⚫⚫ HAZRAT AYESHA RADI ALLAHU ANHA⚫⚫
POST. -- 1
✴Ye Ameerul Momineen Hazrath- E-Abu Bakr Siddiq RadiAllahuTa'alaAnhu Ki Sahebzadi Hain.
❇Inki Maa Ka Naam Umme Ruman Hai. Inka Nikah Huzoor E Aqdas SallahuAlaihiWaSallam Se Qable Hijrat Makka-e-Mukarrama Me Huwa Tha.
✴ Lekin, Kashane Nabuwwat Me Ye Madine Munawwara Ke Andar Shawwal 2 Sane Hijri Me Aaye.
❇ Ye Huzoor Ki Mehbuba Aur Bahot Hi Chahiti Biwi Hain.
✴ Huzoor E Aqdas SallahuAalaihiWasallam Ka Inke Bare Me Irshad Hai Ke Kisi Biwi Ke Lihaaf Me Mere Opar Wahi Nahi Utri.
❇ Magar Hazrath Ayesha Jab Mere Sath Nabuwwat Ke Bistar Per Soti Rehti Hain to Is Halat Me Bhi Mujh Per Wahi Utarti Rehti Hai.
📚(Bukhari Jild 1 Safa 532)
POST. -- 2
✴ Fiqha Wa Hadees Ki Uloom Me Huzoor Ke Bibiyoun Ke Darmiyan Unka Darja Bahot Oncha Hai.
❇ Bade Bade Sahaba Inse Masail Pucha Karte the. Ibadat Me Bhi Inka Ye Aalam Tha Ke Namaz e Tahajjud Ki Behad Paband Thi.
✴ Aur Nifli Roze Bhi Bahot Ziyada Rakhti Thi.
❇ Saqawat Wa Sadqaat Ke Maamle Me Bhi Huzoor Ki Sab Bibiyoun Me Khaas Tour Per Bahot Mumtaz Thi.
✴ Umme Durra RadiAllahuTalaAnha Kehti Hain Ke Ek Martaba Kaheen Se Ek Laakh Dirham Unke Paas Aaye Aap Ne Usi Waqt Un Sab Dirhamon Ko Khairaat Kar Diya.
❇ Us Din O Rozedaar Thi , Mai Ne Arz Kiya Ke Aap Ne Sab Dirhamon Ko Baant Diya Aur Ek Dirham Bhi Aapne Baaqi Nahi Rakha Ke Usse Aap Gosht Khareed Kar Roza Iftiyar Karti .
✴ To Aapne Farmaya Agar Tumne Pehle Kaha Hota to Mai Ek Darham Ka Gosht Maga Leti.
📚 (Jannati Jewar)
Post. 3
❇ Aap Ke Fazail Me Bahot Se Hadeesen Aaye Hain. 17 Ramzan Mangal Ki Raat Me Sane 57 Ya Sane 58 Hijri Me Aap Ki Wafat Huwi.
✴ Hazrath Abu Hurrairah RadiAllahuTalaanhu Ne Aap Ki Namaze Janaza Padhayi.
❇ Aur Raat Me Dosri Azwaje Mutahara Ke Sath Jannatul Baqi Ke Andar Madfoon Huwe.
📚(Zarkhani Jild 3 Safa 234 Waghaira)
💢 TABSIRA
✴Ye Umr Me Huzoor Ki Tamam Bibiyoun Se Sabse Choti Thi.
❇Magar Ilm O Fazal Zohad O Taqwa Sakhawat O Shuja'at , ibadat O Riyazat Me Sabse Badh Kar Huwen. Isko Fazle Khudawandi Ke Siwa Aur Kya Kaha Ja Sakta Hai.
✴ Behre Haal Pyari Behno Hazrath Ayesha RadiAllahuTalaAnha Ki Zindagi Se Sabaq Hasil Karo.
❇ Aur Achche Achche Amal Karti Raho Apne Souharon Ko Khush Rakho.
📚(Jannati Zewar)
⚫⚫*_AZMAT~E~ UMMUL MOMINEEN HAZRAT SAYYADNA AYESHA SIDDIQUA رضیی الله عنھا_*⚫⚫
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🎼 PART- [ 01 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_Aala Hazrat mujaddide deeno millat imaam ishqo muhabbat sayyadana imaam Ahmad raza khaan Fazle Arbo Azam رضي الله عنه ummul momeneen Hazrat sayyadna Ayesha siddeeqa رضیی الله عنھا ke shaane aqdas mein farmaate hain_*
*_Binte siddeeq aarame jaane Nabi_*
*_Us hareeme bara’at pe laakhon salaam_*
*_Yaani hai soorah noor jinki gavaah_*
*_Unkee purnoor soorat pe laakhon salaam_*
*_Jin mein ruhul qudus be ijaazat na jaayen_*
*_Us suradiq ki azmat pe laakhon salaam_*
*_Shamye taabane kashanaye ijtihaad_*
*_Muftiye chaar millat pe laakhon salaam_*
*_"Naam —– Hazrat sayyadana Ayesha siddeeqa رضیی الله عنھا_*
*_Waalid — Hazrat Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه_*
*_Waalida — Hazrat Zainab bint Aamir (umme roomaan)_*
*_Wilaadat – ailaane nubuvvat se 4 saal baad_*
*_Nikaah — ailaane nubuvvat se 10 saal baad_*
*_Wisaal — 17 ramzan,57 hijree,itvaar_*
_*Jis vaqt aapka nikaah Nabi e Pak صلى الله عليه وسلم* se hua us vaqt aapki umr 6 saal aur *Huzoor ki صلى الله عليه وسلم* umr 50 saal thi_
_Aapki rukhsati hijrat ke doosare saal yaani 9 saal ki umr mein hui_
_8 saal 5 maheene aap *Huzoor صلى الله عليه وسلم* ke rafaqat mein rahi Huzoor ke visaal ke waqt aapki umr 18 saal thi_
_*Aap Huzoor e Aqdas Rahmat e Alamصلى الله عليه وسلم* ke tanha Aisi Biwi hain jo nikaah ke waqt kunvaari thi_
*_Aapse 2210 Hadeese marvee hain jinme se 174 muttafiq alaihi hai yaani bukharee va muslim dono mein hai_*
_Jab aap par tohmat lagaayi gai to aapki paak daamnee ke liye *ALLAH rabbul izzat ne soorah noor mein 18 aayten naazil farmai* ( Poora waqiya tafseel se Batane ki koshish Karenge Ane Wale Posts Me)_
_*Huzoorصلى الله عليه وسلم* farmaate hain ki mujhe duniya mein sabse zyaada muhabbat Ayesha se hai aur mardon mein Abu Bakr se_
_*Huzoor e Aqdas صلى الله عليه وسلم* ke visaal ke baad aapko ifta ka mansab haasil hua,aapke ilm ki shaan ye thi ki har sahabi hatta ki khulfaaye raashedeen bhi mushkil masaayal mein aapki taraf hi rujoo karte the_
_Junge jamal va junge siffeen mein haq par *maula Ali hi the* aur *ummul momeneen va Hazrat Ameere muaaviya Rizweanullahi Taala Alaihim ajmayeen* se khataaye ijtehadee hui the,magar mujtahid ki khataaye ijtehaad bhi ajr ki mustahiq hote hai,lihaza tamam sahabaye kiram ko hamesha khair se hi yaad kiya jaaye,kisi par bhi la’an ta’an karna gumrahi hai_
*_📚Madarejun nubuvvat,jild 2,safah 802-804_*
*_📚Sharah salame raza,safah 486_*
*_📚Ummahatul momeneen,safah 32_*
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 02 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Daor e haazir k Wahabiya, Tableeghiya, aur degar firqa e batila k log *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k waqey k talluq se SARKAAR E DO ALAM ﷺ k ilm e ga'ib per nukta cheeni karte hain.*_
_Aur awaam un naas ko warghalane k liye ye kehte hain k agar *SARKAR E DO ALAM ﷺ ko ilm e ga'ib tha to AAP ﷺ ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* k maamle me itna sukoot kyu farmaya aur wahi k muntazir kyu the?_
_Is tarah ki la yaani baato se awaam unnaas ko haq se munharif karne ki koshish karte hain aur bechare kam ilm log inkey behkaawey me ajate hain aur natija *ILM E GA'IB E MUSTAFA ﷺ k inkaar karne se imaan ki la zawaal daolot se mehroom hojate hain.*_
_Aur akhirat k dardnaak azaab k mustahiq ban jate hain._
_InSha ALLAH aagey hum jo bhi bayaan karenge usey baghaor padhiye aur khud hi faesla karey k munafiqeen zamana is waqey k zaman me kaesi dhoke baazi se kaam lete hain aur gumrahi phaelate hain._
_*AQAYE KAYENAAT SARWAR E DO ALAM ﷺ ka ILM E GA'IB QURAN ki ayaat aur AHADEES* k be shumaar matoon se sabit hai, isper imaan rakhna imaan ka ek hissa hai._
_*HUZOOR E AQDAS ﷺ* apni azwaaj e mutaharaat me jo adal o insaaf aur jo aetedaal farmate iski nazeer duniya k kisi shaks me nahi milti, yahaan tak k safar me jaate waqt agar kisi zaoja mohtarma ko sath le jaane ka irada farmate to adal o insaaf k takhaze k tehet qara andaazi farmate aur jis zaoja e mathara k naam qar'aa nikalta isey safar me hum rakabi ka sharf ata farmate._
*_🔄TO BE CONTINUED ان شاء اللہ رحمان🔜🔜💞_*
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 03 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_5 HIJRI ME GHAZWA BANI AL MUSTALAQ me *HUZOOR E AQDAS ﷺ* ne tashreef le jaane ka irada farmaya aur azwaaj e matharaat k darmiyaan qaraa daala aur isme *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ka naam nikla._
_GHAZWA BANI AL MUSTALAQ 5 hijri se pehle ayat e hijaab nazil ho chuki thi, yaani Aurton k liye parde ka hukum nazil ho chuka tha, *QURAN MAJEED, PARA 22, SUREH AL AHZAAB me ayat e hijaab nazil ho chuki thi.*_
_Ghazawa Bani Al Mustalaq ka waqea GHAZWA E KHANDAQ aur GHAZWA E BANI QAREEZA se qabal ka hai, Ghazwa Bani Al Mustalaq me *UMMUL MOMINEEN HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما HUZOOR E AQDAS ﷺ* k sath tashreef le gayi, *AAP رضي الله عنهما* ki sawari ka bandobast ek oontni per mahmal yaani kajade me kiya gaya._
_Is kajawe ko parde k liye achi tarah mehjoob kiya gaya taake kisi ghaer mehram ki nazar *UMMUL MOMINEEN per na pade, AAP رضي الله عنهما* kajawe me parde k kamil intezaam k sath baeth jaate aur phir is kajawe ko oont ki peeth per rassiyo se baandh diya jata._
_Padao aur manzil per *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* is kajawe k andar baethi rehti thi, aur kajawe ko oont ki peeth se utaarliya jata tha, ab pura waqeya jisko *"HADEES AFAK"* k naam se shohrat mili hai, isko khud *HAZRAT SYEDNA AYESHA SIDIQUA رضي الله عنهما ki muqaddas zubaan se suniye.*_
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 04 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_POST BADHI HAI MAAZRAT KHWAAN HOON LEKIN WAQEYA PURA LIKHNA ZARURI THA..._*
*_ASAL WAQEYA KYA THA?_*
_*Shaikheen رحمة الله عليه ne HAZRTA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما se riwayat ki, AAP رضي الله عنهما farmati hain k jab HUZOOR E AQDAS ﷺ* ghazwa se faarigh hokar rawana huye aur madina tayyaba pahochne se pehle ek maqaam per padao ka hukum farmaye, main uthi aur khazaye hajaat k liye lashkariyo k padao aur tehrao se zara faasle per baahar chali gayi._
_Faraghat paakar apni qayaamgah per laoti to ittefaaq se mera haath seene per gaya to mujhe pata chala k mera haar gale me nahi hai, wo haar jaza'a gaffar ka bana hua tha, main isi jaga per waapas gayi aur haar ko talash karne lagi, aus is talaash me der lag gayi._
_Udhar lashkar rawana ho raha tha jo log mera kajawa (mahmal) oont per rakhte aur baandhte the wo aaye aur ye samjha k main is kajawe me baethi huyi hoon, kajawe ko uthakar oont ki peet per baandh diya._
_Main ek kam wazan aur sabak jism aorat thi, lehaza unko ye pata na chala k mahmal khali hai ya bhara hua hai, main jab haar talaash karke aqamatgaah (qayaamgah) per laoti to lashkar rawana ho chuka tha._
_Jahaan lashkar ka padao tha, wahaan per ab koi bhi maojood na tha jis jaga per mera dera tha main us jaga aakar baeth gayi, mera khayaal ye tha k *HUZOOR E AQDAS ﷺ* jab mujhko na paayenge to kisi ko bhejkar mujhko bulwalenge main apni jaga per baethi rahi, baethe baethe aankhe bojhal huyi, neend ka ghalba hua aur main so gayi, *HAZRAT SAFWAAN BIN MAATAL رضي الله عنه* jo lashkar k piche "MAAQAB KAARON" ki khidmat per mamoor the._
_(Maaqab kaaro yaani pehle zamane me ye dastoor tha k jab koi khafila ya lashkar koch karta tha to ek shaks kaarwaan ya lashkar k piche rakha jata tha taakey kaarwaan se kisi ki koi cheez gir jaye to wo shaks uthale aur phir manzil per pahonch kar ameer kaarwan k sapurd karde, aur ameer kaarwan tehqeeq karke jiski wo cheez ho usey dede)._
_*HAZRAT SAFWAAN BIN MAATAL رضي الله عنه* subah k waqt us muqaam per pahonche aur mujhko sota paaya, chonkey parde ka hukum naazil hone se pehle jab aorton k sharayi parde na the, tab unhone mujhko dekha tha, isliye unhone mujhko pehchaan liya aur mujhko pehchaan lene per faoran isterja'a padha._
_Yaani *انا لله وانا اليه راجعون,* unkey isterja'a padhne se main bedaar huyi aur chehre aur jism ko maine chaadar mein aur zyada chupaliya, *HAZRAT SAFWAAN رضي الله عنه* ne isterja'a k alawa kuch bhi na kaha aur na maine kuch suna._
_Unhone oontni se utarkar onntni ko bithaya aur main jaakar sawaar hogayi aur *HAZRAT SAFWAAN رضي الله عنه* oontni ko kheench kar chal diye, humne chalkar lashkar ko sakht dhoop aur garmi k waqt thaerao me paaliya, phir halaak hua jisko mere maamley me halaak hona tha aur jis shaks ne sabse badhkar uski tash'heer aur ithaam taraazi ki wo ABDULLAH BIN ABI BIN SULOOL munafiq tha._
*_(📚AL KHASAES UL KUBRA FI MAOJAZAAT KHAER UL WARA, IMAM JALAAL UDDIN SUYOOTI, URDU TARJUMA, JILD 1, Safah 449 - 450)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 05 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Bas itni se baat thi lekin MADINA TAYYABA k munafiqeen aur khususan ABDULLAH BIN UBAEY BIN SULOOL munafiq ne apne khabas baatin aur dil me chupe huye nifaaq ka izhaar karte huye *UMMUL MOMINEEN HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki asmat aur paak daamani k khilaaf tohmat aur iftera perdaazi ka tufaan khada kardiya._
_Fitna ka tufaan barpa hogaya, munafiqeen k sath kuffaar o mushrikeen bhi shamil hogaye, kuch zaeef ul aeteqaad saadah loh, bhole bhaale musalman bhi unkey behkawey me agaye._
_Jahaan dekho wahaan sirf ek hi baat, mubalegha, ghulu aur jhoot ki aamizash k sath munafiqeen ne us waqey ko itni ehmiyat aur shohrat di khuda ki panaah, ek azeem fitna khada hogaya, halaanke *Ajalla e sahaba e kiraam رضوان الله تعالى عليهم اجمعين* ne munafiqeen k bohtaan o afak ka dandaan e shikan jawaab diya aur *BARGAH E RISALAT ﷺ mein HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki asmat aur paak damani ka izhaar kiya._
_*AMEER UL MOMINEEN KHALIFATUL MUSLIMEEN SAYYEDNA FAROOQ E AZAM رضي الله عنه* ne baargah e risalat me arz kiya, *YA RASOOL ALLAH ﷺ AAP k jism e Aqdas per jab k makkhi tak nahi baeth'ti kyu k uskey paau najasato se aloda hote hain to HAQ TA'ALA AAP k liye kaese gawara karega is baat ko jo ussey kahi zyada badtareen ho aur usse AAP ki hifazat na farmaye.*_
_*HAZRAT OSMAN GHANI رضي الله تعالى عنه* ne arz kiya, *YA RASOOL ALLAH ﷺ AAP ka saaya zameen per nahi girta, mubada k wo zameen napaak ho, HAQ TA'ALA jab k AAP k saaye ki itni hifazat farmata hai to AAP ki zaoja mohtarma ki nashayistagi se kyun na hifazat farmayega.*_
_*MAOLA E KAENAAT HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه* ne arz kiya, *YA RASOOL ALLAH ﷺ HAQ TA'ALA ne itna gawara nahi farmaya k AAP k paaye Aqdas k nalaen mubarak me najasat ki alodgi ho aur wo AAP ko uski khabar deta hai k AAP nalaen ko paaye Aqdas se utaardey to agar ye waqea nafs ul amar me waqu pazeer hota to yaqeenan ALLAH TABARAK WA TA'ALA AAP ko uski khabar deta.*_
*_(📚Madarij Un Nabuwah, Jild 1, Safah 280)_*
*_(📚Al Khasaes Ul Kubra, Jild 2, Safah 453)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 06 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_HUZOOR E AQDAS ﷺ NE ISHARA ILZAAM KI TARDEED FARMAYI_*
_Munafiqeen o mushrikeen ki jaanib se HAZRAT *SAYYEDATUNA UMMUL MOMINEEN AYESHA SIDDIQUA رضي الله تعالى عنهما* ki asmat aur paak damani per musalsil ilzamaat o ithamaat ka silsila jaari raha, balke roz ba roz ismey izafa aur mubalegha hota raha._
_Udhar sahaba e kiraam o jaanisaar in baargah e risalat munafiqeen k aqwaal o ilzamaat ki tardeed farmate rahe, ye maamle ek maah se zyada tol pakad gaya._
_*HUZOOR E AQDAS ﷺ* ne bar banaye maslahat sukoot farmaya aur munafiqeen ko kuch jawaab na diya, *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki asmat aur paak damani se *AAP ﷺ yaqeenan bakhabar the lekin maslahat e yezdi ki bina per AAP ﷺ ne rafeeq hayaat ki baraat ka sarhatan aelaan na farmaya.*_
_Albatta isharat apne jaanisaar sahaba k saamne in alfaaz me zikar farmaya k *والله ما علمت على اهلى الا خيرا* yaani khuda ki khasam me jaanta hoon k meri ehliya ka daaman is tohmat se paak hai._
_Yahaan tak k us fitne k daoraan *AAP ﷺ ne MASJID E NABAWI mein daoraan khutba farmaya k, kaon hai jo meri madad karey aur us shaks se inteqaam le jisne bila shuba mujhe aur meri ehl ko ezaa (takleef) pahonchaayi (issey muraad ABDULLA BIN UBAE BIN SULOOL MUNAFIQ THA) phri farmaya k khasam hai khuda ki, main apni ahel se paarsayi k siwa kuch nahi jaanta.*_
_Kharaeen ki khidmat me guzarish hai k aap is waqey ka gehri nazar se mutaalla farmaye aur isper ghaor o fikar farmaye kyunke is waqey k zaman me jis tarah *zamana e aqdas ﷺ* k munafiqeen ne fitna barpa kar rakha tha, isi tarah *daor e haazir k munafiqeen firqa e wahabiya, najdiya, tableeghiya, waghaera ne bhi is waqey k zaman me bahot odham macha rakha hai aur is waqey ko HUZOOR E AQDAS ﷺ k ilm e ga'ib ki nafi me bataor daleel pesh karte hain.*_
_Aur Maaz'ALLAH yahaan tak bakwaas karte hain k agar *HUZOOR E AQDAS ﷺ ko ilm e ga'ib hota to AAP ﷺ alal aelaan HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki baraat zaahir karte, lekin AAP ﷺ ne aesa nahi kiya, lehaza saabit hota hai k AAP ﷺ ko ilm e ga'ib nahi tha.*_
_Daor e haazir k munafiqeen ka yahi shewa hai k wo taoheen o tanqees risalat karne k liye QURAN k maayine aur ahadees k mafhoom mein tarmeem o tardeed paeda karke logon ko behkaane ki koshish karte hain._
*_ZIKR ROKEY FAZAL KAATE NUQS KA JOYAAN RAHE PHIR KAHE MURDAK K HOON UMMAR RASOOLULLAH KI ﷺ_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 07 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Waqeya tafseel se bayaan karne k baad is waqey mein kya kya asraar o ramooz mukhaffi the? Nez *HUZOOR E PAK ﷺ* ne kis maslahat ki bina per sukoot farmaya? Aur ismey kya hikmat thi?_
_Wo inSha ALLAH is topic k aakhir mein bataya jaayega, pehle is waqey ko tafseel se padhiye..._
_Jab *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* lashkar k khaafile se bichad gayi aur khafila jab rawana hogaya tab tak kisi ko pata hi na chala k *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* bichad gayi hain, mahmal uthaane walon ne yahi samajhkar mahmal (Kajawe) ko oont per rakhdiya tha k AAP uskey andar tashreef farma hain._
_Lekin jab ye lashkar MADINA SHAREEF k khareeb salsal naami muqaam per tehra aur oont bithaye gaye, magar mahmal se *UMMUL MOMINEEN HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* baahar tashreef na laayi, tab pata chala k AAP piche reh gayi hain unkey intezaar me lashkar bamuqaam salsal tahera raha, lashkar mein paani is andaaz se tha k MADINA SHAREEF pachonch jaaye._
_Lekin *UMMUL MOMINEEN* k piche reh jaane ki waja se khafile ko majburan unkey intezaar mein rukna pada aur lashkar mein jitna paani tha wo sarf hogaya, namaz ka waqt aaya to wazu k liye paani nahi tha, peene k liye bhi paani ki tangi thi, paani k baghaer wazu aur wazu k baghaer namaz padhna mumkin nahi tha._
_Lekin chonke ye khafila *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* k intezaar me taherne ki waja se paani ki khillat ki waqt o musibat me mubtela tha, *lehaza ALLAH TABARAK WA TA'ALA ne apne mehboob ki haram mohtarma k sadqe aur tufael in lashkar walo per meherbaan hokar, unper aur unke tufael qayamat tak k musalmano per karam farmakar taymmum ka hukum naazil farmaya.*_
_Jiska aetraaz *HAZRAT SAYYED BIN HAZEER رضي الله عنه* ne baargaah e *siddiqua mein arz kiya k مَا هِيَ بِأَوَّلِ بَرَكَتِكُمْ يَا آلَ أَبِي بَكْرٍ* Yaani aye aolaad e *Abu Bakar (رضي الله عنه)* ye tumhari pehli barkat nahi, matlab ye hai k musalmano ko tumhari bahot si barkatey pahonchi hain._
*_(📚Madarij Un Nabuwah, Jild 2, Safah 275)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 08 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* farmati hain k jab hum MADINA MUNAWARA waapas aaye, to mashiyat ezdi se in hi dino me bimaar hogayi, main ghar hi mein thi, ek maah se zyada main bimaar rahi._
_Baahar mere khilaaf fitna pardaazo ne jo ilzamaat utha rakhe the uska mujhe kuch pata na tha, ek din umme mastah naam ki aorat ne ilzaam tarashiyon ki ithaam saaziyo ki saari baatey mujhse bayaan ki._
_Jinhe sunkar main pehle se zyada bimaar hogayi, ek roz *HUZOOR E AQDAS ﷺ mere paas tashreef laaye aur salaam alaek k baad mujhse farmaya, tum kaesi ho...???*_
_Maine apni kaefiyat batane k baad arz kiya k agar AAP ijazat ata farmaye to main chand dino k liye apne walidaen k ghar chali jaau....???_
_*HUZOOR E AKRAM ﷺ ne ijazat ata farmayi aur main HAZRAT ABUBAKR SIDDIQUE رضي الله عنه k ghar chali gayi,* maine apni walida se tamaam baatey daryaaft ki, *main tamaam raat roti rahi aur subah hojaane per bhi mere aansu thamte hi na the, tamaam shab jaagti hi rahi, palak tak na jhapki.*_
_Main din bhar musalsil roti rahi, mere aansu rokey na rukte the aur neend naam ko bhi na thi, mujhko andesha hua k shiddat girya ki waja se shayad mera jigar phat jaayega._
*_(📚Khasaes Ul Kubra, Jild 1, Safah 451)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 09 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* farmati hain k ek roz *HUZOOR E AQDAS ﷺ* mujhko milne mere ghar tashreef laaye aur mujhse farmaya k aye *AYESHA (رضي الله عنه)* mere Huzoor tumhare baarey me aesi aesi baatey pahonchi hain, lehaza agar tum bari aur paak ho to anqareeb ALLAH tumhari paaki bayaan farmayega aur tumhari baraat ki khabar naazil farmayega._
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* farmati hain k *HUZOOR ﷺ ki zubaan e mubarak se ye kalmaat sunkar mere aansoo tham gaye yahaan tak k meri aankhon me ek qatra tak bhi nazar na aata tha, ye is khushi ki bina par tha jo maine HUZOOR E AKRAM ﷺ* k kalaam e mubarak se basharat paayi thi._
*_(📚Madarij Un Nabuwath, Jild 2, Safah 281)_*
*_(📚Khasaes Ul Kubra, Jild 1, Safah 452)_*
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* KI BARAAT MEIN QURANI AYAAT KA NUZOOL_
_*UMMUL MOMINEEN SAYYEDATUNA HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما farmati hain k main umeed rakhti thi k ALLAH TA'ALA meri baraat farmadega, aur meri paaki aur paak damani ki khabar dega lekin mujhe ye khayaal bhi na tha k ALLAH TA'ALA mere is maamley mein wahi naazil farmayega.*_
_Kyunke main apne rab ko aur apne maamle ko is qabil nahi samajhti thi, albatta mujhko sirf is baat ki taoqa thi k *RASOOL ALLAH ﷺ* shayad khwaab dekhenge aur is zariye se mujh bechaari ki iffat aur asmat par gawahi miljayegi._
_*ALLAH TA'ALA ka karam dekhiye k RASOOL ALLAH ﷺ apni jaga se uthe bhi na the k eka'ek HUZOOR E AKRAM ﷺ per nuzool wahi k asaar namodaar huye aur jo shiddat aese maoqe per hoti thi wo shuru huyi, hata k AAP ﷺ ki peshani mubarak per motiyo k maanind paseena chamakne laga, AAP ﷺ per khoob thandi k maosam mein bhi nuzool wahi ki shiddat se paseena waghaera ki kaefiyat taari hojati thi.*_
_Aur ye us girani aur bojh ki waja se hota tha, jo *KALAAM E MAJEED AAP ﷺ per utarta tha, thodi der k baad jab HUZOOR E AQDAS ﷺ nuzool wahi ki kaefiyat se faarigh huye to AAP ﷺ ka ye haal tha k AAP ﷺ tabassum farma rahe the.*_
_Sabse pehle baat jo *HUZOOR SARWAR E KONAIN ﷺ ne farmayi wo ye thi k "AYE AYESHA (رضي الله عنهما) ALLAH TA'ALA ne tumhe bari qaraar dekar tumhe paak girdaana hai, is tohmat se tumhari paaki bayaan ki hai aur tumhari shaan me QURAN bheja hai.*_
*_(📚Madarij Un Nabuwath, Jild 2, Safah 283)_*
*_(📚Khasaes Ul Kubra, Jild 1, Safah 454)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 10 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* farmati hain k us waqt,_
*_إِنَّ الَّذِينَ جَاءُوا بِالْإِفْكِ عُصْبَةٌ مِّنكُمْ_*
*_Tarjuma:_*
_Beshak wo k ye bahot bada bohtaan laaye hain, tumhe mein ki ek jamaat._
*_(📗Sureh Al Noor, Ayat 11)_*
_Is aayt se lekar aagey ki 10 ayato tak wahi huyi, aur *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki baraat mein 10 ayaat mazkoora aur degar 8 ayaat milakar 18 ayaat naazil farmayi._
_*📗SUREH NOOR, Ayat 4, PARA 19,* mein saaf hukum naazil hua k,_
*_وَالَّذِينَ يَرْمُونَ الْمُحْصَنَاتِ ثُمَّ لَمْ يَأْتُوا بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَاجْلِدُوهُمْ ثَمَانِينَ جَلْدَةً وَلَا تَقْبَلُوا لَهُمْ شَهَادَةً أَبَدًا_*
*_Tarjuma:_*
_Aur jo paarsa aorton ko ayeb lagaye, phir chaar gawaah moaayina k na laaye to unhey 80 kodey lagao aur unki koi gawahi kabhi na maano._
_*UMMUL MOMINEEN HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* per tohmat aur afak k silsile me QURAN MAJEED ka andaaz bayaan bada jamey aur purzor hai, ismey aejaaz o a'ajaaz aur ehkamaat o tambihaat is asloob se bayaan kiye gaye hain k ma'asiyat k kisi dusre waqu aur maoqe per is andaaz se bayaan nahi kiya gaye._
_Tohmat taraazi aur sukhan saazi ka munafiqeen ki taraf se jo muzahera hua, jisse ahle baeth e rasool aur khud *RISALAT MA'AAB ﷺ* ko jo intehaayi sadma, dukh, aur takleef pahonchi thi, uski waja se andaaz bayaan mein shiddat huyi hai._
_*AL KHASAES UL KUBRA FI MAOJAZAAT KHAER UL WARA mein IMAM AJAL HAZRAT ALLAMA ABUR REHMAN JALAAL UDDIN SUYOOTI KHUDAS SIRAH* ne zamkhashri ka ye qaol naqal farmaya hai k asnaam parasti aur shirk k baarey mein jo tambihaat hain wo bhi muqablatan isse kuch kam hi hain, kyun k ye ek *paakbaaz zaoja e rasool ﷺ* ki baraat ki haamil hain._
_Wahi k nuzool k baad *HUZOOR E AQDAS ﷺ ne SUREH NOOR ki 10 ayato ki tilawat farmayi aur phir HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k yahaan se nikal kar khush o kharam MASJID E NABAWI mein tashreef laaye aur SAHABA ko jama farmakar khutba diya.*_
_Aur uskey baad naazil shuda aayaton ki *SAHABA E KIRAAM k saamne tilawat farmayi aur tohmat lagane walon ko talab farmaya, tohmat lagane waley jab BAARGAH E RISALAT ﷺ* mein haazir kiye gaye, to *SARKAAR E DO JAHAAN ﷺ* unper HAD QAZAF jaari farmaya aur har ko 80 kodey lagwaaye._
*_(📚Madarij Un Nabuwath, Jild 2, Safah 283)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 11 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Yahaan tak k mutalle se waqey ki ibteda se inteha tak ki waaqfiyat haasil ho chuki hogi, ab daor e haazir k munafiqeen k aetrazaat me se ehem aetraaz jo is waqey k zaman mein *HUZOOR E AQDAS ﷺ k ILM E GA'IB per hain uska jawaab dey.*_
_MUNAFIQEEN E ZAMANA K AETRAZAAT_
_*Daor e haazir k munafiqeen yaani WAHABI, NAJDI, DEOBANDI, AUR TABLEEGHI firqa e btaila k muballigheen o muqarrireen apne jahalat se libreyz bayaan* aur taqreer jo darasal taqreer nahi balke tafreeq been al muslimeen hoti hai, badey tapaak o tab se odham machate hain k *HAZRAT AYESHA SIIDDIQUA رضي الله عنهما ki asmat o paak daamani k silsile me HUZOOR ﷺ ne ek maah se bhi zyada arsa tak sukoot kyun farmaya...???*_
_AAP ne filfoor unki baraat ka aelaan kyun na kardiya? Balkey wahi k muntazir rahe aur jab wahi aayi tab AAP ne baraat ka aelaan farmaya, issey pata chala *AAP ﷺ ko ilm e ga'ib nahi tha, agar ilm e ga'ib hota to aap faoran baraaat ka aelaan kar dete.*_ *_(MaazALLAH)_*
_Bas yahi hai k unke daawey ki daleel o barhaan, mashiyat e ezysi aur hikmat e ilahiya k ramooz ko samjhne se ek lakht qaasir o aajiz hone ki waja se aesi be dhangi baat keh rahe hain._
_Halaanke is waqey k parde me *ALLAH TA'ALA ki kayi hikmatey paoshida thi aur un tamaam hikmato se ALLAH TA'ALA ne apne MEHBOOB E AAZAM ﷺ ko aagah farmadiya tha, isi waja se _AAP ﷺ ne sukoot farmaya* tha, inSha ALLAH next part me kuch wajuhaat pesh ki jaayengi..._
*_🔄TO BE CONTINUED
_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 12 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDUQA رضي الله عنهما* per munafiqeen ki taraf se tohmat lagayi gayi thi, munafiq usko kehte hain k jo bazaahir apne aapko musalmaan kehta ho lekin dil se wo momin nahi hota._
_Zubaan se to qasmey kha kha kar *HUZOOR E AQDAS ﷺ ko ALLAH KA RASOOL hone ka iqraar karte the lekin peeth k piche HUZOOR ﷺ ki shaan ein naazeba kalimaat kehkar AAP ﷺ ki gustakhi karte the aur AAP ﷺ ko jhutlaatey the.*_
_Munafiqeen ki in doghli baaton ka ALLAH TA'ALA ne parda faash farmate huye QURAN E MAJEED mein ek mukammal surah "SUREH MUNAFIQOON" naazil farmayi hai._
_IRSHAD E BAARI TA'ALA HAI_
*_إِذَا جَاءَكَ الْمُنَافِقُونَ قَالُوا نَشْهَدُ إِنَّكَ لَرَسُولُ اللَّهِ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ إِنَّكَ لَرَسُولُهُ وَاللَّهُ يَشْهَدُ إِنَّ الْمُنَافِقِينَ لَكَاذِبُونَ_*
*_Tarjuma_*
_Jab munafiq tumhare huzoor haazir hote hain, kehte hain k hum gawahi dete hain k Huzoor beshak yaqeenan ALLAH K RASOOL HAIN aur ALLAH jaanta hai k tum uskey RASOOL ho aur ALLAH gawahi deta hai k munafiq zaroor jhootey hain._
*_(📗Sureh Munafiqoon, Ayat 01)_*
*_وَإِذَا لَقُوا الَّذِينَ آمَنُوا قَالُوا آمَنَّا وَإِذَا خَلَوْا إِلَىٰ شَيَاطِينِهِمْ قَالُوا إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِئُونَ_*
*_Tarjuma:_*
_Aur jab imaan walon se miley to kahey hum imaan laaye aur jab apne shaetaano k paas akele ho to kahe hum tumhare sath hain hum to yunhi hansi karte hain._
*_(📗Sureh Al Baqara, Ayat 14)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 13 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_HUZOOR E AQDAS ﷺ KO YAQEEN K DARJE MEIN IS MAAMLE KA ILM THA_*
_Haalaankey *HUZOOR E AKRAM ﷺ HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* k maamle me yaqeenan ba khabar the, isiliye to apne jaanisaar sahaba e kiraam ki muqaddas jamaat k saamne *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k maamley mein farmaya,*_
*_والله ما علمت على أهلى الا خيرا_*
_yaani Khuda ki qasam, main apni ahel se paarsaayi k siwa kuch nahi jaanta, is jumle ko ghaor se mulaaheza farmaiye._
_*HUZOOR صلى الله عليه وسلم* ne is jumle ko والله yaani khuda ki qasam se maokud farmaya hai, jiska matlab ye hai k *HUZOOR E AKRAM ﷺ ko HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki asmat ka sirf gumaan nahi tha balke yaqeen kaamil tha._
_Isiliye to ALLAH TA'ALA ki qasam se jumle ki ibteda farmakar apne yaqeen kaamil ka izhaar farma rahe hain, jab nabi aur rasool masoom hain, unse gunaah ka saadir hona mumkin hi nahi hai aur jhoot bolna gunaah e azeem hai, quran me jhoot bolne walon per ALLAH TA'ALA ki laanat ka aelaan hai._
_To NABI AUR RASOOL kabhi bhi jhoot nahi bol sakte, aur phir jhoot per ALLAH TA'ALA ki qasam khaana, isse bhi badh kar gunaah hai, har momin ka ye aqeeda hona laazim hai k rasool kabhi jhoot nahi bolkte aur kabhi bhi khuda ki jhooti qasam nahi kaate._
_To jab *HUZOOR E AKRAM ﷺ* sahaba e kiraam k saamne khuda ki qasam k saath *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki baraat farma rahe hain, to isse saaf saabit hota hai k *AAP ﷺ* ko is waqey ki haqeeqat ka yaqeen k darje mein ilm tha, balke ye bhi malum tha k ye tohmat lagane wala aur fitna uthaane wala kaon hai...???_
_Isiliye *MASJID E NABAWI mein khutba dete huye AAP ﷺ ne farmaya k kaon hai jo meri madad karey...???* Aur us shaks se inteqaam le jisne bila shuba mujhe aur meri ahel ko ezaa pahonchaayi._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 14 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Isko ek asaan misaal se samjhe k ek baadshah ki koi cheez gum hogayi, kuch mukhalif logon ne chori ka ilzaam baadshah k wazeer e aala k bete per lagaya, haalaanke k wazeer e aala ka beta be qusoor tha, wazeer e aala ko apne bete k be qusoor hone ka yaqeen k darje mein ilm hai._
_Lekin waqt ka taqaza aur maslahat haalaat ye hai k wazeer khamoosh hi rahe, kyun k agar wazeer uthkar apne bete k be qusoor hone ka aelaan karega to ilzaam lagane waley mukhalifeen ka girwaah yahi kahega k apne bete ki muhabbat aur tarafdaari mein wazeer e aala apne ohdey aur mansab ka najayez faeda utha rahe hain._
_Lehaza wazeer e aala sukoot ikhtiyaar karey yahi behtar o munasib hai, chahe tohmat ki aandhi kitni hi tez kyun na hojaye, iskey liye zaroori hai k sabar karey aur khamoosh rehkar us waqt ka intezaar akrey k haq baat waazeh hokar saamne aajaye._
_Achanak ek din baadshah salamat ki taraf se aelaan hota hai k wazeer e eaala k farzand arjumand per chori ka jo ilzaam lagaya gaya hai ismey wo bari aur be qusoor hai, wazeer zaada diyanatdaar aur nek bakht hai, aese nek bakht per chori ka ilzaam lagana, zulm shadeed aur gunaah e azeem hai._
_Hum wazeer zaada ko is chori ki tohmat se ba izzat bari karne ka aelaan karne k sath sath ye hukum naafiz farmate hain k jo log aese nek bakht aur diyanatdaar per ghalat ilzaam lagate hain unko kadi se kadi saza di jaaye, is aelaan k baad ilzaam lagane walon ko baadshah kodey lagwaye aur kodey lagane ka kaam apne wazeer k hath se anjaam dilwaaye._
_Ab qarayeen e kiraam, sochey wazeer zaada ki izzat kisme badhi...???_
_Agar wazeer apne bete ki baraat ka aelan karta hai to isme wo izzat o shaan haasil na hoti jo izzat aur martaba baadshah k aelaan se haasil hua._
_Theek isi misaal ko *HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k waqey mein zehen nasheen karkey sochey k HUZOOR E AQDAS ﷺ* ki taraf se baraat o asmat k aelaan mein munafiqeen ko tarafdaari aur paasdaari k ilzaam ki gunjayish thi._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 15 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_IS PART KO ACHHI TARAH SE SAMAJHNE K LIYE PART ➖ 11 SE 14 TAK ZAROOR PADHEY..._*
_Theek isi misaal ko *HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* k waqey mein zehen nasheen karkey sochey k *HUZOOR E AQDAS ﷺ* ki taraf se baraat o asmat k aelaan mein munafiqeen ko tarafdaari aur paasdaari k ilzaam ki gunjayish thi._
_Lekin jab *ALLAH TABARAK WA TA'ALA ne hi HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki baraat ka aelaan QURAAN MAJEED mein farma diya, to ab kisi ko sisakne ki, khisakne ki, budakne ki, rengne ki gunjayish hi na rahi.*_
_Agar *HUZOOR E AQDAS ﷺ apni taraf se HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki baraat ka aelaan farmate to wo hadees kehlaati aur ye waqey hadees ki kitabon mein degar waqeaat ki tarah shumaar kiya jaata._
_Hadees k matan (ibarat) ki namaz mein tilawat nahi hoti lekin *ALLAH TA'ALA ne HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki baraat ka QURAAN MAJEED mein aelaan farmaya,* isme ek hikmat ye hai k *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki azmat qayamat tak namaaz mein tilawat QURAN MAJEED k zariye zaahir hoti rahe.*_
_Awaam musalimeen mein deeni taleem o malumaat haasil karne ki rughbat aur shaoq din ba din kam hota ja raha hai, badi mushkil se naazera QURAN E MAJEED ki taleem log apni aolaad ko de paatey hain._
_Aese maahol mein hadees waqfa k ilm ki taraf bahot kam afraad maayel hain, agar baraat *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ba zariye hadees hoti to itni shohrat o izzat na milti, jitni k QURAAN E MAJEED se baraat hone per haasil huyi*_
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 16 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Chota sa dehaat hoga, chahe ismey musalmaan k do chaar hi makaan ho lekin wahaan kisi na kisi ghar mein QURAAN E MAJEED zaroor hoga, lekin wahaan kutub e ahadees ka hona na mumkin hai, balkey aksar shehron mein jahaan daar ul uloom nahi hota wahaan BUKHARI SHAREEF, MUSLIM SHAREEF, O DEGAR KUTUB AHADEES ka hona na mumkin hai._
_Alawa azee'n duniya ka koi bhi aesa gosha nahi hai jahaan KALAAM E MAJEED ka nuskha maojood na ho._
_Bar'aks iskey kutub ahadees bahot kam dastiyaab hain, to *ALLAH TA'ALA ne QURAAN MAJEED k zariye baraat HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ka jo aelaan farmaya hai*, isme ek hikmat ye bhi hai k duniya k koney koney mein *APNE MEHBOOB E AAZAM ﷺ ki zaoja mohtarma ki shaan o shaokat ka danka qayamat tak bajta rahe.*_
_Agar bajaye QURAAN *MAJEED, AHADEES se HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ki baraat o asmat ka aelaan hota to munkireen ko tanqees k ilye ek raah ye milti k wo apni zehni ikhtera'a se ye keh dete k YE HADEES ZAEEF HAI..._
_Jaesa k daor e haazir k munafiqeen wahabi najdi, deobandi tableeghi log *AZMAT O TAZEEM E MUSTAFA ﷺ* k jawaaz o saboot ki ahadees se awaam ko be iltefaat o be etemaad karne k liye bila kisi saboot e ilm asmaa al rijaal keh dete k YE HADEES ZAEEF HAI..._
_Lekin QURAN MAJEED ki kisi bhi aayat ko ZAEEF kehne ki kisi mein jurraat nahi, aur isi hikmat k tehet *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki baraat ka aelaan QURAN MAJEED mein kiya gaya hai.*_
_*MERA AQA O MAOLA SARWAR E KAENAAT ﷺ* se duniya ki koi cheez, koi baat posheeda nahi hai, *ALLAH TA'ALA ne APNE HABEEB ﷺ ko ILM E GA'IB se nawaza hai.*_
🌹 *_AUR KOI GA'IB KYA TUMSE NIHA HO BHALA_*🌹
🌹 *_JAB NA KHUDA HI CHUPA TUM PE KARODO DUROOD_*🌹
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 17 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_AURAT K HUQOOQ KI PAASDAARI_*
*_ISLAM ek aesa mazhab hai k jisne no'o insaan ko hayaat jaawedaani bakhshi hai, huqooq unnaas ki sahih pehchaan aur nishaandahi islam hi ne aalam e duniya ko batayi hai, islam ne duniya ko muashirat ka sahih tariqa o saliqa dikhaya hai, zaalim ko zulm se rokna aur mazloom ki himayat karna islam ka tareeq amal hai._*
_Khususan aorton per islam ka azeem ehsaan hai, ibteda e islam k daor mein aorat ko itna zaleel samjha jata tha k agar kisi k ghar ladki paeda hoti thi, to goya isko saamp soongh gaya ho, aesa iska chehra hojata tha aur samaaj k riwaaj k mutabiq ladki ko zinda dargor kardete the._
*_Meeraas mein aorat ko kuch bhi ehmiyat nahi di jaati thi, aorat ko sirf dil behlaane ka khilona samajh kar isse dillagi ki jaati thi, aur jab isse ji bhar jata to isey doodh mein se makkhi ki tarah nikaal phenkte the._*
_Aorat per zina aur degar uyoob k ilzaam lagakar isko ruswa aur zaleel kardena koi badi baat nahi thi, kisi bhi ba asmat o paak daaman khatoon ko ek aan mein faahesha aur bad kirdaar k alqaab se nawaazne mein kisi bhi qism ki jhijhak mehsoos nahi ki jaati thi, jiske ji mein jo aaya wo mu se keh deta tha._
_Lekin *HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ka roye zameen ki tamaam aorton per ehsaan hai k AAP ﷺ k sabab se QURAN MAJEED mein aorton ki asmat ki paasdaari aur paasbaani ki gayi, unki paak damani ki azmat ki hifazat ki gayi aur baat baat mein aorton ki paak damini per tohmat ka keechad uchaalne walon ko tambeeh karte huye QURAN MAJEED mein SUREH NOOR ki AYAT 4 mein saaf aur sareeh hukum farmaya*_
_*K "Aur jo log paarsa aorton ko ayeb lagaye, phir chaar gawaah mayina k na laaye to 80 kodey lagao aur unki koi gawahi kabhi na maano".*_
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 18 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_AURAT K HUQOOQ KI PAASDAARI_*
*_QURAN MAJEED mein SUREH NOOR ki AYAT 4 mein saaf aur sareeh hukum farmaya, K "Aur jo log paarsa aorton ko ayeb lagaye, phir chaar gawaah mayina k na laaye to 80 kodey lagao aur unki koi gawahi kabhi na maano"._*
_Is aayat k nuzool se aorton ki paarsaayi par choti choti baaton mein feyl qabeeh ki tohmat lagane walon k mu per aligadhi taaley lag gaye, sirf mu pe taala hi na lagaya gaya balke taala kholne walon ko 80 kodey lagane k saza matayeen ki gayi._
_JIs ko sharayi istelaah mein HAD QAZAF kaha jaata hai, sirf had qazaf per hi iktefa na kiya gaya balke *tohmat lagane waley ko daayemi taor per MARDOOD AL SHAHADA qaraar diya gaya, yaani hamesha k liye isko har gawahi matrook waghaera matabar yaani pabandi kardi gayi.*_
_*Mazkoor aayat k alawa kayi aayat jhooti tohmat algane walon ki mazammat mein SUREH NOOR mein naazil huyi hain, jinka tafseeli zikr yahaan na karte huye sirf itna hi arz kardeta hoon k aese tohmat baazon ko SUREH NOOR mein faasiq, jhoota, is per ALLAH ki laanat* waghaera wa'eedon se daraya aur khabardaar kiya gaya._
_Aur mardon ko ye baawar karaya gaya hai k *aorat bhi khuda ki ek muazzaz makhlooq hai, isko haqeer aur zaleel mat jaano,* isko heych samajh kar iske kirdaar per kichad uchaalna tark kardo, iski izzat o aabroo ki nighebaani karo, iske daaman asmat ko tohmat o ilzaam se daaghdaar karne se baaz raho._
_*Warna 80 kode, mardood al shahada, faasiq, jhoote, aur ALLAH TA'ALA ki laanat k haqdaar jaesi sazaye bhugatne k liye tayyar raho,* yahi islami tehzeeb hai, iskey daayere mein raho aur ye hukum qayamat tak jaari rahega._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 19 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_Agar *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما ki baraat HUZOOR E AKRAM ﷺ apni taraf se faoran farma dete aur wahi ka intezaar na farmate to...._*
_⚫ Kya SUREH NOOR ki daolat se hum sarfaraaz hotey...???_
_⚫ Kya ismey muasherey k nizaam ki durustgi k jo ehkamaat hain wo hamey naseeb hotey...???_
_⚫ Aorton ki izzat o aabru ki paasdaari aur paasbani ki taleem humko haasil hoti...???_
_⚫ Aoraton ki asmat aur paak damani ki ta qayamat jo hifazat ki gayi hai wo kya haasil hoti...???_
_⚫ Tohmat o ilzaam tarashi jaese qabeeh o mazmoom taor o atwaar k tarak karne ka haosla milta...???_
_⚫ Kya ye akhlaaqi muhasin duniya k goshe goshe mein pahonchte...???_
_In tamaam ehkamaat o wajuhaat ki bina per aalam makaan o ma yakoon, *ilm e ga'ib jaanne wale, har baat se bakhabar, HAMARE AAQA O MAOLA RASOOL ALLAH ﷺ* ne taoqaf farmakar sukoot farmaya._
_Is hikmat amli ko samajhne se qaasir o aajiz, kor chashm o kor baatin *daor e haazir k munafiqeen ne SUKOOT E MUSTAFA ﷺ se ghalat istedlaal haasil karke ye waweela macha raha hai k maazALLAH AAP ﷺ ko ilm e ga'ib nahi tha.*_
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 20 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_BARAAT AYESHA MEIN TAKHEER KI HIKMAT_*
_Daor haazir k munafiqeen ek shor ye bhi machate hain k baraat *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما k maamle mein HUZOOR ne ijlat kyun na farmayi... aur itni takheer kyun ki...???*_
_Ab isi sawaal ko hum daor e haazir k munafiqeen Wahabi Dayabana ki jaanib laotaatey hain k baraat *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنه k taalluq se ALLAH TA'ALA ne quraani aayaat k nuzool mein takheer kyun farmayi...???* hai koi aap k paas iska jawaab...???_
_Lekin *ALHAMDULILLAH, AHLE SUNNAT WAL JAMAAT k paas iska shaafi o daafi o kaafi jawaab hai,* nuzool aayat quraan ki takheer mein bhi kayi hikmatey hain, ek ye k agar koi maamla pesh aaye aur faoran iska tadarak kardiya jaaye to iska maamle ki itni ehmiyat nahi rehti._
*_FIl foor rafa dafa hojaane wala maamle sirf kuch dino tak awaam un naas mein zeyr e behes aur maozu sukhan rehta hai, phir ahista ahista log isey faramosh kardete hain, aur iske asraat ta deyr qaayem nahi rehte aur na hi is waqey ki sangeen ka ehsaas hota hai._*
_Dusri hikmat ye hai k fil foor hal shuda maamle mein logon k nazriyaat o takhilaat bhi kaamil taor se raonma nahi hote, bahot se logon k tafakkuraat andar hi andar dab kar reh jaate, unko izhaar karne ka maoqa hi nahi milti._
*_Aesi surat mein logon k zaati rawaiye ka pata nahi lagta k janaab e aala kis jaanib hain...??? Mawafiqeen mein se hain ya mukhalifeen ki girwah mein shamil hain taakey tameez ho sake k ye apna hai ya paraya...???_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 21 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_*HAZRAT SAYYEDNA AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi tohmat ka maamla koi mamuli haadsa na tha, ALLAH TA'ALA k MEHBOOB E AAZAM ﷺ ki zaoja mohtarma ki asmat ka maamla tha aur dar parda qayamat tak aane waali khawateen ki izzat o aabru ka maamla tha.*_
_Tohmat ka taalluq kirdaar se the, paak daamani se tha, ek aorat k liye apni asmat se badhkar koi cheez azeez nahi hoti, ek aorat apni asmat k tohaffuz k liye duniya ka saara aesh o araam qurbaan karne k liye hamwaqt mustaaddad hoti hai._
_Agar *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi tohmat ka maamla HUZOOR E AQDAS ﷺ faoran rafa dafa farma dete, to is maamle ki ehmiyat sangeeni ka ehsaas na hota,* aaye din aese ithamaat (tohmat ki jama) ka a'ada aur silsila jaari rehta._
_Sirf *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما nahi balke aur bhi paak daaman khawateen k daaman asmat jhooti tohmaton se daaghdaar hote rehte aur is ka dayimi taor per koi tadarak na hota.*_
_*HUZOOR E AKRAM ﷺ ne muashere se is qism k razeef afaal ko neest o nabood farmane mein jo kirdar ada farmaya hai, wo puri duniya k liye zarb al misl hai, AAP ﷺ ye chahte the k ilzaam tarashi ki aadat qabeeha ko is tarah khatam kiya jaaye* aur aese iqdaam kiye jaaye k koi bhi shaks kisi paak daaman aorat ki asmat per tohmat lagane se pehle iskey anjaam se ba khabar aur khaofzada hokar iskey irtekaab se thar thar kaanpe._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 22 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
_Aaj to meri zaoja mohtarma ki asmat ko nishana banaya gaya hai, kal kisi aur paak daaman khatoon ki ridaaye asmat ko khanjar e tohmat se paash paash kiya jaayega, lehaza *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ko sabab banakar asmat un nisa k tohffaz k daayemi aur mustaqil iqdaam uthaaye jaaye._
*_Isiliye is maamle ko itni zyada ehmiyat di gayi aur ehmiyat dene k liye hi is maamle ko itna taweel diya gaya, tol dene se ehem amar ye bhi haasil hota hai k samaaj k sab log isse waaqif hojate hain aur sab logon ki araa o nazariyaat malum hojate hain taake kal uthkar ye na keh sake k mujhe is maamle ki ittela hi na huyi warna main apni raaye is tarah pesh karta._*
_To jab samaaj k sab log isse waqif hojate hain aur phir iske baad is maamle ka hal aur faesla hota hai to phir kisi ko ghaer mutmayin hone ka sawaal hi paeda nahi hoga, aur in sab umoor k husool k liye maamle ko tol dena zaruri hota hai taakey koi bhi shaks baad me apni la ilmi ka izhaar o bahana na kar sake._
_Lehaza isi gharz o hikmat ki bina per *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* per lagayi gayi jhooti tohmat k maamle ko ek maah se zyada muddat tak tol diya gaya._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 23 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_Kisi maamle ko tol dene se ye baat bhi waazeh hojati hai k kaon apna hai aur kaon paraya, apni wafadaari aur jaanisaari ka dum bharne waaley ka imtehaan hota hai k ayen waqt per kaon saabit qadam rehta hai aur kiske paaye isteqlaal mein tazalzil aa jata hai._*
_*ALLAH TABARAK WA TA'ALA* ki taraf se aazmayish aur imtehaan hota hai k kaon mukhlis hai aur kaon ghaer mukhlis...???_
*_Bahot se log ki ye fitrat hoti hai k wo hamesha tazabzub k shikaar rehte hain, unke azayem o iraade, faesle aur raaye mein apna koi nazariya kaargar nahi hota, balke wo dusron per munhasir hote hain, aese log maahol k pesh nazar jahaan jhukao hota hai usi taraf jhukte hain._*
_Naaqis al raaye aur naaqis al aqal hone ki waja se wo log dusron k feyl o irtekaab ka ittebaa karte hain, zaati taor per kuch faesla karne se wo log aajiz o qaasir rehte hain aese logon me khud aetemaadi aur khud iradiyat SELF DETERMINATION ka faqdaan hota hai._
*_Wo hamesha dusron k irado aur faeslo k mohtaaj aur marhoon mannat hote hain aur ye khaslat aur aadat mazmoom o na pasandida hai kyun k usme khaof o andesha hota hai k aadmi haq o baatil ka faesla kiye baghaer kisi ki dekha dekhi mein ghalat raah ikhtiyaar karke gumraah hojata hai._*
_Aese logo ka aam haalat mein pata nahi lagta balke jab kabhi koi sangeen maamla hota hai tab unki zehni be maayegi ka pata chalta hai aese log maahol se mutasir hokar hamesha chalti gaadi mein chadh jaane ki taamey zehniyat rakhte hain balke apne nafa aur laalach k husool ki kho ki bina per itne khud gharz hote hain k unko aankhon ki sharam bhi nahi hoti._
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 24 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_Dosti aur wafadaari k tamaam ehed o paemaan wo log faramosh kar jaate hain, bataqaza dosti o muhabbat musibat k waqt madad karna wo bhool jaate hain, madad karna to darkinaar, ulte wo mukhalifat karne walon k zamre mein apni jaaye nishast ikhtiyaar karlete hain._*
_Aese jhute madyi dosti aur sache wafadaaron ka imtiyaaz musibat k maamle k waqt hi sahih taor per hota hai, aam haalaat mein zabani iqraar muhabbat wafadari to sab karte hain lekin jab maoqa aata hai tab aashiq saadiq saaye ki tarah sath rehta hai aur dhoke baaz udkar saamne waley kinare chala jaata hai._
_*HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما per lagayi gayi jhooti tohmat k maamle ko itni lambi muddat tak tol dene k pas parda hikmat e eyzdi yahi thi k logo ka imtehaan aur aazmayish hojaye aur is imtehaan k zariye logon ka imtiyaaz bhi hojaye*._
_Qarayeen ko haerat hogi k munafiqeen ki baaton k jaal mein saada loh aur bhole bhaale musalmaan bhi phans gaye the aur unka shumaar bhi ahle afak yaani tohmat lagane walon mein hota hai, bada hi sangeen maamla tha._
_*Jab pehle BAET UL MUQADDAS ko qibla banaya gaya tha, tab bhi ALLAH TA'ALA ne logon ka imtehaan liya tha jiski tafseel is aayat mein hai.*_
*_وَمَا جَعَلْنَا الْقِبْلَةَ الَّتِي كُنتَ عَلَيْهَا إِلَّا لِنَعْلَمَ مَن يَتَّبِعُ الرَّسُولَ مِمَّن يَنقَلِبُ عَلَىٰ عَقِبَيْهِ_*
*_Tarjuma:_*
_*Aur aye MEHBOOB tum pehle jis qible per the, humne wo isiliye muqarrar kiya tha k dekhe kaon rasool ki paerwi karta hai aur kaon ulte paaun phir jaata hai.*_
*_(📗Sureh Al Baqara, Aayat 143)_*
*_🔄TO BE CONTINUED
*_🌹°ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ°°°_*
*_💞الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ🌹_*
*_☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆_*
*_•🅿️ART- [ 25 ]•_*
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
*_Is Maujoo ke 1se 25 tak sare parts Hasil karne ke liye Raza ki Raza Network website se hasil kar sakte hai_*
_Aaj to meri zaoja mohtarma ki asmat ko nishana banaya gaya hai, kal kisi aur paak daaman khatoon ki ridaaye asmat ko khanjar e tohmat se paash paash kiya jaayega, lehaza *HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* ko sabab banakar asmat un nisa k tohffaz k daayemi aur mustaqil iqdaam uthaaye jaaye._
*_Isiliye is maamle ko itni zyada ehmiyat di gayi aur ehmiyat dene k liye hi is maamle ko itna taweel diya gaya, tol dene se ehem amar ye bhi haasil hota hai k samaaj k sab log isse waaqif hojate hain aur sab logon ki araa o nazariyaat malum hojate hain taake kal uthkar ye na keh sake k mujhe is maamle ki ittela hi na huyi warna main apni raaye is tarah pesh karta._*
_To jab samaaj k sab log isse waqif hojate hain aur phir iske baad is maamle ka hal aur faesla hota hai to phir kisi ko ghaer mutmayin hone ka sawaal hi paeda nahi hoga, aur in sab umoor k husool k liye maamle ko tol dena zaruri hota hai taakey koi bhi shaks baad me apni la ilmi ka izhaar o bahana na kar sake._
_Lehaza isi gharz o hikmat ki bina per *"HAZRAT AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما* per lagayi gayi jhooti tohmat k maamle ko ek maah se zyada muddat tak tol diya gaya._
*《..Alhamdulillah Mukammal..》*
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें