13/10/2020

♛MASLAK-E-AALA-HAZRAT♛ ♞AUR RADDE BIDDAT♞

*सुन्नियत का काम करेंगे!*📚 *मसलक ए आला हजरत को आम करेंगे!







♛MASLAK-E-AALA-HAZRAT♛ ♞AUR RADDE BIDDAT♞

MASLAK-E-AALA-HAZRAT
   AUR RADDE BIDDAT

»»»►► Kuchh sunni sahi ilme deen na hone ki wajah se sahi aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilafe shariat amal karte hain,
Jis se bad-mazhabo ko ye kehne ka mauqa milta hai ke Sunni gunah karte hain.

Hame un ko sahi baat narmi ke saath samajhani hai.
»»»►►► Lekin un nadaan sunnio ki wajah se koi Imame Ahle sunnat aur Maslake Aala Hazrat ko galat nahi keh sakta.

≡≡ ♥ Imame Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ♥ ≡≡

══► Ab kuchh aisi baate gaur se padhkar samajh len Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ne apni kitaabo me buri bid’ato ko radd kiya hai aur un se bachne ka hukm diya hai.

»»»► (1) Sajda ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi. Gairullah ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Sajda e Ta’azimi Haraam hai.
(Azzubdatuz Zakiyya, Safa -5)

»»»► (2) Roza e Anwar ka na Tawaf karo, na Sajda, na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem unki Ita'at me hai. 
(Fatawa Razawiya, 10 /769)

»»»► (3) Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem najaiz hai. Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai.
(Fatawa Razawiya, 4/08)

»»»► (4) Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Roza ki) jaali ko bosa dene ya haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai, Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao. Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur bulwaya.
(Fatawa Razawiya, 10 /765)

»»»► (5) Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Bid'at hai.
(Fatawa Razawiya, 9/425)

»»»► (6) Jis waqt •Aurat• (Mazar par jaane ke liye) ghar se irada karti hai la'anat shuru ho jaati hai aur jab tak wapis aati hai, mala’ika la'anat karte rehte hain. Siwaye Roza e Rasool ke kisi mazaar par jaane ki ijazat nahi, Ke wo Zarya e Magfirat hai.
(Malfuzat, Safa -240)

»»»► (7) Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la'ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me wazeh hai. Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi. Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai.
(Fatawa Razawiya, 10/54)

»»»► (8) Randiyo ka Naach be-shak Haraam hai. Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai.
(Fatawa Razawiya, 29/92)

»»»► (9) Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai, Khane ka aise lutana be-adabi Aur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai.
(Fatawa Razawiya, 24/112)

»»»► (10) Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid'at aur Maal ko zaaya karna hai.
(Al Bareequl Manaar, Safa -9)

»»»► (13) Mazar par jab chadar majood ho, Kharab na hui ho, Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen, wo ALLAH ke wali ko isaale sawab karne ke liye kisi mohtaj ko den.
(Ahkaam e Shariyat, Jild -1/42)

»»»► (14) Kisi ne agar ► ' Taaziye ' par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.
(Fatawa Razawiya, 24/501)

»»»► (15) (Mazaar par Dua ka tareeqa) :
Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen. Phir Salam karte hue wapis aayen. Mazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na-jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai.
(Fatawa Razawiya, 9/522)







♚AQIDA-E-AHLE-SUNNAT♚

√ AQIDA-E-TOUHEED ♥
√ AQIDA-E-AHLE SUNNAT ♥

Allah Ta'ala Ek Hai, Uska Koi Sharik Nhi, Na Zaat Me, Na Sifaat Me, Na Af'aal Me, Na Ahkaam Me, Na Asmaa Me, Wo Wajibul Wujood He (Uska Wajud Zaruri He) Hamesha Se Hy, Or Hamesha Rahe Ga.
[♥Bahaar e Shariat V1, P1♥] 
→ MADADGAAR SIRF ALLAH TA'ALA HAI ←

"Yeh is liye ke Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai" . 
(Surah e Muhammad, Aayat 11, Parah 26) *

JIBRAEL (ALEHI SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN

"Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain". 
(Surah e Tehreem, Aayat 4, Parah 28)

Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peIda hoga, ke Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa???

Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Aliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main Aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga???

♥ * Bagaier ALLAH TA'ALA ki Ijazat ke Koun hai jo SHAFA'AT Kare ♥

"Koun hai jo Shafa'at kare bager Izn-E-KUDAWANDI ke". 
(Suarh e Bakarah, AaytalKursi, Parah 3)

* HAZRAT EESAA (AlehI Salaam) ka ALLAH TA'ALA k Hukum se Shifa dena "Aur main Accha karta hun Andhay aur Korhi ko, aur Murday zinda karta hun, ALLAH ke Hukum se".
(Surah e Al Imran, Aayat 49, Para 3)

Pehli Aayat se maaloom huwa k Bager ALLAH TA'ALA ki Ata k kisi k liye Shafa'at ka Aqeedah rakhna SHIRK hai magar ALLAH TA'ALA ki Ata se Shifa'at ka Aqeedah rakhna "TAUHEED" hai, isi tarah dusri Aayat se maaloom huwa, k murdon kochalana, shifa dena, yeh ALLAH TA'ALA ki Siffaat hain, magar ALLAH TA'ALA kisi ko ata karden, to ALLAH k khazane main koi kami nahin, Lihaza Ahle ALLAH k muta'alliq yeh Aqeedah rakhna k woh ALLAH TA'ALA ki Ata se murdon ko chala sakte hain, yeh SHIRK nahin hai, Q ke ZAATI aur Ataai kaam baraabar nahin ho sakte, aur jab Baraabari nahin to SHIRK bina huwa.

Aur ALHAMDULILLAH, AHL E SUNNAT ka bhi yahi Aqeedah hai.

♥ * ALLAH TA'ALA jise Chahe Aulaad de ♥

"ALLAH jise chahay Betiyan Ata farmae, aur Jise chahay Betay de". 
(Surah e Shooraa, Aayat 49, Parah 25)

* HAZRAT JIBRAEL (Alehi Salaam) ne kaha main tujhe Beta dun.

"(Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) ne BIBI MARYUM sekaha) Kaha main tere RAB ka Bheja huwa hun, Taa k main t ujhe ek Suthra Beta dun"
(Surah Mariyum, Aayat 19, Parah 16)

Pehli Aayat main hai, k Aulaad sirf ALLAH TA'ALA Ata farmata hai, magar is k Bar'aqs HAZRAT JIBRAEL (Alehi SALAAM), Hazrat Mariyum se farmate hain, k main tujhe ek suthra beta dun, to kiya yeh SHIRK hogaya???

Is main Tatbee yun Qaem hogi, K ALLAH TA'ALA khud Aulaad Ata farmata hai, aur JIBRAEL (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata se BIBI MARIYUM koBeta de Rahe hain, Lihaza in Aayat main Barabri ka koi Pehlu nahin, Q k ZAATI aur ATAAI barabar nahin hosakte, Jab barabri nahin paai gai, to SHIRK b na huwa.

* ALLAH TA'ALA Mout deta hai. *

"ALLAH jaanon ko Mout deta hai". 
(Surah e Zamr, Aayat 42, Parah 24)

♥ * Tumhen MOUT deta hai, MOUT ka farishta ♥

"Tum farmao, tumhen WAFAAT deta hai MOUT ka FARISHTA, jo tum par Muqarrar hai". 
(Surah e Sajda, Aayat 11, Parah 21)

Pehli Aayat main hai k, ALAH TA'ALA, MOUT deta hai, magar is k Bar'Aqs, Dusri Aayat main hai k, Tumhen MOUT ka Farishta MOUT deta hai, to Kiya yeh SHIRK hogaya????

Is main Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA, MOUT dene main kisi ka Mohtaaj nahin, magar Malakul MOUT (Farishtay) ROOH Qabz karne main ALLAH k hukum k mohtaaj hain, Lihaza Is main BhiBarabari nahin Paai gai, to jab Barabari nahin, Is liye SHIRK b na huwa.

♥NABI-E-PAK ( Sallallahu Alaihi Wasallam )♥ NE SAF SAF ALFAZ MAIN FARMA DIYA: 
''MUJHE ISS BAAT KA DAR NAHI K MERAY BAAD TUM ' SHIRK ' KARO GAI PER ISS BAAT KA DAR HAI KTUM APPAS MAIN BUGHAZ RAKHO GE '' 
[ Bukhari Jild #2 Page #975 Hadith #6102 ]

♥Ek Aur riwayat ke mutabik♥: 
Huzoor Sallaho Alehe Wasallam Ek Roz Shohda-E-Uhad Per Namaz Parhne Ke Lye Tashrif Ley Gae, Jaise Maiyat Per Namaz Parhi Jati Hai Phir Mimber Pe Jalwa Afroz Hoe Or Farmaya,

“Main Tumhara Rehnuma Aur Gawah Hun, Be Shak Khuda Ki Qsam Main Apne Haoz-E-Kausr Ko Ab Bhi Dekh Raha Hun Aur Mujhe Zamin K Khazano Ki Kunjiyan Dey Di Gain Hain Aur Beshk Main Is Bat Sey Be Khauf Hun Key Tum Log Mere Bad Shirk Karne Lago Gey, Balke Dunya Ki Mohbat Main Na Pahns Jao” 
[ ♥ Sahi Bukhari Hadith # 1257 ♥ ]








♛ZIYARAT E QABR♛

ZIYARAT E QABR
♥ ♥ Hadees-e-Pak ♥ ♥

"Jo apny Walidain ya 1 ki Qabr par har Jumma k din ziarat k liye hazir ho ALLAH usky gunah bakhsh dayga or Maa Baap k 7 bhalai karny wala likh dia jaye ga" 
[ NAWADIR UL USOOL P97 H130 ]

Qabr par Phool Daalna Behtar Hai Ke Jab Tak Rahega Tasbih karega aur Maiyat Ka Dil Behlaega. 
[ RADDUL-MUHTAR JILD:3 SAFA:184 ]
Also Mentioned In:
{ BUKHARI SHARIF jild 1, KITABUL WUZU, BAB UL AZAB e QABAR, HADEES 169 }

HADEES:
Jo Ba-Niyyate Sawaab Apne Waledain Dono ya ek ki Qabr ki Ziyarat kare, Hajje Makbool ke barabar Sawab Paye, Aur Jo Ba-kasrat Inki Qabr Ki ziyarat Karta ho Fariste Uski Qabr ki (Jab ye fout hoga) Ziyarat ko Aae. 
[ KANZUL-UMAL J:16 S:200 H:45536 DarulKutbul-Ilmiya, Bairut ] 

Har Sal awlia allah k parda farmane(urs)k din unki mazarat ki ziyarat karna sunnat hai:

Abu hurraira(RA) saad bin abi waqas(ra) mohammed bin ibrahim(ra)ukhba bin omer(ra)se riwayat hai k huzoor(SALLALLAHI ALIHI WASALLAM)har saal shauda e uhad ki mazar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho kuon k tumne sabar kiya. r akhirat ka ghar kaisa achha hai. r ishi tarha abubakar(ra) omer(ra)osman(ra) ali(ra) bhi har sal shauda-e-uhad k mazar-e-mubarak ki ziyarat karte thay

>Sharah al sudoor pg210,
>tafsir jamia al biyan13/ 96,
>ibne kasir2/ 791,
>tafsire kabir19/ 45,

Tabligijamat deobandi r ahle hadis k log kehte hai har sal AwliaAllah ki mazarat ki ziyarat karna shirk / biddat hai.(Ma'zallah) 

Allah k nayk bandon ki jagah par jakar duwa mangna nabion ki sunnat hai:

Quran:
Zakaria(Alaihis salaam)ko barso se tamana thi k unhe beta ho r unhone kai bar allah se duwa mangi yaha tak k aap zahif ho chuke thay. jab unhone maryam(ra) ki ibadat ki jagah dekhi k waha be mausam phal ate hai to us waqt unhone waha duwa mangi r aap ki duwa qubol hogayi 
( Para 3 al imran 37 39 ) 

Ahle hadis,tabligi jamat k log kehte hai allah k nayk bandon ki jagag par jakar duwa mangna shirk hai.-Ma'azallah

Huzur behtar Jante hai ki Musalmaan Qabro par jaa ke kya karenge. Agar Shirk w Haraam ka Dar hota to Huzur hargiz Ijazat na dete.

- Musalmaanon par Shirk Ke fatwe Laganewale Gour karey.

- Hadees sarif ke mutabik Musalmanon par Shirk Biddat Aur Haram ke fatwe Laganewale Khud MUSHRIK hai.
[Narrated by Ibn Hibban in his Sahih, Tahqiq Nasir Albani, Volume 001, Page No. 200, Hadith Number 81] 


√ Wasle Maola Chahte Ho To Wasila Dhundh Lo,
√ Be Wasila Najdiyun HarGiz Khuda Milta Nahi.
♥ MUFTI E AZAM HIND ♥ 








●•••ISAALE ● SAWAAB•••●

ISAALE SAWAAB

♥Question:♥

►Kya Esaale Sawab-Niyaz-Fateha-Teeja-40wa Jaaiz He ?
►Kya Quran W Hadees se saabit hai? 
Answer: Haa (Yes) ►►►►

Hadees:
Hazrate Sa'ad bin Ubadah RadialluAnhu ne arz ki, YA RASOOLALLAH Sallallahu Alahi Wasallam ! Meri MAA intekaal kar gayi hai. (me unki taraf se sadka karna chahta hu) Kounsa Sadka Afzal rahega?
Sarkaar Sallallahu Alahi Wasallam ne Farmaya 'PAANI' chunanche Unhon ne Ek kunwa khudwaya Aur kahaa
"YE UMME SA'AD RaiallahuAnhu ke liye hai" 
►SUNAN ABU DAUD SARIF JILD:2 SAFA:53 HADEES:1681 matbua darool fiqr bairut
►(Musnad e Ahmed JILD:5 PAGE:275)
►(Behiqee Snan Kubra JILD:4 PAGE:185) 

●●► HADEES:
Murdon ka haal QABR me dubte hue inshaan ki maanind hai ke woh siddat se intzaar karta hai ke baap ya maa ya bhai ya kisi dost ki dua usko pahunche aur jab kisi ki dua use pahunchti hai to uske nazdik woh dunia wa mafihaa se behtar hoti hai, ALLAH AZZWAJAL qabr walon ko unke ZINDAA mut'alikin ki taraf se HADEEYA kiya hua SAWAAB pahadon ki maanind ataa farmata hai, ZINDON ka hadeeya (tohfa) Murdon ke liye 'DUA E MAGFIRAT' katna hai.
► Baihaki SOEBUL-IMAAN JILD:6 SAFA:203 HADEES:7905 

●●► "NOORANI TABAAK"
Jab koi sakhs maiyat ko Ishale Sawab karta he to JIBRIL ALAIHSSALAAM use Noorani Tabaak me rakh kr Qabr k kinare khade ho jate hai aur kehte he, Ay Qabr Wale! Ye hadiya(tohfa) tere ghar walon ne bheja he qubul kr, ye sun kr wo khus hota he or uske padosi apni marhumi par gamgin hote he
●SarhusSudur P:308●


HADIS:
Meri ummat gunah samet QABR me dakhil hogi & jab niklegi to BE-GUNAH hogi kyu k wo muaminin ki DUAON se bakhs di jati he 
●TABRANI AWSAT J:1 S:509 H:1879●

HADEES:
Jo apni MAA ya BAAP ki Taraf Se Hajj kare unki (Yani MAA-BAAP ki) Taraf Se Hajj Ada Ho Jaye Use (Yani Haj Karne wale ko) Mazeed Das(10) Haj ka Sawaab Mile. 
(DURRE-KUTNI JILD:2 SAFA:229 HADEES NO.:2587)

HADEES:
Jo Ba-Niyyate Sawaab Apne Waledain Dono ya ek ki Qabr ki Ziyarat kare, Hajje Makbool ke barabar Sawab Paye, Aur Jo Ba-kasrat Inki Qabr Ki ziyarat Karta ho Fariste Uski Qabr ki (Jab ye fout hoga) Ziyarat ko Aae. 
(KANZUL-UMAL J:16 S:200 H:45536 DarulKutbul-Ilmiya, Bairut)

»»»► Maiyat ka teeja daswaa chaliswaa aur barsi karna achaa hai ki ye ISHAALE SAWAAB ke hi zaraae hai.

►Aur maiyat ke liye ZINDON ka dua karna Quraane Kareem se Saabit hai:
♥Qur'an:♥
Aur woh jo unke baad aye arz karte hai, Ay hamaare RAB AZZAWAJAL hame bakhs de aur hamaare bhaiyon ko jo hamse pehle IMAAN laye.
●SURAH HASHR AYAT:10 PARAH:28● 

Qur'an:
Tera Rab khub jaanta hai koun Behka uski Raah se, aur woh khub jaanta hai hidaayat walon ko "TO KHAAO USME SE JIS PAR ALLAH KA NAAM LIYA GAYAA AGAR TUM USKI AAYAATE MAANTE HO." Aur tumhe kya hua ke unme se na khao jispar ALLAH ka NAAM liya gaya, 
● SURAH ANA'AM (SURAH.6, PARA.8): 117-119 ●

Aey Iman walo Haram na Thehrao woh suthri chize ki ALLAH ne tumhare liye halal ki. 
● Sura e Maidah-05, Ayat no. 87 ● 

HALWA KHANA SUNNAT YA BID'AT? 
wahabi bolta hai k halwa bid'at hai 
magar samjhta nahi k kya bol raha hai Q k Hadis-e-Paak me hai ke 
"Hazrat Aaisha Siddiqa'h radi Allah anha farmati hai k Rasool Allah sallallaho alaihi wa sallam ko Shahad aur Halwa Pashand tha" 
(Bukhari,Vol.3, kitabut Talaq)

is Hadis se malum howa k RasoolAllah sallallaho alaihi wa sallam ko Halwa Pashand tha yani"Halwa khana Sunnat"

Lamh-e-fikar:
Jo Rasool Allah sallallaho alaihi wa sallam ki Pasand ko Bid'at kahta hai, us ko Aap kya kahna Pasand karoge?

Be Ishq Muhammad jo Padhte hai Bukhari,
Aata hai Bukhar un ko,Nahi aati Bukhari. 

Nek Kamo K Liye Din MukarRar Karna Jaiz Hai Jaise Urs,Milaad,11wi, Tija, 10wa,40wa,Barsi Ise Shirk Wahi Kahega Jis Ki Aqal Me Gobar Bhara Ho.
QURAAN:
Bani israeel Ko Wo Din Yaad Dilao Jab Allah Ne Un Par Nemate Utari 
(Para-13,Sura ibraheem) 
Biddat kehne wale 24 ke liye:
Kya Wahabiyon k Ghar Shadi Biyah Ki Tarikh Taye Nhi Hoti? kya Wo 3Din,40Din JAMAT Me Nhi Jate? is K Jaiz Hone Ka Saboot 2 BeWaqt Ki Awladon 

»»»►MAIYAT ke ghar wale TEEJAA ka khana pakaae to (maaldaar Na khae) Sirf Fukra (Garib) ko khillae. 
→ Musalmaan Jinnat ko bhi ishaale sawaab Kar sakte hai, 
→ Khane ke pahele ishaale sawaab kare ya khaane baad dono tarah durust hai. 
→Dastan-e-Ajeeb, Shahzade ka sar,Das bibiyon ki kahani, aur janabe saiyidah ki kahani wagairah sab man-Ghadak Kisse hai, Unhe hargiz na Padhe. 
→Ishaale Sawaab sirf musalmaan ko kar sakte hai. Kafir Ya murtad ko Ishaale Sawaab karna ya isko marhum kehna KUFR hai. Agar koi Wahabi na karey to Us se Larai mat karo, q k ishale sawaab sirf musalmaanon ke liye hai 
→(More details Are at 'NAMAZ KE AHKAM' dawate islami)

Ab in sab ko Biddat wahi kahegaa Jinki bheise jaisi khopdi me gobar bharaa hogaa.

»»»►Bad-Aqeedah log, Niyazo Fatiha Ke Liye Kehte Hain Ye Biddat Hai Q Ki Ye NABI K Zamane Me Nahi Tha In Se Puchho Khabison Tum The NABI Ke Zamane Me????? 
Aaj-Kal ke Kuchh Nadan Log (40din me molvi banne wale) In sab Chhizon ko Biddat Aur Haraam kehte hai (Ma'zAllah), Jiski Wajas Se Ummat Me Ikhtilaf Paidaa Hote hai

Imam Husain Ka Khichda, Imam Jafar Ke Kunde, Gause Azam Ka Murga in sab Chizon Ko BIDDAT Aur HARAAM kehne Waley Nalayak Aur Kam-Akal Log hai, Jo Qoum Me fitne Failaa rahe hai. Jinki Wajah Se Ummat Me Ikhtilaaf Fail Rahe hai.

- JO QURAN O HADIS Me Mana Nahi Likha Wo Kisi Ke Kehne Se Mana Nhi Hota Use Biddat Ya Haram Kehne Se Pehle Quran O Hadis Se Dalil Deni Padegi Wahabiyon ko. 
  









●•••Nabi ( صلى الله عليه و سلم ) Beshaq Zinda hain ● HAYATUN NABI ( صلى الله عليه و سلم )•••●


HAYATUN NABI ( صلى الله عليه و سلم )

" HAYAATUNN-NABI-{ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} "

Hadrat Abu Bakr (radiallahu anhu) Ka Aqeeda Tha Ki Aaqa Wa Moula (sallalaho alayhe wasalum) Wisaal e Zahiri K Baad Roza Athar Main Zinda Hain Is Liye Unho Ne Wisaal Se Qa'bl Ye Wasiyat Farmayi Ki :
Mera Jinaza Hazoor (sallalaho alayhe wasallam) Ke Hujra Mubarak Ke Saamne Rakh Dena Aur Ijazat Talb Kar Dena Agar Darwaza Khul Jaye Aur Ijazat Mil Jaye To Mujhe Hujra Mubarak Ke Andhr Dafan Karna Warna Aam Qabristaan Main Dafan Kar Dena Suhaba Kiraam Ne Aisa Hi Kiya Jab Aap Ka Jinaza Roza Aqdas Ke Saamne Rakha Gaya To Darwaza Khul Gaya Aur Roza Aqdas Se Aawaz Aayi Dost Ko Dost Ke Paas Le Aawo.

[ Tafseere Kabeer Jild:5, Safa:685 ]
[ Khasasi'ul Qubra Jild:2, Safa:282 ]

Yahi Har sahaaba e kiraam Radiallahu Anhu ka Aqeedah hai Ki Huzur Sallallahu Alaihi wasallam apne Wisaal e Zahiri K Baad Roza Athar Main Zinda Hain.
Aur Aaj kal ki paidawaar Tapori 24 ka Aqeedah dekho:

► Islamil Dahelvi (Wahabi Najdi Tabligi AHLEKHABEES Zakir Nalayak Ka Peshwaa Aur Molvi) :
Ye Inke Mazhab Ki Buniyadi Kitab TAQVIYATUL IMAAN me likhta hai:

»»»► रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलेह वसल्लम मर कर मिटटी में मिल गए - (माज़ल्लाह ) 
{ ताक्वत उल इमान page 53..BY..पंडत इस्माइल देहलवी }

ALLAH AZZWAJAL In Bad-Mazhab Munafiqon Ke hamare Imaan Ki Hifazat Farmaye: 
♥●● !! AAMEEN !! ●●♥

Wahabi(24) / Ahlehadees And SUNNI SAHIHUL AQEEDAH Discussion On:
" HAYAATUNN-NABI-{ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} "

Wahabi - Agar Nabi Zinda Hai to sabit karo. 
Sunni - Mujhe ek baat bataa, 
Wahabi - haa, Bolo.. 
Sunni - Nabi Sahaba Wali etc. Allah Ke dost hai Ya Dusman ? 
Wahabi - besak Besak Dost hai. 
Sunni - Ek baat bata, Iblis Allah ka Dost hai ya dusman ? 
Wahabi - Besak besak Dusman hai. 
Sunni - To bataa.. Iblis ko Allah ne QAYAMAT tak ki Hayaat de di yaa nahi ?? 
Wahabi - Ha besak, 
Sunni - Jab Tera dada(Iblis) zinda hai to Allah ke dost kyun nahi?? Agar Allah apne dusman Ko Qayamat Tak ki Hayaat de sakta hai to kya woh apne DOSTON ko nahi degaa ?? 
Wahaabi - (Now wahabi usual Dialogs..) Salawalekum, Ham bahes nahi karte..,(Ame bahes nathi karta) Hamare molvi sahab ko puchhna paregaa, (He he he) 
(In se puchho ki tumne saitaan ka kalmaa paraa hai ki nabi ka?? Saitan ko zindaa maanta hai nabi ko Nahi..!!!! )

Hadees: 
Mai Shab-E-Mairaj Hazrat Moosa Alehi Salam K Paas Se Guzra Woh Apni Qabar Me Khare Ho Kar Namaz Parh Rahe The. 
(Sahi Al-Muslim Kitab-ul-Fazail Hadith# 6036)

Jab Musaa Alaihisalaam Zindaa hai to hamare nabi bhi zindaa hai Alhamdulillah!! 
(Agar Wahabi Ko jannat me jana hai to maan naa paregaa, Otherwise Hadis Ka munkir kafir hai )

► MURDE SUNTE, DEKHTE, BOLTE AUR MEHSUS KARTE HAIN: HADEES KI ROSHNI ME:

Hadees e Mustafa {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} :

●HADEE#1: 
Azwah bdar sharif me musalmano ne kuffar ki laashen jama karke ek kuwen me paat di, Huzur ki adat karima ti ki jab kisi muqam ko fateh karte to wahan 3 din qeyam farmate, yahan se tashrif le jate waqt is kuwen par tashrif laye, jisme kafiro ki lashen padi thi, aurunhe naam banaam awaz dekar farmaya, 
'Humne to paa liya jo humse hamare Rab ne saccha waada(Nusrat ka) farmaya tha, kyun tumne bhi paya jo sacch wada(Naar ka) tumse tumhare Rab ne kiya tha.' 
Ameerul MomineenFaruq Azam r.a ne arz ki, Ya RASOOLALLAH, 
'Ajsadun La Arwaha Feeha' tarjuma: Ya Rasoolallah Kya Huzur be-jaan jismo se kalaam farmate hain? 
Farmaya,'Ma Antum be asma'a Minhum.'
Tarjuma: Tum kuch unse zyada nahi sunte, magar unhe taqat nahi ki mujhe laut kar jawab dein.
( Bukhari Sarif J2, S-566, Baab-Qatl Abi Jehel )

╠► Is Hadees se pata chala ki Kafir bhi marne ke baad sunte hain, to fir Momin kyu na sune? Aur fir AULIYA Ki shan to raafe Aala hai. Beshak wo bahut behtar sunte hain.

fir farmaya,

● HADEES#2: 
Rooh ek parind hai, aur Jism Pinjrah, Parind jis waqt tak pinjrah me rehta hai, iski parazi isi qadr hai, Jab Pinjrah se nikal jaye, is waqt iski quwwat-e-parwaz dekhiye. 
(Sharahus Sudur, S-210,Baab-Al Arwahe Mafhoomam)

╠►is Hadees se pata chala ki Jism se Rooh nikalne ke baad iski sunne aur dekhne aur tamam ikhtiyarat ki quwwt aur zyada badh jati hai.

SAMAA MOTI KA MASLA: WAHABIYO KI MAKKARI, 
╠► Wahabi log Sunniyo ko Quran ki ye ayat pesh karte hain, 'Beshak tumhare sunaye nahi sunte Murde,' 
►(Sureh Naml 80)

ek aur ayat pesh karte hain, 
'Aur tum nahi sunane wale unhe, jo Qabro mepade hain,' 
(Sureh Fatir 22)

● JAWAB MIN HADEES: 
Moti kaun hai, Ijsam(Dead Body). Qabro me kaun hai, wohi Ijsam, to Fir sirf Ijsam hi ke sunne se inkar kiya gaya hai, na ki Arwaah ke, 
(Bukhari,J2,S-567, Baab-Qatl Abi Jehel)

╠► So Ye Ayat Ijsam per dalalat karti hai, Arwaah par nahi, aur ALLAH ke tama nek bande apni quwwate Arwah se sunte, dekhte aur madad karte hain.

╠► Khud H.Ayesha Siddiqa r.a ka tarz-e-amal SamaMoti ko sabit kar raha hai, farmati hain,

●HADEES#4: 
Jab Huzur Aqdas sallallaho alaihe wasallam mere Hjre me dafn hue, Mai Baghair Chadar odhe, be-Hijabana Hazir hoti aur kehti, 'Innama Hua Zauji' Mere Shauhar hi to hain. 
fir H.Abu Bakr Siddiq r.a wahan Dafn hue, jab bhi mai baghair Ehtiyat ke chali jati aur kehti, 'Innama Hua zauji wa abi' Mere Shauhar aur mere Baap hi to hain. 
fir jab H.Umar Faruq r.a wahan Dafn hue to mai nihayat ehtiyat ke sath chadar lipti hui jati, is tarah ki koi uzu khula na rahe, kehti, 'Haya an Min Amara raziallahu ta'ala anhu' Umar se sharm karti. 
(Mishkaat, J1,S-154, Baab-Ziyarate Qubur)

To agar Arwah ka Sama Basar na manti to fir'Haya Min Umar'ke kya mayne hain?

Isi liye kehaa jataa hai Sahabi ke Aqeedeh Par chalo, Wahaabi ke Aqeedeh par nahi jo MA'AZALLAH MA'AZALLAH MA'AZALLAH Nabi ko murdaa kehte hai....

BADMAJHABO KE SAWAL.

*Tumare Gous e Paak To Bagdad Me Rahte Hai Aur Tum To Yaha Se Pukarte Ho To Kya Wo Itni Durse Sunte Hai?? 
*Kya Tumare Wali Sunte Hai??
*Kya Tumare Wali Dekhte hai??
*Kya Murdo Ko Pukarte Ho (MazaALLAH)??
*Kya Wali Dilo Ka Hal Jante Hai??
*Kya Wo Tume Pehchante Hai??
*Kya wo Tume Jante Hai??
*Sabit karo Tumare Wali Zinda Hai??

JAWAB:

*Hadees e Qudasi* 
*ALLAH Apne Nek Bando key Mutalik farmata Hai, me uske kaan Aur Aankhe Ho Jata Hu jisse wo Dekhta Hai Aur Sunta Hai, 
[ Bukhari shareef, Jild 2, Page 963 ]

* Kamil Momin ki Firasat Se Daro, Beshak Wo ALLAH key Noor Se Dekhta Hai 
[ Tirmizi Shareef, Jild 2, Page 614 ]

☼ Dekhata Sunta Wohi Hai Jo Zinda Hai, Aur Ab Agar Kisisne WALIO Ki Basharat Par Unke ILM Par Ya Unke Zinda Hone Par Aitraj Jataya To Goya Usne NOOR E ILLAHI ko Apne Gande Aitraz Ka Nishana Banaya, Aur
WALI ALLAH To NOOR E ILLAHI se Dekhte Hai, Sunte Hai, To Fir Ham kyo Nahi Yaha se pukare

√ Ya Rasoollallah{ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Al madad
√ YA GOUS AL MADAD, 
√ Ya Imaam Ahmad Raza Al Madad,

 






Waseela (In D Lights Of Quran And Hadeeth)
Waseela


Jiske Zariye Kisise Qurb Aur Nazdiqi Haasil Ki Jaye Usko Wasila Kehte Hain. 
(Al-Taarifaat, Pg-225)

Sahaba-A-Kiraam Aur Tamaam Bujurgaan-A-Deen Balki Khud Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ka Yahi Aqida Hain Ki Bujurgon Ko Wasila Banana Jayiz Hain, Zindagi May Bhi Aur (Zahiri) Wafaat Ke Baad Bhi!

»»»►Al Quran :
"Aye Imaan Walo ! Allah Se Daro Or Us Ki Teref Waseela Dhundo" 
(Soora Maida , Ayat 35)

»»»►Qur'an:
Aur jab unke paas ALLAH ki wo kitaab(QURAN) aai jo unke saath wali kitaab(TAURET)ki tasdik farmaati hai,Aur is se pehle wo usi nabi ke ' WASEELE ' se kafiron par fatah maangte the, To jab tasrif laaya unke paas wo jaana pehchaana us se munikir ho beithe, To ALLAH ki la'anat munkiron par 
(S.BAKRAH:89)

»»»► Al Hadees :
"Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor sallallaho alihe wasallam Ne Ye Dua Mangnay Ka Hukum Diya (Aye Allah! Main Tere Nabi Key Waseela Jaleela Se Teri Teref Tawajja Karta Hu Ya Rasool Allah Main Aap Ke Waseele Se Apne Rab Ki Teref Apni Hajat Ke Barey Main Muwajja Hun Takay Woh Poori Ho Jaye , Ya Allah Tu Mere Barey Main Hazoor sallallaho alihe wasallam Ki Shafaat Qabool Ferma)" 
►"Tirmizi Sharif , Jild Awal , Abwabuddawa, Hadil # 1504 , Page 653

»»»►H.Aliyul Murtaza RA farmate hain. 
Maine Nabi sallallaho alaihe wasallam se suna: 
"Abdaal, Sham me hote hain, Ye 40 Mard hain, inme se jab koi ek marta hai to Khuda uski jaga dusra muqarrar kar deta hai, Inke Wasile se barish hoti hai, Inke Wasile se Jang me fateh milti hai, aur inke Wasile se Sham walo par se Azab dafa kiya jata hai."
►Miskaat,J-1, Baab-Yaman-o-Sham

IMAAM SHAFAI Rahmatullah Aalahi Farmate Hain: 
Mujhe Jab Koi Hajat Pesh Ati Hai, Main 2 Rakat Namaz Ada Kar Key Imam-E-Azam Key Mazar-E-Pur Anwar Per Ja Kar Dua Mangta Hon, 
"Allah Meri Hajat Poori Kar Deta Hai." 
(Khairat-ul-his an, pg.no. 230)

●●► IMAM BUKHARI K Ustad IMAM ABU BAKAR IBN-E-ABI-SHIBA Apni Sanad Se Riwayat Karte Hain:- 
"Hazrat Umar Farooq Ke Zamane Mein Qehet Para Ek Shakhs (Bilal Bin Haris Sahabi) Ne RASOOL'ALLAH Ki MAZAR Shareef Par Hazir Ho Kr Arz Ki: 
♥ YAA RASOOL'ALLAH ♥ Apni Ummat Ke Lye Barish Ki Dua Farmaen Wo Halak Ho Rahi Hain* RASOOL'ALLAH Ne Khuwab Mein Us Shakhs Se Farmaya: 
UMAR Ke Pas Jao Mera SALAM Kaho Or BASHARAT Do k Barish Hogi Or Ye Bhi Kaho Ke Narmi Ikhtiyar Karen! 
Us Shakhs Ne Hazir Ho Kar Khabar Di. Hazrat Umar Ye Sun Kr Bohat Roye. 
► Mussanif Ibn-e-Abi Shiba Jild 7, Pg: 482,, Dalail-un-Nabuwah, Jild 7, Pg 48. 
(Aly Him-Ur-Ridwan) 
Is hadees se ye bhi pata chalaa ki Zahiri Pardaa karne ke baad bhi Allah Ke Nek bande Waseela Ban sakte hai. (Alhamdulillah)
»»»► Imam Ibn Hajr Asqalani proving Yahyah Bin Yahya research said this Proves Imam Ibn Hajr and Imam Hakim (rah) Belief (aqida) that going to tombs of Awliyas and asking through their Intercession (Waseela) is allowed.

Ibn Hajr (rah) Writes: Imam Hakim (rah) said that he heard Abu Ali Nishapori that he said that I was in extreme depression that I saw Prophet (Peace Be Upon Him) in my dream he said that go to grave of Yahya bin Yahya (rah) and do Istaghfar and ask for help through his Intercession your problem will be solved. Abu Ali Nishapori said I did like that and my problem was solved in the morning. 
[ Ibn Hajr, Tahdhib ut-Tahdhib Volume 004, Page 398 ]

Sahih muslim wa abu dawood wa tirmizi wa nisai ki riwayat ibne umar radiyallahu anhu se ki RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM farmate hai ki mo'azzin ka jawab de phir mujh par darood parhe phir wasile ka sawal kare.
[ Sahih muslim, kittab us salat, baab istehbaabul faul, page no. 738, hadis no. 749 ]

  ♥●● ▌▌Waseela (Tafsir Of Surah bakrah :89) ▌▌●●♥

The Prophet {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} as a Source of Intermediation (Waseela) for Jews Bi Haqqi Muhammad (Salallaho alaihi wasalam), for the sake of Muhammad, this term had even given victory to Jews as Quran attests in its beautiful words

" And when there comes to them a Book from God, confirming what is with them, - Although from of old they had prayed for victory against those without Faith, - when there comes to them that which they (should) have recognised, they refuse to believe in it but the curse of God is on those without Faith." 
[ S.BAKRAH:89 ]

Aur jab unke paas ALLAH ki wo kitaab(QURAN) aai jo unke saath wali kitaab(TAURET)ki tasdik farmaati hai,Aur is se pehle wo usi nabi ke ' WASEELE ' se kafiron par fatah maangte the, To jab tasrif laaya unke paas wo jaana pehchaana us se munikir ho beithe, To ALLAH ki la'anat munkiron par 
[ Surah BAKRAH: 89 ]

●●► 1. Imam Ibn Kathīr He says: The Jews used to pray for victory over the Arab polytheists through the mediation of Muhammad {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} 
Reference 
►Ibn Kathīr, Tafsīr-ul-Qur’ān al-‘azīm (1:124)

●●► 2. Mahmud Alusī He said: This (verse) was revealed about Banū Qurayzah and Banū Nadīr who used to pray for victory over Aws and Khazraj before Allah’s Messenger’s Prophethood. Ibn ‘Abbās and Qatādah have given expression to the same reality. It means that they prayed to Allah through his mediation for victory over the polytheists as also stated by as-Suddiyy: when the war raged between them and the polytheists, they opened the Torah and placed their hand on the spot where the Prophet (ﻢﻠﺳﻭ ﻪﻟﺁﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ) was mentioned and prayed, 
“O Allah, we pray to You through the mediation of Your Prophet You have promised with us to send him at the end of time;
today grant us victory over our enemies.” So (by the blessing of this prayer) they were made victorious. 
Reference :
►Mahmūd Alūsī, Rūh-ul-ma‘ānī (1:320)

●●► 3. Imam Jalāl-ud-Dīn Mahallī and Imam Jalāl-ud- Dīn Suyūtī They write the Jews used to pray in these words: 
"O Allah, grant us victory through the mediation of the Prophet who is to appear at the end of time." 
Reference 
►Mahallī and Suyūtī, Tafsīr-ul-jalālayn (p.14)

●●► 4 1.Imam Qurtubī Imam Qurtubī related the tradition through Ibn ‘Abbās:
The Jews of Khaybar were often at war with the Ghatafān (tribe). When they confronted each other (in battle) the Jews were defeated. They attacked again, offering this prayer, 
“(O Lord,) we beg You through the mediation of the Unlettered Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) about whom You have promised us that you will send him to us at the end of time. Please help us against them.” Ibn ‘Abbās adds: whenever they faced the enemy, they offered this prayer and defeated the Ghatafān (tribe). But when the Prophet {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} was sent, they denied (him). So Allah the Exalted revealed the verse:
“And before that they themselves had (prayed) for victory (through the mediation of the last Prophet Muhammad (ﻢﻠﺳﻭ ﻪﻟﺁﻭ ﻪﻴﻠﻋ ﻪﻠﻟﺍ ﻰﻠﺻ) and the Book revealed to him) over the disbelievers,” that is, through your mediation, O Muhammad. 
Reference
►Qurtubī, al-Jāmi‘ li-ahkām-il-Qur’ān, 2:27 2.

●●► Similar traditions are Narrated by: 
►1. ‘Abdullāh bin Muslim bin Qutaybah, Tafsir gharīb- il-Qur'ān (p.58).
►2. Ibn Jarīr Tabarī, Jāmi‘-ul-bayān fī tafsīr-il-Qur’ān (1:325).
►3. Baghawī, Ma‘ālim-ut-tanzīl (1:93).
►4. Abū al-Fadl al-Mībadī, Kashf-ul-asrār wa ‘uddat-ul- abrār (1:272).
►5. Ibn-ul-Jawzī, Zād-ul-masīr fī ‘ilm-it-tafsīr (1:114).
►6. Mujāhid bin Jubayr, Tafsīr (1:83).










कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...