna Kuch Zaruri Nahi.Isi Tarha Rozeh Me Bhi Niyyat Se Muraad Dil Ka Pukhta Irada Hai. Lekin Zabaan Se Bhi Keh Lena Achcha Hai. Agar Raat Me Niyyat Kare to Youn Kahe -
نَوَيتُ اَن اصُؤمَ غَداً لِلّهِ تَعَالى مِن فَرَضِ رَمَضَان.
Aur Agar Din Me Niyyat Kare to Youn Kahe
نَوَيتُ اَن اصُؤمَ هذَا اليَؤمَ مِن فَرَضِ رَمَضَان.
Mas'alah: Qazaye Ramzaan Waghaira Jin Rozon Me Raat Se Niyyat Kar Leni Zaroori Hai Un Rozon Me Khaas Us Rozeh Ki Niyyat Bhi Zaruri Hai Jo Roza Rakkha Jaye. Maslan Youn Niyyat Kare Ke Kal Main Apni Pehli Ramzaan Ke Roze Ki Qaza Rakhonga Ya Main Ne Jo Ek Din Rozah Rakhne Ki Minnat Mani Thi Kal Main Wo Rozah Rakhonga.
Mas'alah: Eid-o- Baqra Eid Aur Zil-Hijja Ki
11 , 12 , 13 Tareekh
In 5 Dino Mai Roza Rakhna Makruh Tehreemi Aur Gunah He.
Mas'alah: Kisi Kam Ki Minnat Maani To Pura Hojane Per Us Rozah Ko Rakhna Wajib Hogaya
Agar Nafil Ka Roza Rakh Ker Us ko Tod Diya.
To Uski Qaza Wajib He.
Mas'alah: Aurat Ko Nafil Ka Roza Bila Shuhar Ki Ijazat Ke Rakhna Mana He.
(Ref:- Jannati Zewar , Safa-259 to 260)
To Be Continued...
PART 4
ROZAH TODNE WALI CHEEZEN
Khane Peene Ya Jimaa Kerne Se Roza Toot Jata Hai Jab Ke RozahDaar Hona Yaad Ho. Aur Agar RozahDaar Hona Yaad Na Raha Aur Bhool Se Kha Liya Ya Pee Liya To Roza NAhi Tootta.
Mas'alah: Huqqah, Beedi,Cigratte, Segar, Churt ,Segar Peene Se Rozah Toot Jata Hai.
Mas'alah: Daanton Me Koyi Cheez Ruki Huwi Thi Chane Barabar Ya Usse Zyada Thi Use Khagaya Ya Chane Se Kam Hi Thi Magar Usko Muh Se Nikal Kar Phir Kha Gaya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri , J-1, S-189)
Mas'alah: Nathon Me Dawa Chadhayi Ya Kaan Me Tel Dala Ya Tel Chala Gaya To Roza Toot Gaya. Aur Agar Pani Kaan Main Dala Ya Chala Gaya To Roza Nahi Tuta.
(Aalamgiri ,J1 , S-190)
Mas'alah: Kulli Kerne Mai Bila Qasad Paani Halaq Se Neeche Chala Gaya Ya Naak Mai Paani Cchadha Raha Tha Bila Qasad Paani Dimag Mai Cchadh Gaya To Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S- 189 )
Mas'alah: Dusre Ka Thook Nigal Gaya. Ya Apna Hi Thook Haath Per Rakh Ker Nigal Gaya To Roza Jata Raha.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )
Mas'alah: Qasdan Muh Bhar Kar Qay Ki Aur RozaDaar Hona Yaad He To Roza Toot Gaya. Aur Agar Muh Bhar Se Kam Ki To Roza Nahi Tota.
(AalamGiri , J-1 , S-190 )
To Be Continued...
PART 5
ROZAH TODNE WALI CHEEZEN
Mas'lah: Bila Qasad Aur Be-Ikhtiyaar Qay Hogayi To Roza Nahi Tota. Thodi Qay Ho Ya Zyada RozaDaar Hona Yaad Ho Ya Na Ho Behre Haal Roza Nahi Tote Ga.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )
Mas'lah: Muh Main Rangeen Dhaaga Ya Koyi Rangeen Cheez Rakhi Jis Se Thook Rangeen Hogaya Phir Us Rangeen Thook Ko Nigal Gaya To Uska Roza Toot Gaya.
( AalamGiri , J-1 , S-190 )
(Ref:- Jannati Zewar, S-262 to 263)
Mas'alah: Sote Main Paani Piliya Ya Kuch Kha Liya Ya Muh Khula Tha Aur Paani Ka Qatra Ya "Aula" Halaq Mai Chala Gaya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri-o- Bahare Shari'at )
Mas'alah: Aanso Muh Mai Chala Gaya Aur Nigal Liya Agar Boond 2 Boond He To Roza Na Gaya
Aur Agar Zyada Tha Ke Uski Namkini Pure Muh Main Maloom Huwi To Roza Toot Gaya.... Pasine Ka Bhi Yahi Hukm He.
(AalamGiri-o- Bahare Shariat )
Mas'lah: Daanto(n) Se Khoon Nikal Ker Halaq Se Neeche Utra Aur Khoon Thook Se Zyada Ya Baraber Tha Ya Kam Tha Magar Uska Maza Halaq Main maloom Huwa To Un Surtho Main Roza Jata Raha Aur Agar Khoon Kam Tha Aur Maza Bhi Maloom Na Huwa To Roza Na Gaya.
(Durre Mukhtar-o- Bahare Shariat)
(Ref:- Qanoone Shari'at, Hissa-1, Safa-200, to 201
PART 6
JIN CHEEZON SE ROZAH NHI TOT'TA
Bhool Kar Khaya Ya Piya To Rozah Nahi TootTa.
(Aalamgiri J1 S 189)
Mas'lah: Makkhi Ya Dhuwaan Ya Ghubaar Be-Ikhtiyaar Halq Ke Andar Chale Jaane Se Roza Nahi TootTa. Isi Tarha Surmah Ya Tel Lagaya Agarche Tel Ya Surmah Ka Maza Halq Main Maloom Hota Ho Phir Bhi Roza Nahi TootTa. Yunhi Dawa Ya Mircha Kuta Ya Aata Chuna Aur Halq Me Iska Asar Aur Maza MAloom Ho To Bhi Roza Nahi Tota.
(AalamGiri, J-1, S-190)
(Ref:- Jannati Zewar, Safa-263)
Mas'alah: Baat Karne Me Thook Se Hont Tar(Gila) HoGaye Aur Use Pi Gaya Ya KhaKaar Muh Me Aaya Aur Kha Gaya Roza Na Tota. Magar In Baton Se EhtiYaat Chahiye.
(AalamGiri WA Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)
Mas'alah: Daant Se Khoon Nikal Kar Halq Tak Pohcha Magar Halq Se Neeche Na Utra To Roza Na Toota.
( Durre Mukhtaar -o- Fathul Qadeer)
Mas'alah: Bhool Kar Khana Kha Raha Tha Yaad Aate Hi Fouran Niwala Thook Diya To Roza Na Gaya Aur Nigal Liya To Roza Jata Raha.
(AalamGiri)
Mas'alah: Subh Sadiq Shuru Hone Se Pehle Sehri Khana Shuru Kiya Khate Khate Subh Sadiq Shuru Hone Lagi. Subh Shuru Hote Hi Agar Niwala Ugal Diya To Rozah Na Tota Aur Nigal Gaya To Roza Toot Gaya.
(AalamGiri)
Mas'alah: Til Ya Til Ke Barabar Koyi Cheez Chabayi Aur Wo Thook Ke Sath Halq Main Utar Gayi To Roza Na Gaya. Lekin Agar Us Ka Maza Halq Main MAloom Huwa To Roza Jata Raha.
(Fathul Qadeer)
Mas'lah: Gheebat Ki To Roza Na Tuta Agar Che Gheebat Bahot Sakht Gunahe Kabeera Hai Qur'an Shareef Me Gheebat Karne Ke Bare Me Farmaya Gaya Jaise Apne Murde Bhai Ka Ghoost Khana Aur Hadees Me Aaya Ke Gheebat Zina Se Bhi Badh Kar Hai. Gheebat Ki Wajah Se Roze Ki Nooraniyat Jati Rehti hai.
(Durre Mukhtaar)
(Ref:- Qanoone Shari'at, Hissa-1,Safa- 205 to 206))
PART 7
ROZE KE MAKRUHAAT
●Maslah: Jhoot.. Gibat .. Chugli.. Gaali Dena.. Behuda Baat Kehna.. Kisi Ko Takleef Dena
Ye Cheeze Waise Bhi Najaiz-o- Haram Hai
Roza Main Aur Zyada Haram Aur Inki Waja Se Roza Makruh Hota He.
●Maslah: RozaDaar Ko Bila Uzra Kisi Cheez Ko Chakhna Ya Chabana Makruh He...
Chankhne Ke Liye Uzr Ye He Ke
Maslan:....Shuhar Bad Mizaaj He Namak Kam-o-Besh Hoga To Uski Narazgi Ka Baa'is Hoga.
To Is Waja Se Chakhne Main Harj Nahi...
Chabane Ke Liye Ye Uzra He Ke Itna Chota Baccha He Ke Roti Nahi Kha Sakta Aur Koyi Naram Giza Nahi Jo Use Khilayi Jaye
Na Aur Koyi Be-Roz Aisa He Jo Use Chaba Ker De De To Baccha Ko Khilane Ke Liye Roti Wagera Chabana Makruh Nahi He.
( Durre Al-Mukhtar -o- Bahare Shari'at )
To Be Continued...
PART 8
ROZE KE MAKRUHAAT
● Maslah: Chakhne Ke Maanaa Wo Nahi Jo Aaj Kal Bola Jata He Ke Kisi Cheez Ka Maza Maloom Kerne Ke Liye Us Main Se Thodi Khaliya Ke Aisa Chakhne Se Makruh Hona Kaisa Roza Hi Jata Rahega
Balke Agar Kaffarah Ke Shara'it Paye Jaye To Kaffarah Bhi Lazim Hoga
Balke Chakhne Se Murad Ye He Ke Zaban Per Rakh Ker Maza Pehchaan Le Aur Use Thook De Us Mai Se Halaq Mai Kuch Na Jaane Paye Nahi To Roza Jata Rahega.
● Maslah: Muh Main Thook Ekattha Kerke Nigal Jana Bagher Roza Ke Bhi Accha Nahi Aur Roze Main To Ye Makruh He.
( AalamGiri-o- Bahare Shari'at )
● Maslah:- Rozah Main Miswaak Karna Makruh Nahi Balke Jaise Aur Dino Main Sunnat He Waise Hi Rozah Main Bhi Sunnat He.
( Ref:- Qanoone Shari'at, Hissa-1, S-206 to 207)
● Maslah: RozaDaar Ke Liye Kulli Kerne Aur Naak Mai Paani Chadane Main Mubaliga Karna Bhi Makruh Hai.
● Maslah: RozaDaar Ko Ghusl Kerna Ya Thanda Paani Thandak Ke Liye Sar Per Dalna Ya Gila Kapda Audhna ,Ya Bar Bar Kulli Kerna, Ya Miswak Kerna, Ya Sar Aur Badan Main Tail Ki Malish Kerna Ya Surma Lagana Ya Khushbo Soonghna Makruh Nahi Hai.
( AalamGiri -o- Durre Al-Mukhtar -o- Rudul Al-Muhtar )
(Ref:- Jannati Zewer,Safa- 264)
PART 9
ROZAH TOD DALNE KA KAFFARAH
Agar Kisi Wajah Se Ramzan Ka Ya Koyi Dosra Roza Toot Gaya. To Us Roza Ki Qaza Laazim Hai. Lekin Bila Uzr Ramzaan Ka Roza Qasdan Kha, Pee Kar Ya Jima Karke Tod Dalne Se Qaza Ke Sath Kaffara Ada Karna Bhi Wajib Hai.
Roza Tod Dalne Ka Kaffara Ye Hai Ke Ek Ghulaam Ya Loundi Ko Khareed Kar Aazad Kare,
Aur Na Ho Sake To Lagataar Saath (60) Roze Rakhe.
Aur Agar IsKi Bhi Taaqat Na Ho To, Saath (60) Miskeeno ko Dono Waqt Bhar Bhar Pet(Stomach) Khana Khilaye. Kaffarah Main Roza Rakhna Ki Surat Main Lagataar 60- Roza Rakhna Zaruri Hai. Agar Darmiyaan Me Ek (1)Din Ka Bhi Roza Choot Gaya To Phir se Saath (60) Roze Rakhne Padenge.
(Rudul Mukhtaar, J-2, S-109 Wagera )
(Ref:- Jannati Zewer, Safa-264 to 265))
Unsaath(59) Roze Rakh Chuka Tha Aur Saathwaan(60wa) Na Rakh Saka Beemari Waghera Kisi Uzr Se To Phir Se Saath (60) Pure Lagataar Rakhe. Pehle Ke Unsaath (59) Bekaar Gaye. Albatta Aurat Ko Agar Haiz Aajaye To Haiz Ki wajah Se Jitne Naghe Huwe Ye Naghe Nahi Gine Jayenge Yaani Pehle Ke Roze Aur Haiz Ke Baad wale Roze Dono Mil Kar Saath(60) Ho Jane Se Kaffara Ada Ho Jayega.
( Radul Muhtaar -o-Bahaar , Aalamgeer Waghaira)
(Ref:- Qanoone Shari'at,Hissa-1,Safa-204)
PART 10
KAB ROZAH CHODNE KI IJAZAT HAI
Shar'ee Safar, Hamila Aurat Ko Nuqsaan Pahochne Ka Andesha, Doodh Wali Aurat Ke Doodh Sookh Jane Ka Dar, Beemari, Budhapa, Kamzori ki Wajah Se Hilaak HoJane Ka Khouf. Ya Kisi Ne Gardan Per Talwaar Rakh Kar Maboor Kar Diya Ke Roza Na Rakhe Warna Jaan Se Maar Dalega Ya Koyi Aa'zu Kaat Lega.
Ya Pagal Ho Jana. Ya Jihad Karna.
Ye Sab Roza Na Rakhne Ka Uzr Hain.
In Baton Ki Wajah Se Agar Koyi Rozah Na Rakhe To GunahGaar Nahi. Lekin Ba'd Main Jab Uzr Jata Rahe To Chode Huwe Roze ko Rakhna Farz Hai.
(Durre Mukhtaar -o- Raddul Muhtaar ,J-2, S-115)
Maslah: Shaikh Fani Yani Wo Budha Ke Na Ab Roza Rakh Sakta Hai. Aur Na Hi Aainda Us Main Itni Taaqat Aane Ki Umeed Hai Ke Rakh Sakega To Use Roza Chodne Ki Ijazat Hai. Aur Us Ko Laazim Hai Ke Har Rozah Ke Badle Dono Waqt Ek Miskeen Ko Pet(Stomach) Bhar Khana Khilaye. Ya Har Rozah Ke Badle Sadqa-E- Fitr Ki Miqdaar Miskeen Ko Diya kare.
(Durre Mukhtaar, J-2, S-119)
Maslah: Jin Logon Ko Rozah Na Rakhne Ki Ijazat Hai Unko Aelaaniya Khane , Peene Ki Ijazat Nahi Hai. Wo Logon ki Nigahon Se Chup Kar Khaapi Sakte Hain.
(Ref:-Jannati Zewar, Safa-265)
PART 11
Roze Ka Bayaan Hadees Shareef Se
● Hadees No.1
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke
Rasoole Kareem AlaihisSalato Wassalaam Ne Farmaya Ke Jab Mahe Ramzaan Shuru Hota He To Aasmaan Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Ek Riwayat
Main He Ke Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain
Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Shayateen Zanjiro'n Main Jakad Diye Jate Hain
Aur Ek Riwayat Main He Ke Rahmat Ke Darwaze Khool Diye Jate Hain (Bukhari ,Muslim)
● Hazrat Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rahmathullahi Aleh
Is Hadees Ke Tehat Farmate Hain Ke
Tarjuma:- Aasmaan Ke
Darwaze Khol Diye Jane Ka Matlab He Pe Darpe Rahmat Ka Bejhna
Aur Bagher Kisi Rukawat Ke Bargaahe ELaahi Main Aamaal Ka
Pohachna Aur Dua Ka Qubool Hona..
Aur Jannat Ke Darwaze Khol
Diye Jane Ka Mani He Nek Aamaal Ki Taufeeq Aur Husn Qubool
Ata Farmana.. Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kiye Jane Ka Matlab
He Rozah Daaro Ke Nufoos Ko Mamnu'aate Shar'yi'yah
Ki Aalodgi Se Paak Karna Aur Gunaho'n Par Obharne Wali Cheezo'n
Se Najaat Pana Aur Dil Se Lazzato'n Ke Husool Ki Khwahishaat Ka
Todna.. Aur Shayateen Ko Zanjiro'n Main Jakad Diye Jane Ka Mani
He Bure KhayaLaat Ke Rasto'n Ka Band Hona.
(📙Ash'Atul Lam'Aat , J-2, S-72)
(📙Anwar-ul-Hadees ,S-271 to 272
PART 12
Roze Ka Bayaan Hadees Shareef Se
●Hadees No.2
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahuTa'Aala Anhu Ne Kaha Ke RasoolAllah SallAllAhuTa'AalaAlehiWaSaalam Ne Farmaya
Jo Shakhs Imaan Ke Sath Sawab Ki Ummeed Se Roze Rakhega To Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
Aur Jo Imaan Ke Sath Sawaab Ki Niyat Se Ramzaan Ki Raato'n Main Qayaam Ibadat Karega To Uske Agle Gunah Bakhsh Diye Jayenge
Aur Jo Imaan Ke Sath Sawaab Haasil Karne Ki Garz Se Shabe Qadr Main Qayaam Karega Uske Agle Pichle Gunah Bakhsh Diye Jayenge.
(📚Bukhari , Muslim)
(📓Ref:Anwar-ul-Hadees , S-272)
●Hadees No:3
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Kehte Hain Ke
Huzoor Alehissalato WasSalaam Ne Farmaya Ke Jab Mahe Ramzaan Ki Pehli Raat Hoti He To Shaytaan Aur Sarkash Jinn Qaid Kar Liye Jate Hain
Aur Jahannum Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain (Phir Ramzaan Bhar) Un Main Se Koyi Darwazah Khola Nahi Jata
Aur Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain To Un Main Se Koyi Darwazah Band Nahi Kiya Jata
Aur Munadi Pukarta He Ke Ae__ Khair Ki Talab Karne Wale. Mutawajjah Ho
Aur Ae__Buraayi Ka Iradah Rakhne Wale ! Buraayi Se Baaz Reh.
Aur Allah Bahot Se Logo'n Ko Dozakh Se Azaad Karta He Aur Har Raat Aisa Hota He.
(📚Tirmazi , Ibne Maaja)
(📓Ref: Anwar-ul-Hadees ,S-272 to 273
PART 13*
Roze Ka Bayan Hadees Shareef Se
●Hadees No:4
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Kehte Hain Ke
Huzoor AlehisSalato WasSalaam Ne Farmaya Ke
Ramzaan Aaya Ye Barkat Ka Mahina He Allah Ta'Aala Ne Iske Roze Tum Par Farz Kiye Hain. Is Main Aasmaan Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain
Aur Sarkash Shayateen Ko Tauq Pehnaye Jate Hain.
Aur Is Main Ek Raat Aisi He Jo Hazaar Mahino'n Se Afzal He. Jo Iski Barkato'n Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom He
(📚Ahmad, Nisaayi, Mishkaat)
(📓Ref: Anwar-ul-Hadees,S-273)
●Hadees No:5
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem AlehisSalaat-o-TasLeem Ne Farmaya Ke Ramzan Ki Akheer Raat Main Is Ummat Ki Magfirat Hoti Hai.
Arz Kiya Gaya Ke Wo "SHABE QADAR" Hai?
Farmaya Nahi..
Lekin Kaam Karne Walo Ko Us Waqt Mazduri Puri Di Jati Hai. Jab Wo Kaam Pura Kare.
(📙Ahmad)
(📙Anwar-ul-Hadees , S-275)
PART 14*
Roze Ka Bayan Hadees Shareef Se
●Hadees No:6
Hazrat Salmaan Farsi RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke
Huzoor AlehisSalato WasSalaam Ne Sha'Abaan Ke Aakhir Main Wa'az Farmaya
Ae__Logo'n ! Tumhare Paas Azmat Wala Barkat Wala Mahina Aaya. Wo Mahina Jis Main Ek Raat Hazaar Mahino Se Behtar He Uske Roze Allah Ta'Aala Ne Farz Kiye Aur Uski Raat Main Qayaam Karna (Namaaz Padhna) Ta'Tua Yani Nifl Qaraar Diya He Jo UsMain Neki Ka Koyi Kaam Yani Nifl Ibadat Kare To Aisa He Jaise Aur Mahine Main Farz Ada Kiya.
Aur Jisne Ek Farz Ada Kiya To Aisa He Jaise Aur Dino Main Sattar Farz Ada Kiye Ye Sbr Ka Mahina He Aur Sbr Ka Sawaab Jannat Hai Aur Ye Gham Khwari Ka Mahina He Aur Us Mahina Main Momin Ka Rizq Badhaya Jata Hai Jo Uske Gunaho Ke Liye Magfirat Hai Aur Uski Gardan Dozakh Se Aazaad Kardi Jayegi Aur Usmain Iftaar Karane Wale Ko Waisa Hi Sawaab Milega Jaisa Roza Rakhne Wale Ko Milega Bagher Uske Ke Uske Sawaab Main Kuch Kami Waqa Ho.
Hamne Arz Kiya Yaa Rasool'Allah (صلى الله تعالى عليه وسلم) ! Ham Main Ka Har Shakhs Wo Cheez Nahi Paya Jisse Rozah Iftaar Karaye.
Huzoor (صلى الله تعالى عليه و سلم ) Ne Farmaya Allah Ta'Aala Ye Sawaab Us Shakhs Ko Bhi Dega Jo Ek Ghoont Doodh Ya Ek Khajoor Ya Ek Ghoont Paani Se Iftaar Karaye Aur Jisne RozaDaar Ko Pet Bhar Kar Khilaya Usko Allah Ta'Aala Mere Hauz Se Seraab Karega.
Kabhi Pyasa Na Hoga. Yaha Tak Ke Jannat Main Dakhil Hojayega. Ye Wo Mahina He Ke Iska Ibtedayi Hissa Rahmat Hai Aur Iska Darmiyaani Hissa Magfirat Hai Aur Iska Aakhri Hissa Jahannum Se Aazaadi Hai. Aur Jo Apne Gulaam Par Is Mahine Main Takhfeef Kare Yani Kaam Lene Main Kami KarDe To Allah Ta'Aala Use Bakhsh Dega Aur Jahannum Se Aazaad Farmayega.
(📙Baihaqi)
(📙Ref: Anwar-ul-Hadees ,S-273 to275)
●Hadees No:7
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ne Kaha Ke Rasoole Kareem AlehisSalaat-O-Tasleem Ne Farmaya Ke Jis Shakhs Ko Rozah Ki Haa'Lat Main Khud Ba-Khud Qay Aajaye Uspar Qaza Wajib Nahi.
Aur Jo Qasdan Qay Kare Uspar Qaza Wajib Hai.
(📚 Tirmazi ,AbuDawood)
(📙Ref:Anwar-ul-Hadees ,S-257 to 276)
PART 15*
Roze Ka Bayan Hadees Shareef Se
●Hadees No.8
Hazrat Abu Hurerah RadiyAllahuTa'AalaAnhu Ne Kaha Ke Huzoor AlehisSalaato Wassalam Ne Farmaya Ke Jo Shakhs (Roza Rakh Kar) Buri Baat Kehna Aur Uspar Amal Karna Tark Na Kare To Khuda-E-Ta'Aala Ko Uski Parwah Nahi Ke Usne Khana Peena Cchod Diya Hai.
(📙Bukhari)
Is Hadees Ke Tahet Hazrat Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dehelwi RahmaThullahi Alaih Farmate Hain Ke
"Rozah Qubool Na Hoga Isliye Ke Rozah Ke Mashro'a Aur Wajib Karne Ka Maqsad Yahi Bhook Aur Pyaas Nahi Hai Balke Lazzato'n Ki Khwahishaat Ka Todna Aur Khud Garzi Ki Aag Ko Bujhana Maqsoos Hai Taake Nafs Khwahishaat Ki Janib Raagib Hone Ki Bajaye Hukm Elaahi Par Chalne Ke Wala Hojaye.
(📙Ash'atul Lam'aat, J-2, S-85)
(📙Ref:Anwar -ul-Hadees , S-276)
● Hadees No.9
Hazrat Salma Bin Muhabbaq RadiyAllahuTa'AalaAnhu Ne Kaha
Huzoor AlehisSalato WasSalam Ne Farmaya Ke Jis Shakhs Ke Paas Aisi Sawari Ho Jo Aaram Se Manzil Tak Pohcha De To Usko Chahiye Ke Rozah Rakhe Jaha Bhi Ramzaan Aajaye.
(📙Abu Dawood)
(📙Ref:Anwar-ul-Hadees , S-276)
PART 16*
*AETAKAAF KA BAYAAN*
Hazrat Aaisha RadiyAllahuTa'AalaAnha Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem AlehisSalaat Wa Tasleem Ramzaan Ke Aakhri Ashrah Main Aetakaaf Kiya Karte The Yaha Tak Ke (Isi Tariqe Par) Wisaal Farmaya.
(Bukhari ,Muslim)
Hazrat Anas RadiyAllahuTa'AalaAnhu Ne Farmaya Ke
Huzoor AkehisSalaat WasSalaam Ramzaan Ke Aakhri Ashrah Main Aetakaaf Farmaya Karte The Aur Ek Saal Aetakaaf Nahi Farmaya To Dusre Saal 20 Din Aetakaaf Farmaya.
(Tirmazi , Abu Dawood)
Ramzaan Shareef Ke Aakhri Ashrah Main Aetakaaf karna Sunnate Mokidah Hai Jaisa Ke Shaikh Abdul Haqq Muhaddis Dehalwi Rahmathullahi Alaih Farmate Hai...
" Zahir Mazhab Hanfiyah Main Aetakaaf Sunnate Mokidah Hai Isliye Ke Huzoor AlehisSalaat WasSalaam Hamesha Aetakaaf Farmaya Karte The. Yaha Tak Ke Is Duniya Se Tashreef Le Gaye.
(Ash'Atul Lam'Aat, J-2, S-118)
(Ref: Anwar -ul- Hadees , S-292)
Aetakaaf Ki Niyyat Se Allah Ta'Aala Ke Waste Masjid Main Thaher Ne Ka Naam Aetekaaf Hai.
Aetakaaf Teen(3) Qism Ka Hai.
1__ Wajib
2__ Sunnate Mokidah
3__ Mustahab
Aetakaafe Wajib :-
Ye Nazar Ka Aetakaaf Hai. Jaise Kisi Ne Ye Mannat Maani Ke Falaa'n Kaam Hojayega To Main Ek Din Ya Du Din Ka Aetakaaf Karunga To Ye Aetakaaf Wajib Hai. Iska Pura Karna Zaruri Hain. Aetakaaf Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai. Baghair Rozah Ke Sahi Nahi.
Aetakaafe Sunnate Mokidah :-
Ye Ramzan Ke Pure Ashra-E-Akheerah Yaani Aakhir Ke 10 Din Main Kiya Jaye. Yani 20we Ramzaan Ko Suraj Dobte Waqt Aetakaaf Ki Niyyat Se Masjid Main Maujood Huwa Aur 30we Ko Suraj Dobne Ke Ba'd Ya 29we Ko Chaand Hone Ke Ba'd Nikle. Agar 20we Tareekh Ko Ba'd Namaze Magrib Aetakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnate Mokidah Ada Na Hogi.
Ye Aetakaaf Sunnate Mokidah Kifaya Hai Ke Agar Sab Chod De To Sab Pakade Jaye Aur Agar Ek Ne Bhi Kar Liya To Sab Chhut Jaye Is Aetakaaf Main Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hain.
(Hindiyah , Hidaya Waghera
PART 17*
*Aetakaaf Ka Bayaan*
Aetakaafe Mustahab :-
Aetakaaf Wajib Aur Aetakaaf Sunnate Mokidah Ke Aelawa Jo Aetakaaf Kiya Jaye Wo Mustahab Hai. Aetakaaf Ke Waste Rozah Shart Nahi Ye Thodi Der Ka Bhi Ho sakta Hai Masjid Main Jab Jaye Us Aetakaaf Ki Niyyat KarLe Chahe Thodi Hi Der Masjid Main Reh Kar Chala Aaye. Jab Chala Aayega Aetakaaf Khatam Hojayega.
Niyyat Main Sirf Itna Kafi Hai Ke Main Ne Khuda Ke Waste Aetakaafe Mustahab Ki Niyyat Ki.
(AalamGiri -o-Bahar Waghera)
Mas'alah: Mard Ke Aetakaaf Ke Liye Masjid Zaruri Hai Aur Aurat Apne Ghar Ki Us Jaga Main Aetakaaf Kare Jo Jaga Usne Namaaz Ke Liye Muqarrar Ki Ho.
(Hidaya , Rudul Muhtaar -o- Bahar)
Mas'alah: Motakif (Yaani Aetakaaf Karne Wala) Ko Masjid Se Baghair Uzr Nikalna Haraam Hai Agar Nikla To Aetakaaf Toot Jayega Chahe Bhool Kar Hi Nikla Ho Jab Bhi. Yu Nahi Aurat Agar Apne Aetakaaf Ki Jaga Se Nikli To Aetakaaf Jata Rahega Chahe Ghar Hi Main Rahe.
(AalamGiri -o-Ruduk Muhtaar)
Aur Masjid Se Nikalne Ke Du(2) Uzr Hain
Ek(1) Taba'yi
Dusra(2ra) Saza Sharayi.
Taba'yi Uzr Ye Hai Jaise Pakhana , Peshaab , Istenja , Farz , Ghusl, Wazu (Jab Ke Ghusl Wazu Ki Jaga Msjid Main Na Bani Ho. Masjid Main Bada Hauz Na Ho)
Sharayi Uzr Ye Hai Jaise Eid Ya Jumu'ah Ki Namaaz Ke Liye Jana.
Agar Aetakaaf Wali Masjid Main Jamat Na Hoti Ho To Jamat Ke Liye Bhi Ja Sakta Hai
In Uzr Ke Siwa Kisi Aur Waja Se Agar Thodi Der Ke Liye Bhi Aetakaaf Ki Jaga Se Bahar Jaeyga To Aetakaaf Jata Rahega. Agarche Bhool Hi Kar Jaye.
PART 18*
*Aetakaaf Ka Bayaan*
Mas'alah: Motakif Raat Din Masjid Main Rahe Wahi Khaye Piye Soye In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Hoga To Aetakaaf Toot Jayega.
(Durre Mukhtaar , Hidaya Waghera)
Mas'alah: Motakif Ke Siwa Aur Kisi Ko Masjid Main Khaane Peene Sone Ki Ijazat Nahi Aur Agar Ye Kaam Karna Chahe To Aetakaaf Ki Niyyat Karke Masjid Main Jaye Aur Namaaz Padhe Ya Zikr ELaahi Kare Phir Ye Kaam Kar Sakta Hai Magar Khaane Peene Main Ye Aehtiyaat Laazim Hai Ke Masjid Aludah Na Ho.
(Rudul Muhtaar-o-Bahar Waghera)
Mas'alah: Motakif Ko Apni Zarurat Ya Baal Baccho Ki Zarurat Se Masjid Main Kharidna Ya Bechna Jaa'iz Hai Jabke Wo Cheez Masjid Main Na Ho Ya To Thodi Ho Ke Jaga Na Ghere Aur Agar Kharid-o-Farokht Tijarat Ki Niyyat Se Hoto Naa'Jaa'iz Hai Chahe Wo Cheez Masjid Main Na Ho Jab Bhi.
(Durre Mukhtaar -o- Rudul Muhtaar-o-Bahar)
Mas'alah: Motakif Na Chup Rahe Na Baat Kare Balke QurAan Shareef Ki Tilawat Hadees Ki QirAat Aur Durood Shareef Ki Kasrat Kare -o- ILm Deen Ka Dars -o- Tadrees Kare Ambiyaa -o- Auliyaa-o- Saleheen Ke HaaLaat Padhe Ya Dini Baate'n Likhe.
(Durre Mukhtaar)
Mas'alah: Agar Nafil Aetakaaf Tod De To Uski Qaza Nahi Aur Sunnate Mokidah Aetakaaf Agar Toda To Jis Din Toda Faqat Us Ek Din Ki Qaza Puri 10 Dino Ki Qaza Wajib Nahi
Aur Minnat Ka Aetakaaf Toda To Agar Kisi Muqarrar Mahina Ki Minnat Thi To Baqi Dino Ki Qaza Kare Warna Agar Alal'ittiSaul (Lagatar) Wajib Huwa Tha To Sire Se Phir Se Aetakaaf Kare Aur Agar Alal'ittiSaul (Lagatar) Wajib Na Tha To Baqi Ka Aetakaaf Kare.
Mas'alah: Aetakaaf Jis Waja Se Bhi Tote Chahe Qasdan Ya Bila Qasdan Behre Haal Qaza Wajib Hai.
(Rudul Muhtaar Waghera)
(📙Ref: Qanoon-E- Shari'At , H-1, S-213 to 215
PART 19*
ZAKAAT KA BAYAAN
Zakat Farz Hai Iska Inkaar KarneWala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq O Jahannami Aur Ada KArne Me Dair(Late/Not On Time) LaganeWala GunahGaar O Mardodush Shuhadah Hai.
(Aalamgeeri J-1 Safa: 160)
Namaaz Ki Tarha Iske Bare Me Bhi Bahot Si Aayaten Wa Hadeesen Aayi HAin Jinme Zakat Ada Karne Ki Sakht Takeed Hai.Aur Na Ada Karnewale Per Tarha Tarha Ke Duniya O Aakhirat Ke Azaabon Ki Wa'iden Aayi Hain.
(Jannati Zewar, Zakaat Ka Bayaan)
Allah Ta'Ala Farmata Hai:
1 》 Aur Muttaqi Wo Hai Ke Hamne Jo Unhe Diya Hai, Usme Se Hamari Rah Me Kharch Karte Hain.
(Para 1,Al-Baqarah - 3)
2 》 Unke Malon Me Se Sadqa Lo, Uski Wajah Se Unhe Paak Aur Suthra BAnado
(Para 11,At-Touba- 103)
3 》 Aur Falah Pate Wo Hain Jo Zakat Ada Karte Hain.
(Para - 18,Al-Mominoon - 4)
4 》 Aur Jo Kuch Tum Kharch Karoge, Allah Ta'Ala Uski Jagah Aur Dega Aur Wo Behtar Rozi Dene Wala HAi
(Para - 22,SAba - 39)
Aur FArmata HAi...
"Jo Log Allah Ta'Ala Ki Rah Me Kharch Karte Hain Un Ki Kahawat Us Dana Ki Hai Jis Se Saat(7) Balen Niklen.HAr Baal Me Saw(100) Dane Aur Allah Ta'Ala Jise Chahta Hai Ziyadah Deta Hai Aur Allah Ta'Ala Us'AtWala Hai, Bada Ilm Wala HAi. Jo Log Allah Ta'Ala Ki Rah ME Apne Maal Kharch Karte Phir Kharch Karne Ke Baad Na Ehsaan Jatate, Na Aziyyat Dete Hain, Unke Liye Un Ka Sawaab Unke Rab Ke Huzoor Hai Aur Na Un Per Kuch Khouf Hai NA O Ghamgeen Honge. Achchi Baat Aur Maghfirat Us Sadqe Se Behtar Hai Jiske Baad Aziyyat Dena Ho Aur Allah Be-Parwah Hilmwala Hai"
(Para 3, Al-Baqara261-163)
"Hargiz Neki Hasil Na KAroge Jab Tak Usme Se Na Kharch Karo Jise Mehboob Rakhte Ho Aur Jo Kuch Kharch KAroge Allah Ta'Ala Use Janta HAi."
(Para: 4 Al-Imraan 96)
"Neeki Uska Naam Nahi Ke Mashriq O Maghrib Ki Taraf Muh Kardo,Neeki To Uski Hai Jo AllahTa'Ala Aur Pichle Din Aur Malaika O Kitaab O Ambiya Per Imaan Laya Aur Maal Ko Us Ki Muhabbat Per Rishtedaron Aur Yatimon Aur Miskino Aur Musafir Aur Saileen Ko Aur Gardan Chatane Me Diya Aur NAmaaz Qayim Ki Aur Zakat Di Aur Neek Wo Log Hain Ke Jab Koi Mu'Ahida Karen To Apne 'Ahad Ko Pura Karen Aur Takleef O Musibat Aur Ladai Ke Waqt Sabr Karne Wale Log Sachche Hain Aur Wahi Log Muttaqi Hain."
(Para - 2 Al-Baqara - 177)
"Jo Log Bakhl KArte Hain Uske Sath Jo Allah Ne Apne Fazl Se Unhe Diya.Wo Ye Gumaan NA KAren Ke Ye Unke Liye Behtar Hai Balke, Ye Unke Liye Bura Hai. Us Cheez Ka Qayamat Ke Din Unke Gale Me Touq Dala Jayega Jiske Sath Bakhl Kiya."
(Para - 4 Al-Imraan 18)
"Jo Log Sona Aur Chandi Jam'A Karte Aur Use Allah Ki Rah Me Kharch Nahi Karte Hain, Unhe DardNaak Azaab Ki KhushKhabri Suna Do, Jis Din Aatish E Jahannam Me Wo Tapayen Jayenge Aur Un Se Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Pithen Daghi Jayengi (Aur Unse KAha Jayega) Ye Wo Hai Jo Tumne Apne Nafs Ke Liye Jam'A Kiya Tha To Ab Chako Jo Jam'A Karte The."
(Para 10,Sure Touba 34-35)
Neez Zakaat Ke Bayaan Me Ba-Kasrat Aayaat Warid Huwi Jinse Uska Muhtam BisShaan Hona Zahir Hai.
PART 20*
SHABE QADAR
Shabe Qadr Ki Fazilat Ye Hai Ke Is Ke Muatlliq QurAan Kareem Main Puri Surah Naazil Huwi Hai.
● Irshaad Baari Ta'Aala Huwa:
" Beshak Ham Ne Use (QurAan Ko) Shabe Qadr Main Utara. Aur Tum Ne Kya Jana Kya Hai Shabe Qadr .
SHABE QADR Hazaar Mahino Se Behtar ( Hai) Is Main Farishte Aur Jibra'eel Utarte Hain Apne Rab Ke Hukm Se Har Kaam Ke Liye. Wo Salaamati Hai Subha Chamakne Tak.
(Sure Qadr : Tarjuma:Kanzul EeMaan)
Is Surath Se Ma'loom Huwa Ke Shabe Qadr Aisi Baa-Barkat Aur Azmat -o- Buzrugi Waali Raat Hain : 👇
1 } Jo Hazaar Mahino'n Se Behtar Hai.
2 } Isi Raat Main QurAane Hakeem Luhe Mahfooz Se Aasmaane Duniya Par NaaZil Huwa.
3 } Isi Raat Main Farishte Aur Jibra'eel Alehissalaam Zameen Par Utarte Hain.
4 } Isi Raat Main Subha Tulu'a Hone Tak Khair -o- Barkat Naazil Hoti Hai Aur Ye Raat Salaamati Hi Salaamati Hai.
●Shabe Qadr Milne Ka Sabab●
Imaam Maalik RadiyAllahuTa'AalaAnhu Farmate Hain Ke Huzoor ﷺ Ne Jab Pehli Ummato'n Ke Logo'n Ki Umro'n Par Tawajjuh Farmayi To Aapko Apni Ummat Ke Logo'n Ki Umre'n Kam Ma'Loom Huwe.
Aapne Ye Khayaal Farmaya Ke Jab Guzishta Logo'n Ke Muqable Main Inki Umre'n Kam Hain To Inki Nekiyaa'n Bhi Kam Rahengi
Ispar Allah Ta'Aala Ne Aapko SHABE QADR Ataa Farmayi Jo Hazaar Mahino'n Se Behtar Hai.
(📙Motaa Imaam Maalik , S-260)
Hazrat Mujaahid RadiyAllahuTa'AalaAnhu Farmate Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Bani IsRaa'eel Ke Ek Nek Shakhs Ka Zikr Farmaya Jisne Ek Hazaar Mah Tak Raahe Khuda Main Jihaad Ke Liye Hathyaar Othaaye Rakhe.
Sahaba Kiraam Ko Uspar Ta'Ajjub Huwa
To Allah Ta'Aala Ne Ye Surath (Sure Al-Qadr) Naazil Farmayi.
Aur Ek Raat SHABE QADR Ki Ibaadat Ko Us Muhaajid Ki Hazaar Mahino'n Ki Ibaadat Se Behtar Qaraar Diya.
(📙Sunan Al-Kubra Beyhaqi , J:1 , S:306)
(📙Tafseer Ibne Hurer)
PART 21*
*SHAB E QADAR*
●LaiLatul Qadr Ki Wajah Tasmiyah●
Is Muqaddas Aur Mubarak Raat Ka Naam "LAI-LATUL QADR" Rakhe Jaane Ki Chand Hikmate'n Peshe Khidmat Hain :
1 } QADR Ke Ek Maani Martabe Ke Hain Is Bina Par Ye Kaha Ja Sakta Hai Ke Is Raat Ki Azmat -o- Buzrugi Aur Aalaa Martabe Ki Waja Se Iska Naam " LAI-LATUL QADR " Yaani Aalaa Martabe Aulaa Raat Rakha Gaya Hai.
Is Raat Main Ibaadat Ka Martaba Bhi Bahot Aalaa Hai.
Jo Koyi Is Raat Main Ibaadat Karta Hai Wo BaarGaahe ELaahi Main Qadr -o- Manzilat Wala Hojata Hai.
Aur Is Raat Ki Ibaadat Ka Martaba Ye Hai Ke Wo Hazaar Mahino'n Se Behtar Hai.
Ek Aur Hikmat LAI-LATUL QADR Ki Ye Hai Ke Is Raat Main Azmat -o Buland Martaba Waali Kitaab Naazil Huwi Hain.
Kitaab Aur Wahi Le Kar Aane Wale Jibra'eel Alehissalaam Bhi Buland Martabe Wale Hain.Aur Ye AzeeMushShaan Kitaab QurAane Hakeem Jis Mahboobe Rasool ﷺ Par Naazil Huwi Wo Bhi Badi Azmat Aur Buland Martabe Wale Hain.
Surath-ul-Qadr Main Main Is Lafz "QADR" Ki Teen(3) Martaba Aane Main Shayad Yahi Hikmat Hai.
2 } "QADR" Ke Ek Maani Taqdeer Ke Bhi Hain Aur Chunke Is Raat Main Bando'n Ki Taqdeer Ka Wo Hissah Jo Is RamDaan Se Agle RamDaan Tak Pesh Aane Wala Hota Hai Wo Muta'Alliqah Farishto'n Ko Sonp Diya Jata Hai. Is Liye Bhi Is Raat Ko SHABE QADR Kehte Hain.
●NUZULE QUR'AAN ●
Allah Ta'Aala Ne Shabe Qadr Ki Badi Waja-E- Fazilat Bayaan Farmayi Hai Ke Ye Nuzule QurAan Ki Raat Hai.
Surat-ul-Dukkhaan Main Irshaad Baari Ta'Aala Hai Ke QurAane Kareem Ko Mubarak Raat Main Naazil Kiya.
Is Mubarak Raat Se B'az Mufassireene Kiraam Ne "Shabe BaRaat" Muraad Li Hai.
Aur Ye Bhi Mash'hoor Hai Ke QurAane Hakeem Teyees(23) Baras Ki Muddat Main BaTadreej Naazil Huwa Nez Iska Nuzool Rabi-ul-Awwal Main Shuru Huwa.
Shah Abdul Azeez Muhaddis Dahelwi RahmathullAhi Alaih Ne In Aqwaal Main Khoob Tatbeeq Ki Hai Wo Farmate Hain
" Shabe Qadr Main QurAane Kareem Luhe Mahfooz Se YakBaargi Aasmaane Duniya Par Bait-ul-Izzat Main Naazil Huwa.
Jab Ke Iske Nuzool Ka Andaazah Luhe Mahfooz Ke Negehbaano'n Ko Iska Nuskha Naqal Karke Aasmaane Duniya Par Pohchaane Ka Hukm Isi Saal Ki "Shabe BaRaat" Main Huwa.
Goya QurAane Hakeem Ka Nuzule Haqiqi "Maahe RamDaan Main Shabe Qadr" Ko Huwa Aur Nuzule Taqdiri Isse Pehle "Shabe BaRaat" Main Huwa.
Aur Sina-E-Mustafa ﷺ Par Nuzule QurAan Ka Aagaaz Rabi-ul-Awwal Main Peer Ke Din Huwa Aur Teyees(23) Saal Main Mukammal Huwa.
(📙 Tafsire Azizi _ Para:30 , S-438)
PART 22*
*SHAB E QADAR*
● HAZAAR MAHINO'N SE BEHTAR ●
Shabe Qadr Ki Dusri Waja Fazilat Ye Hai Ke Is Raat Ki Ibadat Ka Sawaab Ek Hazaar Mahino'n Ki Ibaadat Se Behtar Hai.
Ye Nukta Qaabile Tawajjuh Hai Ke Shabe Qadr Ko Hazaar Mahino'n Se Behtar Farmaya Gaya.
Ye Nahi Bataya Gaya Ke Hazaar Mah Se Kitne Darje Zaayid Behtar Hai , Das(10)Darja , Sau(100) Darja Ya Hazaar(1000) Darja Ya Isse Bhi Zyada .
Ek Qaul Ye Bhi Hai Ke "Alfi Shahar" Se Muraad Hazaar(1000) Ka Muayyan Adad Nahi Hai.
Balke Mafhoom Ye Hai Ke Shabe Qadr Tamaam Zamano'n Se Afzal Hai Yaani Zyada Se Zyada Tum Jitni Muddat Ka Tasawur Kar Sakte Ho Shabe Qadr Usse Bhi Afzal Aur Behtar Hai.
Dusra Nukta Ye Hai Ke Ek Hazaar(1000) Mahino'n Ke Tarassi(83) Saal Aur Chaar(4) Mah Bante Hain Pas Agar Koyi Shakhs Tarassi(83) Saal Aur Chaar(4) Mah Tak Din Raat Musalsal IkhLaas Ke Sath Allah Ta'Aala Ki Ibaadat Kare To Bhi Ek Shabe Qadr Ki Ibaadat Itni Taweel Muddat Ki Ibaadat Se Afzal -o- Behtar Hai
Jabke Is Taweel Muddat Main Koyi Shabe Qadr Na Ho.
Isi Tarah Yu Bhi Kaha Ja Sakta Hai Ke Agar Koyi Shakhs Shabe Qadr Main Ibaadat Kare To Goya Usne Tarassi(83) Saal Aur Chaar(4) Mah Allah Ta'Ala Ki Ibaadat Main Guzaar Diye
Balke Usse Behtar Ajr Milega Is Par Bas Nahi , Agar Talab Sacchi Ho To Har Saal Shabe Qadr Naseeb Ho Sakti Hai Goya Zara Se Mehnat Aur Lagan Se Ki Hazaar Mahino'n Se Zyada Ajr-o-Sawaab Haasil Kiya Ja Sakta Hain.
●NUZULE MA'LAAYIKA●
Noore Mujassam Rahmate Aalam ﷺ Ne Farmaya Jab Shabe Qadr Aati Hai To Hazrat Jibra'eel Alehissalam Farishto Ke Jhurmut Main Zameen Par Utarte Hain Aur Us Shakhs Ke Liye Dua-E- Rahmat Karte Hain ,
Jo Khada Ya Betha Allah Ta'Aala Ki Ibaadat Kar Raha Ho.
(📙Mishkaat , J-1, S-453)
Dusri Riwayat Main Ye Bhi Hai Ke Hazrat Jibra'eel Alehissalam Aur Farishte Is Shab Main Ibaadat Karne Walo Se Musafa Karte Hain
Aur Unki Dua'on Par Aameen Kehte Hain Yaha Tak Ke Subha Hojati Hai.
(📙Fazailul Auqaat , S-251)
Ulma Farmate Hain Ke Shabe Qadr Main Ibaadat Karne Walo Se Jab Hazrat Jibra'eel Alehissalam Aur Fatishte Salaam -o- Musafa Karte Hain To Uski Nishaani Ye Hoti Hai Ke Badan Ke Rongte Khade Hojate Hain , Dil Khashiyate ELaahi Se Larazne Lagta Hai Aur Uspar Riqqat Tauri Hojati Hai Aur Aankho'n Se Aansoo Jari Hojate Hain.
Imam Raazi Rahmathullahi Alaih Ne Tafsire Kabeer Main Farishto Ke Zameen Par Utarne Ki Muta'addid Wajuh Tehreer Farmayi Hain Jin Main Se Chand Sutoor Mulahiza Hon:
1 } Jab Allah Ta'Aala Ne Farmaya Tha Ke Main Zameen Main Apna Khalifa Banane Wala Hon To Farishto Ne Kaha Tha Ke Ye Makhlooq Zameen Main Fasaad Phailayegi Aur Khoon Rezi Karegi.
Allah Ta'Aala Insaan Ki Izzat -o- Azmat Wazeh Karne Ke Liye Farishto Ko Naazil Farmata Hai Ke Jaao'n Aur Dekho Jinke Mutalliq Tum Ne Ye Kaha Tha Wo Kya Kar Rahe Hain.
Dekh Lu Mere Bande Is Raat Main Bistar -o- Aaram Ko Cchod Kar Meri Khaatir Ibaadaat Main Mashgool Hain Aur Mujhe Raazi Karne Ke Liye Aansoo Bahate Dua-E- Maang Rahe Hain
Halanke Shabe Bedari Inke Liye Farz Ya Wajib Nahi Balke Sunnate Mokidah Bhi Nahi Sirf Mere Mahbube Rasool ﷺ Ki Targeeb Dene Par Ye Apni Nind -o- Aaram Qurbaan Karke Saari Raat Ke Qayaam Par Musta'id Hain. Phir Farishte Naazil Hote Hain Momin Ki Azmat Ko Salaam Karte Hain.
2 } Allah Ta'Aala Ne Momino Se Wada Farmaya Hai Ke Jannat Main Inke Paas Farishte Aayenge Aur Unhe Salaam Karege Shabe Qadr Main Farishto Ko Naazil Farmane Ki Ek Hikmat Ye Bhi Hai Ke Rab Ta'Aala Goya Ye Batana Chahta Hai
Ae Mere Bando ! Agar Tum Duniya Main Meri Ibaadat Main Mashgool Rahe To Tumhare Paas Rahmat Ke Farishte Aayenge Aur Tumhari Ziyarat Karege Wo Tumhe Salaam Karenge.
3 } Allah Ta'Aala Ne Shabe Qadr Ki Fazilat -o- Barkat Ahle Zameen Ke Liye Rakhi Jo Yaha Rab Ta'Aala Ki Ibaadat Kare , Chunanche Farishte Isi Liye Zameen Par Aate Hain Taake Wo Bhi Yaha Aakar Allah Ta'Aala Ki Ibaadat Kare Aur Shabe Qadr Ki Kaseer Ajr-o- Sawaab Ke Mustahiq Hojaye. Iski Misaal Aisi Hai Jaise Koyi Shakhs Makka Mukarrama Is Niyyat Se Jaye Ke Waha Ibaadat Ka Ajr -o- Sawaab Zyada Milta Hai Isi Tarah Farishte Shabe Qadr Main Zameen Par Utarte Hain.
PART 23*
*SHAB E QADAR*
●Ta'ayyune Shabe Qadr●
Shabe Qadr Ki Ta'ayyun Main Aaimah Deen Ke Mukhtaleef Aqwaal Paaye Jate Hain:
Jaleelul Qadr Taba'yee Imam Aazam Abu Haneefa RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ka Ek Qaul Ye Hai Ke Shabe Qadr Tamaam Saal Main Kisi Bhi Raat Ko Ho Sakti Hai. Sahaba Kiraam Main Se Hazrat AbdullAh Bin Masood RadiyAllahu Ta'Aala Anhu Ka Yahi Qaul Hai.
Imam Aazam Ka Dusra Qaul Ye Hai Ke Ye Ramdaan Ki 27vi Shab Hai.
Imaam Maalik Abu Yusuf Aur Imam Muhammed RahmahamullAh Ka Qaul Ye Hai Ke Shabe Qadr Ramdaan Ki Kisi Muta'ayyan Raat Main Hoti Hai. Ulmaye Shafa'iyah Ka Qaul Hai Ke Iska 21vi Shab Main Hona Aqrab Hai. Imam Maalik Aur Imam Ahmed Bin Hambal RahmahamullAh Ke Nazdeek Ye Ramdaan Ke Aakhri Ashre Ke Taaq Raato'n Main Hoti Hai Kisi Saal Kisi Raat Main Aur Kisi Saal Kisi Dusri Raat Main.
Sheikh Muhiyuddeen Ibne Arbi RahmatullAhi Alaih Farmate Hain Ke Mere Nazdeek Inka Qaul Zyada Saheeh Hai Jo Kehte Hain Ke Ye Tamaam Saal Main Kisi Bhi Raat Ko Ho Sakti Hai Kyunke Main Ne Shabe Qadr Ko Du Martaba Sha'abaan Main Paya Hai Ek Baar 15/Sha'abaan Ko Aur Dusri Baar 19/Sha'aban Ko Aur Du Martaba Ramdaan Ke Darmiyaani Ashre Main 13 Aur 18 Ramdaan Ko Aur Ramdaan Ke Aakhri Ashre Ki Har Taaq Raat Main Use Paya Hai Isliye Ye Pure Saal Main Kisi Bhi Raat Ko Ho Sakti Hai Albatta Maahe Ramdaan Main Ye Ba-kasrat Aati Hai.
Shah Wali Allah Muhaddis Dahelvi Alaih Rahma In Aqwaal Main Tatbeeq Dete Huwe Kehte Hain Ke Shabe Qadr Saal Main Du(2) Martaba Hoti Hai Ek Wo Jis Main Ahkaame ELaahi Naazil Hote Hain Aur Isi Raat Main QurAane Kareem Lauhe Mahfooz Se Utara Gaya. Ye Raat Saal Bhar Main Kisi Bhi Shab Ho Sakti Hai Lekin Jis Saal QurAan Kareem Naazil Huwa Us Saal Ye Raat Ramdan-ul-Mubarak Main Thi Aur Aksar Ramdan-ul-Mubarak Main Hi Hoti Hai.
Dusri Shabe Qadr Wo Hai Jis Main Malayeka Ba-Kasrat Zameen Par Utarte Hain. Ruhaniyat Urooj Par Hoti Hai Ibadat Aur Dua-E- Qubool Hoti Hain Ye Har Ramdan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Main Hoti Hai Aur Badalti Rehti Hai. Ab Chand Ahadees Mulaheza Farmaiye....
1) Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta'Aala Anha Farmati Hain Ke Aaqa-O-Maula ﷺ Ka Farmane Aali Shaan Hai " Shabe Qadr Ramdan Ke Aakhri Ashre Ke Taaq Raato'n Main Talaash Karo
(Bukhari, Mishkaat , J:1, S:450)
2)Hazrat Abadah Bin SaaMat RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sarkaar me Du Aalam ﷺ Ne Farmaya Shabe Qadr Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Rato'n Yaani 21 , 23 , 25 , 27 , 29 we'n Raat Main Hai. Jo Sawaab Ki Niyyat Se Is Raat Main Ibadat Karta Hai Allah Ta'Aala Uske Saabiqa Tamam Gunha Bakhsh Deta Hai Isi Raat Ki Alamato'n Main Se Ye Hai Ke Ye Raat Khuli Huwi Aur Chamakdaar Hoti Hai. Saaf Shaffaaf Goya Anwar Ki Kasrat Ke Ba'is Chaand Khula Huwa Hai. Na Zyada Garam Na Zyada Thanda Balke Mutadil. Is Raat Main Subah Tak Aasmaan Ke Sitare Shayateen Ko Nahi Maare Jate Iski Nishaniyo'n Main Se Ye Bhi Hai Ke Iske Ba'd Ki Subah Ko Suraj Bagher Shu'Aa Ke Tulu Hota Hai. Bilkul Hamwaar Tikya Ke Tarah Jaisa Ke 14vi Ka Chaand KyunKe Shaytaan Ke Liye Rawa Nahi Ke Wo Is Din Suraj Ke Sath Nikle.
(Masnade Ahmed , J:5 , S:324 )
(Majma-ul-Zawayid , J:3 , S:176)
3) Hazrat Ibne Abbaas RadiyAllahu Ta'Aala Anhuma Se Marwi Hai Ke Aaqa-E- Du Jaha'n ﷺ Ne Farmaya Ke Shabe Qadr Ko Aakhri Ashre Main 25 we'n , 27we'n Aur 29we'n Raato'n Main Talaash Karo.
(Bukhari , Mishkaat , J:1 , S:450)
PART 24*
*SADQA-E- FITR KA BAYAAN*
RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Bandah Ka Rozah Aasmaan -o-Zameen Ke Bich Main Ruka Rehta Hai Jab Tak Sadqa Fitr Ada Na Kare.
(Khateeb , Ibne Asakar)
Mas'alah : Sadqa Fitr Wajib Umar Bhar Iska Waqt Hai Yaani Agar Ada Na Kiya Ho To Ab Ada Karde .. Ada Na Karne Se Saaqit Hoga.. Na Ab Ada Karna Qaza Hai Balke Ab Bhi Ada Hi Hai Agarche Sunnate Eid Ki Namaaz Se Pehle Ada Kar Dena Hai.
(Durre Mukhtaar Waghera)
Mas'alah :Eid Ke Din Subah Saadiq Shuru Hote Hi Sadqa Fitr Wajib Hojata Hai..
Lihaza Jo Shakhs Subah Saadiq Se Pehle Mar Gaya Ya Faqeer Hogaya To Uspar Sadqa Fitr Wajib Na Huwa.
(AalamGiri)
Mas'alah : Subah Saadiq Shuru Hone Ke Ba'd Jo Baccha Paidah Huwa Ya Jo Kafir Musalmaan Huwa Ya Faqeer Gani Huwa Uspar Sadqa Fitr Wajib Na Huwa.
(AalamGiri)
Mas'alah : Subah Saadiq Shuru Hone Se Pehle Kaafir Musalmaan Hogaya Ya Baccha Paidah Huwa Ya Faqeer Tha Gani Hogaya To Sadqa Fitr Wajib Hai.
(AalamGiri)
Mas'alah : Jo Subah Saadiq Shuru Hone Ke Ba'd Mara Uspar Sadqa Fitr Wajib Hai.
(AalamGiri)
Mas'alah : Sadqa Fitr Har Musalmaan Aazaad Maalike Nisaab Par ( Jis Ki Nisaab Haajate Asliyah Ke Aelawa Ho) Wajib Hai..
Is Main Aaqil Baalig Aur Maal Naami Hone Ki Shart Nahi Yaani Maal Par Saal Guzarna Shart Nahi.
(Durre Mukhtaar)
PART 25*
*SADQA-E-FITR KA BAYAN*
●SADQAH FITR KIS KA KIS PAR WAJIB HAI●
Mas'alah: Mard Maalike Nisaab Par Apni Taraf Se Aur Apne Chote Bacche Ki Taraf Se Sadqah Fitr Wajib Hai.. Jab Ke Baccha Khud Nisaab Ka Maalik Na Ho..
Aur Agar Baccha Nisaab Ka Maalik Hai To Uska Sadqah Fitr Usi Ke Maal Se Diya Jaye..
Aur Majnoon Aulaad Agarche Baalig Ho Jab Ke Gani Na Ho To Uska Sadqah Fitr Uske Baap Par Wajib Hai.. Aur Gani Hoto Khud Uske Maal Se Diya Jaye.
(Durre Mukhtaar -o- Rudul Muhtaar)
Mas'alah : Sadqah Fitr Wajib Hone Ke Liye Rozah Rakhna Shart Nahi
Agar Kisi Uzr Safar Marz Budhapa Ki Waja Se Ya Ma'AazAlah Bila Uzr Rozah Na Rakha Jab Bhi (Sadqah Fitr) Wajib Hai.
(Rudul Muhtaar , -o- Bahaar)
Mas'lah : Baap Na Hoto DaDa Baap Ki Jaga Hai Yaani Apne Faqeer -o- Yateem Pote Poti Ki Taraf Se Uspar Sadqah Fitr Dena Wajib Hai.
Mas'lah: Apni Aurat Aur Aaqil Baalig Aulaad Ka Sadqah Fitr Iske Zimmah Nahi Agarche Ye Apaahich Hon Agarche Unka Nafaqah Iske Zimmah Ho.
(Durre Mukhtaar -o- Bahaar)
●SADQAH FITR KI MIQDAAR
Sadqah Fitr Ki Miqdaar Ye Hai Geho'n Ya Uska Aata... Ya Satu Aadha Saa'a Khajoor... Ya Munaqqa Jaw... Ya Uska Aata Satu Ek Saa'a.
(Hidayah, Durre Mukhtaar , AalamGiri Waghera)
Mas'alah : Geho'n Aur Jaw Dene Se Unka Aata Dena Afzal Hai
Aur Isse Afzal Ye Ke Qimat De Chahe Geho'n Ki Qimat De Ya Jaw Ki Ya Khajoor Ki.
Magar Girani Main Khud In Chizo'n Ka Dena Qimat Dene Se Afzal Hai
Aur Agar Kharab Geho'n Ya Jaw Ki Qimat Di To Acche Ki Qimat Se Jo Kami Pade Wo Puri Kare.
(Rudul Muhtaar)
●SAA'A KA WAZAN●
Aala Darje Ki Tehqeeq Aur Aehtiyaat Ye Hai Ke Saa'a Ka Wazan Chaandi Ke Purane Repeye Se 351 Rupeya Bhar Hai..
Aur Nisf Saa'a Ka Wazan 175 Rupeya Atthanni Bhar Hai.
(Fatawa Radwiyah)
Yaani Isi Bhar Ke Nambri Sair Se Jo Aaj Kal Hindustaan Ke Aksar Bade Shehro'n Man Raa'ij Hai.)
Aur Naye Wazan Se Ek Saa'a Chaar(4) Sair Sawa Cheh(6) Chataank [ 4 Kilo Aur Taqriban 94 Giram Hota Hai..
Aur Aadha Saa'a Du(2) Sair Sawa Teen (3)Chataank [ 2 Kilo Aur Taqriban 47 Giraam) Ka Hota Hai.
Aasani Aur Zyada Aehtiyaat Is Main Hai Ke Geho'n Sawa Du Sair Nambri
Ya Jaw Saadhe Chaar Sair Nambri Ek Ek Shakhs Ki Taraf Se De.
●SADQAH KIS KO DE ●
Sadqah Fitr Ke Masarif Wahi Hain Jo Zakaat Ke Hain Yaani Jinko Zakaat De Sakte Hain Unhe Fitrah Bhi De Sakte Hain Siwa Aamil Ke Iske Liye Zakaat Hai Fitrah Nahi.
(Durre Mukhtaar -o- Rudul Muhtaar)
(Ref: Qanoon-E- Shari'at)
Part 25-A
*Shabe Qadr Ki Khas Dua*
Ummul Momineen Hazrat Aayesha رضی اللہ عنھا ne Pyare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم se pucha ki Agar mujhe Shabe Qadr mil jaye to mai Allah se (khaas taur par ) kaunsi Duaa maangu ??????_
Pyare Aaqaa صلی اللہ علیہ وسلم Ne Jawab Irshad Farmaya Ki Ye Duaa Padhna
اَللّٰھُمَّ اِنَّکَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّیْ
Allahumma innaka Afuwwun TuHibbul Afwa Fa fu Annii.
Aey Allah Beshak Tu Maaf karne wala hai Aur Maaf karne ko pasand kartaa hai to mujhe bhi maaf kar de*.
O Allah you are the Forgiver You love to forgive so forgive me.
Part 25-B
"LaylatulQadr The Night of Power.
"Laylatul Qadr" Shaan Wali Raat Hai
Lailatul Qadr Me Matlayil Fajre Haq
Maang Ki Ishtiqamat Pe Lakhon Salam
Jumla_Ummat_E_Musalman_Ko_SHAB_E_QADR_Bahot_Bahot_Mubarak
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
(1):- Jo shakhs Bahalat e Imaan Sawaab ke iraade se Shab e Qadar me Qiyaam kare to uske guzre hue gunah baqsh diye jate hain.
(Sahih Bukhari,hadith no:35)
(2):- Jis shakhs ne Tamaam Ramzan Maghrib aur Isha Jamaat ke saath padhi us ne Shab e Qadar ka waafir Hissa paaliya.
(Shubul Imaan;hadith no:3707)
Note:-
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ko sab ummatou ki umren dikhayi gayi ya is baare me jo ALLAH TA'LA ne chaha dikhaya, to goya HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne (sab ummatou ke muqable me apni ummat ki kam umrou ka khayal karte hue soncha ke kya meri ummat is qadar neik amaal kar sakegi jis qadar dusri ummatou ke logou me lambi umar ki wajeh se kiye, To ALLAH TA'LA ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ko SHAB E QADAR ataa farmayi jo Hazaar mahinou se bhi Afzal hai.
(Shubul Imaan,hadith no:3667)
Special dua's request for orphans and oppressed muslims all around the world
ALWADA ALWADA RAMZAN
PART 26*
∗Ramzan Ki Rukhsati Par Rona*
Hazrat Jaabir (Radiyallahu Ta’ala Anhu) farmate Hai,
“Jab Ramzaan Ki Aakhri Rat Aati Hai Toh Zameen-O-Aasmaan Aur Malaaika (Farishte) Bhi Ramzaan Ki Rukhsati Par Rote Hai”.
Waasta Tujh Ko Pyare Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana,(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
PART 27*
*EID KA BAYAAN*
🔹Sawaal) Eid Ki Namaaz Wajib Hai Ya Sunnat?
Jawaab▶ Eid Ki Namaaz Wajib Hai Magar Inke Wajib Aur Jaaiz Hone Ki Wahi Sharte Hain Jo Jumu'ah Ke Liye Hain. Sirf Itna Farq Hai Ke Jumu'ah Main Khutbah Shart Hai. Aur Eidain Main Sunnat.
Dusra Farq Ye Hai Ke Jumu'ah Ka Khutba Namaaz Se Pehle Hai Aur Eidain Ka Khutba Namaaz Ke Ba'd.
Aur Tisra Farq Ye Hai Ke Eidain Main Azaan -O- Aqaamat Nahi Sirf Du(2) Baar
الصلاة جامعة
(Assalatu Jaam'atun)
Kehne Ki Ijazat Hai.
(📙Durre Mukhtaar Waghera)
🔹Sawaal) Eid Ki Namaaz Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hai?
Jawaab▶ Eid Ki Namaaz Ka Waqt Ek Nezah Aaftaab Buland Hone Ke Ba'd Se Zawaal Ke Pehle Tak Hai.
(📚Durre Mukhtaar, Bahare Shari'at
🔹Sawaal) Aurato Ke Liye Namaze Eidain Jaaiz He Ya Nahi?
Jawaab▶ Aalam Giri, J-1, S-74 .. Par He
لا تجب الجمعة على العبيد و النسوان والمسا فرين والمرضى كذافى محيط السر خسى.
Yaani Gulamo'n Aurato , Musafiro Aur Marizo Par Namaaze Jumu'ah Wajib Nahi
Aur Phir Isi Kitaab Ke Safa 77 Par He.
"تجب صلوة العيد على كل من تجب عليه صلوة الجمعة كذا فى الهدايه"
Yaani Jin Logo Par Namaaze Jumu'ah Wajib He Unhi Logo Par Namaaze Eid Bhi Wajib He.
Jaisa Ke Hidaya Main He.
Mazkoor Bala Ibarato Se Ma'loom Huwa Ke Aurato Par Namaaze Eidain Wajib Nahi.
Raha Jawaz Ka Sawal To Aurato Ke Liye Eidain Ki Namaaz Jaaiz Bhi Nahi.. Isliye Ke Eid-Gah Main Ikhtilaate Mardum Hoga Aur Aurate Jama'at Kare To Ye Bhi Naa-Jaaiz.
Isliye Ke Sirf Aurato Ki Jama'at Makruhe Tehreemi He Aur Fardan Fardan Padhe To Bhi Namaaz Jaa'iz Na Hogi Isliye Ke Eid Ki Namaaz Ke Liye Jama'at Shart He.
"واذا فات الشرط فات المشر وط وهو سبحانه و تعالى اعلم"
(📙 Makhooz Fatawa Faiz-ul-Rasool)
Part 27-A
Aalam E Islam Ko Alvidaa Jum'ah Mubarak
Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafa
(صلی اللہ علیہ وسلم)
ka farman Aalishan,Barakat-o-Magfirat Nishan hai,
(1):- "Aye Musalmano Ke Giroh, Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah (عزوجل) Ne Eid Banaya Hai.
📚(Mishkat Hadees No. 123)
(2):- Juma’a ka din sab dino ka sardar hai.
Ya Allah (عزوجل) Mustafa Jane Rahmat Sallallaho Taala Alaihi Wassalam Ke Sadke Wa Taufel Se Jum'mah Tul Wida Ke Din Sab Musalmano Ki Magfirat Farma Aur Jahannam se Aazadi Farma.
Ameen
Haaye Afsos Ramzan ki na Humne Qadr ki,
Be-sabab hi bakhsh de Ya Rab (عزوجل) ki tu RAHMAN hai
PART 28*
*Eid Ka Bayaan*
🔹Sawaal) Eid Ki Namaaz Padhne Ka Tariqah Kya Hai?
Jawaab▶ Pehle Is Tarah Niyyat Kare.
"Niyyat Ki Main Ne 2 Rak'at Namaaz Wajib Eid-ul-Fitr Ya Eid-ul-Adha Ki 6 Takbiro'n Ke Saath Allahu Ta'Aala Ke Liye (Muqtadi Itna Kahe Aur Piche Is Imaam Ke) Muh Mera Taraf Ka'aaba Shareef Ke
Phir Kaano Tak Haath Othaye Aur Allahu Akbar Keh Kar Haath BaandhLe
Phir Sana Padhe
Phir Kaano Tak Haath Le Jaye Aur Allahu Akbar Kehta Huwa Haath Cchod De.
Phir Haath Othaye Aur Allahu Akbar Kehta Huwa Haath Cchod De.
Tisri Baar Phir Haath Othaye Aur Allahu Akbar Keh Kar Haath BaandhLe.
Iske Ba'd Imaam Ahista
A'uzu BillAh Aur BismillAh
Padh Kar Buland Aawaaz Se Alhamdulillah (Sure Fatiha) Ke Saath Koyi Surath Padhe
Phir Ruku Aur Sajde Se Faarig Hokar Dusri Rak'at Main Pehle Alhamdulillah Ke Saath Koyi Surath Padhe
Phir Teen(3) Baar Kaano Tak Haath Le Jaaye
Aur Har Baar Allahu Akbar Kahe
Aur Kisi Martaba Haath Na Baandhe Aur Chauti(4thi) Baar Baghair Haath Othaye Allahu Akbar Kehta Huwa Ruku Main Jaaye
Aur Baaqi Namaaz Dusri Namazo'n Ki Tarah Puri Kare.
Salaam Pherne Ke Ba'd Imaam Du(2) Khutbe Padhe
Phir Dua Mange.
(Ref:Anware Shari'at , S-98 to 99)
Sawaal) Aurato Ke Liye Namaze Eidain Jaaiz He Ya Nahi?
Jawaab▶ Aalam Giri, J-1, S-74 .. Par He
لا تجب الجمعة على العبيد و النسوان والمسا فرين والمرضى كذافى محيط السر خسى.
Yaani Gulamo'n Aurato , Musafiro Aur Marizo Par Namaaze Jumu'ah Wajib Nahi
Aur Phir Isi Kitaab Ke Safa 77 Par He.
"تجب صلوة العيد على كل من تجب عليه صلوة الجمعة كذا فى الهدايه"
Yaani Jin Logo Par Namaaze Jumu'ah Wajib He Unhi Logo Par Namaaze Eid Bhi Wajib He.
Jaisa Ke Hidaya Main He.
Mazkoor Bala Ibarato Se Ma'loom Huwa Ke Aurato Par Namaaze Eidain Wajib Nahi.
Raha Jawaz Ka Sawal To Aurato Ke Liye Eidain Ki Namaaz Jaaiz Bhi Nahi.. Isliye Ke Eid-Gah Main Ikhtilaate Mardum Hoga Aur Aurate Jama'at Kare To Ye Bhi Naa-Jaaiz.
Isliye Ke Sirf Aurato Ki Jama'at Makruhe Tehreemi He Aur Fardan Fardan Padhe To Bhi Namaaz Jaa'iz Na Hogi Isliye Ke Eid Ki Namaaz Ke Liye Jama'at Shart He.
"واذا فات الشرط فات المشر وط وهو سبحانه و تعالى اعلم"
( Makhooz Fatawa Faiz-ul-Rasool)
📚 *PART MUKAMMAL....*
LAST~PART~29
*Aalam e Islam Ko Eid Ul Fitr Ki Bahoot Bahoot Mubarak Baad*
*Eid Ul Fitr Ki Sunnatein*
(1):- Eid Ki Namaz Ke Liye Gusl Karna.
(2):- Miswaak Karna.
(3):- Achchhe Kapde Pehanna.
(Naye Purana Dono Pahan Sakte Acche Ka Matlab Saaf Suddhare)
(4):- Khushbu Lagana.
(5):- Namaz e Eid Se Pahle Koi Mithi Cheez Jaise Khajoorein Ya Chooware Taak Adad Yani1,3,5 Wagairah Me Khana.
(6):- Eiggah Jaldi Jaana.
(7):- Eidgah Jane Se Pahle Sadaq e Fitar Ada Karna.
(8):- Eid Ki Namaz Se Pahle Koi Nafl Namaz Na Padhna.
(9):- Eid Ki Namaz Ke Liye Jaate Huwe Takbeere Tashreeq Ahista Aawaaz Se Padhte Huwe Jaana.
(Allaho Akbar Allaho Akbar Laillaha Illallaho, Wallaho Akbar Allaho Akbar Walillahil Hamd)
(10):- Eid Ul Fitr Ki Namaz Kuch Taakheer Se Aada Karna.
(11):- Namaz E Eid Ke Liye Ek Raaste Se Jaana Aur Doosre Raaste Se Waapas Aana.
ALLAH Rabbul Izzat Se Dua Hai Wo Hamari Ramzan Me Ki Gai Tamam Ibadato Ko Qubool Farmai...Ameen
Note:-
Aur Ap Sab Se Gujaris Hai Ki Ramzan Ki Tarah Pure Saal Hum Par Namaz Padhna Farz Hai, Jis Tarah Ramzan Me Hamne Namaz Ke Pabandi Ki Khosis Ki Aage Bi Jari Rakhe.
Aalam E Islam Ko Shab E Qadr Mubarak Ho.
Ye Wo Muqaddas Raat Hai Jise ALLAH Rabbul Aalameen Ne Qur'an-E-Kareem Me 1000 Mahino Se Afzal Bataya. Shabe Qadr Me Hame Kis Tarah Ibadate Karni Chahiye Ispar Ye Post Lkihi Hai.
Shab-E-Qadar Ki Ibadat:
• Jab Masjid Me Dakhil Ho To Is Tarah Niyat Karke Phir Dakhil Ho.
"Nawaytu Sunnatul Etikkaf" Jab Tak Aap Masjid Me Rahenge Insha ALLAH Aapke Naam-E-Aamal Me Farishte Nekiya Likhte Rahenge. Islami Behene Ghar Me Ek Jagah Mukarrar Karle Ibadat Ke Liye Aur Niyat Kar Us Jagah Ibadat Kare.
• Qur'an-E-Kareem Ki Tilawat Kare.
• 21 Martaba Surah Qadr Ki Tilawat Kare. Is Raat Me Sure Qadr Ki Tilawat Ki Badi Fazilate Hai.
• 21 Martaba Surah Ikhlas Ki Tilawat Kare.
• Jinki Qaza Namaze Reh Gayi Hai Wo Qaza-E-Umari Ada Kare. Jinki Namaz Qaza Na Ho Wo Nawafil Padhe.
• Dua-E-Shabe Qadr Kasrat Se Padhe.
"Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul Afwa Wa Fa'afu Anni."
• Durood-E-Pak Kasrat Se Padhe.
• Astagfar Ki Tasbeeh Padhe.
• Aayat-E-Kareema Ki Tasbeeh Padhe.
• Ye Kalme Kasrat Se Padhe:
"Subhanallahi Wabihamdihi Subhanallahil Azeem"
Ye Kalme ALLAH Rabbul Aalameen Ko Bohot Pasand Hai. Hadees-E-Pak Me Hai Ke Roze Mehshar Mizaan Par Ye Kalme Wazani Honge Aur Padhnewale Ke Naam-E-Aamal Me Nekiyo Ke Pahad Honge. In sha ALLAH.