28/10/2020

Important islamic Quiz

Islamic Quiz – 01
• Sawal: Wo Kounsi Surah hai “Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai” ?

Options are –
A). Surah(01) Al-Fatiha
B). Surah(36) Yasin
C). Surah(67) Al-Mulk
D). Surah(112) Al-Ikhlaas

Get Answer

Islamic Quiz (1st) Ka Sahi Jawab

Wo Surah – {{{ D). Surah Ikhlas }}} Hai Jiski Tilawat 1/3 Quraan Padhne ke Barabar hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Quran: Abu darda (Razi Allahu Anhu) se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “kya thak jata hai tum mein se koi is baat se ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? ”
Sahaba (Razi Allahu Anhuma) ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey padhh saktey hain ?

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: “Qul Huwallahu Ahad ( Surah Al- ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai..”
– (Sahih Muslim, 1886)

♥ Mafhoom-e-Quran: Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) se rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) hamarey pass aaye aur farmaya “main tumharey samney Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko khatam (pura) kiya..”
– (Sahih Muslim, 1889)

# Hikmat: Isliye Kyunki Purey Quran ka one third hissa Tawheed ki Azmat Aur Ahmiyat bayan karta hai aur Surah Ikhlas me Tawheed ki mukammmil taruf aaya hai .




Islamic Quiz – 02
• Sawaal: In me se Imaan Aur Kufr Ke Darmiyaan
Farq Karne Wali Cheez Kiya Hai ?

Options are –
A). Roza Chorrna
B). Hajj Nahi Karna
C). Sadqa Nahi Dena
D). Namaz Ka Chorna

Get Answer


Quiz (2nd) Ka Sahi Jawab –
– Imaan Aur Kufr Ke Darmiyaan Farq Karne Waali Cheez –
{{{ D). Namaz Ka Chorna }}} Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Iman aur Kufr ke Darmiyan
farq karne Waali cheez Namaz hai.
– (Jami At-Tirmidhi: 2618)
– – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 03
• Sawaal: “Aayatul Khursi” Kounsi Surah ka Hissa Hain” ?

Options are –

A). Surah(3) Aal-e-Imran
B). Surah(2) Al-Baqrah
C). Surah(4) An-Nisa
D). Surah(5) Al-Ma’ida
E). Sahi Jawaab Ka Intezar.





Quiz (3rd) Ka Sahi Jawab –
“Aayatul Khursi”
{{{ B). Surah(2) Al-Baqrah }}}
Ka Hissa Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
Aayatul Kursi Surah Baqrah Ki 255 number ki Aayat kehlati hai.




Islamic Quiz – 04
#Sawaal: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par
Sabse pehle Nazil hone waali Aayate Kounse Surah ki thi ?

Options are –

A). Surah(01) Al-Fatiha
B). Surah(47) Muhammad
C). Surah(96) Al-Alaq
D). Surah(112) Al-Ikhlas

Get Answer


Quiz (4th) Ka Sahi Jawab –
– Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par
Sabse pehle Nazil hone waali Aayate
{{{ C). Surah(96) Al-Alaq }}} Surah ki thi..
– – – – – – – – – – – – – –

*Rasool’Allah (Salallaho Alaihi Wasallam) par Nazil hone wali
Quran ki sabse pehli 5 aayte Surah Alaq ki thi.

1. “Iqra’ Bismi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa.”
» (Parh Apney Rab Ke Naam Sey Jiss Ney Paida Kiya).

2. Khalaqa Al-‘Insana Min Alaqin.
» (Jisney Insan Ko Khoon Ke Lothrey Se Paida Kiya.)

3. Aqra’ Wa Rabbuka Al-‘Akramu.
» (Parh Uss Rab Ke Naam Se Jo Bada Karam Karne Wala Hai.)

4. Al-Ladhi `Allama Bil-Qalami.
» (Jisne Insan Ko Qalam Ke Zariye (Ilm) Sikhaya.)

5.`Allama Al-‘Insana Ma Lam Ya`lam.
» (Jisney Insan Ko Woh Sikhaya Jo Woh (Insan) Nahi Janta Tha.)
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 05
• Sawal: Quran ka Nuzool Jis Raat hua
Uss “Lailatul Mubarak” se muraad kounsi Raat hai ?

Options are –

A). Shabe Qadr
B). Shabe Bara’at
C). Shabe Mera’aj
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (5th) Ka Sahi Jawab –
– Quran ka Nuzool Jis Raat hua Uss “Lailatul Mubarak” se muraad –
{{{ A). Shabe Qadr }}} Ki Raat Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

– Iske Talluk se Allah Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai Ke –
♥ Al-Quraan: “Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua
Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye”
– [Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185]
*Aur Hum sab Jantey Hai ke Inme se “Shabe Qadr” ki Raat Hi Ramzan me aati hai ,..
– Is Aayat me Unn Hazraat ke liye bhi Nashist Hai Jo Surah Dukhan Ki Aayat No. 3 ka Hawala Dekar Laylatul Mubarak Se Muraad Shabe Barat ko Sabit Karne Ki Koshish Karte Hai ,..
*Allah Hum Sabko Kitabo Ko Sahaba ke Feham Ke Mutabik Amal Ki Taufik De ,..

– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 06
#Sawaal: Shabe Qadr Ki Mubarak Raat
Ramzan Ke Kounse Ahsre Me Aati Hai ?

Options are –
A). 1st Ashra (1-10 Ramazan)
B). 2nd Ashra (10-20 Ramazan)
C). 3rd Ashra (20-30 Ramazan)
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (6th) Ka Sahi Jawab –
– Shabe Qadr Ki Mubarak Raat Ramzan Ke
{{{ C). 3rd Ashre (20-30 Ramazan) }}} me Ahsre Me Aati Hai ?
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya –
“Shab-e-Qadr Ko Ramzan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato (21, 23, 25, 27, 29) Me Talaash Karo”.
– (Sahih al-Bukhari 2017: Book 32, Hadith#4)




Islamic Quiz – 07
#Sawaal: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko
Allah Ne Kin ke Liye Rehmat banakar Bheja ?

Options are –

A). Arbo Ke Liye
B). Tamam Aalam ke Liye
C). Musalmano Ke Liye
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Quiz (7th) Ka Sahi Jawab –
– Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Allah Ne
{{{ B). Tamam Aalam ke Liye }}} Rehmat banakar Bheja.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Al-Quran: “Wama Arsalnaka Illa Rahmatan Lil Aalameen”
(Trajuma: Aye Nabi! Humne Aapko Tamam Insaniyat Ke Liye Rehmat Banakar Bheja)
– (Surah-21: Aayat-107)
————————




Islamic Quiz – 08
#Sawaal: Wo Kounsa Gunaah hai
Jiski Misaal Apne Bhai Ka Gousht Khaane ke barabar hai?

Options are –

A). Geebat
B). Zina
C). Sood Khori
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Quiz (8th) Ka Sahi Jawab –
{{{ A). Geebat }}} Wo Gunaah hai Jiski Misaal
Apne Bhai Ka Gousht Khaane ke barabar hai?
– – – – – – – – – – – – – –

*Allah Rabbul Izzat ne Quraan me iss Gunaah ki khabahat ke talluk se
Momino ko Aagah karte hue farmaya Jiska Mafhoom hai ke –
♥ Al-Quran: “ke Ek-dusre ki Geebat (Backbiting) na karna,..
kya tum pasand karoge apne bhai ka gosht khana..
1is se tou tumhe karahat aayegi”
– (Surah Al-Hujrat, Ayat 12)
————————



Islamic Quiz – 09
#Sawaal: Inme Se Kounsi Cheez Ki Buniyaad Par
Banda Allah Ta’ala Ke Nazdeek Pasandida Hota hai ?

Options are –

A). Khubsurati
B). Taqwa
C). Maaldari
D). Khandaan

Get Answer


Quiz (9th) Ka Sahi Jawab –
Wo Cheez {{{ B). Taqwa }}} Hai JisKi Buniyaad Par
Banda Allah Ta’ala Ke Nazdeek Pasandida Hota hai…

– – – – – – – – – – – – – –
♥ Al-Quraan: ‘Inna Akramakum ‘IndAllahi Atqakum.’
*Tarjuma: “Beshaq Allah Ke Nazdik Ikram Wala Wohi Hai
Jo Allah Ka Darr(Taqwa) Rakhta Ho”
– (Surah: Huzrat(49); Aayat-13)
————————




Islamic Quiz – 10
#Sawaal: Allah Rabbul Izzat Ne Quraan me
Shohar aur Biwi Ke Rishtey Ki Misaal kis Cheez Ki Tarha Batayi ?

Options are –

A). Chand aur Suraj
B). Khajur Ka Darakht
C). Libaas
D). Samandar

Get Answer


Quiz (10th) Ka Sahi Jawab –
– Allah Rabbul Izzat Ne Quraan me Shohar aur Biwi Ke
Rishtey Ki Misaal {{{ C). Libaas }}} Ki Tarha Batayi.

– – – – – – – – – – – – – –
*Allah Rabbul Izzat Quraan Me Shohar Aur Biwi Ke Rishtey Ki Misaal Bayan Karte Hue Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Wo (Biwi) Tumhari Libaas Hai Aur Tum Unkey Libaas”.
– [Surah(2) Baqrah: Ayat-187]
* Wajahat:
*Libaas Insan Ki Zeenat Badhata Hai Aur Uske Aib Chupata Hai.
*Isi Tarah Shohar Aur Biwi Ko Bhi Ek Dusre Ke Aib Poshida Rakhne Chahiye, Aur Dusro Ke Saamne Zaahir Nahi Karne Chahiye.
*Aur Koi Galti Ho Jaaye Tou Narmi Ke Saath Usey Sahi Baat Samjhaani Chahiye.
*Aur Galat Fehmiyo Ki Wajah Se Paida Hone Wale Ikhtelaaf Aur Fitne Fasaad Se Hamesha Bachna Chahiye.
*Aur Ek Dusre Ki Izzat Ki Hifazat Karni Chahiye.
*Aur Ek Dusre Ki Khubiya Zaahir Karni Chahiye.
*Aur Khud Bhi Hamesha Aise Amal Karne Chahiye Ke – Ek Dusre Ki Izzat Badhe.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufikq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
————————




Islamic Quiz – 11
#Sawaal: in me se Kounsi Cheez
Iman Ke Aitbar Se Momino ko Kaamil Banaati hai ?

Options are –

A). Namazo Ki Qasrat
B). Rozo Ki Qasrat
C). Akhlaaq Ki Khubsurti
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (11th) Ka Sahi Jawab –
{{{ C). Akhlaaq Ki Khubsurti }}} Iman Ke Aitbar Se
Momino ko Kaamil Banaati hai.

– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai
Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
– (Abu Dawood #4682)
• Wajahat: *Lekin Yaad Rahe: Akhlaaq Ki Khubsurti Momino Par Faraiz Ko Saaket (Exceptional) Nahi Karti ,.
*** Yaani Ke Bus Namaz, Roza Chorr Do Aur Acche Aklaakh Ikhtiyar Kar Lo,..
Yaad Rakhiye Aisa Nahi Hai Bilkul Bhi ,..

*Namaz, Roza, Hajj, Zakat Jaise Faraiz Ki Pabandi Tou Karni Hi Hai Har Haal Me ,..
Lekin in Saari Baato Ke Saath Akhlaaq Ki Khubsurti Bhi Bohot Jaruri Hai ,..
Iske Talluk se ek Riwayat Aati Hai Ke –

♥ Mafhoom-e-Hadees:
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas 2 Aurto Ka Zikr Kiya Gaya
Usme Se Rasool’Allah Ne Ek Ko Jahannumi Kaha Aur Dusri Ko Jannati ,..
*Pehli Aurat Farazi Ke Sath Nawafil Ki Pabandi Karne Ke Bawajud Bhi Mehaz Burey Akhlaak Ke Sabab Jahhnum Me Jaati Hai ,..
*Aur Dusri Aurat Sirf Faraiz Ada Kar Ke Jannat Ki Haqdaar Hoti Hai Kyunki Uske Akhlaaq Khubsurat They ,..
– (Islami Akhlaq-o-Aadab, Page#234, Hadith no. 12)

*Tou Iss Aahadeese Mubarak Se Pata Chal Ke Huquq-Allah Ko Ada Karne Wala Bhi
Agar Huquq-Al-Ibad Me Kotahi Karta Hai Tou Wo Jahannumi Hai ,..
*Lihaja Hume Chahiye Ke Apne Aklhlaaq Ko Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Umda Karey,..
————————



Islamic Quiz – 12
#Sawaal: Wo Kounsa Gunaah Tha Jiski Wajah Se
Allah Rabbul Izzat ne Looth (Alaihi Salam) ki Qoum Ko Halaaq kiya ?

Options are –

A). Zina
B). Sood Khori
C). Lawatat (Homo-Sexuality)
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (12th) Ka Sahi Jawab –
– Wo Gunaah {{{ C). Lawatat (Homo-Sexuality) }}} Tha Jiski Wajah Se
Allah Rabbul Izzat ne Looth (Alahi Salam) ki Qoum Ko Halaaq kiya..

– – – – – – – – – – – – – –
– Tafseeli Wakaye Ke liye is link par click kare ,..

• Ummat-e-nabi.com/history-of-dead-sea-by-holy-quraan
————————



🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Loot (Alaihay Salam) ki Qoum ko Dardnaak Azaab (Punishment for Homosexuality in Islam)


♥ Bismillah Hir Rahemanir Rahim ♥
Nabi Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum Ko Dardnak Azaab.. Wo Jagah Aaj “Dead Sea” Ke Naam Se Jaani Jaati Hai.
(History of “Dead Sea” by Holy Quraan.)

.. Aziz Dosto ,… Allah Ta’ala Ne Insaano Ko Aur Jaanwaro Ko Jodey Me Paida Kiya, Jaise Nar Aur Maada, Insaano Me Mard Aur Aurat Banaaye, Taaki Woh Dono Ek Dusre Ko Jayaz Tarike Se Khushi De Sakey.

*Loot (Alaihay Salam) Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Zamaane Ke Nabi They, Aap Ibrahim (Alaihay Salam) Ke Bhatije They.
*Aap Ko Allah Ta’ala Ne Ek Aisi Qaum Ki Taraf Bheja Jo Falisteen (Baitul Muqaddas) Ya Jordan Ke Aas Paas Basi Huyee Thi. Jise Sadoom Kahaa Jaata Tha. Ye Sirzameen Sirsabaj (Green, Hariyaali) Aur Shadaab Thi. Aur Yahaa Par Har Tarhaa Ka Anaaj (Galla) Aur Falo (Fruits) Ki Qasrat Thi.

# Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum Ka Gunaah:

*Iss Qoum Ke Liye Loot (Alaihay Salam) Ko Nabi Banakar Bheja Gayaa Isiliye Iss Qoum Ko Qoum-e-Loot Kahaa Jaata Hai. Is Qoum Me Us Waqt Aisi Buraayee Paayee Jaati Thi Jo Unse Pahele Duniya Ki Kisi Bhi Qoum Me Nahi Paayee Gayee. Uss Qoum Ke Mard (Aadmi) Apni Nafsiyaati (Jismaani ) Khawaahish Ko Pui Karne Ke Liye Mardo (Aadmi Yo) Ke Paas Jaate They (Homo-Sexuality). Aur Ye Be-Hayaayee Aur Buraayee Itni Aam Ho Gayee Thi Ke Wo Apne Iss Bure Kaam Ko Bura Nahi Samjhte They, Balki Uss Par Fakhar Kiya Karte The.

*Riwaayato Me Hai Ki Is Be-Hayaayee Ke Kaam Ki Shuruwaat Shaitaan Ne Ki, Woh Ek Khoobsurat Noujawaan Bankar Aaya Aur Apne Saath Wahaa Ke Mardo Ko Bura Kaam Karne Ke Liye Behkaaya. Aur Is Tarha Qoum-e-Loot Me Ye Buraayee Paida Ho Gayee Woh Log Aurato Ko Chorr Kar Mardo Se Apni Hawas Puri Karne Lage.
*Rue-Zameeen Par Ye Bura Kaam Loot (Alaihay Salam) Ki Qoum Se Shuru Huwaa Tha Isiliye Aaj Bhi Iss Bure Kaam Ko Lawaatat(Homo-Sexuality) Ke Naam Se Jaana Jata Hai..

*Loot (Alaihay Salam) Ne Apni Qoum Ki Islaah Ki Bahut Koshish Ki, Kayee Baras Unke Beech Me Rahkar Deen Ki Daawat Dete Rahe. Nasihat Karte Rahe, Allah Ta’ala Ke Azaab Ki Dhamki Dete Rahe. Lekin Un Ki Qoum Par Koi Asar Na Huwaa.
*Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa: “Aye Meri Qoum Tum Log Aisa Buraa Aur Behayaayee Ka Kaam Kar Rahe Ho Jo Aaj Tak Duniya Me Kisi Ne Na Kiya, Ye Bahut Gunaah Ka Kaam Hai, Tum Apni Aurato Ko Chorr Kar Mardo Ke Paas Jaate Ho, Agar Tum Apne Iss Bure Kaam Se Baaz Na Aaye To Mujhe Darr Hai Ek Din Tumhe Allah Ta’ala Ka Azaab Aa Ghere Ga. Main Tumse Apne Ajar (Daawate Haq Dene) Ki Koi Kimat Nahi Maangta Mera Ajar Tou Mere Rab Ke Paas Hai, Jo Saare Aalam Ka Malik Hai”.

*Iss Par Unki Qoum Ke Jo Doulatmand Bigdail Ya Amir Sardaar They Unhone Kahaa –
“Hame Nasihat Mat Karo, Badey Paak Saaf Bante Ho, Agar Tumne Nasihat Dena Band Na Kiya Tou Ham Tumhe Shahar Se Baahar Nikaal Denge”.

*Loot (Alaihay Salam) Ki Nasihato Ka Jab Unki Qoum Par Asar Na Huwa Siwaaye Thode Se Logo Ke Jo Imaan Laaye, Tou Loot (Alaihay Salam) Ne Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Duwaa Ki –
“Aye Mere Rab Maine Apni Qoum Me Din Raat Tableeg Ki Aur Unhe Tere Azaab Se Daraya, Lekin Wo Apne Kufr Me Aur Aage Badh Gaye, Aye Mere Rab! Ab Ye Imaan Nahi Laane Wale, Ab Inka Faislaa Tu Hi Kar”.

# Qoum Par Azaab Barsane Ke Liye Allah ne Farishte Bheje:

*Allah Ta’ala Ne Qoum-e-Loot Ko Azaab Dene Ke Liye 2 Farishte Bheje.
Dono Farishte Jab Naazil Huwe To Pahele Ibraahim (Alaihay Salam) Ke Paas Pahoonche. Fir Farishte Shaam Hone Se Pehle Loot (Alaihay Salam) Ke Paas Do (2) Kamsin Khoobsurat Noujawaan Ki Shaqal Me Pahunche. Woh Unke Yahaa Mehmaan Ban Kar Aaye.
*Loot (Alaihay Salam) Ko Apni Qoum Ke Logo Ki Khabaasat Ka Pata Tha. Isiliye Jab Unhone Apne Kamsin Khoobsurat Noujawaan Mehmaano Ko Dekha Toh Gamgeen Ho Gaye Aur Dil Hi Dil Me Kudne Lage Aur Kahehe Lage – “Aaj Ka Din Badi Musibat Ka Din Hai.”
*Unhe Unki Fiqar La-Haq Huyee. Ke Kahee Unki Qoum Ke Log Unke Mehmaano Ke Sath Koi Buraa Kaaam Na Kare. Isiliye Woh Jaldi Se Apne Mehmaano Ko Apne Ghar Ke Andar Le Gaye.

🌹🌹
*Lekin Unki Biwi Doudti Huyee Gayee Aur Apne Qoum Ke Bigdail Amir Sardaaro Aur Badkaaro Ko Apne Ghar Me Aaye Huve Mehmaano Ki Khabar Dedi. Qoum Ke Badkaar Log Loot (Alaihay Salam) Ke Ghar Aa Pahooche. Aur Loot (Alaihay Salam) Se Kahaa – “Un Ladko Ko Hamaare Hawaale Kar Do”,

*Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa: “Ye Mere Mehmaan Hai Main Inko Hargeez Tum Logo Ke Hawaale Nahi Karoonga!! Tumhe Allah Ta’ala Ka Waasta Hai, Mere Mehmaano Ke Saamne Mujhe Zalil (Be-Izzat) Aur Ruswaa Na Karo, Kya Tum Me Se Koi Bhi Bhalaa Aadmi Nahi Hai? Aur (Qaum Ki Aurto Ki Taraf Ishara Karte Hue Kaha) Ye Meri Betiyaa (Ya Qoum Ki Betiyaa) Hai Tum Inse Nikaah Kar Lo Aur Apni Nafsiyaati (Jismani) Khawaahishat Ko In Se Puraa Kar Lo”.

*Lekin Unki Qoum Ke Log Nahi Maane, Aur Kahaa – “Tum Achchi Tarhaa Jaante Ho Ki Ham Kya Chaahte Hai, Ham Tumhe Kal Subah Tak Ki Mohlat Dete Hai, Kal Subah Ke Baad Tum Hame Rok Na Paawoge”. Ye Kahekar Woh Log Chale Gaye.

*Apni Bebasi Par Loot (Alaihay Salam) Ki Aankho Me Aansoo Aa Gaye, Woh Chaahkar Bhi Apne Mehmaano Ki Hifaazat Nahi Kar Sakte They Kyonki Unki Qoum Ke Badkaar Log Taadad Me Jiyaada Aur Taaqatwar They.
*Loot (Alaihay Salam) Ne Kahaa – “Aye Kaash , Mujh Me Tum Se Muqaable Ki Quwat Hoti Ya Main Kisi Zabardast Ka Aasraa Pakad Paata”.

*Tab Farishto Ne Kahaa – “Ham Azaab Ke Farishte Hai, Aye Loot (Alaihay Salam)! Ghabraane Ki Zaroorat Nahi Hai, Ham Tak Tou Kya, Ab Woh Tum Tak Bhi Nahi Pahooch Sakenge, Allah Ta’ala Ne Hame Aapki Qoum Ko Azaab Dene Ke Liye Bheja Hai, Aap Aur Aap Ke Saath Jo Log Bhi Imaan Laaye Hai Subah-Saadiq Se Pehle Is Basti Ko Chod Kar Door Chale Jaaye, Aur Khabardaar Koi Mud Kar Piche Na Dekhe, Ab In Gunaahgaaro Me Se Koi Nahi Bachne Wala”.

*Loot (Alaihay Salam) Aur Jo Log Unke Saath Imaan Laaye They Subah Hone Se Pehle Basti Chodkar Door Jaa Chuke They, Sirf Loot (Alaihay Salam) Ki Biwi Piche Reh Gayee Kyonki Woh Bhi Kaafir Thi.
*Ab Farishto Ne Zameen Ko Jadh Se Ukhaadkar Palat Diya Aur Kayee Kilometer (Taqreeban 40 Kilometer) Tak Gehre Zameen Me Dhasaa Diya, Phir Unpar Paththar Aur Tezaab Ki Baarish Ki Iss Tarhaa Un Gunaahgaaro Ka Namo-Nishaan Mita Diya,.. Koi Bhi Na Bach Saka..

# Azaab Ki Jagah Ko Dead Sea Ke Naam se Aaj bhi Moujud Hai:

*Jahaa Azaab Huwaa Tha Woh Jagaah Aaj Bhi Moujood Hai, Usey “Dead Sea” Ya “Maraa Huwaa Samundar” Ya Mrut Saagar, Bahar-e-Murdaar Ya Bahar-e-Loot Ke Naam Se Jaana Jaata Hai. Aur Aaj Bhi Uspar Jo Azaab Huwaa Tha Uski Wajaah Se Uss Samundar Me Machli (Fish) Tou Kya Koi Kidaa Makodaa Bhi Nahi Paidaa Hota. Aur Uska Paani Itna Namkeen Hai Ki Usko Muhh Se Laga Lo Tou Ulti Ho Jaaye. Gunaahgaaro Aur Nafarmaano Ko Allah Ta’ala Is Tarhaa Azaab Deta Hai Zindagi Me Bhi Aur Marne Ke Baad Bhi.

*Lekin Afsos Ki Baat Hai Ki Insaan Aisi Baato Se Koi Sabak Nahi Leta. Aaj Kuch Modern Kism Ke Log Aur Yahood Aur Nasaara Iss Burey Kaam Ko Buraa Nahi Jaante Aur Aise Bure Kaam Karne Waalo Ko Qanooni Darzaat De Rahe Hai. Allah Ta’ala Ham Sab Ko Aise Bure Kaam Aur Aise Bure Khayaalat Se Bachaaye … Ameen

~ Reference: (Virtual study from Al-Quran)




Islamic Quiz – 13
#Sawaal: “Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon”
Momin Ye Dua Kab Padhta hai ?

Options are –

A). Musibat ki Ghadi me.
B). Ghar me Daakhil Hotey Waqt.
C). Khana Khane Se Pehle.
D). Sirf Inteqal ki Khabar Sun’ne par

Get Answer

Quiz (13h) Ka Sahi Jawab –
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon”
Momin Ye Dua {{{ A). Musibat ki Ghadi me }}} Padhta hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Al-Quran: Wo Log Ki Jab Unhey “Koi Museebat Aati Hai Tou” Kahte Hai
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon”
(Yaani Hum Tou Allah Ke Hain Aur Hum Usi Ki Taraf Laut Kar Jane Wale Hai)
Ye Hi Wo Log Hai Jin Par Unke Rab Ki Taraf Se Meharbaniyan Hai
Aur Rehmat Hai Aur Yahi Log Hidayat Paane Wale Hai.
– (Surah Baqra 2, Ayat 155-157)
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 14
#Sawaal: Fizool Kharchi Karnewalo ko
Allah Ta’ala Ne Quraan me Kya kaha Hai ?

Options are –
A). Shaitan Ka Bhai
B). Momino Ka Dushman
C). Bakhilo Ka Sardar
D). Sahi Jawaab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (14h) Ka Sahi Jawab –
– Fizool Kharchi Karnewalo ko Allah Ta’ala Ne
Quraan me {{{ A). Shaitan Ka Bhai }}} kaha Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
*Aur Rishtedaro Aur Mohtajo Aur Musafiro Ko Unka Haq Ada Karo
*Aur Fizul Kharchi Se Maal Na Udao.
*Ki Fizool Kharchi Karne Wale Tou Shaitan Ke Bhai Hain
*Aur Shaitan Apne Parwardigaar Ki Neyamato Ka Nashukri Karnewala Hai”.
– [Surah(17)Al-Isra, Ayat:26-27]
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 15
#Sawaal: In me Se Kin Logon Ko
Jahannum Ke Sabse Nichley Gadhey me Azaab Diya Jayega ?

• Options are –
A). Mushrik
B). Kafir
C). Munafiq
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (15h) Ka Sahi Jawab –
{{{ C). Munafiq }}} Ko Jahannum Ke
Sabse Nichley Gadhey me Azaab Diya Jayega.
– – – – – – – – – – – – – –

#Munafiqo ke Sangeen Jurm Ke Sabab Allah Rabbul Izzat ne
Jahnnnum Ki Sabse Gehrayio Me Azab Rakha Hai Jiske Talluk Quraan me Allah Taala Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Munafiq Wo Hai Jo Jahannum Ke
Sabse Nichley Gadhey Me Rahne Waley Hai”
– [Surah(4) Nisa; Aayat-145]
*Ye Baat Hum Sab Jantey Hai ke –
*Jannatiyo Ka Maqaam Bulandiyo par Hai ,..
*Usi Tarha Gunahgaro Ke Azab Ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion Me Hai ,..
*Lihaja Jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab Ki Shiddat Bhi Utni Sakht,…

#_Munafiqat_Kya_Hai aur #_Unhe_Itni_Sangeen_Saza_Kyu ?
– Allah Ke Nazdeeq Shirk Aur Kufr Se Bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) Hai ..
Yaani Koi Shakhs Jo Andar Se Kafir-wa-Mushrik Hai Aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan Ka Dawa Karey
Ta’aki Momino ki Safo me Daakhil hokar Unme Inteshar Faila Sakey ,..
– Aise Shakhs Ko Munafiq Kaha Jata Hai Jo Allah Ke Nadeez Sabse Bada Gunahgaar hai ,..

#_Munafiqo_Ki_Sifat:
Aur Aise Shakhs ki Sifat Bayan Karte hue ,
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
♥ Mafhoom-e-Hadees:“Chaar Aadatey Aesi Hai Ki,
Jinkey Andar Bhi Wo Hongi Wo Munafiq Hoga.
Unn Chaar Me Se Agar Koi Ek Paayi Jaayegi Tou Uske Andar Nifaaq Ki Ek Aadat Hogi,
Yahan Tak Ki Usey Chhor De”.
∗(1). Jab Boley Tou Jhoot Boley.
∗(2). Waada Karey Tou Poora Na Karey.
∗(3). Lade-Jhagde Tou Gaali Bakey.
∗(4). Muaahida(Deal) Kare Tou Dhoka De.
– (Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459)

#_Beharhaal – hum Sabko Gour Karna Chahiye ke Ye Saari Sifat Kahi Hum’me Tou Nahi?
*Jhooth, Wada-Khilafi, Gaali-galoch aur Dhoka Kahi Humara Shaiwa Tou Nahi ?
*Kahi Hum Naam Ke hi Musalman aur Sifat ke Munafiq Tou Nahi ? ,…
*Tou hume Chahiye ke in Tamaam Mu’amlo me Bohot Ahtiyat Karey ,..

♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
# Humey Nifaq Ki Tamam Khaslato se Bachaye Rakhey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 16
#Sawaal: Mushrikaan-e-Makkah Allah Ki
Hidayat Ko Kis Bahaaney Se Thukra Detey They?

• Options are –
A). Hum Tou Baap-Dada Ke Deen Par Hi Chalenge,
B). Islam Bohot Mushkil Deen Hai,
C). Humara Deen Islam Se Behtar Hai,
D). Sahi Jawaab Ka Intezar.

Get Answer

Islamic Quiz – 16

Ka Sahi Jawab Hai –
{{{ A). Hum Tou Baap-Dada Ke Deen Par Hi Chalenge }}} Iss bahaney Se
Mushrikaan-e-Makkah Allah Ki Hidayat Ko Thukra Detey They.

– – – – – – – – – – – – – –
# Allah Raabul Izzat Mushriko Ki Hatdharmi bayan Karte hue Quraan Me Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aur Jab Mushriko se Kaha Jaye Ki Allah Ke Utare(Hidayat) Par Chalo Tou Kahenge: Hum Tou usi pe Chalenge Jis Par Humne Apne Baap-Dada ko Paya, Agar Che unke Baap-Dada Na Kuch Aqal Rakhte Ho Na Hidayat”
– [Surah(2)Baqrah; Aayat-170]

*Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humara Bhi Muamla Bhi Kuch Aisa Hi Hai Ke –
– Hum Bhi Apne Aaba-o-Azdad Ke Tareeko ko Kitabo Sunnat Par Tarzi De rahe Hai ,..
– Humse Bhi Jab Koi Kitabo Sunnat ki Baat Karta hai Tou Uska Mazak Udaya Jata hai ,..

• Allah Ke Liye Jab Koi Qurano Hadees Ki Taraf Hume Bulaye tou Bagour uski Baate Suney ,..
*Warna La-ilmi me Kahi Hum Uski Mukahliafat me iss Hadd Tak Aagey Na Badh Jaye
Jo Humari Musibat-Wa-Barbadi ka Bayis ho ,…
– Jiske Talluk Allah Rabbul Izzat Quraan Me Wajahat farmata Hai Ke –

♥ Al-Quran: “Aur Tum Par Jo Museebat Aati hai Wo Tumhare Hi Haatho ke Kiye huye Kaamo se Aati hai Jabki wo(Allah) Bahut se Gunaah Muaf Bhi Farma Deta hai.”
– (Surah(42)Ash-Shura; Aayat-30)

– Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Kitabo-Sunnat Ki Hume Dawat Dey
– Tou Hume Chahiye Ke Uspe Gour Kare
– Aur Tassuf Ke Chasme Utaar Kar Mehaz Haq Ki Taraf Ruzu Karey ,…

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Humey Kitabo-Sunnat ka Muttabey Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 17
#Sawaal: Kis Burayi Ki Buniyad Par Aadam (Alaihi Salam) Ke
– Ek Betey(Qabil) Ne Dusre Betey(Habil) Ka Qatl Kiya ?

• Options are –
A). Takabbur (Ego)
B). Hasad (Destructive Envy)
C). Riyakari (Showing off),
D). Sahi Jawaab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (17h) Ka Sahi Jawab –
{{{ B). Hasad (Destructive Envy) }}} Ki Buniyad Par
Aadam (Alaihi Salam) Ke – Ek Betey(Qabil) Ne Dusre Betey(Habil) Ka Qatl Kiya.

– – – – – – – – – – – – – –

# Hasad Kise Kehte Hai ?
*Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna
Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna
Iss Kharaab Aadat Ka Naam “Hasad” Hai,…

# Roo-e-Zameen Ka Sabse Pehla Qatl Bhi Hasad ki Buniyad Par –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Hasad Se Bacho! Iss Liye Ke Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ke Ek Bete Ne
Dusre Bete Ko “Hasad” Me Qatl Kar Diya Tha…”
– (Ibn-e-Asaakir:40/49)

# Hasad Kaha Jayaz Hai ? ….
» Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Mas’ud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah ((Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,..”
∗(1). (Ek) Tou Uss Shakhs Ke Baare Me Jisey Allah Ta’ala Ne Doulat Di Ho
Aur Wo Uss Doulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare,… Aur,
∗(2). (Dusra) Uss Shakhs Ke Baare Me Jise Allah Ta’ala Ne Hiqmat Di Ho
Aur Wo Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho”.
– (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73)

# Hasido Ke Hasad Se Panah Ke Liye Dua:
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Allah Ke Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare”. !!Ameen!!
– (Sureh Al-Falaq, Aayat 5)

# Allah Rabbul Izzat Hume Haasido Ke Hasad Se Panah Ata Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen 





Islamic Quiz 18
🌸🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🌸
*_🌸AAJ KA SAWAL🌸_*
~*________________________________*~





_*📜🌺👉 WAQTE SHAHDAT IMAN HUSAIN RADI'ALLAHU ANHU KI UMAR SHARIF KYA THI ❓*_

 
      *⬇ Options ⬇*




{ *A* } *_👉 40 SAAL 1 MAAH 3 DEEN_*


{ *B* } *_👉 45 SAAL 6 MAAH 5 DEEN_*


{ *C* } *_👉 56 SAAL 5 MAH 5 DEEN_*


{ *D* } *_👉 62 SAAL 3 MAH 13 DEEN_*



Answer

 ❣ ❣
*❣AAJ KA SAHI JAWAB📃*



*_C) 👉 ✅80 saal ka hoga_*



            *⏯ TAFSEEL ⏬*

🖋 *हुज़ूर नबी करीम सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम इरशाद फ़रमाते हैं जिसने नमाज़ में सुस्ती की यहाँ तक के उसका वक़्त गुज़र गया उसे जहन्नम में एक हुक़ुब अज़ाब दिया जाएगा*_ /
_हुक़ुब की तशरीह करते हुए साहिबे तफसीर रूहुल बयान अलैहिर्रमा• फ़रमाते हैं एक हुक़ुब *अस्सी साल का होगा* और हर साल 360 दिन का होगा और हर दिन दुनिया के दिनों के एतबार से एक हज़ार साल का होगा आप अपने माहौल और दुनिया के साल से उसका हिसाब लगाएं तो आपको मालूम होगा के एक हुक़ुब इस दुनिया के दो करोड़ अठासी लाख साल के बराबर होगा_

_(तफसीरे रूहुल बयान जि•1सफा,34)_

  हवाला
 *📚अज़मते नमाज़* *(सफा,62)*





Islamic Quiz – 19
#Sawaal:In me Se Kounsa Amal Kufr hai ?

• Options are –
A). Shohar Ki Nashukri Karna
B). Shohar Ka Naam Lena
C). Shohar Ko Mehar Louta Dena
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (19h) Ka Sahi Jawab –
{{{ A). Shohar Ki Nashukri Karna }}} Kufr hai.

– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Mujhe Dozakh Dikhai Gayi, Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya, Wajah Ye Hai Ki Woh Kufr Karti Hai”.
*Sahaba-e-Kiram Ne Arz Kiya – ‘Kya Wo Allah Ke Sath Kufr(Shirk) Karti Hai?’
*Rasool’Allah Ne Farmaya – ‘Nahi! Wo Shohar Ki Na-Shukri Karti Hai. Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai Aur Ehsaan Nahi Manti, Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulook Kare Lekin 1 Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye Tou Jhath Se Keh Dengi – “Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukoon Nahi Paya”.
– (Bukhari Sharif Jild 1, Baab 21, Hadees-28, Safa 109)

• Note: Beharhaal Iss Post ke Jarye kisi par bhi Zaati Taur Se Tanz Karna Humara Maksad Nahi.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azzez !!!
*Allah Rabbul Izzat Ummat-e-Muslima Ko Har Kism Ki Buri Khaslato se Bachaye ,…
*Aur Tamam Tar Aadab-o-Akhlaq me Husn-e-Sulukhi Ikhtiyar Karne ki Taufiq Ata Farmaye ,…
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 20
#Sawaal: Allah ka Zikr Na Karnewale Ki
Misaal In me Se Kya Hai ?

• Options are –
A). Lawaris
B). Bakheel
C). Murda
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (20th) Ka Sahi Jawab –
– Allah ka Zikr Na Karnewale Ki Misaal {{{ C). Murda }}} Insan Jaisi Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Taajdaare Madina Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
*Jo Shakhs Allah Ta’ala Ka Zikr Karta Hai Aur Jo Allah Ta’ala Ka Zikr Nahi Karta
Unn Ki Misaal Aesi Hai Jaise – “Ek Zinda Aur Ek Murda”.
– [Al-Bukhari and Muslim (Arabic/English Book Ref: Book-16, Hadith#1434]
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 21
#Sawaal: Apne Baccho ko
Boli Sikhaane ka Aagaz
kis Baat Se Kare ?

• Options are –
A). Kalma-e-Tayyaba
B). Walidain Ki Pehchan
C). Majhab Ki Pehchan
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (21th) Ka Sahi Jawab –
– Apne Baccho ko Boli Sikhaane ka Aagaz {{{ A). Kalma-e-Tayyaba }}} Se Kare.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
“Kalma-e-Taiyaba, ‘La Ilaha Illallah’ Se Apne Bacchey Ko Boli Sikhaney Ka Aagaaz Karo”.
– (Baihaqi Sharif)
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 22
#Sawaal: In me se Kounsi Cheez
Aurato ke liye tou Halaal hai
Magar Mardo ke liye Haraam ?

• Options are –
A). Loha (Iron)
B). Chandi (Silver)
C). Sona (Gold)
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (22nd) Ka Sahi Jawab –
{{{ C). Sona (Gold) }}} Aurato ke liye Halaal
Lekin Magar Mardo ke liye Haraam Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Abu Musa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
“Sona (Gold) Aur Resham Meri Ummat Ki Aurato Par Halaal Hai Aur Mardon Par Haraam”.
– (Sunan an-Nasa’i #5148; Book 48, Hadith#109)
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 23
#Sawaal: In me se
Kounse Shakhs ki 40 din tak
Namaz Qabool Nahi Hoti ?

• Options are –
A). Qahino Se Sawal Karnewala
B). Sharab Piney Wala
C). Roze Chorrne Wala
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (23rd) Ka Sahi Jawab –
{{{ A). Qahino Se Sawal Karnewala Aur B). Sharab Piney Wala }}}
In Logon ki 40 din tak Namaz Qabool Nahi Hoti.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Hafsa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Agar Koi Musalman Kisi Majoosi, (Qaahin) Ke Paas Jakar
Kucch Daryaft Karta Hai Tou Uski 40 Din Ki Namaz Qubool Nahi Hoti”.
– (Muslim Sharif Vol-2 Page-233)
Ek Aur Riwayat me Aata Hai ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Jisne Sharab Pi Li Uski 40 Din Tak Namaz Kubool Nahi Hogi,
Phir Agar Woh Tauba Karle Tou ALLAH Mu’af Farma Dega,
Phir Usne Sharab Pi Tou 40 Din Tak Namaz Kubul Nahi Hogi –
Aur Agar Usne Tauba Karli Tou ALLAH Muaf Farma Dega.
Is Tarah Teen Martaba Aap Ne Farmaya.
Phir Farmaya Ki Agar Woh 4thi Baar Sharab Piyega
Tou Uski 40 Din Tak Namaz Kubul Nahi Hogi
Aur Wo Tauba Karega Tou Tauba Kubul Na Hogi
Aur Usey Qayamat Ke Roz Jahannamio Ka Peep Pilaya Jayega.”
– (Mishkat Sharif: 317)

» Note: Beharhaal Namaz Ki Ahmiyat Kya Hai Hum’me se Aksariyat Jaanti Hai,.
Aur Namaz Ko Chorrna Kabeera Gunaah Me Se Hai ,..
– Lekin Allah Rabbul Izzat Aise Shakhs Ki Namaz 40 Din Tak Qabool nahi Farmata
Jo Kisi Qaahin Ke Paas Jakar Kuch Daryaft Karta ho,.. Aur Jo Sharab Pita Ho ,..
*Kyunki Ye Dono Gunaah Itney Sangeen Hai Ke Allah Rabbul Aise Musalmaan Ki Ibadate Bhi Qabool Nahi Farmata,..
*Aur Iss Hadeese Mubarak Me 40 Din Ki Namaz Qabool Na Honey Se Muarad Yeh Nahi Ke
40 Din Namaz Chorr De, Bulki Namaz Tou Padhna Hai –

– Lekin Afsos Ke Woh 40 Din Qabool Na Hongi.
Allah Hume Bachaye
*Qaahino Aur Majusiyo Ke Fitno ,..
*SharPasando Ke Sharr se ,…
Ameen Allahumaa Ameen ,…
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 24
#Sawaal: Jab Shaam Ka Andhera Hone Lagey
Tou Baccho Ko Gharo me Kyu Rokne Ka Hukm Diya ?

• Options are –
A). Andhero Se Bacchey Darr Jatey Hai
B). Jinn aur Shayateen Fail Jaatey Hai
C). Baccho Ki Aankhe Kamjor Ho Jaati Hai
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (24th) Ka Sahi Jawab –
– Jab Shaam Ka Andhera Hone Lagey Tou Baccho Ko Gharo me Is Liye Rokne Ka Hukm Diya
Kyunki {{{ B). Jinn aur Shayateen Fail Jaatey Hai }}}
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Jab Shaam Ka Andhera (Magrib) Hone Lagey Tou
Apne Baccho Ko Ghar Me Rokey Rakho
Kyunki Uss Waqt Jinn aur Shayateen Fail Jatey Hai”.
– (Bukhari#3316; Sunan Abu Dawud#2604)
*Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ke Fitno Se,
Jinnat aur Shayateen Ke Sharr se Panah Ata Farmaye ,.
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 25
#Sawaal: Jab Koi Musalman Cheenk Kar
Alahmdulillah Kahe Tou Uske Sath Wale Ne
Uskey Jawab me Kya Kahe ?

• Options are –
A). Masha’Allah
B). Ya Shafa-Ullah
C). Ya-Reham’k’Allah
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (25th) Ka Sahi Jawab –
– Jab Koi Musalman Cheenk Kar Alahmdulillah Kahe Tou
Uske Sath Wale Ne Uskey Jawab me {{{ C). Ya-Reham’k’Allah }}} Kahe.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Jab Shaam Ka Andhera (Magrib) Hone Lagey Tou Apne Baccho Ko Ghar Me Rokey Rakho
Kyunki Uss Waqt Jinn aur Shayateen Fail Jatey Hai”.
– (Bukhari#3316; Sunan Abu Dawud#2604)
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
*Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ke Fitno Se,
Jinnat aur Shayateen Ke Shar se Panah Ata Farmaye ,.
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 26
#Sawaal: In me Se Kounsa Shakhs
Ghamand se Paak Hai ?

• Options are –
A). Sadqa Khairaat Karnewala
B). Allah Ki Raah me Shahid Hone Wala
C). Salaam Me Pehal Karne Wala
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (26th) Ka Sahi Jawab –
– {{{ C). Salaam Me Pehal Karne Wala }}} Shakhs Ghamand se Paak Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: 
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke –
“Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”.
– (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434)
#_Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai ,..
– Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye
Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ,..

*Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par
Dua Salam Na Karne Ki Talim Di Jaati Hai ,..
– Goya Ummat Me Intehar Failaya Jaa Raha Hai ,…
– Ke Salam Mat Karo Aur Naa Hi Salam Ka Jawab Do ,.. (Subhan’Allah)

*Jabki Rasool’Allah ne tou Salam Ko Aam Karne Ki,
– Salam Me Pehal Karne Ki Talim Di Ummat Ko…
– Allah Hum Sabko Hidayat Dey ,..

# Ab Sawal ye Aata Hai Ke –
Kya Saqda Dene Wala Aur Allah ki Raah me Shahid Hone Wala Ghamand se Paak nahi hota?
» Tou Yakinan Yaad Rakhiye Sadqa Khairat karna
Aur Allah Ki Raah Me Shahid hona Bohot Hi Bada Martba Rakhta hai Allah Ke Nazdeek ,..
– Agar Iss Amal Me Ikhlaas ho Tou Wo Allah ke Nazdeek Qabile Qabool hai,..
– Aur Agar Inme Riya(Showing Off) Shamil Ho Jaye Tou Amal Bekar Hai,..

# Lekin Salam me Pehal Karne Wala Iss Liye Ghamand Se Paak hai
Kyunki Wo Samne Wale Farig Ko Apne Se Kamtar Nahi Samjhta ,..

– Tou Beharhaal Hum Tamam Ko Chahiye Ke –
*Jo bhi Amal Karey Iss Niyat se kare ke Allah ke Nazdeeq Qabil-e-Kabool ho..
*Ikhlaas ke Sath Aur Riya-Wa-Ghamand Se Apni Niyato ko Paak Rakhtey hue Kare ..
Beshaq Zaza Aur Saza Dene Wala Allah Hum Tamam Ki Niyato Se Bakhabar hai,..

♥ In sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,…
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 27
#Sawaal: Allah ke Alaawa
Kisi aur ki Qasam Khana
Kounsa Gunaah Hai ?

• Options are –
A). Shirk
B). Biddat
C). Sageera Gunaah
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (27th) Ka Sahi Jawab –
Alah ke Alaawa Kisi aur ki Qasam Khana {{{ A). Shirk }}} Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Jisne Allah Ke Alawa Kisi Ki Qasam Khai Usney #Kufr Kiya Ya #Shirk Kiya…”
– [Ahmad Hadees (2/34), Sahi Tirmizi Hadees (2/99)]
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya –
“Apne Maa-Baap Aur Butho Ki Qasam Naa Khaao
Aur Naa Hi Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Qasam Khaao
(Agar Qasam Khaney Ki Zaroorat Pad Jaaye)
Tou Sirf Allah Ki Sacchhi Qasam Khaao”.
– (Nasai Sharif: 3769)

♥ In’sha’Allah-Ul Azeez !!!
Allah rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada
Amal Ki Taufiq Dey,…
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 28
#Sawaal: Inme se Kis Ki
Fitrat Hai Gaali-Galoch Karna ?
• Options are –
A). Momin
B). Farishtey
C). Shaitan
D). Sahi Jawab Ka Intezar

(Note: Jawab ka sirf Rank Type Karey)

Get Answer


Quiz (28th) Ka Sahi Jawab –
– Gaali-Galoch Karna {{{ C). Shaitan }}} Ki Fitrat Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya –
“Gaali-Galoch Karne Waale Dono Shaitan Hain,
Woh Ek-Doosre Par Ilzaam Lagaate Aur Jhoot Boltey Hain”
– (Musnad-e-Ahmad: 17483)
Ek Aur Riwayat Me Aata Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke:
“Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena”
– (Sahih Al-Bukhari, Hadees.2459)

*Afsos Ki Baat Hai –
– Aaj ye Khabahat Ye Burayi Ummat-e-Muslima Ko Nasoor ki Tarha Lag Gayi hai,.
– Chote Se Chote Ikhtelaf Me Bhi Gaali Galoch Ka Rawayya Ikhtiyar Karne me Aaj Hum pichey Nahi Hat’tey,..
– Allah Reham kare – Ye Buraayi Aaj Aam Hum’me Bilkul Aam ho Gayi hai ,..
– Bachho Se Lekar Bujurg Aksar Is Hunar me Maharat Hasil Kar Rahe Hai ,.. Allah Reham Karey ,..
*Jabki Shairiyat Ne Roka Hume Shaitani Fitrat Ke Iss Amal se ,..

*Tou Beharaahl Hum Tamam Ko Chahiye Ke –
– Gaali Galoch Jaisi Shaitani Fitrat Se Khud Bhi Bachey Aur Dusro Ko Bhi Iski Talqeen Kare,.
– Kitabo Sunnat Ke Mutabik Apne Amal Ka Muazna Karte Rahe ,..
*Aur Gour Karna Chahiye ke –
– Gaali Galoch Karke Hum Hakikat me Kis Ki Sunnat Par Amal Kar Rahe Hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Akhlaqi Burayiyon Se Bachaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!Allah
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 29
#Sawal: “Ek Daane Ko Saat Baali Nikley Aur Unn Har Baaliyon Me Se Sou-Sou Daane Nikle”
Ye Misaal Allah ne Quran me Kin Logon ke Talluk Se Bayan ki Hai ?

• Options are –
A). Sood Ka Karobar
B). Allah Ki Raah Me Kharch Karna
C). Halaal Tijarat
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (29th) Ka Sahi Jawab –
“Ek Daane Ko Saat Baali Nikley Aur Unn Har Baaliyon Me Se Sou-Sou Daane Nikle”
Ye Misaal Allah ne Quran me
{{{ B). Allah Ki Raah Me Kharch Karne Walo }}} ke Talluk Se Bayan ki Hai.

– – – – – – – – – – – – – –
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Unki Misaal Jo Apne Maal Allah Ki Raah Me Kharch Karte Hai
Uss Dane Ki Tarah Hai Jisko 7 Baali Nikley Aur Unn Har Baaliyon Me Se Sou-Sou Daane Nikle
Aur Allah Uss Se Bhi Zyada Barhaaye Jiske Liye Chahe Aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala Hai.”
– (Sureh-Baqkrah-02, Ayat-261)
*Allah ki Raah me Kharch Karnewale Ke Talluk Se Iss Ayat me
Allah Ta’ala Ek Misaal ke Tehat Farmata Hai –
“Ke Koi Shakhs Ek Dana(Beej) Zameen Me Boye aur Uss Daane Se 7 Baliya Nikal Aayi ,..
– Aur Har Baaliyon me 100-100 Daane hai ,..

*Matlab Agar Isey 7 Se Multiple karey Tou 700 Gunaa Azr Yaa Uss Se Bhi Jayada
Uss Beej Bone Wale (Yaani Allah Ki Raah Me Kharch Karnewale) Ko Milta Hai … ”
!!! (Subhan’Allah) !!!
♥ Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’neSe Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,..
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 30
#Sawal: Kounsa Amal Dil Ko Murda Bana Deta Hai ?

• Options are –
A). Jyada Hasna
B). Jyada Khana
C). Jyada Maal
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (30th) Ka Sahi Jawab –
– {{{ A). Jyada Hasna }}} Dil Ko Murda Bana Deta Hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Zyada Na Hasaa Karo, Iss Liye Ke Ziyada Hasna
Dil Ko Murda Bana Deta Hai”.
– [Reported by Ibn Majah, Hadith no. 4193]
#_Hiqmat: Beharhaal Iss Baat Se Aap aur Hum Tamam Muttafiq Hai Ke –
– Har Cheez Ka Ek Dayra Hai! Jab Tak Wo Apne Dayre Me ho Tab Tak Usme Humare Liye Khair Hai,

*Aur Dayre se Bahar Nikal Gayi Tou usme Sirf Sharr Hi Baaqi Reh Gaya,..

*Isi Tarha Khushbakthi Acchi Cheez Hai
– Jabtak Ke Ye Apni Hudood Me ho,.. Lekin Jab Khushali Apne Hudood Ko Paar Kar dey
– Tab Insan ke Barbadiyo Ka Bayis Ban Jati Hai ,..

*Tou Lihaja Hume Chahiye Ke Khushi Ho ya Gam Shariyat Ke Hudood Me Rehte Inka Haq Ada Karey ,..
Warna Kahi Aisa Na ho Ke –
Duniyawi Khwahiso Me Hum Iss Qadar Mubtela Ho jaye Ke – Akhirat ki Fiqr Se Gafil Rahne Lagey ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!
*Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 31
#Sawal: Wiraan Ghar Ki Misaal In Me Se Kya Hai ?

• Options are –
A). Jis Dil Me Kuch Bhi Quraan Na Ho.
B). Jis Dil Me Maal Ki Khwahis Na Ho.
C). Jis Dil Me Duniya Ki Khwahis Na Ho.
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (31) Ka Sahi Jawab –
– {{{ A). Jis Dil Me Kuch Bhi Quraan Na Ho }}} Wo Wiran Ghar ki Misaal hai.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
“Jis Seene Me Kuch Bhi Quraan Majeed Na Ho, Wo Wiraan Ghar Ki Misaal Hai”.
– (Tirmizi J:4 S:419 Hadees:2922)
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 32
#Sawal: In Me Se Kounsa Amal ZULM Hai ?

• Options are –
A). Baddzubani.
B). Haya.
C). La’ilmi.
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (32) Ka Sahi Jawab Hai –
– {{{ A) Badzubani }}} Zulm Hai.
– – – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Badzubani Zulm Hai Aur Zulm Jahannam Me Hai.
Hayaa Imaan Hai Aur Imaan Jannat Me Hai”.
– (Ahmad, Tirmizi Sharif)
*Aaj Hume Gour Karna Chahiye ke –
Kya Humari Zubanye Iss Zulm Se Paak Hai ?
– Agar Ha Tou Bohot Achi Baat hai ,..
– Aur Agar Na Tou Hume Apni Islah ki Asshad Jarurat Hai
Warna Kahi Hum Sirf Naam ke hi Musalman na Reh Jaye ,..
*Allah Hum Tamam Par Reham Kare ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
# Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Har Kism Ke Zulm Se Ahtiyat Karne ki Taufeeq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 33
#Sawal: Yakub (Alahi Salam) ne
Mout Ke Wakt Apne Beto’n ko
Kounsi Wasiyat ki ?

• Options are –
A). Wirasat Kaisi Taqseem Karoge ?.
B). Yusuf (A.S) Ko Kitni Wirasat Dogey?
C). Mere Baad Bhi Kiski Ibadat Karoge?
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (33) Ka Sahi Jawab Hai –
– Yakub (Alahi Salam) Ki Wasiyat –
{{{ C). Mere Baad Bhi Kiski Ibadat Karoge? }}}
* * * * * * *

*Tawheed Ki Wasiyat Ambiya (Alahi Salam) Ki Sunnat …
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
*Ambiya (Alahi Salato Salam) Ke Bheje Jaane Ka Maksad Allah Ka Paigaam Uske Bando Tak Pohochana Hota hai,..
Aur Allah Rabbul Izzat Ne Roo-e-Zameen Par Kamosbesh 1 Lakh 24 Hazar Nabi aur Rasool Maboos Kiye Taaki Apne Hukm Ko Deen-e-Tawheed Ka Paigaam Apne Bando Tak Pohchaya Jaye,..

*Aur Tamam Tar Ambiyao ne Ta-Waqte-Hayat Apni Zimmedariya Bakhubi Nibhayi ,..
Hatta Ke Haalat-e-Wafat Ke Kareeb Hai Fir Bhi Apni Naslo Ko Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Farma Rahe Hai ..
Aisa hi Ek Wakya Rabbul Izzat Ne Quran Me Bayan Kiya Aur Farmaya –
♥ Al-Quran: (Aye Yahood!!) Kya Tum Uss Wakt Moujud They Jab Yakub(Alaihi Salam) Par Mout Aa Khadi Hui Thi Uss Wakt Apne Beto Se Kaha Ki Mere Baad bhi Kis Ki Ibadat Karoge ?
(Tou) Kahne Lagey Hum Aapke Mabood Aur Aap Ke Baap-Dadao Ibrahim-Wa-Isamail Ke Mabood Wa Yakta Allah Ki Ibadat Karenge Aur Hum Uske Farmabardaar Hai.
– [Surah Al-Baqrah(2); Ayat-133]
*Tou beharhaal Iss Aayat-e-Mubarak Me Qayamat Tak Ke Liye Nashisht Hai Hum Tamam Ke Liye ke –
– Apne Duniya Me Bheje Jaane Ka Maksad Samjhey..
– Aur Duniya me Jo Rishey Hum Chorrkar Jaane wale Hai Unhe Khair Ki Wasiyat kare ,..
– Aur Khair Wasiyat se Muraad hum Sab Jantey Hai ke –
– Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Jo Hai Ambiya (Alahi Salato Salam) Ki Sunnat ,…

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 34
#Sawal: Haqiqat Me Ameer Koun?

• Options are –
A). Jyada Maal Wala
B). Badey Rutbey Wala
C). Badey Dil Wala
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Quiz (34) Ka Sahi Jawab Hai –
– Haqiqat Me Ameer Hai – {{{ C). Badey Dil Wala }}}
* * * * * * *
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Farmane Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke –
“Ameeri Maal Ki Qasrat Se Nahi Hoti,
Balke Asal Ameeri Dilo Ka Ghani Hona Hai.”
– (Sahih Bukhari, Kitaabur Raqaq, Hadees-6081)
– – – – – – – – – – – – – – –




Islamic Quiz – 35
#Sawal: Insan Qayamat Ke Roz Kiske Sath Hoga ?

• Options are –
A). Walidain Ke Sath
B). Mehraam Ke Sath
C). Mehboob Logon Ke Sath.
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (35) Ka Sahi Jawab Hai –
– Insan Qayamat Ke Roz {{{ C). Mehboob Logon Ke Sath }}} hoga..
* * * * * * *

☆ Insan Uske Sath Jis’se Wo Mohabbat Karta Hai ….
… Ek Ansari Sahabi Jinka Chehra Bada Ghamjada Tha, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Aaye!
Rasool’Allah Ne Unki Pareshani Ka Sabab Pucha,
Tou Unhone Kaha – “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Ek Gham Mujhe Khaye Ja Raha Hai, Ke Mai Yeh Sochta Hu Ke Aaj Dunia Me Aapka Chehra Mubarak Dekhey Bagair Hum Reh Nahi Patey, Chalte Aur Firtey, Uthtey Aur Baithtey Jab Bhi Aapki Yaad Aati, Aapse Aakar Hum Mil Letey Aapka Didaar Karte Aur Hume Sukun Milta ..
– Lekin Mai Yeh Soch Kar Gham Kha Raha Hu Ke Roze Qayamat Tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) Ke Sath Honge, Waha Hum Aapka Didaar Na Kar Payenge..

*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Khamosh Rahey …
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Yeh Aayat Nazil Hui..
♥ Al-Quraan: “Jo Koi Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Kerey
Woh (Roze Qayamat) Unn Logon Ke Sath Hoga Jin Per Allah Ta’ala Ne Inaam Kiya Hai
Jaisey Nabi Aur Siddique Aur Shaheed Aur Nek Log Yeh Behtareen Rafiq Hai”.
– (Surah 4 Nisa: Ayat 69)
Aur Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Al-Maru Ma’ Man Ahab”
“Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath Rahega Jis Sey Wo Mohabbat Karta Hai”.
– (Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189)

*Aur Anas Bin Malik(Razi’Allahu Anhu) Kehte Hai Ke,
Iss Hadees Ko Sun’ne Se Jyada Hume Kabhi Kisi Hadees Par Khushi Nahi Hui.
– Ke Insan Uske Sath Jis’se Wo Mohabbat Karta Hai
Aur Hum Jantey Hai Ke Hum Rasool’Allah Se Mohabbat Karte Hai,
– Lihaja Humara Bhi Hisaab Rasool’Allah Ke Sath Hoga,..

* Tou Jisney Rasool’Allah Se Mohabbat Ki
– Yaani Rasool’Allah Ki Ita-At Ki. Wo Rasool’Allah Ke Sath Hai ,..

* Jisney Filmstaro Ki Itteba Ki Unsey Mohabbat Ki,
– Unkey Tareeko Ko Apnaya, Wo Unke Sath Hoga ,..

Jisney Sportstars Ko Pasand Kiya
– Unkey Tareeke Par Chala Wo Unke Sath Hai ,..

* Jisney Kuffaro Ko Pasand Kiya,
– Unkey Tarsh Ko Apnaya Aur Unkey Tareeko Par Chala Wo Unkey Sath Hai..

# Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Zindagi Ke Tamam Shobo Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal Aur Role Model) Maaney
– Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Par Amal Ko Lazim Aur Farz Jaaney ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez
# Allah Ta’ala Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –






Islamic Quiz – 36
!!! Auzubillah Minashaitan Nirajeem !!! Bismillahir Rahmanir Raheem !!!

#Sawal: Shaitan In me se Sabse Jyada Kisko Behqaane ki Koshish Karta Hai ?

• Options are –
A). Mushriko Ko
B). Momino Ko
C). Kafiro Ko
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Quiz (36) Ka Sahi Jawab Hai –
!!! Auzubillah Minashaitan Nirajeem – Bismillahir Rahmanir Raheem Salam !!!
– Shaitan Mardud Sabse Jyada {{{ B). Momino }} Ko Behqaane ki Koshish Karta Hai.
* * * * * * *
♥ Mafhoom-e-Hadees: Sirat-e-Mustaqeem Par Shaitan Jyada Behkata Hai ….
– Ek Sahabi Ka Inteqal Hota Hai, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Uss Inteqal Me Jaate Hai,
Aur Abhi Qabar Khud Rahi Thi Ki RasoolAllah Uss Mitty Par Baith Jate Hai, *Aapke Hath Me Ek Tehni Thi,
Aap Uss Tehni Ke Jarye Zameen Par Uss Mitty Par Kuch Banane Lagey,
*Sahaba Gour Se Dekhne Lage Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kya Kar Rahe Hai ?
*Sahaba Ne Dekha Ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Sidhi Lakeer Banayi, Aur Daaye Aur Baaye Janib Aur Chand Lakeere Banayi,..

*Aur Kaha Ke – ‘Ye Sidhi Lakeer Jo Maine Banayai Hai Ye Mera Rasta Hai Yaani Sirat-e-Mustaqeem Hai, Aur Daaye Aur Baaye Janib Jo Lakeere Banayi Hai Ye Lakeere Jahannum Me Jaati Hai Aur Iskey Har Lakeer Par Ek Shaitan Baitha Hai Jo Insan Ko Sirat-e-Mustaqeem Se Behkata Hai,

*Sahaba Ne Kaha – ‘Ya RasoolAllah Bohot Sangeen Mu’amla Hai Wajahat Farmaiye !
Fir Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Tafseeli Bayan Ke Liye Surah Anaam Ki Ayat 153 Ki Tilawat Farmayi –
♥ Al-Quraan: “Ye Sidhi Lakeer Mera Rasta (Sirat-e-Mustaqeem) Hai
Tou Aye Imanwalo Iski Itteba Karna,
Iske Alawa Kisi Ki Itteba Na Karna Warna Sidhi Raah Se Bhatak Jaoge”
– [Surah (6)Al-‘An`am Ayat 153]
– (Musnade Ahmad, Nadayii, Ibn Majah, Daremi, Tafseere-e-Ibnu Kaseer Vol#2, Page 256)

– Tou RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Wajahat Kar Di Ke Sirat-e-Mustaqeem Par Aaney Ke Baad Shaitan Jyada Behkata Hai.
*Jin Qoumo Ko Imaan Hee Nahi Mila Wo Tou Waise Hi Mulawwis Hai Gumraahi Me,
*Lekin Jinhe Emaan Ki Doulat Mili Unka Shaitan Ke Jarye Gumraah Hona Jyada Mumkin Hai,

– Lihaza Hum Sab Par Lazim Hai Ke Haq Ko Janey,
– Allah Aur Uske Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Qalam Ki Pairwi Karey,
– Kitabo Sunnat Se Apni Aur Auro Ki Islaah Karte Rahe,…
– Quraan Aur Hadees Ke Jarye, Sahib-e-Ilm Ke Jarye, Sahi Ilm-e-Deen Hasil Karey Taaki Har Kism Ki Gumrahi Se Khud Bhi Bach Sakey Aur Auro Ko Bhi Bachaney Ki Koshish Karey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
*Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke Shirk Aur Gumrahi Se Bachney Ki Toufiq Ata Farmaye!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 37
#Sawal: Momino Me Agar Kisi Baat Par Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Unme Sabse Pehle Insaf Ka Mayar Kya Ho ?

• Options are –
A). Quraano-Hadees
B). Imamo Ke Fatwe
C). Maslak Ki Daleel
D). Gair-Islami Qanoon.

Get Answer


Quiz (37) Ka Sahi Jawab Hai –
– Momino Me Agar Kisi Baat Par Ikhtelaaf Ho Jaye Tou
Unme Sabse Pehle Insaf Ka Mayar {{{ A). Quraano_Hadees }}} Ho.
* * * * * * *
*Iske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aye Emaanwalo !
Ita’at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki, Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye Tou Paltaado Apni Baato Ko
Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)]
* Aaj Kitni Baar Aisa Hua Ke –
Jis Baat Me Humne Ikhtelaaf Paya Aur Usko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Paltaya ?

*Afsos Ki Baat Hai Ke –
Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla Hai Ke Jis Ikhtelaaf Me Hum Mulawwis Hai
Usme Aur Gehrayi Tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat Me.,.

*Islah Ke Bajay Mu’ashre Ko Bigad Dena Chahte Hai.
Yehi Tou Humari Halat Hai Aaj.

* Aur Ikhtelaaf Hota Hai ,.. Kyu Na Ho ?
Insan Hai !! Humari Samajh, Akl Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai..

– Lekin Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye ,..
– Ke Bus Mu’amla Khatm Hua…
*Sababao (RaziAllahu Anhu) Ka Bhi Yahi Usool Tha …. Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ..
– Lekin Jab Allah Aur Uske Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey Aur Jaan Letey Hai Ke
– Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu …

* Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke – Bus!!! Humne Keh Diya Na Ab Hum Adey Rahenge !
– Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
– Uske Rasool Ke Khilaf Ho,
– Shariyat Aur Deen Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
– Humne Keh Diya Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah)
– Allah Bachaye Hume Aisi Gustakhiyo Se ,..

# Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho,,
Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..
– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey
– Agar Unme Bhi Na miley Tou Fir Imaamo Ke Qoul,

*Ya fir Ulemaa-e-Haq Ke Fatwo ki Taraf Ruzu Kare,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai…

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 38
#Sawal: Wo Kounsi Baat Hai Jiski Wajah Se
Mu’ashre Me Sabse Jyada Fitney Aur Fasad Hotey Hai ?

• Options are –
A). Qoumi Bhaichara
B). Afwah
C). Insaaf
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer



Quiz (38) Ka Sahi Jawab Hai –

– {{{ B) Afwah }}} Ki Wajah Se Mu’ashre Me Sabse Jyada Fitney Aur Fasad Hotey Hai.
* * * * * * *
#Afwah (Rumour) Ka Kya Kare ?
Aksar Dekha Jata Hai Ke –
Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai.
Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke Uski Koi Inteha Nahi …
Aur Tamam Mu’ashre Me Bus Wahi Aag Failti Jaati Hai.
Jabki Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Iss Se Manaa Kiya –
♥ Al-Quraan: “Jab Koi Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar Lekar Aaye
Tou Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Ke Khabar Kitni Sacchi Hai”..
– (Surah 49 Al-Hujraat: Aayat-6)
*Aur Baaz Logon Ko Dekha Gaya Ke Thodi Koi Baat Untak Pohoch Jaye Tou Bina Sochey Samjhey Muashre Me Faila Dete Hai, Aur Khabre Tou Aisi Hi Failti Hai, Shaitan Ke Kamo Me Se Ek Kaam Hai – “Afwaho Ko Failana”

• Jaise Ke #Misaal Ke Taor Pe –
Ek School Ke Class Room Me Jaha 100-200 Tak Bacche Padh Rahe Ho ,.. Aur Ustaad(Teacher) Ke Table Ke Nichey Se Koi Sanp Ka Baccha Nikal Aaye ,..
** Tou Wo Pehle (Bencher’s) Se Aakhri Bencher’s Tak Baat Pohchtey Pohctey Wo Na Jaane Kitne Kissey Bantey Rehte Hai …
* Pahle Bencher’s (Saff) Ki Line Tak Baat Pohchi
– “Saanp Ka Baccha Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se ..”

* Wo Baat Uske Piche Waley Benchers Tak Pohchti Hai
– “Ek Bohot Bada Saanp Nikla Teacher Ke Table Ke Niche Se …”

* Aakhri Benchers Tak Baat Pohchte Pohochety
– “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Aagaya Tha Teacher Ke Table Ke Nichey Se,.. Teacher Ko Nigaleny Hi Wala Tha..”
*Bus Kissey Ban Rahe Hai Ek Se Dusrey Tak, Dusrey Se Tisrey Tak …

* Baat School Ke Bahar Tak Jati Hai
– “Bohot Bada Ajdaha Nikla, Pet Me Se Bakri Nikli, Toley 70 Kilo Ka Vajan Bhara Uska … 🙂 ” Subhan’Allah …..

* Aur Jab Koi Uss Teachers Se Jakar Puchey Tou Pata Chala “Ek Mamuli Chotasa Saanp Ka Baccha Nikla” …

**** Tou Aisa Hi Hota Hai, ****
– Afwah Kabhi Rukti Nahi, Wo Sanp Ki Misaal Ki Tarha Badhti Hi Jaati Hai …
Lihaja Hume Cahiye Ke Kisi Tarha ki Afwahe Na Failaye,
Iss Se Mahoul Kharaab Hota Hai ,
*Aur Ismey Kabhi Kabaar Youn Hota Hai Ke Kisi Shakhs Ki Badd’naami, Beizzati Ya Uspar Tohmat Lagti Hai,
Aur Agar Ismey Jhut Raha Tou Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Agar Koi Shakhs Kisi Par Ilzam Lagaye, Tou Roze Qayamat Usko Allah Aag Ke Pinjrey Me Band Karega, Jab Tak Ke Ilzam Sabit Nahi Karega Usey Waha Se Nikala Nahi Jayega,,
– (Riwayat: Musnade Ahmad)

# Sabaq: Lihaja Hume Chahiye Ke Kisi Bhi Khabar Par Aitbaar Karne Se Pahle Usey Thik Se Jaanch Liya Kare,
– Aur Bina Tehkik Kisi Baat Ko Aagey Pohchaney Se Pahle Soch Liya Karey Ke Ismey Kita Sharr Hai Aur Kitna Khair ..
*Haa! Koi Baat Tasdik Shuda Lagey Usey Man’ne Me Koi Harz Nahi Lekin Fir Bhi Hum Yahi Kahenge Bila Tahkik Kisi Fasiq Ki Baat Par Aitbaar Na Karey ,…

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ke Shaitani Fitno Se Bachney Ki Taufiq Dey,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 39
#Sawal: Aurto Se Nikah Kis Cheez Ki
Buniyad Par Karna Sunnat Hai ?

• Options are –
A). Khubsurti
B). Khandaan
C). Maaldari
D). Deendari

Get Answer



Quiz (39) Ka Sahi Jawab Hai –

– Aurto Se Nikaah {{{ D) Deendaari }}} Ki Buniyaad Par Karna Sunnat Hai.
* * * * * * *
Iske Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke:
♥ Mafhoom-e-Hadees –
“Aurat Se 4 Cheezo Ki Wajahse Nikah Kiya Jata Hai,
» 1. Uska Maal
» 2. Husn Wa Jamal
» 3. Uska Khandan
» 4. Uski Deendari.
Lekin Tum Deendari Ko Thaam Lo”
– (Bukhari: Jild 3, Safa 59)
*Yaani Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Nikaah Ke Muamle Me
Deendari Ko Tarji Di,. Deendar Aurto Se NIkaah ka Hukm Diya ,..

# Zaahir Si Baat Hai Ke –
– Deendar Ladki Hogi Tou Aulad Deendar Hogi,
– Marne Ke Baad Sawabe Jariya Banegi ,..

*Aur Deendar Aulad Tou Badi Aham Cheez Hai,..
Jo Marne Ke Baad Humare Liye Dua-e-Magfirat Karengi ..

*Tou Aesi Aulad Agar Hum Chahte Hai Tou Nek Ladki Ka Intekhab Kare,..
Fir Rangat , Khubsurti Aur Maali Kafiyat Unke Chahe Jaise Ho ,..

*Lihaja Nikah Ke Liye Deendari Ko Lazim Banayiye
Jo Duniya Aur Aakhirat Ki Kamiyabi Ka Sabab Baney

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
# Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!





Islamic Quiz – 40
#Sawal: Insano me Rangat Ka
Ikhtelaf Kis Liye Hota Hai ?

• Options are –
A). Nasli Tassub
B). Unch-Nich
C). Shanakht
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (40) Ka Sahi Jawab Hai –
– Insano me Rangat Ka Ikhtelaf {{{ C) Shanakht }}} Ke Liye Hota Hai.
* * * * * * *
☆ Kunbey Aur Kabiley Ka Ikhtelaf Sirf Shanakht Ke Liye …
*Roo-e-Zameen Par Aalmi Aman Qayam Na Hone ki Sabsi Aham Wajah Shirk Ke Baad Ye Bhi Hai ke
– Logon Ne Rangat Aur Zabano Ki Buniyaad Par Ek Dusre ko Afzal Aur Mafzul Bana Diya ,..
*Jabki Allah Rabbul Izzat Ne Insano Me Rangat , Kunbey Aur Kabiley Ka Ikhtelaf Is Liye
Kiya Kyunki Wo Ek Dusre ki Shanakth(Identify) Kar Sakey ,..

Iske Talluk Se Rabbul Izzat Quraan Me Farmata Hai –
♥ Al-Quran: Logon! Humne Tum Sabko Ek Mard Aur Ek Aurat Se Paida Kiya
Aur Tumhare Kunbey Aur Kabiley Banaye Taaki Tum Ek Dusre ki Shanakth Karo,..
– [Surah(49)Hujurat; Ayat:13]
*Lekin Afsos Ki Baat Hai Ke Rangat Aur Zubaan Ka Ikhtelaaf Aaj Hum’me Is Qadar Badh Gaya Ke
– Humne Isko Ek Dusre Ki Nasli Tassub Ki Vajah bana Di ,..
– Ke Falah Rang Wale Afzal Aur Fala Rang Wale Mafzul ,… *Subhan’Allah!!

*Jabki Shariyat-e-Islamiya tou Wo Shariyat Hai
– Jisne Taman Tar Ikhtelafat Ko Khatm Kar Har Insan ko Ek Hi Darja Diya
– Fir Chahe Rangat Aur Zabane(Languages) Unke Jaise Bhi Ho ,.

*Kyuki Rangat Aur Zabano Ka Ikhtelaf Bhi Tou Allah Ki Nishaniya Hai
Jiske Tallkuk Se Allah Rabul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quran: Ke Allah Rabbul Izzat Ke Aayto Aur Nishaniyon Me Se Hai Ke
Usney Aasman Aur Zameen Ko Paida Kiya ..
Aur Tumhari Zubaano Aur Rangat Ka Ikhtelaf Bhi Allah Ki Nishani Hai ..
– [Surah(30) Room: Ayat-22]

*Tou BeharHaal Hum Tamam Ko Chahiye ke Rangat, Zabane Aur Nasli Tassub Ko
Khatm karey Aur Har Kisiko Apne Barabar Samjhey ,..
*Yaad Rahe Aaj Humare Atraaf Kuch Qoume Aisi hai Jinhe Hazaro Saalo se Dabaya Gaya ,..
– Wo Mohtaj hai Sirf ek Mohabbat ke Alfaz ke Humse wo Suney ,..
– Agar Mohabbat se Hum Unki Taraf Hath Badha Dey Tou wo Kal humare hai ,..
– Lekin Wo Hume Nahi Jamta kyunki hum Bhi Rangat aur Nasli Tassub Me Fansey hue hai
– “ke wo Chota Aur Mai Bada,.” Subhan’Allah !!

# Tou Beharhaal Hume Chahiye Ke Iss Aalmi Aman Ke Deen Ko Hum Mazbuti Se Thaam Ley ,..
– Aur Duniya Ne Jitne bhi Unch-Nich Ke Taqaze Banaye hai –
Unn Sab se Kirnara Kash hokar Iss Aalmi Deen ke Paigaam Awam me Aam Karey ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!





Islamic Quiz – 41
#Sawal: Kya Biwi Shohar Ko Zakaat Dey Sakti Hai ?

• Options are –
A). Dey Sakti Hai.
B). Nahi Dey Sakti.
C). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (41) Ka Sahi Jawab Hai –
– Haa!!! Biwi Shohar Ko apni Milkiyat se Zakaat {{{ A). Dey Sakti Hai }}}
* * * * * * *
♥ Mafhoom-e-Hadees:
Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) Ka Ibtedayi Dour Tha
Aapki Biwi Rasool’Allah Ke Paas Aayi Aur Kehne Lagi Ke
– “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)!!!
Meri Itni-Itni Zakaat Banti Hai , Mai Kisko Du, Koun Jayda Mustahik Hai ?”

*Jab Wo Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Masla Daryaft Kar Rahi Thi
Tabhi Abdulah Ibn Masood Piche Se Aaye Aur Kaha Ke –
“Ya Raool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) !!!
Aisi Biwi Ke Bare Me Aap Kya Farmayenge
Jo Zakaat Deti Hai Lekin Uska Shohar Hi Gareeb(Mustahik) Ho …”

*Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Ke –
“Fir Behtar Hai Ke Wo Biwi Apne Shohar Ko Hi De Dey ,.. ”
*Tou Abudullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) Ki Biwi
Samajh Gayi Aur Unhe Hi Zakaat Dey Di ,.
– (Sahi Bukhari, Hadith No.1462)
*Lihaja Iss Aahadees Se Pata Ye Chala Ke –
– Agar Biwi Ke Paas Apni Milkiyat Me Se Zakat Nikalti Hai
Aur Shohar Uska Makruz Aur Mustahik Ho Tou Wo Apne Shohar Ko Hi Zakat De Sakti Hai….

*Lekin Yaad Rahe Shohar Biwi Ko Zakat Nahi Dey Sakta
– Kyunki Biwi Uski Jimmedari Hai ,..
– Uske Akhrajat Uthaney Ki Jimmedari Mukammil Taur se Shohar Ki Hi Hoti Hai.





Islamic Quiz – 42
#Sawal: Agar Hum Chahte Hai Ke
Allah Hum Par Reham Kare
Tou Hume Kya Karna Chahiye ?

• Options are –
A). Aaba-o-Azdad Ke Deen Ki Pairwi
B). Apne Imamo Ki Taqleed
C). Allah Aur Rasool Ki Ita-at
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (42) Ka Sahi Jawab Hai –
– Allah Hum Par tab Reham karega Jab Hum {{{ C). Allah Aur Rasool Ki Ita’at karenge }}}
* * * * * * *
# WAJAHAT: Aaj Hum Allah Ke Reham Ke Mohtaj Hai ,.
– Aaj Hum Par Zulmo Sitam Ho Raha Hai ,…

*Ab Ye Reham Humpar Kab Hoga ?
Iskey Taaluk Se Rabbul Izzat Ne Quraan Me Ailaan Kar Diya Ke:
♥ Al-Quran: “Ita-at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki
Ta’aki Tum Par Reham Kiya Jaaye”
– [Surah Aale Imran: Ayat-132]
*Agar Hum Chahtey Hai Ke:
– Allah Hum Par Reham Kare ,.. Uska Karam Humpar Ho ,..
Tou Allah Aur Uskey Rasool Ki Ita-at Karni Hogi ..

*Tou Agar Aaj Hum Reham Ki Bheek Mangtey Hai Allah Se Aur Agar Humpar Reham Nahi Ho Raha
– Tou Samajh Jayiye Ke Humne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Tareeka Chorr Diya …

– Lihaja Hum Agar Chahtey Hai Ke – Allah Ki Madad Humey Nasib Ho –
*** Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Tareeke Ko Apnana Humare Liye Intehayi Jaruri Hai ,…
– Khalis Sunnato Par Amal Karna Humare Liye Behad Jaruri Hai ,…

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
* Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!!





Islamic Quiz – 43
#Sawal: Islam Me In me Se
Sabse Afzal Martaba Kin Logon Ka Hai ?

• Options are –
A). Pathaan
B). Sayyed
C). Shaikh
D). Muttaqi

Get Answer


Quiz (43) Ka Sahi Jawab Hai –
» Islam Me Sabse Afzal Martaba {{{ D). Muttaqi (Parhezgaar) Logon }}} Ka Hai.
* * * * * * *
♥ Al-Quraan: “Beshaq Allah Ke Nazdik Ikram Wala Wohi Hai
Jo Allah Ka Darr(Taqwa) Rakhta Ho”
– (Surah: Huzrat(49); Aayat-13)

*Lekin Afsos ki Baat Hai ke Gujista Halato Aur Humari la-ilmi ne
Digar majahib ki tarha bhi Unch-Nich ke Taqaze baandh liye
aur fir manmani tareeke se ek ko dusre par Tarji De di ,..
#Jaise ke logon ne #Sayyed ko Sabse afzal martba de diya.
Aayiye Iski Hakikat Jan’ne Ki Koshish Karte Hai ….
.
– Jabki Shariyat Ne Iss Cheez Ki Ijajat Nahi Di ,..
– Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hadees Me
Farmaya Ke – “Mere Khandan Par Zakaat Haraam Hai.”
– [Muslim: .The Book of Zakah – Hadith;
English reference: Book 4, Hadith 667
Arabic reference: Book 4, Hadith 646]

– Tou Aapne Kabhi Sayyed Nahi Kaha Apne-Aap Ko…
Hadees Me Jo Wajeh Alfaz Hai Ke “Mera Khandan” Aur Yeh Baat Hum Sab Jantey Hai Ke –
“Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Quraish They, Banu Hashim Qabile Se ,..”
* * * * *
– Ab Mera Khandan Boley Tou Humare Paas Sayyed!!! (Subhan’Allah)
– Jabki Ye Tasawwur Kar Liya Gaya , Lekin Hakikat Me Aisa Kuch Bhi Nahi Hai..

… Aur Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Jaha Bhi Hadees Me Bayan Kiya
Aur Kaha Ke “Mere Khandan Par Zakat Haraam Hai” Ye Nahi Kaha Ke “Sayed Par Zakaat Haram Hai “

# Accha Tajjub Ki Baat Yeh Hai Ke –
Khud Ko Rasool’Allah Ke Khandan Se Bataney Wale Log Saare Barre-Sageer (Hindustan-Pakisthan Aur Bangladesh) Me Hi Hai ,.. Saudi Arab Me Ek Bhi Nahi Milega Aapko,.. Waha Sayed Hai Hi Nahi ,.. (MashaAllah)

#Hume_Bhi_Bada_Tajjub_Hua_Ke –
– Purey Sayed Yaha Kaise Shift Ho Gaye ?,.. Waha Koi Bhi Nahi Bacha!!!!
*Dekhiye Thoda Gour Bhi Karne Ki Cheez Hai Yeh…
– Ke Purey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Kahdan Ke Log
Saudi Arab Chorkar Hindustan Pakisatn Me Aakar Bas Gaye Aur Sayed Yahi Hai Baaki Kahi Nahi…

# Aur Kya Purey Hindustan-Pakistan Ke Musalman Arab Se Aaye Hai ? Wo Bhi Nahi!!!
– Yaha Jab Sahaba, Tabeyeen Inke Jarye Islam Aaya , Digar Fir Log Jab Islam Lekar Aaye , Tou Logon Ne Islam Kabool Kiya Aur Islam Kabul Karne ke Baad Unko Log Itney Acche Lage Ke Apna Surname Bhi Laga Liya,..
– Jaise Kisi Ko Abu Bakar Siddhiq Ache Lage Tou “Siddhiqi” Laga Liya,..
– Kisi Ko Umar Farukh Acche Lagey Tou “Farukhi” Laga Liya ,..
*Tou Ye Iss Tarha Se Naamo Ka Silsila Hindustan Me Ayaa …

*Ab Log Kahenge Ke Mai Tou Hakikat Me Siddhiqi Boley Tou Abu Bakar Siddhiq Tak Apna Shijra Bata Saktahu !!
Tou Aise Bohot Kum Log Hai.. Sab Nahi Bata Sakte ,.. Jabki Bakiyon Ne Sirf Naam Le Liya…
– Tou Usi Tarha Hua Ke Hum Sayed Hai ,…

#_Aur_Iska_Nuqsaan_Ye_Hua_Ke –
Sayed Surname Wale Jitney Bhi Musalman Zakat ke Mustahik hai Unhe Zakat Nahi Milti,.. Unhe Unka Haq Nahi Milta ,.. Allah Reham Karey ,…
– Tou Beharhaal Sayed Koi Unche Hai Aur Baaki Nichey Aisa Kisi Bhi Riwayat Me Nahi Aata ,..
*** Yaad Rakhiye Ke Sayed Hone Se Koi Afzal Nahi Aur Koi Dusra Koi Mafzul Nahi Hai ,..

#_Sayed_Ka_Matlab:
– Aur Sayed Ka Matlab Hota Hai Aaqa , Ya Bada Ya Master Jisko Bolenge Hum Aam Zabaan Me…
*Ha Lekin Agar Koi Shijra Sabit Kare Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Khandan Se Apna Tou Ha Hum Kahenge Ke Allah ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Khandan Se Hai.. Lekin Fir Bhi Uski Koi Fazilat Nahi Hai..,.

– Isiliye Kyunki –
“Allah Ke Nazdik TAQWA Asal Hai”
– (Al-Quran: Surah: Huzrat(49); Aayat-13)

– Tou Jiske Paas Uncha Nasab-Nama Hai Bhi Aur Agar Taqwa Hai Tou Durust Hai ,..
Aur Nahi Hai Tou Fir *Abu Lehab Bhi Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Khandan Se Tha
– Lekin Koi Fayda Na Diya Usko ,..
*Abu Talib Rasool’Allah Ke Khandan Se They, – Madad Bhi Ki Thi Lekin Koi Fayda Na Hua ,..
* Aur Hamza (Razi’Aallahu Anhu) Imaan La Liye! Dekho Unko Fayda Hua Islam Ka.. – Tou Yeh Asal Cheez Hai Ke Koun Imanwala Hai Aur Koun Nahi ..


♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Hume Haq Sunne Samjhne Aur Uspey Amal Ki Taufiq Dey..
# Hum Tamam ko Muttaqi Aur Parhezgaar Banaye ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!





Islamic Quiz – 44
#Sawal: Aksar Bacche Jhuth Bolna
Sabse Pehle kin se Sikhte hai ?

• Options are –
A). Gharwalo Se
B). Baharwalo Se
C). Madarso se
D). School Se

Get Answer


Quiz (44) Ka Sahi Jawab Hai –
» Aksar Bacche Jhuth Bolna Sabse Pehle {{{ A). Gharwalo Se }}} Sikhte hai.
* * * * * * *
*Ye Baat Aap Aur Hum Sab Jaantey Hai Ke –
Baccho Ki Taalim-O-Tarbiyat Ka Sabse Pahla Marhala Uske Apne Ghar Aur Gharwalo Se Shuru Hota Hai …
– Lihaja Jin Halato Me Baccho Ki Tarbiyat Hoti Hai Baccha Waisa Hi Banta Hai ,.

** Afsos Ki Baat Hai –
Aaj Muashre Me Sabse Badi Fitne Ki Vajah Hai Jhooth Bolna ,.
Aur Aayiye Ye Baat Bhi Wajeh Kar Du Ke Iski Tarbiyat Aksar Baccho Ko Kaha Se Milti Hai ,…

# Pehli Misaal –
Aap Marketing Field Me Job Karte Hai , Aap Ghar Me Ho Aur Boss Ka Phone Aagaya
– “Arey Boss! Mai Tou Market Me Hu,. Bus Party Ke Paas Hi Pohoch Raha Hu ,..”
(Bacha Khadey Rehkar Aapki Saari Baatey Sun kar Samajh Jata Hai Ke Aaba Tou Ghar Me Hai Aur Phone Pe Keh Rahe Hai Ke Market Me Hu ,.. Iska Matlab Aisa Bolna Durust Hai,..)

# Dusri Misaal –
Khala Ka Phone Aagaya Ammy Ko –
*Ammy Phone Pe – “Acha Baaji ! Kal Aa Rahe Ho, Nahi Nahi Kal Tou Hum Bahar Ja Rahe Hai Kal Mat Aayiye,.. Hume Kahi Dawat Me Jana Hai ,..” (Baccha Sun Kar Khush Ho Jata Hai Ke Kal Dawat Me Jana Hai,..)
Jaise Hi Ammy Phone Rakh Deti Hai –
*Baccha Kehta Hai – “Ammy Kaha Hai Dawat ? ”
*Ammy Kehti Hai – “Arey koi Dawat Nahi Hai Beta, Wo Khala Bohot Bore Karti Hai Tumhari,.. Isiliye Aisa Kehna Pada,..” (Bachhe Ko Khadey-Khadey Taalim Mil Gayi Ke Aisa Jhuth Bola Ja Sakta Hai..) SubhanAllah!!!

… Tou Bacche Aksar Jo Jhuth Bolna Sikhtey Hai Uski Sabse Aham Wajah Ye Hai Ke Uske Gharwale Sach Ko Tarji Nahi Detey.. Aur Naahi Bacche Ko Acche Akhlaaq Ki Tarbiyat ke Liye Jeddo-Jahad Karte Hai ,…
Jabki Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Tou Hume Har Haal me Sacchayi Ko Thamne Ka Aur Uspar Amal ka Hukm Diya ,…

– Aur Jiski Shuruwat Bhi Bacche Ke Pahle Lafz Se Shuru Karne Ki Tarbiyat Di Gayi ,..
Iske Talluk Se Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Kalma-e-Taiyaba, ‘La Ilaha Illallah’ Se
Apne Bacchey Ko Boli Sikhaney Ka Aagaaz Karo”.
– (Baihaqi Sharif)

# SABAQ: Tou Humara Ye Kaam Hai Ke –
Apni Aulaad Ki Tarbiyat Sunnat-e-Rasool ki Mutabik Kare..
Aur Hum Khud bhi Har Haal me Haq Par Jam Jaye …

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
# Allah Ta’ala Hume Haq Kehne Sunne Samjhne Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!





Islamic Quiz – 45
#Sawal: Aasman ki Bulandiyo se Girne Wale Ki Misaal
Quraan Me Kiske Talluk Se Bayan Ki Gayi Hai ?

• Options are –
A). Tawheed Parast
B). Kafir
C). Mushrik
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (45) Ka Sahi Jawab Hai –
» Aasman ki Bulandiyo se Girne Wale Ki Misaal Quraan Me
{{{ C). Mushrik }}} Ke Talluk Se Bayan Ki Gayi Hai.
* * * * * * *
*Allah Rabbul Izzat Mushriko Ke Shirk Ke Sabab Misal Bayan Karte Hue Farmata Hai –
♥ Al-Quran: “Jo Allah Ke Sath Kisi Ko Shareek Thehraata Hai,
Wo Aisa Hai Goya Aasman Ki Bulandiyo Se Wo Gir Gaya
Aur Aasman Ki Bulandiyo Se Girne Ke Baad Usey Ek Parinda Uchak Le Jaye
Ya Fir Koi Hawa Chale Aur Jaha Chahe Usey Tinkey Ke Jaisa Uthakar Fenk Dey.”
– [Surah(22)Al-Hajj: Ayat-31]
# Ab Sawal Ye Aata Hai Ke –
“Ye Misaal Kafir Ki Kyu Nahi ?”
Tou Beharhaal Iss Misaal Me Allah Ta’ala Uss Shakhs Ke Baare Me Bayan Farma Raha Hai
– Jisne Shirk Kiya !! Yaani Kahi-Na-Kahi Wo Allah Ko Rab Janta Aur Maanta Hai ,..
– Lekin Fir Bhi Allah Ki Zaat Me Dusro Ko Shareek Thehra Raha Hai ,..
* Tou Goya Jab Wo Allah Ko Rab Janta Hai Uske Sabab Allah Ne Usey Aasmano Ki Bulandi Ata Kar Di,..
– Aur Jab Usne Shirk Kiya Tou Allah Rabbul Izzat Ne Usey Aasman Ki Unchayi Se Nichey Fenk Diya ,..
* Aur Kafir Ka Kabhi Aasman Ki Bulandiyo Tak Jaane Ka Sawal Hi Nahi
– Kyunki Wo Mukammil Taur Se Allah Ka Inkari Hai..

# SABAQ:
Lihaja Hume Chahiye Ki Tawheed Ki Azmat Ko Samjhey ,..
– Iski Bulandiyo Ki Ahmiyat Par Hum Gouro-Fikr Karey ..
– Aur Unn Tamam-Tar Khabahat Se Bachey Jo Humare Niche Girne Ka Sabab Hai ..
– Yaani Har Kism Ke #Shirk Se Har Haal Me Khudko Aur Apne Naslo Ko Bachanye Ki Koshish Karey ..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!
# Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Kism Ke Shirk Se Bachaye ,….
# Hume Deen Ka Sahi Ilm Hasil Karne Aur Uspey Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – –






Islamic Quiz – 46
#Sawal: Deen-e-Islam Kab Mukammil Hua ?

• Options are –
A). Rasool’Allah(ﷺ) ke Dour Me
B). 4 Imaamo Ke Dour Me
C). Abhi Tak ho Raha Hai.
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer

Quiz (46) Ka Sahi Jawab Hai –
» Deen-e-Islam {{{ A). Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) }}} ke Dour Me Mukammil Hua ..
* * * * * * *
♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
# Hajjatul_Wida Ke Mouke Par
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Aye Logon! Shayad Aayinda Saal Ya Fir Kabhi Tumse Yaha Mulaqat Na Ho Sakey.
– Jo Tumse Garib Hai Unhe Wohi Khilao Jo Tum Khate Ho,
– Wohi Pehnao Jo Tum Pehnte Ho,
– Ke Sab Ko Allah Hi Ki Taraf Loutna Hai,
– Aur Wo Tumse Tumhare Amaal Ka Hisab Lega.”

# Jo Moujud Hai Unhe Batado Jo Moujud Nahi
– Ke Tum Sab Ek Aadam Ki Aulaad Ho
– Aur Tum Me Sabse Behtar Wo Hai Jise Allah Ka Khouf(Taqwa) Hai.

# Yaad Rahe!! Har Musalman Dusre Muslman Ka Bhai Hai,
– Aur Tamaam Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai.
# Musalmano Me Rang, Nasl Aur Kabile Ka Koi Imteyaj Nahi,..
# Koi Musalman Kisi Dusre Ke Maal Par Najayaz Tassaruf Nahi Karega,
– Warna Yeh Ek Dusre Par Zulm Ho Jayega.

# Logon Gour Se Suno!
Jo Cheez Mai Tum’me Chode Ja Raha Hu,
– Wo Nihayat Gaazi Aur Roshan Hai.
– Aur Wo Hai #Allah_Ki_Kitab Aur Uskey #Rasool_Ki_Sunnat.
– Agar Isey Mazbuti Se Pakdey Raho Tou Kabhi Thokar Na Khaoge.

# Fir Aapne Takmil-e-Deen Ke Hawale Se Iss Ayat Ki Tilawat Farmayi –
♥ Al-Quraan: “Aaj Ke Din Hamne Tumhare Liye Din Ko Mukammil Kar Liya.
Aur Apni Neymate Hamne Tum Par Tamam Kar Di.
Aur Tumhare Liye Deen-e-Islam Ko Pasand Kar Liya”
– (Sureh-Maida: Ayat-3)
*Tou Iss Riwayat se Wajeh hai ke –
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Jarye Rabbul Izzat ne Apna Deen Mukammil Kar liya ,..
– Ab iss Mukamil Deen me Koi Bhi naya Akida shumar nahi ho sakta ,,.
– aur agar koi aisi jurrat karey, koi naya akida ijad kare tou wo Biddat hai ,..
*aur Biddat ke talluk se Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Wajeh Ailaan Kiya aur Farmaya –
“Wa kullu Biddatun Zalala”
Yaani Deen me har naya Cheez(Akida) Gumrahi hai”
– (Abu Dawood, Tirmizi)

*Lihaja Humey Chahiye Ke Shariyat Ka Sahi Ilm Hasil Kare,
– Uss Par Khud Bhi Amal Karey Aur Auro Ko Bhi Amal Ki Dawat Dey..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Humey Kehne Sun;ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..,
# Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Pakiza Sunnato ka Muttabey banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 47
#Sawaal: Allah Ta’ala Ne is Ummat ko
Khair Ummat se Iss Liye Nawaza Kyunki ?

• Options are –
A). Hum Maslak Aur Firqa Parasti me ulze.
B). Ek Dusre Par Laan-Taan Kare
C). Gair-Muslimo Par Fakr Jataye.
D). Acchayi Ka Hukm De aur Burayi Se Rokey.

Get Answer

Quiz (47h) Ka Sahi Jawab –
» Allah Ne Is Ummat Ko Khair Ummat Se Iss Liye Nawaza Kyunki ?
Hum {{{ D). Acchayi Ka Hukm Dey Aur Burayi Se Rokey }}}
– – – – – – – – – – – – – – – – – –
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“(Aye Emaanwalo!) Tum Sabse Behetar Ummat Ho,
Insano Ke Fayde Ke Liye Tumhe Nikala (Paida Kiya) Gaya Hai,
(Tum Behtar Isliye Ho Kyun Ki) Tum Nek Kaamo Ke Liye Hukm Dete Ho
Aur Burey Kaamo Par Ayetraz Kartey Ho Aur Allah Ke Upar Emaan Rakhte Ho”.
– (Sureh Al-Imran(3): Ayat-110)
*Iss Aayate Mubarak Me Rabbul Izzat Ne Hume Khair Ummat Is Liye Kaha Kyunki –
“Hum Logon Ko Acchayi Ka Hukm(Dawat) Dete Hai Aur Burayi Se Rokte Hai ..”

*Ab Hume Gour Karna Chahiye Ke
– Khidmat-e-Khalq Ka Ye Jasba Hum Me Se Kitne Logon Ka Hai ?

*Aur Yaad Rahe Ke Rabbul Izzat Ne Hume Ummat-e-Mohammadiya Me Is Liye Nahi Paida Kiya Ke
– Hum Kafiro Aur Mushriko Par Fakr Jataye ,.
– Balki Is Liye Kiya Ke Hum Unhe Allah Aur Uske Rasool Ki Dawat Dey, Deen-e-Tawheed Ki Dawat Dey..

# Lihaja Ye Aazmaish Hai Humari Ke Hum Apne Gairmuslim Dost Ahbab Aur Padosiyo Tak
Kis Tarha Is Aman Ke Deen Ka Paigaam Pohocha Rahe Hai..

*Illah Masha’Allah Jo Log Iss Deen Ki Hakkaniyat Ko Samjh Gaye –
Alahmdulillah Wo Deen-e-Islam Ki Dawat Me Lag Gaye Hai..
– Aur Humare Baaz Musalaman Tou Abhi Apno Me Masruf Hai Ek Dusro Ko Kafir Aur Mushrik Ke Label Chipkane Me,…

♥ Allah Rabbul Izzat se Dua Hai Ke –
# Allah Hum Sabko Hidayat Dey ..
# Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar Par Amal Ki Taufeeq De ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
– – – – – – – – – – – – – – –





Islamic Quiz – 48
#Sawaal: Wo Koun Log Honge jinhe Roze-Qayamat
Houze Kousar Se Hakala Jayega ?

• Options are –
A). Kafir
B). Mushrik
C). Biddati
D). Sahi Jawaab Ka Intezar

Get Answer

Quiz (48th) Ka Sahi Jawab – [C). Biddati ]
# Biddati Houz-e-Kousar Se Hakaaley Jayenge –
Deen Me Naye Aqaid Ijad Karnewale Jahannum Tou Raseed Honge Hi, Lekin Qayamat Ke Din Inhe Hoze Kausar Se Bhi Hakala Jayega ,..

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Farmatye Hai Ke –
“Kuch Log Qayamat Ke Deen Mere Paas Aatey Honge,.. Houze Kousar Par Mera Meember Laga Hoga Aur Waha Aasman Ke Sitaro Ke Manind Glass Honge,…
Mai Apne Ummatiyon Ko Houze Kousar Ka Paani Pilata Hu,… Jo Ek Baar Paani Piyega Kabhi Pyasa Nahi Hoga ,..
Kuch Log Aayenge Aur Farsihtey Unhe Dhakka Dekar Houje Kausar Se Door Hakalenge!..
Mai Kahunga Ke – “Ye Mere Ummati Hai Farishto Inhe Aane Do!!”

Tou Farishtey Kahenge Ke –
“Allah Ke Rasool (ﷺ)! Aapko Maloom Nahi ,.. Inn Logon Ne Aapke Jaane Ke Baad Aapke Deen Me Biddate Ijad Ki ,..”

Tou Rasool’Allah (ﷺ) Kahenge –
“Door Le Jao ! Inko Meri Nazro Se Door Kardo ! Mere Jaane Ke Baad Ye Kaam Kiya Mere Deen Me,…
Tou Hakaal Diye Jayenge Houze Kausar Se Aur Jahannum Raseed Kiye Jayenge… Yahi Unka Thikana Hoga,…
– (Sahi Bukhari: Jild:3 Hadith No.1931 Bab: Fitno Ka Bayan)
– English Ref (Sahih Bukhari Volume 009, Book 088, Hadith no. 173 & 174)

Tou Ye Humara Kaam Hai Ke –
Hum Jo Bhi Neki Karey, Iss Aitbaar Se Karey Ke Wo Allah Ke Nazdeek Kabil-e-Kabul Ho..
Aur Rasool’Allah(ﷺ) Tibrani Ki Riwayat Me Farmatey Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Biddat Karta Hai Uski Tauba Kabool Nahi Hoti” – (Tibrani)

# Tou Jab Tak Insan Deen me Biddat Karta Hai Uski Taubah Kabool Nahi Hoti, Lihaja Agar Apni Taubao Ko Kabuliyat Tak Hum Pohchana Chahte Hai Tou Deen Me Biddato Se Airaz Karey ,..
*Duniya Me Aap Biddate Kijiye Jo Karna Hai! , Ijadad, Inventions, Discoveries Khub Kijiye Jo Karna Hai,
Ha! Lekin Deen Me Koi Naya Aqeeda Ijad Karna Durust Nahi.

Lihaja Agar Apne Amaal Ko Kabuliyat Tak Pohchana Hai ,.. Tou Sunnat-e-Rasool Ko Thamey Aur Deen Me Har Nayi Biddat Se, Har Naye Akide Se Airaz Karey,. Insha’Allah-Ul-Azeez Hume Kamiyabi Milegi ,…

♥ Insha’Allah-Ul-Azeez!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey …




Islamic Quiz – 49
#Sawal: in me se Kounsa Shaksh
Roze-Qayamat Andha Uthaya Jayega ?

• Options are –
A). Geebat Karnewala
B). Quraan Na Padhne Wala
C). Dunia Me Jo Andha Tha.
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Quiz (49th) Ka Sahi Jawab –
– Roze-Qayamat Jo Andhey Uthaye Jayenge Ye Wo Musalaman Honge Jo
{{{ B). Quraan Nahi Padhenge }}} .

– – – – – – – – – – – – – –

Aise Logon Ke Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai –
♥ Al-Quran: Jo Momin Quraan Nahi Padhega ! Qayamat Ke Roz Usey Andha Uathaya Jayega,..”
– (Surah Taha: Ayat-124)
*Isiliye Quraan Ki Tilawat Aur Iskye Maney Mafhoom Ka Muta’ala Karne Ki Koshish Har Haam Me Kiya Jaaye ,..
– Warna Agar Aisa Na Kiya Tou Qayamat Me Lazim Hai Ke Aisa Insan Andha Uthaya Jayega,..
– Aur Lakho-Karodo Logo Me Ruswayi Hasil Hogi Aise Shakhs Ko
Jisne Allah par Tou Imaan Laya Lekin Allah Ke Qalaam Se Airaaz Karta Tha ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufikq Dey ,..
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen




Islamic Quiz – 50
#Sawal: Roze Ka Maksad Kya Hai ?

• Options are –
A). Iftaar Party
B). Parhezgaari
C). Rasam.
D). Sahi Jawab Ka Intezar.

Get Answer


Ramzan Ki Fazilat: Part – 1

(“Bismillah-Hirrahman-Nirrahim: Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”)

*Tamam Tareefe Uss Allah Azawazzal Ke Liye Jo Tamam Jahano Ko Banana Wala Aur Usey Palney Wala Hai, Aur Durood-o-Salaam Ho Uskey Aakhri Nabi-e-Kareem (ﷺ) Par..

★ Ramzan Ki Ahmiyat ?
*Sabse Pahli Baat Ke – “Kisi Cheez Ki Agar Hume Ahmiyat Na Maloom Ho Tou Fir Uska Fayda Bhi Hum Nahi Utha Patey Hai..”
*Aur Dusri Baat Ke – “Kisi Cheez Ke Agar Masail Maloom Na Ho Tou Uska Sahi Istemaal Bhi Hum Nahi Kar Patey Hai ..”

* Usi Tarha Agar Hum “Ramzan” Ke Fazail Nahi Jaan Sakenge Tou Uski Ahmiyat Nahi Jaan Sakenge, Aur Uske Masail Nahi Janenge Tou Uska Sahi Fayda Hum Nahi Utha Payenge ..

*Tou Wo Mahina Jo Humpar Aanewala Hai Uski Kya Ahmiyat Hai, Uski Kya Fazail Hai In’sha’Allah Is Unwan Me Hum Aapki Khidmat Me Mukhtasar Sa Rakhne Ki Koshish Karenge,..

.. Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Kaise Hua Karte They Wo Jaan Letey Hai,… Wohi Asal Mayar Hai Humare Liye ,..

☼ Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Ki Ahmiyat Kya Thi ?
Aahadees Me Aata Hai Ke “Jo Hi Ramzan Ka Mahina Kareeb Aata Tou Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kamarbasta Ho Jatey”
– (Sahih Bukhari , Vol 3, 2024)

» Yaani Tayyar Ho Jaatey,..
» Sadqe Aur Khairaat Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..
» Rozo Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Qiamullail Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Zikr-O-Azkar Ke Liye Tayyar Ho Jatey ,..
» Tilawatey Quraan Me Ijaafe Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..

• Har Kism Ki Ibadati Tayyari Aap (ﷺ) Ki Aur Sahaba Ki Hoti Thi,..
• Jab Ramzan Aa Raha Hai Tou Unki Zehno Me Ibadatey Ghum Rahi Hai ,..
• Ke Kaise Mere Roze Mukammil Ho Khusu Aur Khuju Ke Saath Ho ,.. Koi Kami Na Aaye ,..

*Isi Tayyariyo Me Sahaba Lag Gaye ,.. *Nabi-e-Karam (ﷺ) Lag Gaye ,.. *Ummaha-Tul-Mominin Lag Gaye,.. *Sahabiyat Lag Gayi ,..
• Pura Mu’ashra Isi Tayyari Me Laga Ke Ramzan Me Kaisi Ibadate Ho, Kaise Mai Jyada Se Jyada Ibadatey Karu ,..
Ye Thi Unki Tayyari ,..

# Kitna Fark Hai Humari Aur Unki Tayyariyo Me ? ..
* Humari Tayyario Me Siway Duniya Ke Aur Kuch Nahi ,..
* Aur Unki Tayyariyo Me Siway Aakhirat Ke Aur Kuch Bhi Nahi ,..

… Tou Ye Ek Mousam Aa Raha Hai Hum Par ,.. Ek Behtareen Mouka Hume Mil Raha Hai ,.. *Ek Jabardast Mahina Aa Raha Hai ,..

• Ye Bohot Hi Afsos Ki Baat Hai Ke Iss Mahine Ki Aamad Par Siwaye Duniya Ke Humare Jehno Me Kuch Bhi Nahi Aata ,..

• Aisa Kyu Hua? Kyu Humne Ramzan Ki Asal Ahmiyat Nahi Jaana ?
*Isiliye Kyunki Humne Ramzan Ka Asal Maksad, Iski Ahmiyat , Iski Fazilat Aur Masail Ki Hakikat Ko Jan’na Jaruri Na Samjha ! Jiski Wajah Se Haq Dhire Dhire Humari Jindagiyo Se Faramosh Hota Gaya Aur Jahalat Hum Par Aati Rahi ,..
* * * * *

★ Roze Ka Maksad:
Allah Rabbul Izzat Ne Surah Baqraah Ki Aayat 183 Me Farmaya Aur Kaha:
“Aye Emaan Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye, Jaise Tumse Pichli Ummato Par Farz Kiye They Ta’ake Kahi Tum Taqwa(Parhezgaari) Ikhtiyar Karo..”
– (Al-Quraan 2:183)

… Tou *Taqwa Roze Ke Maksad Hai,.. *Taqwa Ramzan Ka Maksad Hai ,.. *Taqwa Roze Ka Paigaam Hai ,.. *Taqwa Ramzan Ka Paigaam Hai ,..

Aur Allah Rabbul Izzat Ne Baar-Baar Iss Paigaam Ko Dohraaya –
“Aye Wo Logo Jo Imaan Laye Ho Taqwa(Parhezgaari) Ikhiyar Karo” Aur Ye Aayat Quraan Me Baar–Baar Repeat Hui Hai ,..

….Tou Gour Karne Waali Baat Hai Ke Taqwa Yaani Allah Ka Darr Jo Ki Bohot Hi Ahmiyat Waali Baat Hai Jiska Paigam Hume Diya Gaya,..

• Isiliye Kyunki:
*Allah Ka Darr Jab Insan Me Aa Jata Hai Tou Insan Haram Aur Halal Ki Tamiz Karne Lagta Hai ,..
*Deeno Shariyat Aur Duniyawi Fizul Kaamo Me Fark Karne Lagta Hai ,.. *Duniya Par Aakhirat Ko Tarji Deney Lagta Hai,,.. *Dhokeybazi , Jhuth Aur Tamam Buiri Khaslato Se Ahtiyat Karta Hai ,..

*Tou In’sha’Allah-Ul-Azeez! Iss Unwan Me Hum Iske Taaluk Se Mukhatar Sa Bayan Karne Ki Koshish Karenge,..

To be Continue …




Ramzan ki Fazilat: Part – 2
★ Ramzan Ki Fazilat kya hai ?
*Waise Tou Ramzan Ki Fazilatey Beshumar Hai Lekin Tamam Fazilatey Iss Mukhtasar Se Wakt Me Humare Liye Ginwana Mushkil Hai ,.. Lihaja Hum Iss Unwaan Me Chand Aham Fazilato Ka Hi Zikr Karne Wale Hai ?.

★ 1st – FAZILAT: Iss Mahine Ko Farz Ibadat Ke Liye Muntakhib Kiya:
*Tou Sabse Pehli Ahmiyat Iss Mahine Ramzan Ki Ye Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine Ko Apni Farz Ibadat “Roze” Ke Liye Intekhab Kiya,..
Bus Yahi Samjhne Ke Liye Kaafi Hai Ke Iski Fazilat Kya Hai ?

♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke:
Hazrate Abdullah Bin Umar (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya –
“Islaam Ke Sutoon Paanch (5) Hai,..”
(1). Pehla Ye Ke Allah Hi Ki Ibadat Ki Jaye Aur Uske Siwa Tamaam Jhoote Khudao Ka Inkaar Kiya Jaye,
(2). Namaaz Parhna,
(3). Zakaat Dena,
(4). Baitullah Ka Hajj Karna, Aur
(5). Ramzan Ke Roze Rakhna ,…
– (Sahih Muslim Sharif)

*Tou Islam Me Asal 5 Faraiz Ibadat Hai Jisme Se “Roza” Bhi Ek Farz Ibadat Hai,. Aur Isi Ibadat (Roze) Ke Liye Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine (Ramzan) Ka Intekhab Kiya Yehi Ek Badi Aham Fazilat Hai ,..
.. Tou Hume Chahiye Ke Iss Farz Ibadat Ko Khushu Aur Khuju Ke Sath Takmeel Tak Pohchaye Taa’Ki Ye Jeddo Jehad Humare Liye Bayase Maghfirat Ho!!

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez! Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey !!!

To be Continue …




Ramzan Ki Fazilat: Part – 3
★ 2nd – FAZILAT – Nuzul-e-Quraan Ke Liye Iss Mahine Ka Intekhab Kiya:
Iski Dusri Sabse Badi Failat Ye Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Mahine Ka Intekhab Apni Aakhri Kitab Qurane Majid Ko Nazil Karne Ke Liye Kiya,…

…Andaza Lagaiye Kitni Aham Baat Hai Ye Ke – Allah Rabbul Izzat Ne Apna Aakhri Qalam Utara ,.. Jiske Talluk Se Allah Taala Ne Quraan Hi Me Bayan Farmaya Ke –
“Ramzan Ka Wo Mahina Jisme Quraan Ka Nuzool Hua Insaniyat Ki Hidayat Aur Rahnumai Ke Liye”
– [Sureh: Al Ba-Karah 2: Ayat-185]
*Isiliye Ramzan Ka Mahina Quraan Ka Mahina Bhi Kehlata Hai ,. Aur Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Mamool Tha Ke Har Ramzan Aap Ek Quraan Ki Tilawat Puri Kartey They ,..
*Tarawih Me Quraan Pura Karna Achi Baat Hai ,.. Lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Tilawat Bhi Karte They,… Tou Koshish Karey Ki Hum Bhi Ek Quraan Pura Tilawat Karey Har Ramzan,..

…Aur Kyunki Humari Zaban Arbi Nahi Hai Tou Hum Koshish Ye Karey Ki Har Ramzan Ek Quraan Tarjume Se Padhu,.. Kum-Se-Kum Saal Me Ek Baar Tou Pata Chale Ke Humara Rab Humse Kya Chahta Hai,….

*Aur Ramzan Se Baad Tak Agley Ramzan Tak Ek Tafseer Padh Lu ,…
*Tafseer Ka Fayda Ye Hoga Ke Unn Ayato Ke Ahqamat Kaise Hai ?… Unki Gehrayiya Kya Hai ?….. Unki Hikmatey Kya Hai ?….. Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aur Sahaba Ke Aqwal Kya Hai Iske Andar Ye Sab Jan’ne Ke Liye Mufasareen Ki Tafseer Padhiye,..

…. Agar Aisa Mamool Hum Bana Ley Tou Andaza Lagaiye Ilm Me Kya Ijafa Hoga Humare ,.. Jehan Bhi Khulega,…. Amal Me Pukhtagi Bhi Aayegi ,.. Aur In’sha’Allah-Ul-Azeez Hum Majbut Momin Banenge ….

*Tou Koshish Karey Ke Ramzan Me Ek Tarjume Se Quraan Padhu Aur Baad Ramzan Saal Bhar Ek Tafseer Padhu Aur Uss Se Apne Ilm Me Ijafa Karu,..
* * * * *

★ 3rd – FAZILAT – Iss Mahine Nekiya Karna Aasan Ho Jaata Hai:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ramzan Ka Mahina Jo Hi Aata Hai Jannat Ke Tamam Darwaze Khol Diye Jaatey Hai, Hatta Ke Ek Bhi Band Nahi Rehta, Aur Jahannum Ke Tamam Darwaze Band Kar Diye Jaatey Hai Hatta Ke Ek Bhi Khula Nahi Rehta, Aur Tamam Sirkash Jinn Aur Shayateen Qaid Kar Liye Jaatey Hai ,..”
– (Sahi Muslim)

… Subhan’Allah Kya Fazilat Hai Iss Mahine Ki Jara Gour Kijiye…
Accha Yaha Aap Ek Aur Baat Bhi Soch Saktey Hai Ke Abhi Jannat Me Koun Gaya Hai Aur Jahannum Me Koun ? Wo Sab Tou Qayamat Ke Baad Jayenge.. Tou Kyu Jannat Aur Jahannum Ka Tazkira Hadees Me Aa Raha Hai ?

*Darhakikat Ye Jannat Ke Darwaze Kholna Aur Jahannum Ke Darwaze Band Karna Ye Ek Alamat Hai,.. Ye Ek Ishara Hai Ke – “Iss Mahine Apne Rab Ki Ita-at Kar Ke Apni Magfirat Haasil Kar Lo ,.. Aam Hai Magfirat …”

*Aur Jahannum Ke Darwaze Band Kar Diye Hai Allah Ne Iss Mahine – Yaani Allah Ta’ala Ailaan Kar Raha Hai Ke Apni Masiyat Se Rook Jao , Mujhse Taubah Kar Lo ,..Dekho Band Kar Liya Hai Humne Jahannum Ko … ”

….Tou Iss Hadees Me Alamat Bayan Farmayi Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ke Iss Mahine Aasan Hai Neki Ka Karna ,..

*Lihaja Apne Maasiyat Apne Gunaaho Se Sacchi aur Pakki Taubah Kar Ke Rab Ki Rehmato Ka Mustahiq Hone Wala Azeem Mahina Hai Ye..
* * * * *
♥ In’sha’Allah-ul-Azeez!
Allah Taala Kehne Sun’ne Se jyada Hume Amal ki Taufiq De,….

To be Continue …





Ramzan Ki Fazilat: Part – 4
★ 4th – FAZILAT – Ramzan Ka Umrah Hajj Ke Barabar Sawab Deta Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ek Ansari Sahabiya Se Farmaya –
“Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.”
– (Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih)

…. Subhan’Allah !!! Gour Karne Wali Baat Hai Ke Ramzan Ka Umraah Hajj Ke Barabar Sawab Deta Hai,.. Lekin Yaad Rahe Ye Hajj Ko Saaket Nahi Karta,.. Hajj Ko Exceptional Nahi Kar Deta Ke Hajj Ke Badle Ab Hum Umrah Hi Karenge ,… Aisa Bilkul Bhi Nahi Hai … Lekin Uske Barabar Azar Aur Sawab Deta Hai ,..

…. Tou Allah Ne Jisko Maalo Daulat Ke Fazl Se Nawaza Ho Jarur Is Mahine Me Umrah Ki Koshish Karey,..
* * * * *

★ 5th – Fazilat – Roza Aur Quraan Sifarshi Ban’ne Wale Hai:
Har Shakhs Chahta Hai Ke Apne Aamal Ke Alawa Bhi Mai Kuch Aisa Karu Zindagi Me Ki Meri Shifarish Ho Qayamat Ke Din…

*Fir Chahe Nabi Ki Shifarish Ho,.. • Chahe Sahaba Ki Sifarish Ho , • Chahe Allah Ke Waliyo Ki Sifarish Ho ,… Har Shakhs Apne Liye Allah Ko Razi Karne Ki Sifarish Ki Jeddo Jehad Me Laga Rehta Hai ,..

Aayiye Ek Jayaz Sifarish Par Gour Karte Hai ,..
♥ Mafhoom-e-Hadees: Me Aata Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
“Qayamat Ke Din Roza Aur Quraan Sifarish Karnege Uspe Amal Karnewale Ke Haq Me”
Aur Roza Aakar Kahega Ke – “Aye Allah ! Ye Shakhs Meri Khaatir Khane-Piney Se Aur Shehwat Se Rukta Raha .. Lihaja Meri Shifarish Iskey Haq Me Kabool Kar ,..”
*Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aagey Farmaya Ke: “Iski Sifarish Qabool Hogi,.”

*Aur Quraan Aa Kar Allah Se Sifarish Karega Ke – “Aye Allah! Ye Banda Mere Liye Raato Me Jaagta Raha ,.. (Qayamulil Yaani Raato Ki Namaz Me Tilwate-Quran Karta Raha) .. Lihaja Meri Shifarish Iskey Haq Me Qabool Kar ,..”
*Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aagey Farmatey Hai Ke – “Iski Bhi Sifarish Qabool Ki Jayegi,.. Dono Ki Sifaris Kabool Ki Jayegi ,…”
– (Musnade Ahmad, Tibrani)

….Tou Roza Sifarashi Hai ,. Khushu Aur Khuju Ke Sath ,.. Tamam Fitno Se Khudke Nafs Ko Bachatey Huye,.. Jaisa Iska Haq Hai Agar Waisa Isko Hum Rakhenge Tou Insha’Allah-Ul-Azeez!!! Hum Roze Ke Sifarish Ke Mustahik Ho Jayenge,…
* * * * *
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki taufiq Dey!!!

To be Continue …





Ramzan Ki Fazilat: Part – 5
★ 6th – FAZILAT – Roze Ka Azar Behisab Hai:
Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Roza Dozakh (Hell) Se Bachne Ke Liye Ek Dhaal Hai Isliye (Jo Rozedar Ho) Wo Na Tou Biwi Se Humbistari Karey *Aur Na Fahash (Buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare Aur Agar Koi Shakhs Uss Se Ladey Ya Usey Gaali De Tou Uske Jawaab Me Sirf Ye Kehna Chaahiye Ki Mai Rozedar Hun,..”
* Uss Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai, Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Khushbu Se Bhi Zyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai.

* (Allah Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chorrta Hai,
Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga Aur Nekiyon Ka Sawaab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunaa Hota Hai” (Dusri Hadeeso Me 70 Guna Bhi Aaya Hai). – (Sahih Bukhari, Vol 3, H-1894)
* * * * *

★ 7th – FAZILAT – Rozedaar Ke Liye Jannat Me Khaas Darwaze Se Istekhbaal:
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Sahal Ibne Saad (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain –
“Jannat Ke 8 Darwaze Hain, Unmey Ek Darwaze Ka Naam ‘Raiyyan’ Hai, Uss Darwaaze Se Wohi Jaayenge, Jo Roze Rakhte Hain.” – (Sahih Bukhari, Vol 3, 1896)

….Ek Special Darwaza Rakhna Alamat Aur Ailaan Hai Ke Allah Ke Paas Badi Ahmiyat Hai Rozedaro Ki ,… Isey Mamuli Mat Samjhiye,..Tou Andaza Lagayiye Roze Rakhne Walo Ki Kitni Ahmiyat Hai Ke Isnkey Istekhbaal Ke Liye Khas Intezam Farmaya Hai Allah Rabbul Izzat Ne ,.. Subhan’Allah !!
* * * * *
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Ta’ala Hume Apne Rozo Ko Khushu Aur Khuju Ke Sath Ada Karne Ki Taufiq Dey !!!

To be Continue …




Ramzan Ki Fazilat: Part – 6
★ 8th – FAZILAT – Ramzan Ke Mahine Me Allah Har Raat Logon Ko Jahannum Se Azad Karta Hai:
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke –
“Allah Rabbul Izzat Ramzan Ki Har Raat Logon Ko Jahannum Se Aazad Karta Hai,.” – (Muslim Sharif)

….Yaani Wo Log Jo Jahannumi Aamal Kartey They Jo Burey Log They ,.. Is Mahine Acche Aamal Kar Ke Apne Rab Ko Raazi Kar Letey Hai Aur Raazi Kar Ke Apne Aap Ko Jahannum Se Bacha Letey Hai Aur Unka Rab Muaf Kar Deta Hai Unhe ,…

….Matlab Ye Mahina Magfirat Ka Mahina Hai Tou Acche Aamal Kar Ke Jannat Haasil Kar Lo Apne Rabb Se Yahi Ailaan Hai Iska ….
* * * * *

★ 9th FAZILAT – Rozedaar Ka Shumaar Shohda Aur Swaleheen Me Hoga
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kaha Ke –
“Aye Allah Ke Rasool! Agar Mai Gawahi Du Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Barhaq Nahi,.. Aur Namaz Qayam Karu, Aur Roza Rakhu Tou Mera Hisab Kin Logon Ke Sath Hoga ?”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke – “Agar Tu Yeh Tin (3) Kaam Par Add Jaye Tou Tera Hisab Shohda Aur Swaleheen Ke Sath Hoga” – (Ibne Hiban)

* * * * *

…. Beharhaal Ye Chand Fazail They Jo Humne Aapki Khidmat Me Mukhtasar Sa Rakhne Ki Koshish Ki…

# Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Ata Farmaye ,..
* Hum Tamam Ko Aaneywale Ramzan Ko Sahi Tareeke Se Manaane Ki Taufiq Dey,..
* Iss Ramzan Ko Humari Zindagiyo Ko Tabdil Karne Wala Bana Dey,..
* Iss Ramzan Ka Sahi Fayda Aur Taqwa Ikhtiyar Karne Ki Allah Rabbul Izzat Hume Taufiq Dey …
* Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
* Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen




Islamic Quiz – 51
#Sawal: Roza Kiske Liye Rakha Jata Hai ?

• Options are –
A). Allah ke Liye.
B). Rasool’Allah (Salallaho Alaihi Wasallam) Ke Liye
C). Logon Ko Dikhane Ke Liye.
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer



Quiz (51st) Ka Sahi Jawab –
– Roza Khalis {{{ A). Allah ke liye }}} Rakha Jata Hai.

– – – – – – – – – – – – –
Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me Apne Bando ko Nasihat karte hue farmata hai:
Keh do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna
ALLAH hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai”
– Surah(6) Al-Anaam: Aayat 162

♥ Mafhoom-e-Hadeesw-Khudsi:
Ek Hadise Khudsi me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Riwayat Karte Aur Farmatey Hai Ke –
*Allah Ta’ala Farmata Hai ke – “Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chorrta Hai,
Roza Mere Liye Hai Aur Mai Hi Iska Badla Dunga ”
– (Sahih Bukhari, Vol 3, H-1894)
Qurane Kareem ki Mukaddas Aayat aur Hadeese Mubarak Me Unn Hazraat Ke liye Bhi ek Nashist Hai Jo Apni Ibadate Gairo ki Taraf Mansub Karte Hue Jumerat ya Jumme ko Bujurgane Deen Ki Taraf Nisbat Karte Hue Roza Rakhte Hai..
Allah Ta’ala Hum Sabko Hidayat Dey ,.. “Ameen Allahumma Ameen”




Islamic Quiz – 52
#Sawal: Jab Allah Kisi ko Mushkilo Me Daal dey tou Usey Koun Nijat dilane par Qadir hai ?

• Options are –
A). Farishtey
B). Ambiya (Alaihi Salam)
C). Allah Ke Wali
D). Sirf Allah

Get Answer



Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe …
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn Aabbas Farmatey Hai Ke,
(Mere Bachpan Me) Mai Ek Martaba Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sath Unth Ke Pichey Baitha Tha, Tab Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mujhe Kuch Taqeede Ki Aur Farmaya :
Aye Abdullah! Tum Allah Ke Ahqaam Ki Hifazat Karna, Wo Tumhari Hifazat Karega ,..
Tum Allah Ke Ahqaam Ki Hifazat Karo Tou Tum Usey Apne Samne Paoge ,..
Jab Tum Koi Sawal Karna(Mangna) Tou Sirf Allah Se Karna,..
Hatta Ke Ek Riwayat Me Aapne Farmaya Ke:
Tumhe Namaq Bhi Chahiye Abdullah Tou Allah Se Mangna
Aur Jutey Ki Lais Bhi Chahiye Tou Allah Se Hi Talab Karna ,..
Jab Tumhe Madad Talab Karna Hai Tou Sirf Allah Hi Se Karna,..

Fir Aagey Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
Yaad Rakh! Agar Puri Duniya Bhi Tumhare Haq Me Aajaye Aur Chahe Ke Tumhe Koi Fayda Dey Tou Wo Fayda Nahi Pohcha Sakti Siway Wo Jo Allah Ne Likh Rakha Hai ,..
Aur Agar Puri Dunia Bhi Tumhare Khilaf Khadey Ho Jaye Aur Chahe Ke Tumhe Nuqsaan Pohchaye Tou Wo Nuqsaan Nahi Pohcha Sakti Siway Allah Ne Jo Likh Diya Hai,.. Isiliye Ke Qalam Rakha Ja Chukha Hai Aur Syahi Sukh Chuki Hai ,..
– (Mafhoom-e-Hadees; Tirmizi Sharif)

Aagey Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai:
Khush’hali Me Allah Ki Taraf Ruju Karo Tou
Pareshan Haal Me Wo Tumhe Faramosh Nahi Karega,..
Yaad Rakho! Jo Cheez Tumhe Nahi Mili Wo Tumhe Kabhi Nahi Milni Thi,.
Aur Jo Cheez Tumhe Mili Wo Tumse Nahi Cheen Sakti ,..
Yaad Rahe Ke “Allah Ki Madad Sabr Se Wabasta Hai,
Koshish Takleef Ke Sath Hai,. Aur Aasani Tangi Ke Sath”
– (Mafhoom-e-Hadees: Ahmed)

♥ SubhanAllah ,.. ♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..




Islamic Quiz – 53
#Sawal: Tay Kiya hua Mahr Agar Shohar Ada Na Kare
tou wo Kounse Gunaah Ka Murtakib hoga ?

• Options are –
A). Chori
B). Bakhili
C). Zina
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer



Quiz (53) Ka Sahi Jawab –
“Tay Kiya hua Mahr Agar Shohar Ada Na Kare tou wo {{{ C). Zina }}} jaise Kabira Gunaah Ka Murtakib hoga ?..”
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
Jo Shakhs Nikah Karey Aur Mehar Deney Ki Niyat Na Ho Usney Zinaa Kiya ,.
Aur Jo Shakhs Udhaar Ley Aur Wapas Deney Ki Niyat Na Ho Usney Daka Dala ..”
– (At-Targib Wat-Tarheeb, Hadith No.1807)
♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
– Allah rabbul Izzat Hume har Kism ke Sagira aur Kabira Gunaho se Bachaye,.
– hume Hukuk Allah Aur Hukuk Al Ibad me kotahi se bachaye ,.
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen 






Islamic Quiz – 54
# Sawal: Momino ko Sabse Jyada Mohabbat Kis se Hoti Hai ?

• Options are –
A). Allah se
B). Ambiya Alaihi Salam se
C). WaliAllaho Se
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (54th) Ka Sahi Jawab –

– Momino Ko Sabse Jyada Mohabbat {{{ A). Allah }}} se hi Hoti Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Al-Quraan: !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Aisey Log Bhi Hai Jinhoney Allah Ke Siwa Aur Shareek Bana Rakhey Hai
Jinsey Aisee Mohabbat Rakhtey Hain Jaisey Ki Allah Se Rakhni Chahiye
Aur Iman Walon Ko Tou Allah Hi Se Zyada Mohabbat Hoti Hai
Aur Kaash Zaalim Log Jo Baat Azaab Ke Waqt Dekhngey (Usey) Abhi Dekh Letey Ki
Sab Quwwat Allah Hi Ke Liye Hai Aur Allah Sakht Azaab Dene Wala Hai..”
– (Surah Al-Baqara (2) , Aayat-165)
♥ SubhanAllah !
ab kya hum is post me ye baat kehna chahte hai ke Allah ke siwa kisi aur se mohabbat nahi kar sakte ?
yaad rahe isi galatfehmi ke ijale ke liye is article ke waseele se hum apki islah ki koshish kar rahe hai ke,
Beharhaal ! Mohabbat ke Apne Darjaat hotey hai, har ek se mohabbat ka mahdood dayra hai,
jaise Sabse Afzal mohabbat Allah se hi honi chahiye,
uske Baad Allah ke Rasool Nabi-e-Kareem (Salallaho Alahi Wasllam) se hogi ,
fir uske Baad Sahaba Kiram (RaziAllahu Anhu) se
fir uske baad Bujurgane deen yaani jo Allah ke Mukhlis bandey hai unse mohabbat,.

– tou ye mohabbat ka paimana hai, isey agar badal do tou hum ghulu kar baithenge ,.
yaani Nabi se aisi mohabbat ke Rab se badhkar ho tou ye ghulu hai Hatta ke isey Shirk tak le jata hai,.
fir Allah ke Waliyo se aise mohabbat ke unhe Nabi aur Sahaba se jyada azeez jan’na , tou ye bhi ghulu hai,
aur Gustakhi ka bayees hai ,..

*tou beharhal jiska jo martba hai usi me usey mehdood rakhe yahi Allah aur uske Rasool (Salalaho Alahi Wasallam) ki Pakiza Talimat hai. aur jo aisa na karey wo upar di hui aayato ka Baar baar muta’ala karey hatta ke iski hikmat maloom kar le ,..

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !
– Allah Taala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki taufik Dey ,.





Islamic Quiz – 55
# Sawal: Wo konsi Neymat hai Jo bande ko mil jaye tou uska aadha Iman mukammil ho jaye ?

• Options are –
A). Accha Padosi
B). Nek Dost
C). Nek Biwi
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer



Islamic Quiz (55th) Ka Sahi Jawab –
Us Bande ka Aadha Iman mukammil ho gaya jis bandey ko Allah {{{ C). Nek Biwi }}} Ata Kar Dey.
– – – – – – – – – – – – – –
♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Allah Ta’ala Ne Jise Nek Bibi Ata Ki,
Usey Islam Ka Aadha Hissa Qayem Karne Me Madad Ki Hai,
Baaki Aadhe Hisse Ke Liye Use Chahiye Ke Wo Allah Se Dare
(Yaani Taqwa/Parhezgari Ikhtiyar Karey),..”
– Mustadraq Al Haqim , Hadees 2681
– Tabrani Awsat , Hadees 985
– Baihaqi Shu’abul Imaan , Haddes 5101
– Mazma’ul Zawayed , Hadees 7434
– Sahih At Targheeb , Hadees 1916
♥ in’sha’Allah Ul Azeez !
– Allah Taala hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ..
– Hum Sabko Nek, Deendar , Muttaqi aur parhezgar Sharike Hayat nasib farmaye..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!




Islamic Quiz – 56
# Sawal:Aahadees ke Mutabik
Ek Musalmaan Ka Dusre Musalman se Rishte ki Misal Kya Hai ?

• Options are –
A). Dost
B). Deewar
C). Aayina
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (56th) Ka Sahi Jawab –
Ek Musalman Dusre Musalman Ka {{{ C). Ayeena }}} Hai.
– – – – – – – – – – – – – –

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai,
Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai
Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai..”
– (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no.1486)
# Subhan’Allah!! –
*Aayine ki Misaal bohot hi Hikamt bhari hai, aur wo ye hai ke:
jab hum Aaeene ke samne jatey hai tou wo humara mazak nahi udata ,
balki humare Aibo ko humare samne pesh karta hai,
*aur sabse aham hikmat ye ke :
ek hi aayine ke samne Maa bhi apne Aibo ko dekhti hai,
Baap bhi apni islah karta hai ,
Bhai aur Behne tamam uss ke samne apne Aibo ko lekar jatey hai
lekin wo aayina Baap ke Aib Maa ko ya kisi aur ko nahi dikhata ,..
yaani “humare pith piche humare Aib kisi aur ko nahi batata..”

♥ SubhanAllah ! humare Ittehad ke liye kitni nayab misaal bayan ki Hai
Nabi-e-Kareem (Salallaho Alahi Wasallam) ne , fir hum isey nazarandaz
Kyu karte hai sochne ki jarurat hai mere Azeezo !

♥ In’sha’Allah ul Azeez !
# Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Ek Aur Nek Banaye ..
# Mafadparasto Ke Fitno Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen






Islamic Quiz – 57
# Sawal: In me se kounsa Amal
Riya yaani shirk e azgar hai?

• Options are –
A). Acche Kapde Pehan’na
B). Acha Khana Khana
C). Haji Ka Laqab Lagana
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Quiz (57th) Ka Sahi Jawab –
{{{ C). Haji Ka Laqab Lagana }}} Riya hai.
– – – – – – –

*Wajahat:
yaad rahe Riya us amal ko kehte hai jo ‘Logon Me Shohrat Ke Wastey Apne Amaal Ka Charcha Karna, Aisi Ibadat Jo Khalis Allah Ke Liye Karni Hoti Hai Lekin Hum Usey Logon Ko Dikhawe Ke Liye Karte Hai Taaki Log Humari Tareef Karey. Isey Riyaa Kehte Hai’. In Short ‘Logon Se Tareef Ki Ummid Me Amal Karna Riyaa Hai’..

aur Riyaa Ke Talluk se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai :
Riyaa Ka Adna Martaba Bhi Shirk Hai..”
– (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
ek aur riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya:
(Aye Emaanwalo) Tumhare Barey Me Jis Chiz Se Me Darta Hu Wah Shirk-e-Asgar Hai”
Sahaba Ne Pucha: “Ya Rasool’Allah ! Yeh Shirk-e-Asgar Kya Chiz He?”
Aapne Farmaya: Riyaa ! Yaani Dikhawe Ke Liye Kaam Karna..
– (Ahmed)

tou Maloom hua ke logo ko dikhane aur unse tareef ki ummid me koi aisa amal karna jo khalis Allah ki raza ke liye karna chahiye wo Riya hai aur Riya Shirk-e-Azgar hai ..

*Allah Reham Karey ! Aaj Humari Namaze, Humare Roze Aur Zakaat Se Jyada Humaare Hajj Riyaakari Ke Markaz Ban Chukey Hai.. Aaj Humare Hajj Ke Kya Haal Hai Hum Apne baaz Haaji Bhaiyon Ke Naam Ke Aagey Dekh hi Rahe Hai ,..

Jab Ki Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Riyaa Se Apne Rab Ki Itni Panah Mangi Ke:
Aap Dua Karte They Aur Ek Dua Khaas Jab Aap Hajj Ko Gaye Tou Aapne Ek Dua Ki Aur Farmaya –
Allahumma Hajjatan La Riya’a Fiha Wa La Sum’a.”
Aye Allah Humse Aisa Hajj Le, Ke Iss Hajj Ko Humare Liye Riyaa Aur Dikhawe Se Paak Kar…

– Lihaja Hume Bhi chahiye ke Apne Amaal Ka Charcha Karne Se Parhez Karey,
Aur Apne Amaal Ko Khaalis Allah Ki Ibadat Ke Khatir Kare,
Riyaa (Showing Off) Ke Fitno Se Paak Rakhne Ki Koshish Kare ,..

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
– Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De.
– Humari Tamam Ibadato Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhey ,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe , Islam aur Imaan par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan par ho ,.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
( Ameen ! Allahumma Ameen !!!)





Islamic Quiz – 58
# Sawal: Kis Alfaaz ke bhool se
Naa kehne ke Sabab Aap (Salallaho Alaihi Wasallam) par
ek arse tak wahi ka silsila band raha ?

• Options are –
A). Subhan’Allah
B). In’sha’Allah
C). Alahamdulillah
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer


Islamic Quiz – 58

Quiz (58th) Ka Sahi Jawab Hai –
 {{{B). In’sha’Allah }}} bhool se Naa kehne ke Sabab Aap (Salallaho Alaihi Wasallam) par ek arse tak wahi ka silsila band raha.
– – – – – – – – – – –
# Wajahat: Nabi-e-Kareem (Salallaho Alaihi wasallam) ke paas kuch yahudi aaye aur aapse As’habe kahaf ka wakiya daryaft kiya , Aap (Salallaho Alahi wasllam) ne in’sha’Allah kahe bagair unhe kal aane ko kaha ,..
*Kyunki Allah Rabbul Izzat Aapko bajarye wahi Gaib ka ilm ata Farmata isiliye Aap (Salallaho Alaihi Wasallam) ne unn yahudiyo se ek deen ka wakt manga ,.. lekin mehaj in’sha’Allah bhool se na kahne par Aap par ek Arse tak Allah ne Wahi Ka Silsila rok diya ,..

*Fir Allah Rabbul Izzat ne yaad dilaya ke “Aye Nabi ! Aap koi Kaam apne se nahi kar sakte jab tak ki aapka Rab aapki madad na karey.,. Aapne in’sha’Allah Kyu nahi kaha ?..”
– (Mafhoom-e-Tafseer Surah Kahaf; Ayat 23,24)

#Sabaq: tou Beharhaal ! is Aayat me Nashist hai hum sabke liye ke Allah ki madad ke bagair hum kisi kaam ko anjaam nahi dey sakte ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufi Dey.
– Hum Tamam Ko Sahi Taur par Deeno Shariyat par Amal Karnewala Banaye ,..
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan Par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan Par Ho ,..
*Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,





Islamic Quiz – 59
# Sawal: Quran ke Nuzul ka
asal Maksad Kya hai ?

• Options are –
A). Khair-o-Barqat
B). Hidayat
C). Esaale Sawab
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer





Quiz (59th) Ka Sahi Jawab:

*Quran ke Nuzul ka asal Maksad Hai Insaniyat ki { B. Hidayat }

*Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai ke –
“Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Ye Mubarak Kitab(Quraan) Hai Jisey Humne Aapki Taraf Iss Liye Nazil Kiya Ke Log Iski Aayto Par Gaur Kare Aur Aqalmand Is Se Naseehat Hasil Kare.“
– [Al-Quran Surah(38)Saad: Ayat-29]

*Tou Quran ka Asal Maksad Hai Insaniyat ki Hidayat! ,..
Jabki iski Tilawat ka sawab tou bouns tha humare liye, lekin humne Bonus ki lalach me is se hidayat hasil karna chorr diya aur fir jahalat hum ar taari hui,.. ye is liye hua kyunki humne iski ahmiyat aur fazilat nahi jani,..

*Jaise missal ke tour per* humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai, aur Padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai “jaha Allah Ta’ala fermata hai ke Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”

Ab inhone padha Arbi me aur Allah se dua ki ke “Aye Allah har Harf ke badle 10-10 neki hona,.”
Lekin jab inka shohar kabhi dusra nikah karne gaya tou “kaisa karta dekhti mai,..” MashaAllah
Arey lekin quraan me hukm hai na !
“Honga Quran me lekin mujhe kya ?….”

*SubhanAllah!!! Andaza bhi hai kya Sulooq karte hai hum Allah ki nazil karda hidayat ka,..
Zindagi bhar hum isey Mehaj Sawab ke Lalach me hi padhte hai lekin kabhi iske Maney Mafhoom par Gouro Fikr nahi karte, jabki Sawab tou bonus hai wo tou mil jayega in’sha’Allah !!!

*Alahmdulillah! Quran ki Tilawat ki faizlat apni jagah hai, Lekin Quran ka Asal maksad Insaniyat ki Hidayat hai aur fir bhi hum isey mahaz Sawab ke liye padhtey hai, yahi wajah hai ke hum Allah ki hidayat se Mehrum reh gaye, jiska fayda Ummat ke Baaz Sharr Pasand logone khub uthaya,.
“Humey Maslaki aur Firqawariyat me Ulzaya, Quraan se hidatar hasil karne ke bajaye isey Murdo par bakhswaya, beshumar biddate ijad kar inhone Apni batil Dukane khub chalayi lekin kabhi hume Quran ke Asal maksad se Taruf nahi karwaya, Siway Ulemaye haq ke ,..

*Lihaja mere Azeezo! Aaj agar hume Zillat aur Ruzwayi se bahar nikalna hai tou hume chahiye ke hum Quraane kareem ki hidayat ko samjhey, iske Maaney Mafhoom par Gour kare ,. Aur jitna ho sakey ispar khud bhi amal kare aur dusro ko bhi iski dawat dey..

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke –
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Aml Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen





Islamic Quiz – 60
# Sawal: Quran ke mutabik Inme se kis cheez
ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi ?

• Options are –
A). Taqleed (Blind Belief)
B). Iman aur Nek Amal
C). Dusro Ki Nekiya
D). Sahi Jawab Ka Intezar

Get Answer





✦ Quiz (60th) Ka Sahi Jawab:

*Quran ke mutabik { B. Iman aur Nek Amal } ke bagair Aakhirat ki Kamiyabi mumkin nahi

Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai
“Zamane Ki Qasam ! Insan Dar-Haqikat Ghate Me Hai, Siway Unn Logon Ke Jo Imaan Laye Aur Nek Aamal Karte Rahe Aur Ek Dusre Ko Haq Ki Naseehat Aur Sabr Ki Talkin Karte Rahe.”
– (Surah Asr: Ayat 1-3)

is Surah me Allah Ta’ala apne bando ko jis baat par Nasihat kar raha hai wo ye ke Imaan aur Nek Amal dono hi aham hai un logo ke liye Jo Kamiyabi Chahte hai Aakhirat ke Aitbar se,. tou aayiye is post me Iman aur Amale Swalehat Ka Zikr Karte hai.

✦ Iman aur Akida kaisa ho ?
Ab iman kaisa ho Allah Rabbul Izzat iske talluk se farmata hai ke:
“Agar ye log iman latey hai jaisa Nabi aur Sahaba iman laye, fir ye log hidayat par hai”– (2:137)
– is ayat ke pasemanzar me aata hai ke Allah Ta’ala un logo ke talluk se farma raha hai Jo Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke dour me Ahle Kitab, Mushrikane Makka Jo Allah par iman ka Dawa karte they lekin apni Manmani tarike se, tou Allah Ta’ala ne inke Iman ki Qabuliyat ke liye ek Usool Ata Kiya aur farmaya ke “Iman jab tumhe Lana hai to Jaisa Mere Nabi ke Sahabi Iman laye us tarha tum iman lao, tab mere nazdik tumhara iman Qabil-e-Qabool hai ,..”
– Tou Iman lane Ka Usool Allah ne Wajeh Kar Diya ,. ke Iman Apni Manmani tarike se ya iske uske aur falah aur falah ke tarike par nahi lana, balki waisa hi lana hai Jaisa Sahaba laye,.. Lekin aaj agar dekha jaye to hum me se kayi Musalmano ka haal yahi hai ke ye log Imaan tou laye lekin aisa jiski koi Sharayi daleel nahi,..
*koi kehta hai Allah har jagah hai, *Koi Kehta hai Allah aur bande me koi fark hi nahi, *koi kehta hai Ibadat me is tarha mashgool ho jao ke tum Allah me sama jao aur Allah tum me sama jaye (Nazubillah) , tou koi ye Akida rakhta hai ke Allah apne nek bando ki marzi ka mohtaj hai, SubhanAllah!!! kis hadd tak ye log akide ki Gumrahiyo me mubtela hai,.. aur fir Imanwale hone ke dawedar,. MashaAllah !!!

*Tou is haal me hum sabko , ek aam Musalman ko kya karna chahiye? Iman aur Sahi Akide ka Taruf Kaha se hasil kare? tou iska sidha sa usool hai ke “Allah ki kitab aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat me hume apne tamam sawalo ke jawab talashne hai. aur Quran ha hukm bhi waisa samjhna hai jaisa Sahaba ne samjha? kyunki jin logo par Allah ki wahi nazil hua karti thi unse behtar uski tashreeh aur koi nahi kar sakta,..

# Amal-e-Saleh (Nek Amal)
Ab rahi Baat Amale Swalehat yaani Nek Amal ki tou Allah Ta’ala ne Quran ki Surah 2:25, 2:82, 4:57, 4:122, 4:124, 5:9 aur bhi Beshumar muqamat par Wajeh taur se farmaya aur kaha:
“Aur jo Iman laye aur Unhone Nek Amal Kiye Hai Wahi Log Jannati Hai ki Humesha Jannat me Rahenge”

*Tou Maloom hua ke Iman Ke Baad Nek Amal Behad Jaruri hai Aakhirat ki Kamiyab ke liye. Ab Agar koi ye kahe ke hum tou khub Nek amal karte hai lekin Aqida durust na ho to kya hum bhi khassare me jayenge? tou yaad rakhiye Bilkul Ha! sirf Amal kafi nahi,. Kyunki Aakhirat ki kamiyabi ke liye Sahi Sabit Iman aur Amal-e-Saleh dono hi lazim hai, Lihaja Sahi Iman aur Uske Sath Nek Amal ye dono Aham hai, inme se ek ke bagair dusre ka tasawwur hi nahi..

*Tou beharhal Aakhirat ki kamiyabi ke liye ek Aam Musalman ke liye kafi hai Allah ki Kitab Quran aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sirat(Sunnat) ka mutala kare aur uspar Amal kare, Fir Jitna Ho Sakey Nek Amal Karey aur un Allah walo (Ulemaye Haq) se jhud jaye jo Ikhlas ke sath logo ko Allah ki hidayat ki taraf bulate ho,. yani jinke koi Hidden Agendas na ho ,.. Yahi Sarapa hidayat hai, Aur Baqoul Qurane Majid Yahi Log Kamiyab hone wale hai ,..

♥ In sha Allah Ul Azeez
– Allah Ta’ala hume Sahi Sabit Imaan wala banaye
– Humare Qurano Sunnat ka Muttabey Banaye,
– Hume Sahaba (R.A.) ke faham ke Mutabik is Deen par Amal ki Taufik Ata farmaye,
– Khub se khub Amale Salehat ki Taufik Ata farmaye,
– Jab tak hume Zinda rakhe Iman aur Islam par Zinda rakhe,
– Khatma Humara Iman par ho ,..
!!! wa akhiru dawana Alhamdulillahi rabbil alamin !!!

कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...