25/10/2020

HADEES KE DUSHMAN ;(AHLE HADEES) ✍️AUR USKA MAJAK UDANE KA ANJAAM✍️

MISAL NO.1

Amal Bil Hadees Ke Jhoote Dawedaar In Ahle Khabeeso Ka Hadeeso Se Ikhtelaf Dekhe Aur Khud Faisla
Kare Kya Nabi Ke Farman Ke Khilaf Kehne Waala Musalmaan Hai - Kya Ye Ahle Hadees(Gair Muqallid/La-Mazhab) Musalmaan Hai ???

HADEES
✔HAQ✔
1- Hazrate Buridah Farmate Hain Huzoor Ne 3 Martabah Farmaya Witr Haq(Wajib) Hai, Jisne
Witr Na Padhi Wo Humme Se Nahi
{Sunane Abi Dawood, Volume-1, Page-201- Mustadrike Hakim, Jild-1, Safah-305}

2- Hazrate Abu Aiyyub Ansari Farmaie Hain
Huzoor Ne Farmaya, Witr Haq Hai Wajib Hai Har Musalman Par
{Dare Qutni, Volume-2, Page-22}

Ab Dekho Gair Muqallidon Ke Alim Kya Bakte Hain

AHLE HADEES
✖Batil✖
Witr Haq Hai Har Musaiman Par Lakin Wajib Nahi, Albatta Uski Qaza Sabit Hai

{Urfuljadi, Safah-33}

Faisla Kare Hadees Se Ahlehadees Ka Kitna
Ikhteaf Hai



MISAL NO-2

Gair Muqallideen (LA-MAZHAB) Hum Se Hanafiyat Ke Haq O Sahi Hone Par Bad Me
Baad Kare, Hanafi Fiqah Ke
Masail Mutabiq Hadees Hai Ya Khilafe Hadees Ise Bad Me
Samjhen, Magar Wo Jis Jamat Se Ta'alluq
Rakhte Hai, Yani Ahlehadees Iska Mutala Puri
Imandari Se Eik Martaba Phir Kare To Unhe Malum Hoga Ki Ye Giroh Ahlehadees Nahi Munkirine Hadees Ki Hai...

Naara Lagate Hai, Ahlehadees Ke 2 Usul...
Farmane Khuda Aur Farmane Rasool...

Aur Ab Dekhiye Hadees Kya Hai Inka Amal Kya Hai ?

HADEES
✔HAQ✔

Hazrate Anas Bin Malik Farmate Hain Mein Ne Rasoolullah Ko Wazu Farmate
Dekha Aapke Sare Mubarak Par Qatri Pagdi(Amama Sharif) Thi.
Aap Ne Pagdi Ke Niche Haath Daal Kar Sar Ke
Agle Hisse Ka Masah Farmaya
{Sunane Abu Dawood, Volume-1, Page49)

Inke Ulama Ka Falwa Dekhiye

AHLEHADEES
✖BATIL✖
1. Sirf Pagdi Par Bhi Masah Kafi Hai.
{Fatawa Ulame Ahlehadees, Volume-1, Page-275}

2. Tanha Pagdi Par Bhi Masah Karna Sahi Hai
(Alrauzatul Hindiyah, Volume-1, Page-39)


MISAL N0-3

Deobandi Hum se Fatiha Alattam(khane par Fatiha Padha) Par Ladte Hain"..

Aur Gair- Muqallideen(AhleHadees) Fatiha
Khalaful Imam(Imam ke piche Sure Fatiha padhna) Par Ladte Hai...

Gair Muqallideen Ke Pas Aisi Koi Sahi Marfo Sareeh Gair Muta'ariz Hadees Nahi Jisse Wo Sabit Kar Saken Ki Imam Ke Piche Sure Fatiha
Padhna Zaroori Hai, Bas Zidd Aur Hatt Dharmi Hai...

Naam To Rakh Liya Ahlehadees Magar Amal sab Hadees Ke Khilaf...

HADEES
✔HAQ✔
Hazrat Abu Hurairah Farmate Hain Huzoor Ne Farmaya Imam Is Liye Muqarrar Kiya Jata Hai Ki Uski Iqteda Ki Jaye.
So Wo Jab Takbeer Kahe To Tum Bhi Kaho Jab Wo Qirat Kare To Tum Chup Raho,
Aur Jab Wo Samiallah Huliman Hamidah Kahe To Tum Allahumma Rabbana Lakal Hamd Kaho
{Sunane Nisai, Volume-1, Page-107)

Hadees Ki 6 Sahi Kitabo Me Se Ek Kitab Sunane Nisai Me Ye Riwayai Hai lske khilaf Har Gair Muqallid Ka Amal Hai Aur inka Allama nawab Wahiduddin Khan Likhta Hai...

AHLEHADEES
✖BATIL✖
Sure Fatiha Ka Padhna Zaroori (Farz) Hai Imamo Muqtadi Munfarid Wa Masbooq Sab Ke Liye
{Nuzulul Abrar, Jild»1, Safah-75}

Ahnaf K0 Hadees Ke Mukhalif Batane Walo
Pehle Ghar Ki Khabar Lo Hadees Ke Dushman
To Ye Naam Nihad Ahlehadees Hi Hai

"SIRF DASTAR SE IZZAT NAHI MILNE WALI-
LOG KIRDAR KI JANIB BHI NAZAR RAKHTE HAIN.!!



MISAL N0-3B

Padhe Na Likhe Naam Muhammad Faazil Urdu Zuban Ka yeh eik
Mash’hoor Muhaawarah Hai,,

Kuch Logon Ne Apna naam Ahle Quran Rakha woh Deen mein
Hadeese Rasool Ko Hujjat naheen Mante jab ki Quran Se Hadees
Ki Hujjiyat Sabit Hai, To woh Ahle Quran kaise huwe jab ki Quran hi
ki naheen Sunte,,,

Woh Apne Aap Ko Ahle Quran Kahte Hain,, Aur Hum Unhen
Munkireene Hadees Kahte Hain, Ahle Quran To woh Hoga Jo Quran
Ki Manega,,,,,,,

Kuch Logon Ne Apna Naam Ahlehadees Rakha (hadees par chalne
wale) is Firqe Ne Quran Ke Sath Hadees Ki Hujjiyat Ko Bhi Maana,
Laikin Allah Ke Quran Aur Huzoor Ki Ahadees Se ljmae ummat
Aur Qiyaase mujtahid ko manna Laazim hai, Quran Aur Hadeee Se
Ulama O Fuqaha ki TAQLEED Saabit Hai, yeh Log naheen Mante,
Bhala Bataiye woh Shakhs kaise Ahlehadees Ho sakta hai Jo Quran
Aur Hadees Ki Na Mane?

Is liye ham inhen munkire FIQAH Aur Munkire Taqleed (Ghair
Muqallid) Aur LA-MAZHAB Ke Naam Se Jante Hain......


Jaari rahega......


Misal No-4

Jis Tarah Aalim Naam Rakhne Se Koi AIim naheen Hota Theek usi
Tarah Ahlehadees Naam Rakhne Se Koi Ahlehadees naheen Ho
Sakta Ahlehadees woh hai Jo Hadees Ki Maane Aur in Be-chaare
Ghair Muqallideen ka Hadeeson Se Hi Ikhtilaaf Hai...

HADEES
✅ *HAQ*✅
Hazrat Abu Hurairah Se Riwayat hai Huzoor Ne Farmaya, Jab
Koi Tum mein Se Qazaye Hajat (sandas peshab) Ke Liye Baithe To
woh Hargiz Hargiz Qiblah Ki Taraf Na Peeth Kare Na Munh

*{Saheeh Muslim, Volume-1, Page-131}*

Yeh Hadees Ki Doosri Badi Kitab muslim sharif Hai, jisme Huzoor
Ka yeh Farman maujood Hai, Magar Naam ke Ahlehadeeson Ke
ulama is Hadees ke Khilaaf Fatwa Dete Hain Aur woh Sab ‘Amal
Karte Hain

AHLEHADEES
❌ *BATIL*
Istinja Ke WAQT QIBLA Ki Taraf Peeth Karna Makrooh Nahi

*{Nuzoolul Abrar, Volume-1, Page-53,,, Dastoorul Muttaqi, Page-45}*

“Ainah Kya Batayega Mujh Se Milao Aankh....
Men Nazar Kasoti hai Husn O J ‘Amal Ki!!!!!!



Misal No-5

Batil Firqon Ne Apne Naam Aise Rakha hai Jise Dekh Kar Maloom Hota
hai Bade Deendar Hain, Aise hi is zamane mein Ahlehadees(Gair
Muqallideen) firqah Hadees pe chalne wala Naam Rakha Aur Dawa Bhi
Hadees Pe Chalne Ka Hai.......

*Kya waqai yeh AhleHadees Hain??*

Rasool Ki Hadees (farman) Aur inki jama‘at ke ulama ke fatwon ka
jayezah Len....

HADEES
✅ *HAQ*✅
Imam Tirmizi Farmate Hain, Hazrat Zaid Bin ARQAM Ki Hadees Hasan
saheeh Hai, Aur isi Par Aksar Ahle ILM Ka ‘Amal Hai, woh Farmate Hain
Jab Aadami Namaz mein Qasdan (Jaan Kar) Ya Sahwan (Bhool Kar) Baat
Kare To Namaz Dobara Padhe.
*{Jame Tirmizi, Volume-I ,Page-92}*

Ye Hadees e saheeh hai Aur Hadees ki 6 saheeh Kitabon mein Se eik
kitab Tirmizi mein Hai... ab iske Khilaaf Ghair Muqallid AaIim Ka Fatwa
Padhiye.

AHLEHADEES
❌ *BATIL*❌
I- Bhool Kar Baat Cheet Karne Se Namaz naheen Toot’ti
*{Urful Jadi, Page-23}*
2- Agar imam O MUQTADI Bhool Se Namaz mein Guftagu Kare To
Bhi Namaz mein Kuch Nuqsan naheen Hota
*{Dastoorul MUTTAQI, Page-122}*
Aap Hi Dekh Leejiye Hadees Pe ‘Amal Ka Inka Dawa kitna Sachcha
Hai.



Misal No-6

Naam ke AhleHadeeson ka Hadeese Rasool Se kis Qadar ikhtilaaf
Hai Guzashtah 15 Misalon mein Aapne Padh Liya Hoga........

Dr Joker Naik Ahlehadees jama‘at Ka Numa’indah aur Muballigh Jo
Aalami sath par Gumraahiyat ka Parchar Kar Raha Hai, AapNe Aksar
uske JALSON mein Dekha Hoga Ki Kaafiron ke hath mein Quran Diya
Jata Hai Aur ise yeh Log Kaare Sawab Jante Hain......

Aa-iye Dekhte Hain Hadeese Rasool , Ki Raushni mein Is ‘Amal
Ko......

HADEES
*HAQ* ✅
Hazrat Hakeem Bin Hizam Se Riwaayat Hai Jab Huzoor Ne Unhen
Yaman Ka Haakim Bana Kar Bheja To Farmaya...
Aye Hakeem Tu Quran Ko Hath Na Lagana Magar Is Halat mein Ki Tum
Paak Raho
*{Mustadrike Hakim, Volume-3, Page-485...* *Dare Qutni, Volume-1,*
*Page-122}*

Nabi E Pak Ke Is Farman (hadees) ke Khilaaf Ghair Muqallid Aalim
Nawab Wahiduz zama’n Khan Ka Fatwa Dekhiye...


AHLEHADEES
*BATIL*❌
1-Quran Chhoone Ke Liye Tahaarat Zaroori naheen
*{Nuzoolul Abrar, Jild-1, Safhah-9}*
2-Be Wuzu Shakhs Ke Liye Quran Chhoona jayiz Hai
*{Urful jadi, page-15}*

Fiqahe Hanafi Par Ungli uthane Se Pehle Hadees Ke Thekedar Ghair
Muqallideen Apne Ghar Ki To Khabar Len....!!!!!!

“In Barishon Se Dosti Achchi naheen Faraaz.....
Kachcha Tera Makan Hai Kuch To Khayal Kar!!!!!!



Misal No-7

Aasani Aur Khaahish e Nafs Pe ‘Amal Ka Naam hai Firqa-e-
Ahlehadees........

Aur iske chakkar mein Na Jane Kitni saheeh Hadeeson ka inkaar Kar
Dete Hain,,,

Ye Bhale Apne Aap Ko Ahlehadees Kahen Magar HAQEEQATAN yeh Log
Munkire Hadees Hain..........

*Farmaane Rasool E Pak*

HADEES
*HAQ*
IBNE Abbas Se Riwayat hai eik Shakhs Huzoor Ki Khidmat mein
Aaya Aur Arz Ki Mujh Par eik Bada Janwar (Oont Ya Gaiye) waajib Ho
Chuka Mein Maldar Hun Aur Mujhe Bada Janwar Mil naheen Raha hai
(Taki 7 logo ki Qurbani Ho Sake) Ab Mein Kya Karoon??

Huzoor Ne Farmaya 7 Bakriyan Khareed Lo Aur Qurbani Karo
*{Sunane IBN-E-MAJAH, Page-226}*

Yaani Eik shakhs ki Taraf Se 1 Hi Bakri Lagegi 1 mein 7 naheen Ho
Sakte......

Iske Khilaaf Ghair Muqallid Aalim Ka Fatwa Aur unki Poori jama‘at ka
‘Amal Dekhen..

AHLEHADEES
*BATIL*❌
Eik Bakri Bahut Se Logon Ki Taraf Se Qurbani mein Kafi Hai
*(Urful
Jadi, Page-234)*
*Kya waqai yeh Log Hadees Wale Hain ????*

Nahi yeh woh Shaitani Giroh hai Jo Logon Ko Quran O Sunnat Se
Door Kar Ke Shaitan Ka Muqallid Banana Chahta Hai........

Har Kaam mein Aasani Balki yeh Log To Qurbani Bhi 4 Din Karte Hain
Itna Hi naheen Ab inka new Fatwa Hi Ki Murgi Ki Qurbani Bhi jayiz
Hai... (Ma‘aazAllahil Rabbil Aalameen)


Misal No-8

Sarkar-E-Azam Ki Ahadees Ka Agar Waqai Koi Dushman Hai To
Yahi Ghair Muqallideen (Naam ke Ahlehadees) Hain..

Namaze Jumu‘ah Aur Eidain (2 Eiden) Dihaat mein jayiz naheen Fiqahe
Hanafi Ka yeh Mas-alah imame Azam Abu Haneefah (علیہ اهلل رمحة (Ne
Ghar Se Bayan naheen Farmaya Balkih Kutub-e-Ahadees mein is Ki
Riwayat Mawjood Hai..

HADEES
*HAQ*✅
1- Hazrat Aishah Siddeeqah Farmati Hain, Bahar Ke Log Madeenah mein
Namaze Jumu‘ah Ke Liye Apni Manaazil (Gaon/Dihaat) Se Bari Bari Aate
*{Saheeh Bukhari, Jild-1, Safhah-123}*

2-Abu Abdur Rahman Bin Salma Hazrat Ali ؓ Se Riwayat Karte Hain,
Farmaya Hazrat Ali Ne Jumu‘ah Aur Tashriq (Eid) jayiz naheen Siwaye
Bade Shahr Ke
*{Musannaf ibne Abi Shaibah, Jild-2, Safhah-148}*

Pahli Riwayat To saheeh Bukhari Ki Hai Doosri Muhaddis ibne Abi
Shaibah Ki Jo ILME HADEES mein imam Bukhari Ke Dada Ustaz Hain
unki Musannaf mein Hai Isi Iiye Ulamae Ahnaaf Farmate Hain
Jumu‘ah Aur Eidain Dihaat mein jayiz Nahi..
Magar Ghair Muqallideen Ke Shaikhul Kul Miyan Nazeer Husain
Dihlavi Baani-E-Fiqah-E-Ahlehadees Farmate Hain!!


AHLEHADEES
*BATIL*❌
Jumu‘ah Har Jagah Farz Hai Khaah Shahr Ho Ya Gaon Aur Khaah
Bada Gaon Ho Ya Chhota Gaon
*{Fataawa Nazeeriyah, Jild-1, Safhah-577}*

“Uljha Hai Paon Yaar Ka Zulfe Daraaz Mein....
Lo Aap Apne Daam mein Sayyaad Aagaya.!!!


Misal No-8B
Ahlesunnat Hanafi Barelavi Musalmano Se unke Har ‘Amal Pe Quran
Aur saheeh Hadees Se Daleel Talab Karne Wale Ghair Muqallideen
Hazraat, Aise Maloom Hota hai yeh Log Waqai Quran aur saheeh
Hadees Pe ‘Amal Karte Hain Tabhi To Ham Se Bhi isee Se Daleel Ke
Mutaalabaat Hote Hain...

Magar Aap Ki Hairat Ki intihaa Na Rahegi Jab Aap Haqeeqat Ka Doosra
Rukh Janege.....

Misl Mash’hoor hai Ki Hathi Ke Daant Khane Aur Dikhaane Ke Alag Alag
Hote Hain Yahi Haal is firqah Ahlehadees Ke Logon Ka hai....

Ham Ahnaaf Ke Nazdeek Masjid mein Namaze Janazah jayiz Naheen,
Aur yeh Log Padhte Hain Aaiye Dekhte Hain Haqiqat mein Hadees Wale
Kaun Hain.??


Jaaari Rahega......


Misal No-9

HADEES
*HAQ*✅
Hazrat Abu Hurairah Se Riwaayat hai Huzoor Nabiye Akram Ne Farmaaya...
Jisne Masjid mein Namaz e Janaza Padhi Uske Liye Koi Ajr (sawab)
Naheen

*{Sunane Abi Dawood, Volume-1, Page-98... Sunane lbn E majah,* *Page-
110..*
*Musannaf Abdur Razzaaq, Volume-3, Page-586}*

ILME Hadees Ki Sab Se pahli Kitab Musannaf Abdur Razzaq Aur Hadees
Ki 6 saheeh Kitabo mein Se 2 Abu Dawood Aur ibne Majah Ka Hawala
Jild O Safhah Likha Gaya Dekhiye....

Mash’hoor Ghair Muqallid Aalim Mufti Abdusattar Farmate Hain...

AHLEHADEES
*BATIL*❌
Masjid mein Namaze Janazah Padhna jayiz O Durust Balkih Masnoon
(sunnat Se Saabit) hai

*{FATAAWAH SATTAARIYAH, Volume-2, Page-25}*

“Kaaghaz Ka yeh Libas Badan Se Utar De.....

Paani Baras Gaya To Kahaan Munh Chupayega.!!!!


Misal No-10

Naam Nihad firqah Ahlehadees (Ghair Muqallideen) Jinka Jhoota Dawa
Hadees Pe Chalne Ka Hai, inke Daawe Aur ‘Amal Ka Tazaad Aap
Peechhe 19 Misaalon mein Padh Chuke Hain…….

*Allah Ke Pyaare Mahboob Huzoor Ka Farman hai*

HADEES
*HAQ*✅
Hazrat Anas Bin Malik Farmate Hain Ki Nabi E Kareem Ne
Farmaya Jo Shakhs Namaz Padhna Bhool Jaye Ya Sote mein Chhoot Jaye
To Uska Kaffaarah yeh Hai Ki Jab Yaad Aaye Padh Le (Qazaa Kare)
*{Saheeh Muslim, Volume-I, Page-241}*

Ye saheeh Hadees hai Aur saheeh Muslim mein hai Jo Hadees ki 6-Sahi
Kitabon mein Shamil Hai, Aur jiska number Bukhari Ke Bad Hai, Ham
Ahnaaf Se Ghair Muqallideen inhi kitabon Se Hadees Ka Mutaalabah
Karte Hain Aur yeh Log inhi kitabon Ki Ahadees ki Mukhaalafat Karte
Hain.....

Padhiye inke ulama Ka Fatwa

AHLEHADEES
*BATIL*❌
Buloogh (Baaligh Hone Ke Bad) Jo Namaze Chhodi Hon, Jo Aasani Se
Ada Ho Sakti Ho To Kar Li Jaye, Jo Ziyaadah Muddat Ki Hon Jinka Ada
(Qaza) Karna Mushkil Ho To Chhod De
*{Fatawa Ulama e AhleHadees, Volume-I, Page- 415}*

Isi Liye Ham Kehte Hain Ahlehadees Aasani Ka Mazhab hai Jo
Aimmah E Arba‘ah (4 imam) Ka ittibaa naheen Karte Balki Apne
Khabees Nafs Ka ittibaa Karte Hain...

“Bade Bhole Bhale Bade Allah Wale....

Raaz Aapke To Bas Hameen Jante Hain.!!



Misal No-11

Ahlesunnat wa jama‘at Hanafi Barelavi Se Har Mu‘aamale mein Hadees
Ki 6 saheeh Kitabo Se hawala Talab Karne Wale Ghair Muqallideen Na
imam Bukhari Ki Sunte Hain Na Sihaah Sittah (Hadis ki 6 saheeh
kitaben) Ki Hadeeson Pe ‘Amal Karte Hain.......

*Farmane Rasool*

HADEES
✅ *HAQ*✅
HazratAbu Hurairah Farmate Hain Rasulullah Ne Farmaya,
Tumhare Bartan Ki Paki yeh Hai Jab Kutta Usme Muh Dale, To Use 7
Martaba Dhoyen, pahli Martaba Mitti Se Maanjhen
*{Ba-hawala, saheeh Muslim, Volume-I,* *Page-137,,, Sunane Abi*
*Dawood, Page-I1O}*

Is Farmane Rasool Ki Khuli Mukhaalafat Ghair Muqallideen Ki Fiqah
mein Dekhiye..

AHLEHADEES
*BATIL*
Logon Ne Kutte Aur Khinzeer Aur Unke Jhoote Ke Muta’aIIiq
ikhtilaaf Kiya Hai, Ziyaadah Raajih (راجحِ)
Yahi Baat Hai Ki unka
Jootha Pak Hai *(Nuzoolul Abrar, Jild-1, Page5O}*

*Tabsirah*

Yeh hai Naam Nihad Ghair Muqallideen Ki Fiqah Ke Bhayaanak
Masaayil....

Hanafi Fiqah Pe Ungli Uthane walon Ki jama‘at mein Na sirf kutte
suwwar ka jhuta Pak hai Balkih woh Khud Bhi Poore Poore Pak Hain,
Afsos Deobandiyon Ne Kawwe Ko Halal Kiya Ahlehugees Ne Kutte
Aur Suwwar Ko, Hadees Pe ‘Amal Ka Jhoota Dawa Aur uski Khuli
Mukhaalafat Donon Aapke Samne Hain Faisala Farmaayen



Misal No-12

Rasoole Azam Ke Farameen Se Munh Modne Wale Ghair

Muqallideen Ba-Zaahir Awam mein Bade Tantane Se yeh Dawa Karte
Nazar Aate Hain Kih Ham Quran O Hadees Pe Chalne Wale Akele
Thekedar Hain, Jab Ki Dekhiye inka Hadeeson Se Bhi lkhtilaaf hai woh
Bhi Hadees Ki Sab Se Oonchi Aur saheeh Kitab Bukhari Sharif Se .Hadees
Rasool

HADEES
*HAQ*✅
Hazrat Anas Bin Malik ؓ Se Riwayat Hai, Huzoor Jumu‘ah Us
WAQT Padhte Jab Sooraj Dhal Jata (Zawaal ke Bad)
*{Saheeh Bukhari, Jild-I, Page-I 23}*

Is Hadees Ke Khilaaf Gair Muqallidon Ka Qawl O ‘Amal Dekhen....

AHLEHADEES
*BATIL*❌
1- Jumu‘ah Zawal Se Pehle jayiz hai
*{Al-rawzatul Hindiyah, Jild-1, Page-137)*

2- Jumu‘ah Ka Waqt Eid Ki Namaz Ke Awwal Waqt Se Shuru Ho Jata
hai
*{Nuzoolul Abrar, Jild-1, Safhah-1 56}*



Misal No-13.

Alhamdulillah Ahnaaf {imam e azam abu hanifah (علیہ اهلل رمحة (Ke
Muqallideen} Ka ‘Amal Quran O Sunnat ijmaa O Qiyaase Shara‘ii Par
Hai,, Magar AhleHadees Jo yeh Naara Lagate Hain...

*Ahlehadees Ke 2 Usool. Farmane Khuda, Farmane Rasool .....*

Unka yeh Naara Saraasar Jhoota Hai, Na woh 4 imamo Ko Mante Hain
Na Allah O Rasool Ki, Apni jama‘at ko Hadees Ke mutaabiq O
muwaafiq Kahne Wale Ka Haal Dekhen...

HADEES
✅ *HAQ*✅
HazratAbu Hurairah ؓ Se Riwayat Hai Kih Rasool Ne Fajr Ke Bad
Suraj Nikalne Tak Aur Asar ke Bad Suraj Doobne Tak Namaz
(nafl/sunnat) Padhne Se Mana Farmaya
*{Ba Hawala, Saheeh BUKHARI, Volume-I, Page82,, saheeh Muslim,*
*Volume-1, Page-275}*

Ye Hadees 2 Badi kitab Bukhari wa muslim mein hai Jinhe Sahihain
Kaha Jata Hai,,,,

AHLEHADEES
❌ *BATIL*❌
1- Agar yeh Sunnate jama‘at mein Shareek Hone Ke Sabab Padhne
Se Rah Gai Hon To Farzon Ke Bad Padh Le *{Dasturul MUTTAQI, Page-
104}*

2- Agar jama‘at Ho Rahi Ho To Namaz Ke Bad Sunnat Padh Len
*(Salatur-Rasool, Page-351}*

*Dr iqbal Ne Kya Khoob Kaha.*

“Kaun hai Taanike Aaine Rasool Mukhtar.....

Kis Ki Nazron mein Samaya Hai Shi’aare Aghyaar,,,,,

Maslahate Waqt hai Kis Ke ‘Amal Ka Mi’yaar.....

Ho Gai Kis Ki Nigah Tarze SaIf Se Bezaar,,,,,,,

QaIb Mein Soz naheen Rooh mein Ehsas Nahi.
Kuch Bhi Paighaame Muhammad Ka Tumhen Paas Nahee



Misal No-13B

Awam Ke Hathon mein Quran Hadees De Kar Unhe Mujtahid O
Muhaqqiq Banane Wale Ghair Muqallideen Ne Deen Ka Kis Qadar
Tamasha Banaya Quran O Hadees Ke lrshadaat Ke Mutaabiq Awam
Ka To Bas Yahi Kaam Hai ki Ahle ILM Se Poochh Kar Apne Deeni
masaayil Par ‘Amal Karen..

Bhala yeh Kaisi Deendari hai Kih Deen ke Mu‘aamale mein sahaabah
Aur Tabieen Aur Aimmahe Mujtahideen Ki TAHQIQAAT Ko Na-Kaafi
Jaan Kar Har Shakhs Az Sare Naw Tamaam Deeni masaayil ki Phir Se
tahqeeq Karne Lag Jaye

Umren Khatam Ho Jayengi Magar Eik Mas-ale Ki Marifat Bhi Hash
Na Ho Sakegi. Aur is Tarah Ki aazad Rawi ki ijazat Dee Jaye To Jitne
Mujtahid Hoge Utne Hi Mazahib Phir Jo inteshar O ikhtilafaat Roo-
numa Honge Uska Tasawwur Bhi Muhaal Hai...............

Ghair Muqallidiyat Ummul Fitan (Fitnon Ki Maa) Hai,

Yoon yeh Fitteen Bade Zor O Shor Se Dawa Karte Hain AHLEHADEES
(Hadees wala) hone Ka Magar Dawa Aur ‘Amal Ka Khula Hua Tazaad
Dekhna Chahen To yeh Dekhen,

*JAARI RAHEGA....*



Misal No-14

HADEES
✅ *HAQ*✅
Ummul Mumineen Sayyidah Aishah Siddeeqah Farmaati Hain
Allah Ke Rasool Ne Farmaya, Jawan Aurat Ki Namaz Bagair Odhni
Ke Qubool naheen Hoti
*{Jame Tirmizi, Jild-1, Page-85,,,,,,, Sunane Abi Dawood, Page-94}*

Is Farmane Rasool Se Elane Baghaawat Karte Huwe Ghair Muqallid
Aalim Likhte Hain,

AHLEHADEES
❌ *BATIL*❌
Namaz mein Satr (aurat Ke Baal Bhi Uske Satr mein Shaamil Hain) KhuI
Jaye Ya woh Napak Kapdon mein Namaz Padh Le To Namaz Ho Jayegi
*{Urful Jadi, Page-21}*

Fiqah Hanafi Par Ungli uthane Walo! Pahle Ghar Ki Khabar Lo Mawlavi
Sahib Napak Kapdon mein Namaz Ki Ijazat De Rahe Hain

*Maaz'Allah rabbul a'alameen*



Misal No-14 B

Ghair Muqallideen Apni Taqareer O Tahareer Waz O Bayan
Kitabchon Aur Rasaa’iI mein Bade Zoro Shor Josho Kharosh Aur
Shaddo Madd Ke Saath yeh Naara Baland Karte Hain Ki woh ITTIBAE
Hadees Ke Jazbe mein Taqleed Ko Tark Karte Hain,,

Laikin Ghair Muqallideen Ka yeh Dawa Sad Fee Sad Jhoota Aur Bilkul
Galat Hai, Is Liye Ki Tarke TAQLEED Ka Baa’is Unki Tabee’aton Ki Suhulat Pasandi, Unke Nufoos Ki Sahl Angaari, Aur Jismo Jaa’n Ki
Aaram Talabi Hai.

*KUCH MISAALEN*

*U20 rak‘at Taraveeh Ko 8 Padhna.*

*O3 Vitr Ko1 Padhna,*

Oont Bail Bhains Gaye Bakre Or Dumbe Ki Qurabaani Par Ziyaadah
Kharch Hota Hai is Liye Murg Aur Ande Ki Qurbani Ka Fatwa Dena

*(Fataawa Sattaariyah, Jild-2, Page-27)*

OEik Majlis Ki 3 Talaq Ko Eik Maan Kar Zina Ka irtikaab Karna

Aurton Ko Masaajid mein Lana, 3 Meel Par Namaz Qasar Karna,
Hawa piche Se Be Dhamaka Nikle To wuzu Ko BAQI Manna,

OBagair Topi Ya imamah Ke Nange Sar Namaz Padhna, in-shirt Pe
Namaz Padhna,

OAurton Ke Liye Nail Polish jaayiz Karna Aur uspe wuzu Ko Durust
Manna.....

*{Fataawa ulama E Ahlehadees, Jild-1, Page-69}*

*JARI RAHEGA...*



Misal No-15.

HADEES
✅ *HAQ*✅
Hazrat Rifa’ah Bin Rafe Se Marwi Hai Huzoor Ne Farmaya.....

Jaise Tujhe Allah Ne Hukm Diya Waise wuzu kar Phir Azan Phir
IQAAMAT Phir Takbeer (Tahrimah) Phir Agar Tujhe Quran Yaad Ho
To Padh Warna Allah Ki Hamd O Sana Aur uski Takbeer O Tahleel
Kar
*{Jame Tirmizi, Jild-1, Page-66. Sunane Abi Dawood, Jild-1,*
*Safhah-125}*

Is Hadees mein Allah Ke Rasool Ne Us Shakhs Ke Bare mein
Farmaya Jo Quran Padhna Ya Zubani Padhna Na Janta Ho To Jab Tak Seekh Na Le isi Tarah Kare, Magar is Farmane Risalat Ke Khilaaf
Ghair Muqallidon Ke AaIim Ka Faraman...

AHLEHADEES
❌ *BATIL*❌
Makrooh naheen Ki imam Namaz mein Quran Dekh Kar Padhe... Aur
Apni Ungli Se Awraaq (pages) Badle
*{Nuzoolul Abrar, Jild-1, Page-131}*

Ummeed Hai ls Kitab Ki Mukammal 25 *(Sarkaar Alahazrat* Ki Nisbat
Se) MisaaIon Ko Padh Kar Aap Achchi Tarah Samajh Gaye Honge Kih
Ghair Muqallideen Ahlehadees naheen Balkih Dushmanaane Hadees
Hain.

“Har Rah Guzar Pe Sham’a Jalaana Hai Mera Kaam....

Tewar Hain Kya Hawa Ke yeh Main Dekhta Naheen..

*وما علینا الا البلاغ*

*Allah Pak Ki Bakhshi Huwi Taufeeq Aur Sarkaar E Do Aalam Ke*
*Khusoosi Faizan Se yeh Kitaab Mukammal Huwi……*




⚫हदीस शरीफ़ की मज़ाक उड़ाने का अंजाम⚫

हदीस शरीफ़👇
हज़रत अबू दरदा रज़िअल्लाहू त‌आला अन्ह से मरवी है के
रसूलल्लाह सल्लल्लाहू तआला अलैहि वसल्लम ने 📖फ़रमाया

जो शख़्स इल्म ए दीन हासिल करने के लिए सफ़र करता है तो ख़ुदा ए त‌आला उसे जन्नत के रास्तों में से एक रास्ता पर चलाता है और तालिब ए इल्म की रज़ा हासिल करने के लिए फ़िरिश्ते अपने परों को बिछा देते हैं,
📔मिश्कात शरीफ़ सफ़ा 34)

हज़रत मुल्ला अली क़ारी रहमातुल्लाहि तआला अलैह फ़रमाते हैं👇

इस हदीस शरीफ़ में इस बात की जानिब इसारा है के जन्नत के रास्ते इल्म के रास्तों में महदूद हैं इसलिए के नेक अमल बग़ैर इल्म के मक़सूद नहीं,
📔मिरक़ात जिल्द 1. सफ़ा 229)
और तहरीर फ़रमाते हैं के
अहमद बिन शुएब से रिवायत है
उन्होंने बयान किया के हमने शहर ए बशरा में इस हदीस शरीफ़ को एक मुहद्दिस से बयान किया जबके उस मजलिस में एक बदमज़हब मुअतज़ली भी बैठा हुआ था जो इल्म हासिल करने के लिए आया हुआ था उसने इस हदीस शरीफ़ का मज़ाक उड़ाते हुए कहा
कल हम जूता पहनकर चलैगे और उससे फ़िरिश्तों के परों को रौंदेंगे
जब अपने कहने के मुताबिक़ दूसरे दिन वो जूता पहनकर चला तो धड़ाम से गिर गया और उसके पैरों में मर्ज़ आक्ला पैदा हो गया जिससे उसके दोनों पैर सड़ गये,
📔मिरक़ात शरह मिश्कात जिल्द 1. सफ़ा 229)

और तिबरानी ने कहा के मैंने इब्ने
याहया साजी से सुना वो बयान करते थे के हम एक मुहद्दिस के यहां जाने के लिए बशरा शहर की गलियों में से गुज़र रहे थे तो हमारे साथ एक मस्ख़रा आदमी था जो अपने दीन में मोहतमिम था उसने कहा
अपने पैरों को फ़िरिश्तों के परों से उठालो उन्हें न तोड़ो,
यानी इस हदीस शरीफ़ का मज़ाक उड़ाया तो उसी जगह पर उसके पैरों ने उसको पछाड़ दिया और वो धड़ाम से ज़मीन पर गिर गया,
📔मिरक़ात जिल्द 1 सफ़ा 229)

कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...