✔ *Hadees No.1*
Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo...ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe Rizq Diya jata hai .
📔 *Ibne Majah Safa 119*
📘 *Mishkat Safa 121*
➡ Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah ﷺ ki hayate zaahiri aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai
🌴 *Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood*
*Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam* 🌴
*🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔Hadees No.2
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Se marvi hai ki main is hujre jis me Rasoolullah ﷺ ki Qabre Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah ﷺ aur dusri qabr mere walid ki hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ki aur jab se isme Hazrate Umar رضي الله عنه dafn kiye gaye hai to main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.
📘 *_Mishkat Safa 154_*
➡ Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki Hazrte Ayesha Siddiqua رضي الله عنها ka Aqeeda yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise zindagi me mulahiza farmate the warna Rasoolullah ﷺ aur Hazrate Abu Bakr رضي الله عنها ki Qabre Anwar par Shohar aur walid hone ki bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي الله عنه ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath aane ka aur kya matlab hai ??
🌴 *Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah*
*Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale* 🌴
*🔳 Huzoor ﷺ Wisaal ke baad bhi zinda hai 🔳*
✔ Hadees No.3
Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya jisne Hajj kiya Aur Meri Qabr ki ziyarat ki to Wo aisa Hi hai jaise Usne Mujhko Duniyawi zindagi me dekha
📘 *_Mishkat Safa 241_*
🌴 *Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa kar*
*Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ka Rouza*
*🔳 Huzoor ﷺ Wisaal ke baad bhi zinda hai 🔳*
✔ *Hadees No.4*
Hazrate Abuzar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Meraaj ki shab aasmano me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa علیہ السلام se Mulakat farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate Aadam علیہ السلام se pahle Aasman Par aur Ibraheem علیہ السلام ko chhate(6th) Aasman par paya to Huzoor ﷺ jab Jibraeel علیہ السلام ke sath Hazrate Idrees علیہ السلام ke paas guzre to Unhone Huzoor ﷺ se farmaya ki mubarak ho safare Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh Bhai Hai Fir Huzoor ﷺ Hazrate Moosa علیہ السلام ke paas se guzre to Hazrate Moosa علیہ السلام ne bhi isi tarah mubarak baad di Huzoor ﷺ ne pucha ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel علیہ السلا ne arz kiya Huzoor ﷺ ye Moosa علیہ السلام Hai . Rasoolullah ﷺ ne farmaya fir main Hazrate Isaa علیہ السلام ke paas se guzra to unhone bhi isi tarah mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ? Bataya gaya ye Isaa علیہ السلام Hai Bete Mariyam ke , Fir main Hazrate Ibraheem علیہ السلام ke paas se guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate Ibraheem علیہ السلام hai
📓 *Muslim Jild 1 Safa 93*
📘 *Mishkat Safa 529*
📕 *Bukhari Jild 1 Safa 471*
➡ Is Hadees Shareef ke ye alfaaz Muslim Shareef se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki Hadees yani shabe meraaj Huzoor ﷺ ka Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye bhi hai ke Hazrate Moosa علیہ السلام ke kehne par Baar Baar Huzoor ﷺ ne Rab Ta'ala se Namaz me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi hai
🌴 *Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa*
*Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai* 🌴
*🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.5*
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Huzoor ﷺ ke sahaba me se ek sahabi ne ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor ﷺ ki Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ maine bhool se ek qabr par khaima lagaya to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah Mulq tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri surah padhi
📓 *Tirmiji Jild 2 Safa 112*
📘 *Mishkat safa 187*
➡ Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani Inki zindagi Duniya ki tarah hai
🌴 *Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota*
*Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota*
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Bad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.6*
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ arzak ghaati se guzare Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السلام ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir Huzoor ﷺ Harsha pahadi par tashreef laye farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor ﷺ ne farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus عليه لسلام ko ek purgosht surkh Oontni par dekh raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai
📘 *_Muslim Jild 1 safa 94_*
➡ Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor ﷺ ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha )
🌴 *Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai*
*Magar aisi ki Faqat Aani Hai*
*Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat*
*Misle Sabiq Wahi Jismani Hai*
*Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza*
*Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai* 🌴
*🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.7*
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ke jab Uhad ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko jung me shaheed hone wale as'haab me pehla main hunga aur Huzoor ﷺ ko chod kar baaqi logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ kehte hai ki jab subah jung hui to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas zara kaan mut'assir tha
📕 *Bukhari Jild 1 Safa 180*
Is Hadees se ba-khoob maloom hua ke Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ ke waalid Abdullah 6 Maah guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai
📕 *Bukhari Jild 1 safa 178*
🌴 *Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main*
*Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera* 🌴
*Ke Main Gulame Khwaja hu Hind Hai Watan Mera* 🌴
*🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.8*
Hazrate Anas رضی اللہ عنہ riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Insaan jab qabr me dafn kar diya jata hai aur log moodne lagte hai to wo in logo ke jooto ki aahat sunta hai
📕 *_Bukhari Jild 1 safa 178_*
✔ *Hadees No. 9*
Hazrate Abu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki jab janaza taiyaar ho jata hai aur log use kaandhe par uthate hai agar wo acha hai to kehta hai mujhe jald le chalo agar bura hai to ghar walo se kehta hai mujhko tum kaha liye ja rahe ho. Iski aawaz ko siwa insano ke sab sunte hai agar insaan sun le to behosh ho jaye
📕 *_Bukhari Jild 1 Safa 176_*
🌴 *Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha*
*Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa* 🌴
🌴 *Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna*
*Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna*🌴
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.10*
Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah ﷺ ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah ﷺ kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ? Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya jo kuch main keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe hai
📕 *_Bukhari Jild 2 safa 573_*
✔ *Hadees No. 11*
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se riwayat hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se pucha ke jab hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya padho aye Momino aur Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par Rahem farmaye hum bhi ان شاء الله tumse aakar milne wale hai
📓 *Muslim Jild 1 safa 314*
🌴 *Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke*
*Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam* 🌴
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.12*
_Hazrate Bureeda se marvi hai ki jab log qabro ki ziyarat ko jaate to Rasoolullah ﷺ unhe ye alfaz sikha dete_
▶ *Aye momino aur musalamano ke ghar walo tum par salamati ho In sha Allah hum bhi tum se zaroor milne wale hai Hum Allah Ta'ala se apne aur tumhare liye Aakhirat me azaab se salamati mangte hai*
▶ *In Ahadees Ko padh kar aap ko lagega ki Huzoor ﷺ ne qabro ki ziyarat ke waqt jo dua taleem farmayi hai uska tareeqa aisa hai jaise zindo se baat chit aur dua wa salaam karte hai aur manna padega ke marne ke baad insaan ek khaas qism ki zindagi ke sath zinda hai*
🌴 *Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur*
*Bheje Sab Unko Shaukat Pe Lakhon Salaam* 🌴
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No. 13*
Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez se marvi hai ki ayyame harrah me 3 din Masjide Nabawi shareef mein na Azaan hui aur na takbeer Hazrat Saeed masjid mein hi rahe aur unhe Namaz ke waqt ka pata ek gungunahat ki aawaz se chalta tha jo Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar se har Namaz ke waqt aati thi
📓 *_Mishkat Babul karamat safa 545_*
▶ Ye Waqiya harrah 63 hijri ka wo bhayanak haadisah hai ki jab Yazeed paleet ne Muslim Bin Aqba ko ek lashkar dekar Madeene shareef par chadhai karayi aur shahare Rasool ﷺ ko barbaad kiya beshumar mard wa aurat qatl kiye gaye aabru rezi bhi ki gai masjide Nabawi Shareef mein musalsal 3 din tak Azaan wa Jamaat na hui Mash'hoor tabayi Hazrate Saeed deewano ki tarah Masjid Shareef ke ek kone me rehte the Yazeedi fouz ne unhe pagal samajh kar chhor diya tha ye Azaan wa Namaz ke Waqt Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar se gungunahat ki aawaz sunte aur usi par Namaz ada Karte.
🌴 *Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah*
*Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale* 🌴
*🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.14*
Hazrate Ka'ab se riwayat hai ki Har din 70 hazaar farishte utarte hai aur wo Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar ko gher lete hai...apne par biccha dete hai aur Rasoolullah ﷺ par Durood shareef padhte rehte hai yahan tak ke jab shaam ho jati hai to wo chadh jaate hai aur inki tarah itne hi farishte aur utarte hai wo bhi isi tarah karte hai yahan tak ke Huzoor ﷺ jab Qabre Anwar se bahar tashreef layenge to 70 Hazaar farishto ke Zurmooth me jalwa farmayenge aur wo Farishte Aap ﷺ ko pahochayenge
📓 *_Mishkat Babul Karamat safa 546_*
▶ Is Hadees ke peshe nazar Yaqeenan Rasoolullah ﷺ Qabre Anwar me Ba-kayeda baa hayaat hai isiliye to ye sab ehtamam farmaya jata hai warna jahan mitti ka dher ho waha farishte kyun aayenge
🔳Huzoor ﷺWisaal ke Baad Bhi Zinda Hai🔳
✔ *Hadees No.15*
Hazrat Aayesha Siddiqa Farmati hai ki jab Hazrat nijashi ka wisaal howa to ham logo mai ye baat mashhoor thi ke in ki qabr par hamesha noor rheta hai ye hadees Abu Daud ne riwayat ki .
📗 *(Mishkaat babul karamaat safa 545)*
▶ ye sab hadees e karima jin mai se kisi mai aap ne mulaheza farmaya ki Ayyame harah mai har namaaz o Azaan ke Waqt huzoor ﷺ ki Qabre Anwar se Gungnahat ki Aawaz Aati thi Aur kisi mai ye ki aap ki qabre anwar par 70 Hazar Firshte Subah o Shaam Bdal Bdal kar Hazir hote hai aur aap par Durood Sharif Padhte Rhete hai .isi Anwaan ki aur Hadeese jo aap ne mulhazah farmayi in sab ke ba wajud kisi musalmaan se ye Ummid nahi ki jasakti ki ye Bakwaas kare ke huzoor Murda hai ya mar kar mitti mai mil gye معاذ اللہ
Aur aap ki qabr mitti ka dher hai معاذ اللہ aesi Baate karne wala koi Kafir to ho Sakta hai Lekin Musalmaan nahi .
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳
✔ *Hadees No.16*
Hazrat Abdullah ibne Abbas رضی اللہ تعالی عنہ irshaad Farmate hai ki mai ek din Dopher ke Waqt Rasoolullh ﷺKo khaab mai dekha ki aap preshan haal aur gubaar Aalud hai aur app ke Dast e paak mai ek botal hai jis mai khoon hai mai ne arz kiya ya Rasoolullah ﷺ Aap par mere maa baap qurbaan ye kya hai? Aapne farmaya ye Husain Aur Unke Satiyo ka khoon aaj ka din mujhe is ko ektta karne mai guzar rha hai .hazrat Abdullah ibne Abbas رضی اللہ تعالی عنہ
farmate hai ki mai ne hisaab lagaya to ye whi din waqt tha jismai hazrat janaab imam husain Shhid kiye gye .
📗 *Mishkaat baab mankibe ahle bait Safa 572*
▶ Is Hadees se jaha ye maloom howa ki Rasoolullah ﷺ Parda farmane ke baad ba qaidaa Zinda O Jawed hai whi ye bhi Sabit hogya ki Aap Aalam mai kahin bhi ja sakte hain jaisa ki imam husain ki Shadat ke Waqt aap karbala mai the .
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No. 17*
Hazrat Abu Ayyash رضی اللہ تعالی عنہ Se Riwayat Hai ki RasoolAllah ﷺ Ne Irshaad Farmaya ki Jo Subah ke Waqt Ye Duwa Padhe "Allah Ke Alawa Koi Mabood Nahi Weh Akela Hai Uska Koi Saajhi Nahi Uske Liye Badshahat Hai Aur Usi Ke Liye Hamd Hai Aur Weh Har Baat Par Qaadir Hai "
To Usko Hazrat Ismail Alehissalam Ki Aulaad Mai Se Ek Gulaam Aazaad Karne Ka Sawab Milega Aur Uske Nama e Aamal Mai 10 Nekiya Likhi Jayegi Aur Uske 10 Gunah Kam Kar Diye Jayege Aur Us Ke 10 Darje Buland Kar Diye Jayege Aur Weh Shaam Tak Shaitan Se Mehfooz Rhega Aur Ager Shaam Ko Padh Le Tab Bhi Isko Itna Hi Milega .Fir Ek Sahab Ne Huzoor ﷺ Ko Khawab Mai Dekha Aur Pucha Ya Rasool Allah ﷺ Abu Ayyash Ne Aap Ke Hawale Se Ye Duwa Padhne Par Jo Ye Sawaab Bataya Hai Waqyi Aesa Hi Hai
*_Aap ﷺ Ne Aesa Hi Farmaya Hai_*
To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Abu Ayyash Ne Jo Kuch Kaha Weh Sahi Hai Yaani Weh Hamara hi Farmaan Hai .
📗 *_Abu Dawood Jild.2 Kitabul Aadab Safa No.692_*
📙 *_Ibne Maja Baab Mayado bihirajul iza asabah Wa Amsa Safa No. 284_*
📕 *_Mishkat Baab Ma yakolo indarsahabah walmasa safa No.210_*
▶ Is Hadees Se Khoob Waze Ho gya ki Huzoor Wisaal Ke Baad Zinda Hai Logo Ke Paas Khawab Mai Bhi Tashrif Late Hai Aur uhne Faiz Bhi Puchate Hai Aur Haq Aur Na Haq Ke Faisle Bhi Farmate Hai.
🔳Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai🔳*
✔ *Hadees No.18*
Jab Aap ﷺ ke shahzade Hazrate Ibraheem Ka wisaal hua to Huzoor ﷺ ne farmaya unke liye jannat mein ek doodh pilane wali muqarrar kar di gayi hai
📓 *_Mishkat Safa 568_*
▶ *Bachpan me intiqal karne ki wajah se jinhe Jannat me Doodh pilaya jata hai Unhe murdah kehna musalman ka kaam nahi hai*
▶ _Tabhi to Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat Ash Shah Imam Ahmed Raza Farmate hai_
🌴 *Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah*
*Meri Chasme Aalam Se Chhup Jane Wale* 🌴
*《..Alhamdulillah Mukammal..》*
🕳️RASOOL ALLAH Ke NAAM Ka ADAB🕳️
_*हुज़ूर ﷺ के नाम का अदब*_
―――――――――――――――――――――
_*👉🏽 आजकल अक्सर लोग हुज़ूरे अन्वर ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ के नामे मुबारक के साथ सलअम, अम और दुसरे निशान (जैसे स.अ.व., स.अ.स. S.A.W वग़ैरा-वग़ैरा) लगाते हैं!*_
_*👉🏽 इमाम जलालुद्दीन सुयूती ﺭَﺣٔﻤَﺔُﺍﻟﻠّٰﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ फ़रमाते हैं कि: "पहला वह शख़्स जिसने दुरूद शरीफ़ का ऐसा इख़्तिसार Short किया (यानी दुरूद शरीफ़ पूरा नही लिखा) उसका हाथ काटा गया !"*_
_*👉🏽अ़ल्लामा तहतावी का क़ौल हैं कि: "नामे मुबारक के साथ दुरूद शरीफ़ का ऐसा इख़्तिसार Short लिखने वाला काफ़िर हो जाता हैं क्यूंकि अम्बियाए किराम ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﺍﻟﺼَّﻠٰﻮﺓُ ﻭَﺍﻟﺴَّﻠَﺎﻡٔ की शान को हल्का करना कुफ़्र हैं"!*_
_*📕 नुज़्हतुल कारी*_
_*✍🏻 वजाहत*_
_*⭐ इस क़ौल का मतलब ये हैं कि अगर कोई शख़्स अम्बियाए किराम ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﺍﻟﺼَّﻠٰﻮﺓُ ﻭَﺍﻟﺴَّﻠَﺎﻡٔ की शान को हल्का समझ कर या हल्का करने के लिए दुरूद शरीफ़ का ऐसा इख़्तिसार Short करता हैं तो वो काफ़िर हैं, और अगर काग़ज़ या वक़्त की बचत या सुस्ती की वजह से ऐसा करता हैं तो नाजाएज़ व सख़्त ह़राम हैं!*_
_*👉🏽 ह़ज़रते अ़ल्लामा मौलाना मुफ़्ती मुह़म्मद अम्जद अ़ली आज़मी ﺭَﺣٔﻤَﺔُﺍﻟﻠّٰﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ फ़रमाते हैं: उ़म्र में एक बार दुरूद शरीफ़ पढ़ना फ़र्ज़ हैं और जल्सए ज़िक्र में दुरूद शरीफ़ पढ़ना वाजिब चाहे खुद नामे अक़्दस लें या दुसरे से सुने! अगर एक मजलिस में 100 बार ज़िक्र आए तो हर बार दुरूद शरीफ़ पढ़ना चाहिए! अगर नामे अक़्दस लिया या सुना और दुरुदे पाक उस वक़्त न पढ़ा तो किसी दुसरे वक़्त में उसके बदले का पढ़ लें! नामे अक़्दस लिखे तो दुरूद शरीफ़ ज़रूर लिखे कि बाज़ उ़लमा के नज़दीक उस वक़्त दुरूद लिखना वाजिब हैं! अक्सर लोग आजकल दुरूद शरीफ़ (यानी मुकम्मल ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ लिखने) के बदले Short में ﺻﻠﻌﻢ، ﻋﻢ वग़ैरा लिखते हैं ये नाजाएज़ व सख़्त ह़राम हैं, यूंही ﺭَﺿِﻰَ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻨٔﻪ की जगह ﺭﺽ रदी., र.अ. वग़ैरा, इसी त़रह़ ﺭَﺣٔﻤَﺔُﺍﻟﻠّٰﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ की जगह ﺭﺡ रह., र.अ. वग़ैरा लिखते हैं ये भी न चाहिए"!*_
_*📕 बहारे शरीअ़त, ह़िस्सा-3, सफ़ह़ा-101,102*_
_*👉🏽 अल्लाह ﻋَﺰَّﻭَﺟَﻞَّ का इस्मे मुबारक लिखकर उस पर * ﺝ * न लिखा करे "अज्जवज़ल", "जल्ले जलालहु" या तआ़ला पूरा लिखिए !*_
_*✍🏻 रह़मत से मह़रूम*_
_*⭐ एक शख़्स हुज़ूरे अक़्दस ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ का नामे पाक लिखता तो "सल्लल्लाहो अ़लैहे" लिखता "वसल्लम" न लिखता तो ताजदारे मदीना ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ ने ख़्वाब में उस पर इताब फ़रमाया और इर्शाद फ़रमाया कि: "तू खुद को 40 रह़मतों से महरूम रखता हैं !"*_
_*👉🏽 यानी लफ़्ज़ "वसल्लम" में 4 हुरूफ़ हैं और हर हर्फ़ के बदले 10 नेकियां हैं, लिहाज़ा इस हिसाब से 40 नेकियां होती हैं!*_
_*📕 तफ़्सीरे नई़मी*_
_*✍🏻 हाथ सड़ गया*_
_*⭐ ह़ज़रत शैख़ अ़ब्दुल ह़क़ मुह़द्दिसे देहलवी ﺭَﺣٔﻤَﺔُﺍﻟﻠّٰﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ "जज़्बे क़ुलूब" में फ़रमाते हैं कि: "एक शख़्स काग़ज़ की बचत के ख़याल से हुज़ूर ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ के नामे पाक के साथ दुरूद शरीफ़ नही लिखता था तो उसका हाथ सड़ने गलने लगा"!*_
_*📕सीरते रसूले अरबी*_
_*✍🏻 ईमान सल्ब हो गया*_
_*⭐ मन्कूल हैं, एक शख़्स को इन्तिक़ाल के बाद किसी ने ख़्वाब में सर पर मजूसियों (यानी आतिश परस्तों) की टोपी पहने हुए देखा तो इसका सबब पूछा, उसने जवाब दिया: "जब कभी मुह़म्मदे मुस्त़फ़ा ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠّٰﻪُ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴٔﻪِ ﻭَ ﺍٰﻟِﻪٖ ﻭَﺳَﻠَّﻢ का नामे मुबारक आता हैं तो दुरूद शरीफ़ न पढ़ता था इस गुनाह की नुहूसत से मुझसे मारेफ़त व ईमान सल्ब कर लिए गए"!*_
_*📕 सब्ए सनाबिल, सफ़ह़ा-35*_
_*अल्लाह ﻋَﺰَّﻭَﺟَﻞَّ हम सबको सह़ी त़ौर पर दुरुदे पाक पढ़ने और लिखने की त़ौफ़ीक़ अ़त़ा फरमाए*_
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें