09/10/2020

NIKAH KI FAZILAT AUR MASAIL

*सुन्नियत का काम करेंगे!*📚 *मसलक ए आला हजरत को आम करेंगे!






🌹🌹🌹🌹NIKAH KI FAZILAT🌹🌹🌹🌹


♻ Nikah ka lugwi maana hai aisa contract jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho jaayen

♻ “nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na kare wah nabi Sallallaho Alihe Wasallam ke tareeqe par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah karta hai allah uski madad karta hai nikah na karne se zameen me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni miyan biwi me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti, nikah aadha deen hai mardo ke liye aurton se badkar koi fitna nahi”

♻ “kunwari larki se nikah karna behtar hai maal wa khoobsoorti hasab nasab ka khyaal na kare balki deen daar aurat se nikah kare, musalman ke liye nek aurat se badhkar aur koi cheez nahi hai jis nikah me kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai,

♻ jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekh le kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi, nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori hai agar kunwari hai to uska chup rahna kaafi hai aur talaaqshuda ko zabaan se kahna chahiye, bina sarparast ke nikah sahi nahi agar koi wali na ho to haakim wali hai ek aadmi ke paighaam ke hote
dusre ko paighaam dena mana hai”

            📚(mishkaat 262,266,269,268 )

               :JINSE NIKAH JAYEZ NAHI:

1- sauteli maa

2- sagi maa

3- beti

4-bahan

5- fufi

6- khala

7- bhateeji

8- bhaanji

9- dhoodh wali maa (daai)

10- saas

11- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho

12- sage beton ki biwi se

13- do sagi bahno se ek saath

♻ Nikah me biwi aur uski fufi ko jama
karna (yani ek sath inko nikah me rakhna haraam hai) aur isi tarah biwi wa uski kh
aala ka jama karna bhi haram hai, musalman mard ka nikah mushrika
aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai, behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se nikaah kare isi tarah iman wali aurat ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,

      📚( mishkaat, bukhaari, surah nisa)

       ::JAWAAN AULAAD KI SHAADI::

♻ “Jawan ladke aur ladkiyon ka nikah
kar dena chahiye, hadith me hai agar ladki 12 saal ki ho gayi ho aur uska nikah nahi huwa aur usse zina ho gaya to uska gunaah baap par hai, iski tarah jab ladka baaligh ho jaaye to fauran nikah kar dena chahiye warna agar zina kar baitha to uska gunah baap par hoga”

                   📚(mishkaat 276)

“agar ek se zyada biwiyan ho to unke
beech insaaf wa baari muqarrar karna wajib hai, khilaane pilaane wa raat
guzaarne me insaaf karna wajib hai
magar muhabbat me kami zyadati me koi pakad nahi.

                   📚(mishkaat 276)

♻agar pahli biwi ke hote huwe kunwari
aurat se nikah kare to 7 raat kunwari
ke paas rahe phir baari muqarrar kare, aur shadi shuda aurat ko kunwari par kare to 3 raat uske paas rahkar baari muqarrar kare, agar aurton ke saath insaaf Na karega to qayamat ke din is haalat me allah ke saamme laaya jaayega ki uska aadha jism gira hoga..

♻ aur aurton ka mard par haq hai ki jo
khaaye waisa hi khilaaye jaisa pahle waisa hi pahnaaye iske munh par na maare, bura na kahe, naraazgi ki surat me ghar se bahar na soye agar zarurat pesh aaye to maamuli se maar maare, zabaan daraaz hai to talaaq de de”

              📚(tirmizi, mishkaat 279)

♻ ALLAH hume kehne se jyada sunne se jyada amal karne ki toufiq ataa farmaye… AAMEEN

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈







NIKAH KE TALLUQ SE KUCH AHEM BAATE

              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯
                  NIKAH KE TALLUQ SE
                    KUCH AHEM BAATE
              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯

Aurat ko nikah ka paigam aur daawat dena aur baat cheet ke bad Shaadi ka ahad karna aur shaadi ki baat pukhta karlena mangni kahlata hai-

Mangni azdawaji zindagi ki pahli seedhi hai-ye pahla qadam soch samajh kar aur danish mandi se uthana chahiye,
Q k yaha se hi zindagi ki buniyad padhti hai,aur azdawaji zindagi ki buniyad mangni hi hai,is marhale me ladki aur ladka ka intekhab karte hai,aur ek doosre ko pasand karte hai,is marhale me jo intekhab hojata hai fir us intekhab ko nikah ke zariye rishta azdawaj me munsalik kardiya jaata hai.

Azdawaji zindagi ki kamiyabi ka inhesar is pahle qadam par hota hai,isliye zaroori hai ke ye qadam bade soch samajh kar chhan been karke ladke aur ladki ki zahni ham aahingi ko dekhte huwe uthana chahiye,isme kisi qism ki jald baazi sekaam nahi lena chahiye.

Zindagi ka pahla zeena ye hai ke mard apne liye kisi aisi aurat ka intekhab kare jo nek,pak ba saleeqa sha’ar ,taleem yafta aur husn-e akhlaq wali ho,aur mard ko aurat ki soorat par seerat ko tarjeeh dena chahiye,aur aurat ko aise khawind kaintekhab karna chahiye jo deen par amal karne wala ho aur akhlaq-e husna ka malik ho,taaleem yafta ho aql mand aur samjhdar ho…

Hadees pak me huzoor salllahu alaih wasallam ne ne irshad farmaya ke jabtumhare pas koi aisa shakhs nikah kapaigam bhejhe jiske deen aur akhlaq se tum razi ho to us se nikah kara do,agar aisa na karo ge to zameen me fitna aur lamba chauda fasad ronuma hoga.

ALLAHU akbar……

Ek aur hadees-e pak me hai?
Hazrat abu huraira radiallahu anh se riwayat hai ke nabi kareem sallallahualaih wasallam ne farmaya ke kisi aurat se char cheezon ki wajah se nikah kiya jata hai,uske husn-o jamal ki wajah se aur uske hasb-o nasb ki wajah se aur uske deen ki wajah se,lekin dekho tum deen wali aurat se nikah karna.

Afsos sad afsos aaj kal aksar log ye sab nahi dekhte balke ye dekhte hai ke ladki wale yaa ladke wale kitne maaldar hai,
Aur ladke walao ka to jawab hi nahi hota ladke walon ka to yahi kahna hota hai ke mujhe ladki haseen-o jameel ke saath saath daulat bhi milni chahiye,tarah tarah ki mange kijaati hai jahez k naam per ,
Bechara ladki ka baap rat ki tanhayeeme apne aansu baha baha ke zindagi basar karta hai.

Kya hamne kabhi socha is bat ko ek din hamare saath bhi yahi ho sakta hai ??,hamari bhi bari aasakti hai. ??
Tab ehsas hoga…. Isliye mere doston aap sabse meri ilteja hai aaj se ahad karle ham sab keapni zindagi ko khush gawar banayen ge aur apne nikah me nek seeerat ba akhlaq ba kirdar ladki ko layen ge aur jahez ki mang nahi karenge.
(In shaa ALLAH)

Ek aham bat ye hai ke , mangni ya nikah karne se pahle ladki ko dekhlene me koi harj nahi hai balke zaroor dekh lena chahiye,, Hadees shareef me hai Nikaah Se Pehle Ladki ko Dekhna:

Hazrath Muhammad Salama Kehte Hai Ki Maine Ek Aurat Ko Nikah Ka Paighaam Diya, Mai Use Dekhne K Liye Us K Baagh Me Chhup Kar Jaya Karta Tha Yahan Tak Ki Maine Use Dekh Liya Kisi Ne Kaha
Aap Aisi Harkat Kyu Karte Hai

HalankiAap Huzoor K Sahabi Hai, To Maine Kaha Huzoor Ne Irshaad Farmaya
“Jab Allah Ta’ala Kisi K Dil Me Kisi Aurat Se Nikah Ki Khwahish Daale Aur Wo Use Paighaam De To Us Ki Jaanib Dekhne Me Koi Harj Nahi.

(Ibne Maja Vol: 01, Page: 523 , Baab No: 597 , Hadees No: 1931)

Yaha se ye baath sabit hui k nikah se pahle ladki ko ek nazar dekhlena jaiz hai…, ye ajeeb bat hai ke jinki shaadi honi hai aur dono ne ek doosre ka bistar banna hai aur jinhon ne ek saath zindagi basar karni hai unka ek doosre ko dikha na, ek doosre ko pasand karna bahut mayoob tasawwur kiya jata hai aur unko ek doosre se milne ki ijazat nahi dijati,joke islam ki taaleemat ke bilkul khilaf hai.

Nikah Meri Sunnat hai::::

Noor-E-Mujassam , Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriy a,Nabi-E-Rehmat , Shafa-E-Mehshar , Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E -Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: “Nikah Meri Sunnat Hai”

(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

ALLAH Rabbul izzat irshad farmata hai:
“Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye”

(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa’ad Radiallahu anhu se riwayat hai ke Nabi-E-kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadeesno 136)

Aur irshad farmate he Pyare Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam: “Bande ne jab Nikah kar liya to AadhaDeen Mukammal ho jata hai Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta’ala se daro”

(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud RadiallahuTa’ala Anho Se Riwayat hai ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: “Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta hai To wo Nikah zarur kare Kyunki NikahNigah Ko jukata hai Aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe Kyunki ye Shahwat Ko kam karta hai

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

             .........Jazakh ALLAH………..

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈








Nikaah Ek behtarin Sunnat Bhi Hai

     🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
      Nikaah Ek Behtareen Sunnat Bhi Hai
     🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

                          🌷» Nikaah «🌷

🌾Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Nikaah Meri Sunnat Hai, Agar Koi Meri Sunnat Par Amal Na Kare, Uska Mujh Se Koi Taalluq Nahi.”

📚(Ibne Majah 1846)

🌾Hazrat Ibne Abbas (Radiallaho Anhu) Se
Riwayat Hai Ke, Huzoor (Sallalaho Alayhi
Wasallam) Ne Irshad Farmaya, “Gawaho Ke Bagair Nikaah Karne Wali Aurate Jaaniya
(Zina Karnewali) Hai”.

📚(Tirmizi Sharif, Jild-1, Safa-563, Hadees No. 1095, Baab No. 751)

🌾Baaligh Aurat Ka Nikaah Uski Marzi Ke Khilaaf Koi Nahi Kar Sakta, Na Uska Baap Na Baadshah- E-Waqt.

📚(Bukhari Sharif)

🌾Hazrat Gause Aazam (Radiallahu Anhu) Farmate Hai, “Nikaah Jumerat (Thursday)
Ya Jumma (Friday) Ko Karna Must’hab Hai, Aur Subah Ki Bajaye Shaam Ke Waqt Nikaah Behtar Karna Hain.”

📚(Gunyatuttalebi -n, Baab No. 5, Safa : 115)

🌾Musalman Aurat Ka Nikaah Musalman Mard Ke Siwa Kisi Bhi Mazhab wale Se Nahi Ho Sakta.

📚(Qanoone Shariyat Jild :2)

🌾Jisne Apni Beti Ka Nikaah Sharabi Mard-Se Kiya, Tuo Usne (Beti Ko) Zina Karne Ke Liye Rukhsat Kiya.

📚(Tanbia Ul Gafilin. S:-169)

♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾








Nikah Quran O Hadees ki Roshni me

      🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
             MAQASIDE NIKAH QURAAN 
                        KI ROUSHNI ME..
      🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah karna ibadath hai bashart ye k niyyat achhi ho, HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari sunnath per amal karna madsood ho, Quraan e paak ki aayate muqaddisa me nikah k maqasid ko nihayat wazeh andaaz me bayaan kiya
gaya hai, Is taalluq se chandh aayate mulaihiza kare:

AUR ISKI NISHANIYO SE HAI TUMHARE LIYE TUMHARE HI JINS SE JODE BANAYE KE INSE AARAAM PAO, AUR TUMHARE AAPAS ME MOHABBATH AUR RAHMATH RAKHI BESHAK ISME NISHANIYA HAI DHYAAN KARNE WALO KE LIYE.

📖(Surah Room : Aayat 21)

WOHI HAI JISNE TUMHARI EK JAAN SE PAIDA KIYA AUR ISME ISKA JODA BANAYA KE ISSE CHAIN PAYE

📖(Surah Aa’raaf : Aayat 189, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

ALLAH NE TUMHE BANAYA MITTHI SE PHIR PAANI KI BOONDH SE PHIR TUMHE KIYA JODE JODE

📖(Surah faatir : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

ASMANO AUR ZAMEEN KA BANANE WALA TUMHARE LIYE TUMHI ME SE JODE BANAYE AUR NAR WA MAADA CHOUPAYE

📖(Surah Shu'raa : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

Mazkura aayate karima se wazeh hota hai ke zoujiyat qudhrate ilahiya ka
shoukaar hai, RABB taala ye pasand nahi
farmata k be zawaaj rahe, tanha rahe, Is liye RABB taala ne awwal al bashar sayyidna ADAM alaihisalaam ko tanha na
rahne diya balke inke baad

sabse pahle hazrath HOUWWA alaihisalaam ko paida farmaya aur jab
insaan ne is zameen per qadam rakha to wo 2 qadam nahi 4 qadam the, tanha nahi zawaaj the, Aur jannath se aane wala insaan jab jannath me jayega to waha bhi joda hi hoga, Jaisa k farmaane baari taala hai:

BESHAK JANNTH WALE AAJ DIL LE BAHLAO ME CHAIN KARTE HAI WO AUR INKI BIWIYA SAAYO ME HAI, TAQTO PER TAKIYA LAGAYE HUE

📖(Surah yasin : Aayat 55/56)

Insaan to insaan hai ALLAH taala ne tamaam ashiyaa ka joda banaya hai, Jaisa k farmaane baari taala hai:
HAMNE HER CHEEZ KE JODE BANAYE HAI KE TUM DHYAAN KARO

📖(Surah Thaariyaat : Aayat 49, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
           MAQASIDE NIKAH HADEESE
              KARIMA KI ROUSHNI ME :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah isliye karna taake HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari
sunnath per amal ho jaye to ye ibadath hai lekin agar khwaahishate nafsi ki taklmeel ke liye nikah kare to nikah to bahre haal hojayega magar sawaab se mahroom rahega, Abwo hadees mulaihza
farmaye jin me ALLAH azzawajal k pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah k maqasid ko wazeh lafzo me bayaan farmaya hai:

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
       NASLE INSAANI KI FARAASH KI
              NIYYAT SE NIKAH KARE :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrath ABUDAWOOD ba riwayat Hazrath Mu’aqal bin Yasaar Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne wali bachhe paida karne wali aurat se nikah karo kyu ki mai tumhare kasrat tedaad ke baa as (baroze qayamat) dusri ummato per faqr karunga.

📚(Abu Dawood Shareef Hadees 2052)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
  GUNAHO SE BACHNE KI NIYYAT HO:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrat ABDULLAH BIN MASOOD Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Aye jawano: tum me se jo ghar basane ki taaqat rakhta ho wo nikah kare kyu ki ye nazro ko jhukata hai aur sharmjaho ko mahfooz rakhta hai aur jo iski taaqat na rakhta ho wo roza rakhe kyu ki isse khwashe nafsi marti hai.

📚(Muslim Shareef Hadees 3464)

Her insaan ke andar khwahishate nafsi audiyat kardi gayi hai, ab insaan k samne jinsi khwahishat ki takmeel ke liye makuha biwi ka hona zaruri hai, basurat digar aur gunaho ka martakab hoga KHUDAE jabbar ke ghazab ka mustahiq hoga lihaza istetaat hone ki surat me nikah karlena chahiye taake duniya aur aaqirat ki ruswayio se bach sake.

        🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
           NIKAH MERI SUNNATH HAI:
        🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

ADAYE SUNNATH KI NIYYAT SE NIKAH KARE Hazrath ABU Huraira Radhiallahu tahla anha irshad farmate hai: Jo meri sunnath se aaraza kare, wo mere tariqe per nahi.

📚(Bukhari Shareef Hadees 5063, Muslim Shareef Hadees 3469)

Aur ek hadees shareef me hai, Jo mujh se mohabbath karta hai ise meri sunnath per amal karna chahiye beshak nikah karna meri sunnath hai

📚(Kanzul A’amaal Hadees 44413)

Is hadees pak me HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah ke apni sunnath qaraar diya hai aur nikah karne per tarqheeb aur na karne per tahyeed sunayi hai. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah Meri Sunnat Hai"

📚(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

Hazrat Sahal bin sa'ad Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah karo chahe (Mehr dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho

📚(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)

Aur irshad farmate he Pyare AAQA ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм: "Bande ne jab Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata hai Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta'ala se daro"

📚(Mishkat shareef, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
         MOHABBATH KE LIYE NIKAH 
               SABSE ACHHA TARIQA:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne walo ke liye nikah se badh ker koi cheez tumne nahi dekhi.

📚(Ibne Majah Shareef Hadees 1920)

Ghour kijiye ke nikah se pahle tak do aise log ke inme ek dusre ko jaanta hi nahi tha, kisi khaandan ka mard aur kisi khaandan ki aurat , ek arabi dusra ajami, ek ashyayi dusre faraqi, jab sharyi nikah hojata hai to ek dusre per nisar hojata hai aur ulfath wa mohabbath wo rang laati hai ke zindagi bhar saath nahi chodhta, Nikah ke zariye jo taalluq paida hota hai wo lamhati aur waqti nahi balke daayim hota hai.

             🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
                BARKAT WALA NIKAH
             🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: BADI BARKAT WALA NIKAH WO HAI JISME BOJ KAM HO.

📚(musnad ahmed, hadees 24583, safa 360)

HAKEEM UL UMMAT hazrat moulana mufti ahmed yaar khan alaihirahma , maraa tul manaajhe me is hadees k tahet likhte hai, Yaani jis nikah me farqeen ka kharch kam karaya jaye , mahr bhi mamuli ho, jahez bhaari na ho, koi janib maqrooz na hojaye, kisi taraf se shart na ho, ALLAH azzawajal ke tawakkal per ladki dijaye wo nikah bada hi ba barkat hai, aisi shaadi khaana aabadi hai, Aaj ham haraam rasmo se, behuda riwajo ki wajah se shaadi ko khaana aabadi balke khaanha (yaani bohat saare gharo ke liye baa as ) banalete hai, ALLAH pak is hadees shareef per amal ki toufeeq de- aameen

📚(maraa tul manaajhe, jild 5, safa 11)

   🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
       NIKAH KAHA KARNA CHAHIYE ?
   🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma Hazrat Anas
Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar Radhiallahu tahla anhum se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Apne Nutfe (Shaadi ke liye) Achchi jagah talash karo. apni Biradri me Byaah ho, aur Biradri se byaah karlo ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti hai"

📚(Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Shareef wa Haaqim)

Hazrat imam Bukhari Radhiallahu tahla anhu Riwayat karte hai ki "Aur Must'hab (Behtar) Hai ke apni Nasl ke liye Behtar
Aurat chune Lekin ye Wajib nahi"

📚(Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)

Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radhiallahu tahla anhum se Riwayat Hai
Ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata hai..

1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajah se. Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"

📚(Bukhari shareef Jild 3, Safa 59, Tirmizi shareef, Jild 1, Safa 555)

HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Aurato se unke Husn ke sabab shaadi na karo ho sakta hai uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajah se shaadi karo ho sakta hai ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela
kar de,Balki Deen ki wajah se nikah kiya karo, Kali,Chapti,Bad -surat Londi agar Deendar ho to Behtar hai"

📚(Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)

                  🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
                     Dua ki guzarish
                  🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NIKAH KARNE KE BE SHUMAR FAIDE HOTE HAI AYIYE DALTE HAI EK NAZAR :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah k bohat saare fawaid hai yaha kuch ka zikr iqtesaran kiya jaata hai,

1. Nikah karne se nazro ki hifazat, paak damani aur gunaho se bohat had tak mahfooz hojata hai

2. Nikah karne se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм Ki ek azeem o pyaari sunnat ada hoti hai

3. Neik aulad duniya aur aaqirat dono me kaam aayegi

4. Nikah ke zariye jo aulad hogi in ki achhi tarbiyat karke deen o millat ke istehkaam ke liye inka istemaal kar sakta hai

5. Aulad ki wajah se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki seerate taiyyiba ke is hisse per amal ka mouqa mil sakta hai jis ka taalluq aulad se hai

6. ALLAH azzawajal aur uske pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ke wo ahkaam wa farmudaat jin ka talluq aulad se hai, aulad ki wajah se in ahkaam wa farmudaat per amal ka zariye mouqa milta hai

7. Insaan jab budha hojata hai aise mouqe per aulad sahara banti hai

8. Bachho ki kafalat ki zimmedari ke sabab insan ke dil me zyada se zyada kamane aur mahnet karne ka jazba paida hota hai

9. Aulad ki wajah se insan muashre me alag thalag nahi rahta balke isko izzath ki nigah se dekha jaata hai

10. Agar aulad daras gahe sunni me fout hojaye to maa baap ki shafaat karegi

11. Neik biwi insan ki zindagi k tamaam
malumaat me rafeeq hoti hai, moharam raaz hoti hai, gham ghusar hoti hai

12. Zahni aur jismani khurb jis qadr insan ko apni biwi se hota hai kisi aur se nahi
hota.

(Sharhey Sahih Muslim Summary by Allama Gulam Rasool Sa’eedi)

13. Nikah ke fawaid me ye bhi hai ke waldain ko aulad ki parwarish shafqat uthana padhti hai aur ye baat ajr-e azeem hai, Hazrat abdullah bin mubarak Radhiallahu tahla anha ek din jihad me
shareek the to us halat me apne sathiyon se farmaya, ke tum jante ho ke koi aisa bhi amal hai jo hamare is jihad wale amal se bhi fauqeeyat rakhta ho aur baaise ajr ho,

Doston ne arz ki huzoor baayan farmaye, Tab aap ne farmaya ,wo jihad se afazal amal ye hai ke kisi musalman ke
bachche ho,un bachchon ko raat sote me kapdhe utar jata hai to baap meethi neend chhodh kar un bachchon ko sanbhal ta hai,unko kapdhe se dhanpta
hai aur ye amal is jihad wale amal se afazl hai.

                    (subhan ALLAH)

14. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya, ALLAH pak
jannat me kisi momin bande ke darje buLand karta hai to wo banda arz karta hai,ya ALLAH pak ye mere darje kis wajah se buland kiye gaye hai? ALLAH pak farmata hai ,aye bande tere bete tere liye duwa aur isal sawab kiya hai us wajah se tere darje buland kiye gaye hai. Isse maloom huwa ke insan ek aulad chhodh jaye to ye bahut bada ina’am hai aur ye se nikah ke samrat me se qahai.

15. Hazrat umar Radhiallahu tahla anha ka qaul hai imaan ke bad nek aurat se bahtar koi nemat nahi hai.

16. Nikah ke fawaid me se ye bhi hai ke shaadi ke baad agar insan badkari aur bad nigahi se bachna chahe to ba aasani bach sakta hai- Hazrat abdullah bin masood Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ka irshad hai, aye najawano jo koi tum me se nikah karne ki taqat rakhta hai to use chahiye ke wo shaadi kare kyu ke shaadi karne se bad nigahi aur bad kari se bach jaata hai,agar kisi ko nikah ki taqat na ho to wo roze rakhe kyu ke roze bachao ka zaria hai.

17. khuwaja abu talib kitab (quwwatul quloob ) me naqal karte hai ke jab aurat
ke saath uska shauhar khelta hai usko muhabbat karta hai to usko itni nekiyan milti hai jitni ALLAH ko manzoor hai, Aur jab dono gusl karte hai to ALLAH pak paani ke har qatre se ek farishta paida karta hai jo qiyamat tak ALLAH pak ki tasbeeh bayan karta hai aur us tasbeeh ka sawab dono khawind beevi ko ata karta hai. (Subhan ALLAH)

Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

             ●●►jazakALLAH khairan◄●●

♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾










HAIZ NIFAS KE MASAIL

           👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜
             🎈HAIZ NIFAS KE MASAIL🎈
           👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜👜

🌟Haiz (Mahwari, M.C. Period,Nifas,istihaja ka bayan...🌟

🍇Balig Aurat ke aage ke makam se jo khoon aadi taur par nikalta he aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajah se na ho usey Haiz kehte he. Bachcha hone ke baad ho to Nifas kehte he...

📚 (Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 61)

🍇Nifas yani wah khoon jo bachcha jan’ne ke baad aata he. Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi. Aadhe se jyada bachcha nikalne ke bad 1 aan bhi khoon aaya to wo nifas he, aur jyada se jyada nifas ka zamana 40 din-rat he...

📚(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 63)

🍇Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padhna Roza rakhna Haram he. In dino me Namaze maaf he, inki qaza bhi nahi. Rozo ki qaza rakhna farz he, Weh khoon jo Aurat ke aage ke makam se nikle aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye istihaza he...

📚(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

🍇istehaza me na Namaz maf he Na roza maf he. Aisi aurat se Sohbat Haram he .

📚(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

🍇Tuo Aurato se alag raho Haiz ke dino, aur unse najdiki na karo jab tak wo pak na ho le. Fir jub pak ho jaye to unke pas jao. .

📚(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 222)

🍇Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rate he. Yani 72 ghante he aur Jyada se jyada 10 “din aur ratein” he. .

📚(Bahare shariat Jild 1 Safa 42)

🍇Haiz ki Halat me Aurat se Sohbat (Sambhog-Sex) karna haram he .

📚(Tirmizi Jild 1 Safa 136,Bahare shariat)

🍇10 din se kam me khoon aana band ho gaya to jub tak gusl na kare, sohbat jaiz nahi. .

📚(Bahare shariat Jild 1,Safa 74)

🍇Aurat ko jab haiz ka khoon aana band ho jaye to usey Gusl karna farz he .

📚(Kanoon-E-Shariat Jild 1,Safa 38)

       🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖
         🔮Haiz se Pak hone ka tariqa🔮
       🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖🔖

🍇 Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa radiallahu anha se riwayat he ki Ek Aurat Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam se Haiz ke Gusl ke bare me pucha. . Aapne usey bataya: Yun gusl kare. aur fir farmaya Mushk (Kasturi) se basa hua rui (cotton) ka faya le aur us se taharat hasil kar. Wo samaz na saki aur kaha Kis tarah Taharat karu? .

🍇Huzoor Sallalaho Alaihe Wasallam ne farmaya, Subhanallah us se taharat karo. Hazrat Aayesha farmati he Mene us Aurat ko apni taraf khinch liya aur use bataya ki usey khoon ke mukam par fere. .

📚(Bukhari sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)

🍇Note: Is zamane me Mushk milna mushkil he isliye uski jagah Gulab pani ya itra ka faya le. Fir gusl kare. . Dua ki guzarish .








NOORANI AURAT


••NOORANI AURAT••
**************************
HIQAYAT:-
**********

🍒Hazrat Junoon Rehmatullah Ta’aala Alaihi Farmate Hain Ki Main Ek Dafa Kaabe Sharif Ka Tawaaf Ker Raha Tha! Maine Tawaaf Khatm Kiya To Ek Noorani Aurat Ko Dekha Jo Kaabe Ka Gilaaf Pakadker Yeh Dua Maang Rahi Thi-

🍒Aye Mere Habib! Tu Jaanta Hain Ki Mera Habib Kaun Hain? Maine Mohabbat Ko Chupaya Hain Yahan Tak Ki Iski Raazdari Se Mera Seena Tang Hogaya!

🍒Fir Usne Rote Hue Yun Dua Maangni Shuru Ki! ILAHI! Tujhe Us Mohabbat Ka Vaasta Hain Jo Tujhe Mujhse Hain! Meri Magfirat Farma De!

🍒Maine Us Noorani Aurat Se Kaha, Aye ALLAH Ki Bandi! Yun Kaho Ki Mujhe Us Mohabbat Ka Vaasta Hain Jo Mujhe Tumse Hain! Tum Jo Yun Keh Rahi Ho, Ki Jo Mohabbat Tumeh Mujhse Hain Yeh Tumeh Kaise Pata Chalgaya! To Wo Boli, Aye Junoon, Quraan Ki Yeh Aayat Nahi Padhi:

🍒Tarjuma: To Ankarib ALLAH-TA’AALA Aisi Kaum Layega Jisse ALLAH-TA’AALA
Mohabbat Karta Hain Aur Wo ALLAH Se!
Dekhlo! Is Aayat May ALLAH-TA’AALA Ne Pehle Apni Mohabbat Ka Zikr Farmaya Hain Aur Yun Farmaya Hain Ki ALLAH Unse Mohabbat Farmayega Aur Wo ALLAH Se Mohabbat Karege!

🍒Goya Jo ALLAH Se Mohabbat Karte Hain Unse Pehle ALLAH Mohabbat Farmata Hain! Maine Kaha Tumne Mera Naam Kaise Jaan Liya? Wo Boli, Jo Khalik Ko Jaan Le Wo Makhluk Ko Kyon Na Jaan Lega? Fir Usne Kaha Zara Is Taraf Dekhna, Maine Dusri Taraf Mooh Mod Liya To Wo Nazron Se Gayab Hogayi!

📚(Rauzur Rihayeen Pg-216)

*********************************
SABAK:-
*******
🍒ALLAH Ke Maqbool Bande ALLAH Ke Mehboob Hain! ALLAH Unse Mohabbat
Farmata Hain Aur ALLAH Ki Yaad Se Ek Noor Paida Hota Hain Jisse Gaafil Mehroom Rehte Hain!

🍒Yeh Bhi Malum Hua Ki Jo ALLAH Ko Jaan Lete Hain Wo Makhluk Se Be-Khaber Nahi Rehte! Unko Sab Khabren Aati Rehti Hain!
*********************************





Mangni Ke Douran Ladka Aur Ladki Ek Dusre Ko Ring Pehnay Ye Shariat Mein HARAM Hai.

●Mangni Ke Douran Ladka Aur Ladki Ek Dusre Ko Ring Pehnay Ye Shariat Mein HARAM Hai.Isse Bache Aur Rishto Ki Shurwat Haraam Kamo Se Na Karen.●

Shadiyo Me Gane Ki Is Gandi Or Mardud Rasm Me Kunwari Ladkiya Bhi Sharik Hoti He aur Be-Haya, Be-Gairat, Khabis Be-Sharm Mard Ise Jaez Mante He.

↓↓ »»»► Shaadi me Beti/Bahan Ke Sohar ko Sone (Gold) ki Anguthi (Ring) Hargiz Gift Na Karey Aur Na Pahenayen ◄««« ↓↓

° MAS’ALA °
Mard Ko Sone Ki Anguthi Pahenna Haram, Tamba Pital Loha In Dhaton Ki Mard Or Aurat Dono Ko Na Jaiz Hai

📚[ FATAWA AALAMGIRI Vol-5, Page-295 ]

Allah hum sabhi ko najaiz Kamo se bachaye Aameen Summa Aameen

Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen






_आला हजरत इमाम अहमद रजा कादरी मुहद्दिस बरैलवी रदिअल्लाहु तआला अन्हु इरशाद फरमाते है....._
       "कुछ लोगो का खयाल है, की निकाह मुहर्रम के महीने मे नही करना चाहीये, यह खयाल फुजुल व गलत है! निकाह किसी महीने मे मना नही!"

📚 *[फ़तावा-ए-रज़वीया, जिल्द नं 5, सफा नं 179]*

  👉 *मस्अला* _अक्सर लोग माहे सफर मे शादी ब्याह नही करते, खुसुसन माहे सफर की इब्तीदाई तेराह (1 से 13) तारीखे बहु ज्यादा मनहुस मानी जाती है! और उनको "तेराह-तेजी" कहते है! यह सब जेहालत की बाते है! हदिसे पाक मे फरमाया की सफर कोई चिज नही! यानी लोगो का इसे मनहुस समझना गलत है! इसी तरह जिल्कदा के महीने को भी बहुत लोग बुरा जानते है, और उसको "खाली का महीना" कहते है! इस माह मै भी शादी नही करते! यह भी जेहालत और लग्वीयत है! गरज की शादी हर माह के हर तारीख को हो सकती है!_

*(Conclusion* _शरीयत ए इस्लामी के मुताबीक किसी महीने की कोई तारीख मन्हुस नही होती! बल्की हर दिन हर तारीख अल्लाह अज्जा व जल्ला की बनाई हुई है! गरज की हर महीने की किसी भी तारीख को निकाह करना दुरुस्त है!)_

📚 *_[बहार ए शरीयत, जिल्द नं 2, हिस्सा नं 16, सफा नं 159]_*
*________________________________*
 ✍🏻 _हुज़ूर सैय्यदना ग़ौसुल आजम शेख अब्दुल क़ादिर ज़ीलानी बगदादी [रदि अल्लाहु तआला अन्हु] नक्ल फरमाते है। कि...._
~*______________________________________*~
  💫 _"निकाह जुमेरात या जुमा को करना मुस्तहब है। सुबह कीे बजाए शाम के वक्त़ निकाह करना बेहतर व अ़फज़ल है।"_

📚 *_[गुन्यतुत्तालिबीन, बाब नं 5, सफा नं 115]_*
~*_____________________________________*~
✍🏻 _आला हज़रत इमाम अहमद रज़ा खाँ कादरी बरैलवी रदी अल्लाहु तआला अन्हु "फ़तावा-ए-रज़वीया" में नक़्ल फरमाते है। की......_

 💫 _"जुमा के दिन अगर जुमा की अज़ान हो गई हो तो उसके बाद जब तक नमाज़ न पढ़ ली जाए निकाह की इजाजत नहीं के अजान होते ही जुमा के नमाज के लिए जल्दी करना वाज़िब है। फिर भी अगर कोई अज़ान के बाद निकाह करेगा तो गुनाह होगा मगर निकाह सही हो जाएगा"_

📚 *[फ़तावा-ए-रज़वीया, जिल्द नं 5, सफा नं 158,]*
~*_____________________________________*~
    👉🏻 _"दुल्हा दुल्हन दोनो के माँ बाप को चाहिये कि निकाह के लिए सिर्फ और सिर्फ सुन्नी का़जी को ही बुलावाए । क़ाजी वहाबी, देवबन्दी, मौदूदी, नेचरी, ग़ैर मुक़ल्लिद वगैरह न हो।_

✍🏻 _*....* इमामे इश्क़ो मुहब्बत मुजद्दिदे आज़म आला हज़रत इमाम अहमद रज़ा खाँ [रदि अल्लाहु तआला अन्हु] इरशाद फरमाते है। कि....._

  _"वहाबी से निकाह पढ़वाने में उसकी ताज़ीम होती है जो कि हराम है लिहाजा उससे बचना ज़रूरी है।_

📚 *[अलमलफूज़, जिल्द नं 3, सफा नं 16,]*

           👉🏻 _*....* निकाह की शर्त यह है कि दो गवाह हाजिर हो । इन दोनों गवाहों का भी सुन्नी सहीउल अ़कीदा होना ज़रूरी है।_

✍🏻 *[मसअ़ला :-]....* _एक गवाह से निकाह नही हो सकता जब तक दो मर्द या एक मर्द दो औरतें मुस्लिम [सुन्नी] समझदार बालिग न हो।_

📚 *_[ फ़तावा ए रज़वीया, जिल्द नं 5, सफा नं 163]_*

✍🏻 *[मसअ़ला :-].....* _सब गवाह ऐसे बद-मज़हब है की, जिन की बद-मज़हबी कुफ़्र तक पहुँच चुकी हो तो निकाह नही होगा।_

📚 *[फ़तावा-ए-अफ्रीका, सफा नं 61,]*

✍🏻 *[हदीस :-]....* _हज़रत इब्ने अब्बास [रदिअल्लाहो तआला अन्हो] से रिवायत है। कि *हुज़ूर ﷺ* ने इरशाद फरमाया...._

💎 _"गवाहों के बगैर निकाह करने वाली औरते ज़ानिया [ज़िना करने वाली] है।_

📚 *_[तिर्मिज़ी शरीफ, जिल्द नं 1 बाब नं 751, हदीस नं 1095, सफा नं 563,]_*

*《..Alhamdulillah Mukammal..》*







PART 1
بسم الله الرحمن الرحيم‎
*बिस्मिल्लाहहिर्रहमानिर्रिहीम*

الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
*अस्सालातु वसल्लामु अलैहका या रसूलउल्लाह सल्ललाहो अलैह वसल्लम*
+_____🕋🕋____________+
*निक़ाह का बनाय पोस्ट(1)*
+_____📖📖____________+
सवाल- किन औरतों से निक़ाह करना बेहतर है?
*जवाब- कुवाँरी औरतों से और जिससे औलाद ज्यादा होने की उम्मीद हो उनसे निकाह करना बेहतर है।*
(रददुल मोहताज़ जिल्द2 सफ़्हा269)

सवाल- निकाह के लिये कौनसा दिन मुबारक व बाइसे बरकत है?
*जवाब- जुमे का दिन,हज़रत आदम अलैहिस्सलाम का निकाह हज़रत हव्वा से,हज़रत युसूफ अलैहिस्सलाम का निकाह ज़ुलैख़ा से,हज़रत सुलैमान अलैहिस्सलाम का निकाह बिलकीस से, और हुज़ूरे अनवर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम का निक़ाह हज़रत खदीज़ातुल कुबरा से और हज़रत आयशा से जुमे ही के दिन हुआ।*
(तफ़्सीर नईमी पारा11 सफ़्हा171)

सवाल- क्या निकाह के लिये गवाह का होना जरुरी है?
*जवाब- हाँ जरुरी है वगैर गवाह के निक़ाह नही होगा।*
(आम किताबे)

सवाल- क्या कोई निक़ाह वगैर गवाह के हो सकता है?
*जवाब- हाँ हुजूर सलल्ललाहु तआला अलैहि वसल्लम का निकाह बगैर गवाह वगैर दैन महर के जाइज़ है यह आपकी ख़ुसूसियात से है।*
(खसाइसुल कुबरा जिल्द2 सफ़्हा245/ज़रकानी जिल्द5 सफ़्हा231)

सवाल- हज़रत आदम व हज़रत हज़रत हव्वा का निकाह किसके सामने हुआ?
*जवाब- फरिश्तों के सामने हुआ और फ़रिश्ते ही गवाह बने।*
(तफ़्सीर अज़ीज़ी सूरए बक़र सफ़्हा159)

सवाल- क्या दुनिया में सभी नबियों ने निक़ाह फ़रमाया?
*जवाब- हाँ अब तक जितने नबी दुनिया से परदा फरमा गये हैं सभी ने निक़ाह किया उनमे कोई ऐसा नही जिसने निक़ाह न किया हो यहाँ तक की हज़रत यहया अलैहिस्सलाम बाऱे में भी है कि आपने निक़ाह किया लेक़िन मुबाशरत ना फरमाई क्योंकि आपकी शरीअत में मुबाशरत ना करना अज़ीमत थी इसी तरह हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम के बारे में है कि जब आप आसमान से उतरेंगे तो कबीला ऐ जुहैनिया की एक औरत से निकाह फरमाएगें और आपकी औलाद भी होगी।*
(रुहुल बयान जिल्द1 सफ्हा73/शरह शिफ़ा जिल्द1 सफ्हा290)

सवाल- हुज़ूर अनवर सलल्ललाहु तआला अलैहि वसल्लम ने कितनी औरतों से निकाह फ़रमाया?
*जवाब- गयारह औरतों से निकाह फ़रमाया उनके इलावा चार बाँदियाँ भी थीं।*
(शरह फ़िक़हे अकवर लिअली क़ारी सफ़्हा110/शरह शिफ़ा जिल्द1 सफ़्हा212/ज़रकानी जिल्द3 सफ्हा271)
+_____📚📚____________+
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)




PART 2
بسم الله الرحمن الرحيم‎
*बिस्मिल्लाहहिर्रहमानिर्रिहीम*

الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
*अस्सालातु वसल्लामु अलैहका या रसूलउल्लाह सल्ललाहो अलैह वसल्लम*
+_____🕋🕋____________+
*निक़ाह का बयान पोस्ट(2)*
+_____📖📖____________+
सवाल- नबीये करीम सल्लाल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की शादियाँ एक ही वक़्त हुई या अलहदा-अलहदा?
*जवाब- अलहदा-अलहदा हुई सबसे पहले आप का निकाह उम्मुल्मोमिनीं हज़रत ख़दीजातूल कुबरा बिन्ते ख़ुवैदल से हुआ आपके विसाल के बाद आपका निक़ाह उम्मुल्मोमिनीं हज़रत सौदा बिन्ते जमआ से निकाह हुआ फिर सन् दो हिज़री में आपका निक़ाह उम्मुल्मोमिनीं हज़रत आयशा बिन्त अबु बक्र से रुखसत होकर खिदमते अक़दस में पहुँची फिर हिज़रत के तीसरे साल या चोथे साल में आपका उम्मुल्मोमिनीं हज़रत उम्मे सलमा बिन्त अबी उम्मिया से हुआ फिर उम्मुल्मोमिनीं हज़रत हफ़सा बिन्त उमर बिन खत्ताब से हुआ उम्मुल्मोमिनीं हज़रत जैनब बिन्त खुजैमा ने निक़ाह फ़रमाया,फिर पाँचमें साल में उम्मुल्मोमिनीं हज़रत जैनब बिन्त जहशा से निकाह फ़रमाया,फिर छ्टे साल में उम्मुल्मोमिनीं हज़रत जुवेरिया बिन्त हारिस खुजाइया से निकाह फ़रमाया, फिर सातवीं साल उम्मुल्मोमिनीं हज़रत सफिय्या से निकाह फ़रमाया फिर उम्मुल्मोमिनीं मैमूना बिन्त हारिस हिलालिया और हज़रत उम्मे हबीबा बिन्त अबी सुफयान से निकाह फ़रमाया।*
(मवाहिब लदुन्निया जिल्द1 सफ़्हा201/उम्दातुल क़ारी ज़िल्द2 सफ़्हा32)

सवाल- हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की वह कौनसी बीवी हैं जिनसे आपका निक़ाह आसमान पर हुआ और हज़रत जिब्राईल उसके गवाह बने?
*जवाब- हज़रत जैनब बिन्त जहश।*
(जुमल जिल्द3 सफ़्हा440/ज़रकानी जिल्द3 सफ़्हा242)

सवाल- मर्द के निक़ाह करने की कितनी हालतें हैं?
*जवाब- छह हालते हैं,(1)फ़र्ज़(2)वाजिब(3)सुन्नते मुआक्किदा(4)मुबाह(5)हराम(6)मकरूह।*
*(1)एक जो शख्स महर व नफ़क़ा की क़ुदरत रखता हो और उससे यह यक़ीन हो कि निक़ाह ना करने की हालत में ज़िना वाके हो जाएगा तो उस पर निक़ाह फ़र्ज़ है,*
*(2)एक जो शख्स महर व नफ़क़ा की क़ुदरत रखता हो और उसे शहवत का गलवा इतना हो की निक़ाह ना करने की सूरत में ज़िना का अंदेशा है तो उसपर निक़ाह करना वाज़िब है,*
*(3)जब एतेदाल की हालत हो यानी न शहवत का बहुत ज्यादा गलबा हो और वह महर अदा व नफ़क़ा पर क़ुदरत भी रखता हो तो ऐसी हालत में निक़ाह करना सुन्नते मुअक़्क़ीद है कि निक़ाह न करने पर मुसिर रहना गुनाह है इस सूरत में अगर हराम से बचने या सुन्नत की पैरवी या औलाद हासिल करने की नीयत करे हो सवाब भी पाएगा,*
*(4)जो शख्स सिर्फ लज़्ज़त हासिल करने की नीयत से शादी करे तो उसके लिये निक़ाह मुबाह है,*
*(5)जिस आदमी को यक़ीन हो की निक़ाह करेंगा तो नान व नाफ़क़ न दे सकेगा या जो जरुरी हुक़ुक़ हैं उनका पूरा न कर सकेगा तो निक़ाह करना उसके लिए हराम है,*
*(6)जिस आदमी को अंदेशा हो की निक़ाह करेंगा तो नान व नाफ़क़ न दे सकेगा या जो जरुरी हुक़ुक़ हैं उनका पूरा न कर सकेगा तो उस सूरत में निक़ाह करना मकरूह है।*
(दुर्रे मुख़्तार व रददुल मोहताज़ जिल्द2 सफ़्हा268)
+_____📚📚____________+
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)



LAST PART 3
بسم الله الرحمن الرحيم‎
*बिस्मिल्लाहहिर्रहमानिर्रिहीम*

الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
*अस्सालातु वसल्लामु अलैहका या रसूलउल्लाह सल्ललाहो अलैह वसल्लम*
+_____🕋🕋____________+
*निक़ाह का बयान पोस्ट(3)आखिरी*
+_____📖📖____________+
सवाल- औरतों के निक़ाह की कितनी सूरते हैं?
जवाब- *छह सूरते हैं,(1)मकरूह(2)हराम(3)वाजिब(4)फ़र्ज़(5)सुन्नत(6)मुबाह,*
*(1)जिस औरत को अपने नफ़्स से ख़ौफ़ हो कि ग़ालिबन उससे शौहर की इताअत और उसके वाजिब हुक़ुक़ अदा न हो सकेंगे तो उसे निक़ाह करना ममनू व नाजाइज़ है,*
*(2)अगर यह ख़ौफ़ यकीन में बदल जाए तो इस सूरत में निक़ाह करना हराम है,*
*(3)जिस औरत को अपने नफ़्स से ऐसा ख़ौफ़ न हो लेकिन निक़ाह की जरुरत सख्त है कि बे निक़ाह किये माज़अल्लाह गुनाह में मुब्तला होने का गुमान है तो ऐसा सूरत में निक़ाह करना वाजिब है,*
*(4)जिस औरत को बे निक़ाह किये माज़अल्लाह हराम काम होने का यकीन हो तो उस हालत में निक़ाह करना फ़र्ज़ है यानी जब की ज्यादा रोज़े रखने और इलाज बगैरह से भी तस्कीन की उम्मीद न हो,*
*(5)अगर औरत हालत एतेदाल पर हो यानी न निक़ाह से बिलकुल बे परवाही न इस शिद्दत का शौक की बे निक़ाह गुनाह होने का गुमान यकीनी है ऐसी हालत में निक़ाह करना सुन्नत है मगर शर्त यह है कि औरत अपने पर इत्मिनान काफी रखती हो की उससे के उससे इताअत और हक़ूक़ु शौहर की अदाऐगी न छूटेगी,*
*(6)अगर औरत को जरा भी इसका अंदेशा हो तो उसके हक़ में निक़ाह सुन्नत न रहेगा सिर्फ जाइज़ होगा बशर्ते के अंदेशा गुमान की हद तक न पहुँचे वरना इबादत तो दूर की बात सिरे से निकाह ममनूअ व नाजाइज़ होगा।*
(फ़तवा रिज़विया जिल्द5 सफ़्हा389)

सवाल- जो औरत निक़ाह से पहले मर जाहे तो क्या आख़िरत में उसका निक़ाह होगा?
*जवाब- हाँ किसी जन्नती आदमी से उसका निक़ाह कर दिया जाहेगा।*
(तफ़्सीर नईमी पारा3 सफ़्हा356)

सवाल- क्या हर मोमिन को जन्नत में उसकी दुनयवी बीवी मिलेगी?
*जवाब- हाँ बल्कि दुनयवी बीवी हूरों गिलमान से भी ज्यादा हसीनो जमील होगी।*
(सावी जिल्द1 सफ़्हा17)

सवाल- जन्नत में हूर अफ़ज़ल होगी या दुनिया भी औरत?
*जवाब- दुनियावी औरत अफ़ज़ल होगी।*
(सावी जिल्द4 सफ़्हा56)

सवाल- जिस औरत को शौहर ने तलाक़ दे दी तो क़यामत के दिन किसके निक़ाह में रहेगी?
*जवाब- अगर वह औरत दूसरा निक़ाह न करे तो क़यामत के दिन अपने शौहर को मिलेगी जबकि दोनों ईमान पर वफ़ात पाए हों और अगर दूसरा शौहर करले और उसी के निक़ाह में मर जाऐ तो दूसरा शौहर की ब्रशते ईमान मिलेगी और अगर उससे भी बेवा होगई किसी निक़ाह में न मरी तो उसे क़यामत के दिन इख़्तियार दिया जाएगा कि उन शौहरों में जिसे चाहे पसन्द करले।*
(फ़तावा रिज़विया ज़िल्द10 निस्फ अव्वल सफ़्हा10)

सवाल- क्या हज़रत मरयम का भी आख़िरत में किसी से निकाह होगा?
*जवाब- हाँ हज़रत मरयम बिन्त इमरान, कुलसुम हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम की बहन आसिया फिरऔन की बीवी हुज़ूर सल्लाल्लाहु अलैहि वसल्लम की अजवाजे मुतहहरात में दाखिल होंगी।*
(नुरुल अबसार सफ़्हा13)
+_____📚📚____________+
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
(क़ुर्बे मुस्तफा,सफह 100)

कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...