26/10/2020

Huzoor ‎ﷺ ‏Jaisa Koi ‎Nahi ‎,Unka Saya Nahi Aur ‎Bo ‎Noor ‎hain ‎Saboot ‎ke ‎Sath


POST. --. 1
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳 
✔ Hadees No.1

Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ﷺ  ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ??   Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai

📕 Bukhari Jild 1 Safa 263
📙 Muslim Jild 1 Safa 351
📗Mishkaat  Safa 175

➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai

⏩ Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki
 Huzoor ﷺ  ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu

⏩ Hazrate Ayesha رضي الله عنها  Se marvi hadees me hai
Huzoor ﷺ  ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai

⏩ Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه  ki riwayat me hai
Huzoor ﷺ  ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu

⏩ Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah ﷺ
🌴 Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai 🌴


POST 02
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No.2

Hazrate Ali رضي الله عنه se marvi hai ki maine Rasoolullah ﷺ ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad
📓 Tirmizi jild 2 safa 205
📙 Mishkaat safa 517

✔ Hadees No. 3

Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ﷺ khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap ﷺ ke liye Mimbar banaya gaya to Aap ﷺ us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor ﷺ ki judaai me) Oontni ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke Huzoor ﷺ ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.
📕 Bukhari Jild 1 Safa 504

✔Hadees No. 4

Hazrate Ayesha رضي الله عنها
 Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.
📕 Bukhari Jild 1 Safa 504
📓 Muslim Jild Safa 254

🌴 Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai
Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai 🌴



POST 03
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 5

Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush hote to Aap ﷺ ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap ﷺ ki khushi ko jaaan jate.

📕 Bukhari Jild 1 safa 502

✔ Hadees No. 6

Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah ﷺ ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah

📕 Bukhari Jild 1 Safa 502

➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi Sadqa Hai .

🌴 Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga 🌴



POST 04
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No.7

Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ se zyada khoobsurat kisi Cheez Ko naa dekha

📕 Bukhari Jild 1 safa 502

✔Hadees No. 8

Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi Cheez Rasoolullah ﷺ se zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai

📗 Tirmiji Jild 1 Safa 205

🌴 Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya hoga
Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya Hoga



POST 05
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 9

Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Kab se Nabi Hai ? Rasoolullah ﷺ Farmaya Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi .

📓 Tirmiji Jild 2 Safa 201
📙Mishkaat Safa 513

▶Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai ..
🌴 Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain 🌴



POST 06
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 10

Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem ﷺ unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor ﷺ ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor ﷺ ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor ﷺ ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho .

📙 Mishkaat Safa 517

➡ Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa ﷺ ki Anokhi Shaan hai ki Aap ﷺ ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap ﷺ Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi

🌴 Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool 🌴



POST 07
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 11

Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena Motiyo(n) ki tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor ﷺ ki tarah mahak aur khushboo na paayi.

📙 Muslim Jild 2 Safa 257
📘 Mishkat Safa 516

✔ Hadees No. 12
Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor ﷺ ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah ﷺ ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho .

📙 Mishkat Safa 517

✔ Hadees No. 13
Hazrate Jaabir Bin Samurah رضي الله عنه se Marvi Hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya ki beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha

📓 Muslim Jild 2 Safa 245

🌴 Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs Jahan Nahin
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke Dhuwaan Nahin🌴



POST 08
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No. 14

Hazrate Abuzar Gifaari رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se arz kiya ki Yaa Rasoolullah ﷺ aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor ﷺ ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge.

📙 Mishkat Safa 515

➡ Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ﷺ ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap ﷺ Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap ﷺ ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ﷺ ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai
➡ Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai

🌴 Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai
 Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai 🌴



POST 09
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No.15

Hazrat Imam Ali Bin Hussain Razi Allah Tala anhumah se Marvi hai ki Jab Rasool Allah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam bimaar Hue toh unke Paas Hazrat jibraeel Amin Aaye aur arz kiya Ya Rasool Allah,

Allah Tala Ne Mujhko aapke paas Bheja Hai aapka ehtaram aur Izzat afzai ke liye Rab Ta ala aap se is baare mein puchta hai,Jab Ke Wahan aap se jyada Jante Hai ki aap aapne aap ko kaise Pate Hai Huzoor ne Farmaya aye jibraeel Main Khud Ko ghamgheen wa Ranjida Pata Hoon Phir Huzur ki khidmat mein Doosre Din hazeer Hue aur Ye Hai arz kiya Huzoor ne wahi jawab diya jo pahle din diya tha phir aap ke paas ke teersre din aaye aur wahi Arz Kiya Huzoor Ne Phir bshi jawab Diya aur unke Saath Ek Farishta Aaya Jiska Naam Ismaeel hai waha ek lakh Farishton ka sardar hai aur unme ka har ek ek lakh ka sardar hai usne Huzur se Ijazat Mangi phir aap se is mutalikh Pucha Phir Hazrat jibraeel Ne Malakul Maut Ki Taraf Ishara Kar Ke Kaha Huzur yah khidmat Mein Haziri ki ijazat chahte hai aur unhone isse pehle Kisi Aadmi se ijazat Mangi hai aur Na baad me main Kisi Se ijazat Lenge Huzur ne irshad farmaya unhone ijazat dedi Jaye unhe ijazat Mili aur phir malakul Maut Ne aapko Salam kiya Aur kaha Huzoor Allah tala Ne Mujhko aap ki khidmat mein Bheja Hai agar aap Hukum Kare to mai aapki rooh kabz Karun Aur Hukum farmaye to na kabz Karun Huzur ne irshad farmya ye malakul Maut Tum Mera Hukum Manoge Arz Kiya Hai Mere Liye Khuday Tala ka yahi Farman hai ki mai aap ki ita'At Karun to Huzur Hazrat jibreeal ki taraf Dekha toh hazrat jibraeel ne arz kiya Ya Rasool Allah,

Allah tabarak wa ta ala apki Mulaqat Ke Liye Mushtaq Hai Rasool Allah Sallallahu alaihi wa sallam irshad farmaya aye malakul Maut Apna Kaam Karo to unhone aapki Rooh kabz ki

*📕(Miskat Safa 549)*

Mishka Shareef Ki is hadees se acchi Tara samajh me aajata hai ki Huzoor bemisaal Aur bemisl hai aur rooh Paak Apki ijazat se kabz ki gayi Aur farishte bhi apke ijazat Aur huqm ke baqair kuch nahi karte Aur apke Huzoor Haziri ke liye bi ijazat chahte hai kyin Ki apka Darbar khainat ke badsha ka Darbar hai...



POST 10
🔳 Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi 🔳
✔ Hadees No.16

Sahabi E Rasool Hazrath Abu Sayeed Farmate hain ki my masjid E Nabwi May namaz pad raha tha tou Rasoolallah sallahu taaala Alihiwasalam ne mujy pukara myne namaz ji wajah say jawab nahi diya jab baad may hazir e khidmat hua tou huzoor ne sabab pucha tou myne Arz kiya my namaz pad raha tha huzoor ne farmaya kya Allah Tala ne (Quran Sharif ) may ey nahi farmaya hai jab Allah o Rasool bulaye tou jawab dou

*📕Bukhari Jild 2 safa 642 aur safa 669*

Sahi bukhari ki is hadees say wazey hou gaya ki namaz padte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja sakta aur na kisi k bulane par aaya jayega aur aisa karoge tou namaz baatil ho jayegi lekin huzoor k bulane oar aana zaroori hai aur huzoor ki shaan auron k jaisi nahi hai aur aapke misal koi nahi❣!

Aur quran kareem ki o aayat jo Hazrath Abu Sayeed ko nasihat farmate huvy yaad dilayi jiska matlab hai Allah wa Rasool pukare tiu foran hazir ho jao ey *surah anfal parah No. 9 ruku 17* may hai.

Is Aayat may allah tala ne apne naam k sath huzoor ka naam milaya hai.

Hazrath Hamari pesha kardiye in ahadison say khub samaj may aagaya k allaha k rasool hum jaise bashar nahi hain, jo beadab aur gustakh log huzoor ko hum jaise bashar kehte hain wo daleel may quran ki ey aayat padtey hain.

Ay Rasool tum faramo My (Zahir may) tum jaisa basahar hun! Ey inlogon ki nadani hai kyunki aayat may ey b dekhna chaiye ki Allahtala ne apni taraf say kehkar huzoor ko hukoom diya ki Tum farma dou ki my tumare jaisa bashar hon aud jiske paas thodi si bi akhal hai wo janta hai ki bada insan khud apne bare may aisi bateyin azeezi k tour par keh deta hai jo dusre iske bare may nahi keh saktey! Bade Bade wali khutub aur Ghouse aur dindar log apne baare may ey keh dete haun ki hum bahot bade guneghar siyakar hain lekin koi aur unhe guneghar sikhar kahe tou unhe taklif hogi aur wo kehne wala be adab keh layega! Bade bade Badshayein, nawabyein rajayen minsteren officeron ko dekha gaya hai ki wo khud ko ey kehdete hain ki hum bi aap logon ki tarah ek chote admi hain lekin dusre inko apna jaisa chota admi kehkar baat chit nahi kartey balki unhe sarkar, Huzoor, Aaqa,Sahab, janab aur sir waqera kehkar baat kartey hain.. Lihaza Huzood sayede Aalam Mustafa sallallhu tala allihiwasalam ne bi inksari k tour par bi apne baare may khud koi aisi baat kahi ho tou ghulamo aur ashiqon ko huzoor k baare may wo baat bilkul nahi bolna chaiye!

Lihaza jo huzoor ko apna jaisa bashar kehne k liye daleel may ey aayat latey jain wo badey Beadab jahil hain aur naam k musalman hain. inhey apne is khayak say jald touba karna chahiye warna marne k baad bura Hashr hoga... Aur ey bi khayal karna chaiye ki is aayat ko nazil karne ka maqssad ey hai ki pichli ummaton ki tarah log huzoor ki shaan aur martbey aur aapke mojizon ko dekh kar kahi aapko khuda na samajle aur aapki pooja na karne lage..

Ek ey hai ki jo Allah Tala k alawa kisi b zaat ki ibaadat aur pooja kare aur kisi ki mabood banaye wo kafir hai musalaman nahi aur jo allah k rasool ko bilkul apne jaisa bashar kahe wo b nira kafir pakka jahnami hai..

Balki Allah k Rasool ko apne jaisa bashar kehna pehle hi kafiron ka tariqa raha hai jaise ki quraan sharif may surah mominin parah 18 dusre ruko ki dusri aayat aur surah Yaseen parah 22 ki akhiri ruko ki tisri aayat may saaf saaf likha hua hai jis ka ji chahey wo dekh le
🔚🔚🔚









🕳️Huzoor ﷺ Ka Saya Na Tha*🕳️

*【POST 01】Huzoor ﷺ Ka Saya Na Tha*

*_Hazrat imam Nasafi Apni Tafsir Mein Riwayat Naqal Farmate Hain Ke_*

*وقال عثمان إن الله ما أوقع ظلم على الأرض لئلا يضع إنسان قدمه على ذلك الظل فلما لم يمكن أحداً من وضع القدم على ظلك*

*_Hazrat Usman Ghani ؓNe Guzarish Ki Ke Ya Rasol Allah ﷺBe Shak Allah Ne Aapka Saaya Zamin Per Nahi Waqe Kiya Ke Koi insan Apna Qadam Aapke Saaye Per Na Rakhkhe_*

📚 *Tasfsir e Madarik Vol 2 Page 492*



【POST 02】*

*_Hazrat imam Jalaluddin Siyuti Hadees Sharif Naqal Farmate Hain_*

*خْرُج الْحَكِيم التِّرْمِذِيّ عَن ذكْوَان ان رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم لم يكن يرى لَهُ ظلّ فِي شمس وَلَا قمر قَالَ ابْن سبع من خَصَائِصه ان ظله كَانَ لَا يَقع على الأَرْض وَأَنه كَانَ نورا فَكَانَ إِذا مَشى فِي الشَّمْس أَو الْقَمَر لَا ينظر لَهُ ظلّ قَالَ بَعضهم وَيشْهد لَهُ حَدِيث قَوْله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم فِي دُعَائِهِ واجعلني نورا*

*_Hazrat ibne Sabba Ne Farmaya Ke Ye Bhi Huzor Ki Khosusiyat Mein Se Hai Ke Sarkar Ka Saaya Zameen Per Nahi Pasta Tha Wo Noor Thy Aftab Wa Mahtaab Ki Roshni Mein Jab Chalte Tu Saaya Nazar Nahi Aata Tha Baaz Aima Ne Kaha Hai is Waqaya Per Huzor Ki wo Hadees Shahid Hai Jis mein Huzor Ki Ye Dua Manqol Hai Ke Parwardigar Mujhe Noor Bana De_*

📚 *Al Khasais Ul Kubra Vol 1 Page*



*【POST 03】*

*_Hazrat imam Diyaar Bukri Likhte Hain_*

*لم يقع ظله على الارض ولا رؤى له ظل فى شمس ولا قمر*
*Huzor Ke Jisme Anwar Ka Saaya Na Suraj Ki Raushni Mein Padta Tha Na Chandni Mein*

📚 *Tareekh ul Khamees Vol 1 Page 219*



【POST 04】*

*_Hazrat imam Qustlani Farmate Hain_*

*لم يكن له- صلى الله عليه وسلم- ظل فى شمس ولا قمر رواه الترمذى الحكيم عن ذكوان. وقال ابن سبع كان- صلى الله عليه وسلم- نورا.*
*فكان إذا مشى فى الشمس أو القمر لا يظهر له ظل*

*Huzoor ﷺ Ke Jisme Athar Ka Saya Na Aaftab Ki Roshni Mein Padta Tha Na Maahtab Ki Chandni Mein ibne Sabba iski Waje Bayan Karte Hain Ke Huzoor ﷺ Noor Thy isi Liye Chandni Aur Dhop Mein Chalte Thy Tu Jisme Aqdas Ka Saya Nahi Padta Tha*

📚 *Mawahib Ul Luduniya Vol 2 Page 308*



POST 05】Huzor ﷺ Ka Saaya Nahi Tha. ShaikhAbdul Haq Muhaddis Dehlvi Ka Aqida*

*Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Farmate Hain “ Huzor ﷺKa Saaya Na Tha Na Aaftab Ki Raushni Mein Na Chand Ki Tal,at Mein ise Hakeem Tirmizi Ne Zakwan Se Nawadir Ul Usol Mein Riwayat Kiya Hai in Buzurgaun Per Tajub Hai Ke Charagh Ki Raushni Ka Zikr Na Farmaya “Noor”Aap ﷺ Ke Asma E Mubaraka Mein Se Ek Hai Aur Noor Ka Saaya Nahi Hota*

📚 *Madarij Un Nabowat Vol 1 Page*



POST 06】Huzor Ka Saaya Na Tha,Deokhani Gangohi Ka Aqida*

*Deokhani Qasim Nanotvi Ke Ashiq e Sadiq Molvi Rashid Ahmed Gangohi Likhte Hain*

*“Haq Ta,ala Ne Aap Ko Noor Farmaya Aur Shohrat Se Sabit Hai Ke Aan Hazrat Ke Saaya Na Tha Aur Zahir Hai Ke Noor Ke Alawa Har Jism Ka Saaya Zaror Hota Hai”*

📗 *Imadad Us Sulok Page 201*

*Rashid Ahmed Gangohi Deokhani Ke Taluk Se Deobandi Dharam Ka Ye Aqida Hai Ke Jo Gangohi Ki Zuban Se Nikalta Hai Wo Haq Hi Hota Hai Aur Deobandi Ye Bhi Mante Hain Ke Gangohi Ki itteba Mein Hi Hidayat Hai Aur Khud Gangohi Ne Kha Hai Ke Hidayat Muquf Hai Meri itteba Per Ab Agar Koi Deobandi Huzor Ke Saaya Hone Ka Munkir Hoga wo Gumrah Kehlaye Ga Aur Mazid Ye Bhi Ke Gangohi Ke Qaul ka inkar Ke Wo Gangohi Ko Jhota Sabit Kar De Ga*











🕳️Huzoor ﷺ Noor Hain,🕳️

*【POST 01】*
*Huzoor ﷺ Noor Hain,Tafseer Jalalain*
*_Quran Wa Hadees Ki Roshni Mein Ahlesunnat Wa Jamat Ka Ye Aqida Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ki Bashariat Jistarh Haq Hai Usi Tarah Huzoor ﷺ Ki Noraniyat Bhi Haq Hai , Huzoor ﷺ Ki Nooraniyat Na Zariya Na Sirf Kutub e Ahlesunnat Sabit Hai Balki Wahabi Ghair Muqallid Deobandi Kutub Se Bhi Huzoor ﷺ Ki Nooraniyat Ka Sabot Milta Hai Jiske Hawale Hum insha Allah Aapke Samne Pesh Karen Ge Aagar Kisi Ko is Mauzo Per Tafsili Mutala Karna Ho Tu Wo Hazrat Allama Mohammad Kashif Raza Qadri Razvi Qibla Ki ‘Nooraniyat Aur Hakamiyat “ Aur Hazrat Abdul Sattar Hamdani Qibla Ki Khair Ul Bashar Ki Noori Bashariat “ Ka Mutala Kare_*

*Hazrat imam Jalaludin Siyuti Ko Sirf Ahlesunnat Hi Nahi Balke deobandi Aur Ghair Muqallid Bhi Mante Hain Hazrat imam jalaluddin Siyuti Sureh Neesa Ki Aayat قَدْ جَآءَکُمۡ بُرْہٰنٌ مِّنۡ رَّبِّکُمْ وَاَنۡزَلْنَاۤ اِلَیۡکُمْ نُوۡرًا مُّبِیۡنًا ﴿۱۷۴﴾ Ki Tafseer Mein Farmate Hain قدجاء کمہ من اللہ نور ھو النبی صلی اللہ علیہ وسلم Farmate Hain “Tahqeeq Tumhare Paas Allah Ki Taraf Se Noor Aaya Wo Nabi Karim ﷺ Hain*

📚 *_Tafseer e Jalalain Page 120_*


POST 02】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔تفسیر امام رازی
*_Huzoor ﷺ Noor Hain,Tafseer imam Raazi_*
*Hazrat imam Raazi Ko Kaun Nahi Janta Ahlesunnat Wa Jamat Ke Alawa ismaili Firqe Yaani Wahabi Deobnadi Aur Wahabi Ghair Muqallid Bhi Hazrat imam Raazi Ko Mante Hain Hazrat imam Raazi Sureh Maida Ki Aayat قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾ Ki Tafseer Mein Farmate ان المراد بالنور محمد صلی اللہ علیہ وسلم Yaani Be Shak Noor Se Muraad Hazrat Mohammed ﷺ Hain*

📚 *_Tafseer e Raazi Vol 11 Page 194_*

*Hazrat imam Raazi Ki is Tafseer Se Pata Chala Ke imam Raazi Ke Nazdeek Noor Se Muraad Huzor ﷺ Ki Zaat e Paak Murad Hai*



POST 03】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔تفسیرالبغوی
*_Huzoor ﷺ Noor Hain,Tafseer Bagawi_*
*Mufassire Quran Hazrat imam Bagawi Jinka Wisal 516 Hijri Mein Howa Hazrat Sureh Maida Ki Aayat قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾ Ki Tafseer Mein Farmate قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ یعنی محمداصلی اللہ علیہ وسلمYaani Noor Se Muraad Hazrat Mohammed ﷺ Hain*

📚 *_Tafseer e Bagwi Page 368_*

*Hazrat imam Bagwi Ke Nazdeek Bhi Noor se Muraad Huzoor ﷺ Ki Zaat e Paak Hai*



POST 04】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔تفسیرمظہری
*_Huzoor ﷺ Noor Hain,Tafseer Mazhari_*
*Mufassire Quran Hazrat Qazi Sana Ullah PaniPati Jineh Deokhani Wahabi Bhi Mante Hain Sureh Maida Ki Aayat*
قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾
*Ki Tafseer Mein Farmate*
قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ یعنی محمدصلی اللہ علیہ وسلم
*Yaani Noor Se Muraad Hazrat Mohammed ﷺ Hain*

📚 *_Tafseer e Mazhari Vol 03Page 99_*

*Hazrat Qazi Sana Ullah Panipati Ke Nazdeek Noor se Muraad Huzoor ﷺ Ki Zaat e Paak Hai*



POST 05】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔ وہابی نواب صدیق بھوپالی
*_Huzoor ﷺ Noor Hain,Wahabi Tafseer_*
*Firqa e ismailiya Wahabiya Firqe Ke Nawab Siddiq Hasan Khan Bhopali Ghair Muqallid Sureh Maida Ki Aayat* قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾
*Ki Tafseer Mein Likhta Hai*
قال الزجاج النور محمد صلی اللہ علیہ وسلم
*Zujaj Ne Kaha Ke Noor Se Muraad Hazrat Mohammad ﷺ Hain*

📚 *_Tafseer Fathul Bayan Vol 03Page 378_*

*Lijiye Ghair Muqalladin Ke Peshwa Nawab Siddiq Hasan Kahan Bhopali Ke Nazdeek Noor se Muraad Huzoor ﷺ Ki Zaat e Paak Hai*



POST 06】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔ وہابی ثناء اللہ امرتسری
*_Huzoor ﷺ Noor Hain, Wahabi Tafseer Sanai_*
*Firqa Ghair Muqallid Ke Mufassir e Quran Sana Ullah Amritsari Sureh Maida Ki Aayat قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾ Ki Tafseer Mein Likhta Hai*

_“Tumhare Paas Allah Ka Noor Mohammed ﷺ Aur Roshan Kitab Quran Sharif Aaai”_

📚 *_Tafseer Sanai Vol 01 Page 352_*

*Sana Ullah Amritsari Ghair Muqalid Wahabi Ke Nazdeek Noor se Muraad Huzoor ﷺ Ki Zaat e Paak Hai*



POST 07】*
حضور صلی اللہ علیہ وسلم نور ہیں ۔ شاہ عبدالقادری محدث دہلوی
*_Huzoor ﷺ Noor Hain, Shah Abdul Qadir Dehlvi_*
*Hazrat Shah Abdul Qadir Ko Wahabi Dharam Ke Tamam Giroh {Ghair Muqallid ,Deobandi,Tabligi,Jamat e islami }Apna Buzurg Wa Peshwa Mante Hain Hazrat Sahah Abdul Qadir Mohaddis Dehlvi Sureh Maida Ki Aayat قَدْ جَآءَکُمۡ مِّنَ اللہِ نُوۡرٌ وَّکِتٰبٌ مُّبِیۡنٌ ﴿ۙ۱۵﴾ Ki Tafseer Mein Likhta Hai*

_“Noor Se Murad Nabi Karim صلی اللہ علیہ وسلمHain Aur Kitab Se Quran Hai”_

📚 *_Moza Ul Quran Page 141,142_*

*Firqa E Wahabia Jis Shaksiayat Ko Apna Buzurgh Wa Pesha Taslim Karte Hain Wo Bhi Quran Pak ki is Aayat Mein Noor Se Murqad Huzor Ki Zaat Mubarak Hi Samjhte Hain*


कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...