28/10/2020

JUMA KI AZAN E AZAN E SAANI MASJID KE DARWAZE PER DENA SUNNAT HAI


POST 01

اذان ثانی مسجد کے دروازے پر حدیث اور سنت صحابہ سے ثابت ہے
*_Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Dena Sunnat Hai_*

*Ahlesunnat Wa Jamat Ke Nazdik Juma Ki Aazan e Saani Masjid Ki Ke Darwaze Per Kehna Ye Sunnat Hai Aur Fuqah Ke Nazdik Masjid Ke Andar Azan Dene Ko Makroh Farmaya Hai Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Kehna Ye Akabarin Se Sabit Hai Jiska Sabot Ahadees Aur Kutub Fuqah Mein Hamen Milta Hai Abu Dawood Ki Hadees Hai*
حدثنا النفيلى حدثنا محمد بن سلمة عن محمد بن إسحاق عن الزهرى عن السائب بن يزيد قال كان يؤذن بين يدى رسول الله -صلى الله عليه وسلم- إذا جلس على المنبر يوم الجمعة على باب المسجد وأبى بكر وعمر
*_Hazrat Sain Bi yazid Se Riwayat Hai Unaho Ne Farmaya Ke Juma Ke Din Jab Rasul Allah Minmbar Per Jawla Afroz Hote Tu Huzoor Ke Rubaro Masjid Ke Darwaze Per Azan Hoti Aur Aisa Hi Hazrat Abubakar wa Hazrat Omer Ke Zamane Mein_*

📚 *_Sunan Abu Dawood Vol 02 Page 101,102_*

*Pata Chala Ke Huzor Aur Hazrat Abubakar Siddiq Wa Hazrat Farooq e Aazam Ke Zamane Mein Juma Ki Azan e Saani Darwaze Per Hoti Thi*




【POST 02】*
حضرت بلالؓ اذان ثانی مسجد کے دروازے پر کہتے تھے ۔امام رازی
*_Hazrat Bilal Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Kehte Thy.imam Raazi_*

*Hazrat imam e Raazi رحمۃ اللہ علیہApni Mashoor Tafseer Mein Riwayat Naqal Farmate Hain*

لَمْ يَكُنْ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّه صَلَّى اللَّه عَلَيْهِ وَسَلَّمَ نِدَاءٌ سَوَاءٌ كَانَ إِذَا جَلَسَ عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ عَلَى الْمِنْبَرِ أَذَّنَ بِلَالٌ عَلَى بَابِ الْمَسْجِدِ، وَكَذَا عَلَى عَهْدِ أَبِي بَكْرٍ وَعُمَرَ
*Huzoor صلی اللہ علیہ وسلمKe Zamana Mein Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Member Per Tashrif Farma Hote Tu Hazrat Bilal رضی اللہ عنہ Masjid Ke Darwaze Per Azan Kehte Aur isi Tarah Hazrat Abubakar wa Hazrat Omer Ke Zamane Mein {Hota}*

📚 *_Tafseer Kabeer Vol 30 Page 08_*

*Hazrat imam Raazi Ke Nazdik Bhi Azan Majid Ke Bahar Darwaze Per Dena Sunnat Hai Aur isi Per Sahaba Ka Amal Tha*




【POST 03】*
جمعہ کی اذان حضرت بلالؓ مسجد کے دروازے پر کہتے تھے ۔تفسرکشاف
*_Hazrat Bilal Juma Ki AzanAzan Masjid Ke Darwaze Per Kehte Thy.Kashaf_*

*Mufasire Quran Zamishkhari Apni Mashor Tafseer Kashaf Mein Riwayat Naqal Farmate Hain*

كان لرسول الله صلى الله عليه وسلم مؤذن واحد، فكان إذا جلس على المنبر أذن على باب المسجد، فإذا نزل أقام للصلاة، ثم كان أبو بكر وعمر رضى الله عنهما على ذلك
*Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Muazan Ek Thy Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Mimbar Per Jalwa Farma Hote Wo Muazan Masjid Ke Darwaze Per Azan Dete Yahi Rawish Hazrat Siddiq e Akbarؓ Aur Hazrat Farooq e Azam Ke Zamana ؓMein Thi*

📚 *_Tafseer e Kashaf Page 1106_*




POST 04】*
حضورﷺ اور خلفائے راشدین کے زمانہ میں جمعہ کی اذان مسجد کے دروازہ پر ہوتی تھی
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Sahaba Ki Sunnat Hai_*

*٘Mufassire Quran Allama Alosi Sureh Juma Ki Aayat يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ Ki Tafseer Mein Farmate Hain_*

*Murad is Se Wo Azan Hai Jo Khatib Ke Membar Per Baithne Ke Waqat Kahi Jaati Hai Aur Ye is Liye Ke Nabi Karim ﷺ Ke Zamane Mein Sirf Yahi Azan Thi Tu is Ke Liye Ek Muazzin Muqarar Thy Tu Wo Masjid Ke Darwaze Per is Waqat Azan Dete Thy Jab Aap ﷺ Mimber Per Jalwa Afroz Ho Jaate Phir Jab Khutba Padh Kar Aap ﷺ Neeche Utarte Tu Muazzin Takbir Kehte Phir Abubakar ؓWa Omer ؓis Per Qayam Rahe Aur Hazrat Ali ؓKofa Mein isi Per Qayam Rahe Yahan Tak Ke Hazrat Usman Ghani ؓJab Khalifa Howe Logon Ki Tadad Badhi Aur Ghar Door Door Hogaye Tu Aaap Ne Ek Dusri Azan Ka izafa Kiya Tu Aap Ne Pehli Azan Apne Ghar Ke Uper Padhe Jaane Ka Hukum Diya Jisko Zora Kaha Jata Hai Phir Jab Azan Sunkar Log Aagaye Aaap Member Per Baith gaye Tu Muazzin Ne Dusri Azan kahi Aur Aaoki Us Waqat Kisi Ne Mukhalifat Na K……………*

📚 *_Tafseer Sawi Vol 04 Page 195_*

*Pata Chala Ke Huzor Ke zamana Mubarak Aur Khulfa E Rashidin Ke Dsaur Mein Bhi Juma Ki Azan Masjid Ke Darwaza Per Hi Hoti Thi*




POST 05】*
حضورﷺ اور خلفاء کے زمانہ میں جمعہ کی اذان مسجد کے دروازہ پر ہوتی تھی
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Sahaba Ki Sunnat Hai_*

*Imam ibne Jauzi Sureh Juma Ki Aayat يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ Ki Tafseer Mein Farmate Hain*

إِذا نُودِيَ لِلصَّلاةِ وهذا هو النداء الذي ينادى به إذا جلس الإمام على المنبر، ولم يكن في عهد رسول الله صلّى الله عليه وسلم نداء سواه. كان إِذا جلس على المنبر أذَّن بلال على باب المسجد، وكذلك كان على عهد أبي بكر، وعمر
*_“Jab Nabi Karim Membar Per Jalwa Afroz Hote Tu Hazrat Bilal Masjid e Nabwi Ke Darwaze Per Azan Padhte Aur Aisa Hi Hazrat Abubakar Siddiq Aur Hazrat Omer Farooq Ke Zamana Mein Hota_*

📚 *_Tafseer Zaal Al Maseer Fi Uloom Ut Tafseer Vol 08 Page 261,262_*

*Imam ibne Jauzi Ke Nazdik Bhi Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Kehna Sunnat Hai Aur Yahi Ahadees Aur Khulfa e Rashadin Se Sabit Hai*





POST 06】*
جمعہ کی اذان مسجد کے دروازے پر دینا صحابہ کرام کی سنت ہے۔امام نیشاپوری
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Sahaba Ki Sunnat Hai_*

*Aap Hazrat Musalsal Azan e Saani Se Mutaliq Mauzo per Qistwar dalail Dekh Rahe Hain jis Mein Akabrain Ne Ye Likha Hai Ke Huzor Ke zamana Se Lekar Khulafa e Rashadeen Ke Zamana Mein Juma Ki Azan Masjid Ke Darwaze Per Hoti Rahi Hai Aur Yahi Maslake Ahle Sunnat Hai Ke Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Di Jaye Hazrat imam Neshapuri Sureh Juma Ki Aayat يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ Ki Tafseer Mein Farmate Hain_*

والنداء الأذان في أول وقت الظهر، وقد كان لرسول الله صلى الله عليه وسلم مؤذن واحد فكان إذا جلس على المنبر أذن على باب المسجد فإذا نزل أقام للصلاة، ثم كان أبو بكر وعمر على ذلك
*_“Hazrat imam Nesapuri Likhte Hain “Nida e Awal Waqat Zohar Mein Azan Hai Huzor Ke Ek Muazzin The Jab Aap Member Per Jalwa Afroz Hote Tu Wo Masjid Ke Darwaze Per azan Kehte Thy Aur Aisa Hi Hazrat Abubakar siddiq Aur Hazrat Omer Faroq Ke Zamana Mein Hota_*

📚 *_Tafseer Garayeb ul Quran imam Neshapuri Vol 6 Page 300_*

*insha Allah Bahut Jald Hum Fuqah e Kiram se Masjid ke Andar Azan Dene Se Mutaliq Dalail Pesh Karen Ge Aur “بین یدیہ”ka Sahih Mafhoof Bhi Wazeeh Karen Ge*




POST 07】*
جمعہ کی اذان مسجد کے دروازے پر دینا سنت ہے۔ امام سلیمان العجیلی الشافعی
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Sahaba Ki Sunnat Hai_*

*Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Darwaze Per Dena Na Sirf Fiqa Hanafi Hanafi Mein Jayaz Hai Balki Shafai Ulama Ke Nazdik Bhi Juma Ki Azan Masjid Ke Darwaze Per Dena Hi Dursut Hai Imam Suleman Bin Ujaili Shafai Sureh Juma Ki Aayat يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا نُودِيَ لِلصَّلَاةِ مِنْ يَوْمِ الْجُمُعَةِ فَاسْعَوْا إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ وَذَرُوا الْبَيْعَ Ki Tafseer Mein Farmate Hain*

فکان لہ موذن واحد اذا جلس علی المنبر اذن علی باب المسجد
*_“Huzor Ke Ek Muazan thy Jab Aap Member Per Jalwa Afroz Hote Tu wo Masjid Ke Darwaze Per Azan Dete “_*

📚 *_Futohaat e ilahiya Ba Tauzeh Tafseer Jalalain Vol 04 Page 343_*

*“insha Allah Bahut Jald Hum Fuqah e Kiram se Masjid ke Andar Azan Dene Se Mutaliq Dalail Pesh Karen Ge Aur “بین یدیہ”ka Sahih Mafhoof Bhi Wazeeh Karen ge*




POST 08】*
جمعہ کی اذان مسجد کے دروازے پر دینا سنت اور اندر دینا مکروہ
*_Juma Ki Azan Masjid ke Darwaze Per Dena Aur Andar Dena Makroh_*

*Hum Juma Ki Azan e Saani Se Mutaliq Musalsil Aap Tak dalail Pahuncha Rahe Hain Ke Ahlesunnat Ke Nazdik Azan E Saani Khatib Ke Samne Masjid Ke Darwaze Per Denat Ye Sunnat Hai Aur Ye Ahadees Aur Aimma e Mujtahideen Se Sabit Hai Ulame Ahlesunnat Ne Jahan Juma Ki azan e Saani Ko Masjid Ke darwaze Per Dene Ko Sunnat Kaha Hai Wahin Masjid Ke Andar Azan dene Ko Makroh Likha Hai imam Shamshuddin Khirasani Likhte Hain*
لا یوذن فی المسجد فانہ مکروہ
*Masjid Mein Azan Na Di Jaye Kiyun Ke Makrooh Hai*

📚 *_Jame Ur Rumooz Page 69_*



POST 09】*
اذان ِثانی مسجد کے اندر بدعت ہے ،ہشام بن عبدالملک کی ایجاد ہے۔فتاوی عبدالحئ
*_Azan e Sani Majid Mein Bidat Hai Hisham Bin abdul Malik Ki ijad Hai_*

*Maulana Abdul Hai Lakhnavi Apne Fatawa Mein Azan e Saani Se Mutaliq Likhte Hain*

_“Logon Ne Hazrat Usman Ke Fael {Amal} Per Amal Kiya Kiyun Ke Us Waqat Wahi Khalifa Thy Aur Unki ita,at Zarori Thi Bazun Ne Kaha Hai Ke Makke Mein Sabse Pehle Ise Hajaj Ne Aur Basre Mein Ziyad Ne ijad Kiya Bila Shuba Abu Dawod Se Ye Amr Sabit Hai Ke Azan e Saani Kharij e Masjid Rubaru Masjid Ke Darwaze Per Di Jaati Aur Baaz Ulama Likhte Hain Ye Azan Minara Per Hoti Har Halat Mein Khatib Ke Paas Na Thi Magar Hisham Bin Abdul Malik Ke zamane Se Ye Azan Masjid Mein Hone Lagi ….Phir Aage Likhte Hain_

*“Zahir Hogaya Ke Azan Ka Khatib Ke Samne Hona Bidat Hai “*

📚 *_Majmua Fatawa Abdul Hai Vol 01 Page 263_*




POST 10】*
*Hanafi Shafai Ke Ba'ad Hambli Maslak Mein Bhi Masjid Ke Andar Azan Mana Hai !*
☪ *حنفی ،شافعی مسلک کے بعد حنبلی مسلک میں بھی اذان ثانی مسجد میں منع ہے*

✅ *Masjid Ke Andar Azan Na Dena jis tarah hanafi shafai Maslak Mein Jayaz Nahi Hai isi Tarah Hambli Maslak Mein Bhi Jayaz Nahi Hai.*

🔮 *Lihaza Imam Mohammed Bin Alhaj Hambli Masjid Mein Azan Se Mutaliq Baab*
 *[ َفی النھی عن الاذان فی المسجد* 

*Yani Andron e Masjid Azan Se Mumaniat Ke Bayan Mein] Ke tahat likhte Hain :*

*فَصْلٌ فِي النَّهْيِ عَنْ الْأَذَانِ فِي الْمَسْجِدِ*

*[Yani Andron e Masjid Azan Se Mumaniat Ke]*

ِ وَقَدْ تَقَدَّمَ أَنَّ لِلْأَذَانِ ثَلَاثَةَ مَوَاضِعَ الْمَنَارُ وَعَلَى سَطْحِ الْمَسْجِدِ وَعَلَى بَابِهِ وَإِذَا كَانَ ذَلِكَ كَذَلِكَ فَيَمْنَعُ مِنْ الْأَذَانِ فِي جَوْفِ الْمَسْجِدِ لِوُجُوهٍ:
أَحَدُهَا: أَنَّهُ لَمْ يَكُنْ مِنْ فِعْلِ مَنْ مَضَى اللَّهُمَّ إلَّا أَنْ يَكُونَ لِلْجَمْعِ بَيْنَ الصَّلَاتَيْنِ فَذَلِكَ جَائِزٌ فِي جَوْفِهِ.
وَأَمَّا الْإِقَامَةُ فَلَا تَكُونُ إلَّا فِي الْمَسْجِدِ.
الثَّانِي: أَنَّ الْأَذَانَ إنَّمَا هُوَ نِدَاءٌ لِلنَّاسِ لِيَأْتُوا إلَى الْمَسْجِدِ وَمَنْ كَانَ فِيهِ فَلَا فَائِدَةَ لِنِدَائِهِ لِأَنَّ ذَلِكَ تَحْصِيلُ حَاصِلٍ وَمَنْ كَانَ فِي بَيْتِهِ فَإِنَّهُ لَا يَسْمَعُهُ مِنْ الْمَسْجِدِ غَالِبًا. وَإِذَا كَانَ الْأَذَانُ فِي الْمَسْجِدِ عَلَى هَذِهِ الصِّفَةِ فَلَا فَائِدَةَ لَهُ وَمَا لَيْسَ فِيهِ فَائِدَةٌ يُمْنَعُ.
الثَّالِثُ: أَنَّ الْأَذَانَ فِي الْمَسْجِدِ فِيهِ تَشْوِيشٌ عَلَى مَنْ هُوَ فِيهِ يَتَنَفَّلُ أَوْ يَذْكُرُ أَوْ يَفْعَلُ غَيْرَ ذَلِكَ مِنْ الْعِبَادَاتِ الَّتِي بُنِيَ الْمَسْجِدُ لِأَجْلِهَا وَمَا كَانَ بِهَذِهِ الْمَثَابَةِ فَيُمْنَعُ لِقَوْلِهِ - عَلَيْهِ الصَّلَاةُ وَالسَّلَامُ - «لَا ضَرَرَ وَلَا ضِرَارَ»

📝 *_Isse Pehle Guzar Chuka Ke Azan Ke Liye 3 Jaghe Hain 1,Minar 2, Satah Masjid 3,Darwaza Masjid Aur Jab Muamla Aisa Hai Tu andron e Masjid Azan Dena Chand Waje Se Mamno Hoga :_*

1⃣ *Pehli Waje Ye Ke Andron e Masjid Azan Dena Aslaf Mein se Kisi Ka Amal Nahi hai.*

2⃣ *_Dusri wajeh Ye Hai Ke Azan logon Ko Namaz Ke Waste Masjid Ki taraf Pukarne Aur Bulane Ke Liye Hai Aur Jo Log Masjid Ke Andar Pehle Se Maujod hain Tu Unko Pukarne Mein Koi Faida Nahi Balke Wo Tahsil Hasil Hai aur Jo Log Apne Ghar Mein Hain Wo Amuman Andron e Masjid Hone Wali Azan Ko Sun Nahi PaYen Ge Aur Jab Azan Andron e Masjid is taur Per hai tu is Azan Se Koi faida Nahi Aur Jis Chiz Mein Koi faida Na Ho Wo mamno Hogi_* 

3⃣ *Tesri wajeh Ye Hai Ke Andron e Masjid Azan Dene Se Un Logo Ko Tashwish Mein Mubtila Karna Hai Jo Masjid Mein Nafil Wagera Padh Rahe Hain Ya Aise Kamaun Mein Mashghol Hain Jin Maqasid Ke Liye Masjid Tamir Ki Gai Hai Jis Chiz Ki Ye Shan Ho isko Rok Diya Jaye Ga is Liye Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ke Na Zarar Dusre Ko Do Aur Na Dusra Zarar Tumhe Pahunchaye*

📕 *Al Mudkhal Vol 02 Page 245,246*




POST 11】*
امام ابن الہمام حنفی کے نزدیک مسجد میں ازان دینا مکروہ ہے
*Hanfi imam ibne Humam Ke Nazdik Masjid Mein Azan Makroh Hai*

*_Fiqah Hanafi Ke Mashor Wa Maruf imam ibne Hummam Masjid Ke Andar Azan Ke Mutaliq Farmate Hain_*
الْإِقَامَةُ فِي الْمَسْجِدِ وَلَا بُدَّ، وَأَمَّا الْأَذَانُ فَعَلَى الْمِئْذَنَةِ فَإِنْ لَمْ يَكُنْ فَفِي فِنَاءِ الْمَسْجِدِ وَقَالُوا لَا يُؤَذَّنُ فِي الْمَسْجِد
_Takbeer Masjid Mein Hogi Aur Azan Minare Per Ho Minara Na Ho Tu bairon e Masjid {Masjid Ke Bahar}Zamin Mutaliqe Masjid Mein Ho_

📕 *_Fathul Qadeer Vol 01 Page 250_*

*_Ulama Farmate Hain Masjid Mein Azan Na Ho Hazrat Khud Baab ul Juma Mein Farmate Hain_*
وَهُوَ ذِكْرُ اللَّهِ فِي الْمَسْجِدِ: أَيْ فِي حُدُودِهِ لِكَرَاهَةِ الْأَذَانِ فِي دَاخِلِهِ
*Wo Allah ka zikar Hai Masjid Mein Yaani Hawali Masjid Ke Andar isliye Ke Khud Masjid Ke Andar Azan Deni Makro hai*

📚 *_Fathul Qadeer Vol 02 Page 56_*





POST 12】*
امام شعرانی کے نزدیک جمعہ کی اذان مسجد کے دروازے پر کہنا سنت ہے
*_Imam Sherani Ke Nazdik Azan e Sani Masjid Ke Darwaze Per Sunnat Hai_*

*Hazrat imam shirani Kutbe ki Azan Ke Taluk se Farmate Hain*
ولم یکن لرسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فی مکان التجمیع گیر موذن واحد یوذن اذا جلس النبی صلی اللہ علیہ وسلم علی المنبر ویقیم اذانزل وکان الاذان علی باب المسجد

*_Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Ke Ek Muazzin Thy Jab Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Mimber Per Tashrif Farma Hote Tu Muazzin Azan Dete Aur Jab Aap صلی اللہ علیہ وسلم Utarate Tu Aqamat Kehte Ye Azan {Khutbe Ki} masjid Ke Darwaze Per Howa Karti_*

📚 *_Kashful Ghumma An Jami Ul Aimma Page 120_*

*Hazrat imam Sherani Ke Nazdik Bhi Juma Ki Azan Masjid Ke Darwaze Per Hi Dena Durust Hai*



POST 13】*
اذان منارےپر یا مسجد کے باہر دینی چاہئے مسجد کے اند ر اذان جائز نہیں
*_Azan Masjid Minare Per Ya Masjid Ke Bahar Deni Cahiye,Fatwa Tatarkhania_*

_Fiqa Hanafi Mashor imam Hazrat imam Farid uddin Aalam Wafat 786 Masjid Ke Andar Azan Kehne Ke Taluk Se Farmate Hain_
وینبغی أن يؤذن علی المئذنۃ او خارج المسجد ولا يؤذن فی المسجد
*_“Azan Minare Per Ya Masjid Ke Bahar Honi Chaiye Masjid Ke Andar Azan Na Kahi Jaye”_*

📚 *_Fatawa Al TaTaarkhaniya Vol 02 Page 138_*

*Fiqa Hanafi Ke is Imam Ke Nazdik Bhi Masjid Ke Andar Azan Kehna Jayaz Nahi Hai Lihaza wo Log Jo Fiqa Hanafi Ko Maane Ka dawa Bhi Rakhte Hain Aur Masjid Ke Andar Azan Bhi Dete Hain Wo Apni islah Farma Leyn Aur Ye Jo Humum Hai Ke Masjid Ke Andar na Di Jaye 5 waqat Ki Azan Ke Sath Sath Juma Ki Azan e Saani Bhi is mein Shamil Hai*




POST 14】*
مسجد کے اندر اذان مکروہ ہے ازان بلند جگہ یا مسجد کےباہر ہونی چاہئے
*_Masjid Ke Andar Azan Makroh hai Azan Bulandi Per Ya Masjid Ke Bahar Honi Chahiye_*

*Hashiya Tahtawi Jo Fiqah Hanafi Ki Mashor Kitab Hai is Mein Masjid Ke Andar Azan Ke Taluk Se Likha Hai*

ويكره أن يؤذن في المسجد كما في القهستاني عن النظم فإن لم يكن ثمة مكان مرتفع للأذان يؤذن في فناء المسجد
_“Masjid Mein Azan Dena Makroh hai Jaise Ke Quhastani Mein Nazam Se Manqol Hai Tu Agar Wahan Azan Ke Liye Koi Buland Makan Na Bana Ho Tu Masjid Ke Aas Paas Us Ke Mutaliq Zamin Mein Azan Di Jaye Jaisa Ke Fathul Qadir Mein Hai_

📚 *_Hashiya Al Tahtawi Page 197,198_*

*Fiqah Hanfi Ki is kitab Se Bhi Yahi Sabit Hota Hai Ke Masjid Ke Andar Azan Dena Ye Dursut Nahi Hai Chahe wo Panch Waqat Ki Azan Ho Ya Juma Ki Azan e Saani Ho*




POST 15】*
محدث دکن کے نزدیک اذان ثانی مسجد کے دروازے پر دینی چاہئے
*_Abdulla Shah Sahab Ke Nazdik Azan e Sani Masjid Ke darwaze Per Ho_*

*Jamia Nizamiya Ke Mashor Wa Marof Aalim Jo Ke Mohaddise Dacan Abdullah Shah Sahab Ke Naam Se Jane Jate Hain Aap Shaikhul islam Hazrat Anwar Ullah Faroqi Ke Shagird Hain Aap Apni Mashor Zamana Tasnif Zujajatul Masabih Jo Hanafi Fiqa Ke Naam Se Shaya Howi Hai is kitab Mein Likhte Hain*

_“Khatib Jab Khutba e Juma Ke Liye Membar Per Baith Jaye Tu Uske Saamne Masjid Ke Darwaze Per Khade Hokar Azan Di Jaye Ye Matlab Nahi Ke Masjid Mein imam Ke Samne Khade Hokar Azan di Jaye”_

📚 *_Zujajatul Masabeeh Hanafi Mishqat Vol 02 Page 394_*

*Jo Hazrat Shidat Karte Hain Ke Azan Masjid Ke Andar Hi Honi Chahiye Masjid Ke Bahar Dena Ye Na Jayaz Hai Tu Aise Hazrat Ab is Hawale Per Kiya Kahen Ge. Kiya Mohaddise Deccan Abdullah Shah sahab Ko Bhi Barelvi Kehkar inka Bhi rad Kar den Ge..*






POST 16】*
امام ابن حجر کے نزدیک اذان ثانی مسجد کے دروازے پر ہی ہونی چاہئے
*_Azan e Sani Masjid Ke Bahar Darwaze Per Ho.imam ibne Hajar_*

*Aap Hazrat Ab Tak Kai Dalil Dekh Chuke Hain Jismen Masjid ke Andar Azan Dene Ko Fuqah Ne Mana Farmaya Hai Aur Dusri Taraf Ahadees Aur ulama e hlesunnat Ki Motabar Kutub Se Ye Bhi Sabit Kiya Gaya Hai Ke Azan e Saani Member Ke Samne Masjid Ke Darwaze Per Hum Aap ke Samne Ek Dalil imam ibne Hajar Ki Fathul Bari Se Pesh Kar Rahe Hain ikhte Hain*

فَإِن فِي سِيَاق بن إِسْحَاقَ عِنْدَ الطَّبَرَانِيِّ وَغَيْرِهِ عَنْ الزُّهْرِيِّ فِي هَذَا الْحَدِيثِ أَنَّ بِلَالًا كَانَ يُؤَذِّنُ عَلَى بَاب الْمَسْجِد
_Tibrani Wagera Ke Yahan imam Zohri Se Batarikay e ibne ishaq is Hadees Mein Ye Hai Ke Hazrat Bilal Masjid Ke Darwaze Per Azan Dete Thy_

📚 *_Fathul Bari Sharah Sahih Ul Bukhari Vol 02 Page 394_*

*Li Jiye imam ibne Hajar Ke Nazdik Bhi Azan Masjid Ke Bhar Member Ke samne Darwaze Per Honi Chahiye*




POST 17】*
شافعی مسلک میں بھی جمعہ کی اذان ثانی مسجد کے باہر دروازے پر ہونی چاہئے
*_Juma ki Azan e sani Masjid Bahar Hone Ka Maslak e Shafai Se Sabot_*

*Mufassir e Quran imam Mohammad Bin Yusuf Andlosi Jinki Wafat 745 Hijri Hai Azan e Saani Ke Taluk Se Farmate Hain rad Kar den Ge ?*

وَكَانَ الْأَذَانُ عِنْدَ قُعُودِ الْإِمَامِ عَلَى الْمِنْبَرِ. وَكَذَا كَانَ فِي زَمَنِ الرَّسُولِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، كَانَ إِذَا صَعِدَ عَلَى الْمِنْبَرِ أُذِّنَ عَلَى بَابِ الْمَسْجِدِ

_“Imam Ke Membar Per Baithtay Waqat Azan Hoti Rasol Allah Ke Zamana Mubarak Mein Aisa Hi Hota Jab Aap Membar Per Jalwa Afroz Hote Tu Masjid Ke darwaze per Azan Di Jaati “_

📚 *_Tafseer e Bahar Ul Moheet Vol 08 Page 264_*

*Ahlesunnat ke Charon Masalik Mein Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Bahar Darwaze Per Hi Dene Ko sunnat Likha Hai Aur Taqriban sabhi Fuqah Ne Masjid Ke Andar azan Dene Ko Makroh Farmaya Hai*





POST 18】*
جمعہ کی اذان ثانی مسجد کے دروازے پر دینا سنت ہے۔امام عبدالوہاب شعرانی
*_Juma ki Azan e sani Masjid Bahar Sunnat Hai .Imam Sherani_*

*Hazrat imam Abdul Wahab Shirani Farmate Hain*

ولم یکن لرسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم فی مکان التجمیع غیر موذن واحد یوذن اذا جلس النبی صلی اللہ علیہ وسلم علی المنبر ویقیم اذانزل وکان الا ذان علی باب المسجد

_“Huzor Ke Ek Muazzin Thy Jab Nabi Karim Membar Per jalwa Afroz Hote Tu Wo {Muazzin} Azan Kehte Aur Jab {Member} Se Utarte Tu Aqamat Kehte Aur Wo Azan Masjid Ke Darwaze Per Hoti Thi”_

📚 *_Kashful Ghumma Vol 01 Page 210,211_*

*Hazarat imam Sherani Ke Nazdik Bhi Juma Ki Azan Masjid Ke Bahar Dena Hi sunnat Hai aur Yahi Maslak Ahlesunnat Wa Jamat Ke Charon Masalik Ka Hai ab Kisi Ke Amal Se Ahlesunnat Ke Muttafiqa Us Amal Ko Nahi Chura Ja Sakta Jo Hadees Se Sabit Hai Lihaza Wo Hazrat Jo Masjid Ke Andar Azan Kehne Per Shidat ikhtiyar Kar Rahe Hain Wo Apni islah Kar Leen*





POST 19】*
جمعہ کی اذان ثانی مسجد کے دروازے پر دینا سنت ہے۔امام زین الدین شافعی
*Juma ki Azan e sani Masjid Ke Darwaza Per Sunnat Hai. ImamZainuddin*

_Juma Ki Azane Sani Se Mutaliq Aap Kai Hawale Padhte Aarahe Hain Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Bahar Darwaze Per Aap na Sirf Hanafi Ulama Ke Hawale Dekh Chuke hain Balki Hambli Maslak Se Bhi Aap Ne hawale Mutala Kiye Hain Hazrat imam Zainuddin Ahmad Shafai Jinki Wafat 987 hai Wo Apni Kitab Mein Likhte Hain_

وسن فيهما أي في الأذان والإقامة قيام وأن يؤذن على موضع عال ولو لم يكن للمسجد منارة سن بسطحه ثم ببابه.
*“Khade Hokar Azan Wa Aqamat Kehna Sunnat Hai Aur Azan Mein Ye Sunnat Hai Ke Unchi Jaga Di Jaye Agar Masjid Ke Paas Minara Na Ho Tu satah Se Ya {Masjid} Ke Darwaze Per Dena Sunnat Hai”*

📚 *_Fathul Moin Bi Sharah Quraulain Page 153_*

*Shafai Maslak Mein Bhi Masjid Ke Andar Azan Kehne Ki ijazat Nahi Hai Balki Juma Ki saani Azan Masjid Ke Bahar Darwaze Per Dena Sunnat Hai*





POST 20】*
مالکی مسلک میں بھی جمعہ کی اذان ثانی مسجد کے دروازے پر دینا سنت
*_Malki Maslak Mein Juma ki Azan e sani Masjid Ke Darwaza Per Sunnat Hai_*

_Ab Tak aap Juma Ki Azan e Sani Se Mutaliq Hanfi Shfai Hambli Maslak Ke Dalil Dekh Chuke Hain Ab Maslak E Malaki Ka Bhi Mauqaf Juma Ki Azan e Sani Se Mutaliq Mulaheza Farmayen ,Maalki Faqih Allama Mehmod Bin Muhammad bin Ahmad Bin Khatab Alsubki Azhari Farmate Hain_

*“Hazrat Usman Ne Zora Mein Ek Azan Ka izafa is Liye Kiya Tha Ke Log Badh Gaye Thy Aur Unke Ghar Door Tak Phail Gaye Thy Jo Log Zora Ke Paas Thy Wo Masjid Ki Azan Sun Nahi Pate Thy Tu Aap Ne Unko Khabardar Karne Ke Liye Zora Per Azan Dilwai Pas Jab Log Masjid Mein jama Ho Jate Aur Khatib Member Per Baith Jaata Tu Muazzin Dobara Masjid Ke Bahar Darwaze Per Ya Chat Per Jaise Huzor Aur Hazrat abubakar Wa Hazrat Umar Ke Zamano Mein Hoti Thi Azan Dete Algharaz isi Maqsad Se Hazrat Umsman Ne Dusri azan Dilwai Thi”*

📚 *_Almanhal ul Azbul Maurood Sharah Sunan Alimam Abi Dawood Vol 06 Page 246_*




POST 21】*
دیوبندی مولوی کا اقرار حضورﷺ کے زمانہ میں جمعہ کی اذان مسجد کے باہر ہوتی تھی
*_Deobandi Ka iqrar Huzor Ke Zamana Mein Juma Ki Azan Masjid Ke Bahar Thi_*

*Jis Tarah Khuch Log Masjid Ke Andar Azan Dene Ko Jayaz Samjhte Hain Aise Hi Tamam Deobandi Wahabi Firqe Ke Nazdik Bhi Azan e Saani Masjid Ke Andar Jayaz Aur Masjid Ke Bahar Dena Na Najayaz Hai Lekin is Ke Bawajod isi Firqe Ke Molvi Abdul Shakur Lakhnavi Likhta Hai*

_‘Nabi ﷺ Aur Khulafa e Rashadin Ke Zamane Mein Ye Azan Bhi Masjid Ke Andar Na Hoti Thi Magar Abdul Malik Ne Apne Zamana Mein Is {Azan e Sani } Ko Masjid Ke Andar Dakhil Kar Liya_

📚 *_Ilmul Fiqah Page 160_*

*Deobandi Molvi Bhi s Baaat Ka iqrar Kar Raha Hai Ke Huzor Aur Sahaba Ke Zamna Mein Juma Ki Azan Masjid Ke Andar Nahi Hoti Thi Balke Bahar Hoti Thi*





POST 22】*
*Imam Ahmad Raza Qadri قدس سره Ke Mukhalif Se Masjid Ke Bahar Azan e Juma Ka Saboot !*

☪ *امام اہل سنت امام احمد رضا قادری برکاتی رحمۃ اللہ علیہ کے مخالفین سےجمعہ کی اذان مسجد سے باہر دینے کا ثبوت*

📌 *Hum Aapko Pehle Hi Bata Chuke Hain Ke Baaz Sunni Hazraat Jistarah Masjid Ke Andar imam Ke samne Member Ke Paas Azan e Saani Ke Qail Hain Yahi Mauqaf Deobandi Wahabion Ka hai Ke Juma Ki azan e Sani Masjid Ke Andar Ho isper Deobandi Wahabi Molvi Ashraf ali Thanvi Nanotvi Ka Bhi Hai jiska Rad Imam e Ahlesunnat, Hazrat Mufti e azam hind Aur Hazrat Hujjatul islam Ki Kutub Mein Dekha Ja sakta Hai, Deobandion Ke Fiqa hanafi Ke Khilaf is Mauqaf Ka Rad Khud inke Molvion Ne Kiya Hai jismein Deobandi Dharam Ke Anwar Shah Kashmiri Bhi Ek hai !*

🧷 *Anwar Ul Bari Mein Anwar Shah ka Shagird Bijnauri Likhta Hai*

*“Hazrat {Anwar} Shah Sahab Ne Farmaya Ke Huzor Akram ﷺ Aur Sahebin Syedna Abubakar Wa Omar رضي الله عنهما Ke Zamana Mein Juma Ek Hi Azan Thi Aur Ghaliban Wo Masjid Se Bahar Thi Jaisa Ke Abu Dawod Ki Riwayat Se Malom Hota Hai Ke Wo Masjid Nabavi Ke Darwaze Per Hoti Thi “*

📘 *Anwar Ul Bari Vol 17 Page 97*

📌 *Phir Aage Imam E Ahlesunnat Imam ahmad Raza Qadri Barkaati رحمة الله عليه Se Apna Bugaz Zahir Karte Howe Imam Ahlesunnat Ke Fatwe Taed Karte Howe Likhta Hai:*

*“Taqriban 20, 22 Saal Pehle Ahmad Raza khan Ne Azan e Saani Ke Kharij e Masjid Hone Ka Fatwa Diya Tha Aur Sirf Yahi Masla Hai Ke Usne Haq Kaha Tha “*

📙 *Anwar Ul Bari Vol 17 Page 98*

📝 *Pehle Tu Deobandi ki is Baat Ka Jawab de Dun Ke Imam Ahlesunat Ka Har Fatwa Sirf Azan e Saani per Hi Nahi Har Har Masla Mein Haq Ki Raushan Dalil Tha Aur Hai, Deobandi Molvi Mazid Anwar Shah Ka Qaul Naqal Karta hai :*

*“Shaikhul Hind Se Meri is Masla Mein guftagu Howi Aur Main {Anawar Shah} Ne Unse Bhi Yahi Baat Kahi Thi Ke Ye Baat Us {imam ahmad Raza Khan} Ne Haq Kahi Hai Kyun Ke Abu Dawood Mein Tasreeh Ki Hai Ke Huzoor ﷺ Ke Zamana Azan Masjid Ke Darwaza Per Hoti Thi {Andar Na Hoti Thi} Aur Andar Hone Ki Asal Bani Umaiya Se Hai Aur Charon Mazahib* *{Hanfi,Shafai,Malki,Hambli} Mein Andar {Azan E Saani} Ka Saman Nahi Hai …*

📔 *Anwar Ul Bari Vol 17 Page 98*

📝 *Imam Ahlesunnat Ki Azan e Saani Ke Masla Mein Khud Mukhalif Ulamae Deoband Se Sabit Hogai Aur Ye Bhi Sabit Hogaya Ke Azan Ke Andar Azan Dena ye Charon Maslak Se Bhi Sabit Shuda Nahi Hai*




POST 23】*
امام اہل سنت امام احمد رضارحمۃ اللہ علیہ کے مخالفین سےجمعہ کی اذان مسجد سے باہر دینے کا ثبوت
*_Imam Ahmad Raza Ke Mukhalafin Se Masjid Ke Bahar Azan e Juma Ka Sabot_*

_Aane Wali Tahrir Ko Padhne Se Pehle Hum Ye Wazahaz Kar Dain Ke Aap is Se Pehle DO Hawale Firqa E Deoband Se Padha Chuke Hain Ke Ke Juma Ki Azan e Saani Masjid Ke Bahar Hona Ye Hadees Aur Kutub Fiqah Se Sabit Hai Ye Baat Alag Hai Ke Fiqa e Deoband Ke Aksar Ulama Fiqah Hanafi Ke is Maslae Se Bagawat Kar Chuke Hai Firqa E Deoband Ke Ek Aur Molvi gharib Ullah Masror Fazile Deoband Fiqa Hanafi Ki Kitab Sharah Wiqaya Ki Sharah Mein likhta Hai_

*“Qaul Bain yadaihi/ Yaani {Juma Ki Azan e Saani} imam Ke Samne Uski Taraf Moon karke Khawa Masjid Mein Ho Ya Usse Bahar Masjid Se Bahar Hona Masnoon Hai is Ki waje Wahi Hai Ke Jo Ham Abhi Bayan Kar Chuke Hain Ke Huzor Ke Zamana Se Lekar Hazrat Omar Ke zamana Tak Yahi Ek Azan Thi Phir Jab Musalmano Ki Tadad Badhti Gai Tu Hazrat usman Ke Ahad Mein Azan e Awal Ka izafa Howa Baaz Masjid Mein Dekha Gaya Ke Ye Azan Khatib Ke Bilqul Moon Ke Qarib Jake Di Jaati Hai Halanke Saamne Hone Ke Ye Maana Nahi Hain “*

📚 *_Al Seeqaya Ala Shara Ul Wiqaya Page 284_*

*Alhamdulillah Ahlesunnat Ka Maqaf Mukhalafeen Ki Kutub Se Bhi sabit Hogaya Hai*



कोई टिप्पणी नहीं:

🕌 MASJID KE AHKAAM 🕌

☆ ☆ ╭━–––––––––––––––––––━╮ │вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ╰━–––––––––––––––––––━╯       *MASJID KE AHKAAM*        ◉➻═══════════════➻◉      ...