POST. -- 1
🔰 Hazrat Yahya Bin Yamar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ kehte he...
" PEHLA BANDA JIS NE BASRAH ME QADAR K BARE ME BAAT KI WO MA'ABAD JUHNI THA "
💟 Sahaba kiram ﻋﻠﯿﮫ ﺭﺿﻮﺍﻥ ka jamana tha ek qadriya ( ﻗﺪﺭﯾﮧ ) firqa paida ho gya in ki surat e haal kya thi, wo namaz padhte
the, roza rakhte the, hajj adaa karte the, jakaat dete the, Quran ka dars dete the, hadees ka bayan karte the,
🔰 In ka koi mu'amla nhi tha ki dekhne wala ye kah sake ki in me koi kami maujud he. Koi kami nhi thi, sab kuch mukammal tor par baja lane wale the balki hadees sharif me he ki wo ilm k bade daldadaah the din raat dars e Quran or din raat nekiyon ki dawat diya karte the
💖 Lekin inke bare me ye kaha gya ki ye qaum sahi nhi he balki galat he, padhte to ﻻ ﺍﻟﮧٰ ﺍﻻ ﺍﻟﻠّﻪ ﻣﺤﻤّﺪ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠّﻪ he lekin taabe'yin ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ ne kaha ki kahi se jaa kar in ka farq karwana chahiye
🔰 Yahya Bin Yamar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ sahaba kiram se farq karwana chahte he kehte he..
" hum basrah me rehte he, hame musibat pad gyi he, hamare paas ek qaum paida ho gyi he Quran bhi inke paas he, namaz, roza, jakaat, wagairah sab kuch in k paas he, lekin he wo parle darje k mardud. Hum jaye to kidhar jaye koi farq ka pata hi nhi chal raha ki khota kya he kharaa kya he , jhootha kon he or sachcha kon he...
🔃To Be Continue . .
POST. --. 2
______________________________________
💟 Yahya Bin Yamar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ kehte he.. Mai or Hamid Bin Abdul Rehman hajj karne k liye Makka Sharif gye, hum ne kaha ki kash koi Rasool e Akram Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ka sahabi mil jaye,
🔰 Hum un se in k bare me puchenge ki wo in logon k bare me kya kehte he, hame Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ masjid me
dakhil hote huye mil gye
Hum ne Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ ko ghere me liya or kaha.. Ae Ibn Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ ye hamara mas'ala hal karo hum ne unhe in logon k bare me bataya..
💜 Hamare haa kuch log zahir huye he wo Quran majid padhte he Quran ko maan'ne wale he is ki tilawat karte he or Quran majid k bade aashiqe he padhate bhi he... Magar wo log ye kehte he ki hum taqdeer nhi maante
🔰 Yani in ka ye aqeedah he ki jab koi waqiya ho jaye to jese hum ko pata chalta he aese hi rab ko bhi pata chalta he..
LEKIN HAMARA TO YE AQEEDAH HE KI ALLAH TA'ALA KO AJAL SE SAB KUCH PATA HE
❤ Ye in logon ki kharabi thi jis ki buniyad par sahaba kiram ne is ko bardasht nhi kiya na inka kalma dekha, na inki namaz dekhi, or na inka roza dekha or na inka hajj dekha
🔃To Be Continue .
Post -- 3
______________________________________
🔰 Hazrat Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ k samne un logon ki alaamate bayan ki gyi to unhone kisi chhij ko nhi dekha balki unhone foran apna fatawa diya..
💖 " MUJH SE PUCHNE WALO JAO OR JAB K TUM IN SE MILO IN KO KEH DO KI IBN UMAR ( ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ) NE TUM
SE BE JAARI KA AELAAN KAR DIYA HE "
🔰 Chunki is waqt in ki haisiyat aesi thi ki shirq o gurub tak in ka fatawa chalta tha in ka matlab basrah wale khwah ma khwah in ka naam istemaal na karte rahe.. Mai sahabi hun maine saffa pe baith kar padha he or mujhe pata he ki chor ki chori se baraat karna lazim ho jata he
💜 Jao un se keh do mera aese tohid parasto se koi ta'aluq nhi he jo mere rab ki taqdeer ko nhi maante, mai un ki namaz ko namaz nhi samjhta, mai un k roze ko roza nhi samjhta,
🔰 Mai un k hajj ko hajj nhi samjhta... Jao un se keh do mera un k sath koi ta'aluq nhi or unka mere sath koi ta'aluq nhi...
⏩ Note :- is part ko samjhne k liye part 13 ka MUTA'ALA kare
🔃To Be Continue . . .
POST. -- 4
______________________________________
💟 Dono lafz Hazrat Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ne bol diye he ki mai in se bari hun wo mujh se bari he... Jis waqt aap ne ye lafz bole to sath hi farmaya...
🔰 " WO BAAT JO MAI HALFIYA KEH SAKTA HUN WO YE HE AGAR IN QADRIYON ( ﻗﺪﺭﯾﻮﮞ ) ME SE EK BANDE K PAAS UHAD PAHAD JITNA SONA HO OR FIR WO IS KO ALLAH KI RAAH ME KHARCH KARE TO ALLAH TA'ALA IS SE QUBUL NHI KAREGA YAHAN
TAK KI WO QADR KO MAAN LE "
💝 Yani aap farmate he ki agar wo taqdeer k mas'ale k auz me uhad pahad jitna sona bhi le kar aa jaye to Allah ta'ala is k us uhad pahad jitne sone ko qubul nhi karega yahan tak ki wo taqdeer par imaan le aaye
🔰 Kyun?? Is waste ki unhone zaruriyat e deen me se ek ka inkar kar diya.. Zaruriyat e deen me se jab koi ek ka bhi inkar kar de to baqi sari chhije manfi ho jati he ek bandah din me hajar sajdeh rab ko kare or sham ko ek sajdah but ko kar de to kya hajar ka koi fayedah rah jayega?? Sab kuch khatam ho jayega, pani fir jayega
💟 Aese hi jis ne usool e deen me se kisi ek ka bhi inkar kar diya to uska deen, deen nhi he... Hazrat Abdullah Bin Umar ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﻋﻨﮧ ne us waqt in se barat ka elan kar diya ki un se hamara koi ta'aluq nhi he
☀ Is anqata'a ta'aluq ko jis waqt logon me raayez kiya gya to wahan se haq walo ne apne aap ko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT kehalwana shuru kar diya..
🔃To Be Continue . . .»
Post. -- 5
______________________________________
🔰 Baa zahir kalma k lihaz se to koi farq naza nhi aaya halanki wo jahannami he. Isi tarah jo digar gumraah firqe paida ho gye he kalma padhne walo me se aese log paida ho gye jo jhoote the
💝 Galat the, deen k chor the ab in se apne aap ko bari zahir karne k liye ma'taqaddamin ne apne aap ko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT kehalwana
shuru kar diya
🔰 Ye asal wajah he ki AHLE SUNNAT kehlwana kyun zaruri hua. Agar sahaba se le kar hamare islaaf imtiyaaz paida na karte to islam ko kitna nuqsaan ho jata ye sab k jimme lag jata ki musalmano k aese hi aqeede hote he
💟 Jis waqt is lamha mat'aqaddamin ne imtiyaaz shuru kar diya or apne aap ko " AHLE SUNNAT WAL JAMAAT " Kehalwaya to pata chal gya ki ye aqaid dusro k he
🔃To Be Continue
Post. --6
______________________________________
💟 Musalman, jin ko sawad e aazam kaha jata he or AHLE SUNNAT WAL JAMAAT kaha jata he.. Wo Allah ta'ala ki taqdeer ko maan'ne wale he or rabbe zul jalal ki baqi sari sifaat ko apne dil o jaan se taslim karne wale he
🔰 Pichli post me bayan karda ek hawale se yaqinan aap ko andajah ho gya hoga ki kalma se ta'aruf kafi na raha balki
aese kalma go behrupiye logon se imtiyaaz k liye ek majeed ta'aruf banaya gya or wo Rasool e Akram Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ki hadees sharif k andar maujud tha fir is ko rayez kar diya gya
💜 Hazrat Imaam e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ka qaul he aap farmate he..
" AGAR KOI BANDAH ZULM SE MUHABBAT KARTA HE TO WO ZALIM SE MUHABBAT KARTA HE OR AGAR KOI HAQ SE MUHABBAT KARTA HE TO HAQ WALO SE MUHABBAT KARTA HE OR INKA MADAD GAR BAN JATA HE "
🔰 Is jumle k bare me logon ne kaha ki Imaam sahab apne alfaaz me ye waajeh kar rahe he ki jab zulm shuru ho gya ki kahi ta'atil yani mu'attalaa ( bekar) firqe jo Allah ta'ala ko mu'attalaa maante he or kahi tajseed jo Allah ta'ala ka jism maante he ..aese qaul kiye ja rahe he ..
💟 Agar imaan walo tumhara pyar ahle sunnat se he to fir ahle sunnat k sath ho jao... Lafz ahle sunnat apne upar istemaal karo, ahle sunnat kehalwa'o, jab tum haq walo se pyar karte ho to fir apne aap ko haq walo k palade me shumar bhi kiya karo..
🔃To Be Continue . .
Post. --7
______________________________________
🔰Hazrat Imaam Biyaazi Alaih Rehma ne apni kitab Ishaaraatul Maraam Min Ibaaraatul Imaam k safa 43 par ye likha he.. Jis waqt Imaam e Aazam Abu Hanifa ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ne apne is risale me keh diya..
💖 " jaan lo k sab se achchi chhij jo tum ne khud padhi or logon ko padhate ho wo sunnat he "
Is ki wajahat karte huye Imaam Biyaazi Alaih Rehma ne
kaha... IS ME ISHARA IS TARAF HE KI APNA NAAM AHLE SUNNAT RAKH LO
🔰 Imaam e Aazam yani taabeyin k jamane se is lafz ki fir wazahat shuru ho gyi or jahan tak naam ka ta'aluq he to Quran Majid me Allah ta'ala ne irshad farmaya... " ALLAH TA'ALA NE TUMHARA NAAM MUSALMAN RAKHA HE
☀ Hum is naam ko reject nhi karte, thukraate nhi he.. Musalman hamara waqar he lekin ta'aruf waqt waqt k lihaz se hota he kabhi bahut bada ta'aruf kaam nhi deta kyun ki us waqt dusre ta'aruf ki zarurat hoti he is ki wajeh misal tirmizi Sharif ki hadees me he...
(next post me Tirmizi Sharif ki hadees mulahiza farmaye)
🔃To Be Continue
Post. --8
______________________________________
🔰 Tirmizi Sharif me he.." Hamare mehboob khade ho gye hamd o sana k baad pucha ae mere sahaba kiram! Mai kon hun??
💖 Sahaba ne jawab diya... Aap Allah k Rasool he..
Rasool e Akram Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ko Rasool kehna, hamesha
kaha jata tha or hamesha kaha jata he lekin us din kuch pesh manzar or tha is jalse k muzu ka sabab or tha piche tehreeq koi or thi..
🔰Sarkar Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ne is jawab par iktafaa nhi kiya balki apna jawab diya, farmaya...
Mai Muhammad hun, Abba Jaan Abdullah ( ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ) he, Dada Jaan Abdul Mutallib ( ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ) he
📖 Tirmizi Sharif, Hadees 3608
❤ Ab Allah ta'ala to Quran me Rasool e Akram Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam k bare me farmaye...MUHAMMAD ALLAH K RASOOL HE
📖 Surah Fatah 29
🔰 Ab ta'aruf k liye " ﺍﻧﺖ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠّﻪ " kafi tha, lktafaa kar jate ki sahaba tumne mujhe wo kaha jo mera rab kehta he lekin aaj mujhe ek or ta'aruf ki zarurat he munafiqin ne mere gharane par tanqeed ki he..
To mai unhe batana chahta hun ki mai Muhammad Rasoolullah hun to fir bhi azeem hun or Muhammad Bin Abdullah hun to fir bhi azeem hun..
( is part ko samjhne k liye part 18 ko padhe)
🔃To Be Continue . .
Post. --9
_______________________________________
🔰 Ab jo hamare mehboob Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ka international ta'aruf he ﻣﺤﻤّﺪ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠّﻪ (Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam) is k hote huye bhi nye ta'aruf ki zarurat padi or is ko jayz samjha gya or Nabi e Karim Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ne khud apni juban mubarak se bayan kiya
💖 Is waste hame bhi qurani ta'aruf se inkar nhi he hum musalman he momin he. Magar jab kalma taiyaba
padh kar bhi gumraah karne walo se juda shinakht ki zarurat he to hame SUNNI bhi kehalwana padega ye waqt ki zarurat he ye YE QURAN O SUNNAT SE HAMARI DALIL HE..
💝Jam e Tirmizi Sharif me Rasool e Akram Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ne wajeh tor par ye irshad farmaya jis ka mafhum he ki log mujhe sirf Rasool keh kar hi azeem na samjhe mere abba jaisa kisi ka baap nhi he or mere dada jaisa kisi ka dada nhi he fir apna pura nasab bayan kar diya..
🔰 " LOGON! IS DUNIA ME MERI JAAT TO JAAT RAHI MERE GHAR JAISA KISI KA GHAR NHI BANAYA "
Ab in alfaz k sath yani ﻣﺤﻤّﺪ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠّﻪ (Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ) k sath aap ka ta'aruf karwaya gya to ta'aruf kafi tha or bada ta'aruf tha lekin dusre ta'aruf ki chunki zarurat thi is waste wo karwaya gya
💜 Aese hi hum musalmaan he momin he lekin jis waqt aesi gad-bad huyi to us waqt ye farz ho gya ki hum apni shinakht is lihaz se bhi karwaye jis lihaz se shuru se shinakht ki ja rahi he...
🔃To Be Continue . .
Post. --10
_______________________________________
💟 Yahan ek baat sufiyah k lihaz se bhi bayan karna chahta hun... Hazrat Gaus e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ se badh kar sufi kon hoga, aap se bada wali kon hoga, aap ne khud farmaya..
" NIJAAT WALO KA NAAM AHLE SUNNAT WAL JAMAAT HE "
📖 Gunyatul Talibin, 121
💖 Ye naam Gaus e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ne zaruri samjha agar
ye naam jayz na hota to Hazrat Gaus e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ kyun lete agar iska istemaal qabee'h hota, quran o sunnat k khilaf hota to Gaus e Paak ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ kyun aesa karte. Unhone kaha ki nijaat wale AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he..
🔰 Khitta paak o hind me sajdo k beej bone wale Hazrat Data Ganj Baksh ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ apni kitab Kashful m'ahjoob me, jis waqt imaan ka mas'ala bayan karte he ki imaan tasdeeq e qalbi ka naam hota he juban se iqraar kiya jata he, iska bayan karte huye farmane lage..
" YE SARE AHLE SUNNAT WAL JAMAAT KA ITTEFAAQI AQEEDAH HE "
❤ Hazrat Data Ganj Baksh ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ko jis titel ki zarurat he hum us se be niyaz kese ho sakte he Aap agar apne aap ko AHLE SUNNAT kehalwaye to wo kisi tarah tanga nazar nhi to hum kese honge, wo jis raste par chal kar wali bane he or jannati he hum ne to usi raste ko AHLE SUNNAT WAL JAMAAT samjha he..
🔃To Be Continue . .
Post. --11
_______________________________________
🔰 Lihaja Sufiya e Kiram is raste par chale he or unhone apne aap ko Ahle Sunnat kehalwaya he.. Ye ahle sunnat ka shuru se le kar aaj tak sha'ur raha he ye lafz baa qayedah bola jata raha
❤Lihaja un logon ki soch galat he jo ye kehte he he ki deen dariya he or maslak behti nahare he logon ne
dariya ko chhod kar naharo ko bachana shuru kar diya unhone hamare firqe ko nahar kaha hamari jamaat ko nahar kaha..
💜 Mai kehta hun ki hum nahare nhi balki samandar he.. Hum wo samandar he ki jis ko islam bhi kaha jata he or aaj usi ko AHLE SUNNAT bhi kaha jata he...
🔰 Agar deen dariya he or maslak nahare he to fir matlab ye banega ki Gaus e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ sari umar nahar par hi baithe rahe dariya ka pata hi na chala... Or Data Ganj Baksh Sahib ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ nahar par hi baithe rahe dariya ka pata hi na chala...
" AHLE SUNNAT NAHAR KA NAAM NHI HE BALKI AHLE SUNNAT SAMANDAR KA NAAM HE IS WASTE KI WALIYO'N NE BHI APNA TA'ARUF ISI NAAM SE KARWAYA HE.. "
🔃To Be Continue . . .
Post -- 12
_______________________________________
🔰Hazrat Mujaddid Alfe saani Alaih Rehma ka qalam jab uth'ta he to kamal karta he.. Mujaddid Alfe Saani Alaih Rehma ko mukhalifin apni kitabo me Syedul Taayefa likhte he ki sare waliyon k sardar Mujaddid he...
❤Wo Mujaddid jo waliyon K sardar he in ki baat bhi to waliyon wali he is ko bhi maan'na chahiye... Aap ne
Maktubaat e Sharif, jild jajum, safa 72 par farmaya he... " agar logon ko pata na ho to mai batata hun ki jo rasta sahaba ka he usi ko Ahle Sunnat kaha jata he...Sarkar Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ki itba'a jo pakki karte he wo kon he.. AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he.. Yehi firqa nijat wala he.. "
🔰Ye baat bhi badi qabil e gor he ki hum ahle sunnat kehalwana laajim samjhte he hum un ko sufi nhi samajhte jo apne aap ko ahle sunnat nhi kehalwate ya ahle sunnat ke maslak ka prachar nhi karte wo sufi kese ho sakte he..
☀Hazrat Khawaja Ubaidullah Aehraar Alaih Rehma jo bahut bade wali the wo khawaja Ubaidullah Aehraar Alaih Rehma k jin ka jikr Mujaddid Alfe Saani Alaih Rehma ne Maktubaat e Sharif me maktub no. 193, safa 107 par kiya he...
🔰Hazrat Mujaddid Alfe saani Alaih Rehma farmate he ki Hazrat Ubaidullah Aehraar Alaih Rehma kaha karte the ki... " Agar log meri sari karamate bayan kare bade bade fazayel bayan kare magar mujhe sunni na kahe to mai kahunga ki unhone meri kharabiya bayan ki khubi bayan nhi ki.. "
🔃To Be Continue .
Post. -- 13
_______________________________________
🔰Hazrat Khwaja Ubaidullah Aehraar Alaih Rehma aage farmate he.. Agar log har lihaz se mujh me kharabiyan ikat'thi kar de, har aeb mujhe lagaye lekin mujhe Ahle Sunnat Wal Jamaat ke sath mosuf kare...
☀Yani mujhe jo kuch wo kahe un ki marzi he jo kahe, magar sath
hi mujhe sunni kahe. Sab kuch bayan kar k kahe Ubaidullah Sunni pakka he.
❤Ye in ka andaaz he or apne aap ko SUNNI kehalwana laajim samjha he. Ye inki aajizi wa inkisaari ka andaz he wo khubiyon k markaz he faza'yel ka guldasta he lekin ye samjhana chahte he ki agar hamari khubi bayan karni he to hamare aqeede k lihaz se karo. Ye ahle sunnat ki taabir wa tasreeh he k jis ko waliyon ne bhi apne liye har dor me laajim samjha he..
🔰Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma ka ye farman ASH'AATUL LAMAAT me maujud he, aap farmate he... " Badi jamaat ka deen islam he, mazhab AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he
📖 Ash'aatul Lamaat, Jild 1, Safa 141
🔃To Be Continue . .
Post --14
_______________________________________
🔰Ikhtesaar se auliyah wa sufiya k 5 hawale jaat aap k samne maine bayan kiye ab lafz Ahle Sunnat ki definition or wazaahat ki thodi si zarurat he ...
Aap ko ijmaali taarif ka pata chala ki Ahle Sunnat wo hote he jo us tariqe par ho jo sahaba kiram ka he, fir waqt k lihaz se is ta'aruf me izafa bhi hota raha..
💜Maslan Imaam e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ka jamana
tha to pucha gya ki Ahle Sunnat kis ko kaha jata he??
Aap ne farmaya... "Jo shaks Hazrat Siddiqe Akbar or Hazrat Umar Farooq e Aazam ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ko baki sare sahaba Kiram se afzal jane or Nabi e Karim Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam k dono damad Hazrat Usman or Hazrat Ali ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ko mehboob banaye or tisre number par wo mojon par masah kare.. Ye tino alaamate jis me payi jaye us ko SUNNI kaha jata he.. "
☀Chunki in k lihaz se us waqt bagawat ho rahi thi, gaddari ho rahi thi to aap ne ye zaruri samjha ki shaikhen ko samne laya jaye or aap Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam k damado ka jikr kiya jaye..
🔰Jis dor se gujarte huye Bareilli k taajdar Imaam Ahmad Raza Khan Fazile Bareilvi ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠّﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻋﻨﮧ ne haq par pehra diya he ab is dor me alaamat k lihaz se SUNNI us ko kaha jaye jo ye nara lagaye..
" ISHQ E MUSTAFA SALLALLAHO TA'ALA ALAIH WASALLAM TO IMAAN HE, IMAAN KI JAAN HE, JAAN KA CHAIN HE, OR CHAIN KA SAMAN HE "
🔃To Be Continue
Post. --15
_______________________________________
🔰Alfaz Ahle Sunnat Wal Jamaat me badi wazahate he... Amumi tor par bandah soche to sunnat se farz ka martaba bada he farayez jyadah zaruri hote he sunnat is k muqable me kam zaruri hoti he, to jo badi zaruri chhij ho naam us k lihaz se hona chahiye tha
💜Yani hamara naam hota Ahle Farz Wal Jamaat lekin hamara naam AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he, aese
hi sunnat se wajib ka martaba bhi bada he to hamara naam hota Ahle Wajib Wal Jamaat lekin hamara naam ahle wajib wal jamaat nhi he balki AHLE SUNNAT WAL JAMAAT he
☀AHLE SUNNAT WAL JAMAAT hi naam rakhna kyun zaruri he.. Asal me sabab ye he ki lafz sunnat aesa lafz he ki is k siwa koi or lafz is maqam par sari zarurate puri nhi karta kyunki lafz farz farayiz ko shamil he lekin sunnat ko shamil nhi he
🔰Yahan lafz sunnat jis maani me bola ja raha he wo sunnat ko bhi shamil he wajib ko bhi shamil he or farz ko bhi shamil he..
🔃To Be Continue . .
Post -- 16
_______________________________________
☀ Quran majid me jo lafz sunnat aaya he is ka or mafhoom he or farz k muqable me jo lafz sunnat aaya he is ka or mafhum he agar hamara naam ahle quran hota to fir is me bil khusus sunnat ka tajkarah na hota
🔰 Lekin jo sunnat ka matlab hum le rahe he or jo masha'yekh ne liya he us ka matlab ye hoga ki is sunnat
me sunnat bhi he, quran bhi he, jab deen ka sara rasta sunnat kehlta he to wo rasta quran hi he..
💜Lihaja quran bhi sunnat or sunnat bhi sunnat, ye sare ka sara silsila ek lafz sunnat ka he jis ne kuje me dariya ko band kar diya he sirf dariya hi nhi sare samandar ko bhi band kar diya he.
Ye wo lafz he jis ne farz, wajib, sunnat, nafal, quran balki sare deen ko apni lapet me le liya he or Allah ta'ala ne hamare saro ko ataa farmaya he...
🔃To Be Continue
Post --- 17
_______________________________________
🔰Rabb e Jul Zalal ka hum par fazal he ki hame ye naam AHLE SUNNAT WAL JAMAAT Sarkar Sallallaho ta'ala Alaih Wasallam ki muqaddas juban se mila he.. Shaikh Abdul Haq Mohaddis Dehlvi Alaih Rehma ne lafz Ahle Sunnat k bare me ek baat ki, wo farmate he..
☀AHLE SUNNAT KA NAAM AGARCHE MA TA'ARUF BAAD ME HUA LEKIN AHLE SUNNAT USI KO KAHA
GYA HE JIS KA AQEEDAH SAHABA KIRAM K AQEEDEH JAISA THA
❤Lafz Ahle Sunnat maujud to pehle tha lekin mash'hoor baad me huwa jis ko AHLE SUNNAT kaha gya wo purane log the un ka aqeedah purana tha or sahaba kiram k aqeedeh par chala aa raha tha
🔰Lihaja is ishare par Quran wa Hadees ki roshni me mai ye kehne ne haq bajaanib hun ki sahaba kiram Alaih rizwan ko bhi SUNNI kehte he...
🔃To Be Continue .
Post --18
_______________________________________
🔰Ye naam agarche baad me mash'hoor hua magar haqiqat pehle bhi maujud thi or jo haqiqat pehle maujud ho baad me us haqiqat ka koi or naam pad jaye to pehli haqiqat ko bhi isi naam se hi taabir kiya ja sakta he..
❤ Is par mere paas quran majid ki aayat daleel he, Allah ta'ala ka
surah yunus me farman he..
" YANI TUMHARA RAB WO HE JIS NE AASMAN WA JAMEEN KO 6 DIN ME PAIDA KIYA "
📖 Surah Yunus, Aayat 3
🔰 Ab baat badi qabile gor he ki 6 din tab honge jab din hoga or din tab banta he jab suraj nikle or dube warna din, din nhi hota, din ki ek hadd he or suraj tab hoga jab aasmaan ho or jab aasman bana hi nhi to fir din kahan se aa gya.. Jabki Allah ta'ala farma raha he ki " tumhara rab wo he jis NE 6 dino me aasman or jameen ko paida kiya"
💜Jab jameen aasman paida hi nhi huye the to Allah ta'ala din kis ko kah raha he chunki din suraj se banta he suraj aasman par hota he or aasman abhi paida hi nhi hua lekin Allah ta'ala farmata he ki 6 dino me paida kiya...matlab kya bana.. ????
🔃To Be Continue
Post. --19
_______________________________________
🔰Is ka Matlab ye bana ki jitna waqt jameen wa aasman ko banane me laga to jis waqt din bane to wo waqt 6 dino me taqsim hua agarche us waqt is ka naam din nhi tha musalsal waqt tha magar jab din wali taarif aa gyi ki din is ko kaha jata hai to usi haqiqat ko din se taabir kar diya.
❤Us waqt agarche is ka naam din nhi tha magar aaj quran us ko din
keh raha hai... Aese hi jo haqiqat sahaba kiram Alaih rizwan me maujud thi agarche us waqt urf e aam me iska naam Ahle Sunnat mash'hoor nhi tha, aaj use hi Ahle Sunnat kaha ja raha hai,
🔰Is me kitni wazahat maujud hai mai to kehta hun...
☀YE JAMEEN BHI SUNNI Hai WO AASMAN BHI SUNNI hai,
☀JALWAH KHOR SHEED SUNNI KEHKASHA BHI SUNNI Hai!
☀QATRA SHABNAM BHI SUNNI BAAGBAA BHI SUNNI Hai,
☀LAFZ KI TAASIR SUNNI DAASTA BHI SUNNI Hai
☀MAAYA MILLAT BHI SUNNI NIGEHBAAN BHI SUNNI Hai,
☀AHLE SUNNAT K JAYAALO BAANDH LO GAR TUM KAMAR
☀NAZAR AAYEGA TUMHE TO FIR SARA JAHAN SUNNI HE!
🔃To Be Continue . .
Post --20
__________________________________________
🔰Ye gujaar shaat aap k paas meri amaanat hai in ko aap ne aage pahunchana hai, ye sehat mand tableeg hai ye firqa waareet nhi hai
💜Balki ye imtiyajaat e ilahi hai sunnat yehi hai is ko humne samne rakha hum ne kisi ko gali nhi di balki
quran o sunnat or haqaa'yiq ki daali pesh kar di..
🔰Ab ye apna apna muqaddar or nasib hai koi is ko sun kar afsardaah hota hai ya khush hota hai, kisi k dil k darwaje band hote hai ya khulte hai.
💜Kisi k liye andheri raat aati hai ya subah ka suraj nikal aata hai..
Ye apni apni kismat hai..
Hum sab par ye farz hai ki maujudah jamana me jo andhere chaa rahe hai is mauzu ko bator e khas samajh kar is ki roshni aage failaye taki Allah ta'ala sab ko azre azeem ataa farmaye..
🔃Topic Over.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें