25/10/2020

★ Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan ★


★ Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan ★

Part~ 01

✔  *Hadees No.1*

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Meri Ummat 73 giroh mein bath jayegi Jinme 72 Jahannami Honge aur sirf Ek Jannati Arz Kiya Ki Yaa Rasoolullah ﷺ Jannati Firqe Ki Kya Pehchan
hai ? Aap ﷺ ne farmaya jo meri aur mere sahaba ki Seerat Ikhtiyaar karega wo Jannati Hai

📕 *Mishkat Safa 30*

➡ Isiliye To Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hai

●Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor

●Najm Hain Aur Naav Hain Itrat Rasoolullah ﷺ Ki

➡ Najm = Taare
➡ Itrat = Aal Aulad Yaani Ahle Bait

◎To Be Continue......◎

【Part-02】★ Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan ★
✔ *Hadees No. 2*

✳️ *Hazrat Ali ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Akhir Zamane mein kuch Aise log paidah Honge jo Ba-aitebar umr kam honge Aql se paidal honge Inki Baate Sabse behtar hogi Imaan Inke halaq se niche nahi utrega Deen Se Aise Nikle hue Honge jaise teer Kamaan se nikal jaata hai to Tum unhe jahan paoge Qatl karo inke Qatl Karne mein har qatl karne wale ko Qayamat ke Roz Sawaab Milega*

📕 *_Bukhari Jild 2 Safa 1024_*

➡ _Aage ye bhi hai Tum log apni Namazo Rozo ko unke muqabile nihayat Kamtar khayal karoge_

✔ *Aaj Kal waqayi baatil firqo mein ye nishaniya paayi jaati hai Ba-zaahir bade bhole maloom hote hai aam taur par log kehte hai unhone bahot achhi baate batayi , bahot pabandi se Ibadat karte hai aur ye Saari nishaniya wahabiya devbandiya aur deegar bad-aqeedah Jamaat walo mein poore tareeqe se paayi jati hai*

● _Gulame Raza Inse Dhokha Naa Khana_
_Aur Raza Ka Ye Paigaam Naa Bhool Jana_

● _Raza Nafs Dushman Hain Dum Mein Naa Aana Kaha Tumne Dekhe Hain Chandrane Wale_

◎To Be Continue......◎


【Part-03】★ Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan ★
✔ *Hadees No.3*

*_Bad-Aqeedah Aur Gumrah logon ki nishaniya batate Hue Huzoor ﷺ Ne ye bhi farmaya Ke Aankhen dhasi Hui Gaalon Ki Haddi uthi hui Peshani ubhari hui Bhaari Dadhi Sar Mundaye hue aur Tehband Upar Ko chadhaye hue Hadees ke Akhir mein Hai Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya is Nasl Ke Log Quraane Kareem ki tilawat to Ro-Ro karenge magar inke galo se nahi utarega Deen se aise nikle hue honge jaise Kamaan se teer Huzoor ﷺ irshad farmaya Agar Main Inka Zamaana Paau to Inhe Qoum Samood Ki tarah Halaaq wa qatl karu Yani unhe Bilkul mita du_*

📕 *_Bukhari Jild 2 Safa 633_*

➡ *Unhe Tahbandi paajame aur munde Saro se bhi Bad-Mazhabo ki pehchan ki ja sakti hai halanqi Sar Mundana unche pahanna koi gunah ya Khilafe Shara'a nahi hai balqi Sunnat hai lekin yahan matlab ye hai ki ye log in baato par zyada Zor Denge aur bilkul Farz khayal karenge Yahan Tak ki Shaikh Mohammed Ibne Abdul Wahab Najdi ke baare mein Mash'hoor hai ki agar koi sar na mundaye to wo uska galaa katwa deta tha*

● _Najadi Ke Ganje Sar Par Ek Zor-Daar Thappad_

● _Jaldi Laga Laga Har Ek Yaar Aaye_

◎To Be Continue......◎


【Part-04】★Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan★
✔ *Hadees No.4*

*Hazrate Abdullah Ibne Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se riwayat hai ki wo Kharijiyon ko makhlooq mein sabse bura jaante the ki in logon ne Quraane Kareem ki Jo aayate Kaafiron ke Baare Mein hai unhe Musalmano par chaspa kar diya*

📕 *_»» Bukhari Jild 2 Safa 1024_*

➡ *_Kharaji wo log hai Jinhone Hazrate Ali ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ par shirq ka fatawa lagaya tha ( Maaz'Allah) Aur Jo Qurane Kareem ki Jo Aayate Kaafiro ke haq mein Naazil hui Hai unko Momineeno ke upar thopte hai._*

◎To Be Continue......◎


【Part-05】★ Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan ★
✔ *_Hadees No.5_*

*Hazrate Abdullah Ibne Umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne dua ki aur arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Huzoor ﷺ ne arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Raawi kehte hai ki mera khayal hai ki Teesri baar Mein Aap ﷺ ne farmaya ki Najd Mein Zalzale Aur Fitne Honge aur Shaitan Ka Sing Wahi se niklega*

📕 *_»»Bukhari Jild 2 Safa 1051_*

➡ *Ye Najd Jiske Baare Mein Huzoor ﷺ ne bajaye Khairo barkat ki dua ke is ilaaqe ko fitne ki Zameen Farmaya ki waha Zalzale aur fitne honge aur shaitan ka sing wahi niklega Isi Zameen se 1115 Hijri Mein Shaikh Mohammed Abdul Wahab Najadi paidah hua jisne wahabiyyat aur Allah ke Rasool ﷺ aur Buzurgane deen ki shaan mein gustakhiyon ki buniyad Daali Aur ye Najadi Bad-Aqeedah Gumrah log Aaj bhi Isi Mishan Par Hain*

● _Dushmane Ahmed Pe Shiddat Kijiye Mulhidown Ki Kya Murawwat Kijiye_

● _Ghaiz Me Jal Jaaye Be Deeno ke Dil Yaa Rasoolullah ﷺ Ki Kasrat Kijiye_

*《..Alhamdulillah Mukammal..》*






⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫
Bidat Hasna Ka Saboot
⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫

*【POST 01】Bidat Hasna Ka Saboot*

*ہر بدعت گمراہیت نہیں ہوتی،اچھی بدعت کا ثبوت بخاری شریف سے*
📖 *Achi Bidat Ka Saboot Bukhari Sharif Se*

🔰 *Firqa Wahabaiya Ke Tamam Giroh Ghair Muqallid,Deobandi,Jamat islami,Tabligi Jamat Wagera Har hlesunnat Wa Jamat Ke Har Ache Kaam Ko Bidat Kehkar Rad Karte Hain Jabke Khud kai Aise Kaam Karte Hain Jinka Sabot Na Quran Mein Hota hai Na Hadees Mein Khair Hum Ahlesunnat Wa Jamat Hain Jinke Mamulat Wa Nazriyat Aqaid Sab Quran Wa Sunnat Se Sabit Shuda Hain Aur Ahlesunnat Wa Jamat Mein Jo Ache Kaam Hain Unki Bhi Dalil Quran Wa Hadees Se Rakhte Hain Bidat Ke Mauzo Per Ye Pehli Qist Aapke Samne Hai Imam Bukhari Hadees Naqal Farmate Hain*

*وعن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عبد الرحمن بن عبد القاري، أنه قال: خرجت مع عمر بن الخطاب رضي الله عنه، ليلة في رمضان إلى المسجد، فإذا الناس أوزاع متفرقون، يصلي الرجل لنفسه، ويصلي الرجل فيصلي بصلاته الرهط، فقال عمر: «إني أرى لو جمعت هؤلاء على قارئ واحد، لكان أمثل» ثم عزم، فجمعهم على أبي بن كعب، ثم خرجت معه ليلة أخرى، والناس يصلون بصلاة قارئهم، قال عمر: «نعم البدعة هذه، والتي ينامون عنها أفضل من التي يقومون» يريد آخر الليل وكان الناس يقومون أوله*

🔮 *_“ ibne shuhab Arwa Bin Zuber Abdur Rahman Bin Abdul qari Se Riwayat Hai Ke Main Hazrat Omer Ke sath Ramzan Ki Ek Raat Mein Masjid Ki Taraf Nikla Tu Log Mutfarif Thy Ek Aadmi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Ek Aadi Giroh Ke Sath Hazrat Omer Ne Farmaya Ke Mere Khayal Mein Ineeh Ek Qari Ke Piche Jama Kar Diya Jaye Tu Acha Ho Pas Hazrat abi Bin Ka,ab Ke Piche Sabko Jama Kar Diya Gaya Phir Main Ek Dusri Raat Ko Unke Sath Nikla Aur Log Apne Qari Ke Piche Namaz Padh Rahe Thy Hazrat Omer Ne Farmaya Ke Ye Achi Bidat Hai Kyunke Raat ka Wo Hissa Jismein Wo So Jaate Hain Usse Behtar Hai Jismein Wo Qayam Karte Hain…_*

📚 *_Bukhari Shareef Kitab Us Salat Baab Fazl Min Qaam Ramzan Hadees 2010_*


*【POST 02】*


*_Sahabi Ke Naye Amal Ko Huzor Ne Rad Nahi Farmaya_*

*صحابی رسول کے نئے عمل کو حضور ﷺنے بدعت کہہ کر رد نہیں فرمایا*
_Hazrat imam Bukhari Hadees Naql Farmate Hain_

*حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نعيم بن عبد الله المجمر، عن علي بن يحيى بن خلاد الزرقي، عن أبيه، عن رفاعة بن رافع الزرقي، قال: ” كنا يوما نصلي وراء النبي صلى الله عليه وسلم، فلما رفع رأسه من الركعة قال: سمع الله لمن حمده “، قال رجل وراءه: ربنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيبا مباركا فيه، فلما انصرف، قال: «من المتكلم» قال: أنا، قال: «رأيت بضعة وثلاثين ملكا يبتدرونها أيهم يكتبها أول*
🔮 *“Hazrat Yahiya Se Riwayat Hai Ke Hazrat Rifaa Bin Raafe Zarqi ؓ Ne Farmaya Ek Roz Hum Nabi Karim ﷺ Ke Piche Namaz Padh rahe Thy Jab Huzoor ﷺ Ne Ruku Se Sar Utha Kar سمع الله لمن حمدهKaha Tu Piche Se Ek Aadmi Ne Kaha “ربنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيبا مباركا فيه Aye Hamare Rab Aur Tere Hi Liye Tareef Hai Bahut Ziyada Tareef Pakiza Aur Barkat Wali “Jab Huzoor ﷺ Farigh Howe Tu Farmaya Ye Kalimat Kis Ne Kahe Us Shaks Ne Arz Ki Main Ne , Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Main 30 Se Ziyada Farishton Ko Jhapatte Howe Dekha Kon Uneeh Sabse Pehle Likhta Hai*

📚 *_Bukhari Shareef Kitab Ul Aaazan Hadees 799_*

🔰 *Bukhari Sahrif Ki is Hadees Se Pata Chalta Hai Ke Sahabi E Rasol Ne Jo Amal Kiya Tha Usko Huzoor ﷺ Ne Pehle Karne Ka Hukum Nahi Farmaya Tha Magar Phir Bhi Sahabi E Rasol Ke is Naye Amal Ko Huzoor ﷺ Ne Rad Nahi Farmaya Bakle Uski Fazilat Ye Bayan Farmai Ke Sahabi is Naye Amal Ko 30 Se Ziyada Farishte Likhne Ke Jaldi Kar Rahe Thy ,Pata Chala Ke Har Naya Kaam Gumrahiyat Nahi Hoti*


*【POST 03】*


*حضور ﷺ نے اُمت کو دین میں اچھے کام کی اجازت عطا فرمائی ہے*
_Huzoor ﷺ Ne Ummat Ko Deen Mein Ache Kaam Ki ijazat Aata ki Hai_

*_Hazrat imam Muslim Hadees Naql Farmate Hain Ke_*

*حَدَّثَنِي زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا جَرِيرُ بْنُ عَبْدِ الْحَمِيدِ، عَنِ الْأَعْمَشِ، عَنْ مُوسَى بْنِ عَبْدِ اللهِ بْنِ يَزِيدَ، وَأَبِي الضُّحَى، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ هِلَالٍ الْعَبْسِيِّ، عَنْ جَرِيرِ بْنِ عَبْدِ اللهِ، قَالَ: جَاءَ نَاسٌ مِنَ الْأَعْرَابِ إِلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَيْهِمِ الصُّوفُ فَرَأَى سُوءَ حَالِهِمْ قَدْ أَصَابَتْهُمْ حَاجَةٌ، فَحَثَّ النَّاسَ عَلَى الصَّدَقَةِ، فَأَبْطَئُوا عَنْهُ حَتَّى رُئِيَ ذَلِكَ فِي وَجْهِهِ. قَالَ: ثُمَّ إِنَّ رَجُلًا مِنَ الْأَنْصَارِ جَاءَ بِصُرَّةٍ مِنْ وَرِقٍ، ثُمَّ جَاءَ آخَرُ، ثُمَّ تَتَابَعُوا حَتَّى عُرِفَ السُّرُورُ فِي وَجْهِهِ، فَقَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «مَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً حَسَنَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ لَهُ مِثْلُ أَجْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْءٌ، وَمَنْ سَنَّ فِي الْإِسْلَامِ سُنَّةً سَيِّئَةً، فَعُمِلَ بِهَا بَعْدَهُ، كُتِبَ عَلَيْهِ مِثْلُ وِزْرِ مَنْ عَمِلَ بِهَا، وَلَا يَنْقُصُ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْءٌ*

🔮 *“Hazrat Jarir Bin Abdullahؓ Bayan karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ ki Khidmat Mein uon Ke Kapde Pehne Howe Khuch Dihati Hazir Howe Aap ﷺ Ne Unki Bad Haali Aur Unki Zarorat Ko Dekha Phir Aap ﷺ Ne Logon Ko Sadqa Per Ubhara Logon Ne Khuch Dair Ki Jis Se Aap Ke Chehra e Anwar Per Naarzgi Ke Aasar Zahir Howe Phir Ek Ansari Dirhamo Ki Thaili Lekar Aaya Phir Dusra Aaya Phir Laane Walon Ka Ta,anta Bandh Gaya Hatta Ke Nabi Karim ﷺ Ke Chehre Per Khushi Ke Aasar Zahir Howe Tab Rasol Allah ﷺ Ne Farmaya Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Neak Tarike Ki ibteda Ki Aur Uske Baad Us Tarike Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tarike Per Amal Karne Walon Ka Ajar Bhi Us Ke nama E Aamal ein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Ajar Mein Kami Nahi Hogi Aur Jis Shaks Ne Musalmano Mein Kisi Bure Tariqe Ki ibteda Ki Us Ke Baad Us Tariqe Per Amal Kiya Gaya Tu Us Tariqe Per Amal Karne Walon Ka Gunah Bhi Us Shaks Ke Nama E Aamal Mein Likha Jaye Ga Aur Amal Karne Walon Ke Gunah Mein Koi Kami Nahi Hogi …*

📚 *_Muslim Shareef Kitab Ul ilm Hadees 1017_*

🔰 *_Muslim Sharif Ki is Hadees Se Bhi Saaf Wazeeh Horaha Hai Ke Allah Ke Rasol Ne Ye Deen Mein Ache Kaam Karne Ki ijazat Farmai Hai Aur sirf ijazat Hi Nahi Balke Us Per Sawab Milne Ki Khushkhabri Bhi Di Hai Magar Najd Ke Andhe Shayatin Ko Ye Sab Ahadees Nazar nahi Aati Khuch nazar Aaata Hai tu Bas Qullu Bidat Zalala Nazar Aaata Hai._*


*【POST 04】*


*حضرت عبداللہ بن عمر ؓکے نزدیک اچھی بدعت بھی ہوتی*
_Hazrat Abdullah ibne Omer ؓ Se Achi Bidat Ka Sabot_

🌀 *_Najdi Kharji Wahabi Hazrat Abdullah Ibne Omer Ke Hawale Se Hadees Laate Hain Ke Hazrat Abdullah ibne Omer Achi Bidat Ko Nahi Mante Balki Achi Bidat Ka Bhi Rad karte Hain Hum Unke Liye Hazrat Abdullah Ibne Omer ؓ Ki Hi Ek Riwayat Pesh Kar Rahe Hain Jisne imam ibne Shoiba Ne Naqal Faramya Hai_*

*حَدَّثَنَا ابْنُ عُلَيَّةَ ، عَنِ الْجُرَيرِيِّ ، عَنِ الْحَكَمِ بْنِ الأَعْرَجِ قَالَ : سَأَلْتُ ابْن عُمَرَ ، عَنْ صَلاَةِ الضُّحَى وَهُوَ مُسْتَنِدٌ ظَهْرَهُ إلَى حُجْرَةِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ، فَقَالَ : بِدْعَةٌ وَنِعْمَتِ الْبِدْعَةُ.*
🔮 *_“Hazrat Eiraj Se Riwayat Hai Wo Farmate Hain Main Ne Hazrat ibne Omer Se Namaz e Chasht Ke Baare Mein Pocha Jab Wo Nabi Karim Ke Hujra Sharif Ke Sath Apni Posht Lagaye Baithe Thy ,Hazrat ibne Omer Ne Farmaya Bidat Hai Aur Bahut Achi Bidat Hai_*

📚 *_Musannaf ibne Abi Shoiba Vol 05 Page 254_*

🔰 *Is Riwyat Ne Tamam Najdio Wahabion ka Moon Kala Kar Ke Rakh Diya Hai Hazrat Abdullah ibne Omer Ne Bidat Kaha Magar Achi Bidat Farmaya Pata Chala Ke Nabi Karim Ke Zamana Zahir Ke Baad Aagar Muslaman Koi Acha Kaam Shuro karte Hain Aur jis Kaam Se Koi Sunnat Ke Zaya nahi Hoti Tu Wo Kaam Jayaz Hai isi jayaz Kaam Ko Ahlesunnat Wa Jamat Mein Bidat e Hasna Kaha Jata Hai*



*【POST 05】*


*دین میں اچھے کام کرے کا ثبوت ،احادیث کی روشنی میں*
💫💫 _Deen Mein Ache Kaam Karne Ki ijazat Di gai Hai_💫💫

❇ *_Imam ibne abdul bar Apni Kitab Mein Hadees Shareef Nal farmate Hain_*

*الَ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ بْنُ حُسَيْنٍ عَنِ الْحَسَنِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ مَنْ سَنَّ سُنَّةَ هُدًى فَاتُّبِعَ عَلَيْهَا كَانَ لَهُ أَجْرُهُ أَوْ مِثْلُ أَجْرِ مَنِ اتَّبَعَهُ غَيْرَ مَنْقُوصٍ مِنْ أُجُورِهِمْ شَيْئًا وَمَنْ سَنَّ سُنَّةَ ضَلَالَةٍ فَاتُّبِعْ عَلَيْهَا كَانَ عَلَيْهِ وِزْرُهَا وَمِثْلُ أَوْزَارِ مَنِ اتَّبَعَهُ غَيْرَ مَنْقُوصٍ مِنْ أَوْزَارِهِمْ شَيْئًا*

🔮 *_Huzoor irshad Farmate hain “ Jisne Kisi Ache Kaam Ko Jaari Kiya Uske Baad Us Tarike Per Amal Kiya Gaya Tu Uska Usko Ajar Diya Jaye Ga Aur Us Tarike Per Amal Karne Walon Ka Ajar Bhi Uske Naama e Aamal Mein Likh Diya Jaye Ga Aur Amal Karne Walo Ke Ajar Mein Kami Nahi Hogi Aur Jis Shaks Ne Kisi Bure Kaam Ko Jaari Kiya Aur Usper Amal Kiya Tu Usko Gunah Mile Ga Aur Us Tarike Per Amal Karne Walon Ka Gunah Bhi Us Shaks Ke Nama E Amal Mein Likh Diya Jaye Ga Aur Karne Walon Ke Gunah Mein Koi Kami Nahi Hogi_*

📚 *_At Tamheed Vol 24 Page 326,327_*

🔰 *Pata Chala Ke Shariat Ne Ache Kaam Karne Ki ijazat Di hai Ke Aur Milad un Nabi Mana ,Masajid Ko Pakki Aur Aalishan Banana, Quran e Paak Ko Khubsurat Aur Qimti Warq Per Chapna ,isale Sawab ke Liye Garibon Ko Khana Khilana, Ye Sab Kaam Naye Hain Aur Ache Hain jiski ijazat Hame islam ne ijazat Di hai.*



*【POST 06】*


*حضرت عبداللہ ابن مسعود کے نزدیک نیا اور اچھا کام شروع کرنا جائز ہے*
💫 _Hazrat Abdullah ibne Masod Se Achi Bidat Ka Sabot_

❇ *_Hazrat abdullah ibne Masood ؓSe Musnad Al Bazzar Mein Riwayat Hai Farmate Hain_*

*الْمُؤْمِنُ حَسَنًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ حَسَنٌ، وَمَا رَآهُ الْمُؤْمِنُونَ قَبِيحًا فَهُوَ عِنْدَ اللَّهِ قَبِيحٌ*
🔰 *“Jis Amal Ko Musalman Acha Samjhen Wo Allah Ke Nazdik Bhi Acha Hai Aur Jis Amal Ko Musalman Bura Samjhen Wo Allah Ke Nazdik Bhi Bura Hai”*

📚 *_Musnad Al Bazzar Vol 05 Page 213_*

🔮 *_Is Hadees Se Bhi Saaf Pata Chalta Hai Ke Naye Kaam Ko Mutlaq Mana Nahi Farmaya Gaya Balke Ache Kaam Ki ijazat Di Gai Hai Ye Wahabi Jab Se Paida Howe Hain Tab Se Ache Kaamo Ko Bidat Kehkar Kar Rokne Ki Koshish Ki Ja Rahi hai Aur Ye Sab Yahudi Sazish Ka ka Ek Hissa Hai Aur Sabse Badi Baat Yahi Hai Ke Agar Koi Bidati Hain Tu Wo Wahabi Hain is Liye Ke Ahle sunnat Wajamat Ne Kabhi Wahabiat Ko Acha Nahi Samjha Aur is Baat Ka iqrar Tamam Wahabi Zurriyat Ko Bhi Hai Lihaza Hazrat Abdullah ibne Masood ki Had Ki Roshni Mein Wahabi Firqa Bidati Sabit Hota Hai_*



*【POST 07】*


*شارح صحیح مسلم حضرت امام نووی سے بدعت حسنہ کا ثبوت*
🌀 _Imam Navwi Se Achi Bidat {Hasna }Ka Sabot_

💫 *Ahlesunnat Wa Jamat Ke Mashor imam imam Navwi Jineh Deobandi Wahabi Bhi Mante Hain Wo Bidate Hasna Ke Taluk Se Likhte Hain*

*(مَنْ سَنَّ سُنَّةً حَسَنَةً وَمَنْ سَنَّ سُنَّةً سَيِّئَةً) الْحَدِيثُ وَفِي الحديث الآخر*
*من دعا إلى هدى ومن دعا إلى ضلالة هَذَانِ الْحَدِيثَانِ صَرِيحَانِ فِي الْحَثِّ عَلَى اسْتِحْبَابِ سَنِّ الْأُمُورِ الْحَسَنَةِ وَتَحْرِيمِ سَنِّ الْأُمُورِ السَّيِّئَةِ*

🔮 *_“Nabi Karim ﷺ Ka Farman Hai مَنْ سَنَّ سُنَّةً حَسَنَةً وَمَنْ سَنَّ سُنَّةً سَيِّئَةً Aur ek Dusri Riwayat Mein Hai من دعا إلى هدى ومن دعا إلى ضلالة Ye Dono Ahadees Ache Kaam Ke Shuro istahbab Aur Bure Kaam Ki Mumaniat Per Dalil Hai_*

📚 *_Sharah Saheeh Muslim Vol 16 Page 226_*

🔰 *Yaani Hazrat imam Nawi Ke Nazdeek Bhi Bidat Do Qisam Ki Hai Ek Bidat e Hasna Aur Dusri Bidat e Saiya Lihaza islam Mein Agar Koi Acha Kaam ijad Karta Hai isko Mutlaq Bidat E Zalal Kehkar Rad Nahi Kiya Jaye Ga Jaise Ke Maujoda Zamana Ke Kharji Wahabi Deobandi Tabligi Ghair Muqallid Karte Hain*


*【POST 08】*


*امام صالح شامی سے بدعت حسنہ {اچھی بدعت } کا ثبوت*
💫 *_Imam Swaleh Shami Se Achi Bidat Ka Saboot_*

📖 *_Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Yusuf Swaleh Shami Farmate Hain_*

*لأن البدعة لم تنحصر في الحرام والمكروه، بل قد تكون أيضاً مباحة ومندوبة وواجبة. قال النووي- رحمه الله تعالى- في «تهذيب الأسماء واللغات: البدعة في الشرع: هي ما لم يكن في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم وهي منقسمة إلى حسنة وقبيحة» . وقال الشيخ عز الدين بن عبد السلام- رحمه الله تعالى- في القواعد: البدعة منقسمة إلى واجبة وإلى محرمة ومندوبة ومكروهة ومباحة*

🔮 *_“Bidat Ka inhasar Sirf Haram Wa Makroh Per Nahi Hai Balke Bidat Usi arah Mobaah Mandoob Aur Wajib Bhi Hoti Hai imam Navwi Apni Tasnif “Tahzeeb Ul Asma Wa Lughat “ Mein Farmate Hain Shariat Mein Bidat Us Amal Ko Kehte Hain Jo Huzoor ﷺ Ke Zamane Mein Na Howa Ho Aur Ye Bidat Hasna Aur Bidat Qabeeha Mein Taqseem Ki Jaati Hai Hazrat Shaikh Izuddin Bin Abdussalam Apni Tasnif “Qawaid Ul Ahkam “Mein Farmate Hain Bidat Wajib ,Haram,Mandob ,Makroh ,Aur Mubah,Mein Taqsim Hot i Hai_*

📚 *_Sublool Huda Warrishad Vol 01 Page 439_*

🔰 *Hazrat imam Swaleh Shami Ke Nazdeek Bhi Bidat Do Qisam Ki Hai Aur Achi Bidat Yani Bidat Hasna Per Amal Karna Ye Jayaz Hai Aur is Per Sawab Bhi Hai Aur Yahi Akabarin Ka Maslak Hai*


*【POST 09】*


*حضرت امام نووی رحمۃ اللہ علیہ سے بدعت حسنہ اچھی بدعت کا ثبوت*
💫 _Imam Nawi Se Bidat e Hasna Ka Saboot_

❇ *Hazrat imam Navwi Bidat Ki Taqseem bayan Karte Hain Farmate Hain*

*البِدعة بكسر الباء في الشرع هي إحداث ما لم يكن في عهد رسول الله – صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ -، وهي منقسمة إلى: حسنة وقبيحة*

🔮 *_Shariat Mein Bidat Se Murad Wo umoor Hain Jo Rasol Allah Ke Zamane Na The Phir Bidat Ki 2 Qismen Hain Aur Bidat Hasna {Achi Bidat} Aur Bidat Saiyaa {Buri Bidat} Hai_*

📚 *_Tahzeeb Ul Asma WalLughat Vol 03 Page 22_*

🔰 *Hazrat imam Navwi Ke Nazdeek Bhi Deen Mein Koi Acha Kaam Karna Jayaz Hai Aur Ye Kaam Bidat Hasna KehlataHai*


*【POST 10】*


*امام محمد الحصکفی رحمۃ اللہ علیہ سے اچھی بدعت {بدعت حسنہ} کا ثبوت*
_Hazrat Imam Haskafi رحمۃ اللہ علیہ Achi Bidat Ka Saboot_
🔰 *Hazrat imam Haskafi Farmate Hain*

*التَّسْلِيمُ بَعْدَ الْأَذَانِ حَدَثَ فِي رَبِيعٍ الْآخَرِ سَنَةَ سَبْعِمِائَةٍ وَإِحْدَى وَثَمَانِينَ فِي عِشَاءِ لَيْلَةِ الِاثْنَيْنِ ، ثُمَّ يَوْمَ الْجُمُعَةِ ، ثُمَّ بَعْدَ عَشْرِ سِنِينَ حَدَثَ فِي الْكُلِّ إلَّا الْمَغْرِبَ ، ثُمَّ فِيهَا مَرَّتَيْنِ ، وَهُوَ بِدْعَةٌ حَسَنَةٌ*

📖 *_“Azan Ke Baad Salam Padhne Ki ibteda 781 Hijri Ke Rabil Aakhar Mein Do Shanba Ki Shab isha Ki Azan Se Howi is Ke Baad Juma Ke Din Azan Ke Baad Salam Padha Gaya Uske 10 Saal Baad Magrib Ke Siwa Tamam Namazon Mein Do Martaba Salam Padha Jaane Laga Aur Ye Bidat E Hasna {Achi Bidat }Hai_*

📚 *_Raddul Muhtaar Vol 01 Page 57_*

🔮 *Hazrati imam Haskafi Ke Nazdeek Bhi Deen Mein Kisi Ache Kaam Ko Shuro Karna Ye Jayaz Hai Lihaza Wo Wahabi Jo Khud Ko Muqallid Kehlate Hain Jine Deobandi Tabligi Firqa Bhi Kaha Jata Hai imam E Haskafi Ki Ye Tahrir Unke Liye Dawat e Fikr Deti Hai Ke Wo Apni islah Kar Leen Aur Bidat Bidat Ki Rat Lagana Choor Deyn*




*【POST 11】*


*غیر مقلدین کے امام قاضی شوقانی کے نزدیک اچھی بدعت بھی ہوتی ہے*
💫 *_Ghair Muqallid Shauqani Se Bidat E Hasna Ka Saboot_*

📖 _Ghair Muqalladin Ke Rohani Abba Qazi Shaukani Bidat Ke Mauzo Per Likhte Hain_

*الْبِدْعَةُ أَصْلُهَا مَا أُحْدِثَ عَلَى غَيْرِ مِثَالٍ سَابِقٍ، وَتُطْلَقُ فِي الشَّرْعِ عَلَى مُقَابَلَةِ السُّنَّةِ فَتَكُونُ مَذْمُومَةً، وَالتَّحْقِيقُ أَنَّهَا إنْ كَانَتْ مِمَّا يَنْدَرِجُ تَحْتَ مُسْتَحْسَنٍ فِي الشَّرْعِ فَهِيَ حَسَنَةٌ، وَإِنْ كَانَتْ مِمَّا يَنْدَرِجُ تَحْتَ مُسْتَقْبَحٍ فِي الشَّرْعِ فَهِيَ مُسْتَقْبَحَةٌ، وَإِلَّا فَهِيَ مِنْ قِسْمِ الْمُبَاحِ، وَقَدْ تَنْقَسِمُ إلَى الْأَحْكَامِ الْخَمْسَةِ.*

🔮 *“ Bidat Us Kaam Ko kehte Jis Ki Pehle Koi Misal Na Ho Aur istelah e Shara Mein Sunnat Ke Muqabile Mein Bidat Ka itlaq Hota Hai is Liye Ye Mazmom Hai Tahqiq Ye Hai Ke Bidat Agar Kisi Aise Usol Ke Tahqt Dakhil Hai Jo Shariat Mein Mustahsan Hai Tu Ye Bidat e Hasna Hai Agar Aise Usol Ke Tahat Dakhil Hai Jo Shariat Meein Buri Hai Tu Ye Bidat Saiya {Buri Bidat} Hai Warna Bidat Mubaaha Hai Aur BilaShuba Bidat Ki 5 Aqsam Hain*

📚 *_Nailul Awtar Vol 03 Page 521_*

🔰 *Lijiye Sahab Wahabion Ke Muqtadar Mutamad Pesha Qazi Shauqani Ne Bhi Apna Mauqaf Waazeh Kar Diya Ke Bidat Ke 5 Aqsam Hain Aur is Mein Bidat E hasna Mubaaha Yaani Achi Bidat Hai Tu Wo Wahabi Ghair Muqallid Jo Bidat Zalala Ka Wazifa Liye Gali Gali Chillate Hain Wo Apne is imam Ki Pehle Khabar Len*


*【POST 12】*


*وہابی امام ابن حزم سے بدعت حسنہ }اچھی بدعت} کا ثبوت*
📋 _Ibne Hazam Ghair Muqallid Se Bidat E Hasna Ka Saboot_

🔰 *_Jamat e Wahabiya Me Mustanad Aalim ibne Hazam Bidat Ke Taluk Se Likhte Hain_*

*والبدعة كل ما قيل أو فعل مما ليس له أصل فيما نسب إليه صلى الله عليه وسلم وهو في الدين كل ما لم يأت في القرآن ولا عن رسول الله صلى الله عليه وسلم إلا أن منها ما يؤجر عليه صاحبه ويغدر بما قصد إليه من الخير ومنها ما يؤجر عليه صاحبه ويكون حسنا وهو ما كان أصله الإباحة كما روي عن عمر رضي الله عنه نعمت البدعة هذه وهو ما كان فعل خير جاء النص بعموم استحبابه وإن لم يقرر عمله في النص ومنها ما يكون مذموما ولا يعذر صاحبه وهو ما قامت به الحجة على فساده فتمادى عليه القائل به*

🔮 *“Bidat Har Us Qaul Wa Fael Ko Kehte Hain Jiski Deen Mein Koi Asal Ya Dalil Na Ho Aur Us Ki Nisbat Nabi Karim ﷺ Ki Taraf Ki Jaye Lihaza Deen Mein Har Wo Baat Bidat Hai Jiski Buniyad Kitab Wa Sunnat Per Na Ho Magar Naye Kaam Ki Buniyad Khair Per Ho tu UsKe Karne Wale Ko Uske irada e Khair Ki Wajeh Se Ajar Mile Ga Aur wo Bidat E Hasna Hai Aur Ye Aisi Bidat Hai Jiski Asal Abahat Hai Jis tarah Hazrat Omer Farooq رضی اللہ عنہKa Farmana نعمت البدعة هذه Hai Aur Ye Wahi Acha Amal Tha Jiske Mustahab Hone Per Nas {Dalil} Aai Hai Agarche Pehle is Fael Per Sarahatan Nas Nahi Thi Aur in Mein Se Baaz Af,Aal Mazmom Hote Hain Lihaza is Ke Aamil Ko Maazor Nahi Samjha Jata Aur Ye Aisa Kaam Hota Hai Jiske Jayaz Hone Per Dalil Qayam Hoti Hai Aur iska Qayal Us Per Sakhti Se Aamil Hota Hai*

📚 *_Al Ahkaam Fi Usol Ul Ahkam Vol 02 Page 47_







⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚪⚫⚫⚫
*Firqa Deokhani Deoband wa Jamat E Tablig
⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫



*Firqa Deokhani Deoband wa Jamat E Tablig kay Qasim ul Uloom Sahab Kay ye Akhlaq Thay Kay Wo Bachon Ki Topiyan Utartay Thay Yahi Nahi Bachon ka Tahband Bhi Khool Dety Thay Ab Ye Tah band Kiyun Kholty Thy ye Qasim Naotvi Aur Rashid Ahmad Gangohi Ka Waqiya aur Thanvi aur unky Murid Ka Waqaya Padhne Kay Baad Ako Pata Chal Jaaye ga Khair*

*YE deobnadi Mazhab kay ulama Ka Haal hai Jahan Akhlaq Say Giri Howi Harkat Karna karamat Mein Shumar Kiya Jaata Hai*






































कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...