Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 1
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullah ﷺ ki khidamte Aqdas mein Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi kehte hai is baat se hum behad khush hue
📕 Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911
📓 Muslim Jild 2 Safa 331
➡ Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool ka khayal karte the
➡ Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq nahi Namaz Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai
🌴 Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai
Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera 🌴
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 2
Hazrate Umar Farooque رضي الله عنه ne dua Farmayi ki Yaa Allah tu Mujhko Apni raah mein Shaheed Hone Ka Sharaf ataa farma aur Mujhko Apne Rasool ke Shahar mein mout ataa farmaa
📕 Bukhari Jild 2 Safa 253
➡ Is Hadees se zaahir hota hai ki Hazrate Sayyadna Umar Farooque رضي الله عنه ka Ishqe Rasool is hadd tak pahoch gaya tha ki shahare Rasool ke alawa kisi aur jagah inko mout bhi pasand na thi aur Khuda E Ta'ala ne inki dono khwahishat puri farma di aur Hazrate Umar Farooqur رضي الله عنه ko Madeene Shareef mein hi shahadat Naseeb hui aur Huzoor ﷺ ke Rouze Mein Dafn hone ka bhi Saharaf haasil hua
🌴 Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko Madeene Mein
Ameerul Momimeen Hazrate Farooqe Aazam Ke Waste
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 3
Mash'hoor Taabayi Hazrate Ibne Aseer رضي الله عنه farmate hai ki maine Hazrate Ubaida رضي الله عنه se Arz kiya ki mere Paas Rasoolullah ﷺ ka Ek baal mubarak hai jo Humko Hazrate Anas رضي الله عنه ya unke ghar walo ke zariye haasil hua To Hazrate Ubaida رضي الله عنه ne farmaya ki mere Paas Huzoor ﷺ ka ek Baal Mubarak hona mere liye Duniya Aur Uske Saare Saaz Wa Saaman se zyada mehboob hain
📕 Bukhari Jild 1 Safa 29
➡ Is Hadees Ko Padh kar Andaza lagaiye ki Huzoor ﷺ se Sahaba E Kiraam ko kis darja muhabbat thi ki Aap ﷺ ke Ek Baal Mubarak ko Qayinaat ki Saari Doulato se zyada pyara samajhte
✔ Hadees No. 4
Hazrate Anas رضي الله عنه farmate hai ki Jab Rasoolullah ﷺ ne sar ke Baal mubarak mundwaye to Aap ﷺ ke Baal Mubarak Haasil karne walon mein Sabse pehle Hazrate Abu Talha the
📕 Bukhari Jild 1 Safa 29
🌴 Nabi Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon Mein
Zameen Par Girne Kab dete Mere Sarkar Ke Gensoo 🌴
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 5
Qais ibne Maqramah se marvi hai ki hazrat usman ne khubaas ibne Ashyam Se Pucha Ki Aap Bade Hai Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam...! Unhone Farmaya huzoor Hi Bade Hai Lekin Mai Pehle Paida Hua
*📓 (Tirmiji jild 2 safa 22)*
Is Hadees Se Maloom Hota Hai Ki Sahaba e Kiram Nihayat Ba Adab The Inhe Huzoor Ke Mukable Me Bade Ka Lafz Bolna Gawara Na Tha ...
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 6
Hazrate Abu Huzaifa رضي الله عنه kehte hai ki Dophar ke Waqt Huzoor ﷺ Hamare paas tashreef laaye to Aap ﷺ ke liye wuzoo ka paani laaya gaya Aap ﷺ ne Wuzoo farmaya to log Aap ﷺ ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo par malne lage Fir Aap ﷺ ne Zuhar Ki 2 Raka'at Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz Padhi aur Aap ﷺ ke Saamne Neza tha Hazrate Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle Aap ﷺ ne Apna Munh aur Apne Haatho ko usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate Bilal رضي الله عنهم ) se Farmaya is paani ko piyo aur isko Apne chehro aur seeno par daal do
📕 Bukhari Jild 1 Safa 31
➡ Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor ﷺ Ne Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap ﷺ ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli kiya hua paani Huzoor ﷺ ne ataa farmaya aur ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها jo kheme ke andar se ye mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho
➡ Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda paani unke liye bachaya
📕 Bukhari Jild 2 Safa 620
🌴 Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi 🌴
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 7
Hazrat Sayeeb abne yazeed farmate hai ki meri khala mujh ko Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat me leke gai or arze kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Mera Bhanja bemar Hai Aapne Mere Sar Per Haat Fera Or Mere Liye Barkat Ki Dua Farmai, fir Apne wazu Farmaya or mene apke wazu Ka Pani Piya Iske Baad Me Apke peeche Khada Hogaya Toh Mene Muhare Nabuwat ko apke dono Khanddon ke Beech Me Dekha Jese Vahan Perde Ki Gondh Hai
*(📕Bhukari Shareef Jild 1 Safah 31)*
Or Bhukari Shareef Ki Jild 1 Safah 50 Per Is Hadees ke Saath Hazrat Juyed Ibne Abdur Rehman ka Yahan Qaul Bhi Hai(Hazrat Juyed Ibne Abdur Rehman Farmate Hai Ki Huzoor ser Per Haat Ferne Or Wazu ka pani Peene Ki Barkat se Mene sayeeb Ibne yazeed Ko 94 saal ki umr me dekha vhn bilkul tavana Va Tandurust or Sahihul badan hai or Unhone Bataya Ki meri yahan sama'At Or Basarat Huzoor Ki Dua ki vajah Se Hai....
*(📕Bukhari Shareef Jild 1 Safah 501)*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 8
Hazrat Asma Binte Abi BaQr Farmati Hai Ki Jab Vah Makkah Mu'Ajjama Me Thi Toh Abdullah Ibne Zuber Unke Pet Me The Or Jab Maine Hijrat Ki Toh Din Pure Ho Chuke The Fir Jab Mai Madina Munawwara Puhunch Gaye Or Kuba Me Tahri Toh Kuba Me Unki Paidaich Ho Gai. Fir Mai Unko Lekar Huzoor Ki Khidmat Me Hazir Ho Gay Or Unhe Huzoor Ki Gondh Me Diya.Huzoor Ne Khajoor Mangwayai Or Vah Abdullah Ibne Zubair Ke Muh Me Chaba Kar Di Toh Sab Se Pehli Cheez Jo Unke Muh Me Hai Vah Huzoor Ka lu'Abe Dahan Hai
*📕Bhukari Shareef Jild 2 Safah 822*
Yaani Hazrat Aa Ke Naxfeek Huzoor Ka Mubarak Thook Baeese Khair Va Barkat Tha Or Nihayat Mutabarak Tha Isliye Vah Is Baat Per Khush Hoti Or Faqiriya Bayan Farmati Ki Mere Bacche Ke Muh Me Sab Se Pahali Cheez Jo Dakhil Hui Vah Rasoolallah Ka Mubarak Thook Tha
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ *Hadees No 9*
Hazrat Jabir Kehte Hain Ki Mai Bimaar Ho gaya Toh Huzoor ﷺ Meri Ayadat Ke Liye Tashreef Laye The Or Abu BaQr Apke Saat The Or Dono Paidal Tashreef Laye The Fir Huzoor Ne Wazu Farmaya Or Apne Wazu Ka Paani mere Uper Dal Diya Toh Mai Bilkull Theek Hogaya.
*📕Bukhari Jild 2 Safa 1087*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 10
Hazrat Miswar Ibne Makhrmah (Sulah Hudaibiya) As-Haab Ko Gaur Se Dekhne Lage
Unhone Dekha Ki Jab Bhi Huzoor ﷺ Thunkna Ya Khankaarna Farmaate To Aapke Thook Aur Khankaar Bajaaye Zameen Par Girne Ke Kisi Na Kisi Sahaabi Ke Hath Me Girta
Aur Woh Usko Hath Me Lekar Apne Chehre Aur Jism Par Mal Lete.
*_Jab Aap Kisi Baat Ka Hukm Dete To Fauran Uski Taameel Ki Jaati_*
Aur Jab Aap Wuzu Farmaate To Log Aapke Dhoban Ko Lene Ke Liye Tut Padte,
Aur Har Ek Ki Ye Koshish Hoti Ki Ye Paani Mujhko Miljaaye
Aur Jab Log Aapse Se Guftagu Farmaate To Nihaayat Dheere Dheere Past Awaaz se Aur Aapni Itni Taazeem Karte Ki Aapki Taraf Nazar Jamaakar Dekhte Bhi Nahi.
*_Uske Baad Urwa Ne Apne Saathiyon Me Aakar Kaha_*
*_Aye Khaum Me Wallah Baadshah Ke Darbaaro Me Wafd Lekar Gaya Hun, Mai Qaisar Wa Qisra Aur Najjashi Ke Darbaar Ne Gaya Hu Magar Khuda Ki Kasam Maine Koi Baadshah Aisa Na Dekha Ki Uske Sathi Uski Taazeem Itni Karte Ho Jaise Ki Muhammad Ke Sathi Unki Taazeem Karte Hai. Khida Ki Kasam Jab Wo Thoonkte Hai To Unka Thoonk Wa Khankaar Kisi Na Kisi Ke Hath Me Gir Jaata Hai Jise Woh Apne Chehre Aur Badan Par Mal Lete Hai_*
*_Jab Wo Hukm Dete To Fauran Unke Hukm Ki Taameel Ki Jaati Hai Ki Jab Wo Wuzu Farmaate Hai to Unke Wuzu Ke Dhowan Ke Liye Aise Daudte Hai Jaise Wo Usko Hasil Karne Ke Liye Ek Dusre Se Ladne Ko Aamaaaad Ho Jaaenge Aur Wo Apni Awaazo Ko Unki Bargaah Me Nichee Rakhte Hai Aur Itni Zyaada Tazeem Karte Hai Ki Nazar Jamaakar Dekhte Tak Nahi_*
*_📕Bukhari Jild 01, Safa 379_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 11
Hazrat Anas(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) se marwi ke ke Rasool ﷺ Jab fajr ki namaz pad kar farig hote to Madeene ke khadim bartan lekar Aap ﷺ ki khidmat me hazir ho jate Aap ﷺ in bartano me (Barkat ata farmane ke liye)apne hath dal dete.
kabhi kabhi sakht sardi me bhi Aap ﷺ in par karam farmate hue apna hath pani me dal dete.
*_📕Muslim jild-2,safa-256,_*
*_📘Mishkat safa-519_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ *Hadees No.12*
Hazrat Isa ibne tuhman(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) se riwayat he ki inhe hazrat Anas(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) ne do purane joote dikhaye jinme se har ek me do tasme the hazrat Anas(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) ne farmaya tha ke ye ALLAHﷻ ke Rasool ﷺ ki mubarak jootiya he.
*📕Bukhari,Jild-2,Safa-438*
Yaha Imam Bukhari(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) ne apni Sahi bukhari me ALLAHﷻ ke Rasool ﷺ se nisbat rakhne wali cheezo me Aap ﷺ ke pani peene ke pyale, Aap ﷺ ki mubarak chadar,Aap ﷺ ki talwar, Angoohi se muta'allik Ahadees bhi nakal ki he jin ko Sahaba kiram(رضوان الله تعالى اليهم اجمين) ne Apne pas batore tabarruk rakh liya tha khud Imam Bukhari(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) ka aqeeda bhi yahi tha ke ALLAHﷻ ke Rasool ﷺ se jis cheez se talluk ho jaye wo ba'ise barkat he. Aur usse faiz hasil karna jayz he isliye in sab cheezo se muta'allik bab aur unwan ko unhone in alfaz me zikr kiya jo bukhari ke baz nuskho me he ke ALLAHﷻ ke Rasool ﷺ ki Zirah,Lathi,Talwar,Pyala,Angoothi,Bal,Joote Aur Bartano ka zikr jin se Sahaba kiram(رضوان الله تعالى اليهم اجمين) barkat hasil karte aur unhe Mubarak jante the
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No 13
Hazrat Jabir ibne Abdullah (رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) se marwi he ke mene ALLAHﷻ ke Rasool ﷺ ke sath dekha ke Asr ka waqt ho gaya lekin zara se bache hue pani ke siwa kuch na tha jo ek bartan me jama karke Huzoor ﷺ ki khidmat me pesh kar diya Gaya.
Huzoor ﷺ ne apna mubarak Hath usme dal diya aur ungliya faila di aur Farmaya wuzu karne wale aye aur ALLAHﷻ ki barkat se fayda uthaye.
Hazrat Jabir(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) kehte he ke mene dekha pani Aap ﷺ
ki ungliyo se foot foot kar nikal raha Hai.fir logo ne wuzu kiya aur pani piya aur mene apna pet bharne me koi kotahi nahi ki.khoob pet bhar kar piya.kyoki mere Aqeede me wo pani Barkat wala tha.Rawi kehte he ke mene Hazrat Jabir(رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ) se pucha ki is waqt Aap kitne log thai? Farmaya 1400.
📙 *Bukhari Jild-2,Safa-842*
*Is hadees se maloom hua ki Huzoor ﷺ se be panah muhabbat aur Aap ﷺ ko baise barkat Janna aur Aap ﷺ ki har ada par Qurban rehna yahi Sahaba(رضوان الله تعالى اليهم اجمين) ki zindagi thi*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 14
Hazrat muaaz ibne jabal se marvi hai ki hum log jung e tubook ke saal Huzoor ﷺ ke sath safar par nikle (Hazrat muaaz aage hadees bayan karte hue kahte hai)
'Rasoolallah ﷺ ne irshad farmaya ki',
"Kal tum log tubook me wahan ke paani ke chashme tak pahunch jaaoge aur tum log deen chadhe tak vahan pahunch jaaoge to tum me jo bhi paani ke chashme tak pahuche woh is paani ko haath na lagaye jab tak ke me wahaa na pahunch jaao".
Raavi kahte hai ki hum log us par pahunche aur do aadmi hum se pahle pahunch chuke the aur chashma paani ki kami ke baaees bhige hue chamde ki tarah ras raha tha to huzoor ﷺ ne un dono se puchha, "kya tum ne paani ko haath lagaya unhone kaha haan". Uspar huzoor ﷺ ne un dono ko daanta aur wah kahaa jo allah ne chaha.
Fir logo ne chashme ka pani chilluon se thoda-thoda le kar jamaa kiya.
Fir huzoor ﷺ ne is paani me apne haath aur mooh ko dhoya aur is dhoban ko chashme me laut diya (to is ki barkat se) bahot tezi ke sath chashme se pani jaari ho gaya. Aur logon ne khub piya. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya " aye muaaz agar tumhari zindagi rahi to tum dekhoge ki yeh chashma is zameen ko baagaat aur aabaadiyon se bhar dega.
*_📘Muslim jild:2 safa:246_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 15
Hazrat Anas se marvi hai ki maine dekha ki baal kaatne wala huzoor ﷺ ke baat kaat raha hai aur sahaba kiraam charon taraf se ghere hue hai aur unki khwaaish hai ki huzoor ﷺ ka koi baal zameen par na geere. Balki kisi na kisi sahabi ke haath me aa jaaye.
*_📘Muslim Sharif jild: 2 safah:256_*
In dono hadeeson ki sharah me imam nauvi farmate hai ki in hadeeson se nek bando ki nishaniyon se barkat hasil karne ka suboot milta hai. Aur yeh sahaaba kiraam huzoor ﷺ ki nishaniyon se barkat hasil karte the aur pani me aap ka haath dalwa kar barkat hasil karte the aur aap ka is darja ahetraam farmaate the unhe aap ke baalon ka zamin par girna gawaara na thaa. Balki woh unhe badh kar haath me le lete the.
*_📕Haashiya Muslim safah: 256_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 16
Hazrat Abu Burda apne walid se riwayat karte hai ki "hum ko Rasoolallah ﷺ ne najjaashi ke mulk me jaane ka hukm diya. Unhone apna pura kissa bayan karte hue bataya ki Najjaashi ne kaha ki mai gawahi deta hoon ki beshak woh Allah ke Rasool hai ﷺ aur yeh wohi hai jin ki khush khabri hazrat Isa ibne Mariyam ne di hai aur agar mere saath yeh baadshahat ka mas'ala na hota to mai unki Khidmat me haazir hota aur unki jootiyan uthata"
📙 *(Soonan Abu Daaood safah 457)*
Yeh Hazrat Najjaashi Baadshahe habsha hain jo huzoor par imaan laaye. Fathe Makka ke saal Imaan laye aur huzoor ne unki maut ki khabar Madine me di thi. Aur ghaybaanaa unke janaze ki namaaz ada farmaai jaisa ki bukhari wa Muslim me hain. soonan Abu Daood me bhi is se pahle waali hadis me yeh sab mazkoor hai...
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 17
Hazrat asmaa bint e Abu BaQr se marwi hai ki unhone ek kisrwaani jubba nikala jiska gireh baan dibaaj ka thaa aur dono chaako me dibaaj ki goth lagi hui thi aur farmaya ki huzoor ﷺ ka jubba (nichaa kurta) hai yeh hazrat Aaysha ke paas thaa jab unka wisaal ho gaya to maine le liya Rasoolallah ﷺ isko pahante the aur hum isko dhokar uska dhoban bimaaro ko pilate hai aur is zariye se inki shifa chahte hai
📙 *(Muslim jild 2 Kitab-ul-libaas safah 190)*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 18
Ek aurat ne ek kinare wali chadar Huzoor ﷺ ki khidmate aqdas mein pesh ki aur arz kiya ki ye maine Aap ke liye Apne hath se buni hai to Huzoor ﷺ ne isko qubool farma liya aur Aap ﷺ ko isko zarurat bhi thi Aap ﷺ iska tahband baandh kar hum logo mein tashreef laaye to ek sahab ko wo Nihayat achi maloom hui aur unhone isko Huzoor.ﷺ se maang liya sahaba e kiraam ne usse kaha ki tumne achaa nai kiya Huzoor ﷺ ko aaj kal iski zarurat thi aur tumko maloom hai Huzoor ﷺ maangne walo ko mana nai farmate to wo sahab kehne lage ki maine wo chadar khuda ki qasam pehenne ke liye nahi li hai balqi isliye maangi hai taaqi wo mera kafan ho jaye Hazrate Suhail رضي الله عنه raawi e hadees farmate hai ki wo chadar waqayi un sahab ke kafan mein kaam aayi
📕 Bukhari Jild 1 Safa 170
🌴 Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna
Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena
Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena 🌴
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 19
Hazrat Itbaan Ibne Maalik se marwi hai or yeh Itbaan Huzoor ﷺ ke un Ashaab mein se hain jo ansaar ki jaanib se Jung-e-Badar mein shareek hue they woh kehte hain ki main Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir hua or arz kiya Ya Rasoolallah mujhko aankho’n se nazar nahin aata or kaum ko namaaz padhata hoon jab baarish hoti hai to rastey ki waadi paani se bhar jaati hai jo mere or unke darmiyaan waqee’a hai, or masjid mein jaa kar un logo ko namaaz padhana mere bas se bahar ho jata hai lihaza main chahta hoon ki Huzoor mere ghareeb khaney par tashreef laa kar kisi jagah namaaz padh dein or main usi jagah ko apni ibaadat gaah banau’n Huzoor ﷺ ne irshaad farmaya ki main aesa karunga.
Itbaan ka bayaan hai ki agley din din chadhey Huzoor ﷺ tashreef laaye or unke sath Janaab Abu Bakr bhi they. Huzoor ﷺ ne ghar mein aane ki ijaazat chahee maine ijaazat de di or aap ghar mein baithhey nahin balki farmaya tum kis jagaj mujhse namaaz padhwana pasand karte ho. Main wahi namaaz padhu’n to maine ghar ke ek koney ki taraf ishara kar diya phir Huzoor ﷺ ne khadey hokar namaaz shuru farmayi aapne takbeer kahi or hum logo’n ne aapke pichhe safein laga li Huzoor ﷺ ne 2 rakatein padhkar salaam pher diya.
*📕Bukhari Jild 2 Kitaabul At-imah Safa 813*
Allah ki ibaadat to kisi bhi jagah ki ja sakti hai lekin Hazrat Itbaan ne apne ghar mein usi jagah ko ibaadat gaah banaya jahaan Huzoor ﷺ se namaaz padhwaee. Goya unke aqeedey mein Huzoor ﷺ se faiz wa barkat haasil karna bhi zaruri tha.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 20
Hazrat Talak Ibne Ali se marwi hai ki hum log wafd ki shaql mein Huzoor ﷺ ki khidmat mein haazir hue. Humne aapke hath par bai’at ki or aapke pichhe namaaz padhne ka sharf haasil kiya. Humne Huzoor ﷺ ko bataya ki humarey yahaan humara girza ghar hai to humne Huzoor ﷺ se aapke wuju ka dhowan maanga. Aapne paani mangaya wuju kar ke kulli ki phir is paani ko ek bartan mein daal diya or humko huqm diya ki tum log jaao or jab apne watan pahuncho to us girza ko tod daalo or us jagah yeh paani chhidak do or phir wahaan masjid banao. Humne arz kiya humara watan door hai or garmi sakht hai or paani khushk honey wali cheez hai. To Huzoor ﷺ ne farmaya ki is mein or paani milatey rehna iski khoobi badhti rahegi. Hazrat Talak Ibne Ali kehte hai ki Huzoor ﷺ se rukhsat hokar jab hum apne watan pahunchey to humne girza ghar ko tod dala or Huzoor ﷺ ka dhowan us jagah chhidak kar masjid bana li or Azaan pukari. Girza ka raahib (Eesai paadri) kabil-e-tay ka aadmi tha usne Azaan suni to keh ne laga yeh paigam-e-haq hai or woh zameen ke nichley hisse mein utar gaya or phir uske baad humne isko kabhi na dekha.
📕 *_Sunan Nisaai Safa 21 Zild 1, Mishkaat Safa 69_*
Is hadees mein aapne dekha ki Huzoor ﷺ ka un logo ko wuju ka paani dena or girza ko tod kar is jagah masjid banaaney se pehle wahaan Huzoor ﷺ ke aab-e-wuju ko un logo’n ka chhidakna or khud Huzoor ﷺ ka is sab ke liye huqm farmana bata raha hai ki Sahaabaye kiraam Huzoor ﷺ ke mansubaat se faiz haasil karte they or yeh barkat wa faiz haasil karne ke liye taleem khud Huzoor ﷺ ne hi di thi
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 21
Hazrat Zaari’a se marwi hai ki kabeela Abdul Kais ka wafd jab Huzoor ﷺ se milne aaya tha unke sath yeh bhi they. Kehte hain ki jab hum log Madeeney mein aaye to hum ek dusre se aagey badhne ke liye apni sawaariyo’n se jaldi jaldi utartey or Huzoor ﷺ ke mubarak hatho’n ko choomtey or aapke pairo ko choomtey they.
📕 *_Sunan Abu Da’ood Zild 2 Safa 709, Mishkaat Safa 402_*
Is hadees ko padh kar aapne andaza laga liya hoga ki Huzoor ﷺ ki tazeem wa takreem aapka aehtraam yahaan tak ki aapke hatho’n or pairo ko choomna or isme ek dusre se sabkat le janey ki koshish karna yeh sab Ashaabey Rasoolallah ﷺ ka tariqaaye kaar tha or yeh baatein inme raayej thi. Is hadees se Ulmaaye Kiraam arbaabey ilm wa fazl ke hatho’n pairo ko choomney ka jawaaz saabit hai. Jo log ise najaayez wa gunaah kehte hain woh galti par hai.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 22
Hazrat Suhail Ibne S’ad farmatey hain ki Rasoolallah ﷺ saqeefaye bani sa’eeda mein Sahaaba ke sath jalwa afroz hue or mujhse farmaya S’ad paani pilao to Hazrat S’ad ne (Ek pyala jo unke hath mein tha uski taraf ishara karke farmaya) maine is pyaaley mein Huzoor ﷺ or aapke saathiyo’n ko paani pilaya. Raawi kehte hain ki Hazrat S’ad ne phir woh pyala liya or hum logo’n ne usse husooley barkat ke liye paani piya woh pyala Ameerul Momineen Hazrat Umar Ibne Abdul Ajeez ne Hazrat S’ad se maanga to unhoney unhi ko de diya.
📕 *_(Bukhari Zild 2 Safa 842)_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 23
Hazrat Aasim Ibne Aehwal ka bayaan hai ki maine Huzoor ﷺ ke paani piney ka pyala Hazrat Anas ke paas dekha jo fat gaya tha or woh chaandi ke taaro’n se ganthha hua tha. Unka bayaan hai ki woh pyala bahut umda areez or behatareen lakdi ka tha. Hazrat Anas ka bayaan hai ki maine is pyaley mein beshumar martaba Rasoolallah ﷺ ko paani pilaya hai. Ibne Sireen ne kaha ki iske gird lohey ka ek halqa tha. Hazrat Anas ne chaha ki uski jagah soney ya chaandi ka halqa lagwa de Hazrat Abu Talha ne isse mana farmaya ki jis cheez ko Rasoolallah ﷺ ne banaya hai usko badalney ki koshish qat’an na karo. Lihaza Hazrat Anas ne irada tark farmaya.
📕 *_(Bukhari Zild 2 Safa 842)_*
In hadeeso’n se aapne bakhoobi andaza laga liya hoga ki Sahaabaye kiraam Huzoor ﷺ ki nishaaniyo’n ko mutabarrak samajhtey they or unko baeesey barkat jaan kar apne paas rakhtey they or unka nihaayat adab farmatey ki usme koi tabdeelee bhi gawaara na karte or barkat ke liye aapke pyaley se paani pitey they.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 24
Hazrat Abu Huzaifa se marwi hai ki ek din dopehar ko Rasoolallah ﷺ bat’ha tashreef laaye 2-2 rak’at Zuhar or Asar ki namaaz padhi. Aapke samney ek neza gaad diya gaya tha iske pichhey se aurtein guzar gayi or mard khadey rahey phir woh log Huzoor ﷺ ke hatho’n ko lekar apne chehrey par malney lage. Maine bhi Huzoor ﷺ ka mubarak hath lekar apne chehrey se lagaya to dekha woh barf se jyada thhanda or mushk ki khushboo se jyada mehak raha tha.
📘 *_(Bukhari Zild 1 Safa 502)_*
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 25
Hazrat Abu Huzaifa kehte hain ki phir Hazrat Bilaal nikley or azaan di. Phir Huzoor ﷺ ke khemein mein tashreef le gaye or aapke wuju ka bacha hua paani nikaal laaye to maine dekha ki Sahaabaye kiraam Huzoor ﷺ ke bachey hue paani ko haasil karne ke liye is par girey ja rahe hain.
📕 *_(Bukhari Zild 1 Safa 503)_*
In ahadees se aap par wazeh ho gaya hoga ki Huzoor ﷺ ke jism paak ka gusala Sahaaba ke liye nihaayat baeesey barkat or layikey tazeem wa takreem tha or woh aap ke mubarak hatho’n ko chehrey par laga kar barkat haasil karte they.
Bukhari wa Muslim ke hawaaley se Mishkaat mein is hadees ke akheer mein yeh kalmaat hai:
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 26
Jisko Huzoor ﷺ ka dhowan mil gaya woh usko badan par phira leta or jisko nahin mila usne apne kisi sathi ke hath ki taree le li.
📘 *_(Mishkaat ba-hawaala Bukhari wa Muslim Safa 74)_*
SUBHANALLAH in ahadees ko padh kar yeh kehna hi padega ki waqayee Sahaabaye Kiraam sab ke sab sham-e-nuboowat ke parwaaney they or aapke deewaney they.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 27
Ameerul Momineen Hazrat Umar Radiallaho Anho se marwi hai ki ek din Rasoolallah ﷺ ne humein sadqey ka huqm diya. Ittifaaq se in dino’n mere maali haalaat achhe they. Maine Dil mein socha ki agar kabhi main Hazrat Abu Bakr se aagey nikal sakta hoon to woh mauka aaj hai. Lihaza maine apne saarey maal ka aadha laakar Huzoor ﷺ ki khidmat mein pesh kar diya. Huzoor ﷺ ne puchha tumne apne ghar walo’n ke liye kuch chhoda? Maine arz kiya Haan. Farmaya kitna? Maine arz kiya itna hi. Or janaabey Abu Bakr apna saara maal le kar haazir hue. Huzoor ﷺ ne unse puchha Aye Abu Bakr apne ghar walo’n ke liye kya baki chhod aaye? Unhoney kaha Ya Rasoolallah ﷺ maine ghar walo’n ke liye Allah or uske Rasool ko chhoda hai. Hazrat Umar farmatey hain maine kaha main Abu Bakr se aagey kabhi nahin nikal sakoonga.
📓 *_(Tirmizee Zild 2 Safa 208)_*
Yaani janaab e Siddiqey Akbar ne sirf Allah ka naam na liya balki yeh farmaya ki maine ghar walo’n ko Allah wa Rasool ke bharosey or unke sahaarey chhoda hai. Yeh unka ishq-e-Rasool bhi hai or Khudaye ta’ala ke sath sath zaat-e-Mustafa ﷺ par tawakkul wa bharosa or aetmaad bhi. Or yeh sab Khudaye ta’ala ki ata hai ki usne apne mehboob ko be-sahaaro’n ka sahaara be-baso’n ka bas banaya hai.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 28
Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه ka bayan hai Rasoolullah ﷺ mere ghar mehman hue aur main balai (upari) manzil mein rehta hu aur Huzoor ﷺ niche wali manzil mein Ek Baar Raat Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar chalta hu aur Huzoor ﷺ Niche tashreef farma hai is khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue Raat guzari subah ko Huzoor ﷺ khidmat mein Haazir ho kar Arz ki to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram hai Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ lekin main is chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho iske baad Huzoor ﷺ Upar ki manzin mein tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil mein rehne lage Huzoor ﷺ ke liye khana tayyar karte Jab Huzoor ﷺ khana tanawul farma lete baad mein khud khate bache hue khane ke baare mein puchte ki Huzoor ﷺ ne kidhar se khaya hai fir khaas isi jagah se khate
*_📗Sahih Muslim Zild No.2 Baab Ibaahatey Aklis-saum Safa 183_*
➡ Hazrat yeh us waqt ka kissa hai jab Huzoor ﷺ Makka Mu’aj’zama se hijrat farma kar Madeena tashreef laaye or shuru’a mein aapka qayaam Hazrat Abu Ayyub Ansari ke makaan mein hua tha. Is hadees shareef se sabak haasil karein jo sirf zaahiri namaaz roza or aehkaamey shariya ko hi islaam smjhe hue hain or inki kitaabein zindagi mein adab wa tazeem ka koi baab nahin balki be-adabee inki ghutti mein pila di gayi hai.
Mehboobey Khuda ﷺ ka adab or aapki tazeem islaam mein kitni zaruri hai or aapki shaan mein be-adabee kitna bhayaanak jurm hai is baarey mein Qur’an Kareem mein Khudaye ta’ala ka yeh farmaan bhi mulahiza farma lijiye-
Aye imaan walo apni aawazein oonchi na karo us gaib bataaney wale Nabi ki aawaz se or unke huzoor baat chilla kar na karo jaise aapas mein ek dusre ke samney chillatey ho kahin aesa na ho tumharey amal barbaad ho jaye or tumhe khabar na ho.
📙 *_(Surat-e-Hujraat Parah No. 26 Ruku’a No.13)_*
Gaur kijiye ki yeh amal namaaz roza wagerah ko barbaad karne ki warning ki baat par di gayi hai? Manna hi padega ki adab wa tazeem-e-Mustafa ﷺ imaan wa islaam ki jaan hai or be-adab ke saarey aamaal wa ibaadat bekaar hain.
Qur’an Kareem mein ek or mukaam par bilkul saaf sareeh or waazeh alfaaz mein Huzoor ﷺ ki tazeem wa taukeer ka huqm Khudaye ta’ala yoon farmata hai-
“Beshak humne tumhe bheja haazir wa naazir or khushi or darr sunana. Takey Aye logo’n tum Allah or uske Rasool par imaan lao. Or Rasool ki tazeem wa taukeer karo or subah sa shaam Allah ki paki bolo”.
📒 *_(Parah 26 Ruku’a 9 Suratul Fatah)_*
🌴 Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi
Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya 🌴
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 29
Hazrate Usman Ibne Abdullah رضي الله عنه se riwayat hai ki mere ghar walo ne mujhko Ummul Momineen Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ki khidmat mein ek bartan mein paani lekar bheja aur jab kisi shaksh ko nazar lag jaati ya use koi pareshani ya beemari hoti to Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ka Moo E Mubarak Baal Nikaal kar laati aur wo unke paas ek chaandi ki shishi mein rehta tha fir use paani daalkar hilaya jaata aur wo shaksh us paani ko peeta Hazrate Usman رضي الله عنه kehte hai ke maine us bartan mein jhanka to mujhe chand surkh rang ke baal dikhayi diye
*_📕Sahih Bukhari Jild 2 Safa 875_*
*_📓 Mishkat Babul Faal safa 391_*
➡ Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ki zouja e mohtarma (Paak Biwi) Hain jo Huzoor ﷺ Baal ko dhowan Mareezo ko pilati thi aur Mareez sheefa paate the aur ye sahaba ka zamana tha lekin kisi ne ye nahi kaha ki ye Shirq o Bid'at aur Naa jayaz hai
🌴 Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo E Mubarak ko
Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensuu
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 30
Hazrat Abu Mas’ood ke baarey mein marwi hai ki woh ek din apne ek ghulaam ko maar rahe they to woh kehna lagey main aapko Allah ke naam ki duhaai deta hoon to woh maartey hi rahey phir usne kaha Rasoolallah ki naam ki duhaai deta hoon to unhoney usko chhod diya.
📘 *_(Sahih Muslim Zild 2 Safa 52)_*
Sahih Muslim shareef ki hadees se yeh maloom hua ki ba-waqt museebat Huzoor ﷺ ki naam ki duhaai zaayej hai or Hazraat Sahaabaye kiraam Huzoor ﷺ se kis kadar mohabbat or ishq rakhtey they iska andaza Sahaabiye Rasool Hazrat Mas’ood ke is tareeqaye kaar se lagaaye ki pit-tey hue ghulaam ne Allah Jallah Shaanuhu ke naam ka wasta diya to maartey rahe or jab Huzoor ﷺ naam ki duhaai di to maarna chhod diya kyunki Huzoor ﷺ ka adab Allah Jallah Shaanuhu se mohobbat or uski bandagee wa farma bardaari hai woh to Allah ta’ala ke bhi mehboob hain or Khudaye ta’ala aapke adab or aapki tazeem se razee hota hai. Khudaye ta’ala agar naraaz ho jaye to Huzoor ﷺ mana lenge Shafa’at farma lenge lekin agar Huzoor khafa ho jaye to dono’n jahaan mein kahin tthikana nahin hai. Dekhte nahin ki Khudaye ta’ala ne farishto’n ko apni ibaadat ka huqm nahin diya tha balki Hazrat Aadam ki tazeem ka huqm diya tha kyunki Allah Jalla Shaanuhu ki ibaadat or uski tasbeeh to pehle hi se karte chale aa rahe they
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 31
Hazrat Anas Ibne Maalik farmatey hain ki ek darzi ne Huzoor ﷺ ki khaney ki daawat ki Hazrat Anas farmatey hain ki main bhi Huzoor ﷺ ke sath gaya usne aapki khidmat mein roti shorba jisme laukee thi or paka hua gosht haazir kiya maine dekha ki Huzoor ﷺ pyaaley ke chaaro’n taraf laukee ke katley talaash farma kar kha rahey hain main bhi us din se laukee ko pasand karne laga.
📕 *_(Bukhari Zild 1 Baabul Khyyaam Safa 281)_*
Kis kadar ishq tha Sahaaba Kiraam ko Huzoor ﷺ se ki Hazrat Anas ne Huzoor ko laukee shauk se khatey dekha to umar bhar laukee se mohobbat kartey rahey. Is hadees se yeh bhi maloom hua ki Rasoolallah ﷺ se ishq wa mohobbat ka matlab yeh hai ki har woh baat jo aapko pasand thi isse mohobbat ki jaaye or jo aapko na-pasand thi isse nafrat ki jaaye.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳 ✔ Hadees No. 32
Hazrat Anas se marwi hai ki Huzoor ﷺ ki ek oontni ka naam Azwa’a tha woh sabse aagey chalti thi ek ganwaar apni oontni par baith kar aaya or aagey nikal gaya to yeh baat musalmano’n ko bahut na-gawaar guzri yahaan tak ki Huzoor ﷺ ne bhi Sahaaba kiraam ki is nagawaari ko jaan liya. Or farmaya ki Allah ta’ala par yeh haq hai ki jab woh duniya mein kisi cheez ko buland karta hai to phir use niche bhi girata hai.
📕 *_(Bukhari Zild 1 Baab Naaqtun-Nabi ﷺ Safa 402)_*
Is hadees se zaahir hai ki As-haab Rasoolallah ﷺ aapse aesi mohobbat or aqeedat rakhtey or aapki bargah mein aese ba-adab ki unhe Huzoor ﷺ ki sawaari se aagey kisi ki sawaari ka nikal jana gawaara na tha.
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ 🔳
✔ Hadees No. 33
Hazrat Sumamah se marwi hai ki Hazrat Umme Sulaim apne Ghar mein Huzoor ﷺ ke liye bistar bichha deti thi to woh dopehar mein aaram farmatey jab Huzoor ﷺ tashreef le jaatey to woh aapke bistar se aapke baal or paseeney ko ek shishi mein jama kar leti phir use khushboo mein mila leti Hazrat Sumamah farmatey hain ki( Hazrat Umme Sulaim ke bete Huzoor ke Sahaabi) Hazrat Anas ka jab wisaal hua to unhoney mujhko wasiyat farmayi ki wohi khushboo mere kafan mein lagayi jaaye or aesa hi hua yaani wohi khushboo unke kafan mein lagayi gayi.
📕 *_(Bukhari Zild 2 Kitaabul Istizaan Safa 929)_*
*《..Alhamdulillah Mukammal..》*
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें